• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Khwahishein (Completed)

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Supreme
28,184
56,375
304
UPDATE 19

Fir Ajith Kajal ki jawaab ka intejaar karne laga...Ek ummeed tha Kajal uska pyar ko apna legi...Aur ek dar bhi tha...Kahi Kajal uska pyar na thukra de.

Ek najar Kajal par daala...Wo hairaani se Ajith ko hi dekh rahi thi...Wo bhi kuch bol nahi paa rahi thi.

Ajith:- (In his mind) Nahi aaj darna nahi...Isse accha mauka kabhi nahi milega.

Ajith ne ek baar fir apne dil ko majbut kiya aur kehna suru kiya.


Ajith:- Aaj se nahi jab se tumhe dekha hai tabse pyar karta hu tumse...Wo kehte hai na love at first sight...Wohi.

Jabse tumse pyar kiya hai tabse mera duniya tumse hi suru hota hai aur tum par hi aa kar khatam.

Paagal sa ho gaya hu mai tumhaare pyar me...Bata nahi sakta tumhe kitna sukun milta hai tumse milna, tumse baatein karna, tumhaare saath rehna, sukh dukh baantna.

Tumse milne ke baad hi mehsus kiya hai maine khushiya kya hote hai aur sukun kise kehte hai...Aane wale kal ka sunhare sapna bhi sajana suru kar diya.



Kajal:- Aisa kya dikha mujhme jo tum mere pyar me itna paagal ho?

Kajal ko bhi Ajith ki munh se apne liye taarif bahut accha lag raha tha.

Ajith:- Sab kuch...Tumhaare andar ki insaaniyat, acchaayi, dosti, baat karne ki tarika, talent aur tumhaara har ek gun. Sabse jyada tumhaara mere saath dosti.

Tumhaara dosti mere jindagi ke sabse hasin pal me se ek hai...Naa hi itni khushiyan pehle kabhi mili thi aur tumhaare bina shaayad hi kabhi mile...Tumhaare saath dosti ke jitne bhi pal bitaaye hai usme har ek vajah mila hai mujhe tumse pyar karne ki.

Tumse pyar na karne ki koi vajah bhi nahi hai.

Kajal:- Aur meri khubsurti?

Ajith:- Dil se tum bahut khubsurat ho.

Kajal:- Chehre se?


Ajith:- Chehre se bhi bahut khubsurat ho...Ye kehna jhuth nahi hoga ki maine tumse jyada khubsurat ladki kabhi dekha hi nahi.

Tumhaare khubsurti me to koi bhi fidaa ho jaayega...Mai bhi ho gaya tha... I appreciate your beauty lekin pyar tumhaare dil ke khubsurati ki vajah se kiya hai.

Chehre ka khubsurati aaj hai kal ka kuch nahi keh sakte...Lekin tum dil se jitna bhi khubsurat ho wo kabhi nahi badlega.

Chehre ki khubsurati dekh kar pyar karne wale kuch hi vakt ke liye pyar karte hai...May be 2 days, 2 weeks, 2 months or 2 years...Isse jyada nahi...Aur mujhe chaahiye tumhaara jindagi bhar ke liye pyar.

Wo pyar jaha sirf do dil ho...Aur naa hi dono ke bich roop, jaat, dharm, haisiyat jaise kuch rukaawat...Wo pyar jo sirf khubsurati tak hi simat kar na reh jaaye...Wo pyar jisme har haalaath aur har majburi se ladne ki taaqat ho...Wo pyar jo hamesha ek dusre ka saath nibhaane ki kaabil ho.

Mai bhi tumse hamesha utna hi pyar karunga jitna aaj karta hu...Vaada karta hu har haal me tumhaara saath dunga.


Kajal ko Ajith ki baaton me sacchai dikh raha tha.

Ajith ka bhi ummeed badh raha tha...Kaash Kajal uska pyar samajh le.

Kajal:- Agar maine tumhaara pyar ko inkaar kar diya to?

Jaha Ajith ki aankho me ummeed dikh raha tha abb waha aansu aa gaye.


Ajith:- Fir bhi tumhaara decision ka respect karunga...Ye tumhaara life hai decision bhi tumhaara hona chaahiye...Mai tumse pyar karta hu to tumhe bhi mujhse pyar karna chaahiye ye jaruri bhi to nahi...Agar aisa hota to ye deal hota pyar nahi.

Khair, mai tumhaare jindagi me khushiyon ka dua karunga...Tumhe har wo khushi mile jo tumne chaaha hai aur waise hi khush rehna jaisa mai apne dost Kajal ko jaanta hu.


Ajith ki aankho me abb aansu tha aur hontho me muskaan.

Kajal:- Lekin tumhaati aankho ki aansu to kuch aur hi bata rahe hai.

Ajith:- Hontho ke muskaan bhi kuch aur hi keh rahe hai...Aansu to khud ke liye hai aur muskaan tumhaare liye.

Abhi bahut dard mehsus kar raha hu...Tumhe khone ka dard...Ek khwahish adhuri rehne ka dard...Lekin tum meri parwah mat karna...Jo tumhaara dil kahe wohi karna.

Dard to bahut ho raha hai...Aisa lag raha hai jaise meri jindagi mujhse dur jaa raha ho...Lekin koi baat nahi aaj nahi to kal sambhal jaaunga...Jaise sambhalta aaya hu.


Aur mai tumhara iss decision ka respect karta hu...Aaj tak tumhara har soch aur faisla ka sammaan kiya hai to isse kyu nahi...Mai bhi to yahi chaahta hu...Tum jaha bhi raho aur jaise bhi raho khus raho...Agar mere bina bhi tumhe khushi mil sakta hai to kyu nahi.

Ajith ka dil toot gaya tha...Lekin wo fir bhi bolta raha...Shaayad Kajal ki khushiyan ne usse itna bolne ki taaqat de diya.

Abb Ajith se aur raha nahi gaya.

Wo waha se jaata isse pehle ek baat yaad aa gaya.


Ajith:- Lekin ek request hai...Hamaara dosti ko mat todna...Pyar bhale hi nahi lekin tumhaara dost bana rehna chaahta hu.

Ajith itna keh kar thoda aur aage badha...Fir ruk gaya.

Ajith:- Agar meri jarurat padi to kabhi bhi yaad kar lena...Chala aaunga tumhaare paas...Tumhaara har mushibat aur pareshaani se lad jaaunga.

Abb Ajith se kuch bola nahi gaya...Bolna to bahut kuch chaahta tha lekin uska toota hua dil usse aage kuch bolne nahi de raha tha.

Ek aakhiri najar Kajal ko dekha aur waapas mud gaya...Abb aankhon se aansu ki jharna behne laga.

Abb wo waha se fir jaane laga...Lekin jaate vakt bhi Kajal ke khushiyon ke liye hi dua karta raha.


Kajal:- Stupid.

Ek pyari si voice me kaha Kajal ne.

Kajal ki iss baat sun kar Ajith ruk gaya...Fir mud kar Kajal ki taraf dekha.

Kajal:- Tumhe hi keh rahi hu.

Kajal Ajith ki taraf badhne lagi.

Ajith ko kuch bhi samajh me nahi aa raha tha ye sab kya ho raha hai.

Kajal:- Tum pyar to bahut karte ho...Lekin meri pyar samajh nahi paaye.

Ajith hairaani se Kajal ko dekhne laga.

Kajal:- Kya tumhe meri aankhon me pyar nahi dikhta?

Kajal ki iss baat ne Ajith ki saari khushiyan waapas lauta diya...Usse to yakin hi nahi ho raha tha Kajal ki baat pe...Ek baar to usse laga ki kahi ye sapna to nahi.

Uska ye bhram tab dur hua jab Kajal uske paas aa kar uski aansu ponchne lagi.

Ek baar fir Ajith Kajal ko dekhne laga...Dono ki aankhein ek dusre se mila.

Aankho se hi Ajith ne fir sawaal puccha...Kajal ne bhi Ajith ko haa me jawaab diya.

Abb Ajith se aur raha nahi gaya...Kas kar usne Kajal ko apne gale laga liya.

Kajal ko gale lagate hi usse duniya bhar ki khushiyan mehsus hua...Jindagi bhar ke liye usse uska pyar mil gaya...Jeene ki vajah aur jeene ki makshad...Fir wo soye hue armaan aur sapne jaag gaye...Dil se bhagwaan ki shukriya adaa kiya usse uska sabse khubsurat taufa dilaane ke liye.

Kajal ko apne baaho me dekh kar Ajith ko Kajal par aur bhi pyar aa raha tha aur khud ko wo bahut hi khus naseeb samajh raha tha.

Ajith:- (To himself) Kabhi tumhaara saath nahi chhodunga.
बहुत ही बेहतरीन महोदय।।

आखिरकार अजीत ने अपने प्यार का इज़हार कर ही दिया। उसके दिल मे जो था उसने सबकुछ काजल से कह दिया। उसे काजल के कुछ सवाल से निराश जरूर हुई लेकिन वो काजल की खुशी में ही खुश हो गया। उसे एक बार तो लगा कि शायद काजल उसके प्यार को स्वीकार न करे, लेकिन काजल ने उसकी उम्मीद के विपरीत उसके प्यार को स्वीकार कर लिया। अजीत को तो जैसे सारे जहां की खुशियां मिल गई।।
 

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Supreme
28,184
56,375
304
UPDATE 20

Kajal:- Itne chup kyu ho.

Ajith:- Kya bolu...Kuch samajh me nahi aa raha hai...Aisa lag raha hai jaise tumhe dekhta hi rahu.

Kajal:- Dekh hi to rahe ho picchle 1 ghante se.

Ajith:- Kyu ki tum ho hi itni khubsurat...Man hi nahi bharta.

Kajal:- Accha ji...Abb aapko meri khubsurati dikh raha hai.

Ajith:- Wo to bahut pehle se dikhta tha.

Kajal:- To fir itni der kyu kiya?

Ajith:- Kaise batata? Pyar karna jitna aashaan hai utna hi mushkil hai izahaar karna.

Pyar to bahut karta hu tumse lekin ek dar hamesha tha ki kahi tumhe kho na du...Iss liye apne dil ki baat bataane se darta tha.

Waise tum bhi kam saitaan nahi ho...Aaj to dara hi diya tha.


Ajith ki aawaj me shikaayat tha.

Kajal:- (Najar ghumaate hue) Wo...

Ajith:- Ha aage bhi bolo.

Kajal:- Aadat daal lo.

Ajith:- Kis baat ki.

Kajal:- Mujhe jhelne ki...Bahut galat ladki se pyar kar liya hai tumne...Mere nakhre issi tarah uthaane honge jindagi bhar.

Ajith:- Galat ladki nahi...Jis ladki se mai pyar karta hu wo to bahut pyari hai...Aur wo aur uski nakhre hi to meri jindagi hai abb.

Ajith ne muskura kar kaha.

Kajal:- Kitna pyar karte ho mujhse?

Ajith:- Bahut jyada...Itna ki agar tumhaare liye mujhe apna jaan bhi dena pade to picche nahi hatunga.

Ajith ye kehte vakt bahut emotional ho gaya.

Kajal:- Khabardar jo aage se jaan lene aur dene ki baat kiya to...Mujhe pasand nahi hai ye sab.

Mujhe tumhaare saath puri jindagi jeena hai wo bhi pyar se...Aur tum ho ki aisi baatein karte ho.

Ajith:- Sorry.

Lekin Kajal nahi maani.

