Fantastic updateKo To Rok Lo {Update - 234}
____________________________
Nikki ki tarah riya bhi kal us se baat na karne ki baat ko lekar mujhse jhagda karne lagi. Mai use bhi wahi safayi dene laga. Jo maine nikki ko di thi. Kuch der baat karne ke bad riya ne wapas nikki ko phone de diya.
Mai nikki se baat karne laga. Kuch der bad raj ne aakar bataya ki, usne car ka black color final kar diya hai. Iske bad meri nikki se baat chalti rahi. Kuch der bad nikki ne ghar pahuchne ke bad baat karne ki baat kah kar call rakh diya.
Nikki ke call rakhne ke bad, mai chhoti maa logon ko uncle ki priya ke liye car lene wali baat batane laga. Abhi mai chhoti maa ko ye baat bata hi raha tha ki, tabhi vaani didi ka mobile bajne laga.
Vaani didi ne mujhe chup rahne ka ishara karte huye kaha ki, priya ka call aa raha hai. Vaani didi ki ye baat sunkar, mere sath sath baki sab bhi chauke bina na rah sake.
Mujhe samajh me nahi aa raha tha ki, priya ne vaani didi ko call kyo lagaya hai. Usne abhi tak chhoti maa ya keerti ko koi call nahi kiya tha. Aise me uske sidhe vaani didi ko call karne wali baat mujhe kuch hajam nahi ho rahi thi.
Waise bhi humare yaha ke logon me priya ki sabse jyada chhoti maa se patti thi. Yadi usne chhoti maa ko call lagaya hota to, mujhe kuch bhi ajib nahi lagta. Lekin uska vaani didi ko call lagana mujhe bahut ajib lag raha tha.
Mai abhi priya ki isi harkat me uljha hua tha ki, vaani didi ne priya ka call uthate huye kaha.
Vaani didi boli “haan priya bolo, tumhe aaj achanak meri yaad kaise aa gayi.”
Priya boli “……………” (didi, wo nikki ne shikha didi ko call lagaya tha. Unhi se pata chala ki, aap …………………..)
Vaani didi boli “haan priya, tumne bahut sahi suna hai. Lekin maine unhe ye baat kisi ko bhi batane se mana kiya tha.”
Priya boli “…………..” (didi, unne hume ye baat nahi batayi hai. Wo to humne nashte ke samay shikha didi ko call kiya tha. Isliye jab aman bhaiya nisha bhabhi ko ye baat bata rahe the to, humne bhi unki baat sun li thi.)
Vaani didi boli “chalo koi baat nahi hai. Lekin abhi tum ye baat kisi ko mat batana.”
Priya boli “……………” (didi, mai ye baat kisi ko nahi bataugi. Maine to aapko sirf isliye call lagaya hai. Kyoki humare …………………….…………………)
Vaani didi boli “ye to bahut achi baat hai. Lekin abhi baat karne ki jarurat nahi hai. Mai aaj raat ko Mumbai aa rahi hu. Mai kal kisi samay tumse mil kar is baare me baat karti hu.”
Priya boli “……………” (didi, ye to bahut achi baat hai. Mai raj bhaiya ko bol dugi. Wo aapko airport lene aa jayege.)
Vaani didi boli “nahi priya, iski jarurat nahi hai. Mai raat ko do baje waha pahuchugi. Isliye kisi ko pareshan hone ki jarurat nahi hai.”
Priya boli “……………” (didi, isme parehshani wali kya baat hai. Yadi aap mere shahar me aa rahi hai to, aapko humare ghar hi rukna padega.)
Vaani didi boli “priya samjha karo, mai apne kaam ke silsile me waha aa rahi hu aur mere aane jaane ka bhi koi samay nahi hai. Isliye is baar mujhe is baat ke liye maaf karo. Lekin agli baar jarur mai tumhare ghar me rukugi.”
Priya boli “…………….” (thik hai didi, mai kal aapke aane ka intejar karugi.)
Vaani didi boli “ok priya, mai kal waha pahuch kar tumse milti hu. Ab mai rakhti hu.”
Priya se itni baat karne ke bad, vaani didi ne call rakh diya. Hume priya ki baat sunayi nahi de rahi thi. Isliye hume samajh me nahi aaya ki usne vaani didi se kya baat ki hai.
Lekin vaani didi ki baton se itna jarur samajh me aa gaya tha ki, wo aaj raat ko Mumbai jaane wali hai. Unke achanak Mumbai jaane wali baat ne mere sath sath baki sabko bhi hairani me daal diya tha.
Wahi vaani didi ko priya se baat karte dekh kar ami pure samay unhe ghoor kar dekh rahi thi. Vaani didi ne bhi ami ki is harkat par gaur kar liya tha. Isliye un ne priya ka call rakhte hi, ami ko aankh dikhate huye kaha.
Vaani didi boli “tu mujhe is tarah se ghoor kar kyo dekh rahi hai. Kya mujhe kha jayegi.”
Vaani didi ki is baat ko sunkar, ami se unki baat ka koi bhi jabab dete nahi bana aur wo yaha waha dekhne lagi. Lekin nimi ko ami aur vaani didi ki chal rahi is baat chit ka matlab jara bhi samajh me nahi aaya.
Usne vaani didi ke sawal se ami ko pareshan hote dekha to, apni hi dhun me ami ki taraf se vaani didi ki baat ka jabab dete huye kaha.
Nimi boli “didi, aap ho hi itni jyada sundar ki humara dil karta hai, aapko dekhte hi rahe.”
Nimi ki baat sunkar, mere sath sath baki sabke chehre par muskurahat aa gayi. Lekin vaani didi ke Mumbai jaane wali baat ne chhoti maa ko chinta me daal diya tha. Un ne nimi ko daant lagayi aur fir vaani didi se kaha.
Chhoti maa boli “vaani, aaj jo kuch hua hai, uski vajah se mujhe kuch dar sa lag raha hai. Kya aisi halat me tera Mumbai jana jaruri hai.”
Vaani didi boli “mausi, mai aapke is dar ko samajh sakti hu. Lekin itni si baat ko lekar aapko itna darne ki jarurat nahi hai. Aap fikar mat kijiye. Mere yaha na rahne par bhi kahi kuch galat nahi hoga.”
“Mujhe apne parivar ki kab, kis se, kaise suraksha karna hai. Ye mujhe bahut achi tarah se aata hai. Isliye aap apne man ke har dar ko nikal dijiye aur befikar rahiye. Mere rahte kuch bhi bura nahi hoga.”
Vaani didi ki ye baat sunne ke bad, chhoti maa ne kuch nahi kaha. Lekin wo kuch soch me pad gayi thi. Unhe kisi soch me gum dekh kar, vaani didi ne unka dhyan is baat se hatane ke liye unse kaha.
Vaani didi boli “mausi, aapne punnu ke birthday ke liye jo gift mangaya tha. Wo ise de kyo nahi deti hai. Kya use agle saal ke liye bacha kar rakhi hai.”
Vaani didi ki ye baat sunkar, chhoti maa apni soch se bahar nikal aayi. Un ne muskurate huye meri taraf dekha aur fir apne kamre me chali gayi. Thodi der bad wo apne kamre se ek bag lekar wapas aayi.
Un ne muskurate huye wo bag mere hath me thama diya. Mai fauran hi wo bag khol kar dekhne laga. Bag kholte hi, mujhe usme ek laptop najar aaya. Laptop dekhte hi, maine khush hote huye chhoti maa se kaha.
Mai bola “thanks chhoti maa, lekin aap janamdin ke itne din bad mujhe gift kyo de rahi hai.”
Chhoti maa boli “maine tere janamdin me dene ke liye ek computer liya tha. Lekin tab tu Mumbai me tha. Isliye maine wo tere kamre me hi rakhwa diya tha. Magar tere wapas aane ke ek din pahle hi wo computer keerti se toot gaya tha.”
“Isliye tab mai tujhe kuch bhi nahi de payi thi. Mai tujhe dusra computer dene ke baare me soch hi rahi thi ki, tabhi vaani ne computer ki jagah tujhe ek laptop dene ki baat kah di.”
“Mujhe bhi vaani ki ye baat sahi lagi aur maine tere liye ye laptop manga liya. Lekin tujhe ye laptop dene ke pahle hi tere sath wo hadsa ho gaya aur mujhe tujhe ye laptop dene ka samay hi nahi mil paya.”
Chhoti maa ki ye baat sunkar, mai hairani se keerti ki taraf dekhne laga. Itne din me usne ek baar bhi mujhe is baare me kuch nahi bataya tha. Mujhe uski is baat par bahut gussa aa raha tha.
Mujhe apni taraf dekhte pakar keerti sar jhuka kar khadi ho gayi. Chhoti maa ne mujhe keerti ko gusse me ghurte dekha to, un ne mujhe samjhate huye kaha.
Chhoti maa boli “jaane de na, us computer ko tutna tha to, wo toot gaya. Itni si baat ke liye gussa hone ki jarurat nahi hai. Galti to sabse hoti rahti hai.”
Mai bola “chhoti maa, mujhe computer ke tutne ka is par jara bhi gussa nahi hai. Mujhe to is baat par gussa aa raha hai ki, ye itne din se mere sath hai aur isne ek baar bhi mujhse ye baat nahi batayi hai.”
Chhoti maa boli “beta, isme keerti ki koi galti nahi hai. Maine hi keerti aur ami nimi se mana kiya tha ki, jab tak mai tujhe janamdin ka gift nahi de deti hu, tab tak koi bhi is baare me tujhse baat nahi karega.”
Chhoti maa ki baat sunkar, ami ne bhi keerti ka bachaw karte huye kaha.
Ami boli “haan bhaiya, mummy ke mana karne ki vajah se hi hum logon ne abhi tak ye baat aapse nahi batayi thi.”
Ab ami boli thi to, nimi ke chup rahne ka sawal hi paida nahi hota tha. Lekin uski aadat har baat me apna fayda dekhne ki thi aur usne abhi bhi aisa hi kuch karte huye kaha.
Nimi boli “haan bhaiya, ami didi thik kah rahi hai. Humne isi vajah se ye baat aapko nahi batayi thi. Lekin ab to wo computer toot chuka hai aur wo jara bhi aapke kaam ka nahi hai.”
“Magar aap fikar mat kijiye. Hum us computer ko bekar nahi hone dege. Wo computer jab sudhar kar aa jayega to, hum use apne kamre me sambhal kar rakh lege aur usme game khela karege.”
Nimi ki ye baat sunkar ek baar fir sab hasne lage. Nimi ko itni samajh to thi nahi ki, wo sabki is hansi ka matlab samajh sake. Isliye jab usne sabko apni baat par hanste dekha to, wo khud bhi sabke sath hasne lagi.
Ye uski aadat thi ki, jab uski nadani wali baat par koi hansta tha to, use hasne ki vajah samajh me na aane par wo ise apni baat ki shabashi samajh kar wo bhi hasne lagti thi.
Lekin yadi use hasne ki vajah samajh me aa jaye to, wo naraj hokar rone me bhi pal bhar ki der nahi lagati thi. Nimi humare ghar ki aisi chahchahati chidiya thi, jiske chahchahane se ghar me hamesha hansi khushi ka mahaul bana rahta tha.
Neha ko bhi nimi ki baten sunkar, bahut maja aata tha. Usne nimi ki ye baat suni to, nimi ki haan me haan milate huye mujhse kaha.
Neha boli “nimi thik kah rahi hai. Ab wo toota hua computer sudharne ke bad bhi, tumhare koi kaam ka nahi hai. Isliye ab wo nimi ka ho gaya hai. Lekin tum yadi chaho to, apna ye laptop dekar nimi se wo computer wapas le sakte ho.”
Neha ne sirf nimi ka maja lene ke liye ye baat kahi thi aur neha ki baat sunne ke bad, aisa hi kuch hua. Nimi ne jaise hi neha ki ye baat suni to, fauran hi neha ki baat ka samarthan karte huye kaha.
Nimi boli “bhaiya, neha didi thik kah rahi hai. Yadi aapko computer hi pasand hai to, aap laptop hume dekar, humse computer le sakte hai.”
Nimi ki baat sunkar, ek baar fir sabki hansi goonj gayi. Wahi maine pyar se nimi ke sar par hath ferte huye kaha.
Mai bola “meri pagal nimmo, wo computer bhi tera hai aur ye laptop bhi tera hi hai. Tera jab bhi man kare, tu mujhse ye laptop le sakti hai. Kya maine tujhe kabhi kisi chij ke liye mana kiya hai.”
Meri ye baat sunkar, nimi khush ho gayi. Tabhi mujhe paan ki yaad aayi aur maine apni jeb se paan nikal kar chhoti maa ko dete huye kaha.
Mai bola “chhoti maa, mai aapke liye ye meetha paan laya tha.”
Meri baat sunkar, chhoti maa ne pyar se mere gaal par hath fera aur mere hath se paan le liya. Lekin mujhe chhoti maa ko paan dete dekh kar vaani didi ne mujhe tokte huye kaha.
Vaani didi boli “ye mausi ko kis khushi me paan khilaya ja raha hai aur kya tujhe paan leti samay meri yaad nahi aayi thi. Jo tu mausi akele ke liye paan lekar aaya hai.”
Mai bola “didi, wo aaj chhoti maa mujhse naraj thi na aur wo kabhi kabhi meetha paan khati hai. Isliye unka mood sahi karne ke unke liye mai ye meetha paan lekar aaya tha. Mujhe nahi pata tha ki, aap bhi meetha paan khati hai.”
Vaani didi boli “mausi ki tarah mai bhi kabhi kabhi mai paan kha leti hu.”
Vaani didi ki is baat ke jabab me maine kaha.
Mai bola “to didi, aap bhi paan kha lijiye. Mai teen paan lekar aaya tha.”
Meri baat sunkar, vaani didi ne chaukte huye kaha.
Vaani didi boli “tu teen paan kisliye laya tha. Kya ami nimi bhi paan khati hai.”
Mai bola “nahi didi, ami nimi paan nahi khati hai. Chhoti maa unhe kabhi paan khane hi nahi deti hai. Lekin keerti bhi yaha thi na. Ye chhoti maa se jid karke unka aadha paan kha jati hai. Isliye mai iske liye bhi paan tha aur ek paan extra le aaya tha.”
Meri baat sunne ke bad, chhoti maa paan ka pouch khol kar, vaani didi aur keerti ko paan dene lagi. Chhoti maa, vaani didi aur keerti ko paan khate dekh kar neha bhi paan khane ki baat bolne lagi.
Neha ki baat sunkar, vaani didi ne apne paan me se aadha paan neha ko de diya. Ami nimi badi gaur se sabko paan khate dekh rahi thi. Ye dekh kar keerti ne unse puchha.
Keerti boli “ami nimi kya tum dono bhi paan khaogi.”
Ami boli “nahi didi, mummy gussa karegi.”
Keerti boli “nahi, aaj mausi tumhe paan khane ke liye gussa nahi karegi. Tum dono kabhi paan nahi khati ho. Aaj tum dono mere paan me se aadha aadha paan kha lo. Mai mausi ke paan me se aadha paan kha lugi.”
Ye kahte huye keerti ne apne paan me se aadha aadha paan ami nimi ko de diya aur khud paan ke liye chhoti maa ke samne jakar khadi ho gayi. Ye dekh kar maine keerti se kaha.
Mai bola “tujhse chhoti maa ka paan bachane ke liye hi mai itne paan lekar aaya tha. Lekin tu ami nimi ki aad lekar fir se paan ke liye chhoti maa ke samne jakar khadi ho gayi.”
Meri is baat par keerti ne muskurate huye kaha.
Keerti boli “mai kya karu. Mai jab tak mausi ke paan me se aadha paan nahi kha leti hu. Tab tak mera man hi nahi bharta hai.”
Keerti ki baat sunkar, chhoti maa ne muskurate huye apne paan me se aadha paan keerti ko de diya. Abhi sabke paan khane ka ye daur chal hi raha tha ki, tabhi ek ladki ne andar aate huye badi hi pyari si aawaj me kaha.
