If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.
subah ke 6 baje the aur har roj ki tarah aaj bhi vo alarm bajte hi utha pani piya aur music system me kishore ka geet set kar ke toilet me jake baith gaya.
gana bajna suru ho gaya tha aur kishore kumar ke madhur aawaj me uska favorite gana bajne laga. usne apna mobile nikala aur apne message chack karte huye gane sunne laga.
Raat kali ek khwaab me aayi...Aur gale ka haar hui
Raat kali ek khwaab me aayi ...Aur gale ka haar hui
Subah ko jab hum neend se jage..Aankh tumhise chaar hui
Raat kali ek khwaab me aayi..Aur gale ka haar hui
Uski najar jaise hi ek message pe gayi vo sheet se uth khara hua, use aisa lag raha tha ki kahi vo koi sapna to nahi dekh raha hai.
“ rohit …kya tum jaldi se hauzkhas police station pahuch sakte ho, main muskil me phas gayi hu au res samay tum hi kuchh kar sakte ho…maine tumhe baar baar call kiya lekin tumse baat nahi ho payi”
Rohit ne apna call check kiya, sach me darzan bhar missed call the , raat me usne jyada dose le liya tha aur ghode beck ke so gaya..use pata hi nahi chala ki kis kis ka call aaya beech me. Usne jaldi se apna pichhwada saaf kiya aur ready hokar police station ki taraf bhaga…
Use samajh me nahi aa raha tha ki aisi kya baat ho gayi ki kaajal ko police station jana pada aur vo bhi raat ke samay, kahi kuchh jyada buran a ho gaya ho uske saath…ek to man hua tha ki apne team ko bula le lekin agar baat kuchh khas nahi rehi to unnessaory news ban jata…ye soch ke usne socha ki pahle khud dekh leta hu mamla uske baad team ko bulaunga.
Rohit national news agency me reporter tha aur uska achha khasa naam tha, kaajal aur vo achhe dost the school ke samay se aur rohit kaajal ko bahut pasand karta tha, lekin usne kaajal se kabhi nahi kaha ki vo use pyar karta hai ya use mauka hi nahi mil paya. Rohit aur kaajal ke parents bhi ek dusre ke bahut kareebi the aur ek dusre ke ghar aana jana laga rehta tha.
Rohit ek tez tarrar reporter tha aur apne bebak nidar reporting ki bajah se kam age me hi bahut naam bana liya tha usne. Rohit ke liye sab kuchh aasan esliye bhi tha kyoki uski mom SP thi aur uske papa famous business man the.
Kaajal ne usko madad ke liye esliye kaha tha ki rohit apni mom ki madad se unhe bacha sake aur jis tarah se inspector bhalla us se baat kar raha tha use achha nahi laga tha aur thoda daar bhi gayi thi ki unke saath vo kuchh galat na kare.
Rohit malviya nagar me hi rehta tha aur uske ghar se police station jyada dur bhi nahi tha aur use es baat ke liye bura lag raha tha ki uski bajah se kaajal ko kahi police station me problem na jhelni padi ho.
Yehi sab sochte huye rohit police station pahucha , usne pata kiya kaajal ke bare me aur ek police wala use lekar kaajal ke paas le gaya, bechari ek bench pe dubki si baithi huyi thi, uski halat aur uske dare huye chehre ho dekh ke rohit bhi ghabra gaya aur jaldi se kaajal ke paas pahucha.
“ kya hua kaajal….aise raat ko kya ho gaya?” rohit uske bagal me baithte huye bola
Kaajal ne uski taraf dekha aur rohit ko paas dekh ke us se lipat gayi aur rone lagi, rohit ko samajh me nahi aaya ki aisa kya ho gaya.
“ kya hua kaajal…mujhe batao, kisi ne agar tumhare saath kuchh bhi galat kiya hai to main unka band baja dunga” rohit kaajal ko sidha karte huye kaha, usne uske aansuo ko saaf kiya.
“ tum etne late kyu aaye….tumko maine kitni baar call bhi kiya…tumhe pata hai ki aise situation me main apne pe call karti to kitna muskil ho jata ..mujhe bas tumhara hi sahara tha..aur tum ho ki aba aye ho” kaajal ne uske sine pe do char ghuse marte huye kaha.
“ sorry kaajal..main raat me bahut jyada drink karke so gaya tha…kuchh pata nahi chala mujhe..sorry again” rohit ne uske kandhe pe hath rakhte huye kaha.
“ ok, tum kuchh karo ..use bacha lo tum…” kaajal ne dusri taraf dekhte huye kaha.
“ kise bacha lo…kaun hai jisko tum bachana chahti ho aur uske liye raat se yahan ho” rohit ko abhi bhi kuchh samajh me nahi aa raha tha.
“ amit…..barso baad hum mile aur pata nahi kiski najar lag gayi hume…kisi ne use fasaya hai rohit…vo khoon nahi kar sakta kisi ka…use khooni bata rahe police wale….tum apni mummy se baat karo na..usko bacha lo..bahar karo use…” kaajal ek saans me amit ki madad ki guhar laga rahi thi.