• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Kasam - Love is not Everything (Completed)

Rocky10.10

Member
138
262
43
UPDATE 3


Kuch der aise hi dono ek dusre ko hairaani se dekhte rahe…Fir dono ne najar hata liya…Paas me hi baithe Ajay aur Anjali bhi dono ko aise dekh rahe the jaise dono ko kuch samajh nahi aa raha tha ki ho kya raha hai.

Ajay ne Anjali ko jaane ke liye ishaara kiya aur Anjali bhi Nisha ke saath waha se chali gayi.

Ajay:- Tu uss ladki ko dekh kar kyu itna hairaan ho gaya? Aisa lag raha tha ki tu usse pehle se hi jaanta hai…Lekin kab? Picchle 2 saal se to tu mere saath hi hostel me tha…Aur tu to kabhi hostel se baahar nikalta bhi nahi tha…Fir kaise?

Ajay ne thoda hairaani ke saath pucha.

Atul:-12 ke exam clear hone ke baad mila tha usse…Uss vakt tu apna ghar gaya tha…Mai bhi mood fresh karne ke liye ghumne gaya tha.

Ussi trip me Nisha mili…Bus me mere paas ke hi seat me baithi thi.

Ajay:- Lekin tum dono ko dekh kar to lagta hai ki bahut acchi jaan pehchaan hai…Aur iss tarah se milne ke baad dono hairaan ho gaye.

Atul:- Nahi kuch khaas jaan pehchaan nahi hai…Tu to mujhe jaanta hi hai…Kahi bhi kisi ke saath bhi baat karna suru kar deta hu…Thoda bahut usse baat cheet hua tha...Lekin wo baat karne me jyada interested nahi thi…Issi liye maine bhi jyada baat nahi kiya.

Aaj usse yaha college me dekha to thoda hairaan ho gaya tha…Aur aaj issi liye baat nahi kiya kyu ki wo mere saath baat karna hi nahi chaahti hai.


Dusri taraf Anjali aur Nisha bhi canteen se nikal kar class ki taraf jaa rahi thi…Raaste me hi Anjali ne Nisha se pucha.

Anjali:- Tu Atul ko dekh kar kyu itni hairaan ho gayi thi? Bachpan se jaanti hu tujhe tu kabhi kisi ladke se jyada baat nahi karti hai…To tu Atul ko kaise jaanti hai…Aur usko dekh kar itna kyu chaunki thi.

Nisha:- 12 ke exam ke baad mai apne Mama ghar jaa rahi thi…Aur ussi trip me Atul mila tha.

Anjali:- Uss tour me aisa kya hua jo wo abhi bhi tujhe yaad hai…Bus me safar karte vakt har passenger to yaad nahi rehte…Wo kuch special hai kya?

Anjali ne muskuraate hue pucha…Nisha ne bhi uske sawaal par bura sa munh bana kar kaha.

Nisha:- Special nahi bahut irritating type ka ladka hai…Apni bakwaas baato se bahut pakaya usne…Jab mai chup hui tab jaa kar wo chup hua warna saare raaste pakaata rehta.

Abhi bhi yahi soch kar hairaani ho raha hai ki uske jaisa careless ladka MBBS kaise padh raha hai…Mujhe yakin hai wo yaha bhi padhaai se jyada bakwaas karne aata hai.

Anjali:- Lekin mujhe to wo thik ulta lag raha tha…Wo hamaare saath 5 minute se baitha tha aur ek shabd bhi nahi bola tha…Bahut hi serious type ka ladka lag raha tha.

Aise hi baat karte karte Anjali aur Nisha dono class pahunch gaye.


Dusri taraf Atul Nisha ke bare me bataane ke baat ekdam se chup ho gaya…Wo kuch bol nahi raha tha aur naahi bolne ke mood me lag raha tha.

Ajay:- Kya hua yaar tujhe…Jab se aaya hai kuch pareshaan sa lag raha hai.

Atul ko bahut der se shaant aur kuch sochte dekh Ajay ne pucha.

Atul:- Thoda mood off hai yaar.

Atul itna keh kar class ki taraf jaane laga.

