Ko To Rok Lo {Update - 182}
____________________________
Maine anjane me hi sahi, lekin uske masum dil par gahri chhot pahuchayi thi aur ab uski is chot par marham bhi mujhe hi lagana tha. Jab mujhse us se kuch kahte nahi bana to, fir mere dil se khud-ba-khud ek gaane ke bol nikal aaye.
“Hum Ko Mili Hain Aaj Ye
Ghadiyan Nasib Se
Ji Bhar Ke Dekh Lijiye
Hum Ko Karib Se
Phir Aap Ke Nasib Mein
Ye Raat Ho Na Ho
Shayad Phir Is Janam Mein
Mulaqat Ho Na Ho
(Mere muh se gaane ke ye bol sunte hi
priya ne apna hath chhudane ki koshish
band kar di aur meri taraf gaur se
dekhne lagi maine use dekhte huye
aage sur me gaate huye kaha)
Lag Ja Gale Ki Phir Ye
Hasin Raat Ho Na Ho
Shayad Phir Is Janam Mein
Mulaqat Ho Na Ho
Pas Aaiye Ki Hum Nahin
Aayenge Baar-Baar
Baahen Gale Mein Daal Ke
Hum Ro Le Zaar-Zaar
(ye kahte huye maine
priya ko apni taraf khich liya)
Aankhon Se Phir Ye Pyar Ki
Barasat Ho Na Ho
Shayad Phir Is Janam Mein
Mulaqat Ho Na Ho
Lag Ja Gale Ki Phir Ye
Hashin Raat Ho Na Ho
Shayad Phir Is Janam Mein
Mulaqat Ho Na Ho.”
Gaana pura hote hote meri aankhen puri tarah aansuon se bhig chuki thi. Wahi priya mere gale se lag kar aansu bahaye ja rahi thi. Lekin ye haal sirf hum dono ka hi nahi tha. Nikki ka haal bhi kuch humare jaisa hi tha. Wo bhi apni aankhon se aansuon ko chhalakne se nahi rok payi thi.
Ye sirf ek gaana nahi, mere dil ke wo aehsas the. Jo is samay mai priya ko lekar mehsus kar raha tha. Wakt jaise hum logon ke liye ruk sa gaya tha. Sab ke lab khamosh the. Lekin aankhen aanus baha kar apne jajbat jahir kar rahi thi.
Thodi der kisi ne kisi se kuch bhi nahi kaha. Fir nikki ne apne aanus ponchhte huye, humare pas aakar kaha.
Nikki boli “ye dekho, tum dono ne mujhe bhi rula kar rakh diya.”
Nikki ki baat sunkar, mujhe pahli baar waha par nikki ke bhi hone ka aehsas hua aur maine apni aankhon ko saaf karte huye, nikki se kaha.
Mai bola “maine kya kiya. Mai to sirf priya ko mana raha tha.”
Ye kahte huye, maine nikki ko priya ki taraf ishara kiya. Priya ab bhi mujhse lipat kar roye hi ja rahi thi. Usne jaise hum dono ki baat suni hi na ho. Nikki ne mujhe chup rahne ka ishara kiya aur fir priya ko chhedte huye kaha.
Nikki boli “kya itna manane ke bad bhi, tera gussa khatam nahi hua hai. Jo abhi tak roye ja rahi hai.”
Ye kahte huye nikki ne pyar se priya ke sar par hath to, priya mujhe chhod kar, nikki se lipat gayi. Nikki ne pyar se uske sar par hath ferte huye kaha.
Nikki boli “ab bas bhi kar na, mujhse tera rona nahi dekha jata hai. Ab yadi tu chup nahi huyi to, mai bhi rone lag jaugi.”
Nikki ki is baat ne priya ke upar jadi ki tarah asar kiya aur uska rona dhire dihre siski me badal gaya. Lekin wo abhi bhi nikki se lipti huyi thi. Nikki ne mujhe bolne ka ishara kiya to, maine priya se kaha.
Mai bola “sorry, maine anjane me tumhare dil ko bahut chot laga di. Mai janta hu ki, mai us wakt galat tha aur yadi khalid ajay ka dost na nikla hota to, mere sath kuch bhi bura ho sakta tha.”
“Lekin ab ek baat mai tumse puchhta hu. Tum to khalid ke baare me sab kuch pahle se janti ho. Aise me yadi aaj raste me kisi baat ko lekar, mera jhagra khalid se ho gaya hota to, tab tum kya karti. Kya tum khalid ke dar se mujhe akela chhor kar bhag jati.”
