Chapter one : update 6
Andheri raat thi aur sunsaan sarak , amit ki gadi 100 kmph ke speed se highway pe daud rahi thi. Aaj bahut khus tha vo, soch ke aaya tha ki kisi tarah aaj kaajal ko mana lega aur abhi kaajal uske paas thi. Kaajal chupchap uske bagal me baithi huyi apne mobile ko check kar rahi thi aur amit ka pura dhayan raste pet ha, us jaldi se delhi pahuchna tha. Kaajal ko drop kar ke use apne ghar bhi jana tha.
Uski gadi delhi me enter karne hi wali thi , usne aage police ka barricade dekha aur apni gadi usne slow kar di…aate samay usne nahi dekha tha ese lekin raat jyada ho gayi thi aur Haryana se truck aate rahte hai esi raste se aur shayad usi wajah se checking ke liye un logon ne aisa kiya hoga, yehi sochte huye amit pahucha us barricade tak…usne apni gadi roki aur window niche karke police wale ko bolna chaha ki uske liye rasta khol de ….lekin uske glass niche karte hi ek police wala unke paas pahuch gaya tha.
“ kahan se aa raha hai etni raat ko chore” us Haryanvi police wale ne usko toka
Amit kuchh bolna nahi chahta tha kyoki uske kafi drink kiya hua tha aur agar unko es baat ka pata chalta to ek dusri musibat ho jati.
Usne apna sar andar hi rakhe raha aur dhire se kaha “ jane dijiye na, aise hi bahut raat ho gayi hai…hume ghar pahuchna hai”
“ aa kahan se raha hai , ye to bol de pahle …fir aage ka dekhenge “ vo apni baat pe ada raha.
“ ek party me gaye the …birthday tha wahi attend karne “ usko sach batana pada
“ tab to tune chadai bhi hogi puri bottle…re suresh la to machine , jara check karu chore ko” usne dusre police wale ko awwaj lagai aur vo dauda aaya machine leke.
“ sir, maine nahi pee hai..aap kyo ye sab kar rahe hai” amit ko laga ki vo fasne wala hai.
“ cha lab phook maar esme …abhi doodh ka doodh aur pani ka pani ho jayega launde” usne uske muh ke paas vo machine kar di.
Amit ab apne aapko bacha nahi sakta tha, usne kisi tarah se apne saans ko rokne ki koshish karte huye halki pookh mari aur reading dekh ke us police wale ke chehre pe khusi ki lehar daud gayi.
“ re sala..ye to tanki khali kar ke aaya lagta hai…chal gadi se utar ….saath me laudiya ko bhi “ usne kaajal ki taraf ishara karte huye kaha.
“ sir, usne kya kiya hai..aap boliye kya lenge aap..jane dijiye…dekhiye hum log sareef log hai” amit usko samjhane ki koshish karne laga.
“ sare rule torne wale sareef hi hote hai ..kyo suresh…mujhe to tere pe shak ho raha hai chore..ye kaun lagegi teri ye bata” us police wale ne kaajal ki taraf dekhte huye kaha
“ meri girlfriend hai…aap meri baat maniye hum party se aa rahe hai..thodi si hi pi thi..aapki machine me kuchh gadbadi hogi” amit ne safai dene ki koshish ki.
“ achha , machine me gadbadi hai…bahut badhiya…chal apni car ki dikki khol ke dikha , kahi aur kuchh to nahi chhupa raha hai tu” vo police wala jaldi manne walon me se nahi tha.
“ sir, wahan kya hoga, main kya aapko koi gangster lagta hu” amit ne use kaha
“ kya pata? Kisi ke mathe pe thode likha hota hai ki vo muzrim hai..chal khol dikki “ usne amit ko majboor kar diya dikki kholne ko.
Amit ne man maar kar dikki kholi aur use kholte hi chaunk gaya, police wale bhi ek kadam pichhe ko hat gaye. Kaajal car ke front me thi esliye use kuchh nahi dikh raha tha lekin baki log muh fare huye bas dikki ke andar dekh rahe the.
To be continued.