- 5,758
- 13,139
- 189
UPDATE 67
"Aap kab baat karenge Atul aur Preeti ki rishte ke liye?"
Gaurav ki biwi Riya ne Gaurav se pucha.
Jawaab me Gaurav kuch der Riya ko gusse se dekhta hai.
Gaurav:- Baat karu aur mai...Abhi samjha raha hu tum apni behan ko bhej do yaha se...Agar kisi ko uss ki vajah se koi problem hua to mujh se bura koi nahi hoga.
Riya:- Aap gussa kyu ho rahe hai...Preeti Atul se pyar karti hai...Aur shaadi ki baat karenge to kya galat hai.
Gaurav:- Iss pyar ki to.....
Kyu mujhe gaali dene par majbur kar rahi hai.
Tu apne kaam se matlab rakh...Jindagi me pehle hi itne galat kaam karwa chuki hai.
Riya:- To kya aap achanak se saadhu ban gaye...Jaante hai na kuch bhi karo apne liye karo...Apne liye jeeyo.
Gaurav:- Jindagi me bahut se galat kaam kiya hai lekin aurat par kabhi haath nahi uthaya...Agar jarurat pade to tujh jaisi aurat ki jaan lene se bhi piche nahi hatunga.
Baar baar samjha raha hu mujh se dur hi reh aur faaltu ki baat mat kar.
Itna keh kar Gaurav room se baahar nikal gaya.
Aaram se...Abhi aapko rest ki jarurat hai.
Nisha ki Papa ko hosh me aate aur halchal karte dekh Atul ne kaha...Man hi man usne bhagwaan ko shukriya kaha.
Jaise hi Nisha ki Papa ne aankh khola saamne Atul ko dekh unhe ek jhatka sa laga...Vishwas nahi hua to aankho ko band kar ke fir khola lekin saamne Atul hi tha.
N. Dad:- Tum?
Fir Atul kisi tarah Nisha ke Papa ko unke accident ki baare me bata deta hai.
Nisha ki Papa hairaani se usse dekh rahe thhe.
N. Dad:- Tum mujhe yaha lekar aaye?
Atul:- (Muskura kar) Uss vakt Dr. Atul ko aap mile thhe...Bas apna farz hi yaad tha usse uss vakt...Aur aapko patient ke roop me hi dekh raha tha wo...Makshad yahi tha aapko kisi tarah bachana...Aur shayad issi vajah se aap par koi khatra nahi aaya.
Agar Atul ko aap milte to shayad wo kuch der sochta kuch vakt leta lekin fir bhi aapko bachaane ki koshish karta.
Atul baatein to mushkuraate hue kar raha tha...Lekin baato me kahi dard chhupaa hua tha...Uski muskaan Nisha ke Papa ko asahaj mehsus karwa raha tha.
N. Dad:- Police case ka dar bhi nahi? Agar mujhe kuch ho jaata to tumhe saja ho sakta tha?
Atul:- (In his mind) Sajaa...Jindagi hi ek sajaa ban gayi hai.
Lekin wo kuch bolta nahi.
N. Dad:- Kaise ho?
Kuch der ki khaamoshi ko todte hue Nisha ki Papa bole.
Atul:- Bahut accha...Sab kuch sahi chal raha hai jindagi me...Jo kuch bhi khoya tha abb sab mil gaya hai...Kehte hai bhagwaan ke ghar der hai andher nahi.
Atul ne confidently kaha...Wo ek pal bhi Nisha ke Papa ke saamne tootna nahi chaahta tha.
(In his mind) Ha sab kuch mil gaya hai...Dard, tanhaayi, Paagalpan aur naa jaane bahut kuch.
Idhar Nisha ke Papa apne soch me hi vyast thhe.
Atul ne apna farz to nibhaya lekin abb usse waha raha nahi jaa raha tha...Har pal ke saath uski ateet ki yaadein taaja ho raha tha...Wo dard aur wo gussa jisse aaj tak Atul bhula nahi paaya tha...Usse bhi badhkar uski laachari...Aaj bhi laachaar tha wo ki kuch kar nahi sakta tha.
Atul jaake Nisha ke Papa ke pair chhu kar kehta hai.
Atul:- Abb ijaajat dijiye...Chalta hu.
Hicchakte hue Nisha ki Papa apna haath Atul ki sir par rakh dete hai aashirvaad dene ke liye.
Aur wo Atul ko kuch sawaal bhari nigaaho se dekhne lage.
Atul:- Kehna bhul gaya...Maine sirf aapko yaha tak vakt par laaya hi hai...Aapka ilaaj Rahul sir kar rahe hai.
Itna keh kar Atul gate se nikla hi tha ki wo fir se pucche mud kar Nisha ki Papa se puchta hai.
Atul:- Nisha kaisi hai?
Bahut himmat jutaane ke baad Atul ye sawaal puch paaya tha...Aur jawaab sunne ke liye uska dil dhadak raha tha.
N. Dad:- Wo bhi acchi hai.
Ye jawaab sun Atul ki khushi ki koi thikaana nahi raha...Aankho me khushi ki aansu ke saath wo room se baahar nikal gaya.
Atul:- (In his mind) Thanks God...Nisha ki khushi ki dua aur apni dard ne hi to jindaa rakha hai aaj mujhe...Kaash meri Nishu aise hi khush rahe...Hamesha hamesha ke liye.
Atul room se to nikal gaya lekin Nisha ke Papa ke paas sochne ke liye bahut kuch chhod gaya...Atul ka sanskaar uska farz sab kuch dikh gaya aaj unhe...Ek baar apne faisle par sawaal bhi kiya unhone...Lekin abb pachhtaane se kya hoga jab chhidiya chug gayi khet.
"Hey Romeo!" Ye sunte hi Atul picche mud gaya...Picche Rahul sir thhe.
Atul:- Sir...Aapko hi dhund raha tha.
Dr. Rahul:- Chal cabin me...Bahut saal ho gaya tujhse baat kiye.
Fir Atul Rahul sir ke saath unke cabin me chala gaya.