If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.
Ek park me hatash nirash ho kar Atul chakkar laga raha tha...Kabhi wo gussa hota toh kabhi dil me ek asehniya dard uthtaa.
Nisha ki intejaar me 15 minute se wo park ka idhar udhar chakkar laga raha tha.
Atul:- Aa gayi tum.
Thoda gussa ke saath Atul ne pucha.
Atul:- Anyway Congratulations.
Be man se Atul ne kaha...Nisha bas Atul ko dekhti hi rahi.
Nisha:- Ye tum kya keh rahe ho?
Atul:- Toh kya kahu? Mujhe chhod kar mat jaao...Mujhse shaadi kar lo warna mai mar jaaunga...Yeh kahu? Yeh toh pehle bhi keh chuka hun.
Abb toh tumhari shaadi hone jaa rahi hai wo bhi Ravi se...Congratulations toh banta hi hai...Congrats once again.
Atul ki aawaj me gussa ke saath saath kadwaahat tha.
Nisha kuch nahi boli...Wo bhi iss baat se bahut dukhi thi...Iss baar Atul ko bhi Nisha ka dard dikhta hai.
Atul:- Mai bhi naa...Jis chehre me khushi dekhna chaahta hu ussi ko dard de raha hun.
Atul ki aawaj me gussa ke saath saath dard bhi tha...Gussa khud par aur dard Nisha ke liye.
Nisha:- Please sambhalo Atul khud ko.
Atul:- Kaise sambhaalu? Itna pyar karta hun ki tumse bicchadne ki soch bhi nahi sakta...Sambhaal nahi paa raha hun.
Nisha bhi kuch nahi bolti...Abb dono ke bich ek khaamoshi tha...Dono bas ek dusre ke dard hi mehsus kar rahe thhe...Aur ek lachaari bhi...Kuch naa kar paane ki.
Atul:- Ek baat pucchu?
Nisha:- Haan.
Atul:- Tumhare Papa khud ko bahut bada gyani vidhwaan samajhte hai...Duniya ka har acchaai buraai se waakif hai...Insaan ko acche se samajhte hai.
Lekin Ravi...Usko pehchaane me aise murkhata kyu kar rahe hai? Kya wo uska chhal ko dekh nahi sakte? Kya itna andha ho gaye hai wo?
Atul ka har ek lafz me gussa aur nafrat tha...Usse koi fark nahi pad raha tha ki Nisha uske saamne hi hai aur wo uski Papa ka hi beizzati kar raha hai.
Nisha:- Please Atul Papa ke baare me...
Atul:- Kyu naa kahu? Uss insaan jo mera jindagi barbaad kar raha hai uske baare me aisa kyu naa bolu...Itna hak to hai mera.
Nisha:- Pata nahi Ravi ne kya jaadu kar diya hai.
Kehte hai Ravi bahut accha ladka hai...Mujhse pyar bhi karta hai...Accha khaasa family hai...Mera ek baat sunna nahi chaahte.
Nisha ne bhi niraash ho kar kaha.
Atul:- Dil toh kar raha hai unhe iss baat soch ka sabak mile...Lekin kis kimat par?
Tumhaari...Bilkul bhi nahi...Unka galat hone ka matlab tumhara dard...Bas yahi aa kar unka galat saabit hone ka duaa bhi nahi kar sakta.
Nisha:- Tumhare ghar wale nahi maan rahe hai kya?
Thodi der baar dard bhari aawaj se Nisha ne pucha...Shayad abhi bhi ummeed tha.
Atul:- Bilkul nahi...Papa apne jidd par hi adde hai...Andhe ho gaye hai...Mera khushi toh dikhta hi nahi...Maa aur Di bhi koshish kar rahi hai...Lekin wo...
Gusse me Atul chup ho gaya.
Aur wo kameena Gaurav...Man karta hai ki jaan se maar du uss kameene ko.
Fir ek baar maahauk me khaamoshi chhaa gaya...Dono ke dard ka khaamoshi...Abb toh Atul ki aankho se aansu bhi behne laga tha.
Nisha:- Roo kyu rahe ho?
Atul:- Abhi se humaara bhavisya dikh raha hai...Haar gaya hu mai...Kuch nahi kar paaya aur naa hi kuch kar sakta hun.
Nisha bhi kuch nahi boli...Kya bolti aur kya himmat deti Atul ko? Jab wo khud Atul se sehmat thi.
Atul:- Kabhi socha nahi tha sapne bhi sach hote hai...Aur mera badkismati hai ki jindagi ke sabse dardnaak sapna sach ho gaya.
Nisha:- Atul please tum khud ko sambhaalo...Tumhe dekh kar dar lagne laga hai...Kahi tum kuch ulta sidha...
Atul Nisha ki honth par ungli rakh deta hai.
Atul:- Paagal lag raha hun naa mai abhi...Haan paagal hi toh hu...Tumhare pyar me paagal...Tumhe khone ki himmat nahi aur issi dar me kar raha hu ye paagalpan.
Lekin daro mat...Tumhara pyar tumhara aashiq hu mai...Koi aisa kadam nahi uthaunga jo tumhe sharminda kar de mujhse pyar karne ke liye.
Nisha ko samajh me nahi aa raha tha ki kya kahe...Atul ki deewanapan par garv hona chahiye yaa fir hakikat par rona chahiye.
Atul:- Nisha tum khush too ho naa iss shaadi ke liye?
Nisha:- Tum toh jaante ho naa?
Atul:- Haan...Mai bhi kya puch raha hun...Par tum khush rehna sikho...Jindagi bhar toh aise dukhi reh nahi sakti...Aur mai tumhe aisa dekhna bhi nahi chaahta.
Nisha:- Ye tum???
Atul:- Sach keh raha hun...Ye tum bhi jaanti ho ki abb shayad hi kuch baat bane...Aise me...Khushi abb tumhe dusri cheej me dhund lena chahiye...Mai bhi toh yahi chaahta hu tum hamesha hi khush raho...Yahi dua karunga mai.
Atul ki baat par hairaani hone laga tha Nisha ko...Aawaj me dard hi dard tha lekin dua sach tha...Shayad abb Atul bhi haar maan chuka tha.
Nisha:- Aur tum?
Atul:- Mai...Kuch sochs nahi abhi tak...Mera jindagi aur sapne tum tak hi simit tha...Abhi kuch socha nahi.
Nisha:- Tum bhi...
Atul:- 1 minute...1 minute.
Bich me hi rok kar Atul ne kaha.
Atul:- Tumhe mera kasam hai ki mujhe koi kasam nahi dogi.
Aur jaha tak mera shaadi ki baat hai...(Gale ka rudraaksh ko chhute hue) Kasam Bhole baba ki...Tumhare alawa maine kisi ke baare me socha hi nahi aur naa hi sochunga.
Nisha:- Ye tumne kya kar diya?
Atul:- Tumne kaha tum apne Papa ki baat maanogi aur unke khilaaf nahi jaaogi...Maine tumhara iss baat ka samman kiya aur maan liya....Please tum bhi meri ye baat maan lo.
Nisha:- Lekin kaise...Tumhe dard me aise chhod du.
Atul:- Shaadi ke alawa bhi bahut kaam hai...Jisse khush reh sakte hai...Aur shaadi se toh mere gharwalon ko bhi matlab nahi.
Waise bhi Doctor hun...Apne kaam bhale hi naa aaun...Kisi aur ke aa jaaunga.
And Love is not Everything...There are lots of thing which I will explore.
Meri fikar mat karo...Koshish karunga khush rehne ki...Bas tumhe bhulaa nahi paaunga aur kisi aur ke baare me shaadi nahi kar paaunga.
Nisha:- (In her mind) But for me Love is everything...Happiness, sadness and all the emotions...Majburi hai ki tumhare saath nahi reh sakti.
Atul:- Aaj tak tumhe Kasam diya tha...Saath nibhaane ma...Hamesha pyar karne ka...Tumhe khush rakhne ka aur saath nibhaane ka...Abb Kasam deta hu tum aage khush rahogi...Mere liye apne liye mere bina.
Nisha:- Tum bhi khush rehna.
Atul:- Jarur.
Jhuthi muskaan ke saath Atul ne kaha...Shayad aakhiri ke pal me wo Nisha ko khushi ke saath bidaa karna chaahta tha.
Aakhiri ke har ek baat Atul apne dil par patthar rakh ke bol raha tha...Na jaane kaha se itna himmat aa gaya tha usme...Shayad Nisha...Uski khushi...Uske khushi ke liye itna kuch bol diya tha usne.
Abb dono ke bich fir se khamoshi chhaa jaata hai...Aakhir ke pal...Dono bas ek dusre ki maujudgi ko mehsus kar rahe thhe...Shayad hi ye pal unki jindagi me fir se kabhi aaye...Apne jindagi ke aakhri pal jee rahe thhe dono.
Dil to chaahta tha ki vakt hi ruk jaaye...Dono bas ek dusre ko hi dekhte rahe aur kabhi alag hi naa ho...Lekin ye hakikat tha jo unki chahat ki duniya se bilkul alag tha.
Vakt apne raftar se chalta gaya aur dono ke aakhiri pal bhi aa hi gaya.
Nisha:- Accha Atul...Chalti hun abb...Raat hone lagi hai.
Iss baar Nisha apna dard rok nahi paayi.
Atul:- Hmm thik hai...Aur mera Kasam yaad rakhna.
Nisha ek najar Atul ko acche se dekh leti hai aur uska chehra apne dimaag me kaid kar dusri taraf mud jaati hai...Aur waha se daud kar jaane lagti hai.
Atul bhi Nisha ko tab tak dekhta raha jab tak wo uske aankho se ojhal naa ho gayi...Ek lamha ko kaid kar liya usne bhi...Yaado ke jariye apne jeene ki sahara.
Atul:- (In his mind) Tum hamesha yaad aaogi.
Nisha:- (In her mind) Khud ko sambhal lena Atul...Mai bhale hi tumhare paas nahi hun...Mera pyar hamesha tumhare saath rahega.
Raat mein bhi dono ek dusre ke karib ho kar bhi alag thhe...Koi baat nahi hua.
Unka chhat jo hamesha dono ki khushi aur pyar ki gawaah tha aaj wo shaant tha...Naa jaane kitne hasin aur pyar bhare pal waha beete thhe...Lekin abb wo hamesha ke liye shaant tha...Tanhaai me badal gaya tha...Hamesha ke liye.
Aaj fir se ek premi jodi alag ho gaye baaki ki jodi ki tarah...Ek majburi ke saath.
Fir issi tarah dono hamesha ke liye alag ho gaye...Aaj agar mulaakat hota hai toh sirf ek dusre ke yaad mein...Ek pyar ke saath...Adhuri mohabbat ke saath.
Ye sab kya ho raha hai yaar? Kuch dino me Nisha ki shaadi hone wali hai?
Ajay bahut gusse me tha...Atul kuch nahi bola.
Ajay:- Tu kuch sun bhi raha hai yaa nahi?
Atul:- Haan sun raha hun tera bakwas tabhi se.
Irritate ho kar Atul ne jawaab diya.
Ajay:- To fir aise chup kyu hai? Kuch kyu nahi kar raha hai? Aise kaise Nisha se alag ho sakta hai?
Ajay ka gussa tha ki badhta hi jaa raha tha.
Atul:- Tujhe kya lagta hai...Maine koshish nahi kiya hai...Ek mahine se paagalo ki tarah idhar udhar bhatak raha hu...Kabhi apne ghar...Kabhi Nisha ke ghar...Papa aur Nisbmha ki Dad ko manane ki har ek koshish kiya hai...Lekin koi manna hi nahi chaahte.
Thak haar kar Mandir bhi gaya hu...Ek aakhiri ummeed ke saath...Shayad uparwale ko hi taras aa jaaye...Lekin pata nahi kis janm me itna paap kar diya ki sab kuch galat hi ho raha hai.
Shayad galti bhi mera hi tha...Gaurav ka vakt rehte kuch nahi kiya aur Papa ka vishwas kavhi jeet nahi paaya.
Aur aakhiri koshish...Nisha ko bhagaane ki...Lekin usne bhi mana kar diya...Ek baar nahi sau (100) baar koshish kiya...Lekin wo nahi maani...Shayad wo apni jagah sahi bhi thi aur mai galat...Lekin dil me jo dard utth raha hai naa wo sahi galat kuch dekh nahi raha tha.
Har ek koshish kiya lekin fir bhi kuch nahi kar paaya...Aur abhi thak haar kar tere saath hun.
Ajay:- Toh fir mujhe apna raasta apnaana padega.
Atul:- Tera raasta?
Ajay:- Jaake sidhe Nisha ki Papa ko dhamki deta hu...Chal saath chalte hai...Dekhta hu kaise nahi maante hai wo?
Ajay kuch alag hi josh me tha.
Atul:- Paagal hai kya...Wo nahi maanenge...Itna to jaanta hun unhe...Mar jaayenge lekin apna jidd nahi chhodenge.
Aur aise me Nisha mujhse nafrat karne lagegi ki mai uski Papa ko dhamkaane gaya.
Ajay:- To fir? Tere Papa?
