- 5,758
- 13,139
- 189
UPDATE 66
Aap abhi tak nahi soye? Aur khidki ke paas kya kar rahe hai?
Aadhi raat me Atul ke Papa ko khudki ke paas dekh kar uski Maa boli.
A. Dad:- Kuch nahi bas aise hi?
A. Mom:- Aap cigarette pee rahe hai?
A. Dad:- Please aaj mana mat karo.
Itna keh kar Atul ke Papa cigarette ka ek kas lagaate hai aur suni aankho se baahar dekhte hue dhua fenkte hai.
A. Mom:- Aap Atul se baat kyu nahi karte?
A. Dad:- Kya lagta hai tumhe...Wo mujhse baat karega...Yaha aane ke baad mujhe ek najar dekha tak nahi usne...Nafrat karta hai mujhse...Aur mujhme itna himmat nahi hai ki uske saamne jaa saku.
Atul ki Maa kuch nahi kehti...Haalaat ko dekh kar unhe bhi rona aa raha tha...Kaha wo apne ghar me khushiyon ka sapna dekhti thi...Khwahishein thi ki ghar ke sabhi log me pyar rahe.
Lekin darar iss tarah pad gaya tha ki Ek Beta apne Baap se nafrat karta hai...Baap dusre beta se gussa hai...Didi apne bhai se nafrat karti hai...Aur sabse badi baat ki wo apne bete ko aise Devdaas jaise dekh bhi nahi paa rahi hai...Maa ko majbur me chaahte hue bhi ye sab dekhna pad raha hai...Abb bas ek ummeed hi hai ki sab thik ho jaaye...Sirf Ummeed.
A. Dad:- Jaanti ho kitna badnaseeb hu mai...Bahut badnaseeb baap hu...Apna beta aur beti ke liye bahut kuch socha tha...Unke liye accha hi karna chaahta tha...Lekin anjaane me itni badi galti kar diya...Apni beti se uski sapna chheen liya...Beta se nahi chheen paaya to usse uski jindagi hi chheen liya...Wo bhi anjaane me...Abb to khud se hi nafrat hone lagi hai!
A. Mom:- Nahi....
A. Dad:- Mujhe bolne do...Aaj tak chup hi hu...Kahi iss khaamoshi me hi ghut kar mar na jaau.
Naa hi mai apne beta ko samajh paaya aur naa hi usne mujhe samjhaya.
Hamesha maine Atul me ek josh dekha tha...Bahut garv tha mujhe apne beta par...Aisa lagta tha ki ye bada ho kar kuch karega...Mehnat karega naam kamayega.
Jo mai nahi kar paaya ye wo kar dikhayega...Jaanti hi ho tum kitni mehnat se maine ek business start kiya...Socha mera beta isse aage badhayega...Aur uss mukaam tak le jaayega jo koi sirf soch hi sakta hai...Itna kaabiliyat tha usme.
Lekin usne saaf mana kar diya...Kaha ki Doctor banega...Lekin jis ghar me Gaurav jaisa naalaayak beta ho uss ghar me sukh shaanti kaise rahega.
Aur mai bewkoof bhi uski baato me aa gaya...Kehta tha Doctor banne ke baad itna paisa nahi hoga jitna business me hai...Mehnat aur Competition jyada hai aur kamaai kam....Nidhi ko bhi issi baat ke liye mana kar diya tha maine.
Lekin Atul usko mana nahi kar paaya...Man mutaaw hua lekin Atul ko rok nahi paaya...Atul bhi mujhse naraaj rehne laga...Bataya to bhaut baar usne ki wo Doctor kyu banna chaahta hai lekin samjha nahi paaya...Aur mai bhi samajh nahi paaya...Aur ye naarajgi yaha tak badh gaya ki aaj Baap Beta me itni duriyan hai.
Aur mera mentality...Shayad mai galat tha...Sochta tha Paisa hi khushiyan de sakta hai...Jitna kamayega utna khush rahega...Aur soch bhi puraani...Yahi maanta aaya ki business me hi sabse jyada paisa hai.
Aur duriyan badhaane ki kaam me Gaurav ne koi kami nahi rakha...Mai uski baatein maanta gaya aur Atul ko galat samajhte gaya.
Yaha tak ki usko uske pyar se alag bhi kar diya...Mujhe Nisha se koi problem nahi tha aur naa hi unke pyar se...Atul ke liye fir bhi Nisha ke Papa ke saamne jhuk jaata lekin Gaurav aisa hone de tab na.
Mai wo sab paap karta gaya jo Gaurav karwata raha...Aur mai Atul ki najro me girta gaya...Samajh me ye baat tab aaya jab Atul yaha se dur chala gaya.
Aaj pata chal raha hai pausa hi sab kuch nahi hota...Rishto me pyar aur khushiyan hona chaahiye.
Mera beta Doctor hai aaj bahut garv mehsus hota hai...Aaj log mujhe Doctor ke Pita ke roop me jaante hai aur izzat bhi kuch aur hai...Isse jyada khushi ki baat kya ho sakti hai...Lekin ye sab baaton ka ehsas hua bhi tab jab bahut der ho gaya hai.
A. Mom:- Ye baat aap Atul ko kyu nahi bataate? Wo samajh jaayega.
A. Dad:- Bata kar bhi kya karunga...Kya uski khushiyan laut aayega?
Aur baat karne ki himmat bhi to nahi hai...Jab ubhi uska udaas chehra dekhta hu iska jimmedaar khud ko maanta hu.
A. Mom:- Lekin...
A. Dad:- Nahi rehne do...Shayad yahi saja hai mera.
Lekin tum se kuch maangna chaahta hu...Atul ki khushi.
Kisi tarah usko sambhaal ko...Bahut tuta hua hai wo...Pata nahi kab kya ho jaaye? Kisi tarah ghar basa do uski?
Ek bojh kam ho jaayega jindagi se.
Ye kehte vakt Atul ki Papa ki aankho me kuch boond aansu bhi aa gaye.
Wo jaldi se room se baahar nikal gaye...Apne patni ke saamne roo bhi nahi sakte thhe...Akele me aa kar unhone apne aansuo ko behne se nahi roka...Aaj unhone apne khaamoshi aur aansu ki baandh ko tod diya lekin fir bhi unka dard aur paschataap kam nahi ho raha tha...Hamesha ki tarah abhi bhi wo apne aap ko bahut majbur mehsus kar rahe thhe.
Next Day
Agli din Atul aise hi baahar nikla tha ghumne ke liye...Raat bhar ki tanhaai aur ghum se baahar nikalne ke liye.
Baahar aise hi baajaar me ghum raha tha ki saamne ek bheed dikhi...Wo bhi bheed me ghus gaya saamne ka najaara dekhne.
Lekin usne aage jo bhi dekha wo uske hosh udaane ke liye kaafi tha...Dil me dard ki lehar utth gayi...Din me bhi abb usse apni ateet yaad aa gaya.
Saamne ek insaan thhe...Sharir khun se lathpath...Behoshi ke haalath me apne jindagi se lad rahe uss insaan ko pehchaane me Atul ko vakt nahi laga.
Munh se itna hi nikla. "Oh my God!!! Nisha ke Papa."
Nafrat ka bhale hi koi inteha nahi tha...Lekin ek doctor ki farz aur Nisha ki yaad aate hi saamne ka najaara dekh uska dil bhi kaampne par majbur ho gaya.