• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller Kaun? (Completed)

Assassin

Staff member
Moderator
4,493
3,988
159
Chapter one : Andheri Raaton Mein

Car bahut tej raftaar me aage badh rahi thi aur uske car ke andar uske alawa koi bhi nahi tha. Usne ek baar time dekha aur screen pe music app ko press kiya aur kuchh der select karne ke baad on kar diya, gaane ki aawaj car ke andar gunj uthi. Gana bhi aisa tha situation ko match kar raha tha aur uske hath steering wheel ke upar thapkiya bajene lage the aur uske badan me bhi harkat hone lagi jaise us gane ne uske andar jaan daal di ho…app me baj rahe gane ke saath saath uski jabaan se bhi vahi line nikal rahe the aur uski moti aawaj Kishore kumar ki surili aawaj pe havi ho rahe the lekin ye dekhne wala koi nahi tha aur na hi koi use rokne wala tha.

Andheri raaton mein sunsaan rahon par - 2
Har zulm mitaane ko ek masiha nikalta hai jise log shahenshah kehate hain- 2
Andheri raaton mein sunsaan rahon par Jaise nikalta hai teer kamaan se - 2

Abhi bas raat ke 10 baje the lekin ye rasta sunsaan tha kyoki ye sehar nahi sehar ke bahar jati thi au res samay use kahi jaldi pahuchna tha aur vo raftaar jyada rakhne me kamyaab ho raha tha kyoki dusri bahut kam gadiya thi raste me. Abhi vo gane me busy tha ki tabhi uske mobile pe call aane ka signal mila aur uske SUV me lage screen pe bhi…usne apne mobile ko nahi uthaya lekin screen pe hi usne accept kiya call us se gane ki aawaj aani band ho gayi..shayad app pause ho gaya tha.

“ sale kahan hai abhi…” dusri taraf se kisi ne us se baat ki.

“ are yaar , saagar ….main office se free nahi ho paya jaldi…..9 baje wahi se nikla hu aur city traffic ka to tumhe pata hai na…ab jake gadi ne rafftar pakdi hai” us ne apne dost saagar ko bataya.

“ haan beta , dosto ke liye time hi nahi hai na tere paas…sab aa chuke hai …bas mere dost amit ke siba…sale jaldi aa…maine tera wait kar raha hu..tu aayega tabhi main kuchh khaunga ya piyunga” saagar ne amit ko emotional kar diya.

“ abe chutiye maje kar tu main bas agle 15 minutes me pahuch raha hu..fir mil ke piyenge…waise teri maal aayi hai ki nahi” amit ne masti marni suru kar di.

“ kyo apni wali ke bare to kuchh kaha hi nahi, mujhse 10 baar tumhare bare me pata karke gayi hai ki tu aa raha hai ki nahi” saagar ne amit se kisi khas ke bare me kaha.

“ Kajal ke bare me bol raha hai kya?” amit ne janna chaha

“ Kajal ne to mujhe toka bhi nahi, maine hi bhi bola tha use..abhi tak naraz chal hai tumse ..main sapna ki baat kar raha hu” saagar ne bas ye bola tha aur amit ka chehra murjha gaya.

“ kya hua? Chup kyo ho gaya?” saagar ne use toka

“ kuchh nahi, kajal to aise hi…chal chhod main aata hu fir baat karte hai” amit ne ye kaha aur call band kar diya…fir se uska favriote gana bajne laga lekin abhi vo jhum nahi raha tha uske chehre pe kuchh sawal the aur vo kahi kho gaya tha..app pe gane badal bhi gaye lekin uske chehre ka rang nahi badla tha. Usne apni najar raaste pe jama rakha tha….

Amit dikhne me ek majboot body ka malik tha, chehra bhi bahut khoobsurat tha…uski height achhi khasi thi …usne kuchh dno se apni dadhi nahi banayi thi aur halki halki dadhi uske gore mukhre ko aur attractive bana rahi thi. Usne blue colour ka shirt pehna hua tha jo formal shirt tha aur black colour ki pant , aisa lag raha tha ki vo office se sidhe kisi party me jar aha tha jahan pe uske kuchh khas dost bhi aaye huye the ….aur shayad uski girlfriend bhi.

Vo kisi serious relation me tha ya nahi kuchh kaha nahi ja sakta tha lekin kajal ki baat pe uske chehre ka rang jaroor badla tha…uski white colour ki huydai creta uske personality ko suit kar raha tha. Usne screen pe fir se time dekha us samay 10:30pm hua tha aur usne apni gadi ko main road se utar kar kache raste pe daal diya tha , usne ek map set kar rakha tha gps pe jiske sahare aage badh raha tha. Uske car ki raftaar bhi kam ho gayi thi aura age kuchh der aur chalne ke baad use music ka sor sunai padne laga usne apne music app ko band kar diya tha….usne ek resort ki taraf apni gadi ko badhaya jidhar se music ki aawaj aa rahi thi aur usne us resort ke main gate se hote huye apni gadi ko ander parking me park kiya. Wahan pahle se hi bahut si gadiya khari thi, usne car lock kiya aur music ki aawaj ka peecha karne laga.

To be continued….
To ab story ne bhi raftaar pakadni shuru ki he :D
Wese ye hairani wali baat hogi ke shuruat ke update me jiska jikra hua tha wo kahi Amit to nahi niklega :hmm:
 
FaddictedX

Member
151
295
63

Keep posting bhai, excellent start :claps:
 
humtum

Well-Known Member
3,423
6,829
143
To ab story ne bhi raftaar pakadni shuru ki he :D
Wese ye hairani wali baat hogi ke shuruat ke update me jiska jikra hua tha wo kahi Amit to nahi niklega :hmm:
May be or may be not:D
Aage aur bhi characters judenge
 
kamdev99008

FoX - Federation of Xossipians
9,764
37,519
219
karte raho short stories post............. ise bhi USC thread bana do..... :D

vaise aj rat sabhi stories ke reviews dene ka irada hai mera jisme apka bhi no. lagega
 
Rahul

Kingkong
60,514
70,680
354
:congrats:for new story tumtum bhai:dost:
 
kamdev99008

FoX - Federation of Xossipians
9,764
37,519
219
ye short story nahi hai, 20 updates min honge:D
lekin har update me nai kahani..........USC ki tarah :D
isliye laga mujhe :lol:
 
  • Like
Reactions: Aakash. and humtum
Top