Iss baad Ajay thoda darte hue bola...Atul ke saamne hi uske Papa ke baare me bolna...Itna aashan bhi nahi tha.
Atul:- Koshish karle...Lekin wo bhi apne jidd nahi chhodenge.
Bina kisi bhaaw ke Atul ne jawaab diya.
Ajay bhi abb khud ko laachar mehsus karne laga.
Ajay:- To fir kya karu?
Atul:- Kuch nahi.
Atul bas sir jhukaye baitha raha...Ajay sirf Atul ko dekhta raha.
Ajay apne yaado ki duniya me chala gaya aur sochne laga ki kaise Atul ne apni taraf se puri koshish karke uske aur Anjali ki shaadi karwaya tha...Kaise usne dono ke pariwar walon ko samjhaya tha.
Aur aaj ka Atul...Apne hi pariwar walon ko manane me naa kaamyab tha...Aur gussa to Ajay ko khud par aa raha tha ki wo Atul ke liye kuch bhi nahi kar paa raha tha.
Aaj wo bhi majbur ho gaya tha.
Ajay:- Ek baar try karte hai naa yaar.
Abb Ajay ki aawaj me majburi saaf dikh raha tha.
Atul:- Josh apni jagah hai aur hakikat apni jagah...Har koshish kar chuka hu...Abb kuch nahi ho sakta.
.
.
.
.
.
Ajay:- Aage kya karne ka socha hai?
Abb Ajay ne bhi haar maan liya...Usse dar tha ki Atul kahi koi galat kadam naa uthaa le.
Atul:- Bas yaar yaha se chala jaana chahta hu...Hamesha hamesha ke liye. Iss jagah se dur inn logon se dur.
Atul ki aawaj me aba nafrat tha...Usne kehna jaari rakha.
Atul:- Nisha ki shadi apni aankho se dekh nahi paaunga...Har pal marta jaa raha hun...Saha nahi jaa raha hai ye dard.
Ek anjaan gaanw me apna posting karwaya hai...Baaki ki jindagi wohi jiyunga...Waise bhi abb jindagi ka koi bharosha nahi hai.
Ajay:- Aise kaise? Apna family aur career?
Atul:- Kaunsa family aur kaunsa Career?
Wo family...Jisne mujhe jeete jee maar diya...Mera Papa jinhone mujhe apna beta kabhi samjha hi nahi...Aur mera Bhai jo hamesha mujhe dushman maanta aaya hai.
Sirf Maa aur Di hi hai mera shubh chintak...Lekin jab bhi Papa aur Bhai ko dekhta hun to dil aur dimaag me nafrat chhaa jaati hai...Unke saath nahi reh sakta...Unke shakl se hi nafrat ho gaya hai.
Bas Maa aur Di ki contact me rahunga...Phone ke jariye...Kabhi jarurat pada to mil bhi lunga.
Aur Career...Kya faaidaa aise career ki jab jeene ki koi vajah hai hi nahi.
Ajay:- Aise kaise sab kuch chhod kar chala jaayega?
Atul:- Jaane ka man kisse hai? Lekin majburi bhi koi cheej hota hai.
.
.
.
.
.
.
Ajay ko bhi abb samajh me nahi aa raha tha.
Atul:- Accha dost apna khayal rakhna.
Itna keh kar Atul utth gaya.
Ajay:- Kuch der aur baith.
Atul:- Nahi yaar...Man nahi kar raha hai.
Ajay:- Kab jaa raha hai?
Atul:- Aaj shaam ko...Tere saath contact me rahunga.
Ajay ko ye sab dekh accha to nahi lag raha tha lekin Atul ko rok bhi nahi paa raha tha...Aakhir kya keh kar rokta?
Wo bas Atul ko jaate dekhta raha...Dono ke dosti ka har pal Ajay ki dimaag me ghumne laga...Gussa bahut aa raha tha usse khud par ki wo Atul ka kuch help nahi kar paa raha tha...Wo bhi aaj Atul ki tarah hi majbur tha.
Bas wo bhi lachaari se Atul ko jaate hue dekhta raha.
A. Dad:- Aao Atul...Bilkul sahi vakt par aaye ho...Tumhare rishte ki hi baat chal raha tha.
Atul ne saamne dekha to Preeti aur uski family tha...Lekin Atul ne bina koi parwah kiye.
Atul:- Maa...Aaj aakhiri chaai bana dijiye apne haath ka...Pata nahi ye mauka fir kab mile.
Atul ki aankho me aansu ki kuch bund aa gaye...Wo Nisha ke saath saath Maa, Di aur Ajay ko bhi miss karne wala tha.
Nidhi:- Ye kya keh raha hai tu?
Atul:- Please rokna mat di...Jaa raha hu abb hamesha ke liye...Ek nayi jindagi ke aur.
Atul ki ye baat sabhi ke liye hairaani ka tha...Lekin sabse bura Maa aur Di ko laga.
A. Mom:- Kaha jaa raha hai tu? Aur kaisi baat kar raha hai?
Atul:- Iss baar mat rokiye Maa...Iss jagah aur ghar se kaafi dur jaa raha hu...Raha nahi jaayega iss ghar me jaha apne hi dushman ho.
Atul ye kehte kehte kaafi toot gaya tha.
Atul:- Lekin aap dono se hamesha contact me rahunga...Aap dono hi to hai jisse mai abb apna keh sakta hun.
Fir kisi tarah Atul ne dono ko manaa hi liya...Dono maanne ke liye taiyaar to nahi thhe lekin Atul ki jidd aur dard ke saamne dono ko maanna hi pada...Lekin unke liye ye kisi sadma se kam nahi tha.
Fir Atul apna bag pack karke niche aa jaata hai aur chaai peene lagta hai.
Bahut mushkil vakt tha Atul ke liye...Dil bhaari hota jaa raha tha aur aankho se aansu ki bund tapakne laga tha.
Jab wo nikalne hi wala tha tab
Nidhi:- Vakt par phone karte rehna.
A. Mom:- Jaha bhi tu rahe tu hamesha khush rehna.
Bhaari man se dono ne kaha.
Abb Atul nikal hi raha tha ki.
P. Dad:- Ye sab kya ho raha hai?
Ye baat sunte hi Gaurav Atul ke raaste ke saamne aa jaata hai.
Atul:- Hatt jaa saamne se.
Gaurav:- Mai bhi dekhta hun tu kaise jaata hai.
Atul abb kuch kehta nahi...Ek punch sidha uske naak par maar deta hai...Jindagi bhar ka nafrat aaj aag ugalne ko taiyar tha.
Gaurav 2 meter dur jaake ruka.
Atul uski taraf badhne hi wala tha ki uske Papa bich me aa gaye.
Atul:- Aap saamne se hat jaaiye...Warna ye haath aap par naa utth jaye?
Atul ne gusse me kaha...Baat kahi se bhi jhutha nahi lag raha tha...Aur ye sabut tha ki wo apne Papa se kitna nafrat karne laga tha.
Papa bhi raaste se hat gaye hairaani ke saath...Aakhir kaun baap apne hi aulaad se aisi baat sunn sakta hai? Ye gehra sadma tha unke liye.
Atul abb Gaurav par baras padta hai...Bina dekhe sir aur chhati par mukkon ki andha dhun barsaat kar deta hai.
Gaurav bhi khud ki bachaau karne ki haalat me nahi tha...Usse bachaane ke liye Amit (Preeti's brother) aaya lekin uska bhi wohi haal hua jo Gaurav ka ho raha tha.
Atul Gaurav ko aaj jaan se hi maar deta agar Maa bich me nahi aati...Ek baar fir Atul majbur ho gaya.
A. Mom:- Tujhe meri kasam!!!Chhod de isse.
Darte hue Atul ki Maa boli tab Atul ko bhi chhodna pada.
Atul:- (Gussa aur Dard me bhi hanste hue) Maa aapka yahi pyar aur mamta hi hai jisne aaj iss kameene ko aisa bana diya...Dekhna ek din...Aap bahut pachtayengi...Beta galat hai ye jaanne ke baawjud aapne kuch nshi kiya...Ye jhutha ummeed ki sab kuch thik ho jaayega aur sabhi pariwar ek saath rahenge...Aapki issi galatfehmi mujhe sabi se alag kar raha hai aur aage naa jaane kya hoga.
Atul se gussa me abb aur kuch kaha bhi nahi jaa raha tha...Wo waha se jaane hi wala tha ki.
A. Mom:- Ye behosh ho gaya hai.
Darte hue wo boli...Sabhi aa kar Gaurav ko dekhne lagti hai...Sach me khoon se lathpath wo behosh tha.
Atul usse baahar se hi check karne ke baad.
Atul:- Papa...Aap hamesha naraaj thhe naa mujhse ki mai Doctor banne jaa raha hun...Aaj usai vajah se aapka sabse pasandida beta marne se bach raha hai...Isse Epidural hemorrhage hua hai...Sir ki sabse kamjor haddi yaani ki Temporal bone of pterion region me chot laga hai...Aur Middle meningeal artery fatne ki vajah se ye haalat hai...Kisi neurosurgeon ko dikha dijiye...Bach jaayega.
Itna keh kar Atul waha se nikal gaya.
Ek baar picche mud kar apne ghar ko dekha aur fir Nisha ki ghar ko.
Acche se le kar har bure yaad ek baar fir dimaag me ghumne laga...Lekin aakhir me thak haar kar rote dil ke saath wo waha se nikal gaya...Ek nayi safar me.
Aur yahi se suruwat hota hai safar Dr. Atul ki...Jiske bhavisya me abhi bhi bahut kuch hona baaki tha.
Shreya ki khushi ka koi thikaana nahi raha...Atul ne jis tarah se kaha tha usse to lag raha tha ki 1 mahine se pehle Atul waapas nahi aayega...Bas abhi 2 din hua tha ki Atul waapas laut aaya.
Atul:- Aur ghut nahi sakta khud mai...Socha tumhe sach sach bata du.
Atul abhi bhi khud me hi uljha hua tha.
Shreya:- Kaisa sach?
Shreya ke liye ek nayi hairaani ki baat tha ye.
Shreya:- Papa kuch galat bol gaye kya?
Atul:- Nahi.
Shreya:- To fir.
Atul:- Abhi yaha nahi...Shaam me milna taalab ke paas.
Atul ne aas paas aate jaate logo ko dekh kar kaha...Wo sabhi ke saamne ye baatein keh nahi paa raha tha.
Shreya ka hairaani bhi badhta jaa raha tha...Atul ki aankhon me ek ajeeb sa uljhan dikh raha tha jaise wo kisi gehri soch mein ho...Itna to wo samajh gayi ki kuch bahut jaruri baatein hai.
Shreya ne bas haa me sir hilaa diya.
At Evening.
Shreya:- Abb to bataao...Kya baat hai?
Shaam ke 6 baje dono taalaab ke paas akele thhe...Shreya ko Atul ki baatein jaanni thi to Atul abhi bhi uljhan me tha ki apne dil ki baat kaise hai...Usse pata tha ki Shreya ka reaction kya hone wala hai...Thoda dar bhi raha tha wo.
Issi dar me wo idhar udhar tehel raha tha.
Shreya:- Bataa bhi do.
Shreya se aur raha nahi jaa raha tha.
Atul bhi abb apni aankhein band kar leta hai aur darte hue kehta hai.
Atul:- Please Shreya...Mujhse itna pyar mat karo...Bardaast nahi kar paa raha hu.
Atul ne darte hue aankhein khola aur Shreya ko dekha...Shreya bhi hairaani se Atul ko hi dekh rahi thi.
Shreya:- What???
Atul:- Ek baar pehle bhi galti kar chuka hun jo Nisha ka pyar dikha nahi...Abb wohi galti dohraa nahi sakta tumhaare pyar ka najar andaaz karke tumhe jhutha aasha nahi de sakta.
Shreya:- Mai tumse pyar nahi...
Atul:- Please jhuth mat bolo.
Shreya iss baar chup rahi.
Atul:- Mai bhi yahi chahta hun ki tum mujhse pyar naa karo...Lekin chahne se kya hota hai...Dil par aakhir kiska bas chalta hai?
Shreya:- Aakhir kyu? Nisha di to tumhara past thi naa...Kabhi future ke baare me nahi sochoge tum?
Shreya ki iss baat ka Atul ne koi jawaab nahi diya...
Shreya:- Sach kaha tumne...Pyar karti hun tumse...Bahut pyar karti hun...Pata nahi kab aur kaise tumse pyar karne lagi kuch pata hi nahi chala...Aage bhi karti rahungi bas ek haa ke intejaar me.
Mai tum par koi dawaab nahi daalungi...Agar kabhi man badal jaaye to aa jaana mere paas...Jindagi ke aakhiri vakt tak tumhara intejaar karungi.
Jo dar tha wohi sach saabit hua Atul ke liye...Wo ye to jaanta tha ki Shreya usse pyar karti hai lekin itna pyar? Abb Atul ko bhi dar lag raha tha.
Atul:- Please request samajh kar maan jaao...Agar tum itna pyar karogi to tumhara gunehgaar ban jaaunga...Aisa pyar thukraane ki.
Please samajhne ki koshish karo...Mai tumhe kisi bhi haal me apnaa nahi sakta.