Meri ye baat sunte hi priya ka sisakna band ho gaya aur wo palat kar meri taraf gaur se dekhne lagi. Wo shayad ye janne ki koshish kar rahi thi ki, mai us se ye sawal kyo kar raha hu.
Lekin jab use mere is sawal ko karne ka matlab samajh me aaya to, usne gusse me mujhe gurte huye kaha.
Priya boli “jyada chalak banne ki koshish mat karo. Tum mujhko mere diye gaye jabab me hi fasana chahte ho. Lekin ek baat kaan khol kar sun lo. Mai jo chahe kar sakti hu. Tum meri barabari karne ki koshish mat karo.”
Priya ki ye baat sunte hi, meri aur nikki ki hansi chhut gayi. Thodi der mai aur nikki milkar priya ko isi baat ko lekar pareshan karte rahe aur fir dhire dhire priya bhi apne mood me wapas aa gayi.
Priya ki narajgi door hote dekh kar, maine bhi rahat ki saans li. Kuch der hum log aise hi ek dusre se hansi majak karte rahe. Fir ek dusre ko good night bol kar apne apne kamre ki taraf chal diye.
Kamre me aakar maine bhi shukun ki saans li. Ab mere dil me jald se jald srif keerti se milne ki tadap thi aur mai isi tadap ke sath keerti ko yaad karte huye gahri nind ki aagosh me kho gaya.
Subah 7 baje meri nind nikki ke jagane par khuli. Usne hamesha ki tarah muskurate huye mujhe jagaya aur fir mujhe taiyar hone ka bol kar wapas chali gayi. Uske jaane ke bad, mai bhi fresh hone chala gaya.
Fresh hone ke bad mai taiyar hua aur apne baki ke saman ki packing karne laga. Tabhi nikki aur priya chay nashta lekar aa gayi. Maine unke sath chay nashta kiya aur fir unse baat karte karte apne saman ki packing karne laga.
Kuch hi der me mera packing karna bhi ho gaya. Uske bad mai priya aur nikki ke sath bahar hall me sabke pas aa gaya. Hall me ghar ke sabhi log baith kar gap shap kar rahe the.
Aaj mohini aunty sab se dil khol kar baten kar rahi thi. Mehul bhi unse baat karne ka koi mauka nahi chhod raha tha. Mujhe mehul ki is harkat ko dekh kar, kuch hairani si ho rahi thi aur mai khamoshi se uski baton ko sunne laga.
Mere pas hi nitika aur priya bhi baithi huyi thi. Priya ko bhi mehul ka mohini aunty ki har baat me sath dena kuch ajib sa lag raha tha. Thodi der tak to, wo uski baten sunti rahi. Lekin jab us se na raha gaya to, usne dhire se mujhse kaha.
Priya boli “mujhe to daal me kuch kaala najar aa raha hai. Tumko aisa nahi lag raha ki, mehul chachi ko jarurat se jyada hi msaka laga raha hai.”
Mai bola “haan, mujhe bhi aisa hi lag raha hai. Lekin meri samajh me ye nahi aa raha hai ki, ye aisa kyo kar raha hai.”
Hum dono aapas me dhire dhire baten kar rahe the. Lekin humari is baat ko nitika bhi sun rahi thi. Usne meri baat sunte hi dhire se hum dono se kaha.
Nitika boli “wo apne aage ka rasta taiyar kar raha hai.”
Nitika ki baat sunte hi, hum dono ka dhyan uski taraf chala gaya. Usne hum dono ki hairani ko door karte huye kaha.
Nitika boli “isme chaukne wali kya baat hai. Mehul ki girlfriend shilpa meri saheli hai aur wo mere ghar aati rahti hai. Mummy ke bigde huye swabhav ki vajah se mehul humare ghar aane se bhi darta tha.”
“Lekin ab mummy ke is badle huye roop ko dekh kar, wo mummy ko patane me laga hua hai. Taki yaha se jaane ke bad bhi mummy ke sath uska mel jol aise hi bana rahe aur uska humare ghar aana jana suru ho jaye.”
Nitika ki ye baat sunkar, mujhe aur bhi jyada hairani huyi aur maine nitika se kaha.
Mai bola “ye to aap thik kah rahi hai. Lekin mai ye nahi maan sakta ki, ye idea mehul ke dimag me aa sakta. Ye jarur kisi aur ke dimag ki upaj hai.”
Meri baat ke jabab me nitika ne muskurate huye kaha.
Nitika boli “aap thik soch rahe ho. Ye mehul ka nahi, riya didi ka idea hai. Un ne hi kal mehul ko ye salah di thi aur wo kal se isi tarah mummy ke aage pichhe laga hua hai. Hum logon ke aapke sath wapas chalne me bhi mehul ka hi hath hai.”
Nitika ki ye baat sunkar, meri aur priya ki hansi chhut gayi. Hum fir se muhul aur mohini aunty ki baton ka maja lene lage. Aise hi baton aur hansi majak ka daur chalte chalte 11 baj gaye.
Maine priya se barkha didi ke ghar chalne ka puchha to, padmini aunty ne mujhse khana kha kar jaane ko kaha. Maine unko samjhana chaha. Lekin aaj mera unke ghar me aakhiri din tha.
Jis vajah se wo mujhe aaj khana khaye, bina nahi jaane dena chahti thi. Aakhir me mujhe unki baat maan kar, sabke sath khana khana pad gaya. Khana khate khate hume 12 baj gaye.
Uske bad, mai priya aur nikki ke sath barkha didi ke ghar aa gaya. Hum log waha pahuche to, neha aur seeru didi log waha pahle se maujud thi. Hum logon ke pahuchte hi, waha khane ki taiyari chalne lagi.
Priya aur nikki ne to, ghar se khana kha kar aane ki baat kah kar, barkha didi se khana khane se saaf saaf mana kar diya. Lekin mai barkha didi ke bolte hi, sabke sath khana khane ke liye baith gaya.
Mujhe yaha aakar fir se khana khane ke liye baithte dekh kar, nikki ne hairan hokar, mujhse kaha.
Nikki boli “are aap abhi to ghar se khana kha kar aaye hai aur ab fir se yaha khana khane baith gaye. Kya aunty ka bana hua khana aapko pasand nahi aaya ya fir waha ke khane se aapka pet nahi bhara tha.”
Nikki ki is baat ko sunkar, mai muskura kar rah gaya. Lekin priya ne nikki ki is baat ka jabab dete huye kaha.
Priya boli “jaisa tu soch rahi hai, aisi koi baat nahi hai. Isne barkha didi se vada kiya tha ki, jab tak ye yaha hai, iska khana barkha didi ke sath hi hoga. Jis vajah se khana kha lene ke bad bhi, ise apne vade ko nibhane ke liye, barkha didi ke sath bhi khana khane baithna pada hai.”
Priya ki ye baat sunte hi, seeru didi log meri is haalat par hasne lagi. Lekin barkha didi ne fauran mujhe tokte huye kaha.
Barkha boli “mere bhai, tumhe kisi baat ka sankoch karne ki jarurat nahi hai. Yadi tumne priya ke ghar khana kha liya to, isme kya galat ho gaya. Jaise ye tumhara ghar hai, waise hi wo bhi tumhara ghar hai.”
“Tum yaha khana khao ya waha khana khao, ek hi baat hai. Tum apne kiye kisi vade ke liye, khud ko taklif mat do. Mujhe tumse kisi baat ki koi shikayat nahi hai aur tumhe jabardasti yaha khana khane ki bhi koi jarurat nahi hai.”
Barkha didi ki ye baat sunkar, maine muskurate huye kaha.
Mai bola “didi, yadi mujhe yaha khana nahi khana hota to, mai aapko call karke, pahle hi mana kar deta. Lekin maine priya ke ghar khana khate huye bhi, apne pet me itni jagah bacha kar rakhi thi ki, aapke sath bhi khana kha saku. Aap yakin rakhiye, mai koi sankoch nahi kar raha hu.”
Meri baat sunkar, barkha didi ke chehre par muskurahat aa gayi aur fir hum sab khana khane lage. Seeru didi baat baat par meri khichai karne me lagi thi aur selu didi bhi unka sath de rahi thi.
Aise hi hansi majak karte karte humara khana khana ho gaya. Ab sab log kheer kha rahe the. Tabhi seeru didi ne fir se mujhe chhedte huye kaha.
Seerat boli “ek baat batao, tumhari didi to, humare ghar me hai. Fir tum unko chhod kar, roj yaha barkha ke sath khana kyo khate ho.”
Seeru didi ki is baat par maine muskurate huye kaha.
Mai bola “didi, aapka aisa sochna galat nahi hai. Asal me baat ye hai ki, mujhe is ghar ki har jagah par didi ki hi chhap najar aati hai. Sirf ye hi nahi, balki abhi mai jo kheer kha raha hu, mujhe to isme bhi didi ke hathon ka hi swad najar aa raha hai. Jab maine pahli baar yaha khana khaya tha. Tab didi ne mujhe bilkul aisi hi kheer bana kar khilayi thi.”
Meri ye baat sunkar, seeru didi log hairani se mujhe dekhne lagi. Wahi aunty ke chehre par muskan magar aankhon me aansu jhilmila gaye. Aunty ne mere pas aakar, mere sar par hath ferte huye kaha.
Aunty boli “tumne kheer ke swad ko bilkul sahi pehchana hai. Ye kheer shikha ne hi, tumhare liye banakar bheji hai. Jaise tumhari khane ke bad, chay peene ki aadat hai.”
“Waise hi shekhar ko bhi khane ke bad, kuch meetha khane ki aadat thi. Use kheer bahut jyada pasand thi. Isliye shikha ne aaj tumhare liye ye kheer bana kar bheji thi.”
Shekhar bhaiya ka naam sunkar, mahol ek dam se bhavuk sa ho gaya tha. Shekhar bhaiya se mai kabhi mila to nahi tha. Lekin unse mujhe itna jyada apnapan ho gaya tha ki, unki kami ke aehsas ne mujhe bhi bhavuk kar diya tha.
Kuch pal ke liye waha gahri khamoshi chha gayi. Fir aunty ne hi is khamoshi ko todte huye mujhse kaha.
Aunty boli “beta, jab kabhi tumhe yaha aane ka mauka mile to, wo mauka apne hath se jaane mat dena aur hum se milne chale aana. Hum sabko tumse itna apnapan ho gaya hai ki, tumhe yaha se jaane dene ka, man hi nahi kar raha hai.”
Mai bola “aunty ye bhi bhala koi kahne ki baat hai. Yakin maniye, jab mai apne ghar se yaha ke liye nikla tha, tab mujhe apne ghar walon se door hote huye, jitna dukh hua tha. Utna hi dukh, aap sab se bhi door hote huye ho raha hai.”
“Mujhe aap sab se itna apnapan mila hai ki, mera aap sab se door hone ka dil hi nahi kar raha hai. Is samay mujhe apne ghar wapas lautne ki khushi nahi, balki aap sab se door hone ka dukh ho raha hai.”
Ye baat kahte kahte mai kuch udas sa ho gaya. Meri is udasi ko dekh kar, barkha didi ne muskurate huye kaha.
Barkha boli “mere bhai, aisa nahi kahte. Hum log to sirf itna chahte hai ki, tum kabhi kabhi hum se milne yaha aate raho. Lekin iska ye matlab nahi ki, tum yaha se dukhi hokar jao.”
“Tum yaha se khushi khushi apne ghar jao. Waha par bhi meri do chhoti bahne badi besabri se tumhara intejar kar rahi hai. Wo itne din bad, tumko apne pas pakar bahut khush hogi.”
Barkha didi ki ye baat sunkar, meri aankhon me ami nimi ka masum chehra ghoom gaya. Abhi mai barkha didi ki kisi baat ka koi jabab de pata ki, tabhi shikha didi aur nisha bhabhi andar aati huyi najar aayi.
Unko dekhte hi mere chehre par muskurahat aa gayi. Wo dono bhi humare pas aakar baith gayi. Nisha bhabhi ne aate hi, mujhe chhedte huye kaha.
Nisha bhabhi boli “kyo hero, yaha sabka khana ho gaya hai. Lekin tumhara khana hai ki, abhi tak chal hi raha hai.”
Unki ye baat sunkar, mai muskura kar rah gaya aur fir se kheer khane laga. Lekin seeru didi ka dimag kab kaha chal jaye, ye koi nahi janta tha. Un ne fauran hi nisha bhabhi ki, is baat ka jabab dete huye kaha.
Seerat boli “kya bhabhi, aapko majak ke siwa kabhi kuch sujhta bhi hai ya nahi. Ye bechara itne din yaha raha. Lekin shikha bhabhi ne ise iski manpasand chij bana kar hi nahi khilayi hai. Ab to apne ghar jakar hi iska pet bhar payega.”
Seeru didi ki ye baat sunte hi, mai unki taraf dekhne laga. Mujhe samajh me nahi aa raha tha ki, ab inke dimag me kya chal raha hai. Wahi shikha didi ne hairani se seeru didi se kaha.
Shikha didi boli “mai samjhi nahi, aap kya bol rahi ho.”
Seerat boli “bhabhi, isme samajhne wali kya baat hai. Priya bata rahi thi ki, aapke bhai ko aalu ke parathe bahut pasand hai. Kya aapne aaj tak ise aalu ke parathe khilaye hai. Ab to ise apne ghar jakar hi aalu ke parathe khane ko milege.”
Seeru didi ki ye baat sunkar, maine priya ki taraf ghoor kar dekha. Lekin wo na me apna sar hila kar batane lagi ki, usne aisa kuch bhi nahi kaha hai. Wahi seeru didi ki ye baat sunte hi, shikha didi ne fauran uth kar khade hote huye kaha.
Shikha didi boli “bhaiya, mujhe ye baat pata nahi thi. Lekin aap bas thodi der ruko, mai abhi aapke liye aalu ke parathe bana kar lati hu.”
Shikha didi ki ye baat sunte hi, mere pet ki to jaan hi nikal gayi. Maine fauran hi shikha didi ko rokte huye kaha.
Mai bola “nahi didi, ab mera khana ho chuka hai. Aap bekar me pareshan mat hoiye. Mai agli baar jab aauga, tab jarur aapke hath ke aalu ke parathe khauga.”
Magar shikha didi ne meri is baat ko ansuna karte huye kaha.
Shikha didi boli “nahi bhaiya, aap chahe ek paratha khaiye. Lekin mai aapko aalu ke parathe khaye bina yaha se nahi jaane dugi. Aap bas 5 min rukiye, mai abhi parathe bana kar lati hu.”
Itna bol kar shikha didi, meri koi baat sune bina hi kitchen ki taraf chali gayi aur mai gusse me seeru didi ko dekhne laga. Wahi priya seeru didi se is baat ko lekar bahas karne lagi ki, un ne is baat me uska jhutha naam kyo liya.
Abhi priya aur seeru didi me is baat ko lekar bahas chal hi rahi thi. Tabhi raj, riya, mehul aur nitika aa gaye. Jab unhe is bahas ke baare me pata chala to, mehul ne bataya ki, ye baat to seeru didi ko kal nitika se pata chali thi.
Mehul ki ye baat sunte hi sabko puri baat samajh me aa gayi aur sab hasne lage. Lekin seeru didi ke is majak ne mujhe pareshani me daal diya tha. Kuch hi der me shikha didi aalu ke parathe bana kar le aayi.
Mere pet me ab khane ke liye jara bhi jagah nahi bachi thi. Fir bhi unka dil rakhne ke liye mai parathe khane laga. Ab ye unke hathon ka jadu tha ya fir unka mere liye pyar tha.
Jo mai na na karte huye bhi parathe khate chala ja raha tha. Mujhe is tarah parathe khate dekh kar, seeru didi log bhi hairani se mujhe dekh rahi thi aur jab seeru didi se na raha gaya to, un ne mujhe tokte huye kaha.
Seerat boli “ab bas bhi kar petu. Na na karte huye bhi do parathe kha gaya hai. Itna khayega to, ab tera pet hi fat jayega.”
Seeru didi ki baat sunkar, ek baar fir sabke kahkahe goonj gaye aur is bich mera parathe khana bhi ho gaya. Iske bad hum sabke bich hansi majak ka daur chalta raha. Is sab me hume pata hi nahi chala ki, kab 3:15 baj gaye.
Mehul ne hume is baat ka dhyan dilaya aur jaldi se wapas priya ke ghar chalne ko kahne laga. Lekin tabhi aunty ne hume rukne ko kaha aur wo andar wale kamre me chali gayi.
Kuch der bad, jab wo us kamre se wapas lauti to, unke hath me ek bag tha. Ye wo hi bag tha, jo chhoti maa ke yaha aate samay nitika ke hath me tha aur nitika ise chhoti maa ke sath aunty ke kamre me lekar gayi thi. Aunty ne wo bag mehul ko dete huye kaha.
Aunty boli “tum apna ye bag to, bhool hi ja rahe ho. Punit ki mom ne iski jimmedari tumko hi di thi.”
Aunty ki baat sunkar, mehul ne muskurate huye, wo bag aunty se le liya aur fir wo bag barkha didi ki taraf badate huye kaha.
Mehul bola “didi, aunty ne jate samay mujhse kaha tha ki, un ne shikha didi ke liye to, thoda bahut kar diya hai. Lekin jaldbaji me wo aapke liye kuch nahi kar payi hai. Isliye un ne ye bag aapko de dene ko kaha tha.”
Mehul ki ye baat sunkar, barkha didi aunty ki taraf dekhne lagi. Wahi aunty ne mehul ko tokte huye kaha.
Aunty boli “beta, ye unka badappan hai ki, shikha ke liye itna sab karne ke bad bhi, wo ise thoda maan rahi hai. Magar is bag me un ne bahut paise rakh chhode hai. Barkha bhala itne paiso ka kya karegi.”
Mehul bola “aunty, aapki isi baat ki vajah se un ne jati samay aap se kaha tha ki, aap ye bag mujhe de dena. Kyoki wo janti thi ki, aap iske liye kabhi taiyar nahi hogi. Lekin unka manna tha ki, punit par jitna haq shikha didi ka hai.”
“Utna hi haq barkha didi ka bhi hai. Isliye unne ye paisa barkha didi ko punit ki taraf se diya hai. Ab ye barkha didi ki marji par hai ki, wo is paise ka jo chahe, wo kar sakti hai.”
Mehul ki ye baat sunkar, aunty usko samjhane ki koshish karne lagi. Lekin chhoti maa bhi mehul ko bahut achi tarah se samjha kar gayi thi. Isliye wo aunty ki har ek baat ka jabab deta gaya.
Aakhir me mere aur nisha bhabhi ke samjhane par aunty ne is baat ka virodh karna band kar diya aur barkha didi ne khushi khushi wo bag le liya. Iske bad maine aur mehul ne aunty ke pair chhu kar unse aashirwad liya.
Fir hum sab aunty se vida lekar priya ke ghar jaane ke liye nikal pade. Hum sab 3:45 baje priya ke ghar pahuch gaye. Waha dada ji ke sath, rajesh uncle aur aakash uncle baithe huye the.
Padmini aunty ke sath sath, aakash uncle bhi hume airport tak chhodne jaane wale the. Isliye aaj wo itni samay ghar par the. Ajay aur aman ne airport par hi milne ka kaha tha.
Humari flight ka samay 5 baje ka tha aur ab humare airport ke liye nikalne me jyada samay baki nahi tha. Mohini aunty ne to apna saara saman, pahle se hi bahar nikal kar rakha hua tha.
Isliye maine aur mehul ne ghar aate hi, apna apna saman nikal kar gaadiyon me rakhna suru kar diya. Raj, riya, priya aur nikki bhi humare bag gaadiyon tak pahuchane me humari madad kar rahe the.
Mai jab yaha aaya tha to, mere pas sirf ek bag tha. Lekin ab jaati samay mere pas 4-5 bag ho gaye the. Kuch bag me mere khud ka kharida hua saman tha to, kuch bag me yaha se mila hua saman tha.
Kuch hi der me, hum sab ke bag alag alag gaadiyon me chada diye gaye. Fir maine aur mehul ne dada ji ke pair chhu kar un se aashirvad liya. Uske bad hum log unse vida lekar alag alag gaadiyon me 4 baje airport ke liye nikal pade.
Ek car me aakash uncle, padmini aunty aur mohini aunty the. Dusri car me seeru didi, selu, aru, hetal didi aur nikki the. Teesri car me barkaha didi, neha, riya aur nitika the.
Chauthi car me nisha bhabhi aur shikha didi, mai aur priya the. Panchvi car me rajesh uncle, mehul, raj aur hitu the. Jab hum log mumbai aaye the. Tab hume station par lene ke liye sirf raj aur riya hi aaye the.
Tab hum station se unke ghar tak taxi me aaye the. Lekin aaj hume raj ke ghar se airport tak chhodne ke liye, 5 gaadiyan aur itne saare log ja rahe the. Jinme se har ek ke sath, mera ek gahra rishta sa jud gaya tha.
In me se har ek ke sath mujhe dili lagav ho gaya tha. Aisa hi kuch shayad mujhe lekar un sab ke sath bhi tha. Jiski gawahi mujhe vida karne ke liye, un sabka airport tak aana de raha tha.
______________________________