Ladki boli “aunty, kya mai andar aa sakti hu.”
Us ladki ki aawaj sunkar, maine palat kar uski taraf dekha. Wo pink top aur short black skirt pahne huyi thi. Uska rang bahut saaf tha aur chehre par chanchalta jhalak rahi thi. Jis vajah se wo bahut hi pyari lag rahi thi.
Wo mujhse umar sirf ek do saal chhoti lag rahi thi. Mai pahli baar use dekh raha tha. Wo shayad nayi nayi humari colony me aayi thi. Isliye mujhe samajh nahi aaya ki ye ladki kaun hai. Lekin chhoti maa ne use dekhte hi kaha.
Chhoti maa boli “dipti beta, aao, andar aao. Ye tumhara apna hi ghar hai aur tumhe yaha andar aane ke liye puchhne ki jarurat nahi hai.”
Chhoti maa ki baat sunkar, dipti ne andar aate huye kaha.
Dipti boli “aunty, aaj humara akhbar wala akhbar dekar nahi gaya hai. Kya aapke yaha aaj akhbar aaya hai.
Dipti ki is baat ka jabab keerti ne dete huye kaha.
Keerti boli “haan dipti, humare yaha aaj akhbar aaya hai. Ruko, mai abhi tumhe aaj ka akhbar deti hu.”
Ye kah kar keerti aaj ka akhbar lene chali gayi. Vaani didi ne dipti ko akhbar ke baare me baat karte dekha to, us se kaha.
Vaani didi boli “tujhe akhbar padne ka shauk kab se lag gaya. Aisa kya chhapa hai aaj ke akhbar me ki, tujhe akhbar pade bina chain nahi hai.”
Dipti boli “didi, mujhe akhbar padne ka shauk nahi hai. Wo kya hai ki, aaj ke din akhbar me achi achi kavitayen aati hai aur didi ko kavita padne ka bahut shauk hai. Isliye un ne hi kaha hai ki, ami nimi ke yaha se aaj ka akhbar le aao.”
Dipti ki baat sunkar, vaani didi muskura kar rah gayi. Tab tak keerti ne use aaj ka akhbar lakar de diya. Wo akhbar lekar wapas jaane ko huyi to, chhoti maa ne use tokte huye kaha.
Chhoti maa boli “dipti beta, aaj maine pulao banaya hai. Yadi tumhe pulao pasand hai to, khakar hi jao.”
Chhoti maa ki baat sunkar, dipti ne muskurate huye kaha.
Dipti boli “aunty, didi ko pulao aur biryani bahut pasand hai. Aap aisa kijiye, mujhe pulao de dijiye. Mai ghar jakar didi ke sath hi kha lugi.”
Dipti ki baat sunkar, chhoti maa uske liye pulao lene kitchen me chali gayi. Uski is baat se mujhe bhi yaad aa gaya ki, kuch din pahle vaani didi ne mujhse biryani bana kar khilane ki baat kahi thi.
Lekin apne sath huye hadse ki vajah se ye baat mere dimag se hi nikal gayi thi. Magar ab is baat ke yaad aate hi, maine bhi soch liya ki, vaani didi ke Mumbai se wapas aane ke bad, mai jarur unhe biryani bana kar khilauga.
Mai abhi isi baare me soch raha tha ki, tabhi chhoti maa ek tiffin me pulao pack karke le aayi. Un ne wo tiffin dipti ko diya aur fir dipti unse ijajat lekar chali gayi. Dipti ke jaane ke bad, chhoti maa ne mujhse puchha.
Chhoti maa boli “tu chanda mausi se baat karne kab jaane wala hai. Mujhe bhi unke pas jana hai.”
Mai bola “bas chhoti maa, mai ja hi raha hu. Aap taiyar ho jaiye, fir hum chalte hai.”
Chhoti maa boli “nahi, pahle tu unse apni baat kar le. Fir mujhe phone karke bata dena ki, wo jaane ke liye taiyar huyi ya nahi huyi. Teri unse baat ho jaane ke bad hi mai unse milne aaugi.”
Mai bola “thik hai chhoti maa, to fir mai akela hi chala jata hu.”
Meri baat sunkar, vaani didi ne kaha.
Vaani didi boli “nahi, tumhe akele jaane ki jarurat nahi hai. Hum sab bhi tumhare sath chal rahe hai. Mai mummy aur baki sab logon ko kuch der ke liye waha se alag kar dugi. Taki tum aaram se apni baat kar sako.”
Mai bola “thik hai didi.”
Vaani didi boli “tum baitho, mai abhi taiyar hokar aati hu. Keerti, neha, ami, nimi tum log bhi chalne ke liye taiyar ho jao.”
Itna kah kar vaani didi apne kamre me chali gayi. Unke jaane ke bad, chhoti maa, ami, nimi aur neha bhi apne kamre me chali gayi. Lekin keerti mere pas hi baithi thi. Ye dekh kar maine us se kaha.
Mai bola “kya tujhe taiyar nahi hona hai.”
Keerti boli “mai to pahle se hi taiyar hu. Ab aur kaise taiyar hou.”
Uski baat sunkar, mai muskura kar rah gaya. Fir mujhe dipti ki yaad aayi to, maine keerti ne puchha.
Mai bola “abhi ye jo dipti aayi thi. Ye kaun hai. Kya ye humari colony me nayi aayi hai.”
Meri baat sunkar, keerti ne muskurate huye kaha.
Keerti boli “are tumne ise pahchana nahi. Ye hi to saxena uncle ki bati aur ami nimi ki nayi saheli hai.”
Keerti ki ye baat sunkar maine chaukte huye kaha.
Mai bola “lekin tune to mujhse kaha tha ki, ami nimi ki saxena uncle ki chhoti beti ke sath dosti huyi hai.”
Meri is baat par keerti ne hanste huye kaha.
Keerti boli “are buddhu, ye hi saxena uncle ki chhoti beti hai.”
Keerti ki ye baat sunkar, maine aur bhi jyada chaukte huye kaha.
Mai bola “lekin ye to ami nimi se bahut badi lagti hai.”
Keerti boli “haan, ye ami nimi se bahut badi hai. Ye 8th class me hai aur abhi abhi iska naam meri school me likha hai. Lekin iski badi bahan ke chakkar me iske sath sath ab mera naam bhi mere school se katne wala hai.”
Keerti ki is baat ne mujhe aur bhi bada jhatka de diya. Mujhe samajh me nahi aa raha tha ki, dipti ki badi bahan ne aisa kya kiya hai. Jiski vajah se dipti ke sath sath ab keerti ka naam bhi uske school se katne wala hai.
______________________________
Fabulous job great updateKo To Rok Lo {Update - 235}____________________________Mai bola “abhi ye jo dipti aayi thi. Ye kaun hai. Kya ye humari colony me nayi aayi hai.”Meri baat sunkar, keerti ne muskurate huye kaha.Keerti boli “are tumne ise pahchana nahi. Ye hi to saxena uncle ki bati aur ami nimi ki nayi saheli hai.”Keerti ki ye baat sunkar maine chaukte huye kaha.Mai bola “lekin tune to mujhse kaha tha ki, ami nimi ki saxena uncle ki chhoti beti ke sath dosti huyi hai.”Meri is baat par keerti ne hanste huye kaha.Keerti boli “are buddhu, ye hi saxena uncle ki chhoti beti hai.”Keerti ki ye baat sunkar, maine aur bhi jyada chaukte huye kaha.Mai bola “lekin ye to ami nimi se bahut badi lagti hai.”Keerti boli “haan, ye ami nimi se bahut badi hai. Ye 8th class me hai aur abhi abhi iska naam meri school me likha hai. Lekin iski badi bahan ke chakkar me iske sath sath ab mera naam bhi mere school se katne wala hai.”Keerti ki is baat ne mujhe aur bhi bada jhatka de diya. Mujhe samajh me nahi aa raha tha ki, dipti ki badi bahan ne aisa kya kiya hai. Jiski vajah se dipti ke sath sath ab keerti ka naam bhi uske school se katne wala hai.Mai abhi keerti se is baare me puchhne hi wala tha ki, tabhi use chhoti maa aati huyi najar aa gayi aur usne mujhe is baare me bad me karne ki baat kah kar, abhi mujhe kuch bhi puchhne se rok diya.Chhoti maa mere pas aakar baith gayi aur fir mujhe samjhane lagi ki, chanda mausi ko jaane ke liye mujhe kaise taiyar karna hai. Meri chhoti maa se baat chal hi rahi thi ki, tabhi neha bhi taiyar hokar aa gayi.Wo humare pas khadi hokar badi gaur se chhoti maa ki baten sunne lagi. Thodi der tak wo khamoshi se chhoti maa ki baten sunti rahi. Lekin kuch der bad usne chhoti maa ke samne apni chinta jahir karte huye kaha.Neha boli “aunty, aai ne humare sath Mumbai jaane ko lekar aapki aur vaani didi ki koi baat nahi maani hai. Aise me mujhe nahi lagta ki, wo punit ke kahne par humare sath Mumbai jaane ko taiyar ho jayegi.”Neha ki is baat par chhoti maa ne muskurate huye kaha.Chhoti maa boli “tumhe abhi apni aai se mile sirf kuch hi din huye hai. Isliye abhi tum unhe ache se janti nahi ho. Tumhari aai punnu ko apni jaan se bhi jyada pyar karti hai.”“Isliye to un ne apni jaan ki parvah kiye bina, iski taraf badti har goli ko apne upar le liya tha. Un ne hi iske paida hone se lekar aaj tak iska khayal rakha hai. Isiliye wo ise chhod kar jana nahi chahti hai.”“Lekin wo iski kabhi koi baat nahi kaatti hai aur mujhe yaki hai ki, wo iski ye baat bhi jarur manegi. Isliye tum fikar mat karo. Tumhari aai tumhare sath jarur Mumbai jayegi.”Usi samay vaani didi bhi taiyar hokar aa gayi. Wo chhoti maa ki aakhiri ki baat sun chuki thi. Isliye un ne humare pas aate huye neha se kaha.Vaani didi boli “mausi sahi kah rahi hai. Chanda mausi punnu ki har baat manti hai. Isiliye to unhe jaane ke liye taiyar karne ke liye kal mujhe ise itna maska lagana pada tha. Warna mai iske kaan ke niche do laga kar bhi is se apni baat manwana janti hu.”Vaani didi ki ye baat sunkar, sab hansne lage aur vaani didi neha ko samjhane lagi. Vaani didi ke mere kaan par jamane ki baat sunkar, mujhe unke diye bluetooth headphones ki yaad aa gayi.Abhi unka mood meri taraf se sahi chal raha tha. Aise me mai apni kisi harkat ki vajah se unhe naraj karna nahi chahta tha. Isliye maine vaani didi ke is gusse se bachne ke liye dhire se keerti se kaha.Mai bola “dekh, kal tunhe bluetooth headphones ko lekar vaani didi ko bhadka diya tha. Ab yadi aaj wo mere pas bluetooth headphones nahi dekhegi to, naraj ho jayegi. Isliye tu mujhe wo headphones de de.”Lekin meri baat sunkar, keerti ne bahana banate huye kaha.Keerti boli “lekin wo headphones to mai ghar par hi bhool aayi hu.”Mai bola “dekh, jyada natak mat kar, mujhe achi tarah se pata hai ki, wo headphones tere pas yahi par hai. Mujhe bekar me pareshan mat kar aur jab tak vaani didi yaha hai, tab tak ke liye wo headphones mujhe de de.”Meri baat sunkar keerti ne muskurate huye kaha.Keerti boli “chalo, mai tumhari ye baat maan leti hu. Lekin vaani didi ke yaha se wapas jate hi, mujhe wo headphones wapas chahiye.”Mai bola “haan, mai imandari se tujhe wo headphones wapas kar duga. Ab tu jakar use le aa.”Meri baat sunkar, keerti muskurate huye apne kamre me jaane lagi. Tabhi vaani didi ne use tokte huye kaha.Vaani didi boli “ab tu kaha ja rahi hai. Kya tujhe chalna nahi hai.”Keerti boli “didi, mai ami nimi dekhne ja rahi hu. Itni der ho gayi aur abhi tak wo aayi nahi hai.”Itna bol kar keerti chali gayi aur vaani didi neha se baat karne lagi. Kuch der bad keerti wapas aa gayi. Use akele wapas aaya dekh kar, vaani didi ne us se puchha.Vaani didi boli “kya hua.? Tu akeli kyo aayi hai. Kya ami nimi abhi tak taiyar nahi huyi hai.”Keerti boli “didi, ami to taiyar ho gayi hai. Lekin nimi nahane lagi thi aur ab wo taiyar ho rahi hai.”Nimi ke nahane ki baat sunkar, vaani didi ne chaukte huye kaha.Vaani didi boli “ye dono to subah hi naha chuki thi. Fir nimi ko dobara nahane ki kya jarurat thi.”Keerti boli “didi, maine bhi nimi se yahi puchha tha to, wo boli ki, vaani didi hum sabko shopping ke liye le ja rahi hai. Isliye mai naha kar aur ache se taiyar hokar chal rahi hu.”“Ami ne usko samjhaya bhi tha ki, vaani didi ne aisa kuch nahi kaha hai aur wo hume kahi lekar nahi ja rahi hai. Lekin nimi ne ami ki baat nahi maani. Uska kahna hai ki, vaani didi bina bataye sabko le ja rahi hai.”Ye kah keerti hanse lagi. Lekin keerti ki baat sunkar, vaani didi ne thoda gambhir hote huye kaha.Vaani didi boli “nimi kah to thik rahi hai. Maine un dono se shopping ke liye kaha bhi tha. Lekin fir samay na hone ki vajah se mai unhe shopping nahi karwa payi thi aur aaj bhi mere pas iske liye samay nahi hai.”Keerti boli “didi, aap bhi kaha nimi ki baton me aati hai. Nimi ki to khayali pulao pakate rahne ki aadat hi hai. Aap uski in besir pair ki baton ke baare me jyada mat sochiye.”Lekin keerti ki ye baat sunne ke bad bhi vaani didi kuch soch me pad gayi. Fir un ne apna mobile nikala aur kisi ko call lagane lagi. Magar shayad jisko vaani didi ne call lagaya tha. Usne unka call nahi uthaya tha.Isliye vaani didi koi dusra number lagane lagi. Us number par unka call uth gaya aur call ke uthte hi un ne kaha.Vaani didi boli “hello, niranjan, ye aniruddha kaha hai. Mai use call laga rahi hu. Wo mera call utha hi nahi raha hai.”Niranjan bola “……………” (ji madam, wo aniruddha is samay raj vardhan aur uske doston ke pas hai. Shayad is samay uska mobile uske pas na ho, isliye usne aapka call nahi uthaya hai.)Vaani didi boli “kyo, aniruddha un logon ke pas kya kar raha hai. Unhe to manik sambhal raha tha na.”Niranjan bola “……………” (madam, unko manik hi dekh raha tha. Lekin raj vardhan ki kisi baat par manik ko gussa aa gaya. Usne raj vardhan aur uske doston ko bahut buri tarah se dho diya.)(Manik ke gusse ko shant karne ke liye hi, aniruddha ne use ghar bhej diya hai aur wo khud un sabki halat ka jayja le raha hai. Kya mai aniruddha se aapki baat karwau.)Vaani didi boli “nahi, iski jarurat nahi hai. Maine ye kahne ke liye call kiya tha ki, mujhe achanak kuch jaruri kaam aa gaya hai. Isliye mai abhi waha nahi aa pa rahi hu. Mai shayad 7 baje ke bad waha aa pau.”Niranjan bola “……………” (ok madam, mai ye khabar aniruddha aur manik ko de dgua. Aap befikar hokar apna kaam nipta kar aaiye. Hum aapka intejar karege.)Vaani didi boli “ok mai bad me milti hu. Tum log apna kaam jaari rakho.”Niranjan se itni baat karne ke bad, vaani didi ne uska call rakh diya aur fir keerti se kaha.Vaani didi boli “lo, ami nimi ke shopping par jaane ka intejam ho gaya. Ab mai apna kaam bad me nipta lugi.”Keerti boli “kya didi, aap bhi nimi ki kin baton me aa gayi. Uska to shopping ke naam se kabhi pet hi nahi bharta hai.”Vaani didi boli “aisi baat nahi hai. Maine un dono se shopping karwane ka vaada kiya tha. Isliye abhi jab maine kaha ki, mai sabko waha se alag kar dugi to, nimi ko laga ki, mai un logon ko shopping karwane le ja rahi hu.”