Ajay:- Samajh gaya jarur aaj fir se tera Papa aur Bhaiya ke saath kuch problem hua hai tere padhaai ko le kar…Aur koi vajah nahi hai tera mood off hone ka.

Ajay ne muskura kar kaha…Atul ke saath saalo se rehne ke baad itna to usse pata chal hi gaya tha ki Atul jaise hamesha khus rehne wala ladka ka mood choti choti baato se nahi bigadta.

Atul iss baat ka jawaab diye bina aage badhne laga.

Ajay:- Mujh se baat kar sakta hai iss topic me…Mood thik ho jaayega.

Ajay ki ye baat sunne ke baad Atul ne bhi socha ki akele ghut te rehne se koi faaidaa nahi…Agar Ajay ko bata dega to thoda halka mehsus karega…Itna sochne ke baad Atul waapas mood kar Ajay ke paas gaya.

Ajay:- Chal bata…Kya baat hua tha aaj?

Atul ne bhi subah ki kahani fir se suna diya Ajay ko.

Puri baat sunne ke baad Ajay ne kaha.

Ajay:- Tu Uncle ko acche se kyu nahi batata hai ki tu MBBS kyu padhna chaahta hai…Ek baar acche se bata de mujhe yakin hai wo maan jaayenge tera ye decision?

Atul:- Tujhe kya lagta hai maine unhe nahi bataya hai…Ek baar nahi bahut baar bataya hai…Jab se 12 complete hua hai tab se…Lekin wo mera baat sunna hi nahi chaahte hai…Wo chaahte hai mai commerce ki line me aage badhu taaki business ko aage badha saku…Lekin yaar mujhe uss line ke bare me kuch nahi aata aur interest bhi nahi hai…Agar unki baat maan kar padh liya to bhi kuch faaidaa nahi hai…Mera sapna tut jaayega aur kaam bhi acche se nahi kar paaunga.

Mai Papa ko galat nahi kahunga…Wo job hi soch rahe hai mere liye hi soch rahe hai…Ham middle class family se hai…Aur yaha tak pahunchne par Papa ka bahut mehnat hai…Wo hamesha se chaahte the ki paisa hamaare parivaar ke liye majburi na bane…Unka start kiya hua business kuch had tak successful raha hai aur paise ki koi kami nahi hai family me…Unhe lagta hai ki agar maine ye business continue kiya to aage hame bahut faaidaa hoga.

Mai iss business me chaah kar bhi unka help nahi kar sakta hu…Andar se hi iss kaam ke liye feeling nahi aa raha hai…Doctor banna mera bachhpan se hi ek sapna hai…Garib aur jaruratmand logo ka ilaaj karna, marte hue insaan ko nayi jindagi dena, samaaj sewa karna ye sab kaam karne se andar se hi ek shaanti milta hai…Aur iss profession me paise ki kami bhi nahi hota hai…Mai jo kuch bhi chaahta hu sab mil sakta hai iss profession se aur dil se kaam bhi kar sakunga.

Atul ne apne pareshaani aur feeling ek saath bata diya Ajay ko.

Ajay:- Baat to tera thik hai…Kuch din ruk…Uncle bhi teri baat samajh jaayenge.

Atul:- Agar wo raaste me na aaye tab na…(Gaurav ki taraf ishaara karte hue) Papa ko bhadkaane ki har koshish kar raha hai…Papa nahi bachpan se usse kya problem hai mujh se…Usne kabhi mujhe pasand kiya hi nahi…Bachpan se uska haath se maar khaana, bura bhala sunna sab kuch seh liya yaar…Abb nahi saha jaata.

Abb to itna taakat mere paas bhi hai ki usse lad saku…Abb aur nahi sahunga usko…Abb usko uski tarah se hi jawaab dunga.

Atul ne gusse ke saath kaha…Bachpan se abhi tak ka Gaurav ke liye gusse ki vajah se uska aankh laal ho gaya tha.

Ajay:- Are yaar…Tu to bahut gussa ho gaya…Control kar yaar…Aaj college ka pehla din hai…Itna gussa bhi thik nahi hai…Aaj hamaara life ka ek yaadgaar din hone wala hai…Aaj ke din ko acche se enjoy karna chaahiye.

