• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest Koi To Rok Lo

Pritam.bs

!..Kar Vida.......Alvida..!
Supreme
3,003
15,224
159
Ko To Rok Lo {Update - 183}
____________________________

Kuch hi der me, hum sab ke bag alag alag gaadiyon me chada diye gaye. Fir maine aur mehul ne dada ji ke pair chhu kar un se aashirvad liya. Uske bad hum log unse vida lekar alag alag gaadiyon me 4 baje airport ke liye nikal pade.

Ek car me aakash uncle, padmini aunty aur mohini aunty the. Dusri car me seeru didi, selu, aru, hetal didi aur nikki the. Teesri car me barkaha didi, neha, riya aur nitika the.

Chauthi car me nisha bhabhi aur shikha didi, mai aur priya the. Panchvi car me rajesh uncle, mehul, raj aur hitu the. Jab hum log mumbai aaye the. Tab hume station par lene ke liye sirf raj aur riya hi aaye the.

Tab hum station se unke ghar tak taxi me aaye the. Lekin aaj hume raj ke ghar se airport tak chhodne ke liye, 5 gaadiyan aur itne saare log ja rahe the. Jinme se har ek ke sath, mera ek gahra rishta sa jud gaya tha.

In me se har ek ke sath mujhe dili lagav ho gaya tha. Aisa hi kuch shayad mujhe lekar un sab ke sath bhi tha. Jiski gawahi mujhe vida karne ke liye, un sabka airport tak aana de raha tha.

Kuch hi der me hum sab airport pahuch gaye. Waha humara swagat ajay aur aman ne kiya. Ajay ne mujhe dekhte hi apne gale se laga liya. Fir hum sab airport ke andar aa gaye.

Ab kisi bhi samay humari flight ki ghoshna ho sakti thi. Isliye mai aur mehul sabse mil kar vida lene me lag gaye. Sabse pahle mai aakash uncle aur padmini aunty ke pas vida lene aaya.

Un dono ki ye jodi pyar ki ek anokhi misal thi. Jiske aage mera sar shraddha se khud-ba-khud jhukta chala gaya. Maine unke pair chhu kar unse aashirvad liya. Dono ne pyar se mere sar par hath fera aur mujhe aate rahne ko kaha.

Meri dekha seekhi mehul bhi humhare pas aa gaya aur uncle aunty se aashirvad lene laga. Mehul ko uncle aunty ke pas aaya dekh kar, mai uncle aunty se vida lekar, riya ke pas aa gaya.

Riya wo ladki thi, jisne pahli baar mere andar ki vasna ki aag ko bhadkaya tha aur jise mai pahli mulakat me hi apni girlfriend banana chahta tha. Mere gupt-ang ko sparsh karne wali ekloti ladki bhi riya hi thi.

Yadi keerti sahi samay par, meri jindgi me nahi aayi hoti to, shayad mai riya ke sath aur bhi aage bad gaya hota. Lekin riya ko sirf isi vajah se yaad rakha jana, uske sath bahut badi nainsafi karna tha.

Kyoki mere mumbai me kadam rakhne ke pahle, na to raj aur riya ke alawa mai yaha kisi ko janta tha aur na hi koi mujhe yaha janta tha. Aise me mujhe sirf raj aur riya se hi, thodi bahut madad milne ki ummid thi.

Magar humare mumbai me pahla kadam rakhte hi, riya ne humari ummid se kahi jyada humare liye kar diya tha. Usne hume kisi hotel me nahi rukne diya aur jabardasti apne ghar le aayi thi.

Uske hume apne ghar le aane ki vajah se hi, humse ek ke bad ek, itne saare log judte chale gaye the. Ek tarah se is sab ki vajah riya hi thi aur uski is baat ko kisi bhi tarah se andekha nahi kiya ja sakta tha.

Yadi riya hume pahle din hi apne ghar na le gayi hoti to, fir na hi meri nikki se mulakat ho pati aur na hi mai itne saare logon se jud pata. Lekin uske is sath ke liye, use thanks kahna, ek tarah se use chhota dikhana hi tha.

Mere dil me riya ke liye bahut ijjat thi aur mai uske is sath ko bhi chhota dikhana nahi chahta tha. Isliye maine riya ke pas aate huye us se kaha.

Mai bola “mai tumko thanks kah kar, tumko chhota nahi karuga. Lekin fir bhi hakikat yahi hai ki, hum logon ko mumbai me jo bhi apnapan mila hai, us sabki vajah sirf tum hi ho. Yadi tum nahi hoti to, mai in sab se bhi, kabhi nahi mil pata. Is sab ke liye mai jindagi bhar ke liye tumhara karjdar rahuga.”

Meri baat sunkar, riya ne muskurate huye kaha.

Riya boli “aisa kuch bhi nahi hai. Tum aur mehul humare dost ho aur fir tum dono ne bhi to, hum logon ka waha kitna khayal rakha tha. Aise me hum logon ne yaha tumhara khayal rakh kar, koi mahan kaam nahi kar diya hai. Jiske liye tum mere karjdar ban gaye ho.”

“Dosti me koi karj nahi hota. Dosti me sirf farj hota hai aur humne wo hi farj nibhaya hai. Isliye tum in faltu ki baton ko sochna band karo aur khushi khushi apne ghar jao. Ami nimi tumko dekhne ke liye taras rahi hai. Un dono ko hum sab ki taraf se pyar dena aur kahna ki, mai un dono ko bahut yaad kar rahi thi.”

Ye kahte huye riya ne ek bag mujhe pakda diya. Maine bag le to liya. Lekin mujhe riya ka ye bag dene ka matlab samajh me nahi aa raha tha. Riya ne meri is uljhan ko samajh kar, use door karte huye mujhse kaha.

Riya boli “isme jyada chaukne wali koi baat nahi hai. Is bag me hum sab ki taraf ami nimi aur baki sab ke liye gift hai. Tumne kya socha tha ki, hum log un dono shaitano ko itni aasani se bhool jayege.”

Riya ki ye baat sunkar, maine muskurate huye kaha.

Mai bola “lekin is sab ki kya jarurat thi. Priya ne pahle hi sabke liye dher saari shopping karwa di thi.”

Riya boli “wo sab tumhari taraf se the aur ye humari taraf se hai. Ab is sab ke baare me koi bekar ki bahas suru mat karo aur meri ek baat kaan khol kar sun lo. Ye maana ki ab tumhare yaha bahut se ghar hai. Lekin tum par pahla haq humara hi hai. Isliye tum jab bhi yaha aaoge, tumko humare hi ghar me rukna padega.”

Riya ki ye baat sunkar, mai muskuraye bina na rah saka aur maine bina koi bahas kiye hi, uski is baat ki haami bhar di. Tabhi mehul humare pas aa gaya. Mehul ko dekh kar maine riya se vida li aur mai neha ke pas aa gaya.

Neha, jise pahli mulakat me mai priya ki saheli ke roop me janta tha. Lekin bad me barkha didi se mujhe uske sahi roop ki jaankari mili thi. Wo ek behad hi nakchadi aur jhagdalu kism ki ladki thi.

Jo baat baat par kisi se bhi ladne lagti thi aur dusron ko nicha dikhana uske swabhav me shamil tha. Lekin in sab buraiyon ke bad bhi, uske andar ek achchai aisi bhi thi. Jo uski in sab buraiyon par parda daal deti thi.

Uski wo achchai ye thi ki, wo shikha didi par jaan deti thi aur shikha didi ki kabhi koi baat nahi katti thi. Wo bachpan se hi shikha didi ki ladli thi aur hamesha saaye ki tarah unse chipki rahti thi.

Wo swabhav se ladanku thi aur yadi koi shikha didi ko kuch galat baat kah de to, uska ye roop aur bhi jyada bhayankar ho jata tha. Uski isi baat ne, mere dil me uski bhi ek khas jagah bana di thi.

Salim wali baat ko lekar mere man me uske liye kuch der ke liye gussa jarur aaya tha. Lekin jab nikki aur priya se mujhe pata chala ki, neha salim ko sirf hitu ka dost hone ki vajah se janti thi to, mera ye gussa bhi khatam ho gaya tha.

Magar shayad neha ke man me abhi bhi us baat ko lekar dar samaya hua tha. Isliye wo kal se mera samna karne se bach rahi thi. Lekin mai jaise hi us se vida lene uske pas aaya to, usne apni safayi dete huye kaha.

Neha boli “tum mujhe kal ki baat ko lekar galat mat samajhna. Kal jo kuch bhi hua tha, usme meri jara bhi galti nahi thi. Mai to salim se sirf hitu ke dost hone ki vajah se baat kar rahi thi. Mujhe nahi pata tha ki, wo waha aisa kuch kar jayega.”

“Yadi mujhe is baat ka, pahle se jara bhi pata hota to, mai tum logon ko apne pas rokne ki galti kabhi nahi karti aur tumse pahle, mai khud hi use is sab ke liye buri tarah se fatkar laga deti.”

Neha ki is baat me sachchai thi aur ye baat priya mujhe pahle hi bol chuki thi. Isliye maine neha ki baat ko sunkar, muskurate huye us se kaha.

Mai bola “tum kal ki baat ko lekar pareshan mat ho. Mujhe priya aur nikki ne kal hi saari sachchai bata di thi. Isliye mere man me kal ki baat ko lekar tumhare liye koi mail nahi hai. Hum aaj bhi waise hi dost hai, jaise kal se pahle the.”

Meri ye baat sunkar, neha ne shukun ki saans lete huye kaha.

Neha boli “thanks, in sabne to mujhe dara hi diya tha ki, tum kal ki baat ko lekar mujhse bahut naraj ho. Isliye mai tumhare samne aane se bhi bach rahi thi.”

Neha ki is baat ko sunkar mujhe hansi aa gayi. Lekin fir maine kuch gambhir hote huye us se kaha.

Mai bola “mai kya, hum me se koi bhi tumse naraj nahi hai. Sab tumko isliye pareshan kar rahe the. Kyoki tum bevajah sabse ladti rahti ho. Meri najar me, dosti me ladna jhagadna koi buri baat nahi hai.”

“Mai bhi mehul se hamesha ladta hi rahta hu. Lekin tumhare andar ki kharabi ye hai ki, tum dosti me ladne jhagadne ke sath, apne dost ko kisi ke bhi samne nicha dikhane lagti ho. Tumhari is harkat ko kuch bhi kaha ja sakta hai, lekin dosti kabhi nahi kaha ja sakta hai.”

Meri baat sunkar, neha ne apna sar jhuka liya aur kuch ruaansa si hote huye kaha.

Neha boli “mai itni buri nahi hu, jitna tum sab mujhko samajhte ho. Mujhe shikha didi ke alawa koi nahi samajhta.”

Neha ki is baat se saaf pata chal raha tha ki, meri baat se uske dil ko chot pahuchi hai. Magar mere irada uske dil ko chot pahuchane ka hargij nahi tha. Mai to use sirf sachchai ka aaina dikhana chahta tha.

Taki wo dobara aisi galti ko na dohraye. Lekin shayad mera apni baat kahne ka tarika galat tha. Isliye maine apni kahi huyi baat ko sambhalte huye kaha.

Mai bola “tum meri baat ka galat matlab nikal rahi ho. Mai tumko bura nahi kah raha hu. Balki ek sachche dost ki tarah, tumhari galti tumko bata kar, use sudharna chahta hu. Kyoki tum shikha didi ki sabse jyada ladli ho. Isliye mai tumhare sath kuch bhi bura hote nahi dekh sakta.”

“Mai sirf ye kahna chahta hu ki, apne dost ki galtiyan uske upar jahir karna koi buri baat nahi hai. Lekin unhi galtiyon ko kisi dusre ke samne bada chada kar rakhna sirf dosti ko mitane wala kaam hai.”

“Jaisa us din tum priya ko nicha dikha kar kar rahi thi. Priya tumhari dost hai aur maan lo, wo yadi waisa kuch kar bhi rahi thi to, tumko usko sabke samne is tarah sharminda karne ki koshish nahi karna chahiye thi. Wo hi baat tum us se akele me bhi bol sakti thi.”

“Maine jate jate tumhe sirf isliye ye baat samjhana jaruri samjha. Taki tum apni is aadat ki vajah se kahi priya jaisi dost ko kho na do. Fir bhi yadi tumhe meri ye baat buri lagi hai to, iske liye mai tumse dil se maafi chahta hu.”

Meri is baat ne neha ke upar apna asar dikhaya aur usne sharminda hote huye kaha.

Neha boli “nahi, tumko kisi baat ke liye maafi mangne ki jarurat nahi hai. Tumhari ye baat bilkul sahi hai. Us din sach me meri hi galti thi. Mai iske pahle bhi, priya ko is baat ko lekar nicha dikhane ki koshish karti rahti thi.”

“Us din jab maine tumhe uske sath dekha to, mujhe laga ki, wo mujhse jhuth bol rahi hai. Isliye mai fir usko nicha dikhane ki koshish karne lagi thi. Lekin ab mai apni is galti ko dobara nahi dohraugi. Ab jab agli baar tum yaha aaoge to, tumko aisa kuch bhi dekhne ko nahi milega.”

Mai bola “ye to bahut khushi ki baat hai. Lekin ab sirf mai hi yaha nahi aauga. Balki tumko bhi humare yaha aana padega.”

Meri is baat ko sunkar, neha ne bade hi bholepan se kaha.

Neha boli “lekin mai waha kaise aa sakti hu.”

Mai bola “kyo, isme kaun si badi baat hai. Maine priya, shikha didi aur barkha didi se kaha hai ki, wo jab bhi humare yaha aaye, tumko jarur apne sath lekar aaye. Ab unke sath aane me to, tumhe koi pareshani nahi hona chahiye.”

Meri baat sunkar, neha ke chehre par raunak aa gayi aur usne muskurate huye, sabke sath aane ki haami bhar di. Meri abhi neha se baat chal hi rahi thi ki, tabhi mehul aur hitu aa gaye. Mehul ko dekh kar, maine neha se vida li aur mai hitu ke pas aa gaya.

Hitu wo ladka tha, jisne pahli mulakat me hi, meri vajah se barkha aur priya dono se thappad khaye the. Iske bad bhi, usne apni jaan par khel kar meri jaan bachayi thi aur fir shikha didi ki shadi me bhi tan man se mera sath nibhaya tha.

Lekin abhi tak maine us se is sab ke liye kuch bhi nahi kaha tha. Magar ab mai ja raha tha. Aise me bina kuch kahe jana bhi thik nahi tha. Isliye maine hitu ke pas aate huye kaha.

Mai bola “sorry yaar, tumne mere liye itna sab kuch kiya. Lekin maine tumhe kisi bhi baat ke liye thanks tak nahi kaha. Tum bhi sochoge ki, ye kaisa ladka hai. Jiske liye maine itna sab kuch kiya aur isne mujhe thanks tak nahi kaha.”

Meri baat ko sunkar, hitu ne hanste huye kaha.

Hitesh bola “tumne bilkul sahi kiya. Kyoki doston ko kisi baat ke liye thanks nahi kaha jata hai. Doston se sirf gale mila jata hai.”

Ye bol kar wo meri taraf bad gaya aur maine bhi aage bad kar use gale se laga liya. Abhi mai hitu se gale mil hi raha tha ki tabhi humare pas raj aa gaya. Raj wo ladka tha, jise mai pahli mulakat se hi galat samajhta chala aa raha tha.

Lekin ye sab sirf meri najron ka dhokha tha. Raj jaisa khud ko dikhata tha. Asal me wo waisa hargij nahi tha. Usne mere samne shikha didi ke baare me bahut kuch bura kaha tha.

Lekin jaise hi, use pata chala ki, mai shikha ko apni bahan manta hu to, usne is baat ko chhupane ke liye mujhe bahut khari khoti sunayi aur fir shikha didi ko kahe galat shabdon ke liye bhi mujhse maafi maangi.

Lekin sachcha dost use kahte hai, jo dost ke sath, har ache bure samay me kandhe se kandha mila kar khada rahe aur ye khoobi raj ke andar koot koot kar bhari huyi thi.

Usne shikha didi ki shadi me mujhe kabhi bhi akela mehsus nahi hone diya tha. Mere liye ye shahar anjan tha. Aise me shikha didi ki shadi ki ek chhoti si bhi jimmedari utha pana mere liye aasan nahi tha.

Lekin raj ne shikha didi ki shadi ki har chhote bade intejam ko khud khade hokar pura karwaya tha. Uske bina ye sab kar pana mere liye sambhav hi nahi tha. Uski is baat ne mera dil jeet liya tha.

Wo mere pas aaya to, maine aage bad kar use gale laga liya. Gale milne ke bad, raj mujhse mumbai aate rahne aur phone par baat karte rahne ki baat karne laga. Abhi meri raj se baat chal hi rahi thi ki, tabhi mehul humare pas aa gaya.

Mehul ko aaya dekh kar, maine ra se vida li aur hetal didi ke pas aa gaya. Hetal didi, jinka chehra jitna kharab tha, unka vyaktitva utna hi ujla aur saaf tha. Apne pyar ki khatir, un ne apna chehra kharab kar liya tha.

Lekin jab wo chehra sahi hone ka samay aaya to, un ne sirf apne bhai ki shadi me shamil hone ke liye, us mauke ko bhi khushi khushi laat maar di thi. Aisi bahan kisi kismat wale ko hi milti.

Wo bahan ke pavitra pyar ki ek adbhut misal thi aur mai khush-nashib tha ki, mujhe bhi unke is pyar me se kuch hissa mila tha. Unke samne aate hi, meri aankhon me nami aa gayi aur maine unse kaha.

Mai bola “didi, jab kabhi bhi aapki surgery ho, mujhe bulana mat bhulna. Mai aapki surgery ke samay, aapke pas rahna chahta hu.”

Meri baat sunkar, hetal didi ki aankhon me bhi nami aa gayi. Lekin un ne muskurate huye, mujhe apne gale se lagate huye kaha.

Hetal didi boli “tum fikar mat karo, meri surgery me tum jarur mere pas rahoge. Yadi bhaiya ne meri surgery ke samay tumko nahi bulaya to, tum dekhna mai fir se surgery karwane se bhag jaugi.”

Ye bol kar hetal didi hansne lagi aur unki is baat ko sunkar, mai bhi muskuraye bina na rah saka. Abhi meri unse baat chal hi rahi thi ki, tabhi mehul aa gaya aur mai unse vida lekar aru ke pas aa gaya.

Aru wo ladki thi, jiske andar ajji ki jaan basti thi. Jo pariyon ki tarah sundar aur bachchon ki tarah masum thi. Jiski masumiyat kisi ka bhi dil jeet sakti thi aur iska ek namuna usne shikha didi ke gusse par jeet hasil karke dikha diya tha.

Meri us se jyada baat chit nahi hoti thi. Lekin uski is masumiyat ne mera bhi dil jeet liya tha. Use dekhte hi, mere chehre par khud-ba-khud muskurahat aa jati thi aur aisa hi kuch abhi bhi hua.

Mai jaise hi aru ke samne aaya, mere chehre par muskurahat tairne lagi aur maine muskurate huye aru se kaha.

Mai bola “tumne mujhe lekar priya ko bahut pareshan kiya hai. Kya tum nikki ke sath bhi aisa hi kar sakti ho.”

Meri ye baat sunkar, aru mujhe hairani se dekhne lagi. Use samajh me nahi aa raha tha ki, mai kis baat ke baare me kah raha hu. Lekin jaise hi use barkha didi ke ghar wali baat yaad aayi. Usne muskurate huye mujhse kaha.

Archna boli “wo to maine seeru didi ke kahne par kiya tha. Us sab se mera kuch bhi lena dena nahi tha aur maine wo baat nikki aur priya ke samne tabhi saaf kar di thi.”

Mai bola “ye to mai usi samay samajh gaya tha ki, is sab me jarur seeru didi ka hi hath hoga. Lekin mera sawal ye tha ki, kya tum seeru didi ke kahne par, nikki ke sath bhi aisa kar sakti ho.”

Meri ye baat sunkar, aru muskura kar rah gayi aur fir dhire se kaha.

Archna boli “sorry, wo bas aise hi ho gaya tha.”

Aru ki is baat par maine bhi muskurate huye kaha

Mai bola “isme sorry wali koi baat nahi hai. Maine apne jati samay, is baat ko sirf isliye ukhada hai, taki tum ko bhi pata chal jaye ki, mai tum logon ke bich pak rahi khichdi se anjan nahi hu aur tum mere jati samay, fir se priya ko pareshan karne ke liye koi harkat na karo.”

Meri baat sunte hi, aru ki hansi chhut gayi aur usne khilkhila kar hanste huye kaha.

Archna boli “nahi, ab aisa nahi hoga. Nikki ne us din is baat ko lekar meri bahut khichai ki thi. Maine to usi din aisa karne se apne kaan pakad liye the.”

Aru ki ye baat sunkar, mujhe bhi hansi aa gayi. Abhi meri aru se baat chal hi rahi thi ki, tabhi mehul humare pas aa gaya. Mehul ko aaya dekh kar, maine aru se vida li aur selu didi ke pas aa gaya.

Selu didi, jinki rangat seeru didi aur aru se kahi jyada gori thi. Ek taraf wo doodh ki tarah gori dikhti thi to, dusri taraf bilkul chuimui si najuk lagti thi. Lekin unke rang se bhi jyada safed, unka man tha.

Maine unhe hamesha seeru didi ki parchhai ki bankar, unka sath nibhate dekha tha aur unki khasiyat ye thi ki, wo seeru didi ke man me chal rahi har baat ko, bina kahe hi, aasani se samajh jati thi.

Maine unko kabhi bhi, kisi ki, kisi baat par naraj hote nahi dekha tha. Wo jyadatar samay chup hi rahti thi. Lekin unki kahi ek chhoti si baat bhi, sabke upar bahut gahra asar dikhati thi.

Unko dekhte hi, aaj bhi meri aankhon me, shikha didi ke ghar par, unke shikha didi ka naam lene par, ajay ka unke gaal par tamacha marne wala najara ghoom jata hai. Ajay ke us tamache se, unke doodh ki tarah gore aur najuk gaal, tamatar ki tarah laal ho gaye the.

Lekin iske bad bhi, unke chehre par ek shikan nahi aayi thi aur wo pahle ki tarah hi muskurati rahi thi. Unke isi bholepan aur nishchal swabhav ki vajah se, teeno bahno me, wo hi mujhe sabse pyari lagti thi.

Mai vida lene unke pas pahucha to, mujhe dekhte hi, unke chehre par, hamesha ki tarah muskurahat fail gayi aur un ne mujhe majakiya andaj me chetawni dete huye kaha.

Selina boli “yaha se jate hi, hum logon ko bhool mat jana. Warna mai tumko pareshan karne ke liye seeru didi ko tumhare pichhe laga dugi.”

Unki is baat par maine bhi muskurate huye kaha.

Mai bola “didi, wo koi pagal hi hoga, jo aap sabko itni aasani se bhool jaye. Fir aap to meri sabse pyari didi ho. Aapko bhulne ka to koi sawal hi paida nahi hota hai.”

Meri is baat par selu didi ne mujhe ghoorte huye kaha.

Selina boli “jhuthe, jate jate mujhe maska laga rahe ho. Bhala mujh me aisa hai hi kya, jo mai tumhari sabse pyari didi ho gayi.”

Mai bola “nahi didi, mai koi maska nahi laga raha hu. Kisi ka dil jeetne ke liye seeru didi ke pas unka shaitani dimag hai to, aru ke pas uski masumiyat hai. Lekin aapke pas kisi ka dil jeetne ke liye, aapka nirmal man hai. Jisme sabke liye ek saman pyar chhupa hai aur isi vajah se aap meri sabse pyari didi ho.”

Meri ye baat sunkar, selu didi ke chehre ki muskurahat gahri ho gayi. Wo mujhe apna khayal rakhne aur unko call karte rahne ko kahne lagi. Abhi meri unse baat chal hi rahi thi ki, tabhi yaha par bhi mehul tapak gaya.

Use apne pas aaya dekh kar, maine use gusse me ghoor kar dekha. Lekin wo mujhe andekha karke selu didi se baat karne laga. Use selu didi se baat karta dekh kar, mai selu didi se vida lekar seeru didi ki taraf bad gaya.

Seeru didi ki kisi baat se tarif karna, suraj ko chirag dikhane jaisa kaam tha. Kyoki wo kisi tarif ki mohtaj nahi thi. Unhe shaitano ki nani maani jata tha aur sab unke shaitani dimag se khauf khaya karte the.

Unke shaitani dimag ki sabse badi khasiyat ye thi ki, unhe apni koi bhi shaitani karne ke liye pal bhar bhi sochna nahi padta tha. Magar maine unki jitni bhi shaitani dekhi thi. Un sabhi shaitaniyon se, kisi na kisi ka, kuch na kuch bhala hote hi dekha tha.

Un ne apni shaitaniyon se mujhe bhi bahut pareshan kiya tha. Magar mujhe bhi unki shaitaniyon se kabhi koi nuksan nahi, balki fayda hi hua tha. Lekin jaise hi mai shaitano ki nani kahi jaane wali seeru didi ke pas vida lene pahucha to, unko dekh kar bhauchakka sa rah gaya.

______________________________
 

Pritam.bs

!..Kar Vida.......Alvida..!
Supreme
3,003
15,224
159
Ko To Rok Lo {Update - 184}
____________________________

Meri ye baat sunkar, selu didi ke chehre ki muskurahat gahri ho gayi. Wo mujhe apna khayal rakhne aur unko call karte rahne ko kahne lagi. Abhi meri unse baat chal hi rahi thi ki, tabhi yaha par bhi mehul tapak gaya.

Use apne pas aaya dekh kar, maine use gusse me ghoor kar dekha. Lekin wo mujhe andekha karke selu didi se baat karne laga. Use selu didi se baat karta dekh kar, mai selu didi se vida lekar seeru didi ki taraf bad gaya.

Seeru didi ki kisi baat se tarif karna, suraj ko chirag dikhane jaisa kaam tha. Kyoki wo kisi tarif ki mohtaj nahi thi. Unhe shaitano ki nani maani jata tha aur sab unke shaitani dimag se khauf khaya karte the.

Unke shaitani dimag ki sabse badi khasiyat ye thi ki, unhe apni koi bhi shaitani karne ke liye pal bhar bhi sochna nahi padta tha. Magar maine unki jitni bhi shaitani dekhi thi. Un sabhi shaitaniyon se, kisi na kisi ka, kuch na kuch bhala hote hi dekha tha.

Un ne apni shaitaniyon se mujhe bhi bahut pareshan kiya tha. Magar mujhe bhi unki shaitaniyon se kabhi koi nuksan nahi, balki fayda hi hua tha. Lekin jaise hi mai shaitano ki nani kahi jaane wali seeru didi ke pas vida lene pahucha to, unko dekh kar bhauchakka sa rah gaya.

Hamesha kisi koyal ki tarah chahakne wali seeru didi, nisha bhabhi ke pas bilkul shant khadi thi. Nisha bhabhi kisi se phone par baat karne me lagi thi aur seeru didi bade gaur se mujhe selu didi se baat karte dekh rahi thi.

Har samay muskurate rahne wali aur apni shararaton se mujhe pareshan karne wali seeru didi ki aankhon me nami dekh kar, mai bhi apni aankhon me nami aane se na rok saka. Lekin mere unke pas pahuchte hi, un ne fauran apni aankhon ko saaf karke, mere balon par hath ferte huye mujhse kaha.

Seerat boli “maine tumko bahut pareshan kiya hai na. Lekin wo sab sirf ek hansi majak hi tha. Fir bhi yadi jaane anjane me maine tumhare dil ko chot pahucha di ho to, uske liye mai dil se maafi chahti hu.”

Seeru didi ki in baton me mujhe mere liye beshumar pyar dikhayi de raha tha. Unki is baat ke jabab me, maine nam aankhon se muskurate huye kaha.

Mai bola “didi, aap ye kaisi baat kar rahi hai. Aap kabhi anjane me bhi, kisi ke dil ko chot nahi pahucha sakti. Bhale hi sab aapke dimag ko shaitani dimag kahte ho. Lekin maine dekha hai ki, aapke is shaitani dimag se hamesha kisi ka, kuch na kuch bhala hi hota hai.”

“Aaj bhi aapne parathe wali baat bol kar, mujhe pareshani me jarur daal diya tha. Lekin is se mera bhala hi hua. Mujhe shikha didi ka thoda pyar or mil gaya aur shikha didi ko bhi ek shukun mil gaya. Warna wo mere jaane ke bad isi baat ko lekar pachhtati rahti ki, un ne mujhe parathe bana kar kyo nahi khilaye.”

Meri ye baat sunkar, ek pal ke liye seeru didi ke chehre ki muskurahat wapas aa gayi aur un ne pyar se mere gaal par ek chapat laga di. Lekin agle hi pal wo apni aankhon ko chhalakne se nahi rok payi.

Shayad dil ke rishton ki gahrayi isi baat se naapi ja sakti hai ki, jo aapko jitna jyada satata hai, wo aapko utna hi jyada pyar bhi karta hai. Ye hi baat is wakt seeru didi ke upar bhi lagu ho rahi thi.

Mujhe pareshan karne me sabse aage rahne wali seeru didi, aaj mujhe vida karti samay aansu chhalkaane me bhi sabse aage thi aur meri vidai ko lekar sabse pahle unki aankh se hi aansu chhalak rahe the.

Seeru didi ke aansu dekh kar, mai bhi apni aankhon ko bahne se na rok saka. Mai aur seeru didi dono apne apne aansu pochhne me lage the. Tabhi nisha bhabhi ka phone par baat karna khatam ho gaya aur wo bhi humari baton ke bich me kood padi.

Nisha bhabhi, unki khubiyon ko ginana aasman me taare ginwane ke saman tha. Mumbai me mai jitne bhi logon se mila tha. Un sabki koi na koi khubi nisha bhabhi ke andar thi. Ek tarah se wo sabka mila jula roop thi.

Unki rangat selu didi ki tarah gori thi to, adayen riya ki tarah sexy thi. Wo seeru didi ki tarah shaitan thi to, shikha didi ki tarah bilkul sidhi bhi thi. Unke andar priya ki chanchalta thi to, nikki ki tarah samajhdari bhi thi.

Unke andar neha wali jalan bhi thi aur hetal didi wali nishchalta bhi thi. Wo aru ki tarah masum bhi thi aur barkha didi ki tarah bahadur bhi thi. Unke pas aman ki tarah jindgi ki vastvikta se parichit karane wala dimag tha to, ajay ki tarah apni iccha shakti se apni manjil ko pa lene wala dil bhi tha.

Ek tarah se yaha maujud har kisi ki kuch na kuch khoobi nisha bhabhi ke andar thi. Itni saari khubiyon se bhari nisha bhabhi ne jab mujhe aur seeru didi ko aansu bahate dekha to, un ne seeru didi ke kandhe par hath rakhte huye, mujhse kaha.

Nisha bhabhi boli “kyo hero, aaj tu jate jate seeru ko rula kar, kya is se, iski shaitaniyon ka badla le raha hai.”

Nisha bhabhi ki baat sunkar, maine apne aansuon ko ponchhte huye un se kaha.

Mai bola “bhabhi, wo shaitani bhi seeru didi ka pyar tha aur ye aansu bhi inka pyar hi hai. Bhala pyar ka bhi koi badla liya jata hai kya. Pyar ka to sirf karj chukaya jata hai aur mai chahu, tab bhi in ke is pyar ka karj nahi utar sakta.”

Ye kahte kahte ek baar fir meri aankhen chhalak aayi. Meri baton se nisha bhabhi ki aankhon me bhi nami aa gayi. Un ne mujhe aur seeru didi ko apne gale se laga liya aur hum dono ko samjhane lagi.

Nisha bhabhi abhi mujhe aur seeru didi ko samjha hi rahi thi ki, tabhi mehul humare pas aa gaya. Use dekhte hi maine us par jhallate huye kaha.

Mai bola “abe tu mere pichhe hi kyo pada hua hai. Yaha itne saare log hai. Lekin tu hai ki, jis se milne mai jata hu, tu bhi mere pichhe pichhe usi se milne aa jata hai. Jab dekh raha hai ki, yaha mai mil raha hu to, tu kisi or se jakar kyo nahi mil leta hai.”

Meri baat sunkar, mehul kuch hairan sa hokar, apna sar khujane laga. Use samajh me hi nahi aa raha tha ki, mai us par is tarah kyo bhadak raha hu. Wo kuch der mujhe hairani se mujhe dekhta raha aur fir bina kuch bole, humare pas se nikki ke pas chala gaya.

Wahi mere is tarah se mehul ke upar khijne se nisha bhabhi aur seeru didi dono ki hansi chhut gayi aur mai unko mehul ke baar baar mere pichhe aane wali baat ke baare me batane laga. Jise sunkar, wo dono aur bhi jyada hasne lagi aur mai unse vida lekar, barkha didi ke pas aa gaya.

Barkha didi, jinka sharir lohe ki tarah shakht tha aur boli bhi utni hi kadak thi. Yadi wo mere jaise kisi ladke ko apna ek jordar mukka jama de to, wo wahi khade khade dher ho jaye aur dobara uth kar khada bhi na ho paye.

Lekin sawal yaha mera tha aur mere liye unke dil me kitna pyar hai, ye maine tab jana tha, jab priya ke sath, un ne bhi hitu ko tamacha jad diya tha. Priya ka tamacha to, usne aaram se jhel liya tha, lekin barkha didi ka tamcha jis gaal par pada tha, use wo der tak sahlata raha tha.

Iske bad wo do din tak, barkha didi se isi baat ki shikayat karta raha ki, uske jabde me dard ho raha hai aur is baat ki khair mana raha tha ki, barkha didi ne use apne dahine hath ka tamacha nahi maara, warna uska jabda hi bahar aa gaya hota.

Wo to salim ki kismat achi thi ki, jab usne mera sar kaatne ki baat ki thi, tabhi mehul aa gaya tha. Warna barkha didi to uski ye baat sunte hi apni aasteen upar karne lagi thi. Lekin mehul ka gussa dekh kar, wo us wakt shant pad gayi thi.

Waise to bahan ki raksha karne ke liye bhai hote hai. Lekin wo ek aisi bahan thi, jinhe apni raksha ke liye kisi bhai ki jarurat nahi thi. Balki wo ulte apne bhai ki raksha kar sakti thi.

Unki kathorta unke chehre aur unki baton se jhalakti thi. Lekin jaha mera naam aata tha, waha wo bahut hi naram pad jati thi aur mujhse baat karte samay unki boli bhi bahut naram rahti thi.

Wo mujhe shikha didi se kam pyar nahi karti thi. Aise me unse vida lena, mere liye aur bhi jyada mushkil kaam tha. Mai unse vida lene unke pas aa to gaya. Magar mujhse unse kuch kahte nahi ban raha tha.

Wo shayad meri is haalat ko achi tarah se samajh rahi thi. Isliye un ne pyar se mere balon par hath fer kar, muskurate huye mujhse kaha.

Barkha boli “mere bhai, apne aapko bilkul udas mat karo. Hum jaldi hi fir se milege. Yadi tum hum se milne yaha na bhi aa paye, tab bhi koi baat nahi. Hum log tumse milne waha aa jayege. Isliye hanste hanste apne ghar jao.”

Barkha didi ki ye baat sunkar, mai muskurane ki koshish karne laga. Lekin mere liye apne chehre par hansi ka mukhota lagana aasan kaam nahi tha. Mai chah kar bhi muskura nahi pa raha tha.

Mai jitna bhi muskurane ki koshish kar raha tha. Meri aankhon ki nami, utni hi badti ja rahi thi. Abhi mai khud ko sambhalne ki koshish me laga tha ki, tabhi kisi ne pichhe se mere kandhe par hath rakh diya. Maine pichhe palat kar dekha to, ye meri pyari shikha didi thi.

Shikha didi, jinki kisi khoobi ko bayan karna mere bas me nahi tha. Suraj raat ko dahakna chhod deta tha aur chandrma ki chamak din me dhumil pad jati thi. Magar shikha didi to pyar ki ek aisi jeeti jagti ganga thi, jo raat din apne pyar se sabko seenchti rahti thi.

Shikha didi ki jis chij se tulna karke, unki tarif kar saku, is layak koi chij mujhe najar hi nahi aati thi. Unke baare me mai bas itna kah sakta tha ki, mujhe un me apni chhoti maa ka hi roop najar aata tha.

Ye meri khush-kismati thi ki, itne thode se dino me hi, mai unka sabse jyada ladla ban gaya tha. Un ne ek sage bhai ki tarah hi mera khayal raha tha aur mujhe ek pal ke liye bhi, ye mehsus nahi hone diya tha ki, mai is samay apne ghar me nahi hu. Lekin ab mera unse vida lena ka samay aa gaya.

Mere liye to barkha didi se vida lena hi mushkil ho raha tha aur mai apne aapko sambhalne ki koshish me laga tha. Aise me jab achanak shikha didi ne aakar, mere kandhe par hath rakha to, un par najar padte hi, mere sabar ka bandh toot gaya aur meri aankhon se aansu bahne lage.

Mujhe rota dekh kar, un ne mujhe apne gale laga liya aur khud bhi aansu bahana suru kar diye. Lekin haye re bahan ka dil, wo khud ko to chup kara nahi pa rahi thi. Magar baar baar mujhe na rone ke liye samjha rahi thi. Unki is koshish ne mujhe aur bhi jyada rula kar rakh diya tha.

Barkha didi hum dono ko hi samjhane ki koshish karti rahi. Lekin jab unki ye koshish kamyab nahi huyi to, un ne ajay ko bula liya. Ajay ke sath sath aman, nisha bhabhi aur seeru didi ki chaukdi bhi humare pas aa gayi.

Wo sab mil kar hume samjhane lage aur unke samjhane par hum dono khud ko sambhalne ki koshish karne lage. Mai abhi bhi bahut jyada bhavuk tha aur isi bhavukta me bahte huye, maine shikha didi se kaha.

Mai bola “didi, yadi aap bura na maane to, mai aapse kuch kahna chahta hu.”

Shikha didi bhi is samay bahut bhavuk thi. Un ne meri ye baat suni to, apne aapko sambhalte huye mujhse kaha.

Shikha didi boli “bhaiya, aap mere liye bhai ki tarah nahi, balki mere bhai hi ho. Aapki kisi baat ka bura lagne ka sawal hi paida nahi hota hai. Aap mujhse koi bhi baat bol sakte hai.”

Shikha didi ki ye baat sunkar, maine thoda gambhir hote huye unse kaha.

Mai bola “didi, ajji ne apne hospital ke 7 trustees banaye hai. Un 7 trustees me aap, Nisha bhabhi, Aman, Barkha didi, Seeru didi, Selu didi aur Hetal didi ke naam hai. Lekin ajji aur aru ka naam nahi hai.”

“Ajji ne wo naam kyo nahi dalwaye the, ye to aapko bhi malum hai. Lekin ab to sab kuch sahi ho gaya hai. Kya aapko aisa nahi lagta ki, ab un trustees me ye baki ke naam bhi shamil ho jana chahiye.”

Meri ye baat sunkar, waha khade sabhi log mujhe hairani se dekhne lagi. Wahi shikha didi ne meri is baat ka jabab me mujhse kaha.

Shikha didi boli “bhaiya, abhi tak mera dhyan is baat ki taraf nahi gaya tha. Lekin aapka kahna thik hi hai. Aap fikar mat karo, hospital ke trustees me baki ke naam bhi jarur shamil hoge. Ab to aap khush hai na.”

Ye bol kar shikha didi meri taraf gaur se dekhne lagi aur baki sab ka dhyan bhi meri hi taraf tha. Lekin abhi bhi mere chehre par muskurahat nahi thi.

Maine thoda sa gambhir hote huye kaha.

Mai bola “ji didi, mai bahut khush hu. Lekin abhi mai is se judi huyi ek baat aur kahna chahta hu. Yadi aapko meri wo baat buri lage to, chhota muh badi baat samajh kar, apne is chhote bhai ko maaf kar dijiyega.”

Meri is baat ne sabki hairani ko bada diya tha. Lekin shikha didi ne badi hi laparwahi se kaha.

Shikha didi boli “bhaiya, maine aapse kaha na ki, mujhe aapki koi baat buri nahi lagegi. Isliye aapko jo bolna hai, aap befikar hokar bol dijiye.”

Shikha didi ki is baat ko sunne ke bad, maine apni baat ko aage badate huye kaha.

Mai bola “didi, wo hospital ajji ke pitaji ka sapna tha aur uska naam ajji ke pitaji ke naam par hi rakha jana tha. Lekin fir ajji ne apne pitaji ka wo sapna shekhar bhaiya ke naam par kar diya.”

“Mai ye bhi achi tarah se janta hu ki, ajji ya baki logon ko is baat se koi pareshani nahi hai. Lekin aisa karne se pahle, kisi ne bhi shekhar bhaiya ki khushi ke baare me nahi socha hai.”

“Ye hospital ajji ke pitaji ka sapna tha aur is sapne ko shekhar bhaiya ke naam par kar dene se, na to ajji ke pitaji ki aatma ko shanti milegi aur na hi shekhar bhaiya ki aatma ko koi khushi hogi.”

“Kyoki jis bhai ne apni bahno ki khatir, apna ghar tak nahi basaya aur jindgi bhar, apni bahano ko sirf deta hi deta raha hai. Wo bhai bhala apni bahan se, aisi koi chij kaise le sakta hai, jis par uska koi haq hi nahi hai.”

Apni itni baat bolkar, mai chup ho gaya. Lekin meri is baat ko sunkar, ajay, aman, nisha bhabhi, seeru didi, selu, hetal didi aur aru aawak se kabhi mujhe to, kabhi shikha didi ko dekh rahe the.

Meri is baat se waha khade sabko jaise saanp soongh gaya tha. Koi kisi se kuch nahi bol raha tha. Wahi shikha didi ke sath sath, ab barkha didi ki aankhon me bhi aansu jhilmilane lage the.

Sabki khamoshi aur shikha didi, barkha didi ke aansuon ko dekh kar, mujhe lag raha tha ki, mai bahut galat baat kah gaya hu. Isliye maine is baat ke liye shikha didi aur barkha didi se maafi mangte huye kaha.

Mai bola “didi, mujhe lagta hai ki, maine aapke aur barkha didi ke dil ko dukhane wali baat kah di hai. Lekin mere andar itni samajh nahi hai ki, mai sahi galat ko samajh saku. Isliye aap dono mujhe is baat ko kahne ke liye, apna chhota bhai samajh kar maaf kar dijiye.”

Itna bol kar mai sar jhuka kar khada ho gaya. Tabhi barkha didi mere pas aa gayi. Unki aankhen ab puri tarah aansuon se bheeg chuki thi. Lekin un ne muskura kar, mere bagal me khade hokar, ek hath mere bajuon par lakar, mere kandhe ko apne kandhe se satate huye, sabse kaha.

Barkha didi boli “ye mera sach much ka bhai hai.”

Iske aage wo kisi se kuch na bol payi aur apne aansu ponchhne lagi. Tabhi shikha didi bhi mere pas aa gayi aur un ne ek baar fir mujhe gale se laga liya. Lekin ab unki aankhon me aansu kam aur chehre par muskan jyada dikh rahi thi. Mujhe apne gale se lagane ke bad, un ne apne aansu ponchhte huye kaha.

Shikha didi boli “bhaiya, barkha sach kah rahi hai. Aap humare sach much ke bhai ho. Shekhar bhaiya to bade bhai hone ki vajah se, humari sasural ka paani tak na peene ki baat kiya karte the. Aise me is baat se, bhaiya ki aatma sach me khush nahi hogi.”

“Aapki baat se mai bhi sahmat hu. Ye hospital pitaji ka sapna tha aur ab is ka naam bhi unhi ke naam par hi rakha jayega. Aapne to ye baat bol kar ek bhai ka farz pura kiya hai aur mujhe aapko bhai samajhne ki jarurat nahi hai, kyoki aap sach me mere bhai ho.”

Shikha didi ki ye baat sunkar sabke chehre par raunak aa gayi aur ajay ne aage bad kar, mujhe apne gale se laga liya. Meri is baat se kahi na, uske dil ko bhi ek shukun sa mehsus hua tha.

Jiski chamak uske chehre par najar aa rahi thi. Uski aankhen bhi is samay bheegi huyi thi. Lekn uske hothon par muskurahat thi. Usne gale milne ke bad, mujhse kaha.

Ajay bola “tum to bahut badi badi baten karne lage ho. Maine to is baat ke baare me kabhi itni gahrayi se socha hi nahi tha. Mera maksad sirf ek hospital banane ka tha aur mujhe is baat se koi farak nahi padne wala tha ki, hospital ka naam kiske naam par rakha ja raha hai.”

“Lekin ye bhi sach hai ki, tumhari ye baat sunkar, dil ko ek shukun sa mila hai. Aaj shikha aur barkha ki tarah, mai bhi tumse ye hi kahuga ki, unhe tumko bhai samajhne ki jarurat nahi hai. Balki tum sach me hi unke bhai ho.”

Itna kah kar, ajay mujhe aate rahne aur phone par baat karte rahne ka kahne laga. Abhi meri ajay se baat chal hi rahi thi ki, tabhi mehul aa gaya. Use dekhte hi nisha bhabhi ne mere kandhe par hath rakhte huye kaha.

Nisha bhabhi boli “bas kar hero. Ab bachche ki jaan lega kya.”

Unki baat sunkar, seeru didi bhi hansne lagi aur mai bhi hanste huye, aman se milne laga.

Aman, jo ajay ka sacha dost hi nahi, balki ek bahut hi acha insan bhi tha. Jo apna naam bina jahir kiye hi, kadam kadam par shikha didi ki madad karta raha tha aur aakhiri me bhi ajay ki barat ko shikha didi ke ghar tak lane me usi ka hath tha.

Aman se mera sidha sidha koi lena dena nahi tha. Lekin fir bhi usne sirf nikki ki vajah se, uncle ke ilaj me humari bahut madad ki thi. Uske is upkar ka badla chuka pana mere liye kisi bhi tarah se sambhav nahi tha.

Fir bhi maine aman ke pas aakar, use is sab ke liye thanks kahna chaha to, us ne mujhe aage kuch bolne se rokte huye kaha.

Aman bola “tumko kuch bhi kahne ki jarurat nahi hai. Ab tum mere parivar ka ek hissa ban chuke ho aur parivar me kisi baat ke liye ek dusre ko thanks nahi kaha jata hai. Waise to tum khud bahut samajhdar ho. Fir bhi mai tumse ek baat jarur kahna chahuga.”

“Tum hamesha apni mom ka khayal rakhna aur kabhi apni kisi baat se unka dil mat dukhana. Aaj tumhe jo itne logon ka pyar mil raha hai, wo sirf unke diye sanskaron ki vajah se hi mil raha hai. Yadi tumne bhool se bhi unka dil dukhaya to, iske liye bhagwan bhi tumko maaf nahi karega.”

Itna kah kar aman chup ho gaya. Magar uski in baton ne mujhe soch me daal diya tha. Mujhe samajh me nahi aa raha tha ki, chhoti maa ne ek hi mulakat me aman par aisa kya jadu kar diya hai ki, wo unki tarif karte nahi thakta hai.

Mai abhi aman ki inhi baton me uljha hua tha ki, tabhi ajay ne mere kandhe par hath rakhte huye, aman ki baat ke samarthan me kaha.

Ajay bola “tumko shayad aman ki baat samajh me nahi aayi. Kyoki uski kam shabdon me gahri baat karne ki aadat hai. Lekin aman ki baton me jindgi ki kadwi sachai chhupi hoti hai. Mai tumko samjhata hu ki, aman tumse kya kahna chahta hai.”

“Tum jante ho ki, maine bhi apni maa ko usi umar me khoya tha, jis umar me tumne apni maa ko khoya hai. Lekin tum khush-kismat nikle ki, tumne apni maa ko kho dene ke bad bhi, unhe apni chhoti maa ke roop me dobara wapas pa liya.”

“Tumhari chhoti maa ek aisa kohinoor hai. Jiske mukable me meri saari daulat ki haisiyat aisi hai, jaisi samundar ke samne paani ki ek boond ki hoti hai. Aaj bhale hi meri ginti desh ke sabse amir aadmiyon me hoti ho. Lekin fir bhi mai tumhare mukable me kangal hi hu.”

“Kyoki mai tumhari tarah khush-kismat nahi hu. Mai apni maa ko kho dene ke bad, use dobara kabhi nahi pa saka aur aaj bhi apni maa ka mamta bhara chehra yaad karke rota hu.”

Ye kahte kahte ajay ki aankhen chhalak gayi. Shayad use apni maa ki yaad aa gayi thi. Wo abhi apni aankhon ko saaf karne me laga tha. Tabhi aru uske samne aakar khadi ho gayi aur use gaur se dekhne lagi.

Ajay ki najar jaise hi aru par padi. Usne aru ko pakad kar apne bagal me khada karte huye mujhse kaha.

Ajay bola “ye lo, meri maa bhi aa gayi aur ye janne ki koshish kar rahi hai ki, meri aankhon me aansu kyo hai. Ab ise kaun samjhaye ki, jab kisi ko vida karte hai to, apni aankhon me jhooth mooth ke aansu lana hi padte hai.”

Ye kah kar ajay hasne laga. Ajay ki aru ko bahlane wali is harkat ko dekh kar, meri aur aman ki bhi hansi chhut gayi. Magar aru to, ajay ki saari baten pahle hi sun chuki thi. Isliye wo ajay se is baat ko lekar jhagra karne lagi.

Un dono ki ye nok jhok dekh kar, mujhe bhi bahut maja aa raha tha. Lekin ab kisi bhi samay meri flight ki ghoshna ho sakti thi. Isliye mai ajay aur aman se vida lekar nikki ke pas aa gaya.

Nikki aur priya dono hi mohini aunty se, kuch doori par khadi thi aur hum sabka milna julna dekh rahi thi. Lekin mai jaise hi nikki ke samne jakar khada hua to, usne mujhko dekhte hi, seeru didi wali harkat ko dohrate huye, apni aankhon se ganga jamuna bahana suru kar diya.

______________________________
 

Pritam.bs

!..Kar Vida.......Alvida..!
Supreme
3,003
15,224
159
Ko To Rok Lo {Update - 185}
____________________________

Ajay ki najar jaise hi aru par padi. Usne aru ko pakad kar apne bagal me khada karte huye mujhse kaha.

Ajay bola “ye lo, meri maa bhi aa gayi aur ye janne ki koshish kar rahi hai ki, meri aankhon me aansu kyo hai. Ab ise kaun samjhaye ki, jab kisi ko vida karte hai to, apni aankhon me jhooth mooth ke aansu lana hi padte hai.”

Ye kah kar ajay hasne laga. Ajay ki aru ko bahlane wali is harkat ko dekh kar, meri aur aman ki bhi hansi chhut gayi. Magar aru to, ajay ki saari baten pahle hi sun chuki thi. Isliye wo ajay se is baat ko lekar jhagra karne lagi.

Un dono ki ye nok jhok dekh kar, mujhe bhi bahut maja aa raha tha. Lekin ab kisi bhi samay meri flight ki ghoshna ho sakti thi. Isliye mai ajay aur aman se vida lekar nikki ke pas aa gaya.

Nikki aur priya dono hi mohini aunty se, kuch doori par khadi thi aur hum sabka milna julna dekh rahi thi. Lekin mai jaise hi nikki ke samne jakar khada hua to, usne mujhko dekhte hi, seeru didi wali harkat ko dohrate huye, apni aankhon se ganga jamuna bahana suru kar diya.

Nikki ek aisi ladki thi, jiski vajah se, mera mumbai ka mushkil safar bhi, itna aasan ho gaya tha aur mujhe itne saare logon ka pyar mila tha. Wo ek sache dost ki tarah, pahle din se aaj tak, har kadam, har baat par mera sath nibhati chali aa rahi thi.

Wo ek aisi ladki thi, jiske chehre ko dekh kar, mere mumbai me gujare har din ki suruaat hoti thi aur jisko meri is baat ki khabar rahti thi ki, mai kab, kaha, kiske sath hu aur kya kar raha hu.

Ek tarah se wo keerti ki ham-shakal hone ke sath sath, uski tarah hi mera khayal bhi rakh rahi thi. Meri vajah se hi wo apne school ki chhuttiyan khatam hone ke bad bhi wapas nahi gayi thi.

Uska gussa bhi keerti se kuch kam nahi tha. Priya ne mujhe bataya tha ki, nikki bahut gusse wali hai aur mai khud bhi uske is gusse ka do teen baar shikar ban chuka tha. Isliye mai uske gusse wale roop ko bhi ache se janta tha.

Mai ye bhi achi tarah se janta tha ki, mere yaha se jaane par, sabse jyada meri kami, nikki ko hi akhregi. Lekin is baat ka to, mujhe bhi andaja nahi tha ki, mere jaane par wo is tarah se aansu bahayegi.

Priya use khud ko sabhalne ke liye kah rahi thi. Magar wo khud ko sambhal nahi pa rahi thi. Usko is tarah aansu bahate dekh kar, mere liye bhi apne aansu rok pana mushkil sa ho gaya tha.

Magar mai jaane se pahle uski aankhon me aansu nahi, muskurahat dekhna chahta tha. Isliye maine khud ko sambhala aur fir uska hath pakad kar apne hath me lete huye us se kaha.

Mai bola “mai to soch raha tha ki, mere jaane par priya royegi aur tum usko sambhalogi. Lekin yaha to tumne ulti ganga hi baha di.”

Meri ye baat sunte hi, nikki ka rona ruk gaya aur wo hairani se is tarah meri taraf dekhne lagi, jaise uske kaano ne koi galat baat sun li ho. Maine usko apni taraf hairani dekhte dekh kar, muskurate huye us se kaha.

Mai bola “isme hairan hone wali baat nahi hai. Tumne jo suna hai, wo sach hai.”

Meri ye baat sunte hi nikki ke chehre par muskurahat aa gayi. Lekin ab priya hairan hokar gayi. Use samajh nahi aa raha tha ki, maine aisa kya bol diya, jo nikki ka rona ruk gaya aur wo rote rote muskurane lagi.

Idhar priya hairani se hume dekh rahi thi aur udhar maine apni adhuri baat ko pura karte huye nikki se kaha.

Mai bola “tumko rona hai to, mere samne ji bhar ke ro lo. Lekin mere jaane ke bad bilkul mat rona. Kyoki mere jaane ke bad, tumhe uske aansu ponchna padege, jo abhi mujhe muskura kar vida karne wali hai.”

Meri is baat ka matlab priya aur nikki dono samajh gayi thi. Isliye meri is baat par nikki ki muskurahat gahri ho gayi aur priya ne mujh par jhutha gussa dikhate huye kaha.

Priya boli “hey, mai koi natak nahi kar rahi hu. Jab mere aansu aa hi nahi rahe hai to, mai sabki tarah aansu bahane ka natak kyo karu.”

Priya ki baat sunkar, maine bholepan ka natak karte huye kaha.

Mai bola “tum kahna kya chahti ho. Kahi tum ye to nahi kah rahi ho ki, nikki aansu bahane ka natak kar rahi thi.”

Meri ye baat sunte hi, nikki priya ki taraf dekhne lagi aur priya ne mujh par bhadakte huye kaha.

Priya boli “hey, tum hum dono ke bich me jhagra lagane ki koshish mat karo aur sidhe tarah se ye batao ki, tumne nikki se aisa kya kaha tha, jis se iska rona ruk gaya aur ye rote rote muskurane lagi.”

Priya ki is baat par maine muskurate huye us se kaha.

Mai bola “maine to jo kuch bhi kaha, tumhare samne hi kaha hai. Ab mujhe kya pata ki, nikki meri baat sunkar, rote rote kyo muskurane lagi.”

Priya boli “jyada bhole banne ki koshish mat karo. Tumne muskurane wali koi baat nahi ki thi. Lekin tumhari baat ko sunkar, nikki ka rona ruk gaya aur usne tumhari taraf dekha. Jiske bad tumne us se kaha ki, tumne jo suna hai, wo sach hai.”

“Is baat ka saaf matlab hai ki, tum dono ne kisi code word me baat ki hai aur mai tumhari us baat ko samajh nahi payi hu. Ab sidhe tarah se mujhe ye batao ki, tum dono me code woord me kya baat huyi hai.”

Mai bola “are tum to bekar me shaq kar rahi ho. Meri baat ka matlab wo hi tha, jo tumne suna hai. Hum dono ke bich me kisi code word me koi baat nahi huyi hai. Tum chaho to, nikki se puchh kar dekh lo.”

Lekin priya ne meri is baat par apna muh fula kar, mujhse kaha.

Priya boli “nahi, ab mujhe kisi se kuch nahi puchhna. Tum dono mujhe gair samajhte ho to, mai kyo tumhari baton ke bich me apni taang adau.”

Ye kah kar priya humhari taraf pith kar ke khadi ho gayi. Priya ko is tarah naraj hote dekh kar, nikki ne apna chehra saaf kiya aur fir priya ka muh wapas humari taraf ghuma kar us se kaha.

Nikki boli “tu jaisa soch rahi hai. Aisi koi baat nahi hai. Inki baat ka matlab sach me wo hi tha, jo in ne kaha tha. Mera rona to inke us baat ko bolne ke tarike ko sunkar ruk gaya tha.”

Priya abhi bhi nikki ki is baat ka matlab nahi samajh payi thi. Lekin is se pahle ki wo kuch bol pati, maine nikki ko tokte huye kaha.

Mai bola “ab ye to tum galat kar rahi ho. Tumne kaha tha ki, mai jis din aisa karna band kar dunga, tum bhi us din se aisa karna band kar dogi.”

Is se pahle ki nikki meri is baat ke jabab me mujhse kuch bol pati, priya ne hum dono par hi bhadakte huye kaha.

Priya boli “tum dono mil kar, mujhe bevkuf bana rahe ho. Mere samne hi code word me baat kar rahe ho aur mujhse kahte ho ki, aisa kuch nahi hai.”

Priya ki is baat par nikki ne muskura kar us se lipatte huye kaha.

Nikki boli “are tu abhi bhi galat soch rahi hai. Asal me baat ye hai ki, hum dono ek dusre ko abhi tak aap kah kar baat karte the. Lekin abhi inke muh se mere liye tum sunkar, mai chauk gayi aur mera rona ruk gaya tha. Ab to teri samajh me inki baat aa gayi na.”

Nikki ki ye baat sunte hi priya ka gussa shant ho gaya aur wo bhi muskurane lagi. Lekin maine apni shikayat ko fir se nikki ke samne dohrate huye kaha.

Mai bola “priya to ab baat ko samajh gayi hai. Lekin lagta hai ki, abhi tak tumhari samajh me meri baat nahi aayi hai. Tabhi tum abhi tak inke inke kar rahi ho.”

Meri is baat par nikki ne muskurate huye kaha.

Nikki boli “meri samajh me bhi baat aa gayi hai. Lekin ab mere muh se ye hi nikal raha hai to, mai kya kar sakti hu.”

Mai bola “ye to galat baat hai. Tumne kaha tha ki, jis din mai tumko tum kahne laguga, tum bhi mujhe us din se tum kahna suru kar dogi.”

Meri baat sunkar, nikki kuch uljhan si mehsus kar rahi thi. Use uljhan me pade dekh kar, priya ne muskurate huye kaha.

Priya boli “ab dosti ki hai to, nibhani hi padegi.”

Priya ki baat sunkar, nikki ne uski pith par pyar se ek mukka maara aur fir muskurate huye mujhse kaha.

Nikki boli “ok ok, aaj se mai tumko, tum hi bolugi. Ab to khush ho na.”

Mai bola “haan, ab mai khush hu. Aisa lag raha hai, jaise aaj dil se koi bojh utar gaya ho.”

Meri baat sunkar priya aur nikki dono hasne lagi. Iske bad nikki ne time dekha to 5 bajne wala tha. Isliye wo hum logon ko baat karta hua chhod kar, flight ka pata karne chali gayi. Nikki ke jaane ke bad priya ne mujhse kaha.

Priya boli “tumne apne jaane ke pahle, nikki ke sath apne is fasle ko khatam karke bahut acha kiya hai. Mujhe bhi ye dekh kar bahut khushi ho rahi hai. Nikki jaisi dost bade kismat walo ko hi milti hai.”

Priya ki ye baat sunkar, maine bhi muskurate huye us se kaha.

Mai bola “tumhari ye baat to sahi hai. Lekin tumhara khud ke baare me kya khayal hai.”

Meri ye baat sunkar, priya ne feeki si mukan ke sath kaha.

Priya boli “Koi To Rok Lo Usko, Kisi Bahane Se.
Nikal Na Jaye Meri Jaan, Uske Jaane Se.

Bada Nadan Hai Wo, Usko To Ye Khabar Hi Nahi.
Ki Uske Bin Meri, Jindgi Ka Koi Safar Hi Nahi.

Bhatak Na Jau Kahin Mai, Uske Hath Chhudane Se.
Koi To Rok Lo Usko, Kisi Bahane Se.

Ye Manti hu Ki, Usko Mujhse Pyar Nahi.
Lekin Bin Uske, Mere Dil Ko Kahin Karar Nahi.

Chalti Hai Saans Meri, Uske Muskurane Se.
Koi To Rok Lo Usko, Kisi Bahane Se.

Chala Gaya To, Wo Fir Laut Kar Na Aayega.
Ki Mujhko Bhool Kar Wo, Kisi Aur Ka Ho Jayega.

Mai Mit Jaugi Uske, Is Tarah Bhulane Se.
Koi To Rok Lo Usko, Kisi Bahane Se.

Koi To Rok Lo Usko, Kisi Bahane Se.
Nikal Na Jaye Meri Jaan, Uske Jaane Se.”​

Itna bol kar priya chup ho gayi aur mai uski is rachna ko sun kar gahri soch me pad gaya. Uski is rachna ki har ek pankti me, uske dil ka dard, uski bebasi saaf najar aa raha thi aur uski is bebasi ne mujhe bhi bebas karke rakh diya tha.

Mai uske is dard ko mehsus to kar sakta tha. Lekin uske is dard ko door karne ke liye kuch kar nahi sakta tha. Mujhse to, usko dilasa tak dete nahi ban raha tha. Mai khamoshi se uske pas khada rah gaya.

Lekin ab mere chehre ki muskurahat gayab ho chuki thi aur uski jagah mere chehre par meri bebasi saaf jhalak rahi thi. Mujhe is tarah mayus dekh kar, priya ne thoda sanjida hote huye mujhse kaha.

Priya boli “kya hua, kya ye rachna tumko pasand nahi aayi.”

Priya ki is baat par maine hansne ki naakam koshish karte huye kaha.

Mai bola “nahi, aisi baat nahi hai. Lekin wo kya hai ki, mujhe ye sher aur shayari bilkul bhi samajh me nahi aati hai.”

Meri is baat par priya ne muskurate huye mujhse kaha.

Priya boli “lekin tum to kahte the ki, tumhe Tripti ki har rachna samajh me aa jati hai. Isiliye to maine tumhe Tripti ki hi rachna pad kar sunayi thi.”

Priya ki is baat ko sunkar, mai hairani se priya ki taraf dekhne laga. Mujhe samajh me nahi aa raha tha ki, priya mujhse sach kah rahi hai ya fir meri udasi ko dekh kar, mera dil bahane ke liye, ab baat ko badalne ki koshish kar rahi hai.

Mujhe is tarah soch me pada dekh kar, priya ne muskurate huye, mere hath me aaj ka akhbar thama diya. Maine akhbar ko dekha to, ye sach me hi tripti ki taaji rachna thi. Jo aaj ke akhbar me chhapi thi.

Tripti ki is rachna ka shirshak “Koi To Rok Lo” Tha. Mai ek baar fir tripti ki is rachna ko padne laga aur mujhe uski rachna me ek baar fir se priya ka chehra najar aane laga.

Uski is rachna me priya ke dil ki, wo baat chhupi huyi thi. Jo priya chah kar bhi mujhse kah nahi sakti thi. Tripti ki rachnaon se mera ek rishta sa judne laga tha. Uski rachnaon me mujhe kabhi keerti to, kabhi priya ka chehra najar aata tha.

Na jaane wo kaun thi, kaisi thi. Magar wo jo bhi thi, uske dil me pyar ki ek gahri tadap thi. Jo uski rachnaon me saaf najar aati thi. Mai abhi tripti ki rachna me khoya hua tha ki, tabhi priya ne mujhe tokte huye kaha.

Priya boli “ab jyada socho mat, tumhe iski rachna pasand thi aur aaj tum jaldi jaldi me akhbar pad nahi paye the. Isliye mai ise tumhare liye le aayi thi. Lekin mujhe to ye tripti koi pagal hi lagti hai. Pata nahi, kya kya, likhti rahti hai.”

Priya ki is baat ko sunkar, mai hairani se uski taraf dekhne laga. Mai ye samajhne ki koshish kar raha tha ki, kya priya ko sach me tripti ka rachna samajh me nahi aayi hai, jo wo mujhse tripti ke baare me is tarah se bol rahi hai.

Mujhe is taraf se khud ko ghurta dekh kar, priya ne apni kahi baat par, mujhe safayi huye kaha.

Priya bolii “ab tum mujhe aisa kyo dekh rahe ho. Mai tumhari tripti ko nahi, balki is akhbar wali tripti ko pagal kah rahi hu. Tum apni tripti ke upar is baat ko mat le jana.”

Priya ki is baat ko sunkar, mere chehre par muskurahat aa gayi aur maine us se kaha.

Mai bola “nahi, mai aisa kuch nahi samajh raha hu. Mai to ye soch raha tha ki, tumhe itna acha likhne wali ladki pagal kyo lagti hai.”

Priya boli “usko pagal nahi to kya bolu. Tumne dekha nahi hai, kisi bhi baat par kitna lamba likh deti hai. Jo bhi kahna ho, do char line ki shayari me bhi to kah sakti thi.”

Priya ki is baat par maine muskurate huye us se kaha.

Mai bola “acha chalo, mai maan leta hu ki, tripti pagal hai. Lekin yadi tumko apni baat shayari me kahna hoti to, tum bhi to aise hi kahti na.”

Priya boli “na, mujhe itni lambi sher shayari pasand nahi hai aur rone dhone wali shayari to bilkul bhi pasand nahi hai. Yadi mujhe shayari me rone dhone wali baat bhi kahna hoti to, mai kuch aise kahti.”

“Toot Kar Chaha Jise, Wo Mera Ban Paya Nahi.
Dil Ko Mere, Uske Siwa, Koi Dusra Bhaya Nahi.
Pyar Ke Is Saude Me, Hum Dono Barabar Hi Rahe.
Usne Kuch Khoya Nahi Aur Maine Kuch Paya Nahi.”​

Ye kah kar, priya mujhe dekh kar muskurane lagi. Usne ek baar fir baat hi baat me apne dil ki baat kah di thi. Lekin apni kahi baat par muskura kar, wo khud apne dard ka majak bana rahi thi.

Na jaane wo kis mitti ki bani ladki thi. Jiske andar itna dard hone ke bad bhi, wo is tarah se muskura leti thi. Lekin mai uski tarah ka nahi tha aur uski is baat ko sunne ke bad, na chahte huye bhi meri aankhen aansuon se bheeg gayi.

Meri aankhon me aansu dekhte hi priya ke chehre ki muskurahat gayab ho gayi aur usne mere hath ko thamte huye kaha.

Priya boli “plz apne aansu roko, warna mai khud ko sambhal nahi paungi. Tum mere dard ko tum mehsus karte ho, mere liye is se bad kar duniya ki koi khushi nahi hai. Mai isi khushi ke sath, hanste hanste tumhe yaha se vida karna chahti hu. Meri ye khushi mujhse mat chhino.”

Priya ki ye baat sunkar, mere liye apne aansu rok pana aur bhi jyada mushkil ho gaya tha. Lekin is samay priya ka dard mere dard se kahin jyada tha aur uske is dard ne mujhe apne aapko sambhalne par majbur kar diya tha.

Magar mai jate jate priya ko samjhane ki, ek aakhiri koshish aur karna chahta tha. Isliye maine apne aansuon ko ponchh kar, priya par jhutha gussa dikhate huye kaha

Mai bola “tum meri baat ko samajhti kyo nahi ho. Mai tumhari koi khushi, nahi chheen raha hu aur na hi mera tumse koi rishta hai, jo mai tumhare liye aansu bahauga. Mai khushi khushi apni duniya me wapas ja raha hu aur ab kabhi yaha wapas nahi aauga.”

“Isliye tumhare liye behatar ye hi hoga ki, tum bhi apne is pyar ke pagalpan ko bhool kar, apni nayi jindagi suru karo aur mujhko hamehsa hamesha ke liye bhool jao. Isi me tumhari bhalai hai.”

Ye baat kahte kahte ek baar fir meri aankhen chhalak gayi aur mai apne chehre ko saaf karne laga. Meri is baat ke jabab me priya ne fir ek baar feeki si muskurahat ke sath kaha.

Priya boli “Meri Rooh Me Na Samaye Hote, To Bhool Jati Tumhe.
Itna Kareeb Na Aaye Hote, To Bhool Jati Tumhe.
Ye Kehte Huye Ki Mera, Talluq Nahi Tumse Koi.
Tumhari Aankh Me Aansu Na Aaye Hote, To Bhool Jati Tumhe.”​

Uske is pagalpan ko dekh kar, meri aankhen puri tarah aansuon se bheeg chuki thi. Mai ab apne aapko na rok saka aur maine aage bad kar priya ko apne gale se laga liya. Shayad use bhi isi pal ka intejar tha aur mere use gale lagate hi, usne bhi mujhe apni bahon me jakad liya.

Is samay mujhe kisi ki kisi baat ki koi parwah nahi thi aur mai bas priya se lipat kar ji bhar kar rona chahta tha. Mujhe is baat tak ka khayal nahi tha ki, is samay mai kaha hu aur mere sath yaha par kaun kaun hai.

Lekin shayad, nikki ki najar hum par hi tiki huyi thi. Isliye jaise hi maine priya ko gale lagaya. Waise hi thodi der bad, nikki humare pas aa gayi aur mere kandhe par hath rakhte huye kaha.

Nikki boli “bas, ab bahut gale milna ho gaya hai. Yaha hum logon ke alawa aur bhi bahut se log hai.”

Nikki ki baat sunte hi, maine priya ko chhoda aur apne chehre ko saaf karte huye nikki se kaha.

Mai bola “ab tum hi isko kuch samjhao. Ye to meri koi baat samajhne ko taiyar hi nahi hai.”

Meri is baat ke jabab me nikki ne badi hi sanjidgi se kaha.

Nikki boli “kuch baten wakt ke hathon par hi chhod dena sahi rahta hai. Jab sahi samay aayega to, ye khud hi sab kuch samajh jayegi. Isliye tum is baat ki jara bhi fikar mat karo. Yaha par iska khayal rakhne ke liye mai iske sath hu.”

Abhi meri nikki se baat chal hi rahi thi ki, tabhi humari flight ki ghoshna ho gayi. Maine pichhe palat kar sabki taraf dekha to, mujhe koi bhi najar nahi aaya. Maine hairan hote huye, nikki se kaha.

Mai bola “ye sab achanak kaha gayab ho gaye hai.”

Meri baat sunkar, nikki ne muskurate huye kaha.

Nikki boli “seeru didi jindabad, unke liye to pura airport bhi khali karana, koi badi baat nahi hai.”

Nikki ki baat sunkar, mai ye to samajh gaya tha ki, seeru didi ne fir apna koi dimag chalaya hai. Isliye maine hairan hote huye nikki se kaha.

Mai bola “mai kuch samajha nahi, seeru didi ne kya aur kyo kiya.”

Meri is baat par nikki ne muskurate huye kaha.

Nikki boli “ye sab un ne mere kahne par kiya hai. Mai chahti thi ki, tum dono shukun se mil sako. Isliye maine seeru didi se sabko yaha se gayab karne ko kaha aur un ne palak jhapakte hi sabko yaha se gayab kar diya.”

Nikki ki baat sunkar, meri bhi hansi chhut gayi. Tabhi flight ki ghoshna sun kar, baki sab bhi humare pas wapas aane lage. Sabko aate dekh kar, maine udas man se priya se kaha.

Mai bola “mera flight pakadne ka samay ho gaya aur ab mujhe jana hoga. Lekin tum apni tabiyat ko lekar jara bhi laparwahi mat karna aur apni tabiyat ka pura khayal rakhna.”

Meri is baat ke jabab me priya ne bhi muskurate huye kaha.

Priya boli “yadi tum yaha se aise muh latka kar jaoge to, jarur meri tabiyat kharab ho jayegi. Yadi tum meri tabiyat ko acha dekhna chahte ho to, hanste hanste yaha se jao.”

Priya ki baat sunkar, mai muskurane ki koshish karne laga. Lekin aise samay me mere liye rone se kahin jyada mushkil kaam muskurana tha. Lekin fir bhi maine muskurate huye, priya ki baat ki haami bhar di.

Tabhi sab mere pas aa gaye aur mai sabse ek baar fir gale mil kar vida lene laga. Mai jis se bhi milta, wo mujhe aate rahne aur apna khayal rakhne ke liye kah raha tha. Sab se vida lene ke bad hum apni flight ki taraf bad gaye.

Lekin jate jate achanak mujhe aisa laga, jaise ki mai kuch bhool gaya hu. Ye khayal mere dimag me aate hi, mai jate jate ruk gaya aur wapas priya ke pas aane laga.

Sab meri is harkat ko hairani se dekhne lage. Lekin mai apne jeb me yaha waha kuch talash karte wapas priya ke pas aaya aur us se kaha.

Mai bola “mujhe lagta hai ki, mai koi jaruri chij bhool gaya hu.”

Meri baat sunkar, priya kuch soch me pad gayi. Lekin nikki ne fauran kaha.

Nikki boli “haan, wo seeru didi logon ke gift dena tha. Wo hum ghar me hi bhool aaye hai.”

Nikki ki baat sunkar, maine kaha.

Mai bola “nahi, wo nahi, gift ka to priya ne mujhse kaha tha ki, wo khud jakar seeru didi logon ko ye gift dekar aayegi. Mujhe lagta hai ki, mai kuch aur bhool gaya hu.”

Meri is baat ko sunkar, priya ne mujhse kaha.

Priya boli “tum is baat ko lekar pareshan mat ho. Mai ghar jakar, tumhare kamre me ek baar fir se dekh loogi. Yadi udhar kuch milta hai to, mai apne pas sambhal kar rakh lugi. Ab tum befikar hokar apne ghar jao.”

Nikki ne bhi priya ki baat me haan me haan milayi. Lekin mujhe abhi bhi aisa hi mehsus ho raha tha, jaise ki mai apni koi bahut hi keemti chij bhool kar ja raha hu. Magar dimag par bahut jor dene ke bad bhi, mujhe yaad nahi aa rahi thi ki, mai kya bhool kar ja raha hu.

Isi ulkhan ke sath mai wapas apni flight ki taraf jaane laga. Mai jate jate bhi sabko palat palat kar dekh raha tha. Jaha humare jaane se sabki aankhon me nami thi, wahi priya ke chehre par ek feeki si muskurahat thi.

Na jaane kaisa patthar dil tha uska, jo usne apni aankh se ek aansu bhi nahi tapakne diya. Lekin uski is muskurahat ke pichhe chhupe dard ko mai achi tarah se samajh raha tha.

Mai janta tha ki, mere jaane ke bad, uska kya haal hone wala hai. Is baat ko sochte hi, uski muskurahat ko dekh kar, mere aansu nikal aaye. Mai uski isi dard bhari muskan ko dekhte dekhte, uski aankhon se ojhal ho gaya.

Kuch hi der me mai apni flight par aakar baith gaya. Lekin abhi bhi priya ki muskan mujhe dard de rahi thi aur maine apni seat par aate hi, fafak kar rona suru kar diya.

Mujhe rote dekh kar, mohini aunty mujhe samjhane lagi. Mai ek aisa anokha banda tha. Jo apne ghar se yaha aati samay to roya hi tha aur ab yaha se apne ghar wapas jati samay bhi ro raha tha.

Meri aankhon me shikha didi se lekar neha tak, har kisi ka chehra ghoom raha tha. Lekin jo chehra mujhe sabse jyada dard de raha tha, wo priya ka chehra tha. Kyoki sabne apne aansu aur apne dard ko mere samne jahir kar diya tha.

Lekin priya kisi patthar ke but ki tarah, mere samne har pal sirf muskurati rahi thi. Uski is samay bilkul wo hi haalat thi, jo mere ghar se nikalte samay keerti ki haalat thi. Lekin iske bad bhi dono ki haalat me bahut farak tha.

Kyoki keerti ko mujhse door hote samay is baat ki tasalli thi ki, mai kuch din bad, uske pas wapas aa jauga. Lekin priya mujhse door hote samay, ye bhi nahi janti thi ki, ab iske bad wo mujhe, fir se dobara kab dekh payegi ya nahi.

Shayad dono ke bich ke isi farak ne, priya ke mere samne na rone ke irade ko itna jyada majbut bana diya tha ki, wo mere samne kisi patthar ke but ki tarah, har pal sirf muskurati rahi thi.

Lekin ab uski yahi muskurahat mujhe bahut jyada dard pahucha rahi thi. Aaj jitna dard lekar, mai apne ghar wapas ja raha tha. Itna dard to mujhe apne ghar se door hote huye bhi mehsus nahi hua tha.

______________________________
 
Last edited:

Pritam.bs

!..Kar Vida.......Alvida..!
Supreme
3,003
15,224
159
Ko To Rok Lo {Update - 186}
____________________________

Meri aankhon me shikha didi se lekar neha tak, har kisi ka chehra ghoom raha tha. Lekin jo chehra mujhe sabse jyada dard de raha tha, wo priya ka chehra tha. Kyoki sabne apne aansu aur apne dard ko mere samne jahir kar diya tha.

Lekin priya kisi patthar ke but ki tarah, mere samne har pal sirf muskurati rahi thi. Uski is samay bilkul wo hi haalat thi, jo mere ghar se nikalte samay keerti ki haalat thi. Lekin iske bad bhi dono ki haalat me bahut farak tha.

Kyoki keerti ko mujhse door hote samay is baat ki tasalli thi ki, mai kuch din bad, uske pas wapas aa jauga. Lekin priya mujhse door hote samay, ye bhi nahi janti thi ki, ab iske bad wo mujhe, fir se dobara kab dekh payegi ya nahi.

Shayad dono ke bich ke isi farak ne, priya ke mere samne na rone ke irade ko itna jyada majbut bana diya tha ki, wo mere samne kisi patthar ke but ki tarah, har pal sirf muskurati rahi thi.

Lekin ab uski yahi muskurahat mujhe bahut jyada dard pahucha rahi thi. Aaj jitna dard lekar, mai apne ghar wapas ja raha tha. Itna dard to mujhe apne ghar se door hote huye bhi mehsus nahi hua tha.

Is dard ke sath mujhe pata hi nahi chala ki, kab meri flight ne udan bharna suru kar diya aur kab uski udan khatam bhi ho gayi. Mujhe is baat ka hosh tab aaya, jab mohini aunty ne mujhe hilakar, mujhse flight se niche utarne ko kaha.

Mohini aunty ki baat sunkar, maine apne aapko sambhala aur unke sath plane se niche utar aaya. Airport terminal me apna saman lene ke bad, hum waiting lounge ki taraf bad gaye.

Chhoti maa hum logon ko lene aane wali thi. Mai udas man se waiting lounge ki taraf, unko yaha waha dekhne laga. Tabhi meri najar hume aate dekh kar, hath hilati ami nimi par pad gayi.

Unko dekhte hi mere chehre se, udasi ke badal aise chhat gaye, jaise ki suraj ke chamakte hi, aasaman se kaale badal chhat jate hai. Un dono ko dekhte hi, mere dil me khushi ki ek lahar daud gayi.

Mai muskurate huye, unki taraf badne laga aur un dono ne bhi meri taraf daud laga di. Unke pas aate hi maine niche baith kar unhe apne gale se laga liya. Mai ghutno ke bal baithe dono ko gale lagaye hua tha.

Ami to mujhse gale mil kar apni khushi jata rahi thi. Lekin nimi ki to khushi ka koi thikana hi nahi tha. Wo mere ghutne par pair rakh kar, mere kandhe par chadne ki koshish kar rahi thi.

Tabhi mehul, uncle, mohini aunty aur nitika bhi humare pas aa gaye. Uncle ne pyar se ami nimi ke sar par hath fera to, ami dadi amma ban kar, unke operation ke baare me sawal karne lagi.

Magar nimi in sab baton se befikar, mujhse jhuma jhapti karne me lagi thi. Mohini aunty aur nitika nimi ki harkaton ka maja le rahi thi. Lekim mehul ne mujh tokte huye kaha.

Mehul bola “tera to, abhi bhi ghar jaane ka man nahi kar raha hai. Lekin ab mujhse ek pal ke liye bhi ghar se door rahte nahi ban raha hai. Isliye ab tu inke sath ye laad karna band kar aur jaldi se ghar ke liye chal.”

Mehul ki ye baat sunkar, maine uski taraf ghoor kar dekha. Lekin usne meri taraf dhyan diye bina, ami se kaha.

Mehul bola “tum dono yaha kiske sath aayi ho aur yaha akeli kyo ho.”

Mehul ki is baat ke jabab me ami ne kaha.

Ami boli “hum didi ke sath aaye hai. Unka koi jaruri call aa gaya tha. Isliye wo hume yaha khada karke baat karte karte bahar nikal gayi.”

Ami ki is baat se, mehul ko laga ki, hume lene keerti aayi hai. Isliye usne fauran apna saman pakda aur hum logon ke chalne ka intejar kiye bina hi, bahar ki taraf bad gaya.

Mehul ki ghar pahuchne ki besabri ko dekh kar, mohini aunty hasne lagi aur mujhse jaldi ghar chalne ko kahne lagi. Unki ki is baat ko sunkar, maine ami nimi se aage koi sawal nahi kiya aur mai bhi sabke sath bahar ke liye chal pada.

Lekin abhi hum bahar nikal bhi nahi paye the ki, tabhi mehul teji se wapas humare pas aate dikhayi diya. Usne aate hi apna saman mujhe pakdaya aur toilet jaane ki baat bol kar, ek bag apne sath lekar chala gaya.

Uski is harkat ko dekh kar, sabke sath sath mai bhi hairan rah gaya. Lekin is se pahle ki hum me se koi, us se kuch puchh pata, wo humare pas se ja chuka tha. Uski is harkat ko sochte sochte, hum sab bahar ki taraf bad gaye.

Hum sab bahar pahuche to, bahar chhoti maa ki car aur tata safari khadi thi. Hume dekhte hi tata safari ka driver, furti se humare pas aa gaya aur humare hathon se saman lene laga.

Wahi dusri taraf chhoti maa ki car ke pas white short shirt aur black jeans pahne ek ladki mobile par baat kar rahi thi. Use dekhte hi mujhe mehul ke is tarah bhagne ki vajah samajh me aa gayi thi.

Lekin ab mere pas khud ko sambhalne ka jara bhi mauka nahi tha. Kyoki us ladki ki najar bhi hum par pad chuki thi. Hum par najar padte hi usne fauran hi baat karna band kiya aur mobile apne jeb me rakh kar humare pas aa gayi.

Usne humare pas aakar, ek najar mere upar daali aur fir jhuk kar uncle ke pair chhu liye. Uncle ne use aashirwad dene ke bad, us se kaha.

Uncle bole “vaani beta, ye kya hai. Maine tumse kitni baar kaha hai ki, mujhe betiyon se apne pair padwana pasand nahi hai. Fir tum kyo baar baar mere pair chhuti ho.”

Uncle ki is baat ka, vaani ne badi hi sahajta se jabab dete huye kaha.

Vaani boli “uncle, aap mere liye, mere pita ke saman hai aur aaj kal betiyan, aise nalayak beton se kahin jyada layak sabit hoti hai.”

Ye kahte huye vaani ne meri taraf ishara kiya tha. Iske bad usne apni baat ko aage badate huye kaha.

Vaani boli “waise to mujhe aapse bahut jhagra karna tha. Lekin sochti hu, pahle aapki tabiyat sahi ho jaane du. Uske bad aapse jhagra karugi. Lekin aapke alawa kisi ko bhi mai chhodne wali nahi hu.”

Ye kahte huye vaani ne ek baar fir meri taraf dekha. Uske is tarah se, mujhe dekhne se mai samajh gaya tha ki, ab meri hi shamat aane me jyada der nahi hai. Lekin uski agli harkat ne mujhe aur bhi hairan karke rakh diya.

Usne thodi der isi tarah uncle se nok jhok ki aur fir wo mohini aunty aur nitika se milne lagi. Un se milne ke bad, usne bade hi pyar se, mujhse kaha.

Vaani boli “kaise ho tum.”

Vaani ko itne pyar se baat karte dekh kar, mujhe kuch hairani to jarur ho rahi thi. Lekin is baat ki rahat bhi mehsus ho rahi thi ki, wo mujhse naraj nahi hai. Isi khushi me maine muskurate huye us se kaha.

Mai bola “mai acha hu hu didi. Aap kaisi ho.”

Magar meri is baat ke jabab me, vaani didi ne mujhse ulta hi sawal karte huye kaha.

Vaani boli “sirf ache ho ya bahut ache ho.”

Mujhe abhi bhi unki is baat me pyar hi najar aa raha tha. Isliye maine fir se muskurate huye kaha.

Mai bola “ji bahut acha hu.”

Mera itna kahna tha ki, vaani ne banduk ki goli ki tarah mujh par fatte huye kaha.

Vaani boli “jab bahut ache ho to, fir tumhari shakal ke12 kyo baj rahe hai. Tumhari shakal dekh kar to, aisa lag raha hai ki, jaise tum plane me baith kar nahi aaye ho, balki plane ko apne kandhe par dhokar laye ho.”

Lekin ye to kuch bhi nahi tha. Ye sirf vaani didi ke bolne ki suruaat thi. Un ne mere baalon ko hath lagate huye kaha.

Vani boli “ye kya lofaro ki tarah baal itne bade karke rakhe hai. Kya mumbai me koi hajjam nahi tha ya fir apne aapko mumbai jakar salman khan samajhne lage ho.”

Vaani didi ki ye baten sunkar, meri hansi gayab ho gayi thi aur meri haalat kaato to khoon nahi wali ho gayi thi. Wahi mohini aunty vaani ko didi ko hairani se dekhti rah gayi aur unka muh khula ka khula rah gaya.

Lekin itna sab sunne ke bad bhi, mai kisi mujrim ki tarah khamoshi se sar jhukaye khada tha. Shayad aisa karne me hi meri bhalai thi. Kyoki vaani didi ko kisi ki safayi sunne ki aadat nahi thi.

Bachpan se hi hum me se kisi ko bhi, unka naam lene ki ijajat nahi thi aur yadi galti se koi unka naam le leta tha to, naam lene wale ke kaan me ghantiyan bajne lagti thi. Jis vajah se hum me se har ek unhe sirf didi kah kar hi bulata tha.

Wo ek bachchon ko darane wali dayan thi. Jisne bachpan se hi humare dil me apne naam ki dahshat paida karke rakhi thi. Bachpan se hi wo hum sab par kisi rani ki tarah raz karti aa rahi thi aur hum unke samne kisi gulam ki tarah hi the.

Hum sabke un se itni dahshat khane ki vajah ye thi ki, wo takat me barkha didi se kahi jyada thi aur dimag me seeru didi bhi unke samne kuch nahi thi. Lekin is sabse jyada khatarnak baat ye thi ki, wo juban me mohini aunty se bhi jyada khatarnak thi.

Yadi mumbai me mohini aunty ka samna seeru didi ki jagah vaani didi se ho gaya hota to, yakinan wo apna muh kholne ke liye pachhtane ke siwa kuch nahi kar pati aur fir jindgi bhar ke liye apne muh ko taala laga leti.

Vaani didi puri hitler thi aur unke samne to mere khadus bap ki juban ko bhi lakwa maar jata tha. Aise me mai kis khet ki mooli tha, jo un se juban lada pata. Mai chup chap sar jhuka kar, khada rah jaane ke siwa kuch bhi na kar saka.

Magar shayad nitika ko meri is haalat par raham aa gaya aur usne bich me aate huye vaani didi se kaha.

Nitika boli “didi, abhi to hum sab aate ja rahe hai. Pahle aap sabko ghar to chalne dijiye, fir jis jis ki khabar lena chahti hai, le lijiyega.”

Nitika keerti ki bachpan ki saheli thi. Isliye vaani didi aur nitika ek dusre ko ache se janti thi. Jis vajah se nitika ki baat sunkar, vaani didi ne apne gusse ko dabate huye us se kaha.

Vaani boli “tum kahti ho to, mai maan jati hu. Lekin ye to ek hi dikh raha hai. Wo dusra kaha hai.”

Vaani didi ka ye ishara mehul ki taraf tha. Lekin is se pahle ki nitika uski is baat ka koi jabab de pati, mehul ne kisi jinnad ki tarah, humare pas prakat hote huye kaha.

Mehul bola “mai yaha hu didi. Mujhe pata hota ki, meri pyari didi hume lene aayi hai to, mai aapse milne sabse pahle bhagte huye aa jata.”

Ye kahte huye, mehul ne vaani didi ke pair chhu liye. Jisse vaani didi ka raha saha gussa bhi shant ho gaya aur usne mehul ki taraf ishara karte huye mujhse kaha.

Vaani boli “ye dekho, ye kahlate hai sanskar. Apne se bado se kaise mila jata hai. Kuch is se seekho aur jara iski haalat ko bhi dekho. Ye bhi tumhare sath mumbai se hi aa raha hai. Lekin abhi bhi bilkul taro taja lag raha hai.”

Vaani didi ki ye baat sunkar, mai ek baar fir khoon ke ghoont pikar rah gaya. Lekin ab mujhe vaani didi se jyada gussa mehul par aa raha tha. Kamina mujhe fasa kar, khud bathroom me jakar, fresh hokar aur kapde badal kar aaya tha.

Vaani didi ke alawa har koi janta tha ki, mehul abhi abhi fresh hokar aur kapde badal kar aaya hai. Ye hi nahi, ab ye baat bhi sabki samajh me aa chuki thi ki, mehul vaani didi ko dekh kar hi wapas bhaga tha.

Lekin aage to mehul ne vaani didi ki chaplusi karne ki had hi kar di. Usne apne bag me se shilpa ke liye kharida hua, jeans aur t-shirt nikal kar vaani didi ko dikhate huye kaha.

Mehul bola “didi, ye dekho, mai aapke liye mumbai se kya lekar aaya hu. Mujhe pata tha ki, aap sirf branded company ke kapde hi pahanti ho. Isliye maine aapke liye ye kharide hai. Lekin ye utne mahge nahi hai. Jitne mahge aap pahanti ho.”

Mehul ki is baat par vaani didi ne ek baar fir mujhe ghoora aur fir mehul se kaha.

Vaani boli “tumhe mai yaad rahi, mere liye itna hi bahut hai aur gift ki kimat nahi, balki gift dene wale ki niyat dekhi jati hai. Mujhe tumhara ye gift bahut pasand aaya hai.”

Vaani didi ko apne gift se khush hote dekh kar mehul or bhi jyada unki chaplusi karne laga. Mehul ki is harkat par mujhe gussa to bahut aa raha tha aur mera dil kar raha tha ki, mai abhi iski saari pol vaani didi ke samne khol kar rakh du.

Lekin mai apna man maar kar rah jaane ke siwa kuch na kar saka. Khair mehul ne apni chikni chupdi baton se vaani didi ko bahla liya tha. Jiske bad vaani didi ne kisi par jyada gussa nahi kiya aur humse jaldi ghar chalne ko kahne lagi.

Humara saman to gadiyon me rakha ja chuka tha. Ab sirf hum logon ko gadiyon me baithna tha. Chhoti maa ki car vaani didi khud chala rahi thi. Aise me mera usme baithne ka sawal hi paida nahi hota tha.

Isliye vaani didi ke gaadi me baithne ki baat bolte hi, maine ami nimi ka hath pakda aur tata safari ki taraf badne laga. Lekin tabhi vaani didi ne mujhe tokte huye kaha.

Vaani boli “tum waha kaha ja rahe ho. Safari me ami nimi aur aucle aunty ko jaane do. Tum dono aur nitika mere sath chaloge.”

Vaani didi ki ye baat sunkar, jitna kharab mujhe laga tha, utna hi kharab ami nimi ko bhi lag raha tha. Yadi ye baat vaani didi ki jagah kisi aur ne kahi hoti to, wo dono turant hi us se bahas karne lagti.

Lekin vaani didi ki dahshat sab par ek saman hi thi. Unki peeth pichhe chahe koi unki kitni bhi burayi kyo na kar le. Magar unke samne jabab dene ki himmat kisi me nahi thi.

Yahi vajah thi ki, vaani didi ki baat sunte hi, ami nimi anmane man se tata safari me jakar baith gayi aur mai car me pichhe ki seat par aakar baith gaya. Mere baithte hi, nitika bhi mere pas hi aakar baith gayi aur mehul aage vaani didi ke pas baith gaya.

Humare baithte hi dono gadiyan ghar ke liye nikal padi. Mujhe chhod kar baki sab khush najar aa rahe the. Nitika ko bhi is baat ki khushi thi ki, mumbai me na sahi, yaha to, use kuch wakt mere sath bitane ke liye mil hi gaya hai.

Nitika raste bhar mujhse patar patar baten karti rahi aur mai uski baat ka ek chhota sa jabab dekar chup ho jata tha. Lekin mehul se baat karte huye bhi, vaani didi ki najar mere upar hi bani huyi thi.

Jis vajah se mujhe bhi apne aapko nitika ke sath baton me laga lena pada. Aise hi baat karte karte hum mehul ke ghar pahuch gaye. Humari gadiyon ki aawaj sunkar, ek ek karke sab ghar se bahar nikal aaye.

Hum log apni gaadi se utre aur uncle ke pas aa gaye. Uncle ke gaadi se utarte hi, unko sahi salamat dekh kar sabki khushi ka koi thikana nahi tha. Sab se jyada khushi richa aunty ke chehre par jhalak rahi thi.

Uncle ko apne samne sahi salamat dekh kar bhi, unke aansu rukne ka naam nahi le rahe the. Hum uncle ko apne sath ghar ke darwaje tak lekar gaye. Waha aunty ne uski najar utari aur fir unse lipat kar rone lagi.

Uncle ne unko dilasa dilaya aur fir hum sab ghar ke andar aa gaye. Is samay ghar me chhoti maa, anu mausi, mausa ji, kamal, vaani didi ki mom aur shilpa maujud thi. Inke alawa mohini aunty aur nitika bhi humare sath hi thi.

Richa aunty ko rote dekh kar, anu aunty aur baki sab unko samjha rahe the. Lekin richa aunty ke aasnu rukne ka naam hi nahi le rahe the. Richa aunty ko rote dekh kar, mehul aur meri aankhon me bhi nami aa gayi.

Magar meri samajh me ye nahi aa raha tha ki, ab aunty ro kyo rahi hai. Jin aankhon se mere liye hamesha hi pyar barasta tha, un aankhon ko baraste dekh, mai bhala apni aankhon ko barasne se kaise rok sakta tha.

Na chahte huye bhi meri aankhon ne khud-ba-khud barasna suru kar diya tha. Aisi hi kuch haalat mehul ki bhi thi. Lekin jab us se richa aunty ka rona nahi dekha gaya to, usne mujhe dhakka marte huye kaha.

Mehul bola “abe saale khada khada tamasha kya dekh raha hai. Dekh nahi raha mummy kitna ro rahi hai. Unko jakar chup kyo nahi karata hai.”

Lekin aaj pahli baar mujhe mehul ki kisi baat ko sunkar, gussa nahi, us par behad pyar aaya tha aur mai khud hi us se lipat kar rone laga. Mera sath pakar, uske bhi sabar ka bandh toot gaya aur wo bhi mujhse lipat kar rone laga.

Apne jis dard ko humne, mumbai jaane ke pahle, apne dil ke andar daba kar rakha tha, wo ab apne ghar wapas aate hi, aansu ban kar, humari aankhon se bahar nikalne laga tha.

Lekin ek maa ki ye hi khasiyat hoti hai ki, uski aankhon se chahe aansuon ki ganga jamuna bahti rahe. Lekin wo apne bacchon ki aankhon me ek aansu bhi nahi dekh sakti aur ye hi richa aunty ke sath bhi hua.

Un ne jaise hi mujhe aur mehul ko rote dekha. Unke aansu wahi ke wahi tham gaye aur un ne humare pas aakar, hum dono ko apne gale se lagate huye kaha.

Richa aunty boli “mere bachchon, tum kyo rahe ho. Tum dono to mere bahadur bete ho. Tum dono ko to aaj khush hona chahiye. Tumne aaj apni maa se kiya hua vada pura karke dikha diya.”

Richa aunty ki baat sunkar, hum dono unse lipat kar rone lage. Ab waha ka najara bilkul hi ulta ho gaya tha. Abhi tak jin richa aunty ki samajh me kisi ki bhi baat nahi aa rahi thi aur wo roye ja rahi thi.

Ab wo hi apne aansu bhool kar, hum dono ko dilasa de rahi thi aur hum dono roye ja rahe the. Tabhi chhoti maa ne aakar, hum dono ke sar par hath fera to, maine palat kar, unhe dekhte hi kaha.

Mai bola “mummy.”

Itna kah kar, mai unse lipat gaya aur un ne bhi mujhe apne seene se chipka liya. Unki khud ki aankhen bhi aansuon se bheeg chuki thi. Lekin mere kahe is ek shabd se waha bilkul sannata sa ho gaya tha.

Yaha tak ki mehul bhi apna rona bhool kar mujhe dekhne laga tha. Sab bas hairnai se mujhe hi dekh rahe the aur mai chhoti maa ko baar baar “mummy mummy” pukar kar roye ja raha tha.

Mai aaj apni barson ki is pyas ko bujha lena chahta tha. Isliye baar baar sirf “mummy mummy” pukar raha tha. Aisa hi kuch haal mere muh se mummy sunne ke bad, chhoti maa ka bhi tha.

Wo mere muh se ye shabd sunne ke bad, apne aapko rok nahi payi aur unki aankhon ne bhi barasna suru kar diya. Kabhi wo mujhe apne seene se laga rahi thi to, kabhi baar baar “mera beta” kah kar, mere mathe ko chum rahi thi.

Ami nimi ko kuch samajh me nahi aaya ki, ye kya ho raha hai. Lekin mujhe aur chhoti maa ko rota dekh kar, un dono ne bhi rona suru kar diya aur wo dono bhi aakar humse lipat kar rone lagi.

Ye najara dekh kar waha khade har ek ki aankhen aansuon se bhar gayi thi. Magar is samay koi bhi is pal ko apni aankhon se ojhal karna nahi chahta tha. Isliye sab apne aansuon ki parwah kiye bina bas apalak is najare ko dekhe ja rahe the.

______________________________
 

Pritam.bs

!..Kar Vida.......Alvida..!
Supreme
3,003
15,224
159
Ko To Rok Lo {Update - 187}
____________________________

Yaha tak ki mehul bhi apna rona bhool kar mujhe dekhne laga tha. Sab bas hairnai se mujhe hi dekh rahe the aur mai chhoti maa ko baar baar “mummy mummy” pukar kar roye ja raha tha.

Mai aaj apni barson ki is pyas ko bujha lena chahta tha. Isliye baar baar sirf “mummy mummy” pukar raha tha. Aisa hi kuch haal mere muh se mummy sunne ke bad, chhoti maa ka bhi tha.

Wo mere muh se ye shabd sunne ke bad, apne aapko rok nahi payi aur unki aankhon ne bhi barasna suru kar diya. Kabhi wo mujhe apne seene se laga rahi thi to, kabhi baar baar “mera beta” kah kar, mere mathe ko chum rahi thi.

Ami nimi ko kuch samajh me nahi aaya ki, ye kya ho raha hai. Lekin mujhe aur chhoti maa ko rota dekh kar, un dono ne bhi rona suru kar diya aur wo dono bhi aakar humse lipat kar rone lagi.

Ye najara dekh kar waha khade har ek ki aankhen aansuon se bhar gayi thi. Magar is samay koi bhi is pal ko apni aankhon se ojhal karna nahi chahta tha. Isliye sab apne aansuon ki parwah kiye bina bas apalak is najare ko dekhe ja rahe the.

Kuch der ke liye, wakt jaise tham sa gaya tha. Lekin ami ka rona aur nimi ki siskiyan sunkar, chhoti maa ne mujhe apne seene se alag kiya aur fir un dono ko samjhane lagi.

Meri masum bahne, jo abhi achi tarah se sukh dukh ka matlab bhi nahi janti thi. Mujhe jara si bhi takleef me dekh kar, bilakh padti thi. Meri dono bahne phool se bhi jyada najuk thi aur unke aansu mere dil par tejab ki tarah asar karte the.

Ami to fir bhi thodi bahut samajhdar thi. Lekin nimi to abhi bilkul hi na samajh thi. Fir bhi meri kisi takleef ke aehsas se hi uski siskiyan chalna suru ho jati thi. Use siskiyan bharte dekh kar, meri jaan nikalne lagti thi.

Aisa hi kuch abhi bhi mere sath hua. Maine dono ko rote dekha to, ghutne ke bal, unke samne baith kar, dono ko apne gale se laga liya aur unhe samjhane laga ki, mai kyo ro raha tha.

Meri baat unke samajh me aate hi, agle hi pal dono ka rona ruk gaya aur iski jagah unke chehre par muskurahat aa gayi. Ami nimi ko fir se hanste khilkhailate dekh kar, richa aunty ne chhoti maa ke kandhe par hath rakhte huye kaha.

Richa aunty boli “sonu, mai itne din tumhare pas rahi. Lekin tumne mujhe bataya nahi ki, ye punnu ka tumhe mummy kahne wala kamaal kab aur kaise ho gaya.”

Aunty ki ye baat sunkar, chhoti maa ne muskurate huye kaha.

Chhoti maa boli “didi, ye pichhle Sunday ki baat hai.”

Ye kahte huye chhoti maa ne aunty ko priya ke hospital me bharti hone wali ghatna ke baare me bata diya. Jise sunne ke bad, mehul ne thoda hairan hote huye, chhoti maa se kaha.

Mehul bola “lekin aunty, ye pichhle Sunday ki baat hai to, fir ye shikha didi ki shadi me, aapko mummy kah kar kyo nahi bula raha tha.”

Mehul ki is baat ko sunte hi, hum sabki najar mehul par se hat kar, ami nimi ki taraf chali gayi. Nimi ko to is baat me kuch khas najar nahi aa raha tha. Lekin ami jarur is baat ko sunne ke bad, chhoti maa ki taraf gaur se dekhne lagi thi.

Lekin chhoti maa ne ami ke sar par pyar se hath ferte huye, mehul ki bigadi is baat ko, badi hi aasani se sambhalte huye kaha.

Chhoti maa boli “phone par to isne mujhe usi din se mummy kahna suru kar diya tha. Lekin mai is pal ke liye barson se intejar kar rahi thi aur iske muh se mummy sunkar mai thodi si swarthi ho gayi thi.”

“Mai chahti thi ki, ye tab mujhe mummy kah kar pukare, jab gale lagane ke liye, ye mere samne ho aur is pal me mere sabhi apne bhi mere pas ho. Meri isi ichha ko pura karne ke liye, isne abhi tak apne aapko mummy kahne se roka hua tha aur ghar wapas aane ka intejar kar raha tha.”

Chhoti maa ki ye baat sunkar, ami ke chehre ki muskurahat wapas aa gayi. Shayad use bina puchhe hi, uske man me uth rahe sawal ka jabab mil gaya tha. Wahi mehul ne bhi is baat se rahat ki saans li ki, uski vajah se chhoti maa ke shikha didi ki shadi me hone ka bhed khulne se bach gaya tha.

Chhoti maa ko is baat se itna jyada khush dekh kar, richa aunty ne unhe apne gale se laga liya aur fir aunty ne mujhse kaha.

Aunty boli “to tu aaj se sonu ko chhoti maa ki jagah, mummy kah kar pukara karega.”

Aunty ki is baat ke jabab me maine muskurate huye kaha.

Mai bola “nahi aunty, aisa kuch bhi nahi hai. Mai to inko hamesha hi chhoti maa kah kar bulauga.”

Meri is baat ko sunkar, richa aunty ne thoda hairan hote huye kaha.

Aunty boli “lekin aisa kyo, ab to tu sonu ko mummy kahne laga hai na.”

Mai bola “aunty, bachpan me aapne hi, mujhe inko nayi maa ki jagah chhoti maa bolne ko kaha tha. Tab mujhe laga tha ki, ye meri maa se chhoti hai, isliye aapne inko chhoti maa kahne ko kaha hai. Mujhe bhi ye naam acha laga tha aur mai inko chhoti maa kahne laga.”

“Lekin jab maine inko mummy kah kar pukara, tab mujhe pata chala ki, chhoti maa to maa se bhi badi hai. Mai jab inko mummy kahta hu to, mujhe inme sirf meri maa najar aati hai.”

“Magar jab mai inko chhoti maa kahta hu to, mujhe inme ek maa, ek dost, mera saara bachpan aur mai khud bhi najar aata hu. Duniya me maa se badkar, kuch nahi hota. Lekin meri chhoti maa ke samne to. maa shabd bhi chhota pad jata hai.”

Meri baat sunkar, waha khade sabke chehre par muskurahat aa gayi. Iske bad, sab uncle ke pas aakar, unka haal chaal puchhne lage aur meri najar yaha waha keerti ko talash karne lagi.

Keerti ko yaha waha talash karte karte, meri najar mehul ke kamre ke samne aakar ruk gayi. Keerti sabse alag thalag, wahi par, kamre ke darwaje se tik kar khadi, apne aansu ponchh rahi thi.

Shayad yaha ka najara dekh kar, wo apne aansu rok nahi payi thi. Lekin us par najar padte hi, mera dil dhakk karke rah gaya. Uska chehra bilkul peela pada hua tha aur wo bahut hi jyada kamjor najar aa rahi thi.

Use dekh kar, aisa lag raha tha, jaise ki uske andar, itni bhi takat nahi hai ki, ki wo apne bal par thik se khadi ho sake. Uski is haalat ko dekh kar mera dil ro utha. Uski tabiyat sahi nahi hai, ye baat to mai pahle se janta tha. Lekin uski haalat itni jyada gir gayi hai, iska andaja to mujhe bhi nahi tha.

Uski is haalat ne to meri jaan hi nikal kar rakh di thi. Wo pichhle do din se, mujhse sahi se baat nahi kar rahi thi aur mujhe lag raha tha ki, wo mere ghar aane ke intejar me aisa kar rahi hai.

Lekin yaha to baat hi kuch alag thi. Mai abhi uski is haalat ko dekh kar gahre sadme me tha aur udhar keerti ne apne aansu ponchhne ke bad, jaise hi apna sar utha kar, meri taraf dekha to, uski najar mujhse takra gayi.

Mujhse najar milte hi, uske chehre par muskurahat aa gayi. Lekin uski is haalat ko dekh kar, mai na to muskurane ki haalat me tha aur na hi us par gussa kar pane ki haalat me tha.

Mai bhag kar fauran uske pas pahuch gaya. Wo abhi bhi mujhe dekh kar, muskuraye ja rahi thi aur mai bas usko lachar sa dekha ja raha tha. Mai us se puchhna chahta tha ki, usne mere sath aisa kyo kiya.

Lekin na to mai us se kuch bol pa raha tha aur na kuch puchh pa raha tha. Mai kuch der tak bas use chup chap khada dekhta raha aur fir bina kuch kahe, uska hath pakad kar, use sahara dekar, apne sath sabke bich lane laga.

Wo bhi muskurati huyi mere sath aa gayi. Maine use sabke bich se late huye, sofe par lakar baitha diya. Keerti ko aate dekh kar, sabki najar hum dono par hi aakar thahar gayi thi.

Mehul aur uncle ne bhi jab keerti ko dekha to, wo bhi uski is haalat ko dekh kar, hairan rah gaye. Mehul fauran hi, keerti ke pas aakar baith gaya aur fir kuch pareshan sa hokar, aunty aur chhoti maa ki taraf dekhte huye kaha.

Mehul bola “kya koi mujhe batayega ki, isko kya hua hai aur iski ye haalat kaise ho gayi hai.”

Mehul ki is baat ko sunkar, richa aunty ne use keerti ki is haalat ke baare me batate huye kaha.

Aunty boli “is ko kuch din pahle piliya ho gaya tha. Jiska ilaj chal raha tha aur doctor ne isko khane peene me parhej karne ko kaha tha. Lekin do din pahle isne apni mummy ki chori se tel masale wala khana kha liya. Uske bad se hi iski aisi haalat huyi hai.”

Richa aunty ki ye baat sunkar, mehul ne unse kaha.

Mehul bola “aap logon ne iska ye kya haal bana kar rakh diya hai. Hum to ise hansta khelta chhod kar gaye the. Lekin is se to ab, thik se khada bhi nahi hua ja raha hai. Iski aisi haalat ho gayi aur kisi ne hume batane tak ki bhi jarurat nahi samjhi.”

Aunty boli “isi ne hume apni kasam dekar, tum logon ko ye baat batane se rok diya tha. Taki tum log iski tabiyat ko lekar pareshan na ho.”

Lekin keerti ki is haalat ko dekh kar, ab mehul ko bhi gussa aa raha tha. Usne richa aunty par apna gussa jahir karte huye kaha.

Mehul bola “isne kaha aur aap logon ne iski ye baat maan bhi li. Aap logon ne ye bhi nahi socha ki, hum jab yaha aakar iski ye haalat dekhege to, hume kitna bada jhatka lagega. Aap logon se ek ladki bhi nahi sambhali gayi.”

Mehul ki ye baat sunkar, richa aunty se koi jabab dete nahi bana. Lekin keerti ne muskurate huye kaha.

Keerti boli “are mujhe kuch nahi hua hai. Bas thodi si kamjori hai. Wo bhi do teen din me door ho jayegi.”

Lekin keerti ki ye baat sunte hi, mehul ne us par bhadakte huye kaha.

Mehul bola “tum to apna muh bilkul hi band rakho. Roj mujhse baat karti thi aur yaha sab thik hone ki baat kahti thi. Lekin ek baar bhi apni aisi haalat ke baare me nahi bataya aur ab mujhe samjhane chali ho.”

Mehul ko bhadakte dekh kar, keerti bhi chup karke rah gayi. Lekin vaani didi ko mehul ka is tarah se gussa karna sahi nahi laga aur un ne mehul par bhadakte huye kaha.

Vaani boli “tum usko samajhdari ki nashihat karne se pahle, khud ke gireban me jhank kar dekh lo ki, tum logon ne kya kiya hai. Yadi tum logon ne apne mumbai jaane ki baat mujhse chhupa kar sahi kiya hai to, usne bhi apni tabiyat ki baat tumse chhupa kar kuch galat nahi kiya hai.”

Vaani didi ki ye baat sunkar, hona to ye chahiye tha ki, mehul ko chup ho jana chahiye tha. Kyoki ye baat sabhi ache se jante the ki, vaani didi kabhi bhi keerti ke khilaf kuch sunna pasand nahi karti hai.

Wo keerti ki badi se badi galti ko bhi andekha kar deti thi. Lekin unke samne yadi koi keerti ko ek shabd bhi kah de to, wo us se ulajh jati thi. Fir wo chahe mausa mausi hi kyo na ho.

Lekin is samay keerti ki haalat dekh kar mehul ka dimag thikane nahi tha aur usne vaani didi se ulajhte huye kaha.

Mehul bola “didi, kya sahi hai aur kya galat hai. Mai ye sab nahi janta aur na hi mai ye sab janna chahta hu. Mai to bas itna janta hu ki, jitni takleef aapko humare mumbai jaane ki baat chhupane se huyi hai. Us se bhi kahi jyada takleef mujhe keerti ki ye haalat dekh kar ho rahi hai.”

Mehul ko laga tha ki, apni galti maan lene se, vaani didi bhi keerti ki is galti ko maan legi. Lekin itni si baton se bahal jaane wali vaani didi nahi ho sakti thi. Un ne fir keerti ki tarafdari karte huye kaha.

Vaani boli “ye to jindagi ka usul hai ki, jindagi me jo bhi tum dusron ke sath karoge, wo tumhe kahi na kahi se, kisi na kisi roop me wapas jarur milega. Jab tumhe apne karni par koi pachhtawa nahi hua to, fir keerti ki karni par dukh kyo ho raha hai. Keerti ne kuch bhi galat nahi kiya hai.”

Vaani didi ki is baat ne mehul ko chup kara kar rakh diya. Lekin wo ek tarah se mere hi dil ki baat kar raha tha. Jo mai keerti ki kasam ki vajah se, nahi kar pa raha tha. Isliye uske chup hote hi, pahli baar maine is baat par apna muh kholte huye kaha.

Mai bola “didi, aap bhale hi mehul ko galat bolo. Lekin mehul jara bhi galat nahi hai. Aap logon ko sochna chahiye tha ki, hum mumbai me itne bade bade doctor ke bich me hai. Yadi hume iski tabiyat ka pata hota to, hum unse iski tabiyat ki salah le sakte the.”

“Fir nisha bhabhi to khud itni badi doctor thi. Wo hume jarur koi na koi sahi salah deti. Unki salah se iski aisi haalat nahi ho pati aur ye jaldi hi thik ho jati. Lekin aap sab ne is baat ko chhupa kar, sirf iski tabiyat hi kharab nahi ki hai, balki ek bahut gair jimmedari wala kaam bhi kiya hai.”

“Mehul thik hi to kah raha hai ki, aap logon se ek ladki bhi nahi sambhali gayi. Khud hi dekh lo, ek hafte me iski aisi haalat karke rakh di hai ki, is se apne bal par khade tak hote nahi ban pa raha hai.”

Meri is baat ne thande se thandi chal rahi baat chit me garmi laane wala kaam kar diya tha. Abhi tak jo vaani didi sirf keerti ka bachav karti najar aa rahi thi. Ab un ne sidhe hum par vaar karte huye kaha.

Vaani boli “tum log mausa ji ka mumbai se ilaj kara kar aaye ho to, khud ko bahut bada tees maar khan mat samjho. Tumhe to hospital me mausa ji ko ek baar dawa tak nahi khilana padi hogi.”

“Waha mausa ji ki dekh bhal ke liye nurse aur doctor the. Tumhara kaam sirf mausa ji ke pas baithe rahne ka tha aur ye karke tumne koi bada bhari teer nahi maar diya. Ye kaam to waha koi bhi kar sakta tha.”

“Ab rahi keerti ki tabiyat ki baat to, ye mat bhoolo ki, jin logon ko tum ye baten suna rahe ho. Unne hi tumhe itna bada kiya aur na jaane kitni baar tumhe bimari se thik karke khada kar diya hai.”

“Isliye inko ye sikhane ki koshish mat karo ki, inhe kya karna chahiye tha aur kya nahi karna chahiye tha. In ne jo thik samjha, wo hi kiya aur iske liye inhe tum logon ko safayi dene ki koi jarurat nahi hai Apni salah apne pas hi rakho.”

“Wo ladki bimar hai aur tum dono yaha uski galti dudne me lage ho. Ab yadi iske bad, kisi ne bhi keerti ko ek shabd kaha to, uska muh tod kar uske hath me rakh dugi. Ye mat bhoolo ki, mujhse bura na koi tha aur na koi hoga.”

Vaani didi ki is baat ne waha ke pure mahaul me hi aag laga di thi. Unki ye baat sunkar, mujhe bhi bahut jyada gussa aa gaya tha. Lekin mai apne gusse ki aag me apne andar hi andar jal kar rah gaya.

Kyoki vaani didi ki baat sunkar, keerti ne mera hath pakad liya tha aur mujhe kuch boolne se rokne ke liye, wo meri kalayi par badi jor se apne nakhun gadaye ja rahi thi. Jis vajah se mujhe apna gussa pi jana pada.

Humari is bahas ko dekh kar, mohini aunty bhi sann rah gayi thi. Wahi chhoti maa aur richa aunty ne is mahaul ko fauran sambhalne ki koshish karte huye hum logon se kaha.

Aunty boli “are tum log kyo bekar ki is bahas me fas rahe ho. Tum log thake huye safar se aaye ho aur aate hi aapsa me ladne lage. Jao aur jakar fresh ho jao. Tab tak mai sabke khane ki taiyari karti hu.”

Wahi dusri taraf chhoti maa ne vaani didi ko samjhate huye kaha.

Chhoti maa boli “vaani beta, tu to samajhdar hai. Tu kyo inke sath bekar ki baton me ulajh rahi hai. Apna dimag kharab mat kar aur jakar muh hath dho le. Tab tak hum log, tum sabke liye khana lagane ki taiyari karte hai.”

Lekin shayad vaani didi ka dimag abhi bhi garam tha. Usne chhoti maa ki is baat ke jabab me un se kaha.

Vaani boli “nahi mausi, mai khana nahi khaugi. Mai mama ke sath ek party me ja rahi hu. Meri taraf se aap in dono ko pet bhar kar khana khilaiye.”

Vaani didi ki is baat se saaf samajh me aa gaya tha ki, unka humare upar gussa abhi khatam nahi hua hai. Unka gussa kam karne ke liye chhoti maa ne un se kaha.

Chhoti maa boli “tu bhi kin ki baton ka bura maan rahi hai. Ye to mere sath bhi aise jhagra karte rahte hai. Tu inki baat ka bura mat maan aur apna gussa khatam kar de. Ye bhi to tere chhote bhai hi hai na.”

Chhoti maa ki is baat ne vaani didi ke dil par thoda bahut asar kiya aur unne kuch naram padte huye kaha.

Vaani boli “chhote bhai hai, isliye chhod deti hu. Warna inki kya majal hai ki, bitte bhar ke chhokre aur mujhse juban lada sake. Ek kaan ke niche jamati to, sitiyan bajne lagti.”

Vaani didi ki baat ko sunkar, mai ek baar fir tilmila kar raha gaya. Lekin keerti abhi bhi mere hath ko pakde, mujhe apne nakhun gadaye ja rahi thi. Wo bechari bhi ajib pareshani me fasi huyi thi.

Jin do logon ko wo sabse jyada pyar karti thi. Wo dono hi aaj aapas me ek dusre se, uske liye hi lade ja rahe the aur wo chah kar bhi dono me se kisi ka bhi sath nahi de sakti thi.

Ye uska hum dono ke liye pyar hi tha ki, wo mujhe vaani didi se, kuch bhi bolne se rok rahi thi. Uski ye koshish bahut had tak kamyab bhi ho rahi thi aur mai apne aapko shant rakhe huye tha.

Lekin tabhi itni der se shanti se sab kuch dekh rahi nitika ne, vaani didi ki baat sunkar, ek aisa bomb fod diya. Jiski goonj se mera aur mehul ka chehra bhi keerti ki tarah peela pad gaya.

______________________________
 

Pritam.bs

!..Kar Vida.......Alvida..!
Supreme
3,003
15,224
159
Ko To Rok Lo {Update - 188}
____________________________

Chhoti maa ki is baat ne vaani didi ke dil par thoda bahut asar kiya aur unne kuch naram padte huye kaha.

Vaani boli “chhote bhai hai, isliye chhod deti hu. Warna inki kya majal hai ki, bitte bhar ke chhokre aur mujhse juban lada sake. Ek kaan ke niche jamati to, sitiyan bajne lagti.”

Vaani didi ki baat ko sunkar, mai ek baar fir tilmila kar raha gaya. Lekin keerti abhi bhi mere hath ko pakde, mujhe apne nakhun gadaye ja rahi thi. Wo bechari bhi ajib pareshani me fasi huyi thi.

Jin do logon ko wo sabse jyada pyar karti thi. Wo dono hi aaj aapas me ek dusre se, uske liye hi lade ja rahe the aur wo chah kar bhi dono me se kisi ka bhi sath nahi de sakti thi.

Ye uska hum dono ke liye pyar hi tha ki, wo mujhe vaani didi se, kuch bhi bolne se rok rahi thi. Uski ye koshish bahut had tak kamyab bhi ho rahi thi aur mai apne aapko shant rakhe huye tha.

Lekin tabhi itni der se shanti se sab kuch dekh rahi nitika ne, vaani didi ki baat sunkar, ek aisa bomb fod diya. Jiski goonj se mera aur mehul ka chehra bhi keerti ki tarah peela pad gaya.

Vaani didi ke humare kaan ke niche jama dene ki baat sunkar, pata nahi nitika ko kya hua tha ki, wo apne aapko rok nahi payi aur usne josh me aate huye vaani didi se kaha.

Nitika boli “didi, aap jinhe bitte bhar ke chhokre kah rahi hai. Un dono ne mumbai ke don khalid ke bhai ko maara hai aur khalid se bhi ladne se pichhe nahi hate the.”

Nitika ki is baat ne jaha mere aur mehul ke hosh uda diye the. Wahi vaani didi ke sath sath baki sab bhi hairani se humari taraf dekhne lage the. Is baat se sabse jyada ghabrahat chhoti maa ke chehre par najar aa rahi thi.

Lekin is se pahle ki wo apni is ghabrahat ko jahir kar pati, vaani didi ne nitika ki is baat ko sunkar, uska majak banate huye kaha.

Vaani boli “tu janti bhi hai ki, tu kya kah rahi hai. Khalid ka samna karna to door ki baat hai. Khalid ka naam sunkar hi, in ke jaise ladko ki pant geeli ho jati hai.”

Vaani didi ki is baat se nitika ko aisa laga ki, vaani didi ko uski baat par yakin nahi ho raha hai. Isliye wo vaani didi ko yakin dilane ke liye unhe waha ki saari baten batane lagi. Vaani didi ke sath sath baki sab bhi uski baten sunne lage.

Lekin nitika ki is harkat ne meri pareshani bada kar rakh di. Mujhe samajh me nahi aa raha tha ki, ab mai chhoti maa ko kaise samjha pauga. Maine isi gusse me apne pas baithi keerti se kaha.

Mai bola “tumhari ye nitika to mehul se bhi jyada gayi gujri nikli.”

Meri ye baat sunte hi, mere pas khade mehul ne bhanakte huye kaha.

Mehul bola “abe mera naam kyo le raha hai. Maine to dhokhe se mumbai ka naam le diya tha. Lekin ye to kaise hanste hanste saari pol khole ja rahi hai. Uske to ye tak samajh me nahi aa raha hai ki, vaani didi ne uski baat par yakin na aane ka natak, sirf us se ye saari baat ugalwane ke liye kiya tha.”

Mehul ki is baat ke jabab me maine us par chidchidate huye kaha.

Mai bola “is baat ke pata chal jaane se tera to kuch nahi bigdega. Lekin ab mujhe chhoti maa ke gusse se koi nahi bacha payega. Un ne mumbai se wapas aate samay, mujhe baar baar samjhaya tha ki, mai kisi se ladai jhagda na karu. Magar ab ye sab sunne ke bad, pata nahi, wo mera kya haal karegi.”

Meri is baat ko sunkar, keerti ne apni khamoshi todte huye kaha.

Keerti boli “wo to kuch bad me karegi. Lekin mujhe lagta hai ki, vaani didi jarur kuch karne wali hai. Wo dekho, tum dono ko kaise ghoor kar dekh rahi hai.”

Keerti ki baat sunte hi, meri najar vaani didi ki taraf chali gayi. Wo nitika se baat karte karte humari taraf hi dekh rahi thi. Nitika ki baat khatam hote hi, vaani didi ne chhoti maa se kaha.

Vaani boli “aapne sun liya na mausi, ye log mumbai me kya gul khila kar aaye hai. Jis khalid ki baat abhi nitika bata rahi thi, wo sirf mumbai ka don nahi hai. Balki uske naam ka sikka to, humare poona (pune) tak me chalta hai.”

“Aap nahi janti ki, ye log kitni badi musibat se bach kar aaye hai. Ye to in logon ki kismat achi thi ki, ye sahi salamat humare samne baithe hai. Warna inki is harkat se, koi bahut badi anhoni bhi ho sakti thi.”

Vaani didi ki is baat ne, nitika ki lagayi aag me ghee ka kaam kar diya tha aur chhoti maa ka chehra gusse se laal ho gaya tha. Wo mujhe gusse me dekhne lagi to, mera sar khud hi sharmindgi se jhuk gaya.

Kahan to meri ghar wapsi par ghar me khushiyon ka mahaul hona tha aur ab kahan mai apni ghar wapsi par dar se sahma hua baitha tha. Ye sab sirf vaani didi ki vajah se ho raha tha.

Yadi wo yaha par na hoti to, shayad yaha itna dhamal bhi nahi hua hota. Lekin ab sawal yaha par vaani didi ke dhamal ka nahi tha. Balki sawal ab chhoti maa ke gusse ka ho gaya tha.

Chhoti maa mujhse kabhi bhi kisi baat par jaldi naraj nahi hoti thi. Lekin yadi wo naraj ho jaye to, fir unko manana bahut mushkil ho jata tha. Wo kisi se bhi gussa hoti thi to, use itna bolti bakti thi ki, uske liye unka samna karna bhi mushkil ho jata tha. Isliye chhoti maa ke gusse se sabhi darte the.

Lekin mere mamle me unka gussa dusri tarah ka hi hota tha. Wo jab kabhi kisi baat par mujhse naraj hoti thi to, mujhe kuch bolti, bakti nahi thi. Balki bilkul shant ho jati thi aur kisi se bhi jyada baat nahi karti thi.

Aisa hi kuch mujhe abhi bhi hote najar aa raha tha. Nitika aur vaani didi ki baat ko sunkar, chhoti maa ka chehra gusse se laal ho gaya tha aur wo mujhe ghoor kar dekh rahi thi.

Lekin iske bad bhi un ne, kisi se ek shabd nahi kaha tha aur gusse me bas mujhe dekhe ja rahi thi. Unke is tarah dekhne se, mujhe samajh me aa gaya tha ki, wo mujhse bahut jyada naraj hai.

Jis vajah se mai un se jyada der tak najar nahi mila paya tha aur mera sar sharmindgi se jhuk gaya tha. Lekin vaani didi ko ye baat samajh me nahi aayi thi ki, mere baare me itna sab sun lene ke bad bhi, chhoti maa ne mujhe kuch kaha kyo nahi. Isliye usne chhoti maa se kaha.

Vaani boli “ye kya baat huyi mausi, inki saari harkat sun lene ke bad bhi, aapne in logon ko kuch nahi kaha. Aapki isi baat ne in logon ko sar par chada rakha hai.”

Vaani didi ki ye baat sunkar, mujhe thodi tasalli huyi ki, ab shayad vaani didi ki baat ko sunkar, chhoti maa mujhe thoda bahut bol bak legi aur unka gussa yahi par khatam ho jayega.

Lekin aisa kuch bhi nahi hua. Hua wahi, jiska mujhe dar tha. Vaani didi ki baat sunne ke bad, chhoti maa ne apni khamoshi todte huye sab se kaha.

Chhoti maa boli “dinner ka time ho raha hai. Mai dinner ki taiyari karti hu. Tab tak baki sab bhi dinner karne ke liye taiyar ho jaye.”

Itna kah kar chhoti maa, kisi ki baat sune bina hi kitchen ki taraf chali gayi. Unke is tarah hum logon ko bina kuch kahe chale jaane se, vaani didi hairan hokar rah gayi.

Unne chhoti maa ke gusse ka bhayanak roop dekha tha. Lekin wo ye nahi janti thi ki, chhoti maa ka mujh par gussa karne ka, ye sabse khatarnak tarika tha. Jisme wo mujhe bina kuch bole bake hi, mera jeena haram kar deti thi.

Udhar vaani didi chhoti maa ke mujh par gussa na karne se hairan thi to, idhar mujhe chhoti maa ke gussa na karne ne pareshan kar diya tha. Kuch der ke liye bilkul sannata sa chha gaya tha.

Is sannate ko dekh kar, mohini aunty apne ghar jaane ki ijajat mangne lagi. Lekin richa aunty unse yahi khana khane ke liye kahne lagi. Magar mohini aunty ne iske liye mana kar diya aur fir nitika ke sath apne ghar chali gayi.

Unke jaane ke bad, mausa ji, anu mausi, kamal, vaani didi aur vaani didi ki mom bhi richa aunty se jaane ki ijajat mangne lage. Richa aunty ne un logon ke samne bhi khana kha kar, jaane ki baat rakh di.

Lekin mausa ji ne bataya ki, aaj unke ek dost ke yaha party hai. Wo sab wahi ja rahe hai. Is baat ko sunne ke bad, richa aunty ne bhi unko rokna thik nahi samjha aur unko jaane ki ijajat de di.

Lekin sabke sath, vaani didi ke bhi jaane ki baat sunkar, mujhe acha nahi laga. Vaani didi chahe kitni bhi badmijaj kyo na ho. Lekin unka ek sach ye bhi tha ki, yadi keerti ke bad wo kisi ko sabse jyada pyar karti thi to, wo mai tha.

Mai aur keerti unke pyar ke do pahlu the. Ek par wo jarurat se jyada pyar lutati thi to, dusre par jarurat se jyada gussa karti thi. Lekin iske bad bhi is sachchai ko jhuthlaya nahi ja sakta tha ki, wo mujhe bahut pyar karti thi.

Yahi vajah thi ki, wo mujhse naraj hone ke bad bhi, khud mujhe lene airport aayi thi. Ye hi nahi, unki yaha aane par aadat thi ki, wo kabhi bhi mere ya keerti bina kahi nahi jati thi.

Ab keerti ki to tabiyat kharab thi. Aise me vaani didi ka use apne sath le jane ka koi sawal hi paida nahi hota tha. Lekin unke mausa ji logon ke sath jati samay, mujhse ek baar bhi chalne ke liye na bolna yahi bata raha tha ki, wo mujhse sach me bahut naraj hai.

Aise me chhoti maa ke sath sath, vaani didi ki narajgi ne bhi mujhe pareshan karke rakh diya tha. Ab chhoti maa ko to abhi manaya nahi ja sakta tha. Lekin vaani didi ko manane ki koshish jarur ki ja sakti thi. Yahi soch kar, maine vaani didi ko jaane se rokte huye kaha.

Mai bola “didi, party to mausa ji ke dost ki hai. Aise me aap waha jakar kya karegi. Aap yaha hum logon ke sath hi khana kha lijiye na.”

Meri baat sunkar, vaani didi ne gaur se meri taraf dekhte huye kaha.

Vaani boli “mujhe jyada maska lagane ki koshish mat karo. Ye mat socho ki, ye meethi meethi baat karke, tum mera gussa khatam kar sakte ho.”

Vaani didi ki is baat ke jabab me maine bade hi thande dimag se kaha.

Mai bola “didi, mujhe aapko maska lagane ki koi jarurat nahi hai. Maine galti ki hai aur iske liye aap mujhe jo saza dena chaho, de sakti ho. Mai khushi khushi aapki di huyi, har saza ke liye taiyar hu.”

“Lekin sirf saza ke dar se, mai aapke sath rahne ka mauka chhodne ko taiyar nahi hu. Yadi aap yaha rukna nahi chahti hai to, koi baat nahi hai. Aap mujhe apne sath lekar chaliye.”

Meri baat sunkar, vaani didi kuch sochne lagi. Fir unne mausa ji ke sath jaane se mana kar diya aur mausa ji log vaani didi ke bina hi party me chale gaye. Unke jaane ke bad vaani didi ne mujhse kaha.

Vaani boli “mere rukne ka ye matlab nahi hai ki, maine tumko maaf kar diya hai. Tumko tumhari galti ki saza jarur milegi.”

Vaani didi ki baat ke jabab me maine un se kaha.

Mai bola “didi, maine kaha na ki, aap mujhe jo saza dena chahe, de sakti hai. Mai aapki har saza ke liye taiyar hu.”

Vaani boli “thik hai, tumhari saza ka faisla kal karugi. Abhi to tum jao aur dinner ke liye fresh hokar aao.”

Vaani didi ki baat sunkar, mere aur keerti ke chehre par muskurahat aa gayi. Lekin mehul ke chehre ki muskurahat gayab ho gayi aur wo mujhe gusse me ghoor kar dekhne laga.

Lekin maine uske is tarah se ghoorne ki parwah nahi ki aur mai wapas keerti ke pas jaane ke liye palat gaya. Lekin tab tak keerti ke pas, meri jagah par shilpa aakar baith chuki thi.

Shilpa ko keerti ke pas baitha dekh kar, mai keerti ke pas na jakar sidhe mehul ke kamre me chala gaya. Mere kamre me pahuchte hi, mehul bhi mere pichhe pichhe bhannata hua waha aa gaya aur mujhe gusse me ghoor kar dekhne laga.

Wo mujhe isliye ghoor kar dekh raha tha. Taki mai us se uske is tarah se ghoorne ka matlab puchhu. Lekin mai uske is tarah se ghurne ka matalab achi tarah se janta tha. Isliye mai us se kuch puchh nahi raha tha.

Uske is tarah se ghoorne ki vajah ye thi ki, aaj use itne dino bad shilpa se milne ka mauka mila tha aur shilpa abhi uske samne hi thi. Lekin maine vaani didi ko rok kar uski saari ummidon par paani fer diya tha.

Ab vaani didi ke yaha hone ki vajah se wo shilpa ke uske samne hote huye bhi, us se nahi mil sakta tha. Mujhe mehul ki is haalat par hansi aa rahi thi aur apni is hansi ko chhupane ke liye mai bed par, uski taraf peeth karke let gaya.

Is se pahle ki mehul mujhe kuch bol bak pata, humare kamre me keerti aur shilpa aa gayi. Keerti ko aate dekh kar, mai usko baithne ki jagah dene ke liye uth kar baith gaya. Keerti ne mere pas aakar baithte huye kaha.

Keerti boli “nitika ka call aaya tha. Waha se shikha didi tum logon ko call laga rahi hai. Magar tum dono ke hi mobile band aa rahe hai. Isliye un ne nitika ko call lagaya tha.”

Keerti ki baat sunte hi, maine apne mobile nikal liye. Maine plane me apne mobile band kar diye the. Lekin plane se utarne ke bad mai apne mobile chalu karna bhool gaya tha.

Maine apne mobile chalu kiye aur samay dekha to, ab 9 baj gaye the. Mehul abhi bhi humare pas hi khada hua tha. Use is tarah se khada dekh kar, maine gusse me us se kaha.

Mai bola “abe yaha khade khade mera muh kyo dekh raha hai. Kya mujhe bhi apne sath fresh hone lekar jaane ki soch raha hai.”

Meri baat sunkar, keerti aur shilpa hasne lagi aur mehul mujhe aankh nikal kar dekhne laga. Lekin fir keerti aur shilpa ko dekh kar, pair patakta hua, fresh hone bathroom me chala gaya.

Uske jate hi, maine muskurate huye, shikha didi ko call laga diya. Mera call jate hi, shikha didi ne fauran hi mera call utha liya aur mujhse shikayat karte huye kaha.

Shikha didi boli “bhaiya ye kya hai. Mai jab bhi aapko call karti hu, aapka call hi nahi lagta.”

Shikha didi ki is baat par maine un se maafi mangte huye kaha.

Mai bola “sorry didi, wo kya hai ki, plane se utarne ke bad, mai mobile chalu karna hi bhool gaya tha. Abhi pata chala ki, aap mujhe call laga rahi hai to, maine fauran mobile chalu karke, aapko call laga diya.”

Shikha didi boli “chalo koi baat nahi, ghar me sab ache to hai na.”

Mai bola “didi, ghar me sab ache hai. Lekin abhi tak mai apne ghar nahi pahucha hu. Abhi to mai mehul ke ghar par hi hu.”

Shikha didi boli “lekin ye to galat baat hai na. Ghar me sab aapka rasta dekh rahe hoge.”

Shikha didi ki is baat par maine hanste huye kaha.

Mai bola “didi, mera saara ghar uth kar to yahi aa gaya hai. Chhoti maa, ami, nimi sab yahi par hai. Ab yaha se khana khane ke bad hi, hum ghar jayege.”

Shikha didi boli “chalo, ye to aur bhi acha hai. Itne din bad, sab log ek sath mil kar khana khayege. Aunty to aaj aapko apne hath se hi khana khilayegi.”

Shikha didi ki ye baat sunte hi, maine thoda udas hote huye kaha.

Mai bola “kaha didi, khana khilana to door ki baat hai. Ab to wo mujhse ache se baat hi kar le. Mere liye ye hi badi baat hai.”

Meri baat sunkar, shikha didi ne thoda pareshan hote huye kaha.

Shikha didi boli “kyo, kya hua. Kya aunty kisi baat se aapse naraj ho gayi hai.”

Mai bola “haan didi, wo niti ne yaha aate hi, unko khalid wali baat bata di. Jise sunkar, wo mujhse bahut jyada naraj hai.”

Ye kahte huye maine shikha didi ko yaha huyi saari baat bata di. Jise sunne ke bad, un ne bhi nitika par gussa nikalte huye kaha.

Shikha didi boli “ye niti pagal hai kya. Ise aunty ko ye sab batane ki kya jarurat thi. Ab aap aunty ko sorry bol kar, unko jaldi se mana lo.”

Mai bola “didi, yadi unko manana itna hi aasan hota to, ab tak mai unko mana chuka hota. Lekin ab to wo mujhe apni safayi dene ka bhi koi mauka nahi degi. Pata nahi ab unka ye gussa kab aur kaise khatam hoga.”

Meri ye baat sunkar, shikha didi bhi pareshan ho gayi. Abhi meri un se isi baare me baat chal hi rahi thi ki, tabhi unke pas koi aa gaya aur un ne mujhse kaha.

Shikha didi boli “bhaiya, hum sab dinner kar rahe hai. Seeru bhi yahi hai aur wo aapse baat karna chahti hai. Ye lijiye, aap unse baat kar lijiye.”

Ye kahte huye shikha didi ne seeru didi ko mobile pakda diya. Seeru didi shayad meri aur shikha didi ki baten sun chuki thi. Isliye un ne phone lete hi mujhse kaha.

Seerat boli “ye mai kya sun rahi hu. Tumne waha pahuchte hi aisa kaun sa bomb fod diya, jo aunty tumse naraj ho gayi.”

Mai bola “didi, maine yaha koi bomb nahi foda. Ye to us bomb ki goonj hai, jo maine mumbai me foda tha.”

Ye kahte huye maine seeru didi ko bhi nitika wali baat bata di. Jise sunne ke bad, un ne hanste huye kaha.

Seerat boli “are to isme itni pareshani wali kya baat hai. Tum khana peena chhod do. Unka gussa khud khatam ho jayega aur wo ulta tumko manane lagegi.”

Seeru didi ki ye baat sunkar, maine unki baat ka majak udate huye kaha.

Mai bola “aap se mujhe aisi bachkani baat ki ummid nahi thi. Meri mom meri achi buri har aadat ko janti hai. Yadi maine aisa kuch kiya to, wo mujhe to kuch nahi kahegi. Lekin meri jo do chhoti bahne hai na, unse kahegi ki, tumhara bhai khana nahi kha raha aur tum dono besharmo ki tarah khana kha rahi ho.”

“Itna kah kar, wo to shant ho jayegi. Magar meri dono bahne khana khana chhod degi aur fir mai das sar ka bhi ho jau to, wo mere khana khaye bina, ek nibala bhi apne muh me dalne wali nahi hai. Aapki ye salah meri pareshani ko kam karne wali nahi, balki meri pareshani ko bada dene wali salah hai.”

Meri is baat ko sunkar, seeru didi ne hanste huye kaha.

Seerat boli “lagta hai ki, tum is tarike ko pahle hi aajma kar dekh chuke ho.”

Mai bola “haan, aajma kar dekha tha. Tabhi to bataya ki, mere aisa karne se kya hoga.”

Seerat boli “fikar mat karo. Tum nisha bhabhi se baat karo, tab tak mai tumhara ye mamla rafa dafa kar deti hu.”

Ye kahte huye seeru didi ne phone nisha bhabhi ko de diya. Nisha bhabhi ne phone lete hi kaha.

Nisha bhabhi boli “kya hero, yaha se jate hi, yaha sab soona soona kar diya. Sab tumko yaha bahut yaad kar rahe hai.”

Mai bola “bhabhi, yaad to mujhe bhi aap logon ki bahut aa rahi hai. Aap sabke bina mujhe bhi yaha bahut soona soona lag raha hai.”

Nisha bhabhi boli “koi baat nahi. Do char din me sab sahi ho jayega. Lekin tumne jate hi, barkha ke sath bahut bura kiya.”

Nisha bhabhi ki baat sunkar, maine thoda pareshan hote huye kaha.

Mai bola “kyo bhabhi, maine barkha didi ke sath aisa kya kar diya.”

Mujhe is tarah pareshan hote dekh kar, nisha bhabhi ne hanste huye kaha.

Nisha bhabhi boli “are wo bechari kitna tumko call lagati rahi. Lekin tum ho ki, apna mobile chalu karne ko hi taiyar nahi the. Wo abhi kuch der pahle hi, tumko yaad karte karte ghar gayi hai.”

Mai bola “sorry bhabhi, mai abhi thodi der bad barkha didi se bhi baat kar luga.”

Iske bad, nisha bhabhi ne aman ko phone de diya. Aman se baat karne ke bad, maine ajay aur baki sab se bhi thodi bahut baat ki aur fir wapas phone seeru didi ke hath me aa gaya. Seeru didi ne phone par aate hi kaha.

Seerat boli “ye lo, maine aunty se baat karke tumhara saara mamla rafa dafa kar diya.”

Seeru didi ki ye baat sunkar, maine hairan hote huye kaha.

Mai bola “kya aap sach kah rahi ho didi. Lekin aapne chhoti maa ko itni jaldi kaise mana liya.”

Seerat boli “tum aam khao, ped mat gino aur dobara fir kabhi aisi musibat aaye to, sirf seeru devi ke naam ki maala japna. Wo tumhare saare kasht door karegi bachcha.”

Ye bol kar seeru didi hasne lagi aur unke sath sath meri bhi hansi chhut gayi. Ghar wapas aane ke bad, ye pahla mauka tha, jab mai khul kar hansa tha. Mujhe hanste dekh kar, keerti ke chehre par bhi muskurahat aa gayi.

Usne dhire se shilpa ke kaan me kuch kaha, jise sun ne ke bad, shilpa kamre se bahar chali gayi. Seeru didi se thodi bahut baat aur karne ke bad, maine call rakh diya. Mere call rakhte hi, keerti ne muskurate huye kaha.

Keerti boli “ye seeru didi bhi kamal hai. Waha baithe baithe hi, tumhari itni badi pareshani ko, chutki bajate hi hal kar diya aur tumhare chehre ki hansi bhi wapas le aayi.”

Mai bola “unko shaitano ki nani aise hi nahi kaha jata. Har koi unke shaitani dimag se darta hai.”

Meri baat sunkar, keerti ne sawaliya najron se meri taraf dekhte huye kaha.

Keerti boli “kyo, kya humari vaani didi kisi se kam hai. Unse bhi to har koi darta hai.”

Keerti ki is baat par maine muskurate huye kaha.

Mai bola “humari vaani didi kisi se kam nahi, balki bahut jyada hai. Unke pas seeru didi se jyada tej dimag aur barkha didi se jyada takat hai. Sundarta me to, tu bhi unke samne feeki pad jati hai.”

“Lekin unki sabse buri baat ye hai ki, unka naam bhale hi vaani ho, magar kaam bilkul sunami wala hai. Wo kharab juban ke mamle me to mohini aunty ko bhi bahut pichhe chhod deti hai.”

“Yadi unke pas mohini aunty ki jagah shikha didi wali juban hoti to, wo duniya ki sabse achi didi kahlati. Magar wo hai ki, un ne tere siwa kisi par pyar lutana seekha hi nahi hai.”

“Mujhe to aaj tak ye baat hajam nahi huyi ki, humari didi kisi ko love karti hai aur us se love marriage karne ja rahi hai. Mujhe to lagta hai ki, humare hone wale jiju ko humari didi ne hi “I love u” bola hoga aur humare jiju bechare ki unko na bolne ki himmat hi na huyi hogi.”

“Tu dekhna ki didi ki shadi ke bad, USA india me hi aa jayega aur humare jiju NRI se indian ban kar rah jayege. Humhare jiju ki kismat………”

Abhi mai apni baat puri bhi nahi kar paya tha ki, dhadam ki aawaj sunkar, meri baat adhuri chhut gayi. Maine aur keerti ne palat kar dekha to, mehul charon khane chit jamin par pada tha.

Lekin us se bhi jyada darane wali baat ye thi ki, mehul ke pas vaani didi khadi thi aur gusse me meri taraf hi dekh rahi thi. Vaani didi ko is tarah se apne samne pakar, mere to tote hi udh gaye.

Mehul ko kya hua, kaise hua, ye sab sochne, samajhne ya kisi se puchhne ki, ab mere andar takat hi nahi bachi thi. Vaani didi ke dar se meri juban ko lakwa maar gaya tha aur mera kaleja muh ko aane laga tha.

______________________________
 

Pritam.bs

!..Kar Vida.......Alvida..!
Supreme
3,003
15,224
159
Doston 9 update de diye hai. In update me punnu ka mumbai ke don khalid se samna aur fir uski mumbai se wapsi dikhayi gayi hai. Uski wapsi ke samay aapko mumbai ke sabhi logon ke vaktitv ke baare me janne ko milega. Sath hi ek baar fir se story me "Koi To Rok Lo" sunne ko milega. Isi ke sath story ka 4th part samapt aur 5th part suru ho gaya. Isme aapki punnu ki hitler didi vaani se mulakat hogi. Ummid hai ki ye update aapko pasand aayege. Story se jude rahne aur apna sath banaye rakhne ke liye aap sabka bahut bahut dhanyawad. :blush1:
 
Last edited:

Akki ❸❸❸

ᴾʀᴏᴜᴅ ᵀᴏ ᴮᴇ ᴴᴀʀʏᴀɴᴠɪ
26,801
31,019
304
waise dada adat bigad rahe ho hum readers ki... abhi 9, 10 hisaab se updates aa rahen hain...... par jab new update aayenge toh aap usi time table par update denge.. jaise xp mein dete the.... woh bhi ek din me ek update .. :(
Ek din me agar ek update bi. Mil jaye to wo bi gaate ka soda ni h naina ji
 
Last edited:

Rahul

Kingkong
60,514
70,676
354
wonderfull update bhaiya ji imosnol update the sare rula rula kar maar dala aapne:bawl:
 
Top