“Waise bhi mai jab se yaha aayi hu. Kaam me itna uljhi huyi hu ki, ami nimi ko shopping karwane ka samay hi nahi nikal pa rahi hu. Ab nimi ki is baat ki vajah se kam se kam mai unhe shopping to karwa paugi.”Vaani didi ki ye baat sunkar, chhoti maa ne bhi unhe samjhate huye kaha.Chhoti maa boli “vaani beta, keerti thik kah rahi hai. Tu kyo nimi ki baton me aakar bekar me pareshan ho rahi.”Vaani didi boli “nahi mausi, isme pareshani wali koi baat nahi hai. Ye to un dono ka haq banta hai. Wo dono meri bahan hai aur unki har ichha puri karna mera farz hai.”“Mai unke sath Mumbai tak ho aayi hu. Lekin unhe jara bhi samay nahi de payi hu. Aaj shopping ke hi bahane me unke sath thoda ghoom lugi aur unke sath thoda samay bhi bita lugi.”Chhoti maa boli “chal thik hai. Lekin mai tujhe aur punnu ko ek baat batana bhool hi gayi hu. Abhi geeta ne call karke yaad dilaya to, mujhe yaad aaya ki, parso geeta ki beti ki shadi hai.”“Usne hum sabhi ko shadi me bulaya hai. Wo jab humare ghar shadi ki khabar dene aayi thi. Tab tu yaha aayi nahi thi aur use tere yaha aane ki baat pata bhi nahi thi. Isliye usne tujhe shadi ki khabar nahi di thi.”“Lekin abhi tu yaha thi. Isliye jab maine geeta ko tere yaha hone ki baat batayi to, use tujhe shadi ki khabar na de pane ka bahut afsos hua aur wo tujhe apne sath hi shadi me lane ki baat kahne lagi.”“Us samay mujhe tere Mumbai jaane ki baat nahi malum thi. Isliye maine geeta se kah diya tha ki, mai tujhe apne sath le aaugi. Magar tu to aaj Mumbai ja rahi hai. Kya aise me tu parso shadi me shamil ho sakegi.”Chhoti maa ki ye baat sunkar, vaani didi ke sath sath mai bhi thoda chauk gaya tha. Kyoki geeta aunty ki beti juhi didi is saal college ke first year me thi. Aise me unki itni jaldi shadi hone ki baat mere gale se nahi utar rahi thi.Juhi didi sundar hone ke sath sath padai me bahut hoshiyar bhi thi aur wo ek civil engineer banna chahti thi. Shayad ye baat vaani didi bhi janti thi. Isliye un ne chhoti maa ko tokte huye kaha.Vaani didi boli “lekin mausi, juhi abhi abhi to 18 saal ki huyi hai aur padai me bhi bahut hoshiyar hai. Aise me geeta aunty ko uski shadi ki itni jaldi nahi karna chahiye thi. Unhe abhi juhi ko padne dena chahiye tha.”Chhoti maa boli “tera kahna thik hai. Maine bhi geeta ko yahi baat samjhayi thi. Lekin wo kahne lagi ki, ladka aur uska parivar bahut acha hai. Un logon ko juhi bahut pasand aayi hai.”“Unhe shadi ke bad juhi ke padne me bhi koi aapatti nahi hai. Lekin wo shadi ke liye rukne ke liye taiyar nahi the. Aisa ladka aur parivar aasani se nahi milta hai. Isliye hume bhi shadi ke liye haan kahna pad gayi.”Chhoti maa ki is baat par vaani didi ne apni narajgi jahir karte huye kaha.Vaani didi boli “aap kuch bhi kahiye mausi. Lekin juhi meri chhoti bahan ki tarah hi hai aur mujhe geeta aunty ka ye faisla jara bhi pasand nahi aaya hai.”Chhoti maa boli “jaane de na vaani, ye unke ghar ka mamla hai. Is mamle me humara jyada bolna thik nahi hai. Tu ye bata ki, tu parso shadi me shamil hone ke liye yaha aa sakti hai ya nahi aa sakti hai.”Vaani didi boli “nahi mausi, mera parso bhi Mumbai se laut kar aa pana mushkil hai. Lekin mai Mumbai jaane se pahle jarur geeta aunty se mil kar aur is baare me baat karke jaugi.”Chhoti maa boli “lekin tu abhi geeta se nahi mil sakti. Ladke wale Durgapur ke hai aur wo log shadi bhi wahi se kar rahe hai. Isliye geeta aur uska pura parivar abhi Durgapur me hi hai.”Chhoti maa ki is baat par vaani didi ne feeki si muskan me muskurate huye kaha.Vaani didi boli “ye lo, geeta aunty ka kahna hai ki ladke wale bahut ache hai. Lekin un logon ne to shadi ke pahle hi, apni sharten thopna suru kar diya hai. Mujhe afsos hai ki, mai yaha rahte huye bhi juhi ke liye kuch nahi kar payi.”Vaani didi ki is baat par chhoti maa ne unhe samjhate huye kaha.Chhoti maa boli “vaani, tu bekar me hi juhi ke liye pareshan ho rahi hai. Geeta koi nasamajh to hai nahi. Wo ek company ki M.D. hai aur usne kuch soch kar hi apni beti ke bhale ke liye ye kadam uthaya hoga.”Vaani didi boli “mausi aap kuch bhi kaho. Lekin mai is baat se jara bhi khush nahi hu. Magar ab is baare me bahas karne se bhi koi fayda nahi hai. Mai to is shadi me nahi ja paugi.”“Lekin aap apne sath mummy ko le jaiyega aur meri taraf se geeta aunty se shadi me shamil na ho pane ke liye maafi bhi maang lijiyega. Waise aap log shadi me shamil hone ke liye yaha se kab nikal rahi hai.”Chhoti maa boli “hum shadi me shamil hone ke liye kal Durgapur ke liye nikal rahe hai. Shayad anu didi ne badi didi ko bhi is baare me bata diya ho.”Vaani didi boli “thik hai mausi, mai ami nimi ke sath shopping ke liye to ja hi rahi hu. Wahi se juhi ki shadi ke liye bhi mummy ko shopping karwa dugi.”Abhi vaani didi ne ye baat boli hi thi ki, tabhi ami nimi bhi taiyar hokar aa gayi. Unke aate hi, vaani didi ne hum sabse chalne ke liye kaha aur hum sab unke sath bahar aa gaye.Chhoti maa bhi hume bahar tak chhodne ke liye aa gayi. Vaani didi ko ami nimi aur bua ji ke sath shopping ke liye jana tha. Isliye wo chhoti maa ki car ki jagah tata safari nikalne jaane lagi.Abhi vaani didi tata safari nikalne jaane hi wali thi ki, tabhi hume ek car porch ke andar aate huye dikhayi di. Use aate dekh kar vaani didi humare pas hi ruk gayi. Kuch hi pal me car humare samne aakar khadi ho gayi.Car ke rukte hi, usme se ek ladki utar kar bahar aa aayi. Mai use dekhte hi pehchan gaya. Uska naam reshma tha aur uski umar 24-25 saal ke aas pas hogi. Wo papa ke office me kaam karti thi.Wo aksar cheque book ya kinhi dusre documents par chhoti maa ke signature lene ke liye unke pas aaya karti thi. Maine ek baar chhoti maa se is baare me sawal kiya tha.Tab un ne mujhe bataya tha ki, papa apna kuch business unke naam par bhi karte hai. Isliye kabhi kabhi unhe cheques ya dusre documents par signature karna pad jate hai.Isliye fir kabhi maine chhoti maa se is baare me koi sawal jabab nahi kiya tha. Reshma ke car se utarne ke bad, do aadmi bhi car se utar kar bahar aaye. Reshma ne unka chhoti maa se parichay karwate huye kaha.Reshma boli “madam, aapne mujhe jin architect ke baare me jataya tha, mai unhe lekar aa gayi hu. Ye Mr. samapt aur ye Mr. ankur hai. Ye dono hi apne kaam me mahir hai. Aap inhe apne kaam ke baare me bata sakti hai.”Reshma ki baat sunkar, vaani didi ne chaukte huye chhoti maa se puchha.Vaani didi boli “mausi, aapne architect ko kis liye bulaya hai. Kya ghar me kuch kaam karwana hai.”Chhoti maa boli “haan vaani, abhi ke hisab se to humare ghar me paryapt kamre hai. Lekin mai aane wale samay ki soch kar kuch guest room banwana chahti hu. Isliye maine inhe bulaya hai.”Vaani didi boli “mausi, ye to aapne bilkul sahi socha hai. Ab punnu ki Mumbai aur surat me rishtedari jud gayi hai. Yadi sabke sab ek sath aa gaye to, sach me ghar ke kamre kam pad jayege.”“Aise me ghar me kuch guest room ka hona jaruri hai. Lekin mai soch rahi thi ki, aap guest room ke sath sath punnu ke liye ek gym bhi banwa lijiye. Is se roj punnu ka workout bhi hota rahega.”Chhoti maa boli “thik hai, tu khud hi in se iski baat kar le.”Chhoti maa ki baat sunkar, vaani didi un architect se guset room aur gym ki baat karne lagi. Un ne guest room banne ki jagah ke baare me puchha to, chhoti maa ne unhe second floor ka bata diya.Jiske bad, wo ghar dekhne ki baat kahne lage. Unki baat sunkar, chhoti maa ne unhe pahle ground floor aur first floor dikhayi. Iske bad wo unhe second floor ka chhat dikhane lagi.Chhoti maa aur vaani didi ke sath sath hum sab bhi upar chhat par aa gaye. Un logon ne puri chhat ka muayna kiya. Unhe chhat par guest room aur gym ke liye bahut jagah samajh me aa rahi thi.Iske bad wo upar chhat se hi ghar ke charo taraf ka muayna karne lage. Humare ghar ke pichhe aur dahini taraf bahut bada garden bana hua tha. Jabki ghar ke samne bahut lamba porch tha.Ghar ke bayin taraf car garage aur kuch servants quarters bane the. Magar pichhle kuch saalon se un quarters ka koi upyog nahi ho raha tha. Isliye abhi wo band pade huye the.Iske alawa bhi bayin taraf bahut jyada khali jagah padi huyi thi. Un logon ko gym ke liye second floor sahi samajh me aaya. Lekin guest room ke liye unhe ghar ke bayin taraf ki khali jagah pasand aayi thi.Unka kahna tha ki, us jagah par guest room banane se guest room ko aasani se makan ke sath joda ja sakta hai aur aisa karne se guest room bhi makan ka hi ek hissa ban jayega.Iske alawa ghar me aaye guest ko bhi second floor tak nahi aana padega. Vaani didi ko bhi un logon ki ye baat sahi lagi aur wo chhoti maa se wahi par guest room banwane ki baat kahne lagi.Abhi mai chhoti maa aur vaani didi ki ye baat sun hi raha tha ki, tabhi nimi kisi ko jor jor se aawaj lagane lagi. Nimi ko is tarah se aawaj lagate dekh kar mai chauk gaya aur hairani se keerti ki taraf dekhne laga.______________________________
Fabulous updateKo To Rok Lo {Update - 236}
____________________________
Iske bad wo upar chhat se hi ghar ke charo taraf ka muayna karne lage. Humare ghar ke pichhe aur dahini taraf bahut bada garden bana hua tha. Jabki ghar ke samne bahut lamba porch tha.
Ghar ke bayin taraf car garage aur kuch servants quarters bane the. Magar pichhle kuch saalon se un quarters ka koi upyog nahi ho raha tha. Isliye abhi wo band pade huye the.
Iske alawa bhi bayin taraf bahut jyada khali jagah padi huyi thi. Un logon ko gym ke liye second floor sahi samajh me aaya. Lekin guest room ke liye unhe ghar ke bayin taraf ki khali jagah pasand aayi thi.
Unka kahna tha ki, us jagah par guest room banane se guest room ko aasani se makan ke sath joda ja sakta hai aur aisa karne se guest room bhi makan ka hi ek hissa ban jayega.
Iske alawa ghar me aaye guest ko bhi second floor tak nahi aana padega. Vaani didi ko bhi un logon ki ye baat sahi lagi aur wo chhoti maa se wahi par guest room banwane ki baat kahne lagi.
Abhi mai chhoti maa aur vaani didi ki ye baat sun hi raha tha ki, tabhi nimi kisi ko jor jor se aawaj lagane lagi. Nimi ko is tarah se aawaj lagate dekh kar mai chauk gaya aur hairani se keerti ki taraf dekhne laga.
Wahi nimi saxena uncle ke ghar ki taraf dekh kar tripti didi, tripti didi ki rat lagaye huye thi. Nimi ko is tarah chillate dekh kar chhoti maa ne use daant kar chup kara diya.
Saxena uncle ke chhat par ek ladki baithi kuch pad rahi thi. Chhoti maa ke daantne se nimi chup ho gayi thi. Lekin tab tak wo ladki nimi ki aawaj sun chuki thi aur ab wo nimi ko dekh kar hath hila rahi thi.
Mai us ladki ka tirpti naam sunkar chauk gaya tha. Isliye mai uski taraf guar se dekhne laga. Wo mujhe kuch jani pahchani si lag rahi thi. Use gaur se dekhte hi mai fauran hi use pahchan gaya.
Ye wahi wheelchair wali masoom si ladki thi, jise maine hospital me dekha tha. Ye baat samajh me aate hi, maine keerti se puchha.
Mai bola “ye ladki saxena uncle ki kaun hai.”
Keerti boli “ye saxena uncle ki badi beti hai. Jiske baare me abhi mai tumhe bata rahi thi. Kya tumne pahle bhi kabhi ise dekha hai.”
Mai bola “haan, jab chanda mausi hospital me thi aur ankita mujhse milne aayi thi. Usi samay ye bhi waha kisi ko dekhne aayi thi. Us samay mere sath sath ankita aur sheza ne bhi ise dekha tha.”
Keerti boli “ye chanda mausi ko hi dekhne hospital gayi hogi. Ye humare ghar kabhi nahi aati. Lekin chanda mausi ka ami nimi ko bulane ke liye iske ghar aana jana laga hi rahta hai. Isliye ye unko dekhne hospital gayi hogi.”
Mai bola “lekin tune mujhe ye baat pahle nahi batayi thi ki, saxena uncle ki badi beti ka naam tripti hai.”
Keerti boli “mujhe khud pahle iska naam pata nahi tha. Isliye mai tumhe ye baat bata nahi payi thi. Mai raat ko aaram se tumhe saari baat batati hu.”
Keerti ki ye baat sunne ke bad, maine us se aage koi sawal nahi kiya aur tripti ki taraf dekhne laga. Wo ab fir se kuch padne me lag gayi thi. Shayad wo aaj ke akhbar me chhapi kavita aur dhero shayari hi padne me lagi huyi thi.
Lekin ab tripti ko dekh lene ke bad, mere liye is baat par yakin kar pana mushkil sa ho gaya tha ki, uske jaisi masoom si ladki ki vajah se keerti ka uske school se naam katne ki naubat aa gayi thi.
Mai yahi sab sochte huye gaur se tripti ko dekhne me laga hua tha. Tabhi keerti ne na jaane kya soch kar, mujhse dhire se kaha.
Keerti boli “tum itna kya soch rahe ho. Mai raat ko tumhe saari baat batati hu na.”
Keerti ki ye baat sunkar, mere chehre par muskurahat aa gayi aur maine us se kaha.