Atul:- Hmm…Thik keh raha hai yaar…Lekin kya karu jab bhi uska yaad aata hai apne aap gussa aa hi jaata hai.

Uski vajah se hi mujh me bahut badlaaw aane laga hai…Pehle kabhi itna gussa nahi aata tha…Aaj uski vajah se hi Papa aur Maa ke saamne mai badtameez ban gaya…Warna Papa aur Maa ke saamne kabhi apna gussa iss tarah se nahi dikhaaya tha.

Kaha mai hamesha khus rehne wala aur dusro ko bhi khus karne wala Atul hua karta tha aur kaha abb aggressive aur badtameez Atul ban raha hu…Mujhe fir se pehle wala Atul banna hai…College life hansi khushi bitaana chaahta hu…Usko uski jagah dekhunga aur apne character aur padhaai me kabhi kami nahi aane dunga.

Atul ne ye baat iss tarah se kaha jaise usne ye bas socha nahi karne ka than liya hai.

Ajay:- That's my friend…Mujhe bhi mera pehle wala dost hi chaaiye…Tu apne lakshya ki taraf aage badh aur ye faaltu baato me time waste mat kar.

Atul ne bhi Ajay ki iss baat par halka muskura kar sar (head) ko haa me hilaa diya…Aur uske baad Atul washroom me jaakar chehra ko paani se acche se dhota hai aur fresh ho kar baahar aata hai.

Fir dono dost saath saath class ki taraf jaate hai college ke first day ka first class attend karne.

Nice update
 
  • Like
Reactions: Champ_AK_81

Rocky10.10

Member
138
262
43
UPDATE 8


Dopahar me clinic aur shaam me Shreya se apne past ke bare me baat karne ke baad Atul ko abb thakaan mehsus hone laga…Raat ho gaya tha aur aaj usse dinner ka man bilkul bhi nahi tha…Wo sone ke liye bed par chala jaata hai.

Bahut koshish ke baawjud bhi usse aaj neend nahi aa raha tha…Baar baar aaj usse Nisha ki yaad aa raha tha…Nisha ki yaad to usse hamesha hi aata tha lekin aaj kuch jyada hi.

Meethi aur Dard bhari yaadein…Nisha ka wo khila hua chehra aur uske saath pyar bhari baatein karna Atul ke chehre par muskaan laa raha tha to bicchadte vakt Nisha ka dard bhara chehra dekh fir Atul ki aankho me aansu aa gaya.

Issi yaadon me ek baar fir wo apne puraane dino me kho gaya.


FLASHBACK


College me first week to sabhi students ko ek dusre ke saath introduction aur syllabus ko samajhne me hi khatam ho gaya…Iss bich Atul aur Nisha ka bhi laghbhag sabhi students se dosti ho gaya tha.

Dono ka ek dusre se duriyan badhte hi jaa raha tha…Nisha ne Atul se baat karna laghbhag band hi kar diya tha…Lekin na chaahte hue bhi uski najar kabhi kabhi Atul par chala jaata tha…Shaayad Atul ki behavior usse bahut ajeeb lag raha tha.

Dusri taraf Atul ne bhi Nisha ko ignore karna suru kar diya tha…Wo jaanta tha ki Nisha usse pasand nahi karti hai aur wo bhi jaan bujh kar dusro ko pareshaan karna nahi chaahta tha…Aur dusri baat ye tha ki usse Nisha ka usko ignore karna accha nahi lag raha tha…Shaayad self respect ki vajah se usne bhi Nisha se duriya bana liya tha.

1 week me hi Atul aur Kajal ka dosti bahut gehri ho gayi…Dono ko ek dusre ke saath baat karne me accha lagta tha aur pehle hi week se dono saath me hi library me padhne jaate the…Khaali time me dono park me jaa kar time pass karte the.

Abhi 1 week hi hua tha issi liye sabhi students ko ek dusre ki acchaaiyon ke bare me hi pata tha...Lekin Atul ko ek ladka aur uska behavior bilkul bhi pasand nahi tha…Ravi.

