If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.
Phone rakhne ke baad Ajith ko khayal aaya room me Dhruva bhi hai.
Dhruva Ajith ko hi dekhe jaa raha tha.
Dhruva:- (Thoda hairaani ke saath) Ye sab kya hai yaar?
Ajith:- Kya ye sab? Phone tha dost ka.
Ajith ne normal rehne ki koshish kiya.
Dhruva:- Ladkiya kab se tera dost banne lagi?
Dhruva ne hanste hue pucha.
Ajith:- Kisne kaha ye ladki ka phone tha?
Dhruva:- Idhar dekh meri taraf.
Dhruva Ajith ke paas aa kar bola.
Ajith:- Abb kya hua.
Ajith ne Dhruva ki aankho me dekha.
Dhruva:- Jaanta hai kiss ke saamne baat kar raha hai.
Ladkiyo se kaise baat karte hai aur kaun insaan kaise baat karta hai sab jaanta hu mai...Aur tu mujhse hi hoshiyaari kar raha hai?
Ajith:- Bhul gaya tha.
Ajith ne hanste hua kaha.
Dhruva:- Kahi pyar wyar me to nahi pad gaya?
Dhruva ne aise hi majaak me pucha.
Ajith:- Abb tujhse kya chhupaana.
Dhruva:- Matlab tu...
Isse jyada Dhruva kuch nahi bola...Bas Ajith ko dekhne laga.
Ajith ne haa me sar hilaa diya.
Dhruva:- Waah mera dost ko bhi pyar ho gaya.
Dhruva ne excitement me kaha aur Ajith ko gale laga liya.
Alag hone ke baad.
Dhruva:- Kab aur kaise?
Dhruva ki baato me alag hi excitement tha...Aisa lag raha tha Ajith se jyada wo khus tha Ajith ke pyaar par.
Fir Ajith ne bhi 2 din ki love story detail me suna diya.
Puri baat sunne ke baad.
Dhruva:- Uss ladki ka naam kya hai?
Ajith:- Kajal...Bataya to tha.
Dhruva:- Are uska nahi...Kajal ke dost ka.
Ajith:- Preeti...Lekin kyu.
Dhruva:- Lagta hai usse 6th girl friend banane ka time aa gaya hai...Bahut attitude hai usme.
Itna keh kar Dhruva hasne lagta hai.
Ajith:- Bahut ghatiya jokes tha.
Dhruva:- Ha pata hai...Tujhe meri jokes pasand hi kab aaya hai.
Ajith:- Tune accha jokes sunaya hi kab hai.
Dhruva:- Ye sab baatein chhod...Abhi tera love story one-sided hai...Agar koi help chaahiye to be jhijhak mujh se help maang lena...Ladki patane me expert hu.
Ajith:- Kuch din ke liye girl friend banana nahi hai...Saccha pyar hai wo bhi jindagi bhar ke liye.
Dhruva:- Maar diya na taana.
Dhruva ne naaraj hone ki acting kiya lekin andar se wo bhi khush tha Ajith ko pyar hone ki baat par.
Wo aage kuch baat karte tabhi door par knock hua.
Ajith ne door khola...Door par orphanage ke manager thhe.
Ajith:- Uncle aap...Aaiye na andar.
Manager:- Kaise ho beta?
Ajith:- Thik hu Uncle...Aap kaise hai aur kab aaye?
Manager:- Mai bhi thik hu...Abhi abhi aaya to socha tumse mil lu...Maaf karna beta jyada busy tha issi vajah se tumhara college ka 1st day me tumhe wish nahi kar paaya.
Ajith:- Aap maafi kyu maang rahe hai Uncle...Kaam bahut jaruri hai warna aapka aashirwad to hamesha mera saath hai aur aage bhi rahega.
Manager:- MBBS entrance me naam nikalna wo bhi full scholarship me bahut badi baat hai...Aage bhiaise hi man laga kar padhaai karna.
Manager ne Ajith ki sir par haath ferte hue kaha.
Ajith:- Jarur Uncle.
Ajith ne confidence ke saath kaha.
Manager fir kuch der tak Ajith ko dekhte rahe jaise unhe Ajith ki iss kaamyaabi par bahut garv mehsus ho raha tha.
Ajith:- Kya dekh rahe hai Uncle?
Manager:- Yahi ki mehnat aur laganshilta se naamumkin bhi mumkin hota hai.
Aaj mai tumhe nahi tumhaara bachpan dekh raha hu...Jab bhi pucchta tha ki tum bada ho kar kya banoge? Hamesha tumhaara jawaab milta tha...Doctor.
Bachpan se hi tumhaara padhai, mehnat aur sapna dekh kar chaahta tha tumhe ek doctor banane ka.
Lekin kya kar sakta tha...Paisa hi sab kuch hai aaj kal...Aur mere paas itna paisa bhi nahi tha ki tumhe doctor bana paata.
Lekin tumne saabit kar diya saccha mehnat aur laganshilta ki kabhi haar nahi hota.
Aaj mai ye yakin ke saath keh sakta hu ki aaj agar tumhaara parents hote to tumhaara haal aaj kuch aur hi hota.
Khair, aage bhi issi tarah dila laga kar padhna aur aage badhte rehna.
Ajith:- Uncle ek baat suna tha maine.
Garib paida hona bhale hi hamaara galti nahi hai lekin issi haalat me marna hamaara khud ka galti hai.
Maa aur Papa ne to mujhe janm diya...Abb aage ki jindagi mujhe khud jeena hai...Khud ladna hai aur khud sangharsh karna hai.
Agar aapne iss haalat ke liye bhagwaan ki kosta raha to jindagi me kabhi aage nahi badh paaunga...Isse behtar to ye hai ki future ko kaise khushiyon se bharna hai iss baare me socha jaaye.
Jo mushkilein ka maine saamna kiya hai wo hi mushkilein ka mere baccho ko saamna na karna pade...Aur mere Maa aur Papa ko bhi ummeed hoga ki mai kisi laayak banu...Bas issi koshish me jee raha hu.
Manager:- Bilkul bhi nahi badle tum...Wo hi soch aaj bhi hai aur naa hi kabhi badalna.
Fir issi tarah kuch der baat karne ke baad Manager Ajith ke room se chale gaye.
Next Day
College chhuti hone ke baad aaj fir Ajith aur Kajal saath padh rahe the...Aaj dono Anatomy padh rahe the.
Kajal:- Itna depth...Aisa lag raha hai padhte padhte paagal ho jaaungi.
Kajal ne book aur content dekh kar kaha.
Ajith:- Sab padhna jaruri bhi nahi hai...Aur thoda time de kar padhna padega dheere dheere sab aasan ho jaayega.
Kajal:- Sab padhna nahi padega...Kya matlab?
Ajith:- Sirf wo hi padho jo clinically important ho...For eg Muscles ka Nerve supply aur functions padho...Origin and Insertion utna important nahi hai..
Kajal:- Aisa lagta hai bahut accha knowledge hai tumhaare paas.
Ajith:- Thoda thoda hai...1 year loss kiya tha aur iss beech issi me research kiya tha kya kya padhna padega aur kaise?
Fir dono saath me aage padhne lagte hai.
Kajal:- 1 year loss?
Ajith:- Hmm...Scholarship ki intejaar ke liye.
After an hour
Kajal:- Aaj ke liye bas itna hi.
Ajith:- Hmm ok...Aaj ke liye itna kaafi hai.
Fir dono books apne apne bag me rakhte hai.
Ajith:- Agar tum bura na maano to kya ham chai peene chale?
Ajith ne himmat karke pucha.
Kajal:- Jarur...Aur isme bura maane ki kya baat hai?
Ajith:- Nahi...Koi koi maan jaate hai...Issi liye puch liya...Prevention is better than cure.
Itna keh kar Ajith ne ek smile diya.
Kajal:- Tum bhi na...Aise baat kar rahe ho jaise ham abhi bhi anjaan hai...Now we are friends...Itni chhoti baat par naarajgi kaisa?
Kajal ki baat sun kar Ajith ka khushi aur bhi badh gaya...Kajal ne usse apna dost kaha...Pyar ki safar me ek seedhi aur upar chaddh paane me wo kaamyaab ho gaya.
Ajith:- Ek faaidaa to hua...Ye baat to pata chala ki tumhe aage inn chhoti baaton par naarajgi nahi hoga.
Fir dono college ke saamne hi ek tea shop me chale gaye.
बहुत ही बेहतरीन महोदय।।
ध्रुव बहुत खुश है कि अजीत को प्यार हो गया है। आखिर वो भी कब से अजीत को अकेला देखता आ रहा था। काजल की भी अच्छी बनने लगी है अजीत से। देखते हैं आगे क्या होता है।।
Dono college ke samne wale tea shop me to chale gaye...Lekin waha ka bheed dekh kar dono ko yakin ho gaya aaj shaayad hi wo yaha chaai pee paaye.
Kajal:- Bahut bheed hai yaha to.
Ajith:- Hmm...Thanda bhi kaafi badh gaya hai...Aur shaam ka vakt bhi hai...Kisi aur din pee lenge.
Ajith ne maayus ho kar kaha...Kajal ke saath keemti vakt miss karne wala tha wo.
Kajal:- Kisi aur din kyu? Chalo kisi aur dukaan par.
Kajal ki ye baat sunte hi Ajith ka udd chuka chehre ka rang fir se laut aaya.
Ajith:- Lekin kaha?
Kajal:- Wo to mujhe bhi nahi pata...Tumne bhi dekha nahi hai aas paas chaai ki dukaan?
Ajith:- Ek dekha to hai...Lekin thoda dur hai.
Kajal:- Kitna time lagega?
Ajith:- Auto se 15 minutes.
Kajal:- Ok thik hai...Aao mere saath.
Kajal ne college ki taraf ishaara kar ke kaha.
Ajith:- Kaha?
Kajal:- College...Scooty nikaalna hai...Paidal to bahut hai.
Dono parking tak chale jaate hai...Kajal scooty me baith jaati hai aur Ajith ko bhi baithne ke liye bolti hai.
Ajith khada ho kar hi kuch soch raha tha...Scooty me baithna bhi usse thoda ajeeb lag raha tha.
Kajal:- Kya soch rahe ho...Baitho na?
Ajith bhi abb baith jaata hai.
Abb dono scooty me sawaar ho kar chal padte hai apne manjil chaai ki dukaan par.
Kajal ka dhyan to sirf scooty chalaane me hi tha...Lekin Ajith.
Wo to iss pal aur iss safar ko khul kar mehsus kar raha tha...Baar baar wo saamne mirror se Kajal ka khubsurat chehra ko dekhne ki koshish karta...Kayi baar wo kaamyaab ho jaata to kayi baar hawa se udd rahe Kajal ki ghane aur lambe baal uss ki aankho ko dhak leta...Lekin isme bhi Kajal ki baalo ki khusbu usse aur madhosh karte jaa raha tha.
Wo puri tarah se Kajal me kho chuka tha...Raasta bhi sub-conscious mind se hi bata raha tha...Kajal ke saath ye safar usse bahut accha lag raha tha aur beeta hua har ek pal Kajal uske dil ke gehraai me samaati jaa rahi thi.
Usse aisa lag raha tha jaise ye safar khatm hi naa ho...Lekin afsos...15 minute me hi dono pahunch gaye chaai ki dukaan par.
Kajal:- Aa gaye.
Lekin Ajith ko sunaayi hi nahi diya.
Ajith abhi bhi madhoshi me hi gumm tha.
Kajal:- So gaye kya?
Ajith ki band aankho ko dekh Kajal ne pucha...Iss baar Ajith ne bhi aankhein khola...Aankh kholte hi uske saamne Kajal ka muskuraata hua pyaari si chehra dikh gaya.
Kajal:- Kamaal hai...Scooty me hi soo jaate ho.
Kajal ne hairaani se kaha.