Mai bola “mai kuch bhi nahi soch raha hu. Tu bekar me pareshan mat ho.”
Meri baat sunkar, keerti ke bhi chehre par muskurahat aa gayi aur hum chhoti maa logon ki baten sunne lage. Thodi hi der me chhoti maa aur vaani didi ka un architect se samajhna samjhana ho gaya aur hum log niche aa gaye.
Kuch der bad, reshma apni gaadi me baith kar, un architect ke sath wapas chali gayi. Unke jaane ke bad, hum log bhi chhoti maa ko jata kar, vaani didi ke sath anuradha mausi ke ghar aa gaye.
Vaani didi pahle hi phone karke anu mausi aur bua ji ko taiyar rahne ki baat bol chuki thi. Isliye humare pahuchte hi, vaani didi unse shopping par chalne ke liye kahne lagi. Dushyant mausa ji unke sath jana nahi chahte the.
Lekin fir vaani didi ke bahut kahne par un ne vaani didi ki baat maan li aur shopping par jaane ke liye taiyar hone chale gaye. Vaani didi bua ji se baat karne me lagi thi. Ye dekh kar maine keerti se kaha.
Mai bola “tu mujhe dene ke liye wo bluetooth headphone layi thi. Wo mujhe de kyo nahi rahi hai.”
Meri baat sunkar, keerti ne apne handbag se bluetooth headphone nikalne lagi. Lekin usne wo headphone nikal kar apne kaan me laga liya. Use aisa karte dekh kar maine us se puchha.
Mai bola “ye kya kar rahi hai. Kya ise laga kar tujhe kisi se baat karna hai.”
Keerti boli “nahi, mujhe kisi se koi baat nahi karna hai. Mai to ise bas aise hi lagayi hu. Jab vaani didi log wapas aaye, tab tum bhi mujhse ye wapas le lena.”
Keerti ki is harkat ko dekh kar mere chehre par muskurahat aa gayi. Kuch der bad dushyant mausa ji taiyar hokar aa gaye. Fir mujhe keerti aur neha ko chhod kar baki sab shopping karne ke liye nikal gaye.
Keerti mujhe aur neha ko chanda mausi ke pas chhod kar khud chay banane chali gayi. Mai aur neha chanda mausi se baat karne lage. Kuch hi der me keerti chay lekar aa gayi aur usne hum sabko chay di.
Hum sab baat karte huye chay peene lage. Lekin abhi bhi keerti ke kaan me bluetooth headphone laga hua tha. Mujhe keerti ke is pagalpan par hansi aa rahi thi. Isliye maine use tokte huye kaha.
Mai bola “jab tujhe headphone laga kar kisi se baat hi nahi karna hai to, fir ise paglon ki tarah laga kar kyo ghoom rahi hai.”
Meri baat sunkar, keerti ne badi hi masumiyat se kaha.
Keerti boli “ye headphone itne dino se mere pas hai. Lekin maine kabhi ise laga kar nahi dekha hai. Ab mai ise tumhe wapas kar rahi hu. Isliye mai ise lagane ki apni ichha puri kar lena chahti hu.”
Keerti ki ye baat sunkar mere sath sath neha bhi hasne lagi. Lekin keerti par hum logon ke hasne ka koi asar nahi pada aur wo headphone ko waise hi apne kaan me lagaye rahi.
Humara chay peena hone ke bad, keerti neha ko apne sath lekar bahar chali gayi. Ab chanda mausi ke pas mai akela hi tha. Lekin meri samajh me nahi aa raha tha ki, mai chanda mausi se apni baat kaise suru karu.
Mai isi uljhan me uljha hua, chanda mausi se yaha waha ki baten karne laga. Tabhi keerti wapas kamre me aayi aur yaha waha kuch talash karne lagi. Mujhe samajh me nahi aaya ki, wo kya talsha kar rahi hai.
Mai abhi us se is baare me kuch puchhne hi wala tha ki, wo wapas bahar chali gayi. Uske jaane ke bad mai fir se chanda mausi se baten karne laga. Aise hi baton baton me maine chanda mausi se kaha.
Mai bola “mausi, aaj subah maine aapko itna miss kiya ki, meri aankhon me aansu hi aa gaye.”
Chanda mausi boli “kyo baba, aaj subah aisa kya hua, jo mujhe yaad karke aapki aankhon me aansu aa gaye.”
Mai bola “mausi, aaj subah mai school ke liye taiyar ho gaya. Lekin taiyar hone ke bad bhi mera nashta nahi aaya tha. Aisa mere sath pahli baar hua hai. Warna aapke rahte aisa kabhi nahi hua.”
“Aap rahti thi to, mere taiyar hone ke pahle hi, nashta lekar mere kamre me aa jati thi. Aapki yahi baat yaad karke mujhe aapki bahut kami akhri aur meri aankhon me aansu aa gaye.”
Chanda mausi boli “baba, isme itna pareshan hone wali kya baat hai. Bas kuch din ki baat aur hai. Fir sab kuch pahle jaisa ho jayega.”
Mai bola “nahi mausi, ab kuch bhi pahle jaisa nahi ho sakta. Aapko Mumbai bhi to jana hai na.”
Chanda mausi boli “nahi baba, mai aapko aur ami nimi ko chhod kar kahi bhi nahi ja rahi hu. Maine aapke mausa ji aur bahurani se Mumbai jaane ke liye saaf mana kar diya hai.”
Mai bola “lekin mausi aapko Mumbai jarur jana chahiye. Jaise mai aapka beta hu. Waise hi priya bhi to aapki beti hai. Wo is samay waha bilkul akeli hai.”
Chanda mausi boli “lekin baba, bahurani to kah rahi thi ki, wow aha bahut khush hai aur waha wale use bahut pyar karte hai.”
Mai bola “haan mausi, chhoti maa sahi kah rahi hai. Wo sab log bahut ache hai aur priya ko bahut pyar karte hai. Priya ko waha kisi chij ki koi talleef nahi hai. Wo waha bahut khush hai.”
“Lekin aap ye baat bhi to sochiye. Aaj nahi to kal priya ko ye baat pata chal hi jayegi ki, wo humare ghar ki beti hai. Tab kya wo is baat ko nahi sochegi ki, hum logon ne is sachchai ko jante huye bhi use uske haal par chhod diya tha.”
“Hum logon ne uske baare me kabhi kuch nahi socha aur uske baare me jante huye bhi uski taraf se apni aankh moond li thi. Aap hi sochiye ki use us samay is baat ko jaan kar kitna dukh hoga.”
Chanda mausi boli “lekin baba, mai yadi waha chali bhi gayi to, mai kya kar sakti hu. Priya to mujhe janti tak nahi hai.”
Mai bola “nahi mausi, aisa nahi hai. Maine priya ko apne ghar ke sabhi logon ke baare me bataya hai. Wo aapko bhi ache se janti hai. Use jab pata chalega ki, aap waha rahne aa rahi hai. Tab wo khud hi aapse milne chali aayegi.”
“Wo dil ki bahut achi hai. Lekin dil ki marij bhi hai. Is samay uske pas humare parivar ka koi nahi hai. Mujhe jabse pata chala hai ki, priya meri bahan hai. Tab se mujhe uski chinta lagi rahti hai.”
“Lekin mai chah kar bhi apni bahan ke liye kuch kar nahi sakta hu. Mai aur chhoti maa to uske pas rah nahi sakte hai. Lekin aapko to ye mauka mil raha hai. Aap is mauke ko apne hath se mat jaane dijiye.”
“Yadi aap waha chali gayi to, priya ke pas humare parivar ka bhi koi rahega aur meri tarah use bhi aapka pyar mil sakega. Aapke waha rahne se mujhe uski khabar bhi milti rahegi aur mujhe uski utni chinta bhi nahi rahegi.”
Meri is baat ne chanda mausi ke upar asar kiya aur un ne mujhe dilasa dete huye kaha.
Chanda mausi boli “baba, aapko priya ki chinta karne ki jarurat nahi hai. Aapke aur priya ke liye mai jarur Mumbai jaugi. Lekin mujhe to phone karna nahi aata hai. Kabhi mujhe aapko koi khabar deni huyi to kaise dugi.”
Mai bola “mausi, aapko iski fikar karne ki jarurat nahi hai. Mai aaj hi aapko ek naya mobile la deta hu. Keerti aur neha aapko mobile chalana sikha degi. Kuch hi dino me aapse mobile chalana aane lagega.”
“Yadi aap yaha par mobile chalana nahi seekh payi to, waha par neha aur priya mil kar aapko mobile chalana sikha degi. Mai neha se waha ke sim ka bhi jata duga. Wo waha pahuchte hi, aapke mobile me waha ki sim daal degi.”
Meri baat sunkar, chanda mausi ne muskurate huye kaha.
Chanda mausi boli “thik hai baba, aapko jo thik lage, aap wo kijiye. Lekin pahle bahurani ko mere Mumbai jaane ki baat bata dijiye. Wo is baat ko lekar bahut pareshan thi.”
Chanda mausi ki ye baat sunkar, maine chhoti maa aur vaani didi ko call laga kar chanda mausi ke maan jaane ki baat bata di. Dono ne hi kuch der me yaha pahuchne ki baat kah kar call rakh diya.
Iske bad maine neha aur keerti ko bhi kamre me bula kar unhe chanda mausi ki maan jaane ki baat bata di. Jise sunkar dono bahut khush huyi aur neha chanda mausi se lipat kar unse laad karne lagi.
Maine keerti ke kaan me abhi bhi bluetooth headphone lage dekha to, use ek baar fir se toka. Is baar usne mujhe bina koi bahas kiye apne kaan se headphone nikal kar mujhe de diya.
Iske bad maine mehul ko ye baat batane ke liye call laga diya. Lekin use ye baat pahle se hi pata thi. Usne bataya ki wo is samay mere hi ghar par hai aur thodi hi der bad chhoti maa ke sath mere pas aa raha hai.
Mehul ka call rakhne ke bad, meri chanda masui logon se baat hoti rahi. Kuch der bad ghar ki doorbell bajne lagi. Jise sunkar hum sab samajh gaye ki chhoti maa aa gayi hai.
Hum sab uth kar bahar aa gaye. Keerti ne darwaja khola to, mehul kuch carry bag liye ghar ke andar aa gaya. Uske hath me carry bag dekh kar, maine us se puchha.
Mai bola “ye tu kya lekar aaya hai. Ye kiske bag hai.”
Mehul bola “mai aunty ke sath yaha pahucha to, vaani didi log yaha pahuch chuki thi. Ye anu mausi aur bua ji ke bag hai.”
Ye kahte huye mehul ne wo carry bag keerti ko pakda diye. Keerti un bag ko andar rakhne lagi. Thodi hi der me vaani didi ke sath chhoti maa aur baki sab bhi andar aa gaye.
Maine khushi khushi ek baar fir chhoti maa ko chanda mausi ke maan jaane ki baat batane laga. Meri baat sunkar chhoti maa ke sath sath baki sab bhi khush najar aa rahe the.
Maine chhoti maa se chanda mausi ke liye mobile lene jaane ki baat jatayi. Jise sunkar, chhoti maa ne mujhe mobile kharidne ke liye paise diye. Mai aur mehul apni bike nahi laye the.
Isliye mai keerti ki scooty lekar bajar jaane laga. Lekin keerti bhi mere sath mobile kharidne chalne ki jid karne lagi. Jiske bad mai keerti ke sath bajar ke liye nikal gaya.
Bajar aakar humne mobile ki dukan se chanda mausi ke liye ek acha sa mobile kharida iske bad mai priya ke mobile ke liye bhi sim kharidne laga. Mujhe nayi sim kharidte dekh kar keerti ne mujhe tokte huye kaha.
Keerti boli “ye tum priya ke mobile ke liye le rahe ho na.”
Mai bola “haan, ab yaha tak aaya hu to, socha ki lage hath ye kaam bhi nipta lu.”
Keerti boli “tab to tum apne laptop ke liye ek Wi-Fi bhi le lo. Us se tumhare laptop me net bhi chalne lagega.”
Mujhe keerti ki ye baat sahi lagi aur maine ek Wi-Fi bhi le liya. Apni kharidi karne ke bad hum ghar wapas aane lage. Tabhi mujhe nimi ki subah ki cutlets aur manchurian wali baat yaad aa gayi aur maine keerti se kaha.
Mai bola “yadi hum sabke khane ke cutlets aur manchurian le chale to, kaisa rahega.”
Keerti boli “ye to bahut achi baat hai. Isi bahane nimi ki jeebh ko bhi thoda aaram mil jayega.”
Ye kah kar keerti hasne lagi aur uski is baar par mai bhi apni hansi na rok saka. Kuch hi der bad maine ek restaurant ke samne gaadi rok di aur waha se hum sabke liye cutlets aur Manchurian pack karwane lage.
Abhi hum usi restaurant me ye sab pack karwa rahe the ki, tabhi chhoti maa ka call aa gaya. Un ne mujhe bataya ki, wo log chanda mausi ko ghar lekar ja rahi hai. Mai sidhe ghar hi aa jau.
Chhoti maa se baat karne ke bad, maine ye baat keerti ko batayi. Iske bad hum wo sab dishes pack karwa kar ghar ke liye nikal pade. Kuch hi der me hum ghar pahuch gaye.
Chanda mausi ke ghar wapas aa jaane se ghar me hansi khushi ka mahol bana hua tha. Chhoti maa aur ami nimi chanda mausi ke pas baithe the. Jabki mehul aur neha bahar hall me baithe baten kar rahe the.
Lekin vaani didi kahi bhi najar nahi aa rahi thi. Mai aur keerti bhi mehul logon ke pas aakar baith gaye. Maine mehul se vaani didi ke baare me puchha to, usne kaha.
Mehul bola “hum logon ko ghar chhodne ke bad vaani didi bhi apna koi kaam niptane ke liye chali gayi hai. Lekin ye humare liye bhi acha hai ki, wo jab tak yaha rahe, tab tak apne kaam me busy hi rahe.”
Mehul ki ye baat sunkar, maine thoda chaukte huye kaha.
Mai bola “abe aaj hi un ne teri aur shilpa ki shadi pakki karne ki baat ki thi aur tu aaj ke aaj hi unki burayi karne laga.”
Mehul bola “shilpa wali baat sunkar, khushi to mujhe bhi huyi hai. Lekin mai vaani didi ki aadat ko bhi ache se janta hu. Wo humse 10 gram pyar jata kar humara 100 gram khoon bhi choos leti hai.”
“Wo to aaj unka mood acha tha. Isliye un ne teri jhagde wali aur rahul wali baat ko andekha kar diya tha. Warna aaj tere jhagda karne aur rahul ke bag se gaanja nikalne wali baat par humara band bajna pakka tha.”
Mehul ki is baat ko sunkar, mujhe uski subah wali harkat yaad aa gayi aur maine use taana marte huye kaha.
Mai bola “haan, isiliye tune fauran rahul ki harkat ka saara iljam mere upar daal kar mujhse kinara kar liya tha. Aaj tune badi achi dosti nibhayi hai.”
Lekin mehul ke upar mere taana marne ka koi asar nahi pada aur usne is baat se fir se apna pichha chhudate huye kaha.
Mehul bola “ab tujhe jo samajhna hai, tu samajhta rah. Lekin vaani didi ki aankhon ke samne rahul ke bag se gaanja nikalne wali baat itni bhi chhoti nahi thi ki, mai vaani didi ke samne khushi khushi rahul ko apna dost maan leta.”
“Wo to humari kismat achi thi ki, rahul ki is harkat ki gaaj sirf rahul par hi giri hai. Aaj rahul ke bap ne rhaul ko itni buri tarah se maara hai ki, kaho wo ab do teen din tak school bhi na aa sake.”
Mehul ki is baat par maine chaukte huye kaha.
Mai bola “ye tujhe kisne bataya hai.”
