de diyaUpdate![]()

de diyaUpdate![]()
Chapter one : update 4
Kaajal ne amit ki taraf dekha uske hath apne kandhe se hataya aur apne aansu saaf karne lagi aur usne amit ko jabab diya. “ usne ek dost ki tarah mera saath diya tha ab tak, main akeli thi tumhare bina aur shayad use laga ki mera saath use mil sakta hai aur aaj usne jo kiya uske baat to main us se kabhi baat nahi karungi”
“ ab tumhe kisi aur ke sahare ki jaroorat nahi hai , amin tumse alag nahi reh sakta ab….ab bas tum meri ho aur sirf meri” amit aage badha aur usne kaajal ko gale se laga liya , usne kaajal ko bahon me bharte huye apne aap se chipka liya tha. Kaajal bhi bina kisi hichak ke usme samati chali gayi.
Saagar aur sapna kuchh dur khare huye dono ko milte huye dekh rahe the, un dono ki aankhen bhi nam thi. Sapna jo amit ke akelepan ko dur karna chahti thi , uska saath chahti thi …aaj amit ko kisi aur ke bahon me dekhkar bhi khus thi kyoki usko amit ki khusi me hi apni khusi najar aa rahi thi, use pata tha ki amit kaajal se bahut pyar karta hai aur uske bina vo tarap raha tha abhi tak …aaj uski wajah se hi sahi amit ko dubara uska khoya pyar mil gaya.
Saagar , sapna ke pichhe aake apna ek hath uske kandhe pe rakha, sapna fir bhi amit ki taraf hi dekh rahi thi…uski aankho me aansu the lekin chehre pe dukh nahi tha khusi thi, khusi es baat ke liye thi ki amit ko uska pyar mil gaya aur aankh me aansu es liye ki shayad ab amit uska kabhi bhi nahi ho sakta tha.
Saagar ye baat janta tha aur usko mauka mil gaya tha ssapna ke saath apni baat aage badhane ka au res se achha mauka uske liye kya ho sakta tha.
“ sapna , tumhe kya lagta hai..kya ye dono ab ek rahenge ya enka fir se jhagra hoga” saagar ne sapna ke kandhe pe apna hath rakhe hi raha.
“ main kabhi nahi chahungi ki aisa ho…” sapna abhi un dono ko hi dekh rahi thi.
“ lekin tumhara kya?” saagar ne use tatolna chaha.
“ mera kya? Main amit ko chahti thi lekin ye bhi chahti thi ki vo khus rahe aur uski khusi abhi uspe paas hai to fir mujhe kya problem hogi” sapna ne saagar ki taraf murte huye kaha….lekin apne aankho se bathe aansuo ko rok nahi payi.
“ main achhe se samajh sakta hu” saagar ne kaha aur uske aansuo ko uske galo ke upar se saaf karne laga…sapna ne usko roka nahi
“ kya mera chance hai ab” saagar ne muskurate huye kaha
Sapna uski baat samajh gayi thi lekin fir bhi anjaan bante huye kaha “ chance kya?”
“ ab to main aage badh sakta hu na…kab se wait kar raha hu line me” saagar ne uski taraf dekhkar kaha .
“ kis line me khare the…” abki baar sapna bhi muskurate huye boli
“ sab kuchh samajhte huye anjaan mat bano tum..tumhe sab pata hai….main tumhara hi wait kar raha tha college ke time se” saagar ne uske dono hath pakadte huye kaha.
“ tumne kabhi kaha nahi …” sapna abhi bhi muskura rahi thi, kyoki use ye baat malum thi.
“ aur tumne kabhi feel nahi kiya ye baat…ki main tumne kitna chahta hu….haan bhale hi ek tarfa tha” saagar ne thoda bhavuk hote huye kaha
“ ok baba…mujhe sab pata hai….ab chalo kuchh khate hai..bahut der ho gayi hai” sapna ne saagar ka hath pakar ke apne saath le jane lagi
“ lekin tum ye to bata do ki tum bhi mujhe….” Saagar ne use fir se roka
“ hum kal baat Karen, abhi chalo mujhe bahut bhookh lagi hai” sapna ne uska hath fir se pakda
“ lekin unhe bhi saath le kar chalte hai na…”
“ aa jayenge dono..abhi akela chhor do unhe” sapna ne kaha aur saagar ko apne saath lekar chali gayi. Amit aur kaajal dono ek dusre me khoye huye the aur koi dur khara unki taraf dekh raha tha aur kisi baat ka wait kar raha tha…uske aankho me dar bhi tha aur chehre pe ghabrahat saaf najar aa rahi thi….
“ ab khana khane chale kya …maine kuchh bhi nahi khaya hai dophar baad se” amit ne kaajal se kaha
“ haan chalte hai na….raat bhi bahut ho gayi hai….lekin aaj main tumhare saath hi jaungi” kaajal ne amit se kaha aur us se lipat gayi.
Dur khara vo aadmi utabla ho raha tha unki baat sunke aur vo fir se kisi car ke pichhe chhup gaya aur un dono ko jaye huye dekhta raha.
Amit aut kaajal ek dusre ka hath pakre huye food stall taka aye dono ne plate uthaya aur khana lene lage, unhe wahan dekhkar saagar aur sapna bhi paas aa gaye aur we log aapas me baten karne lage.
Udhar vo aadmi ne apne jeb se key nikala aur kisi car ki dikki kholne laga.
To be continued
Awesome update HT bhai, par wo 3ra banda wahi to nahi jo kajal ke saath tha ?Chapter one : update 4

wonderfull story bhai aaj mujhe lag raha ki xp par aapko admin teem me lekar ek achcha writer cheen liya tha readers se![]()
Thanks.Awesome update HT bhai, par wo 3ra banda wahi to nahi jo kajal ke saath tha ?