Ravi ka sabhi se jarurat se jyada dosti karna, Baat karte vakt bhi dominant hone ki koshish karna aur dusro ki baato ko matlab na dena aur chhoti chhoti baato par gussa dikhaana Atul ko bilkul bhi pasand nahi tha.


Abhi Atul aur Ajay canteen me saath hi baith kar lunch kar rahe the.

Ajay:- Bhai…Maanta hu tujhe pyar par koi vishwaas nahi hai…Aur tu pyar kabhi nahi karega…Lekin yaar mujhe to chhod de.

Aaj Anjali ke saath baith kar lunch karne wala tha lekin tune uske paas jaane hi nahi diya…Yaha issi table me baith gaya aur mujhe bhi bitha diya.

Naya naya pyar aur usme bhi rukawat...Ajay ko bilkul bhi accha nahi lag raha tha.

Atul:- Accha to fir chala jaa…Mujhe kya pata tha ki tu Anjali ke paas baithna chaahta hai.

Atul ne muskura kar kaha.

Ajay:- Ye muskuraana band kar…Pehle hi gussa aa raha hai aur tu upar se aur gussa dilaa raha hai…Ye baat to tu bhi jaanta hai ki abb mai waha nahi jaa sakta aur tu muskura raha hai.

Ye ladkiyaan bhi na…Baaki ke khaali table inko nahi dikha jo Anjali ke paas hi jaa kar baith gayi.

Anjali ke table me ladkiyo ka group dekh Ajay ka gussa aur badh gaya.

Atul Ajay ka ye roop dekh kar muskura raha tha.

Ajay:- Kamine tu mera life me khushi dekhna hi nahi chaahta hai…Abhi pyar ka izahaar kiya nahi hai ki pehle hi tu hame alag karne ki koshish kar raha hai.

Kitna accha mauka tha…Anjali akeli baithi thi aur koi paas me bhi nahi tha…Acche se baatein kar sakta tha usse…Lekin tune mujhe yaha bitha diya aur 2 minute nahi hua ki ek saath 4 ladkiya uske paas chali gayi.

Ajay Atul ko khaa jaane wali najro se dekh raha tha.

Atul:- Pyar jaisi cheej hamaare laayak nahi hai.

Atul abhi bhi muskura raha tha.

Ajay:- Kya ham jaise ladko ke liye nahi hai? Tu nahi maanta pyar ko…Mai to manta hu…Aaj to tere saath yaha ruk gaya lekin aage se ye sab nahi hoga.

Atul:- Pyar kiya to nahi hai …Lekin suna hai ki pyar me patience ki bahut jarurat hota hai…Sacche pyar karne wale log to kabhi kabhi apne pyar ka intejaar jindagi bhar karte hai…Aur ek tu hai jo kuch pal ka intejaar bhi nahi kar paa raha hai.

Atul ne iss baar chidhaate hue kaha.

Ajay:- Bahut hansi aa raha hai na tujhe…Kaash tujhe bhi kisi ladki se pyar ho jaaye aur tera jindagi uske intejaar me hi beet jaaye…Tab pata chalega tujhe intejaar karna utna bhi aasan nahi hai jitna ye bakwas gyan dene me hai.

Ajay ne to ye baat gusse me keh diya tha…Lekin iss baat se dono hi anjaan the ki Ajay ka gusse me kaha gaya ye baat Atul ke liye sach ho jaayega.

Atul kuch jawaab deta usse pehle Ravi dono ke paas aa gaya aur chair par baith gaya.

Ravi:- Hi guys…I am Ravi.

Itna keh kar Ravi haath aage badha kar Atul aur Ajay se handshake karta hai.

Atul:- Nice to meet you…I am Atul and he is my best friend Ajay.

Ravi:- Ek baat puchna tha tumse.

Ravi ki baato me alag tarah ka attitude tha…Atul ko uski baat karne ka tarika aur attitude to bilkul bhi pasand nahi aa raha tha lekin wo abhi aisa dikha nahi raha tha.

Atul:- Puccho.

Ravi:- Kya tum full scholarship me padh rahe ho yaha?

Atul:- Ha.

Atul chhota sa hi jawaab de raha tha Ravi ko...Usse intejaar tha Ravi ke jaane ki.