Mehul bola “ye mujhe shilpa ne bataya hai. Wo jab pritam ke sath apne ghar pahuchi to, use school se aane me der ho jaane ki vajah se uski mummy thoda pareshan thi aur use pritam ke sath dekh kar wo or bhi jyada pareshan ho gayi.”
“Tab pritam unhe saari baten samjhane laga. Wahi dusri taraf rahul ka bap vaani didi se baat hone ke bad, rahul ki khabar lene sidha apne ghar pahuch gaya aur rahul ke ghar aane ka intejar karne laga.”
“Rahul ke apne ghar pahuchte hi, uske bap ne use ghar ke bahar hi kutton ki tarah peetna suru kar diya. Shilpa ke ghar jab is shor sharable ki aawaj pahuchi to, pritam ke sath sath wo sab bhi ghar se bahar nikal aaye.”
“Un logon ne dekha ki, rahul ka bap, apne ghar ke samne rahul ko ghasit ghasit kar maar raha hai. Shilpa ne pritam ko bataya ki, ye wahi ladka hai, jo abhi punit ke sath un ladko se lad raha tha.”
“Pritam aur shilpa ko to rahul ki gaanja wali harkat ka pata nahi tha. Isliye shilpa ki mummy ke sath sath pritam bhi rahul ke bap ke pas pahuch gaya aur unhe rahul ko marne se rokne laga.”
“Pritam ko dekh kar, rahul ka bap kuch shant hua aur use rahul ki harkat ke baare me batane laga. Rahul ki harkat ke baare me sunkar, pritam ke sath sath baki mohalle wale bhi hairan rah gaye the.”
“Lekin rahul ke bap ki baat se pritam samajh gaya tha ki, use vaani didi ne call karke ye khabar di hai. Isliye pritam ne rahul ke bap ko vaani didi ke baare me bataya aur us se kaha ki, aap rahul ki harkaton par najar rakhiye.”
“Mohalle walo ne bhi rahul ke bap ko samjhaya. Tab jakar ye saara mamla shant hua aur rahul ki mummy rahul ko utha kar ghar ke andar le gayi. Vaani didi ke ek call ne rahul ki jindagi ko tahas nahas kar diya hai.”
“Ab tum jara khud socho ki, rahul ki is harkat par vaani didi ne ek call karke rahul ki ye halat banwa di hai to, wo khud is baat ki vajah se hum logon ki kya halat bana sakti thi.”
Mehul ke muh se rahul ki halat ke baare me mai soch me pad gaya tha. Wahi keerti aur neha bhi mehul ki baat bade dhyan se sun rahi thi. Mehul ki baat khatam hote hi keerti ne hume darate huye kaha.
Keerti boli “rahul ki nasha karne wali harkat jara bhi achi nahi hai. Lekin us se bhi ajib baat ye hai ki, vaani didi ne itni badi baat ko itni aasani se andekha kar diya hai aur tum logon par jara bhi shaq nahi kiya hai.”
“Mujhe to ye tufan ke aane ke pahle ki shanti lagti hai. Tum dono sawdhan rahna aur us rahul se bhi door hi rahna. Vaani didi ki gaaj kabhi bhi tum logon ke upar gir sakti hai.”
Keerti ki ye baat sunkar, maine uske upar khijte huye kaha.
Mai bola “aisa kuch nahi hoga. Tu hume bekar me hi dara rahi hai.”
Keerti boli “mai bekar me hi nahi dara rahi hu. Tum shayad bhool gaye ho ki, aaj hi vaani didi ne mausi se tumhare liye gym banwane ki baat ki hai. Iska matlab saaf hai ki, un ne aaj ke jhagde ko jara bhi andekha nahi kiya hai.”
“Wo tumhe majbut banana chahti hogi. Isliye pahla mauka lagte hi, un ne gym banwane ki baat samne rakh di. Aise hi wo is baat ki bhi chhan been jarur karegi ki, kahi tum log bhi to koi nasha nahi karte ho.”
“Yadi unhe dhokhe se bhi kahi se ye pata chal gaya ki, tum log koi nasha karte ho to, wo tum logon ki aisi gat banayegi ki, tumhare farishte bhi tumko pahchan nahi payege.”
Ye kahte huye keerti gusse me mujhe goorne lagi. Mai uski is aakhiri kahi baat aur uske is tarah se goorne ka matlab samajh gaya tha. Uska ishara meri sharab peene wali harkat ki taraf tha.
Isliye mujhse apni safayi me kuch bhi kahte nahi ban raha tha. Lekin keerti ki is baat par mehul ne fauran hi apni safayi dete huye kaha.
Mehul bola “iske aur mere dost alag alag hai. Iske doston ki tarah mere kisi bhi dost me nasha karne ki buri aadat nahi hai aur na hi mai kabhi koi nasha karta hu. Isliye kam se kam mujhe to is baat se darne ki jarurat nahi hai.”
Ek to keerti pahle hi meri sharab peene ki baat ko lekar mujhe gusse me ghoor kar dekh rahi thi. Upar se mehul ke is tarah se safayi dene wali baat ne uski gusse ki aag me ghee dalne ka kaam kar diya tha.
Mujhe mehul ki is harkat par bahut gussa aa raha tha aur mera dil kar raha tha ki, iski saari pol abhi ke abhi keerti ke samne khol kar rakh du. Lekin mai chah kar bhi aisa kuch kar nahi sakta tha.
Mehul meri is khamoshi ka pura fayda utha raha tha. Wo apni aur apne doston ki sharafat ke kisse bad chad kar keerti aur neha ko sunaye ja raha tha. Jis se keerti ka gussa mere upar badne laga tha.
Wo mujhe kha jaane wali najro se ghoor rahi thi. Mai keerti ke is gusse ko shant karne ke liye aankhon hi aankhon me us se maafi maangne me laga hua tha. Lekin mehul meri aur keerti ki is aankhon hi aankhon ki baat se anjan tha.
Wo to bas apni baten bad chad kar keerti aur neha ko batane me laga hua tha. Thodi der tak keerti mujhe gusse me ghoorti rahi aur khamoshi se mehul ki ye baten sunti rahi.
Magar fir achanak hi keerti ka mehul ke upar gussa fat pada aur usne mehul ko bakna suru kar diya. Jab keerti ne bolna suru kiya to, mehul ki bolti band ho gayi aur mere kaan se dhuaan nikalne laga.
Mai aur mehul hairani se keerti ko dekhne lage. Wahi keerti ki baat sunne ke bad, neha bhi hairani se keerti ko dekh rahi thi. Lekin jaise hi neha ki najar meri aur mehul ki patli halat par padi to, wo khilkhila kar hasne lagi.
______________________________
Stunning and awesome bhaiKo To Rok Lo {Update - 237}
____________________________
Mehul meri is khamoshi ka pura fayda utha raha tha. Wo apni aur apne doston ki sharafat ke kisse bad chad kar keerti aur neha ko sunaye ja raha tha. Jis se keerti ka gussa mere upar badne laga tha.
Wo mujhe kha jaane wali najro se ghoor rahi thi. Mai keerti ke is gusse ko shant karne ke liye aankhon hi aankhon me us se maafi maangne me laga hua tha. Lekin mehul meri aur keerti ki is aankhon hi aankhon ki baat se anjan tha.
Wo to bas apni baten bad chad kar keerti aur neha ko batane me laga hua tha. Thodi der tak keerti mujhe gusse me ghoorti rahi aur khamoshi se mehul ki ye baten sunti rahi.
Magar fir achanak hi keerti ka mehul ke upar gussa fat pada aur usne mehul ko bakna suru kar diya. Jab keerti ne bolna suru kiya to, mehul ki bolti band ho gayi aur mere kaan se dhuaan nikalne laga.
Mai aur mehul hairani se keerti ko dekhne lage. Wahi keerti ki baat sunne ke bad, neha bhi hairani se keerti ko dekh rahi thi. Lekin jaise hi neha ki najar meri aur mehul ki patli halat par padi to, wo khilkhila kar hasne lagi.
Keerti bahut der se mehul ke muh se uski aur uske doston ki badai aur meri burayi sun rahi thi. Lekin jab us se meri burayi sahan nahi huyi to, uska gussa fat pada aur usne mehul ko bakte huye kaha.
Keerti boli “mai bahut der se tumhare muh se punnu ki burayi sun rahi hu. Tum mere samne apna muh band hi rakhte to, tumhare liye acha hota. Tumne mera muh khulwaya hai to, ab ye bhi sun lo ki, tum aur tumhare dost kya hai.”
“Tumhara dost aayan bhi rahul se kuch kam nahi hai. Wo school ke toilet me chhup kar cigarette peeta hai. Ye hi nahi, mai to ye bhi bahut ache se janti hu ki, tum har hafte apne doston ke sath Recency beer bar me beer peene jate ho.”
“Isliye kam se kam mere samne to tum apne dhoodh ke dhule hone ka natak dubara kabhi mat karna. Warna mai tumhari saari ki saari pol uncle aunty ke samne khol kar rakh dugi.”
Keerti ko mehul par is tarah se bhadakte dekh kar mere aur mehul ke sath sath neha bhi hairani se use dekh rahi thi. Lekin jaise hi neha ki najar meri aur mehul ki halat par padi wo khilkhila kar hasne lagi.
Keerti ko itna jyada gusse me dekh kar mujhse to mehul ke bachav me kuch kahte nahi bana. Mai to is baat ki khair manane me laga tha ki, keerti ko jis kisi ne bhi ye sab baten batayi hai. Usne use mere baare me kuch nahi bataya hai.
Warna aaj mehul ke muh chalane ki vajah se uske sath sath mai bhi keerti ke gusse ka shikar ban gaya hota. Mehul ko to wo do char baten suna kar chhod hi degi. Lekin mujhe wo itni aasani se chhodne wali nahi thi.
Mai abhi isi baat ki khair manane me laga tha ki, keerti ki baton se kuch der tak hairan rahne ke bad, mehul ne is baat me apna bachav karne ki koshish karte huye keerti se kaha.
Mehul bola “ye tu kya bake ja rahi hai. Mujhe lagta hai ki, tujhe mere aur mere doston ke baare me kuch galatfahmi huyi hai. Jaisa yu bake ja rahi hai, hum aisa kuch bhi nahi karte hai. Jarur tujhe kisi ne galat khabar di hai.”
Lekin mehul ki safayi ka bhi keerti par koi asar nahi pada. Usne mehul ki di gayi is safayi ko nakarte huye kaha.
Keerti boli “mujhe koi galatfahmi nahi huyi hai aur na hi meri ye khabar jhuthi hai. Fir bhi yadi tumhe meri ye baat jhuthi lag rahi hai to, mai aaj hi ye baat vaani didi ko bata deti hu.”
“Vaani didi khud hi is baat ki sachchai pata kar legi aur doodh ka doodh aur pani ka pani kar degi. Fir tum aasam se sabke samne apni aur apne doston ki sarafat ki maala japte rahna.”
Keerti ki ye baat sunte hi mehul ki sitti pitti gum ho gayi aur usne fauran hi keerti ke pas aakar use manate huye kaha.
Mehul bola “meri maa, teri mujhse kya dusmani hai. Jo tu mere pichhe us hitler ko lagana chahti hai. Mai manta hu ki tujhe koi galatfahmi nahi huyi hai aur teri sabhi baten sach hai.”
“Mai tujhse vada karta hu ki, mai aaj ke bad aisi koi harkat nahi karuga. Lekin tu pls is baat ke baare me vaani didi ya kisi aur se kuch mat kahna. Warna mera rahul se bhi bura haal hoga.”
Ye kah kar mehul apni meethi meethi baton se keerti ko manane laga. Neha ko keerti aur mehul in baton me bahut maja aa raha tha. Wo maje lekar unki ye baten sun rahi thi.
Tabhi use chhoti maa chanda mausi ke kamre se bahar nikalti najar aayi aur usne ye baat hum logon ko batayi. Chhoti maa ko aate dekh kar mehul aur keerti ke bich ki ye baten band gayi.
Lekin chhoti maa hum logon ke pas nahi aayi. Wo sidhe kitchen me khana banane chali gayi. Chhoti maa ke aane se keerti ka gussa bhi shant ho gaya tha. Isliye usne bhi mehul se ye baat kisi ko na batane ka vada kar diya.
Iske bad mehul mujhe jata kar ghar wapas jaane laga. Lekin mujhe apne naye laptop ki yaad aa gayi. Mai mehul ko laptop dikhne ke liye apna laptop yaha waha dekhne laga. Mujhe laptop dudte dekh kar neha ne kaha.
Neha boli “hum jab ghar aaye the. Tab maine ami ko laptop upar le jate dekha tha.”
Neha ki baat sunkar, keerti ne khilkhilakar hanste huye kaha.
Keerti boli “ye lo, nimi to tumhara laptop lene ki baat sirf puchh hi rahi thi. Lekin ami to laptop ko lekar bhi chali gayi.”
Keerti ki ye baat sunkar, maine us se kaha.
Mai bola “nahi, ami aisa nahi kar sakti. Uski aadat kisi ki chij par niyat kharab karne ki nahi hai. Wo jarur use mere kamre me rakhne le gayi hogi.”
Mai abhi keerti se ye baat bol hi raha tha ki, tabhi ami nimi bhi chanda mausi ke kamre se bahar aa gayi. Unhe dekh kar maine ami se puchha.
Mai bola “betu, kya tune mera laptop dekha hai.”
Ami boli “ji bhaiya, hum jab mausi ke ghar se wapas aaye to, wo laptop yahai rakha tha aur ye nimi uske sath chhed chad kar rahi thi. Isliye mai kharab hone ke dar se use aapke kamre me rakh aayi hu. Kya mai use lekar aau.”
Ami ki baat sunkar, maine muskurate huye kaha.
Mai bola “nahi rahne de. Mai upar jakar hi mehul bhaiya ko wo laptop dikha deta hu.”
Iske bad mai mehul ke sath apne kamre me aa gaya. Maine mehul ko laptop dikhaya. Iske bad mehul ghar wapas chala gaya. Mehul ke jaane ke bad, mai kapde badal kar let gaya aur fir aise hi lete lete meri nind lag gayi.
Fir meri nind 8 baje ami ke jagane par khuli. Wo kuch ghabrayi huyi lag rahi thi. Usne mujhe hila kar jagate huye kaha.
Ami boli “bhaiya jaldi utho, ghar me police wale uncle aaye hai.”
Ami ki baat sunkar, mai samajh gaya ki, pritam aaya hai. Vaani didi ne use 8 baje ghar aane ko kaha tha. Isliye maine laparwahi ke sath ami se kaha.
Mai bola “are wo vaani didi se milne aaye aur unse mil kar chale jayege. Ab tu mujhe thodi der sone de.”
Lekin ami ne meri baat ko kaatte huye kaha.
Ami boli “bhaiya, vaani didi ghar me nahi hai aur niche mummy akeli hai. Isliye mujhe dar lag raha hai. Aap jaldi se niche chalo.”
Mai bola “isme darne ki kya baat hai. Keerti aur neha bhi to niche hai na.”
Ami boli “wo dono to nimi ko lene dipti ke ghar gayi hai aur mummy ghar me akeli hai. Pichhli baar un uncle ne vaani didi ke sath kitna jyada jhagda kiya tha. Mujhe bahut dar lag raha hai. Aap jaldi se niche chalo na.”
Ami ko meri baat samajhte na dekh kar mujhe uski baat maan lena hi thik laga aur maine us se kaha.
Mai bola “chal thik hai. Mai jara muh hath dho lu. Fir tere sath niche chalta hu.”
Ami boli “thik hai, lekin jyada der mat lagana.”
Mai bola “haan, meri maa, mujhe bas 2 min de.”
Ami se itna kah kar maim uh hath dhone chala gaya. Maine jaldi se muh hath dhoya aur fir chehra sahi se kar ke niche aa gaya. Mai jab niche pahucha to, chhoti maa pritam se baat kar rahi thi.
Keerti, neha aur nimi bhi unke pas hi baithi huyi thi. Mai chhoti maa ke pas aur ami nimi ke pas jakar baith gayi. Pritam ne chhoti maa se vaani didi ke ghar wapas aane ki baat puchhi to, chhoti maa ne us se kaha.