Atul ko apne haalaat par bahut gussa aa raha tha...Lekin saath me wo majbur bhi tha.
Shreya ko ye sab dekh bahut rona aa raha tha lekin roo bhi nahi paa rahi thi.
Shreya:- Kyu? Nisha di ko diya hua uss kasam ki vajah se...Ki tum unke alawa kisi aur ke baare me nahi sochoge?
Atul:- Baat sirf uss kasam ki nahi hai...Pyar ka taakat ke saamne Kasam kuch nahi hai...Nisha to mujhe maaf kar hi degi...Bhole naath bhi maaf kar denge shayad mera khushi ke liye.
Lekin wohi pyar tumse kar nahi paaunga aur kar nahi sakta.
Aaj bhi Nisha mere dil me hai...Dil ki gehraayi me hai...Kabhi bhula nahi paaunga aur bhula nahi sakta...Shayad iss janm bhi kam pad jaaye...Itna pyar karta hu mai apni Nishu se.
Aur aise me tumhare saath kaise aage badh sakta hu...Naa hi mai taiyaar hu aur naa hi tumhe wo khushiyan aur pyar de paaunga jiski jarurat aur ummeed tumhe apne Pati se hogi.
Shreya chup hi rahi...Wo kuch bol nahi paa rahi thi...Waise bhi bolne se kuch hone wala bhi to nahi tha.
Atul:- (To himself) Bahut gussa aata hai khud par...Hamesha koshish kiya tha ki kisi se itna bhi naa juddne ka...Lekin yaha to itna bada galti kar baitha.
Shreya:- Tumhara koi galti nahi hai Atul...Jab tumse pehli baar mili thi yaa fir jaana tha to tumse nafrat karti thi...Aur ye pyar...Ye cheej hai hi aisi...Pata nahi kab kis se ho jaaye.
Jab tum yaha aaye thhe yaha ek doctor ke roop me...Tumhari aadat par bahut gussa aata tha...Tum sabhi se chhupa kar cigarette aur daaru peete the...Lekin meri najro se bach nahi sake...Gussa to bahut aata tha ki ek doctor jo dusro ko ye sab naa istemaal karne ki salaah deta hai wo khud hi iske nashe me hai.
Upar se tumhara attitude...Tumhaara kam bolna...Aisa lagta tha ki tum me bahut attitude hai.
Lekin dhire dhire tumhaare baare me khayal badalne laga...Insaan kaise bhi ho lekin Doctor bahut badhiya thhe...Gaanw walo ke saath saath mera bhi vishwash jeet liya tumne...Wo patient se baat karne ka tarika...Unka taklif samajhna, unhe haushla dena aur dawaai ke baare me acche se jaankari dena...Sach me tumhare roop me bahut acche doctor ko dekha maine...Aur ye baat isse bhi saabit hota hai ki tumhare aane ke baad gaanw ka swasthya me kitna badlaaw aaya hai.
Aur jab doctor nahi sirf Atul ko jaana...Toh tum se pyar ho gaya...Aakhir ek insaan kaise itna bardaast kar sakta hai? Itna dard me ho kar bhi dusro ke liya itna kuch...Har vakt har pal marij ke liye taiyar rehte ho apne haal ka parwah kiye bina...Sabse pasand tumhari ye baat lagi ki tum Nisha di se itna pyar karte ho...Itna kuch hone ki baawjud.
Socha jab tum kisi se itna pyar kar sakte ho aur sabhi ka itna khayal rakhte ho to mujhse pyar karoge to mera kitna khayal rakhoge?
Shayad thoda swarthi ho gayi hun...Par maamla pyar ka hai.
Atul:- Sach kahu toh tum meri bahut acchi dost ho...Aisa dost jo dhundne se bhi nahi milta...Mera mushkil vakt me tumne mujhe bahut support kiya hai...Mai tumhari iss dosti ka karj shayad hi kabhi chuka paau...Lekin pyar? Shayad nahi kar paaunga.
Ek dost ki naate, jab bhi tumhe mera jarurat pade bula lena...Sab kuch chhod kar aa jaaunga...Bahut khaas dost ho tum meri...Ajay aur Nisha ke baad.
Abb tak Shreya bhi samajh gayi thi ki Atul usse kabhi pyar nahi kar paayega.
Shreya:- Thik hai...Koi baat nahi...Tum mujhse pyar nahi karte...Kabhi dawaab nahi daalungi...Pyar jabardasti nahi ho sakta aur mai aisa chaahti bhi nahi.
Lekin mujhse ye mat kehna ki tumse pyar naa chhod du...Ye tum bhi jaante ho ki aisa ho nahi sakta.
Kuch der sochne ke baad.
Atul:- Haan sahi keh rahi ho...Pyar chaah kar hota nahi aur naa chahne se pyar nahi hoga aisa bhi nahi hai...Mai khud mehsus kar chuka hun.
Please tum jindagi ke saath aage badhte rehna.
Shreya:- Please...
Atul:- Please...Mere liye hi sahi...Warna sabse bada gunehgaar mai khud ko hi maanunga ki meri vajah se tum bhi aage badh nahi paa rahi ho...Kabhi khud ko maaf nahi kar paaunga.
Shreya:- Lekin tum...
Atul:- Mai...Mera kya hai? Mai to ussi din mar gaya tha jab Nisha se alag hua tha...Aaj jaise taise jee raha hu jindagi ki baaki ki farj nibhaane ke liye...Aur mere liye tum bhi iss haal me rahogi...Ye mere liye sabse dukh ki baat hoga...Tum jindagi me aage badhogi, khush rahogi toh mujhe bhi khushi hoga.
Atul abb haath jodne tak ke liye majbur ho gaya tha...Shreya ka man toh nahi kar raha tha par...
Atul:- Please...
Atul ki iss request par Shreya bhi pighal gaya...Haal hi Atul ka kuch aisa tha.
Shreya bas "haa" me sir ko hilaati hai.
Atul:- Ek request aur hai.
Shreya ne bas aankho se hi pucha, "Kya?"
Atul:- Yaad hai uss din tumhare Papa ne mujhe bulaaye thhe.
Asal me uss din mujhse ye puccha tha unhone ki, "Mai tumse shaadi kar lu."
Aur issi vajah se mai gaanw chhod kar gaya tha ye soch kar ki kuch din vakt lunga taaki khud ko taiyar kar lu tumhe manane ke liye aur unhe mana karne ke liye...Jo shayad yaha gaanw me tumhe dekh kar khud ko taiyar nahi kar paata.
Kya tum hi unhe mana kar dogi...Mujhse bahut mushkil hoga.
Shreya dard ki aansu pee kar ek baar fir sir ko haa me hilaa deti hai.
Atul ke dil me Shreya ke liye izzat fir badh gaya tha...Bas Atul ke liye wo kitna kuch kar rahi thi...Atul ko garv tha ki usse itni accha dost mila hai...Lekin ek afsosh bhi tha ki wo apna iss dost ki sabse badi iccha ko kabhi pura nahi kar sakta.
Dusri taraf Shreya bhi Atul ke baare me soch rahi thi. "Aakhir kaisa insaan hai...Jo khushi se hi dur bhaagta rehta hai...Hamesha dard me hi rehta hai aur rehna chahta hai...Kya pyar me itna dard jhelte hai log ki unhe dard se hi pyar ho jaata hai?"
Shreya:- Ek baat pucchu.
Atul:- Haan.
Shreya:- Tumne kaha tha ki Ajay aur Nisha di ke baad mai hi tumhara sabse acchi dost hu...Kajal ka kya hua?
Ek sawal Shreya ke man me aaya...Kajal ka jikr Atul ne apne kahani me bahut pehle hi band kar diya tha.
Bina kisi bhaaw ke Atul ne jawaab diya.
Atul:- Wo bas dost hai...Close friend nahi.
Ye to maine bataya tha ki usko propose karte vakt usne bataya ki wo kisi aur se pyar karti hai.
Uske baad wo apne bf ke saath hi busy rehne lagi...Bas uske baad "hi", " hello" wale hi friend rahe hum log.
Sahi bhi hai...Wo khud me aur apne bf me busy rehne lagi...Aur mai Nisha me...Aur aaj ye haal hai ki hum dono contactless hai.
Fir dono me kuch baat nahi hota...Karte bhi kya? Maahaul tha hi aisa.
Fir dono waha se chale gaye.
Atul ki dil me Shreya ke liye izzat aur badh gaya tha to Shreya ke liye Atul ke baare me soch kar hairaani aur apna pehla pyar adhura reh jaane ka dard.
Jaanti ho Nishu...Issi din ka intejaar kar raha tha mai.
Atul ka khushi ka koi thikaana hi nahi tha...5 saal se jyada ho gaye thhe...Aaj issi pal ka toh intejaar kar rahe thhe dono.
Nisha:- Abhi kuch mat bolo.
Atul ke kandhe me apna sir rakh kar boli...Wo bas iss pal ko mehsus karna chaahti thi.
Atul bhi bas Nisha ko apne baaho me mehsus karta raha.
Ajeeb khaamoshi tha dono ke bich...Dono apne aakhiri mulaakat me bhi khaamosh thhe...Uss khaamoshi me dard tha jis vajah se dono se kuch bola nahi jaa raha tha.
Lekin aaj...Khushi ki khaamoshi...Itna khushi ki dono bolna hi bhul gaye thhe.
Bas aankhon se hi baat kar rahe thhe.
Kuch der baad.
Nisha:- Mujhe vishwash tha tum sab kuch thik kar doge ek din.
Atul:- Kaise nahi karta? Iss jindagi ko tumhare naam kar chuka hun...Tumhare khushi ke liye kuch bhi.
Atul ki baato me aaj kuch jyada hi pyar tha...Shayad dobaara milne ki khushi.
Nisha:- Humara pyar bhi kitna ajeeb hai naa? Vakt ke saath pyar kam hone ki jagah aur bhi badhta chala gaya.
Atul:- Saccha pyar hai madam...Vakt to kya duniya ki koi bhi taakat humaare pyar ko rok nahi sakta...Aur kisi cheej ko khone ke baad hi hume uss cheej ka kimat ka pata chalta hai.
Jawaab me Nisha bas Atul ko dekhti hai mushkuraate hue.
Nisha:- Aise kya dekh rahe ho?
Atul ki aisi pyar bhari najar se Nisha ko abb sharm aane laga tha.
Atul:- Ussi khubsurat chehra...Wohi adaah...Jisne mera dil chura liya tha...Mera raato ki neend aur din ki chhain chura liya tha...Jiski ek jhalak ke liye pura jamaana beet gaya.
Wohi meri pyari Nishu ko...Jiski mil jaane se mera jeevan safal ho gaya.
Nisha ki chehre ki khushi se yahi lag raha tha ki usko Atul ki taarif bahut pasand aa rahi hai.
Nisha:- Abb aapki umar ko aisi baatein sobha nahi deta hai Mr?
Nisha Atul ki side ki safed baal ko sehlaati hui boli.
Atul:- Abhi to jawaan hu...Jawani mein aisi baat nahi karunga to kya budhaape me karunga...Abhi umar hua hi kya hai? 26 saal ka hi to hun.
Nisha:- 26 saal
Atul:- Haan...26 saal ka hi to hun...Jab tumse alag hua tha...Aur aaj mai apni jindagi ka suruwaat kar raha hun to ussi vakt se suru karna chahta hun jaha se hum alag hue thhe.
Jamaana ek taraf aur humaara pyar ek taraf.
Atul ki baaton me aaj kuch alag hi josh tha.
Nisha:- Tumhari baatein aaj bhi waisi hi hai.
Atul:- Pyar bhi waisa hi hai...Haan ye alag baat hai ki tum moti ho gayi ho...Pehle jaisi hot and attractive nahi rahi...Lekin aaj bhi tumhe waisa hi pyar karta hun jaisa pehle karta tha.
Nisha:- You...
Fir Nisha Atul par mukkon ki barshaat karne lagti hai ...Atul ko aaj isme bhi majaa aa raha tha...Shayad issi ki to kami tha uski jindagi me.
Fir aise hi dono ke bich masti aur chhedkhaani chalta hai.
Nisha:- Abb kya soch rahe ho?
Atul:- Apni khushiyon ke baare me soch raha hun...Sach me aaj bahut khush hun.
Nisha:- Kitna khush?
Atul:- Wo shabdon me bayaan nahi kar sakta...Bas itna samajh lo ki mera bejaan aur bematlab ki jindagi me waapas khushi ban kar aayi ho...Ek baar jeene ki icchaa jaag uthi hai...Tumhare saath...Har pal aakhiri pal tak.
Really love you a lot.
Atul ne Nisha ki baal ko pyar se sehlaate hue kaha.
Fir dono ki bich khaamoshi chhaa jaati hai...Pyar aur khushi ki khaamoshi.
Nisha:- Aage ka kya socha hai?
Atul:- Kuch khaas nahi...Shaadi, Suhaag raat aur bacche.
Nisha:- You...
Ek baar fir mukkon ki barsaat hota hai Atul par.
Nisha:- Mujhse pitne me majaa aata hai kya tumhe?
Atul:- Tumhara hi hun...Tumhara har adaah mujhe bhaati hai...Pyar bhi aur maar bhi.