Ravi:- Entrance me kitna marks tha tumhaara.

Fir Atul Ravi ko apna marks bata deta hai…Jawaab me Ravi muskura kar kehta hai.

Ravi:- Thik mera barabar…Socha tha ki college top karunga…Jitne bhi full scholarship wale the sabse jyada mera hi marks tha…Aaj pata chala mera barabar ka bhi koi hai.

Khair…Jo bhi ho…Top to mai hi karunga…Beware of me Mr. Atul. You will get tough competition from me.

Ravi ki baato me ghamand bhara hua tha…Abb Atul se bhi raha nahi gaya.

Atul:- I am beyond competition...Mujhe kisi se competition ka shaukh nahi hai.

Ravi:- Kyu? Itni jaldi dar gaya?

Atul:- Darta to mai khud se bhi nahi hu.

Atul ne bahut shaan se kahi ye baat.

Ajay:- Waah yaar...Kya baat kaha hai.

Fir Atul aur Ajay dono Ravi par hasne lage.

Ravi:- (To Ajay) Tu to iska (Atul) chamcha hai na...Tujhe kis baat ki hansi aa raha hai? Aukaat kya hai tera?

Ajay:- Jis shabd ko tu chamcha keh raha hai usse dosti kehte hai.

Shayad tu mujhe nahi jaanta...Ek baar pata kar le...Aur aukaat he hai ki tujh jaise 10-15 ko apna chamcha bana lu.

Ajay Ravi ki taraf badh hi raha tha ki Atul ne usse naa me ishaara kiya.

Atul:- Dekh yaar...Naa hi mujhe tujh jaiso se matlab hai naa hi tere competition me...Pehla baar tha iss liye kuch nahi keh raha hu...Warna agli baar Ajay ko nahi rokunga.

Fir samajh lena...Kisse panga le raha hai tu.

Ravi:- Mujhe bhi tum jaiso se matlab nahi tha...Mai to ye bolne aaya tha college ka topper abb mai hu.

Atul:- Kitni chhoti soch hai tera...Marks ke liye padh raha hai.

Ek free ka suggestion deta hu...Khud ke liye padh...Knowledge ke liye...Marks me kya rakha hai...Waise bhi medical me knowledge aur skill jaruri hai marks se.

Tera competitor sirf mai nahi hu...Sabhi students hai...Entrance me ek do marks to kisi ka bhi kam aa jaata hai...Aur yaha marks ussi ka jyada aata hai jo jyada mehnat karta hai.

Ravi:- Lets see...Mujhe viswaas jai khud par...Sabse jyada knowledge aur marks mere paas hi hoga.

Itna keh kar Ravi waha se chala gaya.


Ajay:- Pehli baar tera koi baat accha laga…Accha jawaab diya tune uss kamine ko…Kitna ghamand hai isme…Pata nahi khud ko kya sochta hai...Aur mujhe kyu roka tune...Do chaar daant tod deta saale ki.

Abb Ajay ka gussa Ravi ki taraf mud gaya.

Atul:- Iski baat hi mat kar…Iska to shakal dekh kar hi gussa aane lagta hai…Karne de jitna bhi ghamand karta hai...Dekhna jald hi iska ghamand tutne wala hai.


Atul itna keh kar chup ho jaata hai…Kuch der baad Kajal bhi aati hai aur Atul ko hi keh kar ladkiyo ke group me chali jaati hai.



Waha ladkiyo ke group me Kajal ke aa jaane se 5 ladki ho jaati hai…Kajal, Nisha, Anjali aur baaki ki 2 ladki.

Ladki 1:- Kya baat hai Kajal? Aaj to tu Atul se koi baat kiye bina hi aa gayi?

Kajal:- Pehle hi bahut time loss ho gaya hai…Lunch ka time khatam ho raha tha to yaha aa gayi…Baatein to baad me bhi hoti rahegi.

Itna keh kar Kajal apne tiffin box nikaal kar apne dost ke saath lunch karne lagti hai.

Ladki 2:- Ha baat to teri hoti rahegi…Aur wo bhi non stop…Ek tu hi hai jisse Atul itna baat karta hai…Baaki ladkiyo se to sirf kaam ki baatein.