Ajith ne bhi muskuraate hue sir ko haa me hilaa diya...Wo Kajal se ye to keh nahi sakta tha ki wo uske pyar me kho gaya hai...Isme usse ye hi sahi jawaab mila.
Kajal:- Chalo...Garma garam chhai peete hai...Dekhna fir tum kaise fresh ho jaaoge.
Fir dono hi saamne ke chaai ki dukaan me chale jaate hai.
Dono ek table me baith jaate hai...Unke paas waiter ki jagah khud dukaan ki maalik aate hai aur kehte hai.
"Kya baat hai Dr. Sahab...Lagta hai abb yaha ka raasta hi bhul gaye hai?"
Ajith:- Nahi chacha...Abhi abhi college join kiya hai...Iss vajah se thoda busy tha...Abb aage se aata rahunga.
Chacha:- Shukr hai...Warna hame to laga tha ki abb mera ye dukaan kahi aapke haisiyat ke saamne chhota to nahi ho gaya.
Chacha ne muskuraate hue kaha.
Ajith:- Sabse pehle to aap mujhe aap kehna band kijiye...Aur ye kya haisiyat ki baat kar rahe hai aap...Aap ko bas aise hi chacha nahi bulaata hu...Dil se maanta hu iss vajah se...Aur chahe baad me kitna hi bada kyu na ban jaau aap sabhi ke liye chhota hi rahunga.
Aur rahi baat chhai peene ki to ye baat yaad rakhna...Chahe aap ki marji ho ya na ho mai to hamesha aata rahunga chaai peene...Bachpan ki yaadein hai ye sab mera.
Chacha:- Abhi bhi nahi badla tu.
Chacha ne fir se muskura kar kaha...
Ajith:- Aur badlunga bhi nahi.
Chacha:- Jaanta hu...Mai to bas aise hi majaak kar raha tha...Ye bata ye saath me kaun hai.
Chacha ne Kajal ki taraf ishaara kar ke kaha.
Ajith:- Kajal...Mera dost...Aaj saath me chaai peene aaye hai.
Kajal ne Chacha ko namaste kiya aur apna chhota sa intro diya.
Fir...
Chacha:- Bas kuch der aur intejaar karo...Ek garma garam special chhai bana kar laata hu tum dono ke liye.
Kajal:- Bahut acchi jaan pehchaan hai?
Ajith:- Ha bachpan se hi yaha aata hu chhai peene...Bagal me hi rehta hu.
Ajith ne last ke sentence bahut mushkil se kaha...Usse apna pehchaan bataane me thoda dar sa lag raha tha.
Kajal:- Yahi bagal me...Lets go...Tumhaara ghar bhi dekh leti hu aur tumhaare parents se mil bhi lungi.
Kajal ne thoda excited ho kar kaha.
Ajith ko jis baat ka dar tha wo hi hua...Itna jaldi usse apna asli pehchaan batana padega ye usne socha nahi tha.
Ajith:- Pehle chhai pee lete hai uske baad.
Ajith ne baat ko taalne ki koshish kiya.
Fir kuch hi der me chhai bhi aa gaya.
Kajal:- Wow...Bahut hi lajawaab hai.
Kajal ki chehre me jo khushi dikh raha tha wo bata raha tha usse chhai kitna pasand aaya hai.
Aur Ajith Kajal ka issi adaa me hi to fidaa tha...Chhoti si baato par khush ho jaana...Uska muskaan jab bhi dekhta wo bhi muskuraaye bina nahi reh paata.
Ajith ne bhi ek chuski liya chhai ka.
Ajith:- Chacha.
Chacha:- Kya hua beta?
Chacha jaldi se apna kaam chhod kar aa gaye.
Ajith:- Ye sab kya hai chacha...Itna kam sakkhar (sugar)...Aap to jaante hai na mujhe chhai me sakkhar kitna pasand hai.
Chacha:- Sambhal jaa abb...Kahi Doctor banne se pehle hi Diabetes ka marij na ban jaaye tu...Doctor banne jaa raha hai...Apna sharir ka to kuch khayal kar.
Ajith:- Kuch nahi hoga Chacha...Aadat ho gaya hai abb to...Aur Chacha maine pehle bhi keh diya hai mai khud ko nahi badalna chaahta.
Jaisa tha waisa hi rehna chaahta hu...Agar chhoti chhoti baato me badalne lag gaya to pata nahi kya se kya ban jaaunga aur dar hai ki mai khud ko hi na kho du.
Mai apne liye nahi apno ke liye jeena chaahta hu jinki vajah se aaj mai yaha hu.
Ajith ki baat sun kar Chacha to kuch kahe bina hi muskuraate hue chale gaye...Wo to pehle se hi jaante thhe ki Ajith kaisa hai aur issi me khush thhe ki Ajith me aaj bhi koi barlaaw nahi aaya.
Lekin dusri taraf Kajal bhi Ajith ke baare me nayi nayi baatein jaan rahi thi...Kuch hi din me wo bhi Ajith se bahut impressed ho gayi thi.
At counter
Ajith:- Kitna hua Chacha?
Chacha:- Aaj tum se koi paisa nahi lunga.
Ajith:- Kyu? Abb achanak se aap ko kya hua?
Chacha:- Aaj meri taraf se party samajh le.
Ajith:- Kaisa party?
Chacha:- Itni mehnat se tune college me admission karwaya...Tera mehnat aur safalta ke liye hai ye party.
Ajith:- Lekin chacha paisa to...
Ajith ne sirf itna hi kaha tha ki...
Chacha:- Ek baar keh diya na aaj koi paisa nahi lunga...Aur abb mai kuch nahi sununga.
Isa baar Ajith ne bhi kuch nahi kaha.
Chacha:- Maan jaa...Mujhe khushi hoga.
Iss baar Chacha ne bahut pyar se kaha...Aur Ajith bhi maan gaya.
Chaai ki dukaan se nikalne ke baad.
Kajal:- Sach me bahut laajawah chhai pilaaya tumne.
Kajal abhi bhi chhai ki duniya se baahar nahi nikal paayi thi.
Ajith:- Ye to Chacha ki haath ka jaadu hai.
Kajal:- Ha sach me...Kya ham kabhi kabhi yaha aa sakte hai chhai peene.
Ajith:- Jarur.
Ajith bhi khus tha ki Kajal ko chhai pasand aaya aur baad me yaha aur saath vakt bitaane ko milega.
Kajal:- So now...Lets go.
Ajith:- Kaha?
Kajal:- Tumhaara ghar.
Ajith ko jis baat ka dar tha wo hi hua...Wo ummeed kar raha tha ki kaash Kajal ghar wali baat bhul jaaye lekin aisa nahi hua.
Kajal:- Chalo na...Kya soch rahe ho?
Kajal ne dosti ke hak ke saath kaha.
Ajith:- Aaj nahi...Fir kabhi.
Kajal:- Kyu?
Ajith:- Aaj mujhe baahar jaana hai abhi.
Kajal:- To thik hai...Ghar dikhaa fo...Mai khud chali jaaungi.
Abb Ajith buri tarah se fass gaya...Usse kuch bhi samajh me nahi aa raha tha.
Ajith:- Wo kya hai ki...Wo...
Ajith bas haklaata hi reh gaya.
Kajal ko bhi kuch samajh me nahi aa raha tha ki achanak Ajith ko kya ho gaya.
Kajal:- Are you fine?
Ajith:- Yyes yes...I i am ffine.
Ajith ne bhi socha...Ek na ek din to sab bataana hi hoga...To fir aaj hi kyu nahi...Aur apna asli pehchaan bataane me bhi kaisa dar?
Aur wo khud bhi to yahi chaahta tha ki koi ladki usse pyar kare aur naa ki usme uska haisiyat dekhe.
Usne socha...Agar Kajal usse pyar karegi to usko uska asli haal me apnana hoga.
Iss baar himmat kar ke Ajith ne apne ungli se saamne Anaath Aashram ki aur ishaara kar diya...Wo nahi chaahta tha ki uska pyar ka suruwaat jhuth se ho.
Jab Kajal ne Ajith ki ungliyo ka peecha kiya aur building ke board ko padha tab wo bilkul hi hairaan ho gayi...Usse na hi kuch samajh me aa raha tha aur naa hi apne aankho me viswaas ho raha tha.
Abb wo Ajith ki taraf dekhne lagi...Ajith ka jhuka hua chehra uska shak ko yakin me badal raha tha.
काजल को प्यार तो करता है अजीत। लेकिन शायद अभी काजल के मन मे ऐसा कुछ नहीं हैं आज दोनों चाय पीने के लिए अजीत अपने अनाथाश्रम के पास आया तो काजल उसके घर जाने की जिद करने लगी। अजीत ने डरते हुए अपनी सच्चाई बता दी काजल को। देखते हैं आगे क्या होता है।।
Kajal hairaani se Ajith ki taraf dekhti rahi...Ajith ki najar jab Kajal par pada tab usne Kajal ki aankho me sawaal dekha.
Ajith:- Yahi sach hai.
Isse jyada na bol paaya wo...Bolte vakt bachpan se le kar abhi tak ka dard uske aawaj me tha...Iss baar wo Kajal ki aankho me aankhein daalne ki himmat bhi nahi kar paa raha tha.
Kajal bas Ajith ko hi dekhti reh gayi...Usse yakin nahi aa raha tha ki college me sabhi se hanste khelte baat karne wala Ajith ki jindagi aisa dardnaak bhi ho sakta hai?
Abb ek sawaal aur uske dimaag me ghum raha tha...Kya Ajith ka wo muskaan jhutha hai ya fir Ajith ne haalaath se ladna sikh liya tha?
Kuch der ke khaamoshi ke baad bhi jab Kajal ko samajh me nahi aaya ki usse kya kehna chaahiye.
Kajal:- Sorry...Bahut bura laga ye jaan kar.
Ajith:- Koi baat nahi...Aadat pad gaya hai mujhe abb.
Ajith kisi tarah iss baat ko taalna chaahta tha aur saath hi ye dua bhi kar raha tha ki ye baat jaane ke baad uska aur Kajal ki dosti me koi fark na pade.
Iske baad dono ke bich fir ek lambi khaamoshi chha jaata hai.
Ajith iss khaamoshi me bahut hi jyada uncomfortable feel kar raha tha aur Kajal ka chup rehna usse aur tadpa raha tha...Lekin wo kuch karne ki aur kehne ki haalat me hi nahi tha.
Kajal:- Ok Ajith...Bye...Kal milte hai.
Itna keh kar wo scooty se apne ghar ke liye nikal jaati hai...Wo bhi thoda bahut uncomfortable feel kar rahi thi Ajith ki haalat par.
Kajal ke jaane ke baad Ajith bhi niraash ho kar apne room me chala jaata hai.
Dhruva:- Hi dude...Kaisa hai?
Ajith:- Thik thaak.
Ajith ne bujhe hue aawaj me jawaab diya.
Dhruva:- To iss tarah kyu bol raha hai...Teri gf ne aaj bhaaw nahi diya kya?
Dhruva ne hanste hue kaha...Iss baar Ajith ko Dhruva ki baatein aur hansi bilkul bhi pasand nahi aaya.
Ajith:- Abhi mujhe bahut tej headache hai...Kuch der rest karna chaahta hu...Please baad me baat karenge.
Dhruva:- Kaise? I mean pehle kabhi tujhe aisa nahi hua? Ye bata dawai liya ya nahi?
Achanak se Dhruva ki aawaj me fikra ki bhaaw aa gaya.
Ajith:- Ha raaste me hi le liya dawaai...Bas thoda rest ki jarurat hai...Kuch der sona chaahta hu.
Ajith ne Dhruva ki baat taalne ke liye kaha.
Dhruva:- Ok...Abhi rest kar...Fir bhi thik nahi hua to hospital chalenge.
Ajith:- Hmm.
Itna keh kar Ajith bed me lait gaya aur blanket se apna face cover kar liya.