Abb Nisha ki haath apne aap ruk jaati hai...Aur pyar se wo Atul ko dekhne lagti hai.
Atul:- Waise abhi kuch jyada socha nahi hai...Abhi pyar ke kuch pal saath jiyenge aur fir shaadi.
Haan do chaar logon se hisaab kitaab bhi barabar karna hai.
Atul:- Waise tumne bataya nahi tumne abhi tak shadi nahi kiya? Lekin kyu aur kaise?
Hairaani se Atul ne pucha.
Nisha:- Kyu? Tumhara hi pyar saccha hai...Tumhaari jaankaari ke liye bata du...Jitna pyar tum mujhse karte ho usse jyada....
Doctor Doctor....
Atul:- Ye Doctor doctor kyu keh rahi ho?
Abb Atul ki drishti (vision) kamjor hota jaa raha tha...Aur Nisha ki tasveer dhundhli padne lagta hai aur kuch hi pal me gaayab .
Atul ka aankh khul jaata hai.
Ek pal ko to Atul ko kuch samajh me nahi aaya.
Lekin agle pal darwaaja khatkhataane ki aawaj se usse samajhte der nahi laga ki wo sapna dekh raha tha...Ek meethi sapna.
Time dekha to raat ke 2 baj rahe thhe.
Atul:- (In his mind) Itni raat ko?
Maayus ho kar wo aankh malte hie gate khol deta hai.
Gate me do log khade thhe...Ek ladka aur ek budha insaan...Shayad wo uss ladke ki pitaa the.
Ladka:- Maaf kijiye Doctor...Itni raat ko takleef diya.
Mere Papa ko chhati me bahut tej dard ho raha hai...Chhaati ke saath saath nichle daant me bhi dard ho raha hai...Ye seh nahi paa rahe thhe to aap ko takleef dena pada.
Atul ko kuch kuch samajh me to aa gaya tha...Wo kuch sawal aur puchta hai fir dawaai likh kar kehta hai.
Atul:- Ek dawaai ka naam likh raha hun abhi ke liye...Dawaai ki dukaan se le lijiye...Aur haan iss dawaai ko nigalna nahi hai...Bas jeebh ke andar rakh kar dabaana hai...Dard nahi hoga.
Kal hospital me inhe le kar aaiye...Baaki ki ilaaj wohi karunga...Aur haan...Tel wala khaana kam khaaiye jitna ho sake...Warna Heart Attack ka chance badh jaayega.
Fir wo dono Atul ko shukriya keh kar waha se chale jaate hai.
Atul bhi aa kar apne bed me baith jaata hai...Kaafi maayus tha wo...Unhe patient se koi problem nahi tha...Ye akshar uske saath hota aaya hai...Aur ye uska karm aur dharm bhi tha ek doctor hone ke naate.
Abhi bhi wo sapne me hi atka hua tha...Kitna accha aur pyara sapna aaya tha usse...Aur wo bhi bas kuch hi pal ke liye.
Apne rudraaksh par haath laga kar.
Atul:- Shayad aap hi nahi chaahte kuch pal ki khushi aur mile.
Fir udaas ho kar wo sone hi lagta hai ki ek baat uski dimaag me aata hai.
Atul:- (In his mind) Nishu...Abb to 6 mahine ho gaye tumhe dekhe...Pata nahi kyu aaj dil kar raha hai ki tumse milu...Tumse baatein karu...Apna dard baantu...Lekin shayad kismat...Kismat hi to saath nahi hai.
Ek minute...Aaj pehli baar koi accha sa sapna aaya...Warna hamesha khud ko haara hua, toota hua sapna dekhte aaya tha...Lekin aaj
Ek sapna aaya tha 10 saal pehle...Dard wali pehli baar aur wo sach ho gaya...Uss vakt vishwash nahi hua.
Lekin aaj 10 saal baad...Pyara sa aur khushi wala sapna...Kya ye bhi sach hoga?
(Dobara rudraaksha par haath rakh kar) Kaas...Kaash ye sach ho jaaye?
Atul bhi jaanta tha ki aisa kuch nahi hoga...Iss haalat me aur itne vakt ke baad to bilkul bhi nahi...Lekin dil ka ek kone me ummeed ki ek kiran tha.
Aur fir Atul sochne lagta hai ki agar ye sapna sach ho gaya to?
Iss baar Atul jaagte hue bhi sapne me kho jaata hai...Nisha ke saath...Nisha ke paas.
Kitna accha hota agar ye sab sach ho jaaye toh...Kaash sach hi hota.
Ye sab sochte hue Atul ki chehre me muskaan aa jaata hai...Khushi ki muskaan...Ummeed se bhari hui muskaan...Bahut vakt ke baad.
Pata nahi kya tha iss sapne me...Jisne Atul ki armaan achanak se badha diya tha?
[Aap sabhi ne agar pehle hi predict kar liya tha ye sapna hai to hats off...Agar nahi to mera likhna safal ho gaya ...Hint waise to diya tha...Sapna me sirf Atul ki feeling likha tha...Nisha ka nahi...Nisha ka sirf wohi expression dikhaya jo Atul ne mehsus kiya tha.]
Pehli baar aapko itna darte hue dekh rahi hu Dr. Sameer
Nisha muskuraate hue boli.
6 mahine se jyada vakt ho chuka tha...Abb Sameer aur Nisha ki dosti bhi kaafi badh gaya tha.
Sameer:- Darne ki hi to baat hai Dr. Nisha.
Ye kehte vakt bhi Sameer kaafi dara hua lag raha tha...Usse samajh me nahi aa raha tha ki baat ko kaha se suru kare aur kya kahe?
Nisha:- Kaisa dar?
Sameer:- Bahut ajeeb tarah ka dar hai.
Abhi bhi Sameer ka wohi haal tha...Ek dar jo dil me baith gaya tha pichhli baar...Ye abhi tak uske dil se nikal nahi paaya tha.
Lekin Nisha ko bin bataye bhi usse raha nahi jaa raha tha.
Nisha abhi bhi Sameer ko sawaliya najro se dekh rahi thi.
Sameer:- Kaise bataau kuch samajh me nahi aa raha hai...Kahi aap gussa ho gayi toh?
Nisha:- Agar issi tarah baat ko gol gol ghumaate rahe to jarur gussa ho jaaungi.
Aap bina dare boliye...Kya baat hai?
Nisha ne muskura kar kaha...Lekin thoda bahut to usse bhi samajh me aa raha tha...Wo man hi man dua kar rahi thi ki jo wo soch rahi hai kaash waisa naa ho.
Sameer ek najar Nisha ko dekhta hai aur fir himmat jutaa kar kehta hai.
Sameer:- Mai aapse pyar karne laga hu...Pata nahi kab aur kaise...Lekin jab se ehsaas hua hai mujhe apne dil ki baat tab se sirf ek hi baat jaanta hu...Aapse bahut pyar karne laga hu.
Sameer ne fir himmat jutaa kar Nisha ko dekha...Jis cheej ka dar tha Nisha ko aakhir hua...Usse kuch samajh me nahi aa raha tha ki kya kahe...Wo bina kisi bhaaw ke aise hi apni jagah pat khadi rahi.
Sameer:- Shayad aapki acchaiyan...Aap to jaanti hi hai...Mujhe hamesha apne Maa aur Papa ki chinta sataati rehti hai...Mujhe ek patni ka talaash tha jo mera parents ka bhi khayal rakhe.
Uss din jab aapko mere ghar me dekha...Shayad tabhi se...Aapne mera dil me jagah bana li thi...Fir dhire dhire jaise jaise aapko aur bhi acche se jaanne laga aapse pyar ho gaya...Aap me wo saari cheej dikha jo mujhe ek patni me chahiye tha.
Itna keh kar Sameer chup ho gaya...Aur Nisha ki jawaab ka intejaar karne laga.
Nisha:- Sorry Dr. Sameer...Mai kisi aur ki hun.
Itna keh kar Nisha waha se chali gayi...Wo abb kuch bhi kehne sunne ki haalat me nahi thi...Aur picche chhod gayi ek baar fir dil se haara Sameer ko.
Pehle pyar me dhokha aur dusre pyad me inkaar...Iss baar Sameer ka dil aise toota tha jo shayad hi fir kabhi jud paata.
After few days
Sourav:- (Sameer's friend) Pata chal gaya Nisha ke baare me.
Sameer:- Haan bata.
Sameer ne bina kisi bhaaw ke pucha...Waise bhi ye baat jaan lene se uska kuch hone wala bhi to nahi tha.
Sourav:- Dr. Ravi.
Sameer ne kuch jawaab nahi diya.
Bhaiya Amlodipine ki kuch tablet dijiye?
Haanfte hue Atul ne kaha...Chehre se kaafi dara hua lag raha tha.
Thodi der check karne ke baad.
Pharmacist:- Wo to khatm ho chuka hai...Kya hua? Kis liye?
Atul:- Mukhiya ji (Shreya's dad) ...Unka Blood Pressure kaafi badh gaya hai...Unhe sehar le jaa raha hun admit karaane...Yaha ilaaj ke liye jyada equipments nahi hai...Tab tak ke liye BP control karne tablet chahiye tha.
Atul ki aawaj me dar tha.
Pharmacist:- Atenolol dijiye...Wo bhi BP me accha kaam karta hai.
Dawaai naa milne ki vajah se wo kuch non - pharmacological measure ke saath ek gaadi me unhe sehar le jaate hai ek dua ke saath ki wo vakt par sehar pahunch jaaye.
Sehar pahunchte hi wo apne jaan pehchan ke Cardiologist se contact karke unhe admit kar deta hai.
Kuch der intejaar karane ke baad.
Cardiologist:- Abhi wo control me hai...Jyada late nahi hua...Supportive measures me hai wo abhi...Kuch der ke baad tum unhe le jaa sakte ho.
Aur haan...Jaate vakt dawaai le kar jaana...Stage 2 Hypertension hai...Dawaai regularly nahi liya to kabhi bhi complication badh sakta hai.
Atul:- Thank you Doctor.
Aur fir Atul Shreya ki Papa se mil kar kuch der coffee ke liye baahar chala jaata hai...Iss bhaag daud me kaafi thak gaya tha wo.
Issi thakaan ko mitaane ke liye wo coffee peene baitha hi tha ki uski najar side ke ek table lar gaya...Jise dekh Atul ki aankh gusse se laal ho gaya...Ek to itna tension aur upar se saamne ka najaara.
Najaara hi kuch aisa tha...Ravi kisi dusri ladki ke saath coffee pee raha tha...Dono muskuraate hue baatein kar rahe thhe...Aur unki baat cheet ko sun kar dono ki kareebiyan ki andaaza lagaya jaa sakta tha.
Ravi bhi Atul ki maujudgi se anjaan karke apne hi duniya me khoya hua tha.
Atul ki dimag me kayi tarah ke sawal aaye...Sabse gussa to usse iss baat par aa raha tha ki "Ravi Nisha ko dhokha de raha hai?"
Abb usse Nisha ka bhi khayal aaya...Wo kaha hogi...Kis haal me hogi? Ravi ke saath wo khush hogi bhi ya nahi?
Ek anjaana sa dar Atul ke dil aur dimaag me chha gaya Ravi ko aaj aise dekh kar...Aaj uska Nisha se milne ka bahut man kar raha tha...Uska haal chaal jaane ka.
Kuch pal se daba hua pyar fir ubhar aaya...Nisha ke liye usse fikr ho raha tha to Ravi ke liye gussa.
Wo Ravi ki baat ko sun raha tha usse khaa jaane wali najar se ghurte hue.
Kuch hi vakt me Atul ke dil aur dimaag me itne badlaaw aa gaya tha...Vakt ka ye kaisa khel tha ye to vakt hi jaane...Lekin ye to tay hai ki Atul ki ye utshukta aur fikr se naa jaane kitne badlaaw aana baaki tha sabhi ki jindagi me.
Sameer ka gussa Ravi ki har ek baat ke saath badhta jaa raha tha.
Aur ateet ki yaado me wo kho gaya.
Baat unn dino ki hai jab Nisha ki shaadi Ravi ke saath tay hua tha...Khud se hi haara hua Atul...Apne ghum me sharab ki nashe me kuch jyada hi khatarnak plan kar raha tha...Ravi ko raaste se hataane ka...Aisa haalat karne ka ki wo jindagi bhar sochta rahe Nisha ke baare me hi sochna uski jindagi ka sabse bada bhool tha.
Jo sharab ki bottle abhi usne khali kiya tha ussi se Ravi ki sir par fodne ka soch wo chala gaya Ravi ke paas.
Ek restaurant me Ravi aur Abhisekh baithe thhe...Atul bhi chhup kar unke saath waha pahunch gaya tha.
Ravi:- Aaj party hai meri taraf se...Shaadi confirm hone ki party.
Abhisekh:- Congrats yaar...Tune aakhir karke dikha hi diya.
Ravi:- Sab dimaag ka khel hai bacchu.
Abhisekh:- Maan gaya yaar...Abb aage ki plan ko kab anjaam dega?
Ravi:- Aage ka plan?
Abhisekh:- Wohi...Atul ko raastw se hataane ki.
Ye sunte hi Atul ke kaan khade ho gaye.
Ravi kuch sochne ke baad.
Ravi:- Nahi iski jarurat nahi hai abb.
Abhisekh:- Kyu?
Ravi:- Nisha mil hi gayi hai mujhe...Abb baaki cheej se mujhe koi matlab nahi.
Abhi sirf shaadi ke baare me soch raha hun...Uske baad Nisha ka dil aur pyar bhi jeetna hai...Jaanta hu galat tarike se shaadi kar raha hu...Lekin Nisha ke bina jee bhi to nahi sakta.
Abhisekh:- Tu sure hai? Wo tujhse pyar karegi...Hamesha tujhse nafrat hi kiya hai usne...Kabhi tujhe line nahi diya...Suruwat me tujhse nafrat karti thi...Atul se dosti karne ke baad bhi Nisha kam hi baat karti thi.
Atul aur Nisha ki ladaayi ke vakt bhi tujhe kuch khas bhaaw nahi diya...Haan tune dono ke bich misunderstanding karwa diya...Lekin Nisha ke karib tu tab bhi jaa nahi saka.
To aise me wo tujh se kaise pyar karegi ye jaante hue bhi ki tune hi usse Atul se usse alag kiya hai?
Ravi:- Jaanta hu wo itni jald mujhse pyar to nahi karegi...Lekin shayad dhire dhire mera pyar dekh apna man badal le.
Uske bina man hi nahi lagta...Aisa lagta hai mar hi jaaunga uske bin...Wo mere paas rahe wo hi kaafi hai...Usse dekhte hi mera din ban jaayega.
Jaanta hun mai galat kar raha hun uske saath aisa kar ke...Lekin mai apne pyar ke malham se sab kuch thik kar dunga.
Atul ne itna hi suna tha ki wo waha se chala gaya.
Uss vakt to usne ye socha ki, "Ravi bahut galat insaan hai lekin Nisha se bahut pyar karta hai...Mera kismat me Nisha to waise bhi nahi hai...Gharwale maan hi nahi rahe hai...Aur Nisha ki Papa bhi maanna nahi chahte bina pariwar ke...Wo Ravi nahi to kisi aur se hi kara denge Nisha ki shaadi lekin mujhse nahi.
Shayad aisi haal me Ravi hi thik rahega Nisha ke liye...At least baad me Nisha khush toh rahegi."
Ye soch kar Atul apne dil me patthar rakh ke iss baat ke liye khud ko mana leta hai...Bahut buraa lag raha tha usse Ravi aur Nisha ke baare me soch...Lekin haalaat ke saamne usko ghutna tekna hi pada.
Aankho me aansu ke saath usne iss baat ko maan hi liya.
Aur aaj ka din...Ravi ko aisa dekh uska khoon ubal raha tha...Hajaar gaaliyan usne khud ko diya uss din ki galti ke liye.
"Aakhir ye hai Ravi ka pyar?"
Dusri taraf Ravi...Shayad Atul ki badkismati...Usne Atul ko dekh liya...Lekin kuch iss tarah se Atul ko dekha ki Atul andaaza nahi laga sakta tha iss baat ko...Dar to bahut gaya tha wo lekin fir bhi usne himmat se kaam lene ka socha.
Wo kuch kharidne ki baat keh kar aage counter par jaata hai...Aur ishara se uss ladki ko apne paas bulaya...Atul kuch samajhta usse pehle hi dono waha se bhaag gaye.
Atul ko ek pal to vishwash hi nahi hua...Wo unn dono ke paas jaata usse pehle dono bike se nikal gaye.
Atul bas dekhta hi reh gaya.
Atul ko Ravi ka ghar pata tha...Wo waha gaya uski talaash me.
Lekin waha pahunchne par dekha ki ghar me taala laga hua hai...Padosi se pucha to pata chala ki, "Ravi ki Papa ka death ho chuka hai aur Ravi apne family ke saath iss ghar ko bech kar kahi aur shift ho chuka hai."
Ravi ke nayi ghar ke baare me koi padosi bata nahi saka.
Atul ke liye ye hairaani ki baat tha...Aakhir itni badi ghar chhod kar usse kahi aur jaane ki kya jarurat pad gayi.
Hairani se bhi jyada wo dar gaya tha...Nisha ke liye...Nisha ke baare me soch kar.
Bina koi der kiye wo Nisha ke ghar chala gaya...Uski Maa aur Papa se milne.
Waha pahuncha to dekha uss ghar me bhi taala laga hua hai...Padosi bhi jyada kuch madad nahi kar sake...Itna hi pata chala ki bahut pehle wo iss ghar ko chhod kahi aur shift ho chuke hai.
Atul ke liye ye bahut bada jhatka tha...Inn 5 saalon me na jaane kitna kuch badal chuka tha...Haalaat ke saath saath insaan bhi badal gaye thhe.
Dil me dar baithta jaa raha tha...Nisha se mile to mile kaise? Usse kaise dhundhe.
Bahut sochne par bhi kuch jawaab naa mila.
Bahut gussa aa raha tha usse khud par, "Ek din Nisha mili thi usse lekin fir bhi uska address nahi pucha...Usse uski life me khush soch dakhal naa dene ke liye kuch bhi nahi pucha."
Lekin aaj Nisha ki talaash me wo har jagah bhatak raha tha."
Kahi se bhi koi hint nahi mil raha tha usse.
Saamne itna bada sehar tha...Abb Nisha ko dhunde to dhunde kaha?
Lekin haar maan jaaye Atul itna bhi kayar nahi tha...Usse Nisha se milna tha uska haal chaal jaanna tha har haal me...Aaj na jaane kyu Atul ke dil me Nisha ke liye pyar aur fikr bahut badh gaya tha.
Wo bas yahi chahta tha ki Nisha jaha bhi rahe khush rahe...Lekin aaj Ravi ko jis roop me dekha tha usse lag raha tha ki Nisha bahut mushibat me hai.
Nisha ko dhundne se pehle usne sehar me rehne wale gaanw ke ek aadmi ko phone kiya mukhiya ji ko waapas gaanw le jaane ke liye...Naa jaane usse yaha kitna vakt lagta.
Nisha ko dhundne ki chakkar me wo har wo jagah jaa raha tha jaha usne aur Nisha ne vakt bitaaye thhe iss ummeed me ki Nisha usse waha mil jaye.
Pehle to wo park gaya...Bahut der intejaar kiya...Lekin Nisha waha aayi hi nahi.
Fir Cinema hall...Waha bhi wohi haal tha...Jheel, Riverside, College, Library aur bhi bahut si jaagh lekin Nisha kahi nahi milli.
Fir dhire dhire Bus Station, Museum, Market...Lekin Nisha kahi nahi mil rahi thhi.
Atul ka haalat bahut kharab ho gaya tha...Pure sharir se paseena se bheeng gaya tha...Kapde gande ho gaye thhe...Sharir thak kar kamjor padne laga tha...Lekin fir bhi...
Fir bhi wo haar maanne ke liye taiyar nahi tha...Naa hi thakaan...Aur naa hi bhukh pyaas...Dil aur dimaag me ek hi cheej tha Nisha...Nisha ki talaash to uske liye uski jindagi ki aakhiri makshad ban gaya tha.
Raat ho gaya tha...Lekin Atul ka talaash abhi bhi khatm nahi hua tha.
Raat me bhi wo wohi park me gaya jaha wo aur Nisha kabhi kabhi raat me vakt bitaane jaate thhe iss ummeed me ki kahi Nisha mil jaaye.
Abb usse raha nahi gaya...Aankhein aansu se bhar gaya tha...Dil me ek dard tha jo badhta hi jaa raha tha.
Atul:- Please ek baar mil jaao yaar...Itna bhi naa tarsaao.
Fir Atul rone lagta hai...Aaj aansu tha ki rukne ka naam nahi le raha tha.
Atul:- Jaanta hun bahut der kar diya...Hamesha tumhare bure vakt me saath deta tha...Lekin iss baar itna bura vakt me saath dene aa nahi saka.
Bas ek baar mil jaao...Tumhari har ghum ko dur kar dunga...Kisi tarah tumhari jindagi ko khushiyon se bhar dunga.
Please Nishu...Ek baar mil jaao.
Iske baad Atul khud ko rok nahi saka...Fut fut kar wo rone laga.
Raat me intejaar karte karte wo park me hi soo gaya.
Agle din bhi wohi haal tha...Wo ussi jagah fir se gaya jaha wo aur Nisha saath me vakt bitaate thhe...Lekin natija wohi...Nisha kahi nahi mili.
Sharir ki kamjori to badhta jaa raha tha...Lekin hausla aur junoon? Wo bilkul bhi kam nahi hua tha aur naa hi shayad ho paata.
Iss bich Atul ne khud ka khayal rakhna bhi bhul gaya tha...Raaste me kuch bhi kharid kar khaa leta aur aage ki talaash jaari rakhta...Bilkul paagal premi ban gaya tha wo Nisha ki pyar me aur yaad me.
Sochne samajhne ki taakat bhi kam ho gaya tha...Jitna soch sakta tha usne wo sab kiya lekin Nisha fir bhi nahi mili...Aur usse jyada wo soch bhi nahi paa raha tha.
Aise hi talaash ke vakt usse ek khayal aaya aur wo...
Ye kya haal bana liya Atul tune?
Hairaani me Ajay ne pucha...Raat ke 10 baje apne ghar ke baahar Atul ko iss haalat me dekh wo bhi kaafi dar gaya tha...Pehli najar me to wo Atul ko pehchan bhi nahi paaya tha.
Atul:- Tera help ki jarurat hai yaar?
Atul ki baat se hi uska dard, laachari aur kamjori dikh raha tha.
Ajay ne bhi Atul ka haal dekh kar pehle usko ghar ke andar le aaya aur fir uske liye khaane ka order kar diya.
Pehle wo Atul ko fir se normal banana chaahta tha aur fir Atul ki baat sunna chaahta tha.
Atul ka ye haal dekh wo bhi bahut dar gaya tha...Itna to samajh gaya tha wo ki kuch to bahut galat hua hai.
Atul abhi kuch khaana peena nahi chaahta tha...Abhi bhi dil me Nisha ke liye fikr aur dar tha...Lekin Ajay ke saamne uska kuch nahi chal paaya.
[Friends ek jaruri baat kehna tha...Picchle 24 dino me maine 14 updates post kar diye hai...Thoda free aur study load kam hone ki vajah se...Lekin kal se Central Nervous System suru hone jaa raha hai...Aakhiri system...Aur medical field me ye sabse tough maana jaata hai aur mera favourite...So iss baar study ke saath compromise nahi kar sakta...Pehle ki routines ki hisaab se update post karunga...2 ya 3 din me ek update...Daily ki chance bahut kam hai...Waise bhi story 10 updates ke around complete ho jaayega.]
बहुत ही बेहतरीन और लाजवाब।।
रवि को किसी और लड़की के साथ देखकर अतुल का डर बढ़ गया। निशा की चिंता होने लगी उसे। उसने पूरा जोर लगा दिया लेकिन निशा कहीं नहीं मिली। असली पागल प्रेमी तो अब अब बना है अतुल।।
Dr. Sameer...Aapka choice hamesha se galat raha hai.
Nisha ne aate hi ye kaha.
Sameer:- Shayad.
Nisha:- Aap ko apne aas paas saccha pyar karne wala koi dikhta hi nahi...Galat logo se ummeed laga baithte hai aur jab aapki ye ummeed pura nahi hota to iljaam dusro par.
Aur kya lagta hai ye alcohol sab kuch theek kar dega? Jo aaj kal fir se peene lage hai?
Sameer:- Thik to nahi karta...Lekin ghum ko bhulaane me madad karta hai.
Abhi bhi Sameer ki baaton me koi bhaw nahi tha.
Sameer:- Waise abb kaun mujhse pyar karne lagi hai?
Sameer ne iss andaaz me kaha ki jaise wo isse bhi ek majaak samajh baitha hai.
Nisha:- Neha.
Sameer:- Neha
Hairaani me Sameer ki munh se nikla.
Nisha:- Haan...Lekin aapko dusro se kya matlab? Ek alag hi duniya bana liya hai aapne...Aur sirf wohi hota hai jo aapki marji.
Neha...Uski aapke liye pyar kisi se chhupa nahi...Bas aap hi hai yaa to samajh nahi paaye yaa fir samajhna hi nahi chaahte.
Sameer:- Mujhe kya pata tha ki wo pyar karti hai mujhse...Kabhi kuch kaha bhi nahi...Bas pichhe padi rehti hai aur majaak karti rehti hai.
Nisha:- Jaruri nahi ki kehne par hi aap ko samajhna chahiye...Kuch baato ki samajh aapko bhi hona chahiye?
Sameer:- Lekin mere dil me uske liye koi feeling nahi hai?
Nisha:- Aur wo kyu?
Sameer:- Kyu ka kya matlab? Nahi hai to nahi hai.
Nisha:- Aur mere liye tha.
Sameer:- Haan...Vajah bhi to bataya tha.
Nisha:- Neha...Kuch pata bhi hai aapko uske baare me? Wo dil ki kitni acchi hai...Logon ki khaas kar patients ki kitna care karti hai.
