- 5,758
- 13,139
- 189
UPDATE 61
Atul Uncle...Atul Uncle
Ek bacche ki aawaj pure ghar me gunja...Dhire dhire ghar ki sabhi sadasya hall me jama ho gaye.
Kuch der sochne ke baad Atul samajh gaya ki ye Gaurav ka beta hai.
Dadi, Dada Atul Uncle aa gaye.
Issi tarah wo baccha sabhi se yahi baat keh raha tha...Uski maasum baatein sun kar Atul ki chehre me muskaan aa gaya.
Ek najar sabhi ko dekha Atul ne...Apne Papa, Bhaiya aur Bhabhi ko dekhte hi munh fer liya...Maa par najar padte hi najre wohi tham gaye.
Aankho ke jariye dil ko ek sukun sa mila...Aankho me aansu aur khushi ka koi thikaana nahi...Atul ka wohi haal tha jaise ek chhote bacche ka apne Maa se bahut dino ke baad milne par hota hai.
Atul apne Maa ke paas gaya.
A. Mom:- Tu to gaayab hi ho gaya? Ek baar bhi ham sab ka khayal nahi aaya?
Atul:- Maa...Aapko aur Didi ki to hamesha yaad karta hu...Dur rehne ki dard to mujhe bhi hota hai...Lekin kya karu ye sehar se jaise nafrat si ho gayi hai.
A. Mom:- Kaisa hai...Apna khayal bhi nahi rakhta?
Atul ki Maa Atul ki lambe lambe baal pakadti hui boli.
Atul:- Thik hu Maa.
(In his mind) Kisi tarah jee raha hu.
A. Mom:- Jhuth bolna abhi bhi nahi sikha...Kya thik hai...Itna duble patla ho gaya hai...Thik se khaana bhi nahi khata hoga tu.
Atul kuch jawaab deta usse pehle hi uski bhabhi bol padi. "Itna mote to hai devar ji...Aapko dubla patla kaise dikh rahe hai."
Atul ne jawaab me aisa ghura ki uska hosh bilkul hi udd gaya...Kuch bolne ki jarurat nahi pada...Aankho me hi itna nafrat tha ki saamne wala dar kar kaampne me majbur ho jaata.
A. Mom:- Mai bhi baato me hi ulajh gayi...Tu aaram kar...Mai lunch bana kar laati hu.
Itna keh kar wo lunch banane chali gayi.
Hello Uncle.
Iss maasum si aawaj ne Atul ka gussa ko pighla diya.
Atul:- Hello beta...Kya naam hai tumhara?
Aarav
Atul:- Bahut pyaara naam hai.
Aarav:- Thank you Uncle.
Atul:- Accha ye bataao Aarav...Tum mujhe kaise jaante ho.
Aarav:- Dadi ne bataya tha aapke baare me...Aap bahut bade doctor hai...Aur Uncle...Mai bhi bada ho kar doctor banunga.
Atul:- Bahut accha beta...Lekin iske liye tumhe bahut padhna padega.
Aarav:- Padhunga...Abhi se padh raha hu...Aapki books bhi padh raha hu lekin much samajh me nahi aa raha hai...Aap mujhe padhayenge naa?
Aarav ki iss baat par Atul ko hansi aa gaya.
Atul:- Jarur padhaunga...Ye bataao...Tum doctor kyu banna chahte ho?
Aarav:- Wo hamaare class me madam hai? Bahut homework deti hai...Nahi karne pa maarti hai...Mai bada ho kar doctor banunga...Aur unko injection laga dunga...Tab pata chalega dard kya hota hai.
Aarav ki iss maasum baat par Atul ke saath saath sabhi ki hansi chhut gaya.
Atul:- Aarav abb jaao khelo...Shaam me ham ice-cream khaane chalenge.
Aarav:- Thank you Uncle.
Fir Aarav jhumta hua waha se khelne chala gaya.
Atul bhi apne Maa se di ki room pucch kar milne jaane laga.
Gaurav:- Atul.
Atul vas wohi ruk gaya...Picche mud kar dwkha bhi nahi.
Gaurav:- Kuch baat karni hai.
Atul:- Lekin mujhe nahi karna hai.
Gaurav:- Lekin sunn to.
Abb Atul ka gusse par koi control nahi tha...Gaurav ke paas jaa kar.
Atul:- Kya sunu? Bol na? Kya sunu?
Atul gusse me bolta chala gaya...Gaurav ko bhi laga ye sahi vakt nahi hai Atul se baat karne ke liye.
Atul:- Tu sunn...Aur kaan khol kar sunn...Abb tera ek beta bhi hai...Aur mai nahi chaahta ki ek baap apne hi bete ke saamne pit jaaye yaa fir uski beizzati ho.