Abb shaam ki baatein soch kar uski aankho se dheere dheere aansu nikalne lagta hai...Kabhi socha nahi tha usne ki iss suhaana shaam ki ant aisa bhi hoga.
Usse kabhi apne kismat par rona aa raha tha to kabhi Kajal ki khaamoshi par.
Ajith:- (In his mind) Bewkoof tha mai...Ye jaante hue bhi ummeed lagaya ki wo mere range se bahut upar ke hai.
Usse apna dream girl ka naam to de diya lekin ye bhul gaya ki usse paana sirf dream me hi possible hai.
Kuch jyada hi ummeed laga liya tha...Ye soch kar ki Kajal bahut acchi ladki hai aur mujhe samjhegi...Aur saath me ye bewkufi bhi kar diya iss dosti ko pyar ki suruwaat samajh kar.
Pata nahi abhi abhi kya kya bakwaas soch raha hu...Accha hona aur pyar thukraane ka kya lena dena...Aur Kajal ne mujhe galat ummeed bhi to nahi diya ki wo mujhse pyar karti hai...Dost maana wo hi bahut hai...Mai hi bewkuf tha jo kuch jyada hi ummeed laga liya...Sab mera hi galti aur over expectation hai.
Yahi sab soch me gumm tha Ajith...Kabhi wo khud ko kosta to kabhi Kajal ki khaamoshi ko soch kar pareshaan ho jaata...Fir achanak hi kuch khayal uske dimaag me aaya.
Ajith:- (In his mind) Lekin uska dosti kyu badal gaya mera sacchai jaane ke baad...Ha pyar karna aur na karna uska faisla hai...Lekin iss tarah se dosti tod lena.
Ye baat sochte hi Ajith ko bahut bura lagne laga...Abb usse Kajal galat najar aane laga.
Kuch der aise hi pareshaan hone ke baad usne kuch faisla liya.
Ajith:- (In his mind) Abb iss baare me sochne se kya faaidaa...Ye pehli baar to aisa nahi hua ki mera haisiyat dekh kar bahut saare dosto ne munh fer liya.
Ha Kajal baaki se alag lagi...Ummeed tha ki pyar na sahi bahut acchi dost banegi meri...Lekin iss ummeed ne bhi niraash kar diya.
Khair koi baat nahi...Sambhal jaaunga jaise sambhalta aaya hu...Aur ye bhi nahi bhulunga ki mera lakshya hai sirf padhna aur ek accha doctor banna...Baaki kuch nahi.
Mujhe bhi abb aise matlabi pyar aur dosti se koi lena dena nahi...Aur har baar apne dil ko tutne bhi nahi de sakta.
Yahi sab soch me khoya hua tha Ajith...Abhi bhi usse Kajal ki khaamoshi bahut bura lag raha tha...Kabhi wo khud ko majbut banaane ki koshish karta to kabhi wo apne saath hue har ghatna ko yaad kar raha tha jab usse har kisi ne usko uska haisiyat dikhaya tha.
Kuch hi ghanto me Ajith ka Kajal ke liye soch me bahut badlaaw aa gaya tha...Nafrat to nahi lekin naarajgi jarur hua tha Kajal ke liye.
Next Day
Ajith aaj bhi vakt se pehle hi college pahunch gaya...Wo apne seat me jaa kar baith gaya...Aur na chaahte hue bhi Kajal ki intejaar karne laga.
Jab Kajal aayi to uske dil me fir ek ummeed aaya ki kaash uska Kajal ke liye sach galat ho jaaye.
Kajal ne bhi Ajith ko dekha...Wo kuch der ke liye Ajith ko dekhti rehi aur fir achanak se apne seat ki taraf chali gayi.
Ek baar fir se Ajith ka dil toot gaya...Abb usse ummeed ho gaya ki wo hi sahi tha...Abb Kajal usse apna dost bhi maane ko taiyaar nahi.
Issi tarah Lunch break bhi aa gaya...Bahut mushkil se khud ko sambhal raha tha Ajith ki wo abb Kajal ke baare me naa soche...Lekin har baar wo khud se hi haar jaata.
Lunch break hote hi Ajith bhi nikal gaya canteen ki taraf...Door me Kajal khadi thi...Iss baar himmat karke Ajith ne Kajal ko ignore kar ke aage badh gaya.
Ajith
Picche se Kajal ki aawaj aayi.
Wo sirf picche muda...Lekin bola kuch nahi.
Kajal:- Mujhe tumse baat karna hai.
Abb Ajith bhi class ke andar aa gaya...Andar koi bhi nahi tha.
Kajal:- Kal ke liye sorry.
Kajal ki iss baat ne Ajith ko puri tarah se hairaan kar diya.
Ajith:- Kis baat ke liye.
Kajal:- Kal acche se baat bhi nahi kiya aur naa hi aaj.
Ajith:- Koi baat nahi...Koi jaruri baat bhi to nahi tha.
Kajal:- Kaise jaruri baat nahi tha...Tumne mujhe dost samajh kar itni badi baat kaha aur maine tumse baat bhi nahi kiya.
Iss baar Ajith ne kuch nahi kaha...Sirf sunta hi raha.
Kajal:- Kal kuch samajh me nahi aa raha tha ki kya kahu...Sympathy bhi nahi dena chaati thi ye soch kar ki isse tumhe haasil bhi kuch nahi hoga ulta jakhm ko khodne jaisa hoga.
Lekin sach keh rahi hu...Tumhaare baare me jaan kar mujhe bhi bahut dukh hua...Bas keh nahi paayi.
Dar bhi lag raha tha ki kahi aisi sensitive topic par kahi meri koi bhi baat tumhe hurt na kar de.
Iss baar Kajal ki baat sunne ke baad Ajith ko khud par gusaa aane laga.
Ajith:- (In his mind) Over thinking ka beemari ho gaya hai mujhe...Pata nahi kitni bakwaas baatein soch liya maine wo bhi jaldbaazi me...Aur maine Kajal ki dosti par shak bhi kiya bina uski najariye se soch kar.
Lekin usse iss baat ka khushi bhi tha ki Kajal air uske dosti me koi badlaaw nahi aaya hai.
Kajal:- Abb samajh me aaya tumhe padhaai se itna lagaaw kyu hai...I appreciate your hard work and dedication...Sach me tum apne mehnat se yaha tak aaye ho iske liye jitna taarif kiya jaaye kam hai.
Aage bhi aise hi mehnat karte rehna...Bahut aage tak jaaoge.
Ajith Kajal ki ek ek baat ko bahut hi dhyan se sun raha tha...Aur fir se Kajal ki ek ek baat uske dil ke gehraai me sama raha tha.
Aaj fir uska soch badal gaya...Abb usse yakin ho gaya ki Kajal baaki se alag hai...Aur uska dosti dikhaawa aur matlabi nahi hai.
Kal Kajal ki khamoshi se jo jakhm uske dil me laga tha aaj Kajal ki pyari baatein khud ussi jakhm par malham laga raha tha.
Abb usne ek baar fir khud se garv ke saath kaha. "I am proud that I love her."
बिना किसी के बारे में जाने और बिना उसकी तह तक पहुंचे किसी के भी बारे में अपनी राय रख देना आजकल के युवाओं का फैशन से हो गया है। छोटी सी छोटी बात पर वो अपनी राय जाहिर करते हैं और बात को अनावश्यक रूप से चल देकर बढ़ा देते हैं। अगर यहां काजल खुद से आकर बात न करती तो अजीत तो बहुत बड़ी गलतफहमी का शिकार हो गया था। अच्छा हुआ काजल ने बात कर ली सही समय पर नहीं तो पता नहीं आज क्या से क्या सोच लेता अजीत काजल के बारे मे
Abb ye kaun hai...Aur kyu baar baar phone kar raha hai?
Irritate ho kar Ajith ne kaha...5 baar pehle hi phone cut kar chuka tha...Lekin dusri taraf se bhi baar baar phone aa raha tha.
Ajith:- Vijay....Abb isse kya ho gaya?
Ajith ne apna sir ko haaho se pakad kar kaha.
Ajith:- Uff ye headache...Kuch jyada hi pee liya aaj.
Phone receive karne ke baad.
Ajith:- Bol kya hua?
Vijay:- Kaha hai tu abhi?
Ajith:- Apne room me...Lekin tu phone kyu kar raha hai?
Vijay:- Hospital aa jaa yaar please.
Ajith:- Kyu...Kya hua?
Vijay:- Pehle yaha aa...Fir batata hu.
Vijay ki aawaj me ek alag hi sharmindgi tha.
Ajith:- Jaruri hai kya?
Irritate ho kar kaha Ajith ne...Dusri taraf se Vijay ne koi jawaab nahi diya.
Ajith:- Abb chup kyu ho gaya? Pehle se dimaag kharab hai aur abb tera ye khaamoshi.
Agar batana hai to jaldi se bata...Warna disturb mat kar...2 din se night duty kar raha hu...Abhi free hua hi hu ki tu koi bakwaas vajah se hospital bula raha hai.
Jaruri kaam hai to bol warna abb mujhe sone de.
Vijay:- Bahut jaruri vajah hai yaar...Please tu hospital aa jaa...Fir bataaunga tujhe.
Isse aage Vijay kuch bol nahi paaya aur phone cut kar diya.
At Hospital
Ajith:- Bol kya baat hai?
Vijay Ajith ko sab kuch bata deta hai...Vijay ki baat sun kar Ajith bhi soch me pad jaata hai.
Ajith:- (Vijay ke kandhe me haath rakh kar) Ruk abhi dekh kar aata hu.
After 20 minutes.
Ajith:- Kaam ho gaya...Disease bhi diagnose kar diya aur medicine bhi prescribe kar diya.
Ajith ne muskura kar kaha.
Vijay:- Kya aur kaise?
Fir Ajith Vijay ko disease ke baare me sab kuch bata deta hai.
Ajith:- Ye baat phone me bhi to bata sakta tha.
Vijay:- Kaise batata yaar...Sharm ki baat hai...5 saal padhne ke baad bhi ek disease diagnose nahi kar paaya.
Vijay ka sir abhi jhuka hua tha aur wo abhi khud se hi gussa me tha.
Ajith:- Tera koi bhi galti nahi hai abhi...Abhi disease diagnose nahi kar paana tera talent me kami ki vajah se nahi hua hai wo communication aur rapport building me kami ki vajah se hua hai.
Ye mistake har kisi se ho sakta hai...Experienced aur skilled doctors se bhi...Maine bhi bahut mushkil se diagnose kiya...Warna mai bhi misdiagnose kar deta.
Isme guilt feel karne jaisa kuch nahi hai...Agar symptoms se disease ko relate nahi kar paaya to ge tera kamjori hai aur agar symptoms hi patient nahi bata paaye to tera koi galti nahi.
Vijay:- Ek baat pucchu?
Ajith:- Pucch.
Vijay:- Tera communication and history taking skill bhi kamaal ka hai yaar...Kaise manage kar leta hai ye sab...Baat karne ka tarika aur talent.
Ajith:- Communication skill and rapport building behavior se improve hota hai...Bacchpan se hi alag alag type ka aadmi se baat karta aaya hu to communication skill accha ho gaya...Aur talent books se.
Talented to tu bhi hai...Bas communication skill ko improve kar...Warna har baar mai nahi aaunga.
Vijay:- Kyu yaar? Hamesha se mera help karta aaya hai aur aage bhi karega.
Ajith:- Jarur karta yaar...Lekin abb mere paas vakt bahut kam hai.
Ye kehte vakt Ajith ki aawaj me alag hi dard tha.
Vijay:- Matlab?
Ajith:- Matlab ye ki abb bahut kam vakt hai internship ka...Bas ek baar Doctor ban jaau fir ye city chhod kar chala jaaunga.
Vijay:- Kyu? Yaha kya kami hai?