Jab wo patients ki itna care karti hai to apne saas sasur ka kyu nahi karegi.
Iss baat ne Sameer ko sochne par majbur kar diya.
Nisha:- Agar pyar nahi hai to bilkul mat kariye pyar...Pyar jabardasti nahi hota hai.
Lekin pehle logo ke baare me acche se jaaniye, samjhiye aur fir koi decision liya...Bas aise nahi ki pgar nahi hai to nahi hai.
Abb Sameer sach me gehraai se sochne laga...Usko Nisha ki baat sahi lagne laga.
Nisha waha se jaane hi wali thi ki Sameer ne usse rok kar pucha.
Sameer:- Ek baat puchna chaahta tha...Jo kayi din se mere dimaag me chal raha tha.
Sameer ne darte hue pucha.
Nisha:- Haan puchiye.
Sameer:- Aakhir aap Ravi ke saath khush kaise reh sakti hai? Bahut hi ghatiya insaan hai wo.
Nisha:- Ravi!!!Mujhe kya jarurat pad gayi uske saath rehne ki.
Sameer:- Lekin Ravi aapka husband hai naa?
Sameer ne bhi hairaani se pucha.
Nisha:- What? Kya bakwas kar rahe hai aap...Mai uss se shaadi karungi...Kabhi nahi...I am still unmarried.
Sameer ke liye ye bahut hairaani ki baat tha...Wo Nisha ko apne saath aane ki bol kar chala gaya Dr. Sourav ke cabin me.
Sourav:- Kya hua? Tu abhi iss vakt...Kuch kaam tha.
Sameer:- Tune kaha tha ki Ravi aur Nisha Husband Wife hai.
Sourav:- Haan...Pata karne par yahi pata chala...Maine Nisha ki ek classmate, Vikash se ye pata kiya.
Sourav bhi hairaan tha.
Nisha:- Ek baar Vikash se baat karwaiye meri...Uss bewkoof ne kaise dekh liya hamaare shaadi ko...Haan shaadi tay hua tha...Lekin maine baad me mana kar diya.
Nisha:- Jaruri to nahi ki shaadi tay hone ka matlab shaadi ho jaana hi hai.
Sourav:- Sorry.
Wo Nisha ka gussa dekh darne laga tha...Aaj tak Nisha ko itna gussa kabhi nahi dekha tha...Shayad Ravi ki naam se Nisha ka gussa aaj aasmaan ko chhu raha tha.
Nisha:- Mai Atul ke alawa kisi aur ke baare me soch nahi sakti...Aaj tak ussi ki yaad me hi jee rahi hun aur aage bhi...Please abb aap dono ye pyar aur shaadi ki baat mat kijiye.
Aur Dr. Sameer aap...Aap ko kya lagta hai sirf aapko hi love failure hua hai...Aap ki hi life me pareshaani hai...Sabhi ki life me apni apni pareshaani hoti hai...Iska matlab ye nahi ki peena suru kar de aur jindagi ko aise hi tabaah kar de.
Sameer ne kuch jawaab to nahi diya lekin uski jubaan se sirf itna hi nikla.
Sameer:- Atul!!!
Nisha:- Atul?
Sameer:- Nahi...Aapka Atul nahi...Mai kisi dusre Atul ke baare me soch raha hun...Bahut hi ajeeb tha wo.
Fir Sameer Atul ke baare me kuch aur baatein kehta hai...Lekin Nisha...Wo hairaani se Sameer ko dekhne lagi
Sab kuch match ho raha tha Sameer ke bataye hue Atul aur uske Atul ke bich.
Apna mobile on karke Atul ka 5 saal puraana photo dikhaya usne Sameer ko.
Jawaab aur bhi chaukaane wala.
Sameer:- Haan ye wohi hai.
Abb ek gehri khaamoshi chhaa gaya tha sabhi ke bich...Baat kaha se kaha pahunch gaya tha.
Nisha chup thi...Lekin dil me bahut saare sawal ghum rahe thhe...Dabaa hua pyar fir ubhar aaya tha.
Nisha:- Kaisa hai mera Atul?
Abb Nisha ki aankho se bhi aansu aane lage...Aur dil me salaamati ki dua.
Aaj man kar raha tha Atul ke baare me aur bhi jaanne ka.
Sameer:- 3 saal ke laghbhag hua hai mujhe Atul se mile...Mai uss vakt jis hospital me kaam karta tha waha Atul ne join kiya tha as a MD Student.
Hum dono me waise koi khaas dosti ya baatein bhi nahi hota tha...Hum dono hi apne life me iss tarah se khoye hue thhe kisi se koi matlab hi nahi hota tha.
Wo physician banne ki taiyaari kar raha tha aur mai Surgeon.
Lekin usme sabse jyada pasand mujhe iss baat ka tha ki wo sabhi ko izzat deta tha...Baat bahut kam karta tha lekin jitna bhi karta tha acchi baatein karta tha.
Sabse pehle mujhe kisi ka appreciation ussi se mila tha...Aaj bhi yaad hai uski baat.
"Sameer sir...You are a great surgeon...Kabhi kabhi dekha hai aap ko surgery karte hue...Accha knowledge hai aapke paas...Baaki se bilkul alag...Chhoti chhoti baato par bhi accha focus rehta hai aapka aur bahut hi careful ho kar aap apna kaam karte hai.
Mera bhi sapna hua karta tha kabhi surgeon banne ka...Jindagi ne ek aisi mod par laa khada kar diya ki abb physician banne jaa raha hun...Lekin khush hun...Shayad bahut logon ke kaam aaunga...Agar surgeon banta to bilkul aapki tarah."
Sameer:- Marks ke hisaab se average student...Haan lekin bahut talented tha...Kam padhta tha lekin jitna jarurat hota tha utna padh leta tha...Practical knowledge bahit accha tha jo bahut jaruri hai.
Uska life bhi mera jaisa hi tha...Padhne mein kaide man lagta.
Nisha:- Aapke jaisa?
Sameer:- Haan usne kaha tha ki uska bhi pyar safal nahi hua hai...Bilkul alag tha...Aur ussi me khush tha.
Nisha:- Lekin abb wo akela nahi hai... Laghbhag 2 saal pehle shaadi ho gayi hai. (Aarav ke baare me sochte hue...Mall ka wo incident jab Atul, Shreya aur Aarav saath thhe)
Sameer:- Nahi...2 mahine pehle usse mila tha...Ek kaam ke silsile me...Lekin tab bhi uska koi shaadi nahi hua tha.
Sameer ne kuch sonchte hue kaha.
Nisha ko to ek pal ke liye yakin hi nahi hua...Wo ek baar fir uss mall ke incident ko sochne lagi...Atul ne to kaha tha ki uska shaadi Shreya se ho chuka hai? Lekin.
Shayad Dr. Sameer sahi hai..."Acche se Atul ka wo expression karne lagi...Shayad wo kuch chupaana chaahta tha." Abb Nisha ko bhi ye baat sahi lagne laga.
Dil ki dhadkan ek dum se tej ho gaya...Dimaag ne to jaise kaam karna hi band kar diya tha...Hajaar sawaal uske dimaag me chal rahe thhe.
"Pata nahi Atul kis haal me hoga?" Ye sawaal abb Nisha ko pareshaan kar raha tha..."Khush bhi hoga yaa uski tarah hi tanhaai me puri jindagi kaata hoga?"
Nisha:- Are you sure?
Sameer:- Yes.
Fir Nisha waha aur nahi ruk saki.
Kuch hi ghanto ke baad Nisha ki Papa Atul ke ghar me thhe...Unhone bhi confirm kar liya ki Atul ka shaadi sach me hua nahi hai.
Atul se contact karne ki koshish kiya to jawaab mila "Mobile is switched off." Kuch der sochne ke baar Nidhi ne Shreya ko call kiya to pata chala "Atul abhi gaanw me nahi hai."
Bahut ajeeb haalat ho gaya tha...Sabhi ko Atul ke liye fikr ho raha tha...Kaafi dar bhi gaye thhe ki achanak Atul kaha chala gaya.
Atul inn baato se anjaan ki uske ghar wale aur Shreya uske liye fikr kar rahi hai, wo abhi bhi apne hi tlaash me bhatak raha tha.
Ajay se baat karke usne Nisha ka pata lagaana bhi chaaha...Lekin sehar ki kisi bhi ghar me Nisha aur uski family nahi mile...Naa hi kisi bhi hospital me...Aur sabse chaunkaane wali baat.
Ravi ka address mila lekin ye bhi pata chala ki Ravi ki shaadi kisi aur se hua hai...Usse kuch pucch bhi nahi sakte thhe kyuki wo 2 din se sehar se faraar tha.
Atul ke liye Nisha ko dhundne ki har ek tarika bekaar saabit ho raha tha.
Anjali aur Nisha ki contact bhi abb nahi tha...Khud Nisha ne hi sab kuch tod diya tha akele rehne ke liye sabhi se dur.
Aaj saalo baad Atul ne social media khola to 100 se bhi jyada msg thhe bahut log ke...Lekin jo jaruri thhi uska ek bhi nahi...Nisha bhi social media se bahut pehle hi dur ho gayi thhi.
Lekin Atul abhi bhi haar maanne ko taiyaar nahi tha.
Ek hafta ho gaya lekin koshish jaari tha...Aaj bhi wo Nisha ke saath jaha jaha ghuma tha uss jagah par jaata sirf ek ummeed ke saath..."Kahi to kabhi bhi wo milegi? "
Khud ki haalat se be parwaah ho kar abhi bhi Nisha ki fikr tha usse...Bas ek baar milna chaahta tha...Bas ek baar.
Aur ussi ek baar ke liye usne apna haalat aisa bana liya tha ki Ajay se dekha bhi nahi jaa raha tha.
Dar to bahut lag raha tha Ajay ko...Lekin Atul ko rokne ki himmat usme bhi nahi tha...Bas apni taraf se puri koshish kar raha tha apne contacts se sehar ke baahar bhi Nisha ko dhundne ki...Lekin usse bhi niraasha hi haath laga tha.
Atul aur Nisha dono ka haal wohi tha...Milne ke liye bekarar thhe...Lekin majbur thhe...Itni koshish ki baawjud bhi abhi bhi ek dusre se dur thhe.
Bahut besabri se intejaar tha uss pal ka...Lekin kismat? Kya iss baar saath degi jo kabhi dono ko paas laata hai to kabhi dur le jaata hai?
Aise hi ek din raat ke 9 baje Atul ek gali se thak kar nikal hi raha thha ki uska saamna uss insaan se hua jisko wo dil bahut izzat karta tha.
Wo bhi hairaan thhe Atul ko aaj iss haalat me dekh kar.
Rahul sir bhi hairaani se Atul ko dekh rahe thhe.
.
.
.
.
.
.
Dr. Rahul:- To ye baat hai? Ek baar mujhse baat kar leta.
Rahul sir Atul ko apne ghar me laane ke baad bole.
Atul:- Sir aap jaante hain Nisha ke baare me.
Atul ne ummeed bhari aawaj me kaha...Pyase ko kua mil gaya ho...Kuch aisa hi haal tha Atul ka.
Dr. Rahul:- Haan.
Abb to khushi ka thikaana nahi tha...Murjhaya chehra me achanak se khushi ka lehar aa gaya.
Atul:- Bataiye naa sir...Jaldi.
Dr. Rahul:- Ruk aadha ghanta...Bataata hun.
Shayad Rahul sir bhi Atul ka majaa lena chahte thhe.
Atul:- Please sir...Aur intejaar nahi ho raha hai.
Atul ka bechaini bhi badhta jaa raha tha.
Dr. Rahul:- Aadha ghanta to tujhe intejaar karna hi padega...Abhi mai bhi bhul chuka hun address.
Hospital jaana padega...Yaad hai wo din jab Nisha ki Papa ka accident hua tha aur wo admit hue thhe.
Bas uss din formality ke liye address puccha tha...Report me likha hai...Jo abhi yaad nahi.
Abb Atul ne gusse me apna sir pitaa...Ye baat wo soch nahi saka...Nisha ki talaash me usne kitna kuch kiya tha...Lekin ye chhoti si baat bhul gaya tha.
Atul ka bechaini itna badh gaya tha ki wo bhi sir ke saath hospital gaya.
Address ek gaanw ka tha...Address pata chalne ke baad.
Atul apna haath jod kar.
Atul:- Bahut bahut shukriya sir...Sab kehte hai guru bhagwaan samaan hote hai...Aapne mujhe gyan dene ke saath saath jindagi ki ek makshad bhi de diya.
Aaj Rahul sir ke liye Atul ke dil me izzat kaafi badh gaya tha...Rahul sir ko dekhte hue uski aankho me ek aansu aa gaya.
Lekin iss aansu me ek khushi tha, ek ijjat tha.
Dr. Rahul:- Viva (Practical exam, Interview jaha teacher question puch kar students ko mark dete hai) ke vakt hamesha tujhe all the best kaha hai...Aaj jindagi ki imtihaan me bhi all the best...Jaa jee le apni jindagi...You deserve it.
Rahul sir ne Atul ko gale laga kar kaha...Wo bhi khush thhe aaj Atul ko itne dino baad khush dekh kar.