Ajith:- Accha accha...Bahut pyar karta hu...Khud se bhi jyada.

Ajith ne abb kuch special socha.

Ajith:- Itna jyada pyar ki agar tum kaho to baaki kisi bhi ladki se baat nahi karunga.

Abb Kajal Ajith ko ghurne lagi...Ye dekh kar Ajith hasne laga.

Abb Kajal se raha nahi gaya...Ajith ki kandhe me mukke ki barsaat karte hue kaha.

Kajal:- You stupid.

Ajith:- Only for you.

Kuch der baad.

Kajal:- Ek baat kahu.

Ajith:- Hmm

Kajal:- Jindagi bhar issi tarah mujhe pyar karna...Kabhi saath mat chhodna.

Ajith:- Tumhe kya lagta hai?

Kajal:- Mujhe bhi yahi lagta hai...Tum mujhse hamesha pyar karoge...Vishwas karti hu tum par.

Ajith:- Iss vishwas ko kabhi tootne nahi dunga.

Ajith ne Kajal ki aankho me dekhte hue kaha.



Idhar Ajith ki aankho me aansu aa gaya tha...Aur hontho me muskaan...Dard bhari muskaan jo ye dikha raha tha wo kitni buri tarah se haara hai...Kaise apna vaada tak nahi nibhaa paa raha hai.


Kajal:- Are aur khaao...Itne se kya hoga.

Ajith:- Aur kitna...5 piece khaa chuka hu...Abb aur nahi khaa sakta.

Pyar bhari shaam ek saath gujaarne ke baad dono ek paani puri ke thele me aa gaye.

Kajal:- Sirf 5 piece...50 piece khaana hoga padega.

Ajith:- Nahi nahi...Itna nahi khaa sakta...Diarrhoea ho jaayega aur pet dard karne lagega.

Kajal:- Mujhe bhi pharmacology me acchi khaasi knowledge hai...Kya medicine dena hai mujhe acche se pata hai.

Abb aur bahana nahi...Khaana suru karo.


Kajal:- (To Pani Puri seller) Bhaiya aur dijiye...Thoda mirch aur laga ke.

Mirch ke naam sun kar Ajith aur bhi dar gaya...Usse teekha khaana pasand nahi tha.

Lekin Kajal ki baat maan kar Ajith bina kuch kahe khaane laga.

Kajal bhi Ajith ke paas aa gayi aur uske kaan me kehne lagi.

Kajal:- Mai bahut kanjus hu...Wo to aaj hamaara proposal day hai...Iss liye itna khila rahi hu...Aage kabhi sochna bhi mat.

Kajal ne hanste hue kaha...Ajith ko bhi Kajal ki iss baat par hansi aa gaya.

Kajal:- Bhaiya abb bas.

Ajith:- Abhi to sirf 15 piece hi hue hai.

Kajal:- Naak dekho apna...Kitna laal ho gaya hai...Aur khaaoge to kaan se dhuaa nikalne lagega.

Payment karke dono sweet shop chale gaye.

Kajal:- Tum bhi na bewkuf hi ho...Mai majaak me keh rahi thi aur tum ho ki seriously khaaye jaa rahe the.

Sweet shop me aane ke baad Kajal ne kuch sweets order karte hue kaha.

Ajith muskurata hi raha...Kajal ka ye care usse bahut accha lag raha tha.

Wo iss do tarfa pyar ka pure maja le raha tha jo kuch der pehle sirf ek tarfa tha.

Yaha bhi Ajith ka dhyan sweet me kam Kajal aur uski baaton me jyada tha.

Kajal:- Kya kar rahe ho? Sab hame hi dekh rahe hai.

Ajith:- Dekhne do...Sab ko pata bhi to chalna chaahiye meri girlfriend kitni khubsurat hai.

Kajal:- You!!!

Kajal ne dheere se aur Ajith ko ghurte hue kaha...Lekin fir wo bhi muskuraaye bina nahi reh paayi.

Saath me Ajith bhi muskuraane laga.


Kajal:- Bahut late ho gaya...8 pm baj gaya hai...Abb hame ghar jaana chaahiye.

Sweet shop se baahar aane ke baad Kajal ne kaha.

Ajith:- Hmm...Tumhaare pyar me vakt ka pata hi nahi chala.

Kajal:- Ohh how sweet...But ye time nahi hai romance ka.

Ajith:- Agar tum chaaho to kabhi bhi romance aur romantic baatein kar sakte hai.

Kajal:- No thanks.

Ajith ne apna munh latkaane ki acting kiya.

Kajal:- Tum to naraaj ho gaye.

Kajal ne Ajith ki gaal ko pinch karte hue kaha.

Kajal:- Accha abhi kuch bahana socho ghar jaane ki...Koi reason to bolna padega na late hone ke liye.

Ghar jaate hi tumhaari khwahish pura kar dungi...Phone me romantic baatein karenge.

Kajal ki baat se Ajith bahut khus ho gaya.

Ajith:- Isme sochna kya hai...Bol denge koi jhuth.

Kajal ko jaise vishwas hi nahi hua.

Kajal:- Tum jhuth bhi bolne lage.

Ajith:- Everything is fair in love and war...Ye to sirf jhuth hai.

Aaj manager sir se mai bhi pehli baar jhuth bolne jaa raha hu.

Kajal:- Love and war...Love kis se?

Ajith:- Tumse.

Kajal:- Aur war?

Ajith:- Abhi tak kisi se bhi nahi.



Ajith:- Khud se aur apni hi jindagi se.

Ajith ne jaise khud par hi nafrat ka izahaar karte hue kaha.

Puraani pyar bhare pal aur Kajal ka pyar dekh abb usse rona aa raha tha...Majburi bhi aisa tha ki wo kuch kar bhi nahi paa raha tha...Lagataar khud ki aur Kajal ki najro me girta jaa raha tha.

Abb usse aur raha nahi gaya...Gusse me ek jordaar punch diwaal me maara...Punch itna jordaar tha ki uske haatho se khoon (Blood) behne laga.

Khoon dekhte hi usse aur gussa aa gaya.


Ajith:- Mera love story ka villain bhi bahut ajeeb hai...Yaha to mera hi khoon mera dushman gaya hai.

Ajith ko samajh me nahi aa raha tha ki usse rona chaahiye ya apne badkismati par hasna chaahiye.
बहुत ही बढ़िया कहानी।

प्यार का इज़हार होने के बाद वही सब हुआ जो हमेशा से होता आया है। पानीपुरी तो लड़कियों का पसंदीदा आहार है। इतना ज्यादा खाती हैं कि पूछिये मत। लेकिन आज अजीत को खिला रही है काजल।।
 

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Supreme
28,184
56,375
304
UPDATE 21

Richa:- Kya soch rahe ho itna? Vijay ne bhi keh diya na Ajith ko Anaemia tha...Wo bhi 1 month pehle...Abb wo bilkul thik ho gaya hai.

Dhruva:- Lekin mujhe yakin nahi aa raha hai.

Richa:- Tumhe Vijay par shak hai?

Dhruva:- Nahi...Lekin Ajith par vishwas hai...Jarur usne kuch chhupaya hoga Vijay se bhi aur sabhi se.

Richa:- Tumhe kya lagta hai Ajith ko kya hua hoga fir?

Dhruva ne darte hue kaha.

Dhruva:- Cancer.

Richa:- What? Vijay ne to saaf kaha tha ki Anaemia se Cancer nahi hota...Lekin tum fir bhi ussi jidd me ho abhi bhi.

Dhruva:- Mai cancer aur anaemia ko relate nahi kar raha hu.

Maine ye iss liye socha kyu ki as a doctor Ajith ka sabse bada weakness cancer tha.



FLASHBACK


Dhruva:- Aaiye Dr. Sahab...Aaj kuch jaldi hi aa gaye?

Ajith:- Kya karu yaar...Abb chhuti jaldi nahi milta...Clinical Science me pahunch gaya hu.

Dhruva:- Kaisi chal rahi hai padhaai?

Ajith:- Aaj to pucch mat yaar...Surgery ka pehla class tha...Abhi bhi bahut ajeeb feel ho raha hai.

Dhruva:- Kuch hi din ki baat hai...Fir aadat pad jaayega.

Ajith:- Wo to hai...Bas settle hone ki deri hai...Disease se deal karna to sikh gaya abb surgery and clinical practice baaki hai.

Dhruva:- Disease se yaad aaya...Kis disease ka tu acche se treat kar sakta hai aur kis disease ka bahut mushkil se?

Ajith:- Wo to patient ka history taking skill and communication skill par depend hai...Agar acche se disease ka diagnose kar liya to almost all disease treat kar sakta hu except cancer.

Dhruva:- Cancer? Lekin uska kyu nahi?

Ajith:- Bahut hi complicated disease hai yaar...Early stage me diagnose nahi hota hai aur jab bhi hota hai uska treatment almost impossible ho jaata hai hamaare liye.

Dhruva:- Agar tu hi aisi baat kar raha hai...To baaki doctors kaise deal karte honge...Jab tu itna padhta hai aur aisi baatein karta hai to baaki average doctora kaise karte honge?

Ajith:- Jyadatar doctor cancer ka treatment nahi karte.

Ajith ka ye baat Dhruva ke liye hairaani se kam nahi tha...Ek doctor ki munh se ye baat sun raha tha ki uske paas Cancer jaisi khatarnaak beemari ka ilaaj nahi hai.


Ajith:- Cancer khud me hi bahut complicated disease hai...Bahut si drugs (medicine) hote hai Cancer ke liye...50 se bhi jyada...Har drug ka mechanism alag, side effect alag, aur effect alag...Aashan nahi hai yaar Anticancer drug ka usage.

Chemotherapy (Cancer treatment by drug) ke vakt patient itna kamjor ho jaate hai ki ham soch bhi nahi sakte...Unhe bahut care ki jarurat padta hai, himmat ki jarurat padta hai...Warna ilaaj ke bich me hi wo apna himmat tod dete hai.

Baaki communicable and non-communicable disease ka treatment mushkil nahi hai.

Communicable disease acche se treat kar sakta hu antimicrobial aur antibiotic de kar.

Non-communicable jaise Diabetes, Asthma, Hypertension ko completely cure karna bahut mushkil hai...Lekin aise drug hai jiska regular use se wo normal life jee sakte hai.


Aur abb aaya baat Cancer ka.

Iska ilaaj har doctor nahi karte...Sirf Oncologist (Cancer Specialist) hi karte hai...Aur unhe hi karna chaahiye...Kyu ki unhe acchi knowledge hota hai baaki ki doctor se iss disease ke baare me...Waise bhi MD ke baad har doctor ka apna hi specialized field hota hai.

Dhruva:- Agar maan le ki koi Cancer patient tere paas aaya...Aur usse Cancer hai ye baat patient ko hi pata nahi hai to kya karega?

Ajith:- Maine ye kaha ki mujhe cancer ka treatment ka deep level knowledge nahi hai...Surfacely wo bhi pata hai.

Diagnose karna aata hai Cancer...Aur ye har doctor (physician) ko aana chaahiye.

Aur rahi tere sawaal ka jawaab...Pehle uss patient ka check up karunga aur cancer diagnose hua to accha sa Cancer hospital me refer karunga.

And let Oncologists deal better with this.

Ajith ne muskura kar kaha.


Abb Dhruva bhi Ajith ki baaton se sehmat ho gaya.

Dhruva:- Itni jaldi bahut accha doctor ban gaya tu...Aise hi padhaai kar yaar.