Ajith:- Ye to cheating hai...Har baar kaha hai ye sawaal mat pucch...Lekin tu mujhe hi uljha kar pucch leta hai.
Vijay:- Accha abb nahi pucchunga...Bas itna kahunga tujhe bahut miss karunga.
Vijay ye baat bahut mushkil se keh paaya...Ye kehte vakt Vijay ko pure 5 saal yaad aa gaye MBBS me entry ke vakt se le kar aaj aur abhi ka vakt tak.
Ajith:- Miss to mai bhi karunga tum sab ko...Lekin abhi se itna tension kyu...2 months to hu na abhi mai yaha.
Fir dono kuch der aise hi baat karte hai.
Ajith:- Kal maine ek baccha ka checkup kiya tha...Usse typhoid tha...Ek baar dekh kar aata hu usse.
Vijay:- Baccho ki abhi bhi bahut parwaah hai tujhe.
Ajith:- Ha yaar...Parwaah to sabhi patients ka hai...Lekin baccho ka kuch jyada hi...Jab bhi uss bacche ke baare me sochta hu apna past yaad aata hai.
Jab mujhe bhi typhoid hua tha uss vakt ka takleef yaad aa raha hai...Iss liye uska haal chaal dekhne ka man kar raha hai.
Vijay:- Yaar abhi bhi tu badla nahi hai...Ye baaki logo ki aankho me hi kami hai jo tujh me badlaaw dekhte hai.
Bas ek hi baat samajh me nahi aata ki tu Kajal ke saath itna berukhi se bartaaw kyu karta hai...Tu to usse bahut pyar karta tha na.
Ajith:- Ha karta tha...Lekin abb nahi karta hu...I hate her...I hate her more than everything in this world.
Itna keh kar Ajith gusse me waha se nikal jaata hai...Aur GI (Gastro Intestinal) ward ki taraf chala jaata hai.
Waha jaate hi usse wo baccha to dikh jaata hai...Lekin jisse nahi dekhna chaahta tha wo bhi dikh jaati hai.
Aaj kismat ya badkismati se usse fir Kajal dikhti hai jo abhi waha night duty me thi.
Kajal:- Ajith.
Darte hue Kajal ne kaha...Lekin Ajith usko ignore kar ke aage badh jaata hai.
Kajal:- Baat to suno.
Ajith:- Sorry Dr...I dont have enough time to listen anything now...Try to contact me later.
Ajith pure gusse me kehta hai...Aur aage badh jaata hai.
Kajal wahi khadi Ajith ko jaate hue dekhti rehti hai...Hamesha ki tarah iss baar bhi Ajith ki iss harkat ne uska dil tod diya.
Uaka ek hi sawaal jiska jawaab na to Ajith de raha tha aur naa hi wo khud jaanti thi.
"Aakhir mera kusur kya hai?"
[Note:- Friends abb story main flow me chalega...Thoda thoda flashback time to time reveal hota rahega...Lekin flashback ka portion jyada nahi hai...Lekin story me romance, emotion aur bhi bahut kuch hai jisme koi kami nahi aagega.
And iss update me Ajith aur Vijay ki baat thoda khincha hua lag sakta hai lekin iss me bhi story ka aisa part reveal kiya hai jo bahut important hai aur wo guess karna abhi bahut muskhil hai...Iske baare me sirf ending me hi pata chalega.
Abhi bhi story me bahut kuch hai...Love, romance, emotion ke saath saath ek suspense bhi.]
बहुत बढ़िया।
अब वो क्या सस्पेन्स है जिसके कारण काजल को देखकर अजीत को गुस्सा आ जाता है। कहाँ तो अजीत काजल से बहुत प्यार करता था। काजल को देखते ही उसके चेहरे पर हजारों जहां की खुशियां आ जाती थी और आज ये हाल है कि वो काजल से इतनी बेरुखी और गुस्से से बात कर रहा है। आखिर काजल का कसूर क्या है।।
Fir Ajith uss bacche ke bed ki taraf chala jaata hai...Baccha soo raha tha...Ajith ne bhi usse uthaana thik nahi samjha...Report dekha to usme improvement dikh raha tha...Fir kuch der baithne ke baad wo waha se jaane laga.
Kajal:- Baat karna hai tumse.
Lekin Ajith bina kuch jawaab diye aage badh jaata hai.
Kajal:- Suna nahi tumne.
Iss baar thoda tej aawaj me boli Kajal.
Fir Ajith ruk kar picche mud jaata hai.
Ajith:- Kaho.
Bina kisi bhaaw ke jawaab diya Ajith ne.
Kajal:- Yaha nahi...Kuch personal baat karni hai.
Ajith:- Abb kaho.
Ekaant me aane ke baad Ajith ne kaha.
Kajal abb khud par kaabu nahi rakh paati hai...Aankhon se do bund aansu niche girta hai.
Ajith:- Abb roo kyu rahi ho...Koi emotional story sunane wali ho kya?
Ajith ne aisa dikhaane ki koshish kiya jaise wo irritate ho raha hai.
Kajal:- Aakhir abb to bataao...Mera galti kya hai? Kyu iss tarah rula rahe ho mujhe...Mujhse koi bhool ho gayi kya?
Ajith:- Ek hi baat aur kitna baar kehna padega...Pehle hi hajaar baar keh chuka hu...Abb aur kitni baar?
Kajal:- Lekin mai sach sunna chaahti hu...Bas ek baar.
Kajal ne Ajith ki aankho me dekh kar kaha...Ek ummeed ke saath ki Ajith ka dil iss baar jarur pighlega.
Aur aisa hua bhi...Kajal ki baato se Ajith ki dil me ek dard uttha...Lekin agle hi pal usne apne dil ko fir patthar ka bana liya.
Ajith:- Bewkoof ho tum...Sach saamne hai fir bhi dikhaai nahi deta tumhe.
Kajal:- Sach ye nahi hai jo tum bata rahe ho...Ye baat mai bhi jaanti hu aur tum bhi.
Ajith ko abb koi jawaab nahi mil raha tha.
Ajith:- Abb pakaao mat.
Fir Ajith gusse se dusri taraf mud jaata hai...Kajal bhi abb uske paas aati hai...Aur pyar se Ajith ke kandhe par haath rakhti hai.
Kajal ka haath apne kandhe par mehsus karte hi Ajith ko apne dil me alag hi sukoon mehsus hota hai jo har baar Kajal se pyar ka ehsas hote vakt hota hai.
Aankho se aansu nikal paata usse pehle hi Ajith apni aankh band kar leta hai...Kuch der wo iss lamhe ko mehsus karta hai ye soch kar ki shaayad hi kabhi abb usse aisa mauka mile...Aur yahi yaadon ke sahare wo aage ki jindagi jeena chaahta tha.
Kajal:- Abb to bataao...Mai jaanti hu jarur kuch to vajah hoga warna mera Ajith aisa nahi tha.
Abb Kajal apna sir bhi Ajith ki kandhe par rakhti hai...Abb Ajith se aur saha nahi jaa raha tha...Wo khud ko Kajal se alag kar leta hai ek hi jhatke me.
Ajith:- Waah...Abb dikh raha hai tumhe apna Ajith.
Ajith ne nafrat ke saath kaha.
Kajal:- Ye kya keh rahe ho...Tum to hamesha se hi mere thhe.
Ajith:- Itni jaldi bhul gayi...Tum bhul sakti ho lekin mai nahi...Aaj bhi yaad hai wo pal jab tumne paiso ke liye mujhe niccha dikhaaya tha.
Kajal:- Ye ye kkya keh rahe ho...
Kajal isse pehle kuch bolti Ajith bich me hi bol pada.
Ajith:- Abb please hairaan hone ki acting mat karna.
Kajal abb Ajith ko dekhti reh gayi...Usse abb kuch samajh me nahi aa raha tha.
Ajith:- Tum kehti ho na mai badal gaya hu...Yes...I am changed...Aur vajah tum ho...Tum aur tum jaise wo log jisne mujhe paiso ke liye niche dikhaaya hai.
Abb maine bhi soch liya hai...Paisa kamaane ka tarika...Dekhna tum sab...Kitni jaldi mai tarraki karunga.
Kajal:- Ye sab kya keh rahe ho tum? Aur paiso ki kya baat kar rahe ho...Maine tum se pyar kiya hai sirf tum se...Aur tum hamaare pyar ka majaak kyu udaa rahe ho paisa ko bich me laa kar.
Ajith:- Agar sach kahu to maine bhi tum se pyar kiya tha...Sirf tum se...Lekin abb nahi...Abb mai sirf tumhaara paiso se pyar karta hu...I just love money and power...Nothing else.
Kajal bas Ajith ko hi dekh rahi thhi.
Ajith:- Mai tumse shaadi karne ke liye bhi taiyaar hu...Lekin pehle Sasurji ko kaho...Puri property mere naam karne ke liye.
Ajith ne daant dikhaa kar kaha.
Kajal:- Chhi.
Abb Kajal ki aawaj me bhi Ajith ke liye nafrat tha.
Ajith:- Abb yakin aa gaya ho to mai jaau...Sirf itna yaad rakhna...Now I love money.
Free ka advice deta hu...Tum bhi kisi paise wale ladke ko fasa lo...Life set ho jaayega...Paisa hi sab kuch hai.
Kajal ne iss baar kuch nahi kaha...Sirf Ajith ko dekhti rahi...Gusse se.
Abb Ajith bhi waha se jaane laga.
Kajal:- Ek aakhri sawal...Jab bhi tumhe as a doctor dekhti hu to hamesha mera puraana Ajith hi dekhti hu.
Wohi maasum sa ladka...Jo har kisi se pyar karta hai, fikra karta hai...Usme insaaniyat hai...Uska soch bahut bada hai aur dil me koi gandgi nahi...Aur jisse maine pyar kiya tha.
To mujhe sirf itna bataao...Dr. Ajith aur Mr. Ajith ek insaan hone ke baad bhi itna alag kyu hai?
Ajith:- Dono ek hi hai...Mr. Ajith is direct selfish businessman and Dr. Ajith is indirect selfish businessman.
As a doctor bhi mai businessman hu...Patient ko costumer samajhta hu...Accha kamaane ke liye aur businessman banne ke liye costumer se accha relation banana to padta hi hai...Issi liye fake emotion aur care dikhaata hu.
Ajith ne apne sabhi daant dikhaa kar kaha jaise wo ye dikhaana chaahta tha ki wo kitna samajhdaar hai.
Dusri taraf Kajal ka dil Ajith ki har baato se toot ta jaa raha tha.
Ajith aaj bhi badla nahi hai iss baat ka khud ko tassali dene ki har vajah jhuth saabit ho raha tha.
Usse uss galti ka saja mil raha tha jo usne kabhi kiya hi nahi tha...Wo Ajith ko aansu se bhari aankho se dekhti rahi.
Abhi bhi ek ummeed tha ki Ajith laut kar wapas aa jaaye aur usse gale laga kar kahe...Ye bas ek majaak hai aur kuch nahi...Lekin afsos...Ajith abb sach me badal gaya tha.
Ajith:- Aur bhi kuch pucchna hai.
Ajith ne ghadi ki taraf dekh kar kaha.
Kajal:- Nahi...Jaao...Jee lo apni jindagi...Lekin yaad rakhna ek din mera pyar ka jarurat jarur padega tumhe.
Ajith:- You mean love...Aise pyar to hajaaro mil jaayenge paise ki dum par...Bhulna mat tum free me mili thi.
Itna keh kar Ajith hasne laga.
Abb Kajal se aur saha nahi gaya...Apna pyar aur izzat ka aisa majaak bhala kaun seh sakta hai...Aankho me aansu aur aane laga aur saath me gussa bhi.
Usse abb waha aur nahi raha gaya...Wo daudte hue apne cabin ki taraf chali gayi apne toote hue dil ko le kar.
Kajal ke jaane ke baad Ajith se aur raha nahi gaya...Uske aankho se bhi aansu behne laga...Aur Kajal ko apne se dur jaata hua dekhta reh gaya...Usse aisa lag raha tha jaise usse uska jindagi dur jaa raha hai...Lekin wo kuch kar paane ki haalaat me bhi nahi tha.
Kajal waha se jaane ke baad sidhe apne cabin ki taraf chali gayi.
Cabin me jaane ke baad usse hairaani hua Preeti ko bhi apne cabin me dekh kar...Preeti ko dekhte hi usne apne aansu ponch liye...Lekin wo iss baat se anjaan thi ki Preeti abhi khud dono ka jhagda ko dekh kar aayi hai.
बहुत ही बेहतरीन महोदय।
इतनी नफरत तो नहीं है अजीत के दिल मे काजल के लिए, लेकिन फिर भी वो काजल को कड़वा बोल बोल रहा है। इसके पीछे एक ही वजह हो सकती है उसका अनाथ होना। जरूर काजल के पापा ने उसे मजबूर किया होगा कसम वसम देकर काजल से दूर रहने के लिए। इनकी जुदाई में काजल का भी हाथ हो सकता है।
Kajal:- Bas kuch hi der...Ham manjil ke karib hai.
Ajith:- Ye baat tum picchle aadha ghanta se keh rahi ho.
Kajal:- Iss baar sacchi me...Bas kuch hi der.
Kajal ne muskura kar kaha.
Ajith dusri taraf chaah raha tha ki ye safar kabhi khatm hi na ho...Aadha ghanta kya wo to puri jindagi ka safar Kajal ke saath karna chaahta tha.
Abhi bhi uska dhyan sirf aur sirf Kajal me hi tha...Hawaao me lehraati hui uski baal, baalo se aa rahi khusbu, aur saamne mirror me uska khubsurat chehra ka ek jhalak...Aaj bhi Ajith puri tarah se Kajal ki pyar aur khubsurati me kho gaya tha.
Kajal:- Lo aa gaya.
Ajith:- Hmm.
Kajal:- Aa gaya hamaara manjil.
Kajal ne excited ho kar kaha...Iss baar Ajith ne bhi Kajal ki baato ko acche se suna.
Usne bhi chaaro taraf dekha...Saamne ka najara dekh usse apni aankho me viswas hi nahi ho raha tha.
Ajith:- Ye ham kaha aa gaye hai.
Kajal:- Khud hi dekh lo.
Ajith:- Wow...Such a beautiful and wonderful place.
Ajith ka munh khula ka khula reh gaya.
Kajal:- Mujhe pata tha tumhe ye jagah bahut pasand aayega.
Ajith ne kuch jawaab nahi diya...Wo saamne ka najaara me hi kho gaya tha.
College ki suruwaat aur mulaakat ke 2 hafte baad hi dono aaj yaha aa pahunche thhe.
Kajal aaj Ajith ko seher se 15 km dur ek jheel ke kareeb le aayi thi.
Shaam aur suryaast (sunset) ka vakt...Surya ka dhalne ki vakt ka kiran jab wo jheel me pad raha tha to ye jheel kuch jyada hi khubsurat dikh raha tha.
Shaam ke vakt sunhaare rang ka jheel aur jheel ke aas paas hare aur bade ped jheel ki khubsurati ko doguna (double) kar raha tha.
Aur saath hi shaam ki vakt thandi hawaa ki leher jab uske seene ke paas se gujarti to dil me ek alag hi ehsas paida kar jaata.
Ajith abhi bhi jheel ki khubsurati aur thandi mausam me hi khoya hua tha.
Kajal:- Hello.
Lekin Ajith ko kuch sunaayi nahi diya.
Kajal:- H e l l o.
Iss baar Kajal ki aawaj thoda tej tha.
Ajith:- Hmm.
Khoyi hui aawaj me jawaab diya Ajith ne.
Kajal:- Kaha kho jaate ho yaar har baar.
Ajith:- Saamne ka najaara hai hi aisa.
Iss baar Ajith puri tarah se hosh me aa gaya tha.
Ajith:- Chalo na jheel ke paas jaa ke baatein karte hai.
Kajal bhi kuch soche bina hi haa keh deti hai.
Aur dono jheel ke paas chale jaate hai.
Kajal:- Kaisi lagi ye jagah?
Ajith:- Jubaan se shaayad bayan nahi kar paau iss jheel ki sundarta...Lekin sach me bahut accha lag raha hai aaj yaha aa kar...Isse behtar jagah wo bhi natural aaj tak nahi dekha maine.
Ajith ki aawaj me bhi alag tarah ka khushi aur utsaah tha.
Kajal:- Mujhe pata tha tumhe bhi ye jagah bahut pasand aayega...Iss liye aaj study ka program cancel kar ke tumhe yaha le aayi.
Ajith:- Bahut accha kiya tumne...Bata nahi sakta kitna khus hu mai aaj yaha aa kar.
Kajal:- Tum study ko miss to nahi kar rahe ho na? Mera matlab 2-3 hrs yahi beet jaayega.
Ajith:- Nahi...Bilkul nahi...Padhaai to hamesha se mera dost hai...Akele ka saathi aur future ki guarantee...Lekin kabhi kabhi vakt nikaal kar apne liye jeene ka maja bhi alag hai...Aur abhi wohi kar raha hu.
Khair chhodo abhi ye padhaai ki baatein.
Kajal:- To kya baat kare?
Ajith:- Kuch bhi...Ek dusre ko aur acche se jaante hai.
Mauka dekhte hi Ajith ne keh diya.
Kajal:- Aur wo kis liye? Itna jaante hai wo kaafi nahi hai.
Ajith:- Nahi...Mera matlab tha...Bas aise hi...Dosti aur gehri ho jaati...Khair kisi aur topic me baat kar lenge.
Ajith:- (In his mind) Pata nahi kya kya bolta jaa raha hu...Dhruva sahi keta tha...Ladkiyo se bhi baat kar liya kar...Lekin uski iss baat ko kabhi seriously liya hi nahi...Abb bhugat raha hu...Kajal se acche se baatein bhi nahi kar paa raha hu...Pata nahi wo kya soch rahi hogi mere baare me.
Ajith kabhi khud se gussa tha to kabhi usko ye dar sata raha tha ki kahi Kajal se itni mushkil se kiya hua dosti kamjor na pad jaaye.
Kajal:- Acche dost to hum hai hi...Abb aur gehri dosti ki kya jarurat?
Kajal bhi Ajith ka haalat dekh kar uska maja lene ki mood me thi.
Iss baar Ajith koi jawaab nahi de paaya...Aakhir kehta bhi kya? Dosti aur Pyar ke bich me hi ulajh kar reh gaya.
Kajal:- (Hanste hue) Yaar tum bhi ajeeb ho...Mai majaak kar rahi hu aur thm itni chhoti si baato par dar jaate ho.
Fir dono ek dusre ke baare me jaane lagte hai...Ek dusre ki pasand, naa pasand.
Ajith bhi iss pal ko khul ke jee raha tha...Itni acchi jagah, najaara shaant aur saaf maahaul aur usme bhi Kajal ki saath...Ye kisi sapne se kam nahi tha uske liye.
Kajal ke saath har moment ko special feel kar raha tha wo...Kabhi kabhi wo Kajal me itna kho jaata ki kisi tarah wo khud ko sambhaal leta.
Kajal:- Accha abb ye bataao...Tumhaari koi girlfriend hai ya nahi?
Ajith:- Girlfriend!!!
Girlfriend ki naam sun kar Ajith chaunk gaya wo bhi Kajal ki munh se.
Kajal:- Ha girlfriend...Maine koi chhudail nahi kaha.
Ajith:- Nahi hai.
Kajal:- Jhuth bhi bolna sikh liya tumne?
Ajith:- Nahi...Ye jhuth nahi hai.
Kajal:- Mai yakin nahi kar sakti...Itna handsome ho tum, talented ho, baatein accha karte ho aur sabhi ke saath acche se behave karte ho.
Ajith:- Wo sabhi baatein sach ho sakta hai lekin kabhi ladkiyo se acche se baat nahi kar paaya.
Bachpan se hi aisa hu...Kabhi koi ladki dost bani hi nahi...Agar sach kahu to tum hi ho meri pehli ladki dost.
Ajith ne kisi tarah keh diya ye baat.
Kajal:- Matlab tum mujh par try kar rahe ho?
Kajal ne Ajith ko ghurte hue kaha...Iss baar Ajith ka dar ka koi thikaana hi nahi raha.
Ajith:- Are nahi nahi.
Ajith ne hadbadaate hue aur darte hue kaha.
Kajal ye dekh kar fir hasne lagti hai.
Ajith:- Ye bhi majaak hi tha na?
Ajith ne himmat karke puccha.
Kajal:- Aur nahi to kya?
Ajith ne abb raahat ki saans liya.
Kajal ne bhi chhori se dekha Ajith ko aur uske haalat dekh kar wo muskuraaye bina nahi reh paayi.
Kajal:- Please mind mat karna...Lekin jisse mai apna best friend maanti hu...Usko aise pareshaan karne me bahut accha lagta hai...Please seriously mat lena inn baaton ko.
Kajal ki ye baat sunn kar Ajith bahut khus ho gaya...Do hi shabd uske kaan me gunj raha tha...Best Friend.
Aaj usse friend se best friend ka promotion mila tha...Abb to uska khushi ka koi thikaana hi nahi raha.
Ye sonchte hue Ajith ki aankho me abb fir se aansu aa gaya...Soch nahi paa raha tha wo ki kya wo uske jindagi ka sabse khushi wala pal tha ya sabse bura jo wo aaj iss do raahe me hai ki naa hi wo Kajal se dur jaa paa raha tha aur naa hi usko apne kareeb aane de sakta tha.
Kabhi usse apne bebasi par rona aa raha tha to kabhi Kajal ka uske liye pyar ko dekh kar.
Iss tarah majbur ho gaya tha wo ki aaj wo koi bhi faisla nahi le paa raha tha.
काजल बहुत अच्छी लड़की है इसी लिए वो अजीत के साथ इतना दोस्ताना व्यवहार करती है। अजीत तो पहले से ही काजल की तरफ आशक्त है। दोनों कुछ बहुत ही कीमती समय एक दूसरे के साथ बिताते हैं।यही सब रानी बातें याद आ रही थी इस समय अजीत को
Fir 2-3 baar aur diya lekin uske baad unhone dena band kar diya...Kehne lage ki agar mai aise hi paisa maangta raha to jindagi bhar mujhe maangna hi padega...Kabhi aage nahi badh paaunga.
Fir maine ek hotel me bartan dhone ki kaam suru kiya...Kuch paise kama raha tha...Lekin bhaiya ko baal majduri accha nahi laga.
Aur mujhe ek government school me admission karaya aur thode bahut paise dene lage kharche ke liye.
Dhruva ne jab ye suna to uske hontho me ek muskaan aa gaya...Usse hairaani bilkul bhi nahi hua...Wo jaanta tha Ajith aisa hi hai.
Ladka:- Bhaiya...Picchle kuch dino se Ajith bhaiya bilkul badal gaye hai...Mujhse acche se baatein bhi nahi karte...Kabhi kabhi dekh kar bhi andekha kar dete hai...Kharche kw liye paise bhi school hi deta hai wo nahi.
Unke saath kuch galat hua hai kya bhaiya?
Ye kehte vakt Ladka ki aankho me aansu aa gaya aur saath hi Dhruva ke bhi.
Dhruva:- Nahi usse kya hoga...Bilkul thik hai wo...Usne tumhaare saath galat kiya na...Dekhna kaan pakad kar laaunga usse aur tumse sorry bulwaaunga...Ok.
Dhruva ne kisi tarah himmat karke hans kar keh diya...Andar se Ajith ka haalath ka soch kar wo bhi bahut dar gaya tha.
Ladka:- Ok bhaiya...Jaldi laana unhe.
Dhruva:- Bahut jald...Abb tum school jaao aur khub man laga kar padhaai karna.
Ladka:- Ji bhaiya.
Itna keh kar wo ladka bhaagte hue school chala gaya...Khush bhi bahut tha ki jald hi uske Ajith bhaiya uske saath baat karne aayenge.
Richa:- Sach me bahut accha hai Ajith.
Dhruva ne Richa ki iss baat par sirf muskura hi paaya.
Fir dono college ki andar chale gaye...Dhruva ko abhi yahi ummeed tha ki Ajith jald hi mil jaaye.
Thoda aur andar jaane ke baad usse Kajal dikhi...Kajal ke saath Preeti bhi thi...Dono hospital se baahar ki taraf jaa rahi thi.
Chalte chalte Dhruva aur Kajal ki aankhein ek dusre se mil hi gaya...Kajal ne nafrat ke saath dekha Dhruva ko aur aage badh gayi.
Dhruva:- Kajal.
Himmat karke bulaaya Dhruva ne...Lekin Kajal ne sunn kar bhi unsuna kar diya aur aage jaane lagi.
Dhruva:- Kuch baatein karni hai tumse.
Kajal se abb raha nahi gaya...Jo bhi gussa aur nafrat tha Dhruva ke liye uska hisaab aaj hi karne ka soch liya...Picche mood kar Dhruva ke paas aa gayi.
Kajal:- Kya baat hai?
Kajal ka iss nafrat ke liye Dhruva pehle se hi taiyaar tha.
Dhruva:- Ajith ke baare me baat karna hai?
Ye baat sunte hi Kajal abb apne gusse par kaabu nahi kar paayi.
Kajal:- Mujhe koi baat nahi karna hai uske baare me...Abb usse mera koi matlab nahi.
Ajith ke liye Kajal ka ye nafrat Dhruva ke liye bahut hairaani ki baat tha.
Dhruva:- Ye kya keh rahi ho? Usse koi matlab nahi...Pyar me jhagda hona aam baat hai lekin iss tarh ka naarajgi aur duriyan sahi nahi hai.
Kajal:- To mujhe kya karna chahiye?
Kajal ka gussa badhta hi jaa raha tha.
Dhruva:- Problem tum dono ke bich hai to koshish karo khud hi suljhaane ka...Pyar karte ho yaar tum dono ek dusre se...Pyar karte ho to pyar ko nibhaana bhi chaahiye...Aisi chhoti chhoti ladaai to hoti rehti hai pyar mai...Abb aise me ek dusre se munh fulaa kar bhaagna pyar nahi ego hai.
Kajal:- (In her mind) Mujhe sikha raha hai pyar ka matlab...Aur ye bhi ye...Jisne naa hi kabhi kisi se pyar kiya balki hamaare pyar ko todne ka har ek koshish bhi kiya aur aakhir kaamyaab bhi ho gaya.
Kajal Dhruva ko nafrat se dekhti rahi.
Dhruva:- Agar problem itni hi badi hai to mujhe bataao...Mai sab thik kar dunga...Mujhe yakin hai Ajith mera baat jarur maanega.
Kajal:- Problem yahi to hai...Wo aankh band kar ke tumhaara har baat maan leta hai...Issi vajah se aaj ye haal hai.
Kajal ki har ek shabd me nafrat mila hua tha.
Dhruva:- Matlab?
Kajal:- Kuch nahi...Abb tumhe kuch karne ki jarurat nahi...Tumhe jo kuch bhi karna tha kar diya...Abb to khush ho na tum? Aakhir hame alag kar hi diya na tumne.
Dhruva:- Kya? Ye kya keh raho ho tum?
Kajal:- Waah...Acting bhi bahut accha karte ho tum.
Dhruva:- Please...Khul kar kaho...Jo bhi kehna hai...Mujhe kuch samajh me nahi aa raha hai.
Kajal:- Samajh me nahi aa raha hai ya fir naa samajhne ki acting kar rahe ho?
Dhruva:- Oh god...Ye kya keh rahi ho...Aur mujh par ye kaisa ilzaam laga rahi ho?
Khair jo bhi ho...Please itna to bataao ki Ajith aisa behave kyu kar raha hai?
Dhruva paagal hua jaa raha tha.
Kajal ne kuch nahi kaha...Wo sirf gusse se dekhti rahi Dhruva ko...Dhruva ko dekh kar Preeti ko aisa laga jaise Dhruva sach me anjaan hai.
Preeti ne fir Ajith aur Kajal ke bich 2 months se ho rahi problem ke baare me sab kuch bata diya.
Sab kuch sunne ke baad Dhruva ka dar aur bhi badh gaya.
Dhruva:- Mera yakin karo Kajal maine kuch nahi kiya hai iss maamle me.
Maanta hu suruwaat me mujhe tum Ajith ke liye sahi nahi lagti thi...Aisa lagta tha jaise tum Ajith ka use kar rahi ho...Aakhir itni jaldi dosti aur pyar ye sab mere samajh se baahar tha...Aaj kal waise bhi sacche pyar se jyada log pyar iss liye karte hai kyu ki dono ek dusre ka faaidaa utha sake...Tum par bhi aisa hi shak tha.
Lekin mujhe afsos nahi hai uss baat ka...Maine jo kuch bhi kiya Ajith ke bhalaayi ke liye hi kiya...Aakhir kaise usse galat logo ke sangat me dekh sakhta tha...Lekin yakin maano jab maine Ajith ki aankho me tumhaare liye aur tumhaari aankho me Ajith ke liye saccha pyar dekha mai tum dono ke raaste se hat gaya.
Jaanta hu tum mujhse nafrat karti ho aur tum shaayad galat bhi nahi ho lekin mujhe tumse koi shikaayat nahi hai...Aaj bhi mai yakin ke saath keh sakta hu Ajith ke liye tum hi best ho.
Kajal ne kuch jawaab nahi diya...Abhi bhi wo gusse me thi...Itne saalo ki nafrat pyar ke do shabd se khatm to ho nahi sakta.
Dhruva:- Please request karta hu...Bacha lo mere dost ko...Wo bahut badi musibat me hai...Wo agar tum se bhi kuch chupa raha hai aur tum se dur jaane ki koshish raha hai to sach me koi bahut badi vajah hai.
Bachpan se jaanta hu mai usse...Wo apni problem kisi ko bhi nahi batata hai...Lekin kisi ke dil me apne liye nafrat bhi paida nahi karta...Jarur kisi badi musibat me hai wo...Please usse bacha lo.
Dhruva ne darte hue ye baat kaha...Dhruva ki baato se Preeti ki aankho me bhi aansu aa gaye lekin bahut jald usne khud par kaabu kar liya.
Kajal chup hi rahi.
Dhruva:- Please ek baar aur koshish karo...Pyar karta hai wo paagal tumse...Koshish to karo jarur batayega wo.
Kajal:- Aur kitna koshish karu...Ek baar nahi do baar nahi 100 baar koahish kar chuki hu...Lekin badle me kya milta hai mujhe...Beizzati...Majaak ban kar reh gayi hu mai...Har baar mera pyar majaak ban kar reh gaya hai wo.
Badal gaya hai wo...Tumhaari soch aur tumhaare raaste me chalne laga hai wo...Paisa aur ladkiyo ke picche bhaagne laga hai wo...Ye wo Ajith nahi raha jisse mai pyar karti thi...Abb wo tum jaisa ban gaya hai.
Bloody playboy.
Aakhiri ke line Kajal ne Dhruva ko dekh kar kaha.
Richa:- Tum apne haddh me raho...Kuch jyada hi bol rahi ho.
Kajal:- Tum kaun ho?
Dhruva:- Meri gf.
Kajal:- 50th ya 100th?
Richa:- Abb bas...Bahut hua...
Richa ka gussa abb kaabu me nahi raha...Wo kuch kehti usse pehle Dhruva ne kaha.
Dhruva:- Richa please shaant ho jaao.
Richa chup to ho gayi lekin Dhruva ko gusse se dekhti rahi...Ek hi shikaayat tha...Dhruva apne character par ungli uthane ke baad bhi kyu chup hai?
Dhruva:- (To Kajal) Mai jaanta hu mai tumhe pasand nahi...Mere baare me kuch bhi kaho...Lekin Ajith se dur mat jaao...Mar jaayega wo tumhaare bina...Bahut pyar karta hai wo tumse...Please kuch to karo uske liye...Pyar karti ho na tum bhi usse...Ek baar aur koshish karo na uski problem jaane ke liye.
Dhruva bahut hi emotional ho gaya tha.
Kajal:- Wo tumhaara sirf dost hai lekin mera pyar...Maine usse apna sab kuch maana hai.
Maine har baar beizzat hone ke baad bhi uske saamne jhuk kar jaane ki koshish kiya hai uska majburi...Lekin wo majbur nahi hai apne khushi se ye sab kar raha hai...Tumhaara sangat ne tumhe usse tumhaare jaisa bana diya.
Abb badal gaya hai wo...Abb meri taraf dekhna bhi pasand nahi karta wo.
Ye kehne ke baad Kajal ki aankho me aansu aa gaye...Ajith ki iss badlaaw har pal usse rulaa raha tha.
Kajal:- Aur kitni baar...Mera bhi kuch self respect hai...Har baar apna beizzati to nahi kara sakti sabke saamne.
Dhruva:- Pyar me self respect kaisa? Ek dusre ke pyar aur khushi ke liye kuch bhi kar jaana hi to pyar hai...Agar pyar me self respect ke baare me sochne lage to ye ego hai...Aur pyar me afar ek baar ego aa gaya to wo pyar nahi rehta.
Kajal:- Waah...Kar diya na tumne racism ki baat? Har baar ladki ko hi jhukna chaahiye.
Dhruva:- Maine aisa kab kaha...Agar tumhaari jagah Ajith hota to usse bhi mai yahi samjhaata...Pyar me ladka ho ya ladki haalaath se ladne ke liye dono ko ek dusre ke saamne kabhi jhukna padta hai.
Aaj tum jhuk gayi aur Ajith ki problem ko solve kar paayi to kal Ajith bhi aisa hi karega...Pyar karte to sabhi hai lekin nibhaate bahut kam hi hai...Aur jo pyar nibhaate hai unka hi pyar safal hota hai.
Kajal iss baar chup hi rahi...Dhruva ki baato me usse sacchaai dikh raha tha iss baar.
Dhruva:- Khair...Shaayad tum mera baat samajhna hi nahi chaahti.
Bas itna kahunga tumhaare liye mujh se jyada jaruri Ajith hai...Chaho to mujhse hamesha nafrat karo mujhe koi problem nahi...Lekin Ajith ko apnaa lo.
Self respect jaruri hai...Lekin kahi aisa na ho ki tumhaari self respect hi tumhaari khushiyan cheen le...Kahi aisa na ho ki Ajith apni koshish me jeet jaaye tum se alag hone ka...Ajith ki koshish to jeet jaayegi lekin pyar haar jaayega.
Tum bhi samajhdaar aur matured ho...Soch samajh kar faisla lo...Aaj ki faisla se kal tumhe pachhtaana na pade.
Itna keh kar Dhruva aage badh gaya.
Dil me ajeeb sa dar baith gata tha uska...Jaanta tha Ajith bahut badi mushibat me hai...Kisi tarah usse Ajith ka majburi jaana tha...Yakin tha ki itna aasani se pata nahi chalega lekin wo har ek koshish karne ke liye taiyaar tha...Aaj usse apna uss dost ke liye kuch karna tha jisne usse dosti shabd ka matlab bataya tha.
Richa bhi uske saath aage badh gayi.
Kajal wahi khade soch me pad gayi...Preeti peeche se Dhruva ko dekhti rahi...Man to kar raha tha ki sab kuch bata de lekin wo kisi tarah chup hi rahi.
यहां पर काजल और ध्रुव में गलतफहमी हो गई थी। ध्रुव काजल और अजीत के प्यार को समझ नहीं पाया और दोनों को अलग करने की कोशिश की, जिसके कारण काजल के दिल मे नफरत भर गई ध्रुव के लिए।।
प्रीति को लगता है सब पता है अजीत के बदलने की वजह। अगर उसे पता है तो वो बता क्यों नहीं देती ध्रुव को या काजल को।।
Kajal se baat karne ke baad Dhruva aur Richa aage canteen me chale gaye.
Richa:- Wo tumhaare baare me itna galat bol rahi thi...Fir bhi tum chup thhe?
Dhruva:- Sab vakt ka khel hai.
Richa:- Kya matlab?
Dhruva:- Vakt hi aisa hai ki mai kuch kar nahi sakta...Abhi mere liye jaruri ye hai ki Ajith ki pareshaani dur karu naa ki aisi baaton par jhagda.
Galat to wo (Kajal) bhi nahi hai...Har baar maine Ajith aur Kajal ke bich aa kar galat hi kiya hai...Kaise wo bhul jaayegi ye sab kuch itni jaldi.
Jo bhi gussa aur bhadaas tha wo baahar nikaal diya usne aaj.
Richa:- Fir bhi mujhe ye sab accha nahi laga.
Dhruva:- Kaise lagega? Pyar jo karti ho tum mujhse.
Dhruva ne muskura kar kaha.
Richa:- Abhi bhi majaak.
Dhruva:- Majaak nahi pagli ye pyaar hai.
Richa:- Dekh liya maine tumhaara pyar ye do din me.
Richa ne to ye baat majaak me kaha tha...Lekin.
Dhruva:- Sorry yaar...Sach me do din se tumhe jyada time nahi de paa raha hu...Hamaari shaadi bhi tay ho gaya hai fir bhi mai tumhe acche se time nahi de paa raha hu...Bas Ajith ki pareshaani dur kar du fir vaada karta hu...
Dhruva isse aage kuch bolta ussr pehle hi Richa ne usse bich me rok kar kaha.
Richa:- Majaak kar rahi hu...Tum to serious hi ho gaye...Vishwas hai tum par.
Richa itna keh kar muakuraane lagi...Dhruva kuch der ke liye sab kuch bhula kar Richa ki muskaan me kho gaya...Itni pareshaani ke baawjud Richa ki muskaan usse ek alag hi raahat de raha tha.
Richa:- Kaha kho gaye janaab?
Dhruva:- Tumhaari ishq me.
Richa:- Flirting kar rahe ho?
Dhruva:- Ha...Abb to hak hai mera.
Dhruva ki iss baat par Richa sharmaa gayi.
Dhruva:- Aaj bhi wohi sharmaane ki adaa...Issi par to mai fidaa ho gaya tha.
Richa:- Abb bas bhi karo...Warna log hame hi dekhne lagenge.
Richa ne idhar udhar dekh kar kaha.
Dhruva:- To mai darta hu kya? Bhulo mat aaj bhi mai wohi aashiq hu.
Dhruva ne thoda tej aawaj me kaha.
Richa:- Bas bas...Yaad hai tumhaara aashiqui...Abb sabhi ko cheekh kar sunaane ki jarurat nahi hai.
Richa ne shikaayati lehje me kaha.
Richa ka ye expression dekh Dhruva muakuraaye bina nahi reh saka...Fir Richa bhi saath me muskuraane lagi.
Ajith:- Koi khaas kaam tha?
Preeti:- Ha...Baat karni hai.
Ajith:- Kya?
Preeti:- Jaise tumhe kuch pata hi nahi?
Preeti ki baat sun kar Ajith chup ho gaya...Usse pata tha Preeti aaj bhi ussi baare me baat karne aayi hai jis baare me wo kisi se bhi baat nahi karna chaahta tha.
Ajith khaamosh hi raha.
Preeti:- Come on Ajith!!! Be brave?
Ek aasha thi Preeti ki aankho me...Kaash Ajith iss baar maan jaaye.
Ajith:- No...Not this time...Let me be looser this time.
Now its enough...I am tired of being brave and fighting since my birth.
Jaanti ho jab se paida hua hu hamesha ladta hi aa raha hu...Khud se aur apne takdeer se apne haisiyat aur bhavisya ke liye.
Bahut baar lad chuka hu ye jung...Kayi baar haar mila hai to kayi baar jeeta bhi hu...Lekin abhi jo jung hai na wo jung ladna bhi nahi chaahta hu.
Dar lag raha hai.
Preeti:- Ek baat jaante ho.
Ajith:- Kya?
Preeti:- I hate you.
Pure nafrat se Preeti ne kaha...Jawaab me muskura kaha Ajith ne.
Ajith:- I know.
Preeti:- (Angrily) Tum muskuraa rahe ho.
Jab se tumhe jaanti hu hamesha tumse nafrat hi kar rahi hu...Pehle tum sahi thhe aur mai galat.
Abb jab mai sahi hu to tum galat raaste me chal rahe ho.
Please yaar request hai tumse...I want that Ajith back jisko mai jaanti thi, jisse mai nafrat karti thi.
Preeti bol to gusse me rahi thi lekin ek ummeed bhi thi...Kaash Ajith uski baat maan le.
Lekin Ajith kuch nahi bola.
Preeti:- Kajal ke liye?
Preeti har ek koshish kar rahi thi.
Abb Ajith se bhi raha nahi gaya.
Ajith:- Ussi ke liye hi to kar raha hu ye sab.
Preeti:- Kya kar rahe ho uske liye? Sirf rulaa hi rahi ho bechaari ko...Kya galti hai uski...Yahi na ki wo tumse pyar karti hai?
Ha galti uski hi hai...Galti kar diya usne tum jaise insensitive insaan se pyar kar ke.
Preeti ka gussa badhta hi jaa raha tha.
Ajith:- Please...Bekaar ki baat band mat karo...Sacchai to tum bhi jaanti ho...Mera aisa karne ka vajah...Jaanti ho na tum bhi...Agar maine sacchaai bata diya to kya hoga? Fir bhi aisi baatein?
Ajith se bhi abb raha nahi gaya.
Preeti:- Jaanti hu...Acche se jaanti hu...Kitna dard hoga usse aur kitna bura lagega.
Lekin socho...Agar sab kuch thik ho gaya to isse jyada khushi ki baat uske liye kuch nahi hoga.
Please...Maan lo meri baat...Be brave...Himmat to karo...Dekhna sab thik ho jaayega.
Ajith:- Itna aasaan bhi nahi hai...Aur mai koi risk nahi lena chaahta...Maine himmat kiya aur fir bhi haar gaya to Kajal ki haalat ke baare me soch kar hi dar lagta hai.
Bahut pyar karti hai wo mujhse...Seh nahi paayegi wo.
Preeti:- Aaj Dhruva aaya tha college me subah.
Dhruva ki naam sunte hi Ajith ko ek dar sa lagne laga...Dhruva ki jidd se wo pehle hi waakif tha.
Preeti:- Ek alag hi jidd aur junoon dekha hai maine uski aankho me tumhaari pareshaani ko dur karne me.
Ajith:- Dhruva to hai hi aisa...Koi hairaani ki baat nahi hai.
Aaj kal to apne hi khoon dhokha de deta hai lekin wo aisa dost hai jo har haal me saath nibhaata hai.
Chaahe kuch bhi ho...Iss baar mujhe uske jidd aur junoon ko bhi haraana hai...Pyar ke liye chaahe kuch bhi kyu na karna pade.
Ek alag hi hausla tha Ajith ki aankho me jo Preeti ki har nahi ummeed ko hamjor bana raha tha.
Preeti:- Tum maanna hi nahi chaahte.
Abb Preeti bhi haar maane me majbur ho gayi...Yakin ho gaya usse bhi Ajith ki faisla ke saamne wo aur tik nahi paayegi.
Kabhi usse Ajith ka patthar dil ban jaane par gussa aata to kabhi Ajith ki haalat dekh rona aata.
Abb Ajith bhi waha se jaane laga...Usse pata tha kuch der aur waha raha to wo bhi pighal jaayega jo wo hone nahi dena chaahta tha.
Preeti:- Kya ishq insaan ko itna kamjor bana deta hai?
Bebsi me pucha Preeti ne.
Ruk kar jawaab diya Ajith ne.
Ajith:- Nahi ishq taaqat deta hai...Apne liye nahi apno ke liye jeene ki taaqat.
Aur ye Kajal ki pyar ki hi taaqat hai ki mai aaj apne baare me nahi Kajal ke baare me soch raha hu...Kuch bhi kar sakta hu Kajal ki ek khushi ke liye.
Itna keh kar Ajith waha se chala gaya...Lekin uski aankho ki aansu Preeti ki najro se ba h nahi saka.
Preeti Ajith ko sirf jaate hue dekhti rahi...Aaj bhi Ajith uske samajh se baahar tha.
Kabhi usne uss Ajith ko dekha tha jo maasum tha, sabhi se pyar karta tha aur apno ke khushi ke liye kuch bhi karta tha...Aaj bhi Ajith waisa hi tha apno ki khushi ke liye khud ka bhi fikra nahi karta tha lekin aaj wo apno ke khushi ke liye apno ko rulaana bhi sikh gaya tha.
Kisi ne sach hi kaha tha "Vakt hi sabse balwaan hota hai."
Naa hi aaj wo (vakt) Ajith ke bas me tha, naa hi uske sacche pyar ka aur naa hi kisi ka...Koi usse nahi badal sakta tha...Bas wo badh raha tha to ek tabaahi ki taraf...Ajith aur Kajal ki pyar ki tabaahi.
प्रीति को सब पता है कि सच्चाई क्या है लेकिन वो भी किसी को नहीं बता रही है। अजीत जानबूझकर काजल को अपने स्व दूर कर रहा है। कहीं ऐसा तो नहीं कि अजीत को कोई ऐसी बीमारी हो गई हो जिसका कोई इलाज नही। ब्रेन ट्यूमर, कैंसर जो आखिरी स्टेज पर ही, इसलिए वो काजल के दिल में अपने लिए नफरत पैदा कर रहा है जानबूझकर। ताकि जब उसे कुछ हो तो काजल टूटकर बिखरे न।।
Richa:- Kuch karne ka...Ajith ki pareshaani jaane ka?
Dhruva:- Abhi nahi...Lekin kuch karunga jarur.
Dhruva ne pure aatmavishwas ke saath kaha.
Richa:- Mere khayal se tumhe Ajith se baat karna chaahiye...Wo tumhe jarur batayega...Bachpan se hi best friend ho tum dono.
Dhruva:- Itna aasaan bhi nahi hai ye...Ajith ko acchi tarah se jaanta hu...Wo apna problem kisi ko batata bhi nahi hai...Agar kisi ko na bataane ki thaan le to kisi haal me bhi nahi bataayega.
Richa chup hi rahi.
Dhruva:- Bahut mushkil vakt hai...Kuch samajh me nahi aa raha hai...Ajith bataane ko taiyaar nahi...Aur uski pareshaani bhi samajh me aa nahi raha hai.
Lekin ek dar sa mehsus kar raha hu...Ajith jarur kisi badi mushibat me hai...Lekin kya? Kuch pata nahi...Aur kuch kar bhi nahi paa raha hu.
Richa:- Aisi haalat me sirf Kajal hi kuch kar sakti thi...Lekin wo bhi abb Ajith se baat karne ko taiyaar nahi.
Dhruva:- Sab kaarnaama Ajith ka hi hai...Wo jaan bujh kar Kajal ke dil me apne liye nafrat paida kar raha hai.
Kajal se kyu dur jaa raha hai wo ye acchi tarah samajh me aa raha hai...Jarur wo aisa kisi majburi me hoga jis ka taklif wo Kajal ko sehne nahi dena chaahta...Saari taklifein wo khud hi sahega aur agar sab kuch thik hoga to hi wo Kajal ke paas jaayega.
Wo jise apna maanta hai kabhi unhe khud ki taklif me shaamil nahi karta...Unhe khus rakhne ki har koshish karta hai...Unki taklif me shaamil hota hai, unka dard apne hisse me bhi leta hai lekin apna dard me kisi ko shaamil hone nahi deta.
Kabhi uske dost hone par garv mehsus hota hai to kabhi us par gussa aata hai...Jaise abhi.
Richa:- Ye to bahut galat hai...Pyar aur dard dono aapas me baantna chaahiye...Pyar badhta hai to dard kam hota hai...Aur pareshaani ko mil kar saamna karne se koi na koi raasta to nikal hi jaata hai.
Dhruva:- Lekin uss paagal ko kaun samjhaaye...Mere bas ki baat nahi hai...Bahut baar samjha chuka hu lekin maanta hi nahi.
Fir dono ke bich khaamoshi chaa gaya...Dhruva ko kuch yaad aaya.
Dhruva:- Abhi bhi ummeed hai ki sab kuch thik ho jaaye.
Ajith sahi kehta tha...Sabse balwaan vakt hota hai...Jo bhi hota hai vakt ki marji se hota hai...Koi vakt ke saath lad nahi sakta...Lekin ham sirf itna kar sakte hai ki khud ka hausla banaye rakh sakte hai...Aur ussi se ham mushkil vakt me lad sakte hai.
Vakt ne ham dono ko anaath banaya...Fir acche vakt bhi aaye...Wo Doctor bana aur mai Engineer...Vakt ne kuch iccha ko pura kiya to kuch pura na ho saka...Acche vakt bhi jiya aur bure vakt bhi.
Mujhe lagta hai abhi Ajith ka bura vakt chal raha hai lekin aisa din bhi aayega jab uska ye andhera raat dhal kar nayi subah bhi aayegi.
Ye kehte vakt Dhruva ki aawaaj me ummeed tha...Sirf ummeed...Aur wo yahi dua kar raha tha ki kaash uski ye ummeed sacchai me badal jaaye.
Fir achanak usse hakikat bhi yaad aaya.
Dhruva:- Nahi...Itna aasaan bhi nahi hai...Jo Ajith kehta tha hame apna hausla banaye rakhna chaahiye muahkil vakt me aaj wo hi apna hausla haar chuka hai.
Dekha tha maine usse kal bar me...Ha nashe me jarur tha lekin uski aankhein sacchai bata raha tha.
Bahut bebas aur laachar dekha maine usse...Itna bebas kabhi nahi tha wo...Aisa lag raha tha jaise wo apni saari ummeed kho chuka hai.
Ye wo Ajith nahi hai jo pehle hua karta tha...Aatma vishwash, himmat ause sehenshilta uska pehchaan tha lekin abb ussi Ajith ko mai ek darpok aur kamjor insaan ke roop me dekh raha hu.
Pata nahi kya ho gaya mere dost ko...Agar usse galti se bhi kuch ho gaya to mai khud ko maaf nahi kar paaunga...Jis dost ne mera itna saath diya ussi dost ka ek pareshaani tak dur nahi kar paaya...Kaisa dost hu mai aur kaisi hai ye meri dosti.
Dhruva ki aankho me aansu aa gaya aur dil me khud ke liye hi nafrat.
Richa:- Sambhaalo khud ko...Ye Ajith ki pareshaani dur karne ka vakt hai naa ki khud hi haar maane ka.
Richa ne Dhruva ke aansu ponchte hue kaha.
Dhruva:- Ha...Sahi keh rahi ho...Agar mai hi kamjor pad gaya to Ajith ka kya hoga...Vakt aa gaya hai apne dosti ka farz nibhaane ka.
Dhruva ki aawaj me fir wo hi puraana josh aa gaya.
Dhruva:- Chalo.
Richa:- Kaha?
Dhruva:- Pata nahi...Lekin yaha baithne ka man nahi kar raha...Kahi chalna chahiye...Kuch karna chaahiye...Raasta khud mil jaayega...Aise baithe rehne se kuch haasil nahi hoga.
Fir Dhruva aur Richa Ajith ki hostel ki taraf chale gaye.
Dhruva:- Bas ek hint mil jaaye...Sab kuch thik kar dunga.
Ek alag hi junoon sawar ho gaya tha Dhruva ki dil aur dimaag me.
Richa:- Tum uske dost ho yahi ek hint hona chaahiye.
Kuch sochte hue kaha Richa ne.
Dhruva:- Kya?
Richa:- Tum uske dost ho...Close friend...Tumhe uska taaqat aur kamjori dono pata hoga...Mujhe lagta hai uska koi kamjori hi uska pareshaani hai.
Insaan ki kamjori hi kabhi kabhi usse iss tarah se bebas aur laachar bana deta hai ki wo apne kamjori se ladne ki himmat tak kho deta hai.
Dhruva ko bhi Richa ki baat sahi laga...Lekin kuch soch nahi paaya...Fir usse khud par gussa aane laga.
Dhruva:- Mujhe to ye bhi pata nahi uska kamjori kya hai...Naa hi kabhi usne bataya aur naa hi kabhi mai jaan paaya.
Sirf itna jaanta hu wo bahut emotional hai...Lekin apne emotion ko kabhi express nahi kar paata.
Issi vajah se apne mushibat, dar aur kamjori ko nahi kehta tha...Aur mai bewkuf...Kabhi ye baatein jaana jaruri bhi nahi samjha.
Abb Dhruva ke paas khud ko kosne ki alawa kuch baaki nahi tha.
Wo aise hi khud ko kos hi raha tha ki achanak se usse kuch yaad aaya...Yaad aate hi chehre me dar ke bhaaw teji se fail gaye...Man me dua karne laga ki kaash ye bilkul bhi sach na ho.
Ajeet ki kya pareshani hai wo aisa bartaav kyon kar raha hai yehi sochkar dhruv pareshan hai. Use samajh me nahin aa raha tha ki wo kaise dhruv ki pareshani ko dur kare. Richa use hausla deti hai. Koi n koi rashta to jarur hai ajeet ki pareshani ke bare me pata lagaane kaa. Shayad doctor vijay hi kuchh madad kar paaye Dhruv ki..
Aaj bhi Kajal ussi jheel me Ajith ka intejaar kar rahi thi.
Ajith:- Wo kya hai na...Aaj traffic me fas gaya tha.
Ajith ne daant dikhaate hue kaha.
Kajal:- Abhi bhi dhang se jhuth nahi bol paa rahe ho...Agli baar fir koshish karna.
Ajith:- Lagta hai Madam ji aap bahut naraaj hai.
Ajith ne manane ki tone me kaha.
Kajal:- Mai kyu houngi naraaj...Mere paas aisi faaltu cheej ke liye time nahi hai.
Ajith:- (Muskuraate hue) Wo to tumhaari aankhein aur aawaj saaf bata raha hai.
Kajal:- Accha...Bahut acche se padh lete ho meri aankhein aur aawaj ko.
Ajith:- (With smile and in very low voice) Wo to kaam hi hai mera.
Kajal:- Kya?
Ajith:- Kuch nahi.
Kajal:- Abb please tum aur mood kharab mat karo...Mai pehle se hi bahut upset hu.
Ajith:- (Seriously) Kyu? Kya hua?
Kajal:- Tum nahi jaante?
Ajith:- Nahi? Kya hua?
Kajal:- College me afwaah fail raha hai ki ham dono ek dusre se pyar karte hai...Ham dono couples hai.
Stupids...Dosti ko bhi pyar ke naam de dete hai...Aur inhe dusro ke baare me baatein karne se hi maja aate hai...Khud ke life kitna bhi ghatiya aur bure haalaath se kyu na gujar raha ho fir bhi unhe entertainment ke liye dusro ke baare me bakwaas gossip karna band nahi karenge.
Kajal ne bahut gusse me kaha.
Ajith kuch nahi bola...Abb uske chehre me dar ke kuch bhaaw dikh rahe the.
Kajal:- Mai itne gusse me hu aur tum chup ho.
Itna keh kar Kajal Ajith ki taraf dekhne lagi.
Kajal ki baat se Ajith ki dar aur badh gaya...1 saal me usse bhi lagne laga tha ki Kajal bhi usse pasand karti hai...Aur yahi baat khud se kleh kar wo khus ho jaata ki Kajal bhi usse pasand karne lagi hai.
Pyar ka izahaar kiye bina hi dono pyar ki panchhi jaise hi jee rahe thhe...Ek dusre ke saath ghumna, baatein aur hansi majaak karna, ek dusre ke liye fikar karna, ek dusre ka khayal rakhna, ek dusre ke liye ladna...Kabhi kabhi raat bhar ek dusre se baatein karna.
Bhale hi dono ke bich pyar ka izahaar nahi hua tha abhi tak...Lekin dono ko dekh kar koi bhi keh sakta tha ki dono dost se jyada hai...Aisa rishta ban gaya tha dono ke bich.
Abb achanak se Kajal ki pyar ki baare me aisi naarajgi aur gussa Ajith ko daraane ke liye kaafi tha.
Fir wohi puraana dar...Kya Kajal uska pyar ko apnaayegi? Abb yahi dar Ajith ke chehre me dikhne laga tha.
Kajal:- Aise chup kyu ho?
Ajith fir bhi kuch nahi bola.
Kajal:- Atleast unko kuch jawaab to de sakte ho...Mai kitna deti rahungi?
Lekin Ajith fir bhi chup raha.
Abb Kajal ko hairaani hone laga...Kuch kuch shak bhi hone laga.
Kajal:- Matlab tum...
Kajal isse aage nahi boli...Aur Ajith ko dekhne lagi.
Ajith:- Haa.
Isse aage Ajith bhi kuch nahi bola.
Dono ke bich abb khaamoshi chaa gayi...Kajal Ajith ko hi dekhti rahi...Shaayad Ajith ka kuch kehne ki intejaar me thhi.
Ajith kabhi kabhi Kajal ko dekhta lekin agle hi pal najar hata leta tha...Wo Kajal se aankhein mila bhi nahi paa raha tha aur dil me ek ajeeb sa dar sata raha tha.
Wo hi dar jo agar sach ho jaata to shaayad usse uski jindagi chheen sakta tha.
Abb fir usne bhagwaan ko yaad kiya...Aur dua me yahi maanga...Kaash uska jindagi ka sabse khubsurat taufa usse mil jaaye jiske saath wo saari jindagi jee sake.
Ek baar usne fir Kajal ki aankho me dekha...Abb usne tay kar liya.
Ajith:- (In his mind) Isse accha mauka nahi milega...Aaj mujhe apne dil ki haal bataana hi hoga...Dar dar kar hi to 1 saal gawa diya...Aur agar aaj bhi dar gaya to fir kabhi himmat nahi kar paaunga...Aakhir kab tak darta rahunga?
Waise bhi maine saccha pyar hi kiya hai...Koi gunaah nahi kiya...Agar mere pyar me sacchaai hai aur mai Kajal ki pyar ke laayak hu to wo mere pyar ko jarur apnaayegi.
Koshish jarur karunga apne pyar ki izahaar ki...Baaki mera kismat.
Ye sochne ke baad Ajith ne kuch der ke liye aankhein band kiya...Fir aankh khol kar Kajal ki aankho me dekha aur sacche dil se apne dil ki baatein bol hi diya.
Dono ki dosti ko pyaar ka naam dekar college me charcha bhi hone lagi. Kajal ko yahi baat achhi nahin lagi jise batane ke lie usne ajeet ko jheel kinare bulaya hai. Kajal ki narajgi dekh ajeet dar jata hai aur bahut soch vichaar kar ke himmt bandhkar apne pyaar ka izhaar kajal se karta hai. Ab dekhna ye hai ki uske pyaar ke izhaar par kajal ka kya reaction hota hai...