Chapter two : update 3
“ inspector , ye lijiye court order aur amit ke jamant ke paper ..aap use abhi mere saath jane denge” amit ki maa Indira verma ne duty SI ko paper thamate huye kaha.
“ lekin mam, aise kaise jane de sakte hai …abhi to forensic report bhi nahi aayi hai” SI ko kuchh samajh nahi aa raha tha.
“ tum log bahut slow kaam karte ho aur tumhari wajah se main to apne bete ko andar sarta hua nahi chhor sakti hu na..order padh lo samajh me aa jayega” Indira ne muskurate huye kaha
“ ohh…court ne kaha hai ki us laash pe amit ke ungaliyon ke nishan nahi hone ki wajah se use katil sabit nahi kiya ja sakta hai aur esliye use jamanat pe chhora jar aha hai, police ke paas agar koi thos sabot hai to use court me pesh kare aur fir aage ki karbai ki jayegi, police ko ek week ka time diya jata hai , agar police koi bhi sabot lane me nakamyab rahi to amit ko begunah mante huye chhor diya jayega” SI ne court order padha
“ ab to main amit ko le ja sakta hu na” Indira ne muskurate huye SI se kaha.
“ bilkul mam, lekin aapne kaise forensic report collect kar li?” SI ne achraj se indira ki taraf dekhte huye kaha
“ mera bhi yehi kaam hai inspector …shayad tumne mujhe pehchana nahi…main hu criminal lawyer Indira verma” Indira ne garv se apna chehra upar karte huye kaha.
Unke pichhe khare rohit aur kaajal ne bhi maan liya ki amit ki mom bahut hi tej aur expert advocate hai, we log pareshan ho rahe the aur edhar vo yahan aake ek jhatke me amit ko bahar nikalne me kamyab ho gayi.
“ are mam , sorry maine bas aapka naam suna tha aaj dekhne ka mauka bhi mil gaya…bas abhi use bahar karta hu” SI ne kaha aura age badhkar usne amit ko shell se bahar nikala aur amit dhire se chalta hua apni mom ke samne me khara ho gaya.
Raat bhar na sone ki wajah se uska sar chakra raha tha, usne drink bhi kafi kar rakhi thi , lekin apni mom ko dekhkar usne apne aap ko sambhala aur apne mom ke gale se lipat gaya.
“ don’t worry kuchh nahi hoga, main abhi jinda hu” Indira ne uske sar pe haath fera aur use puchkarne ki koshish ki, uske liye bhi ye ek shock ki tarah tha ki uska beta kaise es tarah se fas gaya.
“ thanks mom, aap aa gayi, mujhe thoda dar lagne laga tha..lekin ab koi daar nahi hai” amit sidha hote huye apne mom ko dekhte huye bola.
“ aur vo ladki kahan hai jisne mujhe call kiya tha” Indira ne amit se poochha
“ kaajal thi mom, aapke pichhe hi to khari hai” amit ne muskurate huye kaha aur kaajal ki taraf ishara kiya.
Indira muri aur usne kaajal ko dekha , jo rohit ke saath bilkul unke pichhe hi khari thi.
“ achha to yehi hai kaajal….picture hi dekhi thi tumhari esliye pehchan nahi payi..jab andar aayi thi tab gate pe baithi thi tum…ab koi ghabrane ki jaroorat nahi hai police se…chalo hum log nikalte hai” Indira ne sab ko ishara kiya aur file pe sign karke sabke saath bahar nikal gayi.
Unke pichhe rohit bhi nikla aur uski nazar abhi bhi Indira ke hilte huye chaude aur bade chutar pe hi thi. Usko hilte dekh uske pant ke andar halchal hone lagi thi.
Bahar nikal kar amit aur Indira apne gadi me baith gaye aur Indira ne kaajal ko gale se lagaya.
“ ab mere bete ko chhor ke kahi mat jana,jab se tum es se alag huyi…maine ese kabhi khush nahi dekha..aur es murder ka tension mat lo, kisi ne amit ko fasane ki koshish ki hai,main uska bhi pata laga lungi jaldi hi, waise tum kaise ghar jaogi?” indiar ne kaajal se kaha.
“ vo mera friend rohit aaya hai, vo mujhe ghar chhor dega aunty “ kaajal ne kaha aur Indira ne rohit ki taraf dekha aur muskuraya. Rohit bhi aage badhkar unke paas pahuch gaya.
“ aunty nahi mom kahne ki aadat dalo ab…ab to hi mere ghar aane wali ho tum” Indira ne kaajal ke sar pe hath fera aur car me baith gayi.
Unke jate hi rohit ne kaajal ko eshara kiya aur ve dono bhi wahan se nikal gaye.
To be continued.