Dhruva bahut khus ho kar bola.

Ajith:- Abhi kaha yaar...Abhi to 3 year baaki hai MBBS complete karne me...2 years Clinical Science and 1 year Internship...Uske baad MD...Aur usse upar baad me sochunga.

Abhi kuch hi cheej sikha hai maine...Bahut cheej abhi sikhna baaki hai...Surgery, Emergency case, First Aid, Patient management aur bahut kuch.

Ye sab to sikhna to padega hi lekin saath me ye baat kabhi bhul nahi sakta...Patient history taking and communication skill.

Kai baar aisa hota hai ki communication skill aur rapport building accha nahi hua to patient asli vajah bataana bhul jaate hai aur ham misdiagnose kar baithte hai.

Aur iss chhoti si mistake se galat beemari me galat dawaai dete hai...Aur baad me bahut si khatarnaak beemari ka saamna karna padta hai chhoti si laaparwaahi ki vajah se.

Kuch aisi hi baatein hai...Jiska dhyan hame hamesha ke liye rakhna padta hai.

Aur mai issi baat ka dhyan rakh raha hu...Knowledge to jaruri hai hi...Saath me behavior bhi accha hona chaahiye doctor ka.

As a doctor mai hamesha hi humble, caring, conscious, honest aur responsible rehna chaahta hu.

Dhruva:- Bahut baar keh chuka hu...Aaj bhi kehta hu...Hamesha aise hi rehna yaar...Kabhi badalna mat.

Itna keh kar Dhruva ne fir Ajith ko gale laga liya.



Dhruva:- Lekin aaj wo badal gaya.

Ek dard bhari aawaj me kaha Dhruva ne.

Richa:- Jarur koi vajah rahi hogi.

Richa ko bhi abb bahut bura lag raha tha.

Dhruva:- Aisi vajah jo wo mere saath share bhi nahi karna chahta.

Richa:- Tum hi kehte thhe na...Ajith aisa hi hai...Wo khushi to sabhi ke saath baant ta hai lekin gum akele hi.

Dhruva:- Lekin uska gum iss baar dekha nahi jaa raha...Kuch karna chaahta hu apne dost ke liye lekin kuch kar nahi paa raha hu.

Har baar ki tarah maayus aawaj me kaha Dhruva ne.

Richa ne bhi kuch nahi kaha...Kuch der chup rehne ke baad usse kuch yaad aaya.

Richa:- Wo Kajal ke saath ek ladki thi.

Dhruva:- Preeti...Ajith ne bataya tha uske baare me...Kya hua?


Richa:- Mujhe lagta hai wo kuch jaanti hai Ajith ke baare me...Jab tum Kajal se baat kar rahe thhe tab mai usko observe kar rahi thi...Kuch bechain si thi wo...Kuch kehna chaahti thi lekin keh nahi paa rahi thi.

Dhruva:- Chalo.

Richa:- Kaha?

Dhruva:- Preeti se milne.

Itna keh kar Dhruva utth gaya.
बहुत ही बेहतरीन।
ये ध्रुव भी मेरी तरह ही सोच रहा है।😂😄 हमने पहले ही कह दिया था कि अजीत का काजल को अपने से दूर करने का कारण कैंसर हो सकता है, जो ध्रुव भी कह रहा है।🤣 क्योंकि अजीत को अगर किसी बीमारी से डर लगता है तो वो कैंसर है। और यही वजह है कि वो काजल को अपने से दूर कर रहा है।।
 

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Supreme
28,184
56,375
304
UPDATE 22

Dhruva:- Mujhe to hairaani ho raha hai Ajith par...Wo kaise tum jaisi ghamandi aur egoist ladki ko maaf kar sakta hai.

Preeti:- Ho gaya tumhara bakwas khatm...Abb jaao.

Dhruva:- Jaa raha hu...Mujhe bhi koi shaukh nahi hai tumse baat karne ki.

Lekin ek baat acche se yaad rakhna.

Tumhara ye jo attitude aur ghamand hai na ye tumhaara profession ko bilkul suit nahi karta.

Ajith tha usne maaf kar diya...Mai maaf to nahi karunga lekin tumse bahas bhi nahi karna chaahta...Baaki log ham jaise nahi hote...Khair bahut jald iss baat ka ehsas ho jaayega.

Itna keh kar Dhruva gusse me jaane laga...Fir ruk kar usne kaha.

Dhruva:- Maine tumhaari baaton ko suna aur seh liya vajah sirf Ajith tha...Warna mujhe bhi pata nahi kya kar baithta.

Izzat se baat kar raha tha...Baatein sunne aur samajhne ki jagah beizzat karna suru kar diya aur vajah ye hai ki mai Ajith ka dost hu.

Yaad rakhna ek baat...Kisi bhi insaan ko sabsr pyara hota hai apna self-respect...Aur iss par hamla kiya to koi bardaast nahi karega agli baar mai bhi nahi.


Abb Dhruva Richa ke saath jaane laga.

Preeti:- Ruko.

Dhruva ne waapas mud kar Preeti ko dekha...Aankho me gussa aur nafrat tha lekin munh se koi shabd nahi nikla.

Preeti:- Tum Ajith ko apne dost kehte ho na.

Dhruva fir bhi chup raha.

Preeti:- Agar dosti me itna hi gehraai hota to aaj mujhse ye sawaal na karna padta...Tum khud hi Ajith se puchte ya Ajith tumhe khud bata deta.

Preeti jaan bujh kar indirectly Dhruva ko uska friendship me challenge de rahi thi.

Dhruva:- Tum meri dosti par ungli uthaana band karo...Jisko dosti ka matlab hi pata nahi...Saajish karke kisi se maafi le liya, dosti bhi kiya aur jarurat padne par saath dene ki jagah peeth piche chura bhonk rahi hai...Wo mujhe dosti ka paath padha rahi hai.

Preeti ko Dhruva ki ye baat chubh gayi...Lekin Dhruva jaise usne bhi seh liya...Wo bhi Ajith ke liye hi soch rahi thi.

Preeti:- Dosti karna aur nibhaana alag baatein hai...Agar tum me himmat hai dosti nibhaane ki to Ajith se hi baatein karo aur ussi se pata lagaao...Tab mujhe kuch kehna.

Dhruva:- Mushkil hai par kar lunga...Dikha dunga saccha dosti kise kehte hai aur matlabi dosti kise.

Abb Dhruva waha se chala gaya.

Dhruva ke jaate hi Preeti se abb raha nahi gaya...Aankho se aansu behne lage...Aaj uska ye aansu khud ke liye nahi Ajith ke liye tha.

Apne dost ki salaamati ki dua me beh raha tha aaj ye aansu...Man hi man ye dua karne lagi ki kaash Dhruva kuch kar paaye.

Ajith ne to iss tarah usse majbur kar diya tha ki wo kuch kar nahi sakti thi...Dhruva ki baato me, aankho me aur himmat me wo baat najar aa rahi thi Preeti ko ki Dhruva hi kuch kar sakta hai abb.

Dosti Ajith ka sabse badi taaqat tha aur sabse badi kamjori bhi...Iss waqt Preeti hahi chaahti thi ki Ajith Dhruva ke saamne kamjor pad jaaye...Usne Dhruva ko bhi challenge karne ka ek mauka nahi chhoda.

Kisi se kuch karwaana ho to do cheej bahut jaruri hai ya to usko motivate karo ya fir uske himmat ko challenge...Preeti aur Dhruva dost to nahi thhe ki Preeti usko motivate karti aur haalaath bhi uske saath nahi tha to Preeti ko challenge karna hi sahi laga.


Preeti:- Ajith tumhe sabhi ki najro me giraane ki aur neecha dikhaane ki bahut koshish kiya aur aaj haalath ye hai ki tumhaare liye mai sabhi ki najro me gir rahi hu...Aaj Dhruva ki najro me to kal kisi aur ke.

Preeti ne dard bhari muskaan ke liye kaha.

Preeti:- Please please ek baar wohi puraana Ajith ban jaao jise mai nafrat karti thi aur jise dekhna bhi pasand nahi karti thi.

Tum to kehte the ki tum ye sab apno ki khushi ke liye kar rahe ho...Par tumhaari iss rudeness se koi khush nahi hai...Naa Kajal, Naa Dhruva, Naa Vijay Naa mai aur naa hi wo log jo tumhe chaahte hai...Tum ye dard khud ko hi nahi balki ham sabhi ko de rahe ho.

Preeti apne man me dua to bahut kar rahi thi lekin iss baat ko bhul rahi thi ki ya maana nahi chaahti thi ki vakt ke saamne kisi ka kuch nahi chalta.


Dhruva:- Ajith ko phone lagaao?

Dhruva ne bahut gusse me kaha.

Richa:- Mai?

Dhruva:- Ha usse milna hai.

Richa:- Agar usne mana kar diya to.

Dhruva:- Nahi abb nahi...Socha tha Ajith ko pareshaan kiye bina uska help karunga aur surprise dunga...Lekin koi sala madad karne ko taiyaar hi nahi.

Jo bhi hai Ajith se hi puchunga...Usse bataana hi hoga sab kuch...Dekhta hu kaise nahi batayega.

Bahut ho gaya ye luka chhipi ka khel...Abb usse milna hi hoga...Wo bhi 30 minute me...Dekhta hu kaise nahi aata hai...Aamna saamna hona hi chaahiye.

Dhruva pure josh me bol raha tha...Shaayad Preeti ki baaton ki asar ho raha tha.

Fir Dhruva ne Richa ko bataya kaise Ajith ko bulaana hai...Dhruva ki baatein sun Richa muskuraane lahi...Usse bhi yakin ho gaya ki Ajith jarur aayega.

Fir Dhruva khud ko taiyaar karne laga Ajith se milne ki...Aaj pehli baar wo Ajith se kisi jung me jeetne ki khwahish kar raha tha।
बहुत ही बेहतरीन महोदय।।

लगता है प्रीति को भी अजीत ने कसम वसम दी है किसी को भी कुछ न बताने की तभी तो वो किसी को कुछ नहीं बता रही है, लेकिन अगर वो खुद को दोस्त कहती है और अगर दोस्त की जान खतरे में हैं तो उसे उस कसम से ज्यादा अपने दोस्त की जान की परवाह करनी चाहिए न कि दोस्त की दी हुई कसम की। बहरहाल प्रीति से चुनौती मिलने के बाद ध्रुव गुस्से में है और अजीत से मिलने जा रहा है।।
 

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Supreme
28,184
56,375
304
UPDATE 29

After 2 days

Abb aisa hi chal raha tha jaisa Ajith ne chaaha tha...Usne laghbhag sabhi se duriyan bana liya tha...Vijay ko chhod kar...Vijay bhi Ajith ko jyada pareshaan nahi kar raha tha uski majburi jaane ke liye...Usse bhi dar tha ki kahi Ajith usse bhi dosti na tod le...Lekin Ajith par vishwash tha ki Ajith jald hi thik ho jaayega.

Lekin Ajith ka sabhi se dur jaana, aabhi ke liye bura banna usse hairaan jarur kar raha tha...Lekin dua maangne ke alawa wo kuch nahi kar raha tha.



Aise hi ek din hospital me night duty ke time uske cabin me usse milne Kajal ke Papa aaye.

Jab dono ki aankhein ek dusre se mila to dono hi chup thhe...Ajith ke chehre me dar tha...Kajal ke Papa ke chehre me dar (Kajal ke liye) ke saath saath gussa bhi tha.

Ek dusre ko dekhte hi dono apne ateet me jaane se khud ko rok nahi paaye.


FLASHBACK

K. Dad:- Aao andar aao.

Kajal ke Papa ne Ajith ko khushi se apne ghar me swagat karte hue kaha.

Ajith:- Thank you Uncle.

Ajith ke aate hi Kajal ke hontho par muskaan aur gaal me sharm saaf dikh raha tha.

K. Dad:- So Dr. Ajith or Mr. Ajith...Kya keh kar bulaau?

Ajith:- Ji Ajith ya fir beta keh kar bulaaiye...Apna pan mehsus hoga.

K. Dad:- Kajal ne bataya mujhe sab kuch...Tum dono ke baare me.

Waise to beti apne baap se ye baatein kehne se darti hai...Lekin ye meri laadli hai...Kuch nahi chhupaati...Iss baat ko bhi nahi chhupaaya.

Ajith Kajal ke Papa ki baat sunta raha.

K. Dad:- Maine puccha bhi...Kya tumhe dar nahi lagta mai ye rishta inkaar kar dunga?

Inkaar shabd sunte hi Ajith ek pal ke liye dar gaya.

Kajal ki Papa ne fir muskura kar kaha.

K. Dad:- Kehti hai mai inkaar kar hi nahi paaunga...Sahi bhi hai mai apni beti ki khushi ko kyu inkaar karunga.

Kajal tumse bahut pyar karti hai aur usse apne pyar par vishwas bhi hai aur mujhe ye bataane me usse bilkul bhi dar nahi tha.

Ajith ko abb lag raha tha shaayad wo unke rishte ke liye maan jaayenge.

K. Dad:- Lekin wo bahut hi nadan hai...Mujhe dar hai ki kahi usne insan ko chunne me galti to nahi kar diya.

Maine bhi socha dekhu to sahi meri beti kisse pyar karti hai aur wo meri Kajal ke laayak hai ya nahi.

Kajal:- Papa?

K. Dad:- Nahi abhi tum kuch nahi bologi.

Fir Kajal bhi chup ho gayi aur Ajith ko dekhne lagi.

Ajith:- Mai bhi aaj aapse Kajal ka haath maangne hi aaya tha...Aur ye bhi saabit karne ke liye ki mai Kajal ke laayak hu.

Ajith ne confidently kaha.

K. Dad:- Saabit? Aur Kajal ka laayak...Chalo saabit karo kaise?

Lekin kuch bhi kehne se pehle ye samajh lo mujhe jhuth bilkul pasand nahi hai...Tumhe to pata hi hoga mai ek Psychiatrist hu...Jhuth thoda bhi dikha chehre par to samajh lena.

Ajith:- Mai bhi apna pyar jhuth ke sahaare haasil nahi karna chaahta...Bas ek hi khwahish hai mai jaisa hu waise hi aap aur Kajal mujhe accept kare.

Mai Kajal ke layak khud ko iss liye maanta hu kyu ki mai Kajal se bahut pyar karta hu...Aur kuch bhi kar sakta hu Kajal ki khushi ke liye...Maine mehsus kiya hai Kajal bhi mere saath bahut khush rehti hai...Aur mujhe vishwas hai aage bhi mai Kajal ka hamesha khus rakhunga.

K. Dad:- Ye to tha pyar ki baatein...Sirf pyar se hi roti to nahi milta hai na.

Ajith:- Agar aap paise ki baat kar rahe hai to abhi abhi maine kamana suru hi kiya hai...Lekin mujhe apne talent aur mehnat par vishwas hai...Bahut jaldi accha khaasa kamaunga aur Kajal ko kisi cheej ki kami nahi rehne dunga.

K. Dad:- Hmm...Tumne kaha tha tum Kajal se bahut pyar karte ho...Kajal bhi kehti hai tum bhi usse utna pyar karte ho jitna mai karta hu...Iss baare me kya kahoge?

Ajith:- Ye sach nahi ho sakta uncle...Mai kabhi Kajal ko aap jitna pyar nahi kar sakta.

Ajith ki iss baat par Kajal ki Papa Kajal ko dekhne lage aur Kajal Ajith ko wo bhi hairaani se.

Ajith:- Aap ka Kajal ke liye jo pyar hai usse comparison ka kabhi soch bhi nahi sakta....Suna hai maine aur Kajal bhi kehti hai ek baap ka apne beti ke liye pyar ka koi hadd nahi hota.

Aap Kajal se jo pyar karte hai wo unconditional hai...Bina kou faaidaa aur nuksaan wala pyar...Aapne aaj tak Kajal ko jaise paala, parwarish kiya, har khushi pura kiya aur uski jidd me aaj mujhe milne ke liye bula bhi liya.

Aur fir Kajal ka rishta ho jaane ke baad jo pyar se vidaai karenge uss pyar ka kya hadd ho sakta hai.

Aapka pyar mahan hai uncle aur please isse mere pyar ke saath compare mat kijiye.


Ajith ki iss baat se Kajal ki Papa bahut khus ho gaye.

Ajith:- Lekin Uncle compare to jarur karunga Aapke aur Kajal ke pyar ka...Jab mera bhi koi beti hogi to koshish karunga aap jitna hi pyar de paau mai apne pari ko.

But as a husband jo pyar mujhe Kajal ko dena chaahiye wo mai jarur dunga...Shaayad usse jyada bhi...Aur iss me mai daawa kar sakta hu Kajal ke liye sabse best husband ka choice mai hi hu.

Ajith ne puri confident ke saath kaha.

K. Dad:- Tum baar baar keh rahe ho Kajal ko jindagi bhar khus rakhoge...Lekin beta jindagi itna bhi aasan nahi hota...Kabhi kabhi chhoti chhoti baaton par badi ladaai ho jaata hai...Aur ego dono par aa jaaye to pyar ka koi astitwa hi nahi rehta.

Shaadi se pehle sab bahut aashan lagta hai lekin shaadi hote hi dono ka interest ek dusre se kam ho jaata hai.

Ajith:- Mai aisa hone nahi dunga.

K. Dad:- Wo kaise?

Ajith:- Bahut hi simple hai uncle...Insaan ko honest hona chaahiye...Ye nahi kahunga ki kabhi hamaare bich me problem nahi aayega...Aayega lekin jab bhi mujhe mere galti ka ehsas hoga mai maafi maang lunga...Pyar karta hu aur jhukna bhi jaanta hu.

Jab mera galti hoga mai maafi maanunga aur jab Kajal ki tab wo.

Mujhe lagta hai pati aur patni ka rishta aisa hi hona chaahiye...Ek dusre se pyar, samman (respect) aur vishwas...Jo ham dono me hi hai.

Aur uncle rahi baat interest ka to...Kajal mera pyar hai...Mai sirf Kajal ko pyar hi nahi respect bhi karta hu...Uska mera jindagi me aane se mera jindagi hi badal gaya hai...Kajal meri jindagi ka sabse badi khushi aur bardaan hai...Mai bahut khus naseeb maanta hu jo Kajal bhi mujhse pyar karti hai.

Abb tak Kajal ki Papa bahut impress hk gaye thhe.

K. Dad:- Soch to bahut accha hai beta tumhaara...Tumhaare parents ko tum par bahut garv hoga.

Kajal:- Papa?

Tab Kajal ki Papa ko ehsas hua unhone kya bol diya.

Ajith:- Ji uncle...Mai bhi aisa hi mehsus karta hu...Jab bhi koi accha kaam karta hu yahi sochta hu wo jaha kahi bhi hai mujhe dekh kar garv mehsus karte honge.

K. Dad:- Sorry.

Ajith:- Koi baat nahi uncle...Abb aadat pad gaya hai...Aur sach se dur bhi to bhaag nahi sakta.

K. Dad:- Beta bura mat maana...Lekin ek baat pucchna chaahta hu...Tum unke bina hi yaha tak pahunch gaye ho bahut mehnati ho...Lekin tumhe unka kami mehsus nahi hota?

Ajith:- Pehle hota tha...Aur bahut bura bhi lagta tha.

Lekin jaise jaise bada hota gaya socha ye to mera kismat hai...Isae badal to nahi sakta...Lekin aisa jarur karunga ki unhe mujhe garv ho...Har baccha ka yahi to khwaab hota hai ki wo apne parents ka naam roahan kare aur unhe garv ho apne baccha par.

Unhone mujhe janm diya...Koi vajah hoga jo wo mujhe paal nahi paaye aur parwarish kar na sake...Lekin mai bhi apne farz se bhaag nahi sakta.

Hamesha se sochta aaya hu aur aaj bhi sochta hu...Ek aisa insaan banunga ki unhe mujh par garv hoga aur jaha bhi honge mujhe dekh kar keh sakenge "Ha ye hamara beta hai."

Ajith ye sab kehte vakt bahut hi emotional ho gaya tha...Lekin khus bhi bahut tha ki aaj wo apne soch par hi chal raha hai.

Fir dono ke bich aise hi baat hua...Kajal bhi Ajith ki baat sun kar hamesha ki tarah garv mehsus kar rahi thi.

K. Dad:- Beta tum se baat kar ke bahut accha laga...Bahut acche ho tum...Lekin jo mai apne damad me khoj raha tha wo tum me nahi hai.

Mai chaahta hu meri beti raaj kare kisi ghar me...Lekin tumhaare saath ye possible nahi hai.

Unki iss baat se waha maujud Ajith ke saath Kajal aur uski Maa bhi hairaan ho gayi.

Kajal:- Papa aap aisa kaise keh sakte hai?

Iss baar gusse me Kajal ne kaha.

K. Dad:- Abhi tumhe bolne se mana kiya hai na.

K. Dad:- (To Ajith) Bhaga kar le jaane ki sochna bhi mat.

Ajith:- Nahi Uncle...Wo to socha bhi nahi hai aur sochunga bhi nahi.

Vaada kiya tha Kajal se aap sabhi ki khushi se hi shaadi hoga.

Mai apne pyar ke liye aapka pyar ka apmaan to nahi kar sakta...Aapne itne pyar se Kajal ko paala, pyar diya aur ek jhatke se mai aapse Kajal ko chheen to nahi sakta.

Aur isse samaaj me aapka izzat bhi mitti me mil jaayega...Aapka Kajal ke liye jo pyar ko aap apna taakat maante hai mai nahi chaahta Kajal ke bhaag jaane se log aapki sanskar aur parwarish par ungli uthaaye...Maine Kajal ke saath saath aap sabhi ko apna maan liya hai...Aur kaise mai apno ke saath itna galat kar sakta hu...Aap mere bhi Papa jaise hai...Aapko rulaa kar mai kaise khus reh sakta hu?

Kajal bhi kabhi khus nahi reh paayegi aapki asehmati mai...Mujhe bhi hamesha yahi baat pareshaan karta rahega ki galat tarike se maine apna ghar basaya hai.

Papa hai aap Kajal ke...Aur uske baare me accha bura sab kuch jaante hai...Faisla bhi aapka hi hai.


Ajith ne ye to keh diya...Lekin kehte vakt jo khud par beet raha tha wo har pal usse maar raha tha...Abb aankho ne bhi saath chhod diya...Aankho se aansu behna suru ho gaya.

Lekin sach bhi yahi tha...Bhale hi khud par kuch bhi kyu na beete lekin apno ko kabhi dukhi nahi kar sakta tha wo.

K. Dad:- Lekin tumhaara aansu to kuch aur hi keh rahe hai?

Ajith:- Dard to hoga hi na...Lekin saccha se bhaag bhi nahi sakta...Ye ek kadwa sach hai mere liye.