Chhoti maa boli “vaani ghar wapas aane ka kuch bol kar nahi gayi hai. Ho sakta hai ki, aapke 8 baje ghar aane ki baat uske dimag se nikal gayi ho. Isliye behtar yahi hoga ki, aap use call karke apne yaha pahuch jaane ki baat use bata de.”
Lekin pritam ne chhoti maa ki is baat ko talte huye kaha.
Pritam bola “are mausi ji, mujhe kahi dusri jagah nahi jana hai. Madam jarur kisi kaam me fas gayi hogi. Aise unhe me unhe call karke pareshan karna thik nahi hoga. Mai yahi baith kar unke aane ka intejar kar leta hu.”
Pritam abhi bhi shayad vaani didi ke ghamndi aur gusse wale swabhav ki vajah se unhe call karne se katra raha tha. Waise bhi vaani didi ne pahli mulakat me pritam ki achi khasi khichai ki thi.
Lekin mujhe ab ye baat samajh me nahi aa rahi thi ki, jab pritam abhi bhi vaani didi se itna jyada darta hai to, fir wo dopahar me vaani didi ko apni jeep me lekar kyo ghoom raha tha.
Mai abhi pritam ki isi baat me uljha hua tha ki, tabhi bahar kisi gaadi ke rukne ki aawaj aayi. Hum sab samajh gaye ki, shayad vaani didi aa gayi hai. Sab vaani didi ke aane ka intejar karne lage.
Kuch hi der me vaani didi ghar ke andar aa gayi. Vaani didi ko dekhte hi pritam uth kar khada ho gaya aur unhe salute marne laga. Ye dekh kar vaani didi ne muskurate huye kaha.
Vaani didi boli “maine tumhe din me bhi mana kiya tha ki, ab tumko mujhe salute marne ki jarurat nahi hai. Lekin tum fir mujhe salute marne lage.”
Pritam bola “lekin madam, aap meri afsar hai aur aapko salute marne ka mera farz banta hai.”
Vaani didi boli “ye tum kaisi baat kar rahe ho. Mai bahut pahle hi apni naukri se istifa de chuki hu. Kya commissioner sahab ne abhi tak tumhe mere istife wali baat nahi batayi hai.”
Vaani didi ki is baat par pritam ne chaukte huye kaha.
Pritam bola “madam, aap ye kya kah rahi hai. Mujhe to abhi bhi apne kaano par viswas nahi ho raha hai. Subah meri commissioner sahab se aapke baare me baat jarur huyi thi.”
“Lekin un ne mujhe is baare me kuch bhi nahi bataya hai. Balki un ne to ulta mujhse aapke order ko follow karne ko kaha tha. Mujhe to abhi bhi aapki koi baat samajh me nahi aa rahi hai.”
Vaani didi boli “isme na samajh me aane wali kya baat hai. Jis din meri tumse pahli mulakat aur jhadap huyi thi. Maine usi din sham ko Mumbai jaane se pahle apni naukri se istifa de diya tha.”
“Ab mai koi CID officer nahi hu. Isliye tumhe mujhe salute karne ki koi jarurat nahi hai. Ab mai bhi baki sab logon ki tarah hi ek aam shahri hu. Tum chaho to, ab mujhe kisi bhi jurm me andar kar sakte ho.”
Vaani didi ki ye baat sunkar, pritam ne thoda sharminda hote huye kaha.
Pritam bola “madam, ye aap kaisi baat kar rahi hai. Mai aur mera parivar aapke baare me kabhi aisa soch hi nahi sakte hai. Lekin meri samajh me ye nahi aa raha hai ki, aapki har baat to, media ki surkhiyan ban jata hai.”
“Fir aapke istife ki itni badi baat abhi tak media se kaise chhupi rah gayi aur CID ke officer abhi bhi aapke order ko kyo follow kar rahe hai. Kya iski koi khas vajah hai.”
Vaani didi boli “haan, mere istife wali baat ko abhi saxena uncle ki vajah se media ke samne jahir nahi kiya gaya hai. Lekin commissioner sahab is baat ko ache se jante hai.”
“Magar saxena uncle aur commissioner sahab chahte hai ki, jab tak mujhe saupe gaye ansuljhe mamle sulajh nahi jate hai. Tab tak mai yahi rah kar un mamlo ko suljhane me unki madad karti rahu.”
“Isliye CID officer ko mere order follow karne ke liye saxena uncle ne kaha hai aur shayad commissioner sahab ne bhi isi vajah se tumhe mera order follow karne ko kaha hai.”
“Lekin ab tum aisa karne ke liye majbur nahi ho aur mai tumhe kisi baat ke liye majbur karugi bhi nahi. Ab tum meri kisi bhi baat ko manne se bejijhak hokar inkar kar sakte ho.”
Vaani didi ki baat sunkar, pritam kuch sakte me aa gaya tha aur us se kuch kahte nahi ban raha tha. Lekin unki aakhiri baat sunte hi, usne kaha.
Pritam bola “madam, aapko suru me samjhne me mujhse kuch bhool jarur huyi hai. Lekin ab mai aapki dil se ijjat karta hu. Aap mujhse kisi bhi kaam ke liye kah sakti hai. Aapke kisi bhi aadesh ka palan karne me mujhe khushi hogi.”
Pritam ki baat sunkar, vaani didi ne muskurate huye kaha.
Vaani didi boli “chalo, ye bhi dekh leti hu ki, tumhe mere aadesh ka palan karne me kitni khushi hoti hai. Aaj maine tumhe isiliye yaha bulaya hai.”
Pritam se itna kahne ke bad, vaani didi ne meri taraf dekhte huye kaha.
Vaani didi boli “punnu, meri gaadi me kuch file padi hai. Tum jakar jara un me se bharti naam ki file le aao.”
Vaani didi ki baat sunkar, mai fauran utha aur chhoti maa ki car ki taraf bad gaya. Maine car me se bharti naam ki file nikali aur vaani didi ko lakar de di. Vaani didi ne wo file pritam ko thamate huye kaha.
Vaani didi boli “ye lo, tum apni aur apne parivar ki khushiyan sambhalo.”
Vaani didi ki baat sunkar, pritam ne chaukte huye kaha.
Pritam bola “madam, ye aap kya kah rahi hai. Mai kuch samjha nahi.”
Pritam ki is baat par vaani didi ne kuch jyada hi jor se hanste huye kaha.
Vaani didi boli “pritam, tum kuch jyada hi nasamajh ho. Tumhe har baat khul kar samjhana padti hai. Are jab mai apne parivar ke sath tumhare ghar gayi thi. Tab maine koyal aur payal se ek vada kiya tha.”
“Maine un se vada kiya tha ki, mai apne jaane ke pahle tumhara aur tumhare parivar ka khoya hua maan samman lauta kar jaugi. Bas ye file meri taraf se tumhare aur tumhare parivar ke liye wahi bhent hai.”
Vaani didi ki ye baat sunkar, pritam hairani se pahle vaani didi ko fir us file ko dekhne laga. Kuch der tak file ke panne palat kar dekhne ke bad, usne vaani didi se kaha.
Pritam bola “lekin madam, is mamle ko to aapne apni mehnat se suljhaya hai. Is par sirf aapka hi adhikar banta hai. Mai bhala is par apna adhikar kaise jata sakta hu.”
Vaani didi boli “haan, tumhari ye baat sahi hai ki, is mamle ko maine suljhaya hai aur mai kisi bhi mamle ko puri tarah se suljhane me hi yakin rakhti hu. Fir chahe use suljhane me mujhe koi galat tarika hi kyo na istemal karna pade.”
“Aise hi ye mamla tabhi sahi tarike se sulajh sakega. Jab tumhe tumhara khoya hua maan samman fir se wapas milega aur mera koyal payal se is baat ke liye kiya gaya vada pura hoga.”
Vaani didi ki ye baat sunkar, pritam soch me pad gaya aur fir usne apni duvidha jahir karte huye kaha.
Pritam bola “lekin madam, mai aisa kaise kar sakta hu.”
Vaani didi boli “are abhi thodi der pahle hi to, tumne mere har aadesh ka palan karne ki baat kahi thi aur ab mera aadesh palan karne ke liye itna soch rahe ho.”
Vaani didi ki ye baat sunkar, pritam ke chehre par muskurahat aa gayi aur unse vaani didi ki baat par apni sahmti dete huye kaha.
Pritam bola “thik hai madam, mai aapke is aadesh ka palan jarur karuga.”
Pritam ki is baat par vaani didi ne muskurate huye kaha.
Vaani didi boli “lekin abhi tumhe kuch samay ke liye is file ko apne pas daba kar rakhna hai aur jo file tumhe kal manik dega, us par tumhe is mamle ko aage badana hai.”
Vaani didi ki is baat par pritam ne thoda chaukte huye kaha.
Pritam bola “lekin madam, us file me aisa kya hai.”
Pritam ki baat sunkar, vaani didi use kal saupi jaane wali file ke baare me batane lagi. Jise sunkar pritam ke pasine chhutne lage. Lekin mere to kaan se hi dhuan nikalne laga.
Aisa hi kuch haal neha aur keerti ka bhi tha. Wo dono bhi fati fati aankhon se vaani didi ko dekh rahi thi. Wahi vaani didi ki is baat ko sunne ke bad chhoti maa kuch jyada hi pareshan najar aane lagi thi.
Vaani didi ki baat sunkar, waha par maujud sabhi logon ke chehre ki hawaiyan udh rahi thi. Lekin ami nimi ke upar is baat ka ulta hi asar pada tha. Wo dono vaani didi ki ye baat sunne ke bad, kuch jyada hi khush najar aa rahi thi.
______________________________
Very nice n AwesomeKo To Rok Lo {Update - 240}
____________________________
Akash uncle ki baton me neha ke liye chhupe dard ne kuch pal ke liye hum sabko bhavuk karke rakh diya tha. Fir vaani didi ne is mahaul ko halka banane ki koshish karte huye uncle se kaha.
Vaani didi boli “uncle, apne aapko sambhaliye. Ye neha ki khushkismati hai ki, use aap jaise pyar karne wale pita mile hai. Aapke rahte neha ko kabhi koi dukh ki parchhai chhu bhi nahi sakti hai.”
Vaani didi ki baat sunkar, akash uncle ne khud ko sambhalte huye kaha.
Akash uncle bole “haan beta, mai bhi yahi chahta hu ki, meri betiyan hamesha khush rahe. Maine aaj hi priya ke liye ek nayi car kharidi hai. Kuch hi din bad neha bhi ghar aa jayegi.”
“Fir dono bahne usi car me sath sath ghooma karegi. Un dono ka school bhi ek hi hai. Dono usi car me apne school bhi jaya karegi. Mai apni betiyon ko kabhi kisi baat ki koi kami nahi hone duga.”
Akash uncle ki ye baat sunkar, hum sabke chehre par muskurahat aa gayi. Wo abhi office se ghar ke liye nikalne wale the. Isliye vaani didi ne unse thodi bahut baat karne ke bad call rakh diya.
Hume laga tha ki, vaani didi ab neha ko kuch samjhayegi. Lekin un ne fir se ek number laga kar mobile ko speaker par kar diya. Dusri taraf se riya ne call uthte hi kaha.
Riya boli “hello didi, kaisi hai aap.”
Vaani didi boli “mai achi hu. Tum sunao, tum kaisi ho.”
Riya boli “mai bhi achi hu didi. Lekin ami nimi ke yaha se chale jaane ki vajah aaj bahut khali khali sa lag raha hai. Hum logon ko unki pyari pyari baten sunne ki aadat si ho gayi hai.”
Riya ki ye baat sunne ke bad maine ami nimi ki taraf dekha to, riya ki ye baat sunte hi, nimi ke chehre par muskurahat khil uthi. Wahi ami bhi kaan laga kar bade dhyan se riya ki baat sunne me lagi huyi thi.
Lekin shayad vaani didi ami nimi ko kuch aur hi baat sunana chahti thi. Isliye un ne riya ki is baat ko sunne ke bad, us se ami nimi ki harkat ki burayi karte huye kaha.
Vaani didi boli “mere samne to un dono shaitano ka naam bhi mat lo. Waha par priya bimar thi aur wo dono pure samay mumbai hi ghumne me lagi huyi thi.”
Vaani didi ki is baat ko sunne ke bad, riya ne ami nimi ka bachav karte huye un se kaha.
Riya boli “aisi baat nahi hai didi. Pirya ko to khud is baat afsos ho raha hai ki, ami nimi pahli baar mumbai aayi thi aur wo apni tabiyat ki vajah se na to unhe mumbai ghuma payi aur na hi unke sath jyada samay bita payi.”
“Abhi jab use pata nahi hai ki, ami nimi uski bahan hai to, use is baat ka itna jyada afsos ho raha hai. Yadi use is baat ka pata chal jaye ki, ami nimi uski bahan hai to, aap khud hi sochiye ki, use is baat ka kitna afsos hoga.”
Vaani didi boli “haan, ye baat to hai. Priya ami nimi ko bahut jyada pasand karti hai. Mujhse bhi usne jataya tha ki, agli baar jab punnu mumbai aaye to, mai uske sath ami nimi ko bhi jarur bheju.”
“Isliye maine Sunday ko hetal ki hone wali surgery ke liye punnu ke sath sath ami nimi ko bhi mumbai jaane ki ijajat de di hai. Priya se kahna ki ab dil khol kar ami nimi se mil le.”
Vaani didi ki ye baat sunkar, riya ne khush hote huye kaha.
Riya boli “kya ye sach hai didi. Ami nimi kab mumbai aa rahi hai.”
Vaani didi boli “haan ye bilkul sach hai. Punnu aur ami nimi Saturday ko mumbai pahuch rahe hai.”
Vaani didi ki ye baat sunkar, riya ne kuch sochte huye dhire se kaha.
Riya boli “didi, ek baat puchhu.”
Vaani didi boli “haan, puchho.”
Riya boli “didi, wo neha kab mumbai wapas aa rahi hai.”
Riya ki baat sunkar, vaani didi ne muskurate huye kaha.
Vaani didi boli “kyo, kya neha ki bahut yaad aa rahi hai.”
Riya boli “haan didi, jab se mujhe pata chala hai ki, neha meri chhoti bahan hai. Tab se mera man uske sath samay bitane ko kar raha hai. Lekin use to humari koi fikar hi nahi hai. Wo to aaram se waha jakar baithi huyi hai.”
Riya ki ye baat sunkar vaani didi ne hanste huye kaha.
Vaani didi boli “aisi baat nahi hai. Neha ko dushyant mausa ji ne bade pyar se pala hai aur aaj jab unke upar musibat aayi to, neha ka bhi unke liye kuch farz banta tha. Neha apne usi farz ko nibhane ke liye yaha padi huyi hai.”
Vaani didi ki ye baat sunkar, riya ne bhi garv mehsus karte huye kaha.
Riya boli “haan didi, mujhe bhi neha ki ye baat bahut achi lagi ki, usne dushyant mausa ji ki vajah se itne saal tak apne parivar se door rah kar na jaane kitni musibaten jheli hai.”
“Iske bad bhi usne dushyant mausa ji se kisi baat ki koi shikayat nahi ki aur aaj bhi unki apne pita ki tarah hi ijjat karti hai. Mujhe apni chhoti bahan ki is baat par bahut naz hai aur mera dil use gale lagan eke liye karta hai.”
Riya ki is baat par vaani didi ne muskurate huye kaha.
Vaani didi boli “tum bahut jaldi hi apni bahan ko apne gale se laga paogi. Kyoki Saturday ko punnu logon ke sath neha bhi mumbai aa rahi hai.”
Vaani didi ki is baat par riya ne chahakte huye kaha.
Riya boli “kya sach didi. Kya waha sab kuch thik ho gaya hai.”
Vaani didi boli “haan, ye sach hai. Yaha sab kuch thik ho gaya hai. Maine yahi baat tumko aur aunty ko batane ke liye call kiya hai.”
