बहुत बहुत ही बेहतरीन कहानी महोदय।UPDATE 28
Kajal:- Agar mai kabhi tumse ruth gayi to tum kya karoge?
Ajith:- Kuch nahi.
Ajith ki iss baat par Kajal usse ghurne lagi...Ye dekh kar Ajith ko aur bhi hassi aa gaya.
Kajal:- Mai yaha serious hu aur tum has rahe ho.
Ajith:- Hasne ki hi to baat hai.
Ajith aur bhi hanste hue kaha.
Kajal:- Aur wo kyu?
Ajith:- Wo iss liye kyu ki tum kabhi mujhse naraaj ho hi nahi sakti.
Ajith ne Kajal ki gaal ko pinch karte hue kaha.
Kajal:- Agar ho gayi to?
Ajith:- Ho hi nahi sakti.
Kajal:- Itna confidence?
Ajith:- Ha bahut.
Kajal:- Aur wo kyu?
Ajith:- Vishwas.
Kajal:- Kaisa vishwas?
Ajith:- Apne pyar par...Tumhe itna pyar karta hu aur itna pyar karunga ki tumhe kabhi naraaj kar hi nahi sakta.
Pyar karta hu tumse...Khushiyan dena chaahta hu naraajgi nahi.
Ajith ki baaton se Kajal ki hontho par muskaan fail gaya.
Kajal:- Fir bhi maan lo ki mai tumse naraaj ho gayi...Tab kya karoge?
Ajith:- (Kuch sochte hue) Tab to manana padega.
Kajal:- Wahi to puch rahi hu...Kaise manaaoge.
Ajith:- Tumhaare saamne jhuk jaaunga aur sacche dil se dil khol kar maafi maangunga.
Ajith ne muskuraate hue kaha.
Kajal:- Tum mere saamne jhukoge.
Kajal ne thoda hairaani ke saath kaha.
Ajith:- Ha...Isme buraai kya hai...Apno ke saamne jhukne me kaisi sharmindagi...Tum bhi to mere apne hi ho...Sirf 2 hi log hai iss duniya me jise mai apna maanta hu...Ek tum aur ek mera pyara dost Dhruva.
Tum dono mujhse naraaj ho jaao aisa sochte hi dar lagne lagta hai...Kabhi naraaj nahi hone dunga...Agar ho bhi gaye to mana lunga.
Ajith ke baat sunte hi Kajal uske gale lag gayi.
Kajal:- Mai to aise hi pucch rahi thi.
Ajith bhi Kajal ko gale se laga leta hai.
Ajith:- Wais bhi naraaj kiya to naa jhukna kya.
Ajith ne bahut hi romantic ho kar kaha...Kajal Ajith ko dekh kar fir se muskuraayi...Ajith ne bhi uska saath diya.
Ajith:- Agar mai naraaj ho gaya tumse to tum kya karogi?
Kajal abb Ajith ki gale se alag ho gayi aur Ajith ki aankho me dekh kar maasumiyat se pucha.
Kajal:- Kya tum bhi mujhse naraaj ho sakte ho?
Ajith:- Ye to bahut naa insaafi hai...Tum mujhse naraaj ho sakti ho aur mai nahi?
Ajith ne bhi shikaayat karte hue pucha.
Kajal:- Kisne kaha mai tumse naraaj ho sakti hu.
Ajith:- Aur kisne kaha mai tumse naraaj ho jaaunga.
Kajal:- Baat khatm...Ham dono me se koi bhi ek dusre se naraaj nahi hoga...Agar kuch hoga to sirf puar hi pyar.
Kajal ne baat badalte hue kaha.
Ajith:- Itni jaldi bhi kya hai madam...Jara mai bhi to sunu meri Kajal kya karti hai mujhe manane ke liye.
Kajal kuch der sochne lagi.
Kajal:- Pata nahi.
Ajith:- Isme sochna kaisa...Do thappad lagaao kaan ke niche...Khud akal aa jaayega mujhe.
Kajal:- Pakka.
Ajith:- Hmm...Kabhi try kar lena.
Kajal:- Matlab tum mujhse naraaj howoge...Khabardaar agar aisa socha bhi to.
Kajal ne Ajith ko ghurte hue kaha to Ajith ne bhi muskuraate hue Kajal ko gale laga liya.
Ye sab sochte hue kabhi Kajal ki hontho me muskaan aata to kabhi aansu...Kitne pyar bhare haseen din the wo.
Aur kya din hai aaj...Bechari ko to pata bhi nahi tha uski galti kya hai jo Ajith iss tarah se usse naraaj ho gaya.
Paise ko matlab na dene wala Ajith aaj paiso ke piche bhaag raha hai...Kabhi naraaj na hone ka vaada karne wala Ajith aaj usse iss tarah naraaj tha ki maane ko taiyar hi nahi tha.
Saath jeene aur marne ki kasam khaane wala Ajith aaj ek pal bhi saath nahi rehna chaahta hai...Yaha tak ki uska shakl hi dekhna pasand nahi karta hai.
Badal gaya hai Ajith...Bahut badal gaya hai...Lekin kyu aur kaise iska jawaab nahi tha Kajal ke paas.