Fir waha par ek khaamoshi chhaa gaya...Koi khus nahi tha Kajal ki Papa ki isa faisle se...Lekin abhi koi bol bhi nahi raha tha.

Fir Ajith ne socha...Aise haar maana bewkufi hai.

Ajith:- Uncle ek mauka to dijiye...Mai koshish karunga jyada se jyada paisa kamaane ka...Aur aapke beti ke laayak banne ka jo aap chahte hai.

K. Dad:- Kar paaoge?

Ajith:- Jarur...Jarur karunga...Kajal ke liye kuch bhi karunga.

Ajith ke dimaag me ek alag hi junoon chha gaya tha.

K. Dad:- 5 lakhs...Abb time tum maango?

Ajith:- Internship complete hone ke 1 year baad.

K. Dad:- Itna jyada?

Ajith:- Imaandaari se kamana chaahta hu...Warna 1 din hi kaafi hai...Kisi ko maar kar , loot kar bhi laa sakta hu lekin aisa nahi karunga.

Ajith ki iss baat se Kajal ke Papa muskuraaye bina nahi rwh paaye.

Ajith:- Please Uncle kuch to boliye...Mai jarur karunga...Aap mauka to dijiye.

Lekin Kajal ke Papa muskura hi rahe the.

Idhar Ajith ka haal behaal ho chuka tha...Aankho se aansu beh rahe the...Aur bin paani ke macchli ke jaise tadap raha tha...Kisi bhi haal me khud ko saabit karna chaahta tha.

Aur Kajal ke Papa uska bechaini aur bhi badha rahe thhe.

Ajith:- Please Uncle.

Itna keh kar Ajith dono haath jod kar apne ghutno me gir gaya.

Kajal ke Papa ne unhe utha kar kaha.

K. Dad:- Shaadi ki date kab fix karu?

Ye sunte hi ajith ka khushi ka koi thikana nahi raha...Bahut hi jhumne aur naachne ka man kar raha tha usse.

Kajal ko dekha to wo bhi ro rahi thi...Lekin aankho me khushi ka aansu tha...Usne bhi apne Maa ko gale laga liya.

Aur apne Papa se bach kar Ajith ko aankh bhi maar diya.

Kajal ki Papa bhi bahut khus the Ajith ko...Unhe Ajith me har cheej dikh gaya jo wo dekhna chaahte the.

Ajith ka honesty, character, responsibility ke saath ye bhi dekha ki usme kitna acchaayi hai...Rishte se mana kar dene ke baad bhi naa hi koi dhamki aur birodh kiya...Unka Kajal ke liye pyar ko respect kar ke bhagaane ka to socha hi nahi.

Aur sabse jaruri baat Ajith ka Kajal ke liye pyar bhi dikha...Aisa pyar jisme respect aur vishwas to tha...Saath hi Kajal ko khus rakhne ke liye paagal pan bhi tha...Aur wo puri tarah sach tha.


Aisa rishta ko kaun pita mana kar sakta hai? Wo bhi apne ladli beti ke liye?
बहुत ही बेहतरीन महोदय।

काजल के पापा का हर प्रश्न वाजिब था, क्योंकि वो एक लड़की के बाप है। और हर लड़की का बाप यही सोचता है कि लड़का हर लिहाज से उसकी बेटी के लायक हो, उसकी बेटी का सम्मान करें, उसे समझे, लेकिन अजीत के जवाब ने उन्हर लाजवाब कर दिया। खुश हो गए काजल के पापा। उन्होंने रिश्ते के लिए हां कर दी।।
 

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Supreme
28,184
56,375
304
UPDATE 23

FLASHBACK

Kajal:- Kya soch rahe ho?

Aaj fir Ajith aur Kajal ussi jheel me aaye the.

Ajith:- Kuch khaas nahi.

Kajal:- Lekin tumhara chehra to kuch aur hi bata raha hai...Tumhe acche se jaanti hu...Bahut gehri soch me ho.

Ajith bas thoda sa muskura deta hai.

Kajal:- Abb bataao bhi.

Ajith:- Thoda future ke baare me soch raha tha.

Kajal:- Aisa kya soch rahe ho?

Ajith:- Hamaare baare me.

Kajal:- Yani mere baare me bhi...How sweet.

Ajith:- Tumhaare baare me to roj sochta rehta hu.

Kajal:- Jhuth bolna koi tumse sikhe.

Kajal ne muskuraate hue kaha.


Ajith:- Nahi...Pyar karna koi mujhse sikhe...Subah utthte vakt sabse pehle tumhaara photo dekhta hu, College me kabhi kabhi bunk maar kar tumse milne chala aata hu, Tumhaara har ek chhoti chhoti jidd pura karta hu, Raat me sone se pehle bhi 1 ghanta phone me pyari pyari baatein karke sota hu.

Aakhir kaun itna time dega apne gf ko...Maine to pure din aur raat hi tumhara naam kar diya.


Ajith ki baatein Kajal ko bahut accha lag raha tha sun kar.

Kajal:- Mai bhi to utna hi pyar karti hu.

Ajith:- Jaanta hu...Issi liye to tumse aur bhi jyada pyar hota jaa raha hai.

Ajith ne bhi muskura kar kaha...Uski baato me uska pyar saaf dikh raha tha.

Kajal ne fir Ajith ko gale laga liya...Ajith ne bhi Kajal ko apne baaho me kas liya...Kuch der tak dono aise hi ek dusre ka pyar mehsus karte rahe.

Fir Ajith ne apna chehra Kajal ke chehra ke saamne laaya...Dono hi ek dusre ke chehre me dekhne lage...Dono ki aankhon me ek dusre ke liye bepanaah mohabbat tha.

Aise hi aankhon se pyar aur honthon se muskaan ka izahaar karne ke baad Ajith ne dhire se apne honth Kajal ki honth ki taraf badha diya.

Kajal ko ye sab samajhne me der nahi laga...Wo Ajith ko dhakka deti hai aur fir thodi dur jaa kar Ajith ke haalaath par hasne lagti hai.

Ajith:- Not fair...Aaj bhi...Please.

Kajal:- No chance.

Ajith:- Please...Bas ek baar.

Kajal:- Bola na no chance.

Fir Ajith ka chehra latak gaya.

Kajal:- Pehle mere ghar rishte ki baat lekar aao fir.

Kajal ne bahut maasumiyat ke saath kaha...Ajith ka bhi khushi ka koi thikaana nahi raha.

Ajith:- Bahut jald.

Fir Ajith Kajal ko apne baaho me utha kar gol gol ghumaane lagta hai.

Kajal:- Paagal...Ye kya kar rahe the?

Sarmaa kar pucha Kajal ne.

Ajith:- Ye to mera pyar karne ka andaaj hai.

Ajith ne Kajal ki aankho me dekh kar kaha.

Kajal:- Sarm nahi aata tunhe? Itne logo ke bich ye sab karte hue.

Ajith:- Apne gf se hi to pyar kar raha hu...Kisi dusre ke saath thodi na ye sab...

Ajith apni baat pura karta isse pehle hi uski kandhe me mukke ki barsaat hone lagta hai.

Ajith:- Are...Mai to majaak kar raha tha.

Ajith ne bachne ki koshish karte hue kaha.

Kajal:- Agli baar aisi majaak kiya na to fir...

Kajal ko bich me hi rok kar Ajith ne kaha.

Ajith:- Tume bura koi nahi hoga.

Ajith ki baat par Kajal ko hansi aa gaya...Saath me Ajith bhi hasne laga.

Kajal:- I love you.

Kajal ne Ajith ke kandhe me apna sar rakh kar kaha.

Ajith:- Kya? Kuch sunaayi nahi diya.

Ajith ne apne kaan me ungli rakh kar kaha.

Kajal ne fir Ajith ke kandhe me mukka maar kar kaha.

Kajal:- I love you.

Ajith:- I love you too.

Ajith ne Kajal ko fir se gale laga kar kaha.
बहुत बढ़िया महोदय।

आखिर काजल ने अजीत को अपने घर रिश्ता लेकर आने के लिए बोल दिया। अजीत ने भी आने के लिए मान लिया। अब देखना ये है कि रिश्ता मांगने जाने पर क्या होता है।।
 

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Supreme
28,184
56,375
304
UPDATE 24

Kajal ki sar Ajith ki kandho me tha...Aur Ajith ka haath Kajal ki baalo ko sehla raha tha...Dono ek dam khaamosh thhe aur sirf ek dusre ka pyar mehsus kar rahe thhe.

Dono me se koi alag hona nahi chaahta tha ek dusre ke sparsh se...Dono ek dusre me iss tarah kho gaye thhe ki khud prakriti (nature) ko dono ko dhyan todna pada.

Aasman me garaj rahe baadal ki aawaj se dono alag ho gaye.

Ajith ne aas paas dekha...Sabhi baarish se bachne ke liye jheel se bhaag rahe thhe.

Ajith:- Shaayad bahut tej baarish hone wala hai.

Ajith ne aasman ki taraf dekh kar kaha.

Kajal:- Barashne do.

Kajal ne muskura kar kaha.

Aur kuch der baad bahut tej baarish hone laga.

Ajith:- Chalo bhaago...Bahut tej baarish hai...Buri tarah bheeng jaayenge.

Kajal:- Baarish mausam hi hai bheengne ke liye.

Kajal ne apne baaho ko failaa kar aasmaan ki taraf dekhte hue kaha...Uski aawaj me alag hi excitement tha.

Ajith apni jagah se sirf Kajal ko dekhta hi raha.

Kajal:- Tum waha kyu khade ho...Aao dance karte hai.

Ajith:- Lekin baarish?

Kajal:- Issi liye to bula rahi hu ..Aao saath bheengte hai.

Ajith:- Nahi...Jukhaam aur Bukhaar lag jaayega...Bahut sensitive hu mai thand aur baarish se.

Kajal:- Kuch nahi hoga...Agar hua to bhi dawaai khaa lena.

Abb Ajith soch me pad gaya...Kajal ki baat ko inkaar bhi nahi kar sakta tha aur tabiyat kharab hone ka dar bhi sata raha tha.

Kajal:- Please.

Bahut pyari si aawaj me Kajal ne bulaaya...Uski iss adaa me Ajith fir mar mitaa...Abb aur inkaar naa kar saka wo.

Ajith bhi Kajal ke paas aa gaya.

Kajal:- Khade kyu ho...Dance karo.

Itna keh kar Kajal dance karne lagi.

Ajith bas Kajal ko hi dekhe jaa raha tha...Kajal ki dance ke saath saath uske har adaa par fidaa ho gaya tha Ajith...Khaas kar Rain celebration...Iss celebration me bahut hi pyari lag rahi thi Kajal.

Kajal:- Abhi bhi khade ho.

Abb Ajith bhi jyada na sochte hue Kajal ke saath taal milaane laga...Kuch khaasna naachna to aata nahi tha usse lekin fir bhi apni taraf se puri koshish kar raha tha.

Abb dheere dheere Ajith ko bhi maja aane laga tha...Baarish ki boondein usse apne upar bahut accha lag raha tha.

Kabhi wo apne baaho ko failaa kar aasman ki aur dekh kar baarish ki maja leta to kabhi Kajal ki haath thaam kar dance karte hue.

Abb usse pata chal raha tha log baarish me bheengna kyu pasand karte hai aur baarish me bheengne ki maja kya hai...Ek naya feeling tha Ajith ke liye ye.

Dono saath me naachne ke saath mastiyan bhi karne lage...Kabhi ek dusre ke chehre me paani fenkte to kabhi ek dusre ko ajeeb munh bana kar chidhaate...Cartoon face aur paani ki boondein...Dekhne me bahut funny lag raha tha ek dusre ko.

Ajeeb sa paagalpan chaa raha tha dono par...Lekin iss paagalpan ko bhi khul kar jee rahe the dono.

Aise hi puri barsaat dono ne naachte hue aur mastiyaan karte hue enjoy kiya.

Baarish khatm hone ke baad.

Kajal:- Kya baat hai janaab...Aapka dhyan dance se jyada kahi aur tha?

Kajal ne Ajith ko aankhe dikhaate hue kaha.

Ajith:- Ha wo itni pyari thi ki usse najar hi nahi hat raha tha.

Ajith ne bhi muskuraate hue kaha...Apni taarif sun kar Kajal fir sarmaa gayi.

Ajith:- Ek baat kahu.

Kajal:- Hmm.

Ajith:- Sach me keh du?

Kajal:- Kaho na.

Ajith:- Tum.

Kajal:- Ha mai.

Ajith:- Tum

Kajal:- Ha mai...Aur aage.

Kajal abb thoda irritate ho kar boli...Aur yahi Ajith chaahta tha...Kabhi kabhi Kajal ko aise hi pareshaan karne me usse bahut maja aata tha.

Ajith:- Tum bahut khubsurat lag rahi ho.

Sach me baarish me bheengne ke baad Kajal pehle se aur bhi jyada khubsurat dikh rahi thi...Aur apne dil ki baat kahe bina Ajith reh nahi paaya.

Ajith ne Kajal ki gaalo se paani ki boondein saaf karte hue kaha.

Kajal:- Sach

Ajith:- Much

Kajal:- Accha aaj mai kaise khubsurat lagne lagi?


Ajith:- Wo to tumhaare roop bol rahe hai...Ye tumhaare resham jaisa mulaayam baal...Bheenge hue baalo ko sehlaate hue kaha Ajith ne.

Ye tumhaari jheel si neeli aankhein...Kajal ki palkon ko chhu kar kaha Ajith ne.

Ye tumhaari laal laal gaal...Gaalon me pinch karte hue kaha Ajith ne.

Aur ye tumhaari pink lips jisse dekhte hi kuch kuch hota hai...Ajith ne Kajal ki hontho par ungli firaate hue kaha...

Aur...


Fir Ajith chup ho gaya.

Kajal:- Aur?

Ajith kuch nahi bola...Fir Kajal ne Ajith ki najron ka piccha kiya aur...

Kajal:- You naughty?

Ajith abb bhaagne laga aur Kajal Ajith ka piccha karne lagi.

Ajith:- Galti tumhaari hi hai...Naa tum itni khubsurat hoti aur naa mai itna taarif karta.

Kajal:- Accha ji...Tum kya keh rahe the mera pink lips dekhte hi kuch kuch hota hai? Aisa kya hota hai?

Ajith:- Bahut kuch hota hai.

Kajal:- Kya hota hai?

Ajith:- Wo to bol kar nahi karke dikhaana padega.

Kajal:- You???

Abb Kajal aur teji se piccha karne lagi.

Ajith ko bhi iss baar haarne ka dil kiya...Wo abb ek jagah khada ho gaya.

Kajal Ajith ke paas pahunch kar hamesha ki tarah usa par mukko ki barsaat karne lagi...Lekin pyar se.

Kajal:- Bahut bigad gaye ho.

Ajith:- Tumhaari pyar ki vajah se aur sirf tumhaare liye.

Ajith ne muskura kar bahut hi maasumiyat se kaha.

Ajith ki iss maasumiyat par Kajal ko aur bhi jyada pyar aa gaya.

Jawaab me usne bhi pyar se Ajith ki gaalo par pinch kar diya aur muskuraane lagi.
बहुत ही बेहतरीन महोदय।

प्यार और बारिश का बहुत गहरा रिश्ता है। जब प्यार की बरसात होती है उसी समय पानी की बरसात होती है। यही तो प्यार के मौसम में चार चांद लगते है।।। काजल और अजीत अपने प्यार को खुलकर जी रहे है । देखते हैं आगे क्या होता है।।
 

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Supreme
28,184
56,375
304
UPDATE 25

Kajal:- Aa chhi.

Aur Kajal ka ek dam se chheenkh nikal gaya.

Ajith:- Thik to ho naa?

Ajith ne Kajal ke baalo par haath ferte hue kaha.

Kajal:- Ha...Bas thoda sa sardi hai.

Kajal ne Ajith ki taraf dekh kar kaha.

Ajith:- Thoda nahi bahut...Dekho tumhaara naak bhi laal ho gaya hai thand ki vajah se.

Ajith ne bahut fikar ke saath kaha.

Kajal:- Hmm...Thoda sa jukhaam hai.

Ajith:- Thoda sa?

Kajal:- Ha thoda sa...Dawaai khaaungi to thik ho jaayega.

Ajith:- Not fair...Har baar dawaai...Apna khayal kabhi nahi rakhti tum.

Kajal:- Tum ho na mera khayal rakhne ke liye.

Kajal ne sharm aur muskaan ke saath kaha.

Ajith:- To fir tum se dur chala jaaunga.

Kajal:- Taang tod dungi.

Itna keh kar hasne lagi...Saath me Ajith bhi hasne laga.

Ajith:- Oh God...You are too much.

Kajal:- I know.

Ajith:- Khair ye baatein chhodo...Chalo ghar chhod deta hu tumhe...Warna jukhaam badh jaayega.

Kajal:- Please kuch der aur.

Ajith:- Bilkul nahi.

Kajal:- Tum bhi kitna unromantic ho...Itna romantic mausam hai...Thandi thandi haawaien...Har taraf hariyali aur shaanti...Aur aasmaan me safed aur ghane baadal...Mera dil to naachne ka kar raha hai.

Ajith:- Iss baar to bilkul bhi nahi...Aur raha tumhaari shikaayat ki mai unromantic hu ya romantic...Wo to tumhe baad me bataaunga...Abhi filhaal tum ghar chalo.

Kajal Ajith ki iss baat par munh bigaadti hai...Ajith ko ye dekh kar fir hansi aa jaata hai.

Ajith ne fir mehsus kiya ki Kajal thand se kaamp rahi hai.

Usne apne bag se jacket nikala aur Kajal ko pehna diya.

Kajal ko ye dekh Ajith par aur bhi pyar aa raha tha...Ye Ajith ka care hi tha uske liye jis vajah se uska pyar Ajith ke liye badh raha tha.

Wo Ajith ko hi dekhe jaa rahi thi...Fir dhire se boli.

Kajal:- Lekin tumhe bhi to thand lag raha hai.

Ajith:- Tum jitna nahi...I will take care.

Kajal:- Lekin...

Ajith:- Mere liye.

Abb Kajal kuch bol nahi paa rahi thi...Ajith ka ye pyar dekh kar khushi se uski aankho se aansu aa gaya.

Kajal:- Itna pyar karte ho mujhse?

Ajith:- Isse bhi jyada.

Kajal:- Hamesha aise hi pyar karte rehna.

Itna keh kar Kajal ne Ajith ko gale laga liya.

Ajith:- Abhi tak sirf kehta aaya hu kitna pyar karta hu tumse...Lekin kabhi dikha nahi paaya.

Kajal:- Sab dikhta hai.

Ajith:- Vaada karta hu...Bas ek baar settle ho jaane do Doctor banne ke baad...Tumhaara har sapna pura karunga...Kabhi koi khwahish adhura nahi rahega...Duniya ka har jagah ghumenge...Har khushiyan mehsus karenge...Saath jiyenge pyar aur khushiyan ke saath.

Paisa kabhi bhi hamaari khushiyon ke bich diwaar nahi banega.

Kajal:- Nahi mujhe ye sab nahi chaahiye...Sirf tumhara pyar...Please tum jaise ho waise hi rehna.

Kajal Ajith se alag hote hue boli.

Ajith:- Lekin kyu? Ye sab tumhaare liye hi to soch raha hu...Tumhaare pyar ke liye.

Kajal:- Safalta aur khushiyan to milta hi rehta hai jindagi me...Lekin jaruri ye hai ki ham aasmaan ki taraf kitni bhi ucchai (height) haasil kyu na kar le pair jameen me hi hona chaahiye.

Tum abhi jo Ajith ho mujhe wohi Ajith se pyar hai...Jo bahut pyara hai, thoda maasum hai...Jo sabhi se bahut pyar karta hai aur har insaan ka bhala chaahta hai...Aur paiso ke piche paagal nahi hai.

Mai tumhaare saath har haal me khus rahungi...Mujhe yakin hai tum par.


Ajith ko samajh me nahi aa raha tha kya bole.

Kajal:- Ha paiso ki kami nahi aayegi...Tum aur mai mil kar kaam karenge to paiso ka problem bilkul bhi nahi aayega...Lekin mai chaahti hu paiso ki vajah se ham me koi badlaaw nahi aana chaahiye.

Hamaara pyar pehle jaisa tha waisa hi rehna chaahiye...Unconditional.

Kajal ne Ajith ki aankho me dekh kar kaha.

Kajal:- Tum samajh rahe ho na? Mai kya keh rahi hu.

Ajith:- Ha samajh gaya.

Ajith ne fir se gale laga kar kaha.

Ajith:- Shaayad galat raaste ki taraf soch raha tha...Accha hua pehle hi ehsas ho gaya...Paise se pyar dikhaa nahi sakte...Paise apni jagah jaruri hai...Aur pyar to pyar hai...Bas dil se ki jaati hai...And it is unconditional.

Ajith ne muskura kar kaha.

Fir Ajith ne Kajal ki maathe (forehead) par ek kiss kar diya.

Kajal bhi Ajith ko pyar se dekhti rahi.

Ajith:- Niche to karne nahi dogi.

Ajith ne Kajal ki hontho ko chhu kar kaha.

Kajal sarma kar dusri taraf dekhne lagi.

Fir achanak usse yaad aaya.

Ajith:- Tum bhi na...Bahut emotional ho jaati ho aur mujhse bhi kar deti ho...Aur iss chakkar me bhul gaya tha ki tumhe ghar bhi jaana hai.

Kajal:- Please kuch der aur.

Kajal ko abhi jaane ka bilkul bhi man nahi kar raha tha.

Ajith:- Bilkul bhi nahi...Tumhara health ke saath no compromise.

Itna keh kar Ajith aage badh gaya aur Kajal ki scooty par baith gaya...Kajal bhi puche piche aa gayi.

Ajith:- Key do.

Kajal key deti hai.

Ajith:- Chalo...Tumhe drop kar deta hu.

Kajal:- Nahi nahi...Mai chali jaaungi.

Ajith:- Nahi...Iss baar tumhaara bilkul bhi nahi sununga.

Abhi tumhaari tabiyat thik nahi hai...Mai khud chalaunga.

Kajal fir scooty me baith jaati hai.

Ajith scooty chalaana suru kar deta hai.

Kajal:- Kitna slow hai? Thoda fast to karo.

Fir Kajal speed dekhti hai...25km/hr tha.

Ajith:- Issi liye tumhe chalaane nahi de raha tha...Agar tej chalaunga to aur thand lagega tumhe.

Fir Kajal bhi kuch na boli...Wo mirror me Ajith ka chehra dekh muskuraane lagi.

Aaj Kajal ka wohi haal tha jo pehle Ajith ka hua karta tha...Wo iss safar ka maja le rahi thi...Kabhi Ajith ka chehra mirror se dekh kar to kabhi Ajith ka apne paas hone ki mehsoos se.

Kajal ke ghar se kuch doori par Ajith ne scooty rok diya.

Kajal:- Ghar ke andar to chalo.

Ajith:- Aaj nahi.

Kajal:- Fir kab?

Ajith:- 1 mahine baad...Tumhaare ghar rishte ki baat le kar aaunga.

Ajith ki iss baat se Kajal thoda sarma gayi.

Kajal:- Kya khaas hai uss din?

Ajith:- Khaas din hi hai...Mera pehla salary...Kal se Internship hai...1 month baad first salary as a doctor.

Kajal:- Fir paise ki baat?

Ajith:- Tumhaare liye nahi...Sasur ji ke liye.

Unhe ye ehsas to dilaana padega na ki mai apne pairo par khada hu aur unke beti ke laayak hu.

Gift le kar aaunga tumhaare liye uss din...Apne pehli kamaayi ki paise se...Intejaar karna.

Ajith ki baat se Kajal ki khushi ka koi thikaana hi nahi raha.

Kajal:- Intejaar rahega.

Fir Ajith Kajal ki kaan ke paas jaa kar dhire se kehta hai.

Ajith:- Internship me romance bhi karenge...Night duty bas mil jaaye...Apne duty ke saath saath pyar bhi karenge.

Kajal:- Dhatt paagal.

Dhire se Ajith ko maarte hue sarma kar apne ghar ki taraf bhaag gayi Kajal.

Ajith bas usse muskuraata hua dekhta raha.

Kajal aage jaa kar palti...Fir dono ka najar milte hi muskaan aur sarm aur bhi jyada fail gaya Kajal ki chehre me...Fir wo bhaag gayi apne ghar ki andar.

Ajith bhi dusri aur muskuraata hua apna hostel ki taraf chala gaya aankhon me naye naye sapne le kar.


Iss baat se anjaan ki jitna haseen sapna usne dekha hai utna hi daraawna hakikat se usse saamna karna padega jald hi bhavisya me.
बहुत ही बेहतरीन महोदय।

दोनों इस प्यार के एहसास और प्यार के पल को बहुत अच्छी तरह से जी रहे हैं। अजीत एक महीने बाद काजल के घर रिश्ता लेकर जाने वाला है। क्योंकि उस दिन अजीत को डॉक्टर के रूप में पहली तनख्वाह मिलेगी देखते हैं क्या होता है।।
 

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Supreme
28,184
56,375
304
UPDATE 27

Ajith:- Hmm yaar...Badlaaw to bahut aaya hai...Aankho me chasma...Side se kuch baal fulne lage hai...Daadhi aur moonch bhi badha diya...Weight bhi badhne laga hai.

Kul milaa kar pehle se badsurat hota jaa raha hu.

Ajith ne muskura kar kaha.

Dhruva:- Roop ki baat kisne kiya...Look me to aaj bhi kisi se kam nahi...Maintain kiya to koi jawaab nahi.

Mai tera chehra aur roop ki baat nahi kar raha hu...Andar se badal gaya hai yaar tu.

Tera chehre me hamesha khilne wala smile gaayab hai...Hamesha khus rehne wala Ajith ko hamesha kisi gehri soch me dekh raha hu...Jindagi ke har pal ko khul kar jeene wale Ajith ko aaj ghut ghut kar jeeta hua dekh raha hu.

Apno ke khushi ke liye kuch bhi kar gujarne wale Ajith ko dekh raha hu ki kaise wo apno se hi dur bhaag raha hai.

Lekin aaj bhi ek baat nahi badla...Aaj bhi mera dost utna hi mahan hai jaisa pehle tha...Apne gham me kisi ko shaamil nahi karna chaahta...Khud hi ladna chahta hai.

Lekin yaar...Mai apne dost ko itna mahan dekhna nahi chaahta...Mai apne dost se sirf itna chaahta hu ki wo mera dost hi rahe...Mujhe apna pareshaani bataaye aur khul kar baat kare.

Tu sirf mera pareshaani dur karta tha kabhi apna pareshaani nahi bataata tha...Aur mujhe tere pareshaani aur dard dur karne ka hak nahi deta tha...Isko mahanta kehte hai dosti nahi...Tune mere saath dosti kabhi nahi nibhaya sirf mujh par reham kiya hai.


Ye baat Ajith ke dil me jaake chubh gaya...Aur ye baat Dhruva saaf mehsus kar sakta tha...Ajith ko pata tha Dhruva ki baat galat to nahi par puri tarah sach bhi nahi...Ajith ne iss tarah kabhi nahi socha...Wo samjhaana to chaahta tha Dhruva ko par ye vakt sahi nahi tha.


Dhruva:- Bataayega na mujhe...Ek baar bata kar to dekh...Puri duniya se lad jaaunga...Dekhna tu.

Please yaar mujhe bhi apna dosti saabit karne ka ek mauka de.


Dhruva ne emotional ho kar kaha iss ummeed ke saath ki Ajith pighal jaaye.

Ajith:- (In his mind) Nahi yaar...Ye hamaare bas ki baat nahi hai...Naa tere aur naa hi mere...Sab kismat aur uparwala ke haath me hai.


Ajith:- Ye kaisi baat kar raha hai...Mai kis se dur bhaag raha hu.

Ajith ne jald hi khud ko sambhaal liya.

Dhruva:- Kajal se aur mujh se.

Ajith:- Mai kisi se kyu bhaagunga...Agar tujhse bhaagta to abhi tujh se baat nahi karta...Aur rahi baat Kajal ki...Kya bataau yaar...Usne bewafaayi kiya hai mujhse...

Kajal ke baare me baat karte vakt Ajith ka jubaan ladkhada raha tha...Ajith isse aage kuch bolta Dhruva ne usse bich me rok kar kaha.

Dhruva:- Ye baat mujhse nahi khud se keh...Khud se keh ki Kajal ne tere saath bewafaayi kiya hai?

Dhruva ki baat se Ajith chup ho gaya...Aakhir kis munh se jhuth bol paata khud se?

Fir bhi ek koshish kiya usne...Apne chehre ko shakth kar liya usne aur kehne hi wala tha ki.

Dhruva:- Nahi...Aisa karna bhi mat...Pehle ye soch ki kis ke baare me baat kar raha hai aur kya baat kar raha hai.

Ek jhuth ko chupaane ke liye 10 jhuth aur bolne jaa raha hai...Aur jhuth bhi kis ke baare me? Apna saccha pyar?

Pyar koi majaak nahi jiske baare me majaak kar liya aur jhuth bol diya...Agar sach bolne ki himmat na ho to jhuth bhi mat bol...Apne pyar ke baare me to bilkul bhi nahi.


Abb Ajith bhi chup ho gaya...Usse kuch samajh me nahi aa raha tha usse kya karna chaahiye.

Dhruva bhi Ajith ko hi dekhe jaa raha tha...Usne mehsus kiya ki Ajith ne ek baar bhi uski aankho me aankhein daal kar baat nahi kiya hai.

Kuch der dono khaamosh hi rahe.

Dhruva:- Kaise akele reh leta hai yaar?

Ajith:- Aadat ho gaya hai.

Dhruva:- Aur ye aadat ki vajah?

Ajith:- Tu nahi samjhega.

Achanak Ajith ki munh se nikla...Saamne dekha to Dhruva muskura raha tha.

Dhruva:- Matlab tu maanta hai tera koi pareshaani hai aur tu maanna nahi chaahta.

Iss baar Ajith ne koi jawaab nahi diya.

Dhruva:- Please yaar...Keh kar to dekh...Vaada karta hu sab kuch thik kar dunga.

Ajith:- Tera bas ki baat nahi hai.

Dhruva:- Kyu?

Ajith:- Mai doctor ho kar kuch nahi kar paa raha hu to tu kya kar paayega?

Dhruva:- Matlab koi disease.

Dhruva ki ye baat sunte hi Ajith ko khud par fir se gussa aaya...Na chaahte hue bhi wo Dhruva ko har baat bata raha tha.

Dhruva:- Lekin doctor se upar bhi kuch hota hai.

Ajith Dhruva ko dekhne laga.

Dhruva:- Bhagwaan

Ajith:- Lekin tu bhagwaan nahi hai.

Dhruva:- Lekin bhagwaan kab kis roop me madad kar de koi pata nahi...Shaayad wo roop hamara dosti hi ho.

Abb Ajith se raha nahi jaa raha tha...Dil kar raha tha ek baar toot kar sab kuch bata de...Uska dar, uska pareshani aur sab kuch.

Lekin fir wo sambhal gaya...Itne dino ki mehnat aur khud ko jis tarah se sambhala tha usne wo sab paani me mil jaata.

Dhruva:- Accha yaar chalta hu.

Ajith ko vishwas hi nahi hua...Ek baar Dhruva ki taraf dekha...Dhruva serious tha.

Dhruva:- Mujhe yakin hai tu isse jyada kuch nahi batayega...Mujhe jo pata karna tha wo pata laga liya...Isse jyada ummeed bhi nahi hai...Aur tere marji ke bina aur puch taach karna bhi nahi chaahta.

Ajith abhi bhi Dhruva ko hi dekh raha tha.

Dhruva:- Jaa raha hu...Lekin saath chhod kar nahi...Tujhe wapas theek kar dunga ye vaada ke saath jaa raha hu.

Dhruva ki baato me confidence tha.

Ajith:- Sunne me bahut accha lag raha hai.

Dhruva:- Hakikat bhi utna hi accha lagega.

Ajith:- Tu bhi jaanta hai sapne, khwaab aur khwahishein bahut suhaana hota hai aur hakikat utna hi dardnaak.

Dhruva:- Hakikat ko khaamosh rehne se aur koshish na karne se badal nahi sakte.

Hakikat ko dardnaak sach se kaisa suhaana banana hai ye mujhe acche se pata hai.

Ajith:- Kya karega?

Dhruva:- Mere sir me paagal likha nahi hai...Jo tujhe bataaunga...Agar bata diya to tu plan ki watt lagaane ki koshish me koi kami nahi rakhega.

Ajith:- Bhagwaan ki baat kar raha tha...Kya pooja paath karega?

Dhruva:- Agar jaruri pade to wo bhi karunga...Lekin abhi kuch aur hi socha hai.

Ajith:- Kya?

Dhruva:- Tu bas aam khaane se matlab rakh...Pedd mat ginn.

Jab tu thik ho jaayega na to mujhe yaad kar lena...Aur phone karke dost keh dena...Bahut khushi hoga...Dosti ka farz nibhaa kar tere munh se dost sunne me.

Ajith:- Agar thik naa hua to?

Dhruva:- Ek aur sabut tere badalne ka...Pehle tu pessimist nahi tha.

Vishwas kar mujh par aur mere dosti par...Agar hamaara dosti me sacchaai hai aur mai kisi laayak hu to tu thik ho jaayega.

Tere chehre ka muskaan waapas laaunga...Kajal ko uska pyar se dobara milaaunga jisko todne ki maine kabhi koshish kiya tha...Aur pure duniya ko ek doctor jiska har kisi ko jarurat hai.

Ajith ko samajh me nahi aa raha tha kya react kare...Usse khud apna thik hona mumkin nahi lag raha tha aur abb Dhruva ki aisi baatein.

Dhruva:- Fir milenge.