Ladki 2 ne kuch udaas ho kar kaha…Aur jis tarah se usne kaha tha wo sunke Nisha ko bahut gussa aa raha tha…Atul ki taarif se usse chhidh hone lagi thi.

Ladki 1:- Kajal…Tera aur Atul ka pehle se hi jaan pehchaan hai kya?

Kajal:- Nahi…Kyu?

Ladki 1 :- 1 week me hi tum dono itne close ho gaye aur tum dono ko pyar bhi ho gaya…Yakin nahi aa raha hai itni jaldi ye sab kaise ho sakta hai.

Ladki 1 ne itna hi kaha tha ki Kajal ke gardan me hi khana atak gaya…Aur usse jor se cheenkhne lagi…Paani pee kar normal hone ke baad thoda gussa se wo kehti hai.

Kajal:- Kisne keh diya tujhe ki ham pyar karte hai?

Ladki 2:- To tu Atul se pyar nahi karti?

Kajal:- Nahi ham dost hai…Best friend…Lekin tum dono ko aisa kyu lag raha hai ki mai Atul se pyar karti hu ya wo mujh se.

Ladki 1:- Tum dono ka dosti kuch jyada hi gehri hai…Iss liye laga ki shaayad tum dono ek dusre se pyar karte ho.

Kajal:- Bahut chota soch hai tum dono ka…Dosti ko pyar ka naam de rahi ho…Atul accha ladka hai aur saath me intelligent bhi…Uske saath baat karna accha lagta hai…Padhne me bhi bahut help karta hai...Dosto se acche se behave karta hai...Aur bhi kayi khaasiyat hai Atul ka…Ham dono me understanding bhi accha hai...Issi liye best friends hai.

Agar sach kahu to sabhi students me Atul hi mera best friend hai…Issi liye mai usse jyada baatein karti hu aur time spend karti hu.

Abb agar tum dono sochte ho ki ek ladka aur ladki me gehri friendship ka matlab pyar hai to mai kuch nahi keh sakti iss bare me.

Nisha:- Ha…Atul pyar karne laayak bhi nahi hai.

Achanak hi Nisha ke munh se ye baat nikla.

Kajal:- Aisa kyu lagta hai tumhe?

Nisha:- Mujhe to wo ek number ka ghamandi lagta hai…Baat karne ka tameez hi nahi hai usme…Aur kehta hai ki wo kabhi kisi ladki se pyar nahi karega…Jaise ladkiyan uske picche padi ho.

Abhi bhi Nisha ki baaton me Atul ke liye chhidh tha.

Kajal Nisha ki baato ka jawaab muskura kar deti hai.

Kajal:- Bilkul galat soch rahi ho tum uske bare me…Ek baar acche se baat kar ke dekho Atul se…Jaan jaaogi kaisa hai Atul.

Anjali:- Mujhe bhi Atul accha lagta hai…Ajay bhi uska bahut taarif karta hai...Maine bhi dekha hai Atul bahut hi simple rehta hai…Sabhi se acche se baat karta hai…Aage ki character to baad me pata chalta rahega…Lekin abhi tak jitna bhi pata chala hai usse lagta hai ki Atul bahut hi accha aur sharif ladka hai.

Nisha:- Tu chup kar…Ajay jo bhi kehta hai uss par aankh band karke vishwas kar leti hai.

Nisha ne itna hi kaha tha ki ladki 1 serious ho kar kehti hai.

Ladki 1:- Kajal agar tu Atul se pyar nahi karti hai to koi baat nahi…Lekin agar karti hai aur tu apne feelings ko samajh nahi paa rahi hai to ek baar acche se soch le.

College me kuch ladki bahut impressed hai Atul se…Agar der kiya to Atul tere haath se nikal jaayega…Pyar ke ehsas ko vakt rehte hi pehchaan le…Kahi der na ho jaaye.


Nice one
$$$$$$$$
 
  • Like
Reactions: Champ_AK_81

Rocky10.10

Member
138
262
43
Superb story
$$$$$$$$$
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,139
189
Top