Maaf to pehle bhi nahi kiya tha aur naa hi kabhi karunga...Lekin abb jaan se maarna bhi pade to piche nahi hatunga.
Itna keh kar Atul waha se jaane laga...Fir ek baat yaad aaya.
Atul:- Beta bahut accha hai tera...Accha hua ki tera koi bhi gunn nahi hai usme...Aur ek salah deta hu apne jaise kabhi mat banana.
Fir Atul Di ki room me chala gaya...Andar ki jo haalat tha usse dekh Atul ko vishwash hi nahi hua.
Atul:- (In his mind) Ye kaise ho sakta hai...Ye ye ye nahi ho sakta.
Jor se chilla kar.
Atul:- Di.
Hello. Dr. Sameer.
Sameer here...But who is there?
Mai Nisha.
Nisha ko Sameer ki baat aaj bahut ajeeb lag raha tha.
Sameer:- Kaun Nishaaa? Ohh accha yaad aaya...Tum tum wohi ho naa jo mujhe medical ethics aur humanity ka lecture de rahi thi...Tumhara lecture waise bahut sahi tha.
Nisha:- Ha mai wohi hu...Lekin aapki aawaj ko kya hua hai?
Sameer:- I am drunk...Nashe me hu mai...Aaj mera off day hai...So aaj chill kar raha hu.
Boliye Dr. Kya baat hai? Aaj bhi koi lecture dena hai kya? Aaj ke din to jeene dijiye...Please.
Sameer aise hi bad bada raha tha phone me.
Nisha:- What?
Sameer:- Kya hua? Aap to shocked ho gayi? Boliye kya baat hai?
Nisha ko kuch samajh me nahi aa raha tha...Itna emergency case hai aur Sameer nashe ki haalat me hai...Wo baat ko sun bhi nahi raha tha...Bas aise hi badbada raha tha nashe me.
Nisha:- Sir ek emergency case hai.
Sameer:- Wo to roj hota hai...Kuch naya kaho.
Nisha:- Dr. This is not a joke...Please samajhne ki koshish kijiye.
Sameer:- Hmm...Bolo.
Nisha:- Sir ek surgery karna hai...Emergency hai ... Please aap hospital aa jaaiye.
Sameer:- Baaki ki surgeon ko kya ho gaya...Unhe bolo...Muft ki roti khaane aate hai saale...Salary lete hai lekin kaam se dur bhaagte hai naalayak.
Nisha:- Nahi sir...Wo sab try kar chuke hai...Lekin unse nahi ho paa raha hai...Wo kehte hai yaa to patient ko refer karna padega...Yaa fir aap hi kar sakte hai surgery.
Sameer:- Lekin mai kaise...Mai to nashe me hu...Kaatna kuch hai aur kaat kuch aur hi dunga.
Nisha phone rakh deti hai.
Fir 2 min me hi Nisha ka phone aata hai Sameer ko.
Sameer:- Abb kya gaali dene ke liye phone kar rahi ho...You are irresponsible doctor...Aap ko nashe me nahi hona chaahiye...Yaa fir koi aur lecture.
Let me say something...Aaj maine kuch galat nahi kiya...Aaj mera chhuti hai...Ye mera din hai...Aaj enjoy karne ka pura hak hai mera...Aaj maine koi galti nahi kiya hai.
Sameer nashe ki haalat me bak bak kar hi raha tha.
Nisha:- Bas bas sir...Maine ye karne ke liye phone kiya tha ki baaki ke surgeon keh rahe thhe ki aap jitne bhi nashe me kyu naa ho surgery me mistake nahi karte.
Please sir jaldi se hospital aa jaaiye...Kisi ki jindagi ki sawal hai.
Sameer:- Ye ethics ke khilaaf nahi hai...Uss din to bahut lecture de rahi thi tum.
Nisha:- Please sir...Ye kisi ki jindagi ki sawal hai...Aap please hospital aa jaaiye.
Sameer:- Nahi mai hospital nahi aaunga...Tum patient ko lekar mere clinic me aao...5 minute dur hai hospital se...Address mai send kar raha hu.
Nisha:- (In her mind) Clinic me...Paise ke liye kuch bhi karega...Huh.
Hospital me kya problem hai sir.
Sameer:- Dont worry...Aaj paise ke liye nahi bula raha hu clinic me jaise tum samajh rahi ho...Hospital me kisi ne mujhe iss haalat me dekh liya to legal case ho sakta hai.
Clinic me chance kam hai...Waise bhi mai aise ilegal surgery to nahi karta...Lekin kisi ki jindagi ki sawal hai isliye.
Fir Sameer address sent kar deta hai message me.
Aur wo khud ko surgery ke liye khud ko taiyaar karne laga.