Dhruva ne gate ke paas jaa kar kaha...Ek baar muskura kar Ajith ko dekha aur waha se nikal gaya ek vishwas ke saath.

Jaate vakt Ajith ne Dhruva ko muskura kar vidaa kiya.


Ajith khidki ke paas aa kar Dhruva ko jaate hue dekhta raha.

Chaahta to wo bhi tha sab kuch bata de aur sab kuch thik ho jaaye...Lekin koi faaidaa nahi tha...Kehne se dil halka hota uska dard nahi.

Dhruva ki baatein sunne me to usse bahut accha lag raha tha...Aur sunne ka man kar raha tha aur yahi ummeed kar raha tha ki kaash yahi sach ho.

Lekin wo iss baat ko jhuthla nahi sakta tha ki sapna, khwaab aur khwahish kitna bhi haseen kyu na ho lekin sacchaai sacchai hi hota hai...Isse ham bhaag nahi sakte.

Andhere me hamaara shaaya (shadow) bhi saath chhod deta hai...Lekin sacchai kabhi bhi picha nahi chhodta hai...Wo bhi apne iss kadwa sach se bhaag nahi sakta hai.

Dhruva ki baat par usne sirf itna ho socha ki usne bas uska confidence high karne ki koshish kiya hai...Aur isse jyada wo kar bhi kya sakta hai?

Lekin uska pareshaani aisa tha ki usse thik karna naamumkin ke barabar tha...Naa hi uska confidence kaam aata aur naa hi kisi ka saath.

Yahi sab sochte hue wo apne hakikat ke duniya me waapas laut aaya...Jaha sirf wo ek hi cheej kar sakta tha...Apne kismat ki faisla ka intejaar.
बहुत ही बेहतरीन।

इतना तो समझ मे आ गया कि अजीत को कोई लाइलाज बीमारी है जो अपने आखिरी पड़ाव पर पहुच चुकी है। शायद अजीत को कैंसर हो चुका है। इसीलिए वो किसी को बताना नहीं चाहता है। उसे मालूम है कि इसका इलाज नहीं है। लेकिन ध्रुव उसका दोस्त है तो उसे ध्रुव को बता देना चाहिए सच्चाई, लेकिन पता नहीं क्यों वो किसी को बताना ही नही चाहता। लेकिन हाथ पर हाथ धरकर भी नहीं बैठ जाना चाहिए।।
 

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Supreme
28,184
56,375
304
UPDATE 26

Ye kaisa majaak hai? Fir se jhuth bola tune?

Dhruva ko sahi salaamat dekh Ajith ne bahut gusse me kaha.

Dhruva:- To kya karna chahiye tha mujhe?

Ajith:- Kuch bhi...Lekin iss tarah jhuth bol kar bulaana.

Ajith ke chehre par bahut gussa tha abhi.

Ajith:- Serious baat par bhi itni aasani se jhuth bol diya tune.

Dhruva ko Ajith ka gussa dekh muskaan aa gaya.

Aaj bhi Ajith uske liye kuch bhi kar sakta hai iska saboot saamne Ajith maujud tha.

Ajith ka roop aur haaw bhaaw bata raha tha ki wo kitni jaldi me Dhruva se milne aaya tha.

Saamne Ajith White Coat me tha...Gale par Sthescope aur White Coat me ek card jisme likha tha.

Dr. Ajith
Intern

Ek pal ka saans nahi liya hoga bechaare ne jab se usne khud ki haalath ke baare me suna hai aisa soch kar Dhruva ki hontho me muskaan aur dil me Ajith ke liye izzat aur bhi badh gaya.

Ajith:- Tu hans raha hai?

Dhruva:- Tera dosti dekh kar.

Ajith:- Accha aisa kya dikh gaya tujhe mere dosti me.

Dhruva:- Ye baat tu khud se puch? Pata chal jaayega.

Mere baare me sunte hi bina koi change kiye (dressup) bhaaga chala aaya.

Ajith kuch bol nahi paa raha tha.

Ajith:- Fir bhi tune galat kiya iss tarah se bol kar.

Dhruva:- Jaanta hu...Lekin ye bhi jaanta hu sidhi ungli se ghee bhi nahi nikaal sakta...Iss liye aisa karna pada.

Ajith ne ek lambi saans le liya...Iss baat se wo bhi waakif tha ki Dhruva ki jidd ke saamne wo kabhi jeet nahi sakta.

Ajith:- Abb bata kaise yaad kiya?

Dhruva:- Tu to mujhe bhul hi gaya hai...Issi liye mujhe hi tujhe yaad karna pada.

Ajith:- Kaam ki baatein kare?

Ajith ke liye waha rukna bahut mushkil tha...Wo jaanta tha wo kabhi bhi Dhruva ke saamne tut sakta hai.

Dhruva:- Bilkul professional ho gaya tu.

Dhruva ne Ajith ki taraf muskura kar kaha.

Ajith:- Responsibility bhi kuch cheej hota hai.

Dhruva:- Sahi kaha...Responsibility nibhaana hi chaahiye...Ye har insaan ka kartavya (duty) hai.

Lekin ye responsibility jo hota hai na wo khud par bhi applied hota hai...Kabhi kabhi insaan ko khud ke baare me bhi sochna chaahiye.

Ajith:- Kya matlab hai tera?

Achanak hi Ajith ne pucha.

Dhruva:- Cool yaar...Khud se puch...Jawaab mil jaayega.

Dhruva ki hontho me muskaan tha jisse Ajith har baar uncomfortable feel kar raha tha.

Ajith:- Accha abhi chalta hu...Ek emergency case hai...Baad me milte hai.

Itna keh kar Ajith utth gaya.

Dhruva:- Kahi nahi jaayega tu? 2 hrs ka chhuti le hospital se.

Dhruva ki baato me request kam order jyada tha.

Ajith:- Aisa kyu?

Dhruva:- Dost hu tera...2 saal baad mile hai...Baatein karni hai.

Ajith:- Sorry dear friend...Lekin abhi ye possible nahi hai...This is my duty time...Abhi jo time hai wo sirf patirnt ke liye hai...Naa hi kisi dost aur rishtedaar ke liye...Shaam me baat karenge fursat se.

Dhruva:- Kuch baatein aisi hoti hai jisko thik samay me karna chaahiye...Aur aisi hi baatein mai abhi karne jaa raha hu jiska sahi vakt ye hi hai.

Ajith:- Lekin kya kar sakte hai...Har koi vakt se bandha hota hai...Mai bhi hu...Chaah kar bhi vakt ki iss bandhan ko tod nahi sakta...Kaash vakt ko apne kaabu me kar paata aur apne hisaab se chala paata.

Ajith ki aawaj me ek dard tha...Jo uski majburi dikha raha tha...Dhruva ko bhi ye mehsus karne me jyada vakt nahi laga.

Ajith:- Jab bhi tere liye vakt nikaalunga tujhe bula lunga...Iss vakt ko tera naam nahi kar paaunga.

Dhruva:- Kar sakta hai...Vakt ki bandhan ko bhi tod sakta hai aur apne kaabu bhi kar sakta hai.

Bas chaahiye to himmat aur iccha...Jo tu kho raha hai.

Dhruva ne bhi Ajith ki sabse badi pareshaani ki taraf ishaara karte hue kaha.

Ajith:- Har raasta itna aashaan bhi nahi hota...Kahi na kahi haar ka saamna karna padta hi hai.

Dhruva:- Where there is a will, there is a way...Tu bas manjil ka soch, raasta khud mil jaayega.

Aur rahi baat haar ka to...Jab tak tu khud haar nahi maanega tab tak tujhe koi hara nahi paayega...Haarta to wo hai jo koshish hi nahi karta...Haarta kaayar hai jiske paas ladne ki taakat hi na ho.


Ye sab kehte hue Dhruva ko bahut bura lag raha tha...Apne hi dost ke liye ye sab kehna usse hi bardast hi nahi ho raha tha...Lekin abhi ke liye yahi jaruri tha.

Jaanta to wo bhi tha uska dost kaayar nahi veer hai...Jo har mushkil se lad sakta hai aur lada bhi hai...Iss baar wo apne ussi veer dost ko waapas dekhna chaahta tha.


Dhruva ki ye baatein nishaane par laga...Sidhe Ajith ki dil me baar kar diya usne.

Ajith:- (In his mind) Aisa nahi hai yaar...Bahut lad chuka hu mai aur aaj bhi lad sakta hu...Lekin jeet aur haar ke bich ek aisa cheej hai jis vajah se maine haar ko hi apna liya...Jeetne ki khwahish hi khatm jo gaya.


Lekin Ajith ne baat khud tak hi rakha...Dhruva ke saamne bol nahi paaya.


Ajith:- Bahut bolta hai yaar tu...Baato me itna time waste kar diya...Aur yaha raha to pata nahi kya hoga...Chalta hu...Ye vakt sirf patient ke liye hai.

Itna keh kar Ajith jaane laga.

Dhruva:- Apne dost ke liye bhi nahi?

Ajith:- Nahi...Sirf patient.

Dhruva:- To thik hai...Mai hi patient ban jaata hu...Tab to mere paas hi rahega na tu.

Dhruva ki baaton me ek himmat tha...Sacchai tha...Jisse saaf pata chal raha tha ki wo soch bol raha hai.

Ajith bhi jald hi Dhruva ki taraf muda...Dhruva ki daaya haath me chaaku (knife) aur baaya haath uske nishaane par dekh Ajith ka hosh hi udd gaya.

Dhruva:- Faisla tera hai...Dost ke liye vakt nikaalega ya Patient dost ke lige?

Ajith kuch bol hi nahi paa raha tha.

Dhruva:- Kaisa doctor hai tu? Mujhe to bahut kehta tha..."Prevention is better than cure."

Kya iss accident ko prevent nahi kar sakta.

Ajith ko fir ehsas ho gaya Dhruva aur dosti se wo jeet nahi paayega...Ek baar fir usse haar maana pada.

Ajith:- Chal thik hai...2 ghante ko tere naam kiya...Abb bol...Kya baat karni hai?

Ajith ki ye baat sun kar Dhruva muskuraaye bina nahi reh paaya.

Dhruva:- Dekha...Kaha tha na agar iccha ho to vakt ko badal sakte hai...Abhi tune badal hi diya.

Issi tarah kisi bhi haalaath ko badal sakte hai aur kisi bhi mushkilon se lad sakte hai...Bas ek himmat to kar.

Fir Ajith kuch bol nahi paaya...Bolta bhi kya? Uski har baato ka jawaab tha Dhruva ke paas.

Wo chup hi raha...Aur iss baar Dhruva bhi kuch na bola...Wo bas Ajith ki chehre ko hi padhne ki koshish kar raha tha.

Dhruva:- Tu bahut badal gaya yaar.

Iss baar Dhruva ki aawaj me dard tha...Ajith ki aankho ko padh chuka tha wo.

Ajith ne khaamoshi me bin bole hi bahut kuch bata diya Dhruva ko.


Dhruva ko Ajith ki ye haal bahut chubh raha tha...Lekin usse raasta bhi mil gaya usse aage kya karna hai jo jo wo itne dino se dhund raha tha.
बहुत ही बेहतरीन महोदय।
ध्रुव ने अजीत को इमोशनली ब्लैकमेल किया अपनी दोस्ती का वास्ता देकर अजीत भी मजबूर हो गया, क्योंकि वो नहीं चाहता था कि उसके दोस्त को कोई नुकसान पहुंचे उसके कारण।।
 
Top