Rahul sir se vidaa le kar Atul Ajay ko ek call center se phone karke bulaata hai.
Ajay:- Haan bhai bol.
Atul usse sab kuch bata deta hai.
Ajay:- To abb kya karna hai?
Atul:- Ye le 20 rs.
Ajay hairaani se Atul ko dekhta hai.
Atul:- Koi baat nahi...Rakh le...Kaam aayega auto se jaane me.
Itna keh kar Atul Ajay ki haath se bike ki keys chheen leta hai.
Kuch der to Ajay Atul ko bas dekhta raha...Jab samajh me aaya to wo bhi Atul ke saath hasne laga.
Aaj Atul ko khush aur puraane andaaj me dekh usse bhi bahut accha laga.
Ajay:- Mai bhi saath chalta hun.
Atul:- Nahi...Aaj mere aur Nisha ke bich koi nahi.
Ajay bhi samajh gaya ki Atul ko rokna uske bas ki nahi hai.
Ajay:- Accha...Aaram se jaana.
Fir nikal padta hai Nisha ki gaanw ke liye...Bike ki speed karib 100 km/hr tha...Jald se jald wo Nisha ke paas jaana chaahta tha...Usse aaj jee bhar kar dekhna chahta tha...Dil me utth rahe hajaar baatein karna tha...Ek baar fir dil aur dimaag se bas apne Nishu ka banna tha.
Karib 5 minute baad Ajay ka phone aaya.
Ajay:- Dhire jaayega to jarur pahunchega...Agar tej jaayega to bata nahi sakta...Ye baat Dr. Atul ko Atul se kehna chaahiye...Prevention is better than cure.
Fir Ajay phone cut kar deta hai.
Atul:- Kameene mujhe hi mera dialogue suna raha hai.
Ajay ki baat Atul ko sahi laga...Wo speed ko 100 se 60 me giraa deta hai.
Aur karib 10 minute baad wo pal aaya jab dono hi 5 saal aur 6 mahine intejaar kar rahe thhe.
Nisha Nisha...Chillate hue Atul ghar ke andar ghusha...Abb usse aur raha nahi gaya.
Nisha bhi ye sunte hi daud kar hall mein aa gayi...Kaise bhul jaati iss aawaj ko jisse sunne ke liye uske kaan taras gaye thhe.
Dono hi ek dusre ke aamne saamne aa gaye thhe...Kya pal tha wo?
Dono bas ek dusre ko hi dekh rahe thhe...Dil ka dhadkan kaafi tej ho gaya tha...Dil me pura pyar bhar aaya...Aankhein...Aankho ko to ek sukoon mil gaya tha...Itna sukoon ki wo bardaast ke baahar ho gaya tha...Dhire dhire dono ki aankhein bheeng gaye.
Bas dono puri duniya bhula kar ek dusre me kho gaye thhe...Kisi se unhe koi lena dena nahi tha...Naa hi gate kholne wale Nisha ke Papa se aur naa hi Atul ki aawaj se hall mein aayi Nisha ki Maa se.
Bas dono ek dusre mein hi khoye thhe jaise 5 saal ki aankh aur dil ka pyas abhi mitaa lena chaahte thhe.
Papa mai ye shaadi nahi karungi?
Thods virodh aur gusse mein Nisha boli.
N. Dad:- Lekin kyu?
Nisha:- Mujhe Ravi bilkul bhi pasand nahi hai...Infact mai shaadi hi nahi karna chaahti kabhi bhi.
Nisha ki Papa bas Nisha ko dekhe jaa rahe thhe hairaani se.
Nisha:- Maine aapki baat ko maana...Aapki ijjat rakha ki Atul ke saath bhaagne ki socha bhi nahi...Aur kabhi aapse virodh bhi nahi kiya iss rishte ko thukraane ke liye...Aap apni jagah sahi thhe...Aur aaj mai apni jagah sahi hun.
N. Dad:- Lekin aise kaise chalega?
Nisha:- Abb aap jabardasti karenge to mai kuch nahi kahungi...Abb aap par depend karta hai ki aap apni beti ki baat maanenge yaa fir ek egoist Papa ki tarah apne ego pura karne ke liye jabardasti meri shaadi karwayenge.
N. Dad:- Nahi...Koi jabardasti nahi karunga...Teri marji se hi sab kuch hoga...Bas mai tere khushi ke liye....
Nisha:- Kaisi khushi? Wo khushi jo shaadi karne ke baad mai puri tarah se mar jaau...Wo khushi?
Nisha ki Papa ko abb kuch samajh me nahi aa raha tha.
Nisha:- Mar to ussi din gayi thi jab Atul se alag ho gayi...Aur aaj Atul sab kuch chhod kar chala gaya hai...Abb aur sehne ki himmat nahi hai mujhme.
Aapka maan rakha...Aapko Atul ka pariwar sahi nahi laga aur shaadi ke liye mana kar diya...Maine kuch nahi kaha...Pata nahi maine sahi kiya yaa galat.
Lekin abb mai shaadi karna hi nahi chaahti hun...Kisi se bhi nahi.
Pyar ka ye kaisa jaadu tha ki aaj ek beti apne hi baap se lad rahi thi pyar ke maamle mein.
Nisha ki Papa kuch bol nahi paa rahe thhe...Uss vakt to unhone socha Nisha dhire dhire samajh jaayegi...Aur wo Nisha par koi jabardasti bhi nahi karna chaahte thhe.
Tumne shaadi ke liye mana kar diya?
Dard bhari aawaj me Ravi ne pucha.
Nisha:- Haan.
Bina kisi bhaaw mein Nisha ne jawaab diya.
Ravi:- Lekin kyu?
Nisha:- Tum mujhe bilkul bhi pasand nahi ho...Tum jaise ghatiya insaan ko dekhna tak pasand nahi karti shaadi to dur ki baat hai.
Ravi:- Lekin kyu? Bahut pyar karta hun yaar tumse? Aakhir mujh me aisa kya nahi hai jo Atul mein hai?
Nisha:- (Hanste hue) Atul se khud ko compare kar rahe ho.
Nisha ki ye hansi Ravi ki dil me chubh gaya...Aaj fir Atul se chhota meshsus kiya usne...Wo kuch bol nahi paaya.
Nisha:- Sabse badi baat...Atul mujhe sirf pyar nahi karta hai...Wo mujhe respect bhi karta hai...Mera har feeling ka respect karta hai...Ek baar usse mana kar diya iss shaadi ke liye...Mera majburi samajh kar wo ye bhi maan gaya.
Aur ek tum ho jab pasand naa hone ke baawjud jabardasti koshish karte rehte ho...Yaha tak ki itna bada saajish bhi kar diya.
Ravi:- Please ek baar pyar kar lo...Jindagi bhar khush rakhunga tumhe.
Ravi abb gidgidaane laga tha.
Nisha:- Har kuch bheekh me nahi milta...Kuch cheejein haasil karne ke liye uske laayak hona padta hai...Tum jaise ghatiya insaan pyar ke laayak?
Nisha abb waha se jaane hi wali thi ki.
Ravi:- Mujhe jabardasti karna bhi aata hai.
Abb Ravi ke paas aur koi raasta nahi tha.
Nisha:- Aur mujhe Ajay se baat karna bhi aata hai.
Ajay ka naam sunte hi Ravi chup ho gaya...Kuch himmat hi nahi bacha.
Nisha:- Tumhara haalat Ajay ka naam sun kar thik waisa hota hai jaisa bhooton ka bajrang bali ka naam sun kar.
Ravi:- Ajay...Ajay...Ajay ke alawa hai hi kaun tum logo ke paas.
Nisha:- Shukr manaao Atul ke baare me socha nahi...Agar Atul ko pata chal gaya to wo tumhe yahi jinda gaad dega.
Itna keh kar Nisha waha se chali gayi...Jindagi me waise bhi itna tension tha aur aise me wo kab tak uss bewkoof se baat karti rehti.
Bas Ravi khud ko haara hua mehsus kar Nisha ko jaate hue hi dekh saka.
Nisha ki Papa ne bhi kuch koshish kiya Nisha ki rishta ke liye...Ek do rishta bhi dekha unhone lekin Nisha apne jidd me addi rahi.
Pyar ka ek aisa shiddat aur junoon tha ki wo Atul ko kabhi bhula bhi nahi paa rahi thi...Ulta pyar aur bhi badh raha tha.
Nisha ki Papa jabardasti nahi karna chahte thhe aur Nisha bhi maanne ke liye taiyaar nahi thi.
Wo kuch kar nahi paa rahe thhe aur Nisha ko aise dukhi dekh bhi nahi paa rahe thhe.
Apna faisla ko badal kar Nisha ko bin bataye wo Atul ke ghar bhi gaye lekin Atul tab tak waha se dur chala gaya tha.
Atul ke ghar walo ne bhi unhe Atul se milne ki har raasta band kar diya tha.
Nisha bhi dhire dhire as a doctor duty karne lagi aur baad me MD ki taiyaari...Vakt beet raha tha lekin uska Atul ke liye pyar nahi.
Jab uska ghar me ghutan badh raha tha Atul ki yaad mein to uske parents Nisha ko le kar apne gaanw shift ho gaye...Fir Nisha wahi paas ke sehar me kaam karne lagi.
Nisha ne ghar ki kharcha apne kandhe par utha liya...Apne parents ka acche se khayal rakhti lekin uska dard aur ghutan uske parents se bhi anjaan nahi tha.
Wo bhi majbur thhe aur aise hi chamatkaar ke intejaar me thhe jo aaj jaa kar pura hua.
Nisha bas yahi sab soch rahi thi tabhi...
Atul abb aur khada nahi reh paaya...Itne dino ki thakaan ki vajah se wo niche jameen me gir gaya.
Nisha bhi bina der kiye pahunch gayi Atul ke paas...Usse sambhaalne.
Kuch der se Atul ko lagatar aasmaan ko ghurte dekh Nisha ne pucha.
Dono ko chhat par aaye to kaafi der hua tha lekin abhi tak ek dusre se koi baat nahi kiya tha dono ne.
Aaj dono bas khaamoshi ko jee rahe thhe dono...Iss me chhupa pyar ko...Dono ek dusre ke saath aur paas thhe...Yahi kaafi tha dono ke liye.
Nisha ki iss sawaal se Atul ka dhyan tutaa.
Atul:- Bas aasamaan ki inn taaro ko dekh raha hun.
Jab bhi pehle dekhta to aisa lagta ki ye sabhi mil kar mujhe chhidhaa rahe hai...Mere haalat par hans rahe hai...Lekin aaj...Aaj inki chamak dekh lag raha hai ki ye mere khushiyon ka swagat kar rahe hai.
Ye kehne ke baad Atul ka muskaan aur bhi badh gaya...Abb wo apni najar aasmaan se hataa kar Nisha ko dekhne lagta hai.
Nisha:- Superstitious!!!
Atul:- Haan superstition to hai...Jaise tumhe khone ke baad fir se paana bhi to ek superstition hi to hai.
Atul ki iss jawaab par Nisha sirf smile hi kar paayi.
Nisha:- Waise sunaa hai tum abhi bhi single ho...Shreya se divorce ho gaya kya Mr. AK?
Atul:- Kya tum bhi? Uss din misunderstanding hua tha iss vajah se wo sab karna pada.
Waise tum aur Ravi uss din saath kaise thhe?
Nisha:- Wo din hi panouti tha...Ek project tha...Team me kuch doctors ke alawa wo Ravi bhi tha unfortunately...Project complete hone ke baad mall me gayi thi kuch shoppoing karne ke liye...Ravi picche hi pad gaya...Haar maana nahi tha usne...Manaane ki koshish kar raha tha uss din bhi.
Jaise hi mai usko ignore kar ke mall se baahar nikli to wo bhi aa gaya...Aur saamne tum aur Shreya.
Atul:- Bataya kyu nahi uss vakt tumne?
Nisha:- Kuch bataati usse pehle hi tum ne ye shock de diya ki tum aur Shreya ne shaadi kar liya hai aur Aarav tum dono ka beta hai...Fir kya bataati? Mai tum dono ke life me dakhal nahi dena chaahti thi.
Atul:- Saala Ravi!!!! Uska acche se khabar lunga.
Atul ke munh se gusse me nikla.
Nisha:- Usko side hataao...Uss ke do din baad public me uska aise insult kiya ki dobaara munh dikhaane ka himmat bhi nahi kar paaya.
Atul ne kuch jawaab nahi diya iss baat ka...Bas man mein soch liya Ravi ko sabak sikhaane ka.
Nisha:- Agar uss din wo galatfehmi naa hoti to?
Atul:- Shayad kismat se jyada aur vakt se pehle kuch nahi milta.
Nisha:- Bada philosopher ban gaye ho.
Atul:- Haan tumse bichhadne ke baad kuch jyada hi philosophy jhaadne laga hun life ke baare me.
Atul ne daant dikhaa kar kaha.
Nisha:- Aur agar aur bhi jyada bicchadte to vidhwaan ban jaate.
Bura munh bana kar Nisha boli.
Atul:- Philosophy jaaye bhaad mein mujhe to sirf tum chahiye.
Itna keh kar Atul Nisha ko apne baaho mein khinch leta hai...Nisha bhi sambhal nahi paati aur Atul par gir padti hai.
Nisha:- Ouch!!!Kya tum?
Fir Nisha ki najar Atul par padti hai...Atul pyar se uski aankho me dekh raha tha.
Aankho ki ye pyar badhte badhte kab honthon tak pahunchta hai pata hi nahi chalta hai.
Dono aaj itne saalo ki pyas mitaa rahe thhe...Pyar ka ye roop aur bhi badhte jaa raha tha...Aur dhire dhire dono ek dusre par toot padte hai.
Pyar ka ye nasha abb Atul ke sir par chaddh chuka tha...Wo aur abhi aage badh raha tha ki.
Nisha:- (Kaan me) Shaadi ke baad.
Pata nahi kaisa jaadu tha Nisha ki aawaj me...Atul pighal gaya...Kuch der aise hi kiss karne ke baad.
Atul:- Tumhaari yahi adaa...Kahi mar naa jaau tumhare pyar me.
Ek santushti ke saath Atul bola.
Nisha:- Fir marne ki baat?
Atul:- Sorry sorry...Aadat se majbur hun.
Nisha:- Waise kis adaa ki baat kar rahe thhe?
Nisha ne pyar se pucha...Shayad apna taarif sunne ka bahut man kar raha tha itne saalo baad Atul se.
Atul:- Tumhari ye pyari pyari baatein!!! Kabhi bhi kuch bhi manwa hi leti hun...Tumse chahe kitna bhi gussa ho jaaun lekin tumhari ye pyari baatein aur khubsurat sa chehra dekh pighal hi jaata hun.
Nisha jawaab me sirf mushkuraati hai.
Atul:- Waise mai tumse naaraaj hun.
Nisha:- Naraaj kyu?
Atul:- Hamesha mai bolta hun aur tum sunti ho...Mera bhi to dil hai...Aur ye dil chahta hai tumhari baatein sunne ko...Tumhari icchaa jaane ko...Unhe pura karne ki har ek koshish karne ko.
Nisha:- Accha to ye hai tumhari shikayat...Abhi pura kar deti hun...Bolo kya sunna chaahte ho?
Atul:- Humaara love story ka suruwaat mere propose karne se hua tha...Aaj hum fir mil rahe hai? Tum propose karo iss baar mujhe.
Nisha kuch soch hi rahi thi ki...
Atul:- Kuch aise propose karo ki dil khush ho jaaye...Koi ghisa peeta puraana line nahi.
Nisha:- To suno.
Atul:- Sunaao.
Atul bahut hi excited tha.
Nisha:- Whenever I see you, I feel you, Oxytocin (love hormone) is synthesized in my anterior hypothalamus and released from posterior pituitary to circulation. And my intensity of love for you increases to multiple times.
Nisha ne muskuraate hue kaha to Atul kuch der hairaan reh gaya...Jab kuch samajh me aaya to wo bhi muskuraane laga.
[Oxytocin name ka ek hormone hota hai humaare body me jo pyar, emotion jaise feeling ke vakt kaafi jyada release hota hai humaare body se.]
Atul:- Oh ho...Meri doctor biwi.
Itna keh kar Atul fir Nisha ko kas kar gale laga leta hai.
Atul:- Sach me dil ke saath saath har ek ang (organ) khush ho gaya.
Nisha:- Abhi tumhari biwi nahi hun.
Atul:- Koi baat nahi...Ho jaaogi...Iss propose sunne ke baad to aur ruka hi nahi jaa raha hai.
Nisha kuch nahi bolti...Lekin khush bahut thi...Wo bhi to yahi chaahti thi.
Fir dono aise hi ek dusre se pyar bhari baat cheet karte hai...Itne dino ki gile shikwe bhi mitaa rahe thhe aur saath hi aane wale din ki sunhare sapne.
Nisha:- Abb neend aa rahi hai...Mai jaa rahi hun sone.
Atul:- Ye kya yaar? Itne dino baad mile hai...Aaj ki raat humaari hai...Aaj puri raat ek dusre ke saath rahenge meethi meethi baatein karenge.
Aur fir dono apni baatein jaari rakhte hai...Dhire dhire Nisha Atul ki baaho mein sir rakh sone ki koshish karti hai.
Atul bhi usko side se baaho mein bhar leta hai...Ek najar Nisha ki face pad daalta hai...Aaj alag hi sukoon mil raha tha jiska wo 5 saalo se intejaar kar raha tha...Dhire dhire wo Nisha ki baalo par haath fer kar usse sulaane lagta hai.
Nisha bhi dhire dhire neend ki aaghosh me chali jaati hai...Atul ki kandha par sir rakh wo sukoon ke saath soo gayi thi.
Atul kabhi soo rahi Nisha ko pyar se dekhta to kabhi aasmaan me dekh uparwala ka shukriya adaa karta.
Abb story 3 updates aur baaki hai...3 ya 4 din me story complete ho jaayega...Aap sab aise hi saath bane rahiye.
[Friends aaj hi next story start kiya hai Ek Bhool 2...Uss story me bhi jarur saath dijiye jaise aap sabhi ne mere sabhi stories me diya hai...Link niche hai.
Atul:- Puraane Atul banne ki koshish kar raha hun...Aur aisa kabhi hua hai kya ki mai dating me time par pahuncha hun.
Nisha:- Aao abhi puraana Atul bana deti hun.
Atul:- Kaise?
Nisha:- Peet peet kar...Yaad hai naa puraana Atul ko kitna peet ti thi mai.
Nisha ki iss baat par Atul kuch der bura saa munh banaata hai aur fir.
Atul:- Manjur hai...Tum kaho to jaan de dun maar khaana kaun si badi baat hai.
Nisha kuch der Atul ko gusse se dekhti hai aur fir sach me peetne lagti hai.
Nisha:- Hamesha marne ki baat...Kya issi liye iss din ka intejaar kar rahi thi mai?
Iss baar Nisha ki aawaj me sach me gussa tha.
Atul :- Sorry sorry...Kabhi kabhi kuch jyada hi romantic ho jaata hun...Aage se nahi.
Atul Nisha ko apni baaho me bhar kar kehta hai.
Atul:- Ye kya hai?
Ek box ko dekhte hue Atul ne kaha jo abhi Nisha ne bag se nikaala tha.
Nisha:- Aankhein band karo.
Atul aankh band kar leta hai aur Nisha Atul ke gale mein kuch baandh deti hai.
Nisha:- Abb kholo.
Aankh kholne par Atul dekhta hai ki wo ek golden chain tha...Jo iss chaandni raat mein aur bhi chamak raha tha.
Atul:- Ye ?
Atul sach me surprised tha...Usse kuch bola bhi nahi jaa raha tha.
Nisha:- 3 saal pehle kharida tha...Dekhte hi pasand aa gaya...Socha tum par achha lagega...Aur kharid liya...Bas dukh issi baat ka tha ki uss vakt tumhe de nahi paayi.
Ye sunte hi Atul ne fir se Nisha ko gale laga liya...Iss baar uski aankhon mein aansu aa gaye...Khushi aur Pyar ke aansu.
Atul:- Main bahut khush kismat hun ki tumne mujhe pyar kiya...Itna pyar ki shayad hi mai deserve karta hun.
Nisha Atul ki honth par ungli rakh deti hai.
Nisha:- Tum hi kehte ho naa ki pyar haisiyat dekh kar nahi kiya jaata.
Atul:- Pyar mein bhul jaata hun.
Muskuraa kar Atul ne kaha.
Kuch vakt aise hi pyar bhari baat karne ke baad.
Atul:- Nishu ek baat samajh me nahi aaya...Aaj humari dating tumne yaha kyu select kiya?
Aur waise bhi yaha issi ground mein naa jaane kitni raatwin beeti hai tanhaayi ke...Aankho me aansu liye chaand ko dekhte hue hajaaro raatein bitaaye hai.
Socha aaj issi chaand ke niche khushi ke pal bitaau...Ghum ke har ek pal ka hisaab barabar karna hai...To socha aaj se hi suruwaat karu.
Nisha ki ye baat Atul ke dil ko chhu gaya...Yaa fir yun kahe ki Atul ke dil ki baat Nisha ne keh di.
Uska kahani bhi to aisa hi tha...Har vakt ek khaalipan...Ek dard...Ek tanhaayi...Khaalipan me hi to jeena sikh gaya tha wo bhi...Aur naa jaane kitni raat chaand ko bheegi aankhon se dekh raatein gujaara tha.
Aur aaj...Sab kuch usse mil gaya...Uski dil ki dhadkan aur aankho ki sukoon...Uski Nishu...Aaj uske paas thi...Hamesha Hamesha ke liye.
Atul:- Tumhara pyar ka koi jawaab nahi...Aur aaj jis tarah se tumne apna pyar jataya uska to mai deewana ho gaya.
Atul ki aankho mein bhi abb deewanapan jhalak raha tha.
Nisha bas muskuraate hue Atul ko dekhti hai.
Kuch der baad Atul ke dimaag me ek sawaal aata hai.
Atul:- Waise tum yaha iss gaanw mein kaise?
Nisha:- Tumhare jaane ke baad mera bhi man waha nahi lagta tha...Bheed bhaad wale uss jagah se kahi dur bhaagna chaahti thi.
Papa ko bhi laga ek din ki waha se shift ho jaana chaahiye...Aur fir hum apne dada ji ki iss gaanw aur ghar me aa gaye.
Aur yaha aane ke baad ek vajah bhi mil gaya jeene ki...Khud ke liye aur apni family ko support karne ke liye paas hi ki choti si sehar ke hospital me kaam karti hun.
Aur thoda bahut paiso se gaanw walo ki ilaaj.
Tum bhi to waha gaanw mein wohi karte ho naa...Jab tum itna accha kaam kar sakte ho to mai kyu nahi?
Pyar karti hun tumse aur tumhara har acchaayi aur har buraayi ko apnaya hai.
Atul ke dil me Nisha ke liye pyar aur bhi badh raha tha...Pyar ke saath izzat bhi...Aaj Atul ki najar me Nisha ka pyar bahut mahaan tha.
Atul:- Itna pyar?
Nisha:- Kyun? Pyar karne ka aur jataane ka copyright tum ladko ke paas hi hai?
Atul:- Nahi...In fact, right (hak) to love is for all organisms from anaerobic bacteria to human beings.
Kuch der ghurne ke baad.
Nisha:- Kuch jyada philosophy nahi jhaad diya?
Atul:- Pyar mein kabhi kabhi bakwaas bhi karne lag jaata hun.
Nisha:- Accha to fir ye bataao...Ki pyar mein tum kya nahi karte ho?
Atul:- Tumhari khushi ki dua maangna nahi bhulta.
Nisha jawaab mein sirf muskuraati hai.
Dono aise hi hansi majaak kar rahe thhe ki Atul ko kuch yaad aata hai.
Atul:- Maine jaate vakt tumhe ek Kasam diya tha jo tumne nahi nibhaya?
Nisha:- Kya kasam?
Atul:- Tumhe khush rehne ka...Lekin tumhari jindagi mein bhi meri tarah dard hi dard tha.
Maine to apna kasam nibhaya ki kabhi shaadi karunga lekin tumne?
Nisha:- Maine bhi nibhaya hai...Tumne kaha tha khush rehne ke liye.
Aur meri khushi issi mein tha ki tumhare yaado mein jeena...Tumhare baare mein sochna...Tum se pyar karna...Tumhara intejaar karna.
Har pal tumhe apne aas paas chaahti thi...Hakikat me naa sahi yaado mein hi sahi.
Atul kuch bol nahi paaya...Bas Nisha ko apne saamne mahaan dekh raha tha.
Nisha:- Waise tum galat thhe uss vakt?
Atul:- Kaise?
Nisha:- Tumne kaha tha..."Love is not Everything."
Muskuraate hue
Atul:- Wo to bas tumhara himmat badhaane ke liye keh diya tha...Ye nahi chaahta tha ki mere yaado mein tum apna jindagi barbaad kar lo
Nisha:- Lekin pyar ki gehraayi me utar kar dekho...Sabse jaruri cheej pyar hi lagega...Apno ka saath aur apno ki khushi...Issi ke liye to hum jeete hai...Love is mental and physical satisfaction and a way of happiness...Iske saamne bahut kuch feenka pad jaata hai.
Atul:- Not exactly, "Love is everything" but Love is the best ever emotion and most important component of life.
Mere liye bhi...Bahut kuch haasil kiya life mein...Higher degree, Fame, Respect aur paise kamaane ka bade bade mauke lekin pyar ke saamne ye cheej kuch bhi nahi laga.
Hamesha pyar ko talaashta raha aur wo talaash tumhare milne se puri ho gayi...Aur saari khushiyan waapas mil gaye.
Jindagi me har ek cheej jaruri hai...Sahi vakt me sahi cheej..Lekin pyar, apno ka saath, aur physical and mental satisfaction hi mujhe bhi sabse jyada jaruri laga...Agar ye sab hai to aur kisi bhi jarurat ko puri kar sakte hai.
Ye keh kar Atul ne Nisha ko dekha jo Atul ki baat par sehmat najar aa rahi thi.