Riya boli “didi, ek min rukiye. Mai abhi mummy ko call deti hu. Aap khud hi ye baat unko bata dijiye.”
Is baat ke bad riya ki aawaj aana band ho gayi. Wo shayad phone lekar padmini aunty ke pas ja rahi thi. Kuch der bad hume phone par padmini aunty ki aawaj sunayi di.
Padmini aunty boli “haan vaani bolo, ye riya bol rahi hai ki, tum mujhe koi khushkabri sunana chahti ho.”
Vaani didi boli “ji aunty, maine aapko ek khushkhbari sunane ke liye hi call kiya hai. Khushkhabri ye hai ki, yaha sab thik ho gaya hai aur neha Saturday ko mumbai wapas aa rahi hai.”
Vaani didi ki ye baat sunkar padmini aunty ne bahut jyada khushi jahir karte huye kaha.
Padmini aunty boli “vaani, ye to tumne sach me bahut badi khushi ki khabar sunayi hai. Meri bachchi apne ghar wapas aa rahi hai.”
Lekin padmini aunty is se aage kuch bhi na bol payi aur unki aankhon ne chhalakna suru kar diya. Riya unke pas hi khadi thi to, wo unhe sambhalne ki koshish karne lagi.
Riya ki baton se hum logon ko bhi waha ke is samay ke mahol ka aehsas ho raha tha. Apni mummy ki aisi halat dekh kar neha ki aankhen bhi puri tarah aansuon se bheeg chuki thi.
Kuch der tak vaani didi phone par hello hello kahti rahi. Fir kuch der bad unhe wapas padmini aunty ki aansu bhari aawaj sunayi di to, un ne padmini aunty ko samjhate huye kaha.
Vaani didi boli “kya aunty, maine to aapko khushkhabri sunane ke liye call lagaya tha. Lekin aapne to khud bhi rona suru kar diya aur yaha neha ko bhi rula kar rakh diya hai.”
Neha ka naam sunte hi, padmini anuty ne khud ko sambhalte huye kaha.
Padmini aunty boli “kya neha tumhare pas hai. Kaisi hai meri bachchi.”
Ye kahte huye ek baar fir hume padmini aunty ke aansu bahne ka aehsas hone laga tha. Padmini aunty ki ye halat dekh kar, unko shant karwane ke liye vaani didi ne neha ko call pakda diya.
Lekin yaha neha ki halat bhi bahut kuch padmini anuty ki tarah hi thi. Uski aankhen bhi puri tarah se aansuon se bheegi huyi thi. Wo vaani didi se phone lene ke bad phone par sirf itna hi kah payi.
Neha boli “mummy….”
Neha ke muh se mummy sunkar, use bilkahte dekh kar padmini aunty ne khud ko sambhalte huye kaha.
Padmini aunty “meri bachchi, kaisi hai tu. Tere muh se is ek shabd ko sunne ke liye mere kaan kab se taras rahe the.”
Neha boli “mummy…”
Lekin neha iske aage fir se kuch nahi bol payi aur uski aankhon se barsat hone lagi. Kuch der tak neha mummy mummy kah kar roti rahi aur padmini aunty use sambhalti rahi.
Fir vaani didi ne neha ko shant karaya aur padmini aunty ko neha ke mumbai wapas aane ki baat bata kar call rakh diya. Lekin neha ke aansu abhi bhi thamne ka naam nahi le rahe the. Ye dekh kar vaani didi ne us se kaha.
Vaani didi boli “tumne apne mummy papa aur bahan ki halat to apni aankhon se dekh hi li hai. Iske bad bhi yadi tum chaho to, mai tumhe tumhare dada ji aur bhai ki bhi aisi hi halat dikha sakti hu.”
Lekin neha ne vaani didi ko aisa karne se rokte huye kaha.
Neha boli “nahi didi, mujhe ab kisi ki bhi halat nahi dekhni hai. Mere andar unke dard ka samna karne ki takat hi nahi hai. Mai apne parivar walon ko bahut galat samjhi thi. Lekin ab mujhe apni is galti ka ache se aehsas ho gaya hai.”
Itna kahne ke bad, neha ne ek baar fir se aansu bahana suru kar diya. Vaani didi ne pyar se neha ko apne gale se laga liya aur use chup karate huye is baare me samjhane lagi.
Abhi vaani didi neha ko is baare me samjha hi rahi thi ki, tabhi chanda mausi ne sabko niche aane ke liye aawaj laga di. Wo sabko khana khane ke liye niche aane ko kah rahi thi.
Chanda mausi ki aawaj sunkar, vaani didi ne sabse niche chalne ko kaha aur khud muh hath dhone apne kamre me chali gayi. Vaani didi ke jaane ke bad, keerti ko chhod kar baki sab niche chale gaye.
Mujhe laga tha ki, keerti shayad mujhse valentines day ke gift ke baare me baat karne ke liye ruk gayi hai. Lekin keerti ne mujhse neha ke baare me baat karte huye kaha.
Keerti boli “neha ko dushyant mausa ji ki galti ki vajah se kitni takleef uthana pad rahi hai na.”
Mujhe bhi keerti ki ye baat bilkul sahi lagi. Isliye maine uski is baat ka samarthan karte huye kaha.
Mai bola “haan, tu bilkul thik kah rahi hai. Ek taraf priya ke liye car aa rahi hai to, dusri taraf neha ko laptop aur scooty jaisi chhoti chhoti chijon ke liye bhi tarasna pad raha hai.”
Keerti boli “chalo koi baat nahi. Use thodi din ki pareshani aur jhelna hai. Iske bad wo bhi apne ghar walon ke sath khushi khushi rah sakegi. Waise ek baat to hai ki, neha bhi apni bahan riya ki tarah bahut sundar aur sexy hai.”
Mai bola “haan, teri ye baat bilkul sahi hai. Neha par bilkul riya ki hi chhap padi hai aur wo riya jitni hi sundar hai.”
Keerti boli “nahi, neha riya se bhi jyada sundar aur sexy dikhti hai. Neha ki neeli aankhen use riya se bhi jyada sundar aur sexy banati hai.”
Keerti ki is baat par maine muskurate huye kaha.
Mai bola “haan, haan, neha riya se bhi jyada sundar aur saxy hai. Ab khush ya abhi aur jyada neha ki tarif karu.”
Meri baat sunkar keerti khilkhila kar hasne lagi. Tabhi mujhe neha ki neeli aankhon ke upar se anu mausi ki baat yaad aa gayi aur maine is baat ka keerti se jikar karte huye kaha.
Mai bola “neha ki neeli aankhon ke upar se abhi abhi mujhe anu mausi ki kahi ek baat yaad aayi. Shayad tujhe is baat ke baare me pata nahi hai.”
Meri baat sunkar, keerti hairani se meri taraf sawaliya najro se dekhne lagi. Maine apni is baat aage badate huye kaha.
Mai bola “jis din tu chhoti maa ke sath priya ko dekhne mumbai gayi thi. Us din anu mausi ne baton baton me mujhe aur mehul ko bataya tha ki, ek accident me chhoti maa ki aankhon ki roshni chali gayi thi. Tab meri mummy ne unhe apni aankhe dekar, unki andheri jindgi ko fir se roshan banaya tha.”
Keerti hairani se meri is baat ko sun rahi thi. Is se pahle ki wo mujhse is baare me koi sawal kar pati. Usi samay fir se chanda mausi ne use aawaj laga di aur wo mujhse is baare me bad me baat karne ki baat kah kar niche chali gayi.
Keerti ke jaane ke bad, maine priya wala mobile nikala aur usme naya sim card dalne ke bad priya ko call laga diya. Lekin mere do teen baar call lagane ke bad bhi priya ne mera call nahi uthaya.
Wo shayad anjan number dekh kar mera call nahi utha rahi thi. Ye baat dimag me aate hi, mai use apne wale mobile se call lagane ko hua. Usi samay vaani didi niche jati huyi dikhayi di.
Wo shayad jab hum log laptop dekh rahe the. Us samay apne kamre me gayi thi aur ab niche khana khane ja rahi thi. Un ne mujhe kamre me baithe dekha to, wo niche na jakar mere pas aa gayi aur mujhse puchha.
Vaani didi boli “kya hua.? Tum abhi tak yahi kyo baithe huye ho. Kya tum niche khana khane nahi chal rahe ho.”
Vaani didi ki ye baat sunkar, mai thoda saham gaya. Kyoki unki aadat kisi bhi baat ki jad tak pahuchne ki thi. Isliye maine badi sawdhani se unki is baat ka jabab dete huye kaha.
Mai bola “didi, mai to raat ka khana roj apne kamre me hi khata hu.”
Meri is baat par vaani didi ne thoda chaukte huye kaha.
Vaani didi boli “lekin, maine to tumhe hamesha raat ka khana sabke sath hi khate dekha hai.”
Mai bola “wo didi, aapki vajah se mai kuch din se sabke sath khana kha raha tha. Warna mai raat ka khana apne kamre me hi khata hu. Abhi kuch hi der me mera khana upar aa jayega.”
Abhi mai itna hi bol paya tha ki, tabhi keerti mera khana lekar aa gayi. Vaani didi ne ye sab dekha to, thoda gusse me mujhse puchha.
Vaani didi boli “ye sab kya chal raha hai. Tumhe niche sabke sath baith kar khana khane me pareshani kya hai.”
Vaani didi ki is baat ka mere pas koi jabab nahi tha. Mujhe samajh me nahi aa raha tha ki, ab mai unhe kya jabab du. Wahi jab keerti ne vaani didi ko mujh par gussa karte dekha to, usne mera khana table par rakhte huye vaani didi se kaha.
Keerti boli “didi, aap is se ye sab baten bad me pata kar lena. Abhi aapko apni flight bhi pakadna hai. Isliye aap pahle niche chal kar khana kha lijiye. Warna aapko flight pakadne me der ho jayegi.”
Keerti ki baat sunkar, vaani didi ne gusse me meri taraf dekhte huye kaha.
Vaani didi boli “mai tumse is baare me khan eke bad baat karti hu.”
Itna kak kar vaani didi niche chali gayi. Aaj yadi keerti mere pas na hoti aur yadi aaj vaani didi ko apni flight na pakadni hoti to, aaj is baat ko lekar meri shamat aana pakki thi.
Meri samajh me nahi aa raha tha ki, ab mai vaani didi ko apne niche khana na khane ki kya vajah batau. Mai abhi isi uljhan me uljha hua tha ki, tabhi keerti ne mujhe tokte huye kaha.
Keerti boli “abhi to maine vaani didi ko tumse ye baat puchhne se rok liya hai. Lekin wo dobara tumse is baare me sawal jabab jarur karegi.”
Mai bola “haan, ye to mai bhi janta hu. Lekin ab meri samajh me ye nahi aa raha hai ki, mai unhe is baat par apni kya safayi du.”
Keerti boli “meri maano to, tum unhe sab kuch sach sach bata do. Wo tumhare baare me tumse jyada hi janti hai. Wo is baare me job hi faisla legi, tumhari bhalai ke liye hi hoga. Isliye unse kuch mat chhupao.”
Itna kah kar keerti khana khane ke liye niche chali gayi. Lekin uski is baat ne mujhe soch me daal diya tha. Mujhe samajh me nahi aa raha tha ki, mai vaani didi se is baat ko kaise kahu.
______________________________
Nice updateKo To Rok Lo {Update - 0260}____________________________Mai bola “tum dono ka Mumbai baat karna ho gaya hai ya abhi tum logon ko priya se bhi baat karke waha ka bhi haal chaal lena hai.”Meri baat sunkar, ami ne kaha.Ami boli “nahi bhaiya, humara Mumbai baat karna ho gaya hai. Hum log niche ja rahe hai. Aap jaldi niche aana.”Ye kah kar ami niche jaane ke liye uth kar khadi ho gayi. Use niche jaane ke liye khada hote dekh kar nimi bhi uth kar khadi ho gayi. Fir dono mujhe jata kar niche chali gayi.Mai ami ki aaj ki harkat ka matlab samajh gaya tha. Use aaj Mumbai me huye hadse ki vajah se waha shikha didi, barkha didi, nisha bhabhi, seeru didi, selu didi aur aru in sab ki chinta thi. Isliye usne inhe call karke inka haal chaal puchha.Lekin priya ke liye uske dil me jara bhi jagah nahi thi. Isliye usne priya se baat karke uska haal chaal lene ki koi jarurat nahi samjhi. Yaha tak ki priya ki vajah se usne nikki se bhi baat karna jaruri nahi samjha tha.Abhi ami nimi ek baar fir Mumbai jaane wali thi aur ami ka samna ek baar fir priya se hone wala tha. Priya ki tabiyat is baar bilkul sahi thi aur wo ami nimi ke sath samay bitane ki koshish kar sakti thi.Lekin wo ye nahi janti thi ki, ami nimi uski bahan hai. Jisme se ami priya ko jara bhi pasand nahi karti hai. Ami nimi dono shikha didi aur barkha didi ke itne karib hai ki, unhe Mumbai me kisi bhi baat ke liye priya ki jarurat hi nahi padni hai.Kabhi yadi ye baat priya ke samne khulti hai ki, ami nimi uski bahan hai to, us samay use ami ke bartav se thes pahuchna bhi lagbhag tay chal raha hai. Ami is baat ke liye puri tarah se taiyar chal rahi hai.Khair ye sab mere man ka vaham bhi ho sakta tha. Bas yahi baat soch kar maine apna mobile uthaya aur nikki ko call laga diya. Nikki ne mera call uthate huye kaha.Nikki boli “mumbai me itna bada hadsa ho gaya hai aur tumhe ab mujhse baat karne ka samay mil raha hai.”Nikki ki baat ko sunkar, maine is baat me use apni safayi dete huye kaha.Mai bola “aisi baat nahi hai, mujhe keerti se tumhara haal chaal pata chal gaya tha. Lekin yaha par juhi didi ki shadi me jaane ki chal rahi taiyariyon ki vajah se mujhe tumhe call karne ka samay nahi mil saka.”Meri baat sunkar bhi nikki ka gussa shant nahi hua. Usne fir mujhe khari khari baten sunate huye kaha.Nikki boli “tumne shadi me jaane wali baat bhi mujhe kaha batayi. Ye to mujhe aaj jab keerti ne mujhe call kiya tha. Usi samay usne mujhe bataya tha ki, aaj sab log do teen din ke liye shadi me jaane wale hai.”“Tab hi maine puchha ki, kya tum bhi shadi me ja rahe to, tab usne kaha ki, haan tum bhi sabke sath shadi me ja rahe ho. Yadi aaj meri keerti se baat nahi huyi hoti to, mujhe to is baare me pata hi nahi chalta.”Nikki ki baat sunkar, maine fir apni baat ki safayi dete huye kaha.Mai bola “kaise pata nahi chalta. Jab bhi mai tumhe call karta, mai tumhe is baare me bata hi deta. Acha ab ye to batao, waha par sab kaise hai.”Apni baat ki safayi dene ke bad, mai baat ko badalne laga. Lekin meri ye baat sunkar nikki ne ek shayari kahte huye kaha.Nikki boli “Ek Tum Ho Jise Har Koi Bha Jata Hai.Ek Tum Ho Jise Har Koi Yaad Aata HaiLekin Ek Hum Jise,Tumhare Siwa Kuch Bhi Yaad Nahi Aata Hai.”Nikki ki is shayari ka matlab mai achi tarah se samajh gaya tha. Fir bhi maine is se anjan bante huye kaha.Mai bola “is shayari ka matlab kya hai.”Nikki boli “jyada bano mat, tum ache se jante ho ki, ye shayari maine tumhare upar hi boli hai. Abhi meri tumse ek do baat bhi ache se nahi huyi aur tum mujhe chhod kar baki sab ka haal puchhne lage.”Nikki ki ye baat sunkar, maine hanste huye kaha.Mai bola “aisi baat nahi hai, kaho tumhe mujhse kya baat karni hai. Mai tumse baat karne ke liye bilkul free hu.”Meri baat sunkar, nikki ne hanste huye kaha.Nikki boli “nahi aisi koi baat nahi hai. Lekin jab tumne mujhse baat karne ke liye call lagaya tha to, kam se kam mere haal chaal to puchh lena chahiye tha. Fir kisi aur ke baare me baat karna chahiye tha.”Nikki ki baat sunkar, maine kaha.Mai bola “chalo thik hai, ab aage se aisa hi hoga. Ab ye batao, priya kaha hai aur ghar ke baki log kya kar rahe hai.”Nikki boli “mai to apne kamre me aaram kar rahi thi. Priya aur ghar ke baki log drawing room baithe baten kar rahe hai. Mai bhi unke sath hi thi. Kuch der pahle hi apne kamre me aayi thi. Tum batao, tumne call kaise kiya.”Mai bola “mumbai me ye sab sunkar, tum sabka haal janne ke liye hi call kiya tha. Socha pahle tunhe call kar lu. Fir priya se baat kar luga.”Nikki boli “ye to tumne bahut acha kiya. Tumse baat karne me sirf mai hi hamesha baki rah jati hu.”Nikki ki baat sunkar, maine kaha.Mai bola “janta hu, lekin ab aage se aisa nahi hoga.”Nikki boli “chalo thik hai. Ab ye batao, hetal didi ki surgery par aane ki tumhari taiyari ho gayi ya nahi huyi hai.”Mai bola “abhi kaha, abhi to hum log juhi didi ki shadi me ja rahe hai. Jab waha se lautege, tab is baare me sahi se pata chalega. Lekin hum logon ka waha aana pakka hai.”Nikki boli “ye to bahut achi baat hai. Priya ki bhi tabiyat ab sahi hai. Tum aaoge to, bahut maja aayega.”Nikki ki baat sunkar, maine us se kaha.Mai bola “wo to hai, lekin ami nimi bhi mere sath waha rahegi. Tum ami ke baare me to janti hi ho ki, wo priya ko pasand nahi kar rahi hai.”Nikki boli “tum chinta mat karo. Is baar priya ki tabiyat sahi hai. Priya ko nahi malum hai ki, ami ke man me kya chal raha hai. Lekin tumhari vajah se wo khud ami nimi ko sambhal legi.”Mujhe kuch had tak nikki ki ye baat sahi lagi. Isliye maine nikki se kaha.Mai bola “tum kah to thik rahi hu. Chalo dekhte hai, is baar priya aur ami nimi ka aapas me milna kaisa rahta hai.”Nikki boli “tum fikar mat karo, mai rahugi na, un logon ke sath, mai unhe kuch bhi gadbad nahi karne dugi.”Nikki ki baat sunkar, maine hanste huye kaha.Mai bola “chalo ye bhi dekh liya jayega. Ab yadi tumhara baat karna ho gaya ho to, kya mai call rakh sakta hu.”Meri baat sunkar, nikki ne hanste huye kaha.Nikki boli “haan, mera baat karna ho gaya hai. Tum aaram se mera call rakh sakte ho.”Nikki ki baat sunkar, maine kaha.Mai bola “ok, bye.”Nikki boli “bye.”Iske bad maine call kaat diya aur fir priya wala mobile utha kar priya ko call laga diya. Mera call jar aha tha lekin priya call utha nahi rahi thi. Magar kuch hi der bad priya ne mera call uthate huye kaha.Priya boli “haan, bolo.”Mai bola “kaha ho tum.”Priya boli “apne kamre me.”Mai bola “lekin tum to niche sabke sath baithi thi.”Meri baat sunkar priya ne khilkhilate huye kaha.Priya boli “hahaha, mai niche hi sabke sath baithi thi. Tumhara call aate dekha to, fauran apne kamre me aa gayi.”Mai bola “acha, ye batao, ab tumhari tabiyat kaisi hai.”Meri baat sunkar, priya ne jabab dete huye kaha.Priya boli “ab meri tabiyat pahle se bahut achi hai.”Mai bola “aur Mumbai ka kya haal hai.”Priya boli “kya tumne mere pahle nikki ko call kiya tha.”Mai priya ki is baat ka matlab samajh gaya tha. Fir bhi maine anjan bante huye kaha.Mai bola “tumne aisa kyo puchha.”Priya boli “hey jyada bano mat. Abhi abhi tumne mujhse kaha tha ki, mai to niche sabke sath baithi thi, fir mai apne kamre me kaise aa gayi. Is samay nikki hi waha niche humare sath nahi hai. Iska matlab saaf hai ki, tumne mujhse pahle nikki ko call kiya tha aur us se hi tumhe pata chala hai ki, mai niche sabke sath baithi hu.”Mai bola “haan, baat to tumhari sahi hai. Maine tumse pahle nikki ko call kiya tha. Usne hi bataya tha ki, tum niche sabke sath baithi ho.”Meri baat sunkar, priya ne gussa hote huye kaha.Priya boli “tumne aisa kyo kiya. Nikki ke pahle tumhe mujhe call lagana chaiye tha na.”Priya ki baat sunkar, maine use samjhate huye kaha.Mai bola “aisa maine isliye kiya, kyoki yadi mai pahle tumse baat karta to, mujhe tumse baat karne me samay lag jata aur fir meri nikki se baat nahi ho pati. Isliye maine tumhe call lagane se pahle nikki ko call laga kar us se baat ki aur fir tumhe call lagaya.”Meri baat sunkar, priya ne mujh par gussa karte huye kaha.Priya boli “maine tumhe pahle hi kaha tha ki, yaha mumbai me tum sabse pahle mujhe call lagaoge. Uske bad hi tum kisi aur se baat karoge. Mumbai me sabse pahle mai tumse baat karugi aur sabse aakhiri me bhi mai tumse baat karugi.”“Ab mera naya mobile chalu ho gaya hai to, tumhe aisa karne me koi problem nahi hona chahiye tha. Sachs ach batao, tumne mere pahle Mumbai me kis kis ko call laga kar baat ki hai.”Priya ki baat sunkar, mai saham gaya. Kyoki mai to shikha didi ke yaha sabhi se baat kar chuka tha. Isliye maine apni baat par parda dalte huye kaha.Mai bola “are, mai Mumbai me shikha didi aur barkha didi se roj tumse pahle baat karta hu. Yadi maine aaj bhi unhe tumse pahle call laga liya to, kya bura kiya.”Meri baat sunkar, priya ne gusse me puchha.Priya boli “shikha didi aur barkha didi ke alawa tumne aur kis kis se baat ki hai.”Priya ki baat sunkar, maine ek ek karke priya ko unke naam ginana suru kiye jinse priya ke pahle mai baat kar chuka tha. Maine priya ko unke naam batate huye kaha.Mai bola “maine nikki ke pahle barkha didi ko call lagaya tha. Waha par meri barkha didi, shikha didi, nisha bhabhi, seeru didi, selu didi aur aru se baat huyi hai.”Meri baat sunkar, priya ne mujh par gussa karte huye kaha.Priya boli “mai tumhare call ka kab se intejar kar rahi thi aur tum aaram se sab se baat karne me lage huye the.”Priya ki is baat ke jabab me mujhse kuch kahte nahi bana. Meri samajh me nahi aa raha tha ki, mai priya ko kaise samjhau ki, ye sab call karna mere liye kitne jyada jaruri the. Fir bhi in baton se priya ka dil nahi dukhaya ja sakta tha.Abhi mai isi baat ko soch raha tha ki, tabhi keerti kamre me aa gayi. Usne mere hath me priya wala mobile dekha to, wo samajh gayi ki, is samay mai kis se baat kar raha hu.Ye baat samajh me aate hi, keerti muskurate huye mere pas aakar baith gayi. Mere pas aakar baith kar usne hands free uthayi aur meri taraf bada di. Mai uski is harkat ka matlab samajh gaya tha.Maine mobile me hands free lagayi to, keerti ne apne ek kaan me hands free laga li maine bhi apne kaan me hands free laga li. Iske ke bad maine priya ke samne apni baat rakhte huye kaha.Mai bola “ab to mujhse ye galti ho gayi hai. Ab tum hi batao, mai is se kaise bahar nikal sakta hu.”Meri baat sunkar, priya ne kaha.Priya boli “galti to tumne ki hai. Fir bhi aaj tumhari is galti ko mai maaf kar de rahi hu. Lekin vaada karo ki, aaj ke bad jab bhi tum Mumbai me kisi ko call karoge, us se pahle mujhse baat karoge aur sabse aakhiri me to roj meri tumse baat ho hi jaya karegi.”Priya ne mere samne bahut hi mushkil vaada karne ki baat rakh di thi. Mujhe samajh nahi aa raha tha ki, mai use kaise samjhau ki, Mumbai me mera kis kis se baat karna kitna jaruri hai. Fir bhi priya ke samne maine apni baat rakhte huye kaha.Mai bola “priya, kya tum janti ho, mujhe roj Mumbai me kis kis se baat karna padti hai aur ye baat karna mere liye kitna jaruri rahta hai.”Meri baat sunkar, priya ne kaha.Priya boli “haan, mujhe malum hai. Tum Mumbai me roj kis kis se baat karte ho. Tumhari barkha didi, shikha didi aur nikki se roj hi baat hoti rahti hai. Sath barkha didi se baat karte karte tumhari nisha bhabhi, seeru didi, selu didi aur aru se bhi baat hoti rahti hai.”“Lekin inse to tum raat ko khane ke samay par baat karte ho. Jabki nikki se tumhari kisi bhi samay par kisi bhi kaam se baat ho jati hai. Iske alwa tumhari riya didi se bhi baat hoti rahti hai.”Priya ki baat sunkar, maine use samjhate huye kaha.Mai bola “jab tum janti ho ki, Mumbai me mai kitne saare logon se baat karta hu aur sabka mujhse baat karne ka samay bhi tay nahi hai. Aise me mai tumse sabse pahle baat kaise kar sakta hu.”Priya boli “isme mushkil kya hai, tum roj subah uthte hi mujhe call laga diya karna. Tumhari sabse pahle mujhse baat ho jaya karegi. Fir tum aaram se Mumbai me kisi se bhi baat karte raha karna.”Priya ki baat sunkar, maine us par gussa karte huye kaha.Mai bola “tum pagal ho kya. Mai yadi subah uthte hi tumhe call laga kar tumse baat karuga to, apne school kab jauga.”Mujhe priya par is tarah se gussa karte dekh, keerti muh par hath rakh kar hasne lagi. Lekin jab priya ne meri baat suni to, mujh par hi ulta gussa karte huye kaha.Priya boli “tumhari problem kya hai. Ek to tumhe khud nahi malum ki, tum sabse pahle mujhse kaise baat karoge. Upar se jab mai tumhe iska rasta bata rahi hu to, tum mujh par gussa kar rahe ho. Iska matlab to saaf hai ki, tum sabse pahle mujhse baat hi karna nahi chahte ho.”Priya ko is tarah se gussa karte dekh kar, mujhe samajh me nahi aa raha tha ki, mai use kaise samjhau. Tabhi keerti ne dhire se mere kaan me ek baat kahi. Jise sunkar maine priya se kaha.Mai bola “mere pas iska ek rasta hai, yadi tum sahi samjho to, is se tumhari sabse pahle mujhse baat karne ki problem ka hal ho jayega.”Meri baat sunkar, priya ne utsukta se puchha.Priya boli “kya.”Mai bola “subah jis bhi samay chaho, tum mujhe call laga sakti ho. Mujhe tumse subah kisi bhi samay baat karne me koi problem nahi hogi.”Ye kah kar mai priya ke jabab ka intejar karne laga. Mujhe laga tha ki, keerti ka bataya ye rasta jarur mere kaam aayega. Lekin aisa nahi hua. Priya ne aisa karne se saaf inkar karte huye kaha.Priya boli “mai tumhe kyo call lagau. Tumhara yaha sabse baat karna jaruri hai. Tum unhe khud samay nikal kar call lagate ho. Aise hi tumhe samay nikal kar mujhe bhi call lagana hi padega.”Priya ki ye baat sunkar, keerti ne dhire se mere kaan me kaha.Keerti boli “tumhari bahan, phone hi phone me tumhari jaan nikal kar rahegi. Magar tum darna mat, mai uske sath hu.”Ye kah kar keerti muh par hath rakh kar hasne lagi aur mai use gusse me dekhne laga. Udhar jab priya me mujhe apni baat ka koi jabab dete nahi dekha to, mujhse puchha.Priya boli “tum itna soch kya rahe ho. Sidha sa jabab do na. Tumhe sabse pahle mujhse baat karni hai ya nahi.”Priya ki baat sunkar, maine us kaha.Mai bola “ok, mai Mumbai me sabse pahle tumse hi baat kiya karuga. Ab to khush.”Meri baat sunkar priya ne meri baat ka jabab dete huye kaha.Priya boli “haan, mai bahut khush hu.”Priya ki ye baat sunkar, mai hairani se keerti ki taraf dekhne laga. Ye dekh kar keerti ne dhire se mujhse puchha.Keerti boli “kya hua. Kis baat par itna hairan ho.”Keerti ki baat sunkar, maine dhire se us se kaha.Mai bola “jab dekho, ye ek nahi baat mujh par thop deti hai. Fir khush aise ho jati hai, jaise ki kuch hua hi na ho. Koi badi baat hi na ho.”Meri baat sunkar, keerti ne hanste huye kaha. Jara yahi baat priya se kah kar dekho, tab pata chalega ki, wo sach me khush hai ya nahi hai.”Mai keerti ki baat sun raha tha. Idhar mujhe kuch kahte na dekh kar priya ne mujhse puchha.Priya boli “kya hua, tum chup kyo ho. Kyat um is baat se khush nahi ho.”Priya ki ye baat sunkar aur keerti ki baat maan kar maine priya par gussa karte huye kaha.Mai bola “tumko mujhe parehsna karne ke siwa kuch karna aata bhi hai. Jab dekho ek nayi baat mujh par thop deti ho aur use manwa kar aisa khush hoti ho, jaise kuch hua hi nahi hai.”Meri baat sunkar, priya ne khilkhilate huye kaha.Priya boli “Sab Kuch Mila Sukun Ki Daulat Nahi Mili.Ek Tujhko Bhool Jaane Ki Mohlat Nahi Mili,Karne Ko Bahut Kaam The Apne Liye Magar,Humko Tere Khayal Se Fursat Nahi Mili.”Priya ki shayari sunkar, keerti ne bhi khilkhilate huye dhire se kaha.Keerti boli “ab uski is baat ka jabab do. Tumhe to shayari karni hi nahi aati hai.”Ye kahte huye keerti ne apna mobile me ek shayari khol kar mere samne rakh di. Ye dekh kar mere chehre par bhi hansi aa gayi aur maine priya se kaha.Mai bola “ye sab shayari meri samajh me nahi aati. Lekin mere pas bhi ek shayari tumhe sunane ke liye hai.”Meri baat sunkar, priya ne khush hote huye kaha.Priya boli “mujhe tumhari shayari samajh me aa jayegi. Tum sunao na, kaun si shayari sunana chahte ho.”Priya ki baat sunkar, maine use keerti ke mobile ki shayari sunana suru kar di.Mai bola “Tu Ruthi Ruthi Si Rahti Hai Ae Jindgi.Koi Tarkeeb Bata Tujhe Manane Ki.Mai Saanse Girvi Rakh Dunga Apni,Bas Tu Keemat Bata Muskurane Ki.”Meri shayari sunkar, priya ne khilkhila kar hanste huye kaha.Priya boli “ye to sach me bahut achi shayari thi. Mujhe bahut pasand aayi.”Mai bola “ye to mai bhi janta hu. Isliye to tumhe khush karne ke liye maine tumhe ye shayari sunai hai.”Meri baat sunkar priya fir khilkhila kar hasne lagi. Use is tarh se hasta hua dekh kar mujhe bahut acha lag raha tha. Aakhir wo meri chhoti bahan thi aur mai use isi tarah se khