• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller Kaun? (Completed)

kamdev99008

FoX - Federation of Xossipians
9,768
37,545
219
abhi kuchh der me
intzar hai abhi bhi :lol:
 
  • Like
Reactions: Aakash. and humtum

humtum

Well-Known Member
3,423
6,829
143
Chapter one : update 3

Amit ke paanv larkhara rahe the lekin phir bhi vo us aawaj ki dikha me bhaga aur uske pichhe saagar aur sapna bhi aane lage…dono pure nashe me the, usne teji se chala nahi jar aha tha.

Amit ne dekha ek aadmi ek ladki ko samjhane ki koshish kar raha tha aur ladki use dhante ja rahi thi, thoda andhera tha lekin amit ko uska chehra pahchane me der nahi lagi. Gajab ki khoobsurat thi vo ladki , niche se upar tak sab kuchh perfect tha…kisi ki najar uspe pare to kuchh der tak usko hi niharta rahe. Kisi apsara ki tarah thi vo …Amit jiski aawaj pe dauda chala aaya tha paglo ki tarah aur koi kuchh samajhta us se pahle hi amit ne us aadmi ko ek laat pichhe se jar diya aur vo aadmi aage dharam se gira , use es baat ka ehsaas bhi nahi tha ki koi uspe aise prahar karega.

“ sale teri himmat kaise huyi esko chhune ki…..mai tumhara hath tod dunga” amit gusse me aag babula ho raha tha aur usne aage badhkar usko jameen se uthaya aur tabar tod ghuse barsane laga uske chehre pe aur uske hath pe.

“ amit , tum chhoro use…maine tumhe bulaya tha meri madad karne ko…main handle kar lungi agar kuchh galat hua to ….tum hath hatao apna …jane do use” amit ke pichhe se kajal ne kaha.

Amit ne apna hath rok liya aur us aadmi ki taraf dekhke bola “ raghav , tu apni aukat me reh…kisi se baat karne lage iska matlab ye nahi hai ki tujhe har ek permission mil gaya ho”

“ tumko kya..tumhara to breakup ho gaya hai us se…agar kaajal ko bura laga to usne mujhe kaha aur maine us se galti maang li…lekin tune mujhe maar ke bahut badi galti ki hai amit” raghav ne ek tarah se amit ko dhamki di.

“ chal sale ..jo ukharna hai ukhad lena…tere jaise bahut dekhe hai maine” amit muda aur kaajal ke paas aaya.

“ mujhe kuchh baat karni hai” amit ne uski badi badi aaankho me jhankte huye kaha , kaajal ne bhi apna muh nahi phera aur uski aankho me hi dekhti rahi.

“ kaajal, main tumse hi keh raha hu..mujhe tumse baat karni hai…akele me” amit ne wahan khare huye dosto ko dekh ke kaha.

“ kya baat karni baki hai abhi….tum to chale gaye the na..fir kyo wapas aa gaye” kaajal jaise sapne se jagi..

“ haan main wapas aa gaya hu…ab chale “ amit use eshara kiya aur kaajal uske saath kisi gudiya ki tarah ho li, jaise uske upar uska koi control na ho.

Dono car parking ke paas aa gaye aur wahan paas me koi nahi tha, amit ne kaajal ke kandhe pe hath rakha aur kuchh der tak uski taraf dekhta raha aur kaajal bhi usko dekhte rahi.

“ meri galti thi ki main tumse dur chala gaya ….bilkul meri galti thi..mujhe aisa nahi karna chahiye tha….tumhari koi galti nahi thi..sab meri galti hi thi…mujhe maaf kar do please…main tumhe kisi aur ke saath nahi dekh sakta” amit ki aankhe nam ho gayi thi.

Kaajal ne amit ke hath apne kandhe se nahi hataye aur usne uske hath ko tham liya “ kab dekha tumne mujhe kisi ke saath aur kisne kaha ki main kisi ke saath hu…jab se tum gaye main to bas jinda lash bani huyi hu…lekin maine kisi ko dekha bhi nahi kyoki meri aankho me to tum hi ho…main kisi aur ko kaise chah sakti hu kyoki mere dil me to tum hi tum ho” kaajal ki aankho se aansu tapkane lage…

“ lekin vo raghav , uske saath fir kyo? “ amit ne uski girte aansuo ko apni ungaliyo se saaf karte huye bola.

To be continued.

kamdev99008

FoX - Federation of Xossipians
9,768
37,545
219
sorry dear, likh nahi paya tha...personal kaam aa gaya tha...aaj ek do aur update try karta hu post karne ka.
koi bat nahi bhai.....pehle kam....fir free mind hokar update dena
 
  • Like
Reactions: Aakash.

Pta nhi

♥️🖤❤️🖤
5,287
8,134
188
Awesome update
 
  • Like
Reactions: Aakash.

Assassin

Staff member
Moderator
4,493
3,988
159

Ye chhote updates dena sahi nahi he :mad:
Still nice update
 
  • Like
Reactions: Aakash.
Top