Hamesha Ajith ke saath bitaaye haseen aur suhaane pal yaad aate...Ek dusre se kiya hua pyar, vaada, baatein, mastiyan yaad aata to kabhi dono ne ek saath dekhe hue bhavisya ka sapna yaad aata.
Na jaane kya kya sapna dekh liya tha dono ne saath me.
Lekin Ajith ki naraajgi ne sab par paani fer diya...Aur Kajal bhi isse Ajith ki naarajgi hi samajhti thi.
Agar dono ki pyar ko unka manjil mil jaata to ye yaadein khubsurat yaadein hoti aur dono hi jab inn yaadon ko sochte dono ke hontho me muskaan hota lekin afsos...Ye yaadein dono ke liye dardnaak yaadein ban raha tha.
Kajal ne soch liya.
Kajal:- (To herself) Dekhti hu kaise nahi maanta abb...Bahut ho gaya...Pichhle 1 mahine se mana rahi hu...Maan hi nahi raha...Abb do thappad lagaati hu...Khud akal thikaane me aa jaayega.
Abb to maana hi padega usse.
Kajal ne khud ko majbut bana liya...Aaj usse jaise bhi Ajith ko manana hai...Aur wo chali gayi Ajith ke paas.
Ladki:- Tum aisa nahi kar sakte mere saath.
Ladki ne laghbhag rote hue kaha.
Ajith:- Dont be so stupid ..Aisa kar chuka hu.
Ladki:- Please mere saath aisa mat karo.
Ajith:- (Laughing) Kya lagta hai tumhe...Tum ro dogi to mai pighal jaaunga...Aisa soch bhi kaise sakti ho tum.
Ladki:- But I love you.
Ajith:- What? If you love me...It is your problem...Not mine...It is just an one night stand for me...Nothing more.
Ladki:- How can you think like this? Tum bhi to mujhse pyar karte ho na.
Ajith:- Pyar? Pyar to mai sirf paisa se karta hu.
Ladki:- Mera dil tod ke tum kabhi khus nahi reh paaoge dekhna...Aaj tumne mera dil toda hai dekhna kal koi tumhaara bhi dil todega.
Ajith:- Bahut ho gayi tumhaari baccho jaisi baatein...Tum pehli nahi ho...You are 10th girl to have relation with me...Aur aaj tak mera kuch nahi bigda...Aage bhi kuch nahi hoga.
Ajith ne hanste hue kaha.
Abb Kajal se aur bardast nahi hua...Bina door knock kiye wo Ajith ke cabin me aa gayi.
Ajith:- Kajal tum.
Ajith ne hairaani ke saath kaha.
Kajal:- Maine sab sun liya.
Ajith:- Aisa kuch nahi hai jo tum soch rahi ho...Mai samjhata hu tumhe...Tumhe misunderstanding hua hai.
Ajith ne hanste hue kaha...Ajith ka hansi Kajal ko apna majaak lag raha tha.
Kajal Ajith ke munh me thuk deti hai aur
Kajal:- You cheater.
Itna keh kar Kajal rote hue waha se nikal jaati hai.
Kajal ke jaane ke baad...Ladki Ajith ko dekhti hai...Ajith usse jaane ka ishaara karta hai.
Ajith abhi bhi hans raha tha...Lekin uska hansi dardnaak hansi me badal gaya tha...Uska sabhi dard saamne aa raha tha...Khud ka hi gala ghontne jaisa dard mehsus kar raha tha wo...Jab apni jindagi Kajal ko khud se dur jaata hua dekh raha tha.
Lekin aisa karna bhi jaruri tha.
Kuch der baad Preeti Ajith ke cabin me aati hai.
Ajith apna aansu ponch leta hai.
Preeti:- Congratulations.
Ajith:- Kyu?
Preeti:- Tum apna mission jeet gaye...Aakhir yahi chaahte the na tum...Abb Kajal kabhi nahi aayegi tumhari life me.
Ajith chup raha.
Preeti:- Tum ek koshish bhi kyu nahi karte...Khair mai bhi kisse baat kar rahi hu.
Itna keh kar Preeti bhi waha se chali gayi...Wo jaanti thi Ajith ko wo mana nahi sakti...Jaate vakt uske chehre me bhi dard tha...Ajith ne ye bhi mehsus kiya...Lekin wo kuch nahi bola...Preeti ko bhi jaane diya.
Abb wo apne chair par baith gaya...Aur dil khol kar rone laga...Apne haar par, apne bebsi par aur apne laachari par.
Abb kuch nahi ho sakta tha uska...Sab kuch chheen gaya tha aur baaki jo bhi tha wo bhi chheene hi wala tha.
Ajith ko iss baat par sabse jyada rona aa raha tha ki uski jindgi me ek ummeed bhi nahi tha...Dekhte dekhte uska jindagi kya se kya ho gaya.
आपकी हर कहानियां दर्द से भरपूर होती हैं। मुझे ऐसी ही कहानियां पसंद हैं जिसमे गम दर्द और प्यार बेसुमार हो। बहुत अच्छा ड्रामा कर रहा है अजीत। वो जो चाह रहा था वही हो रहा है, लेकिन कब तक के देखना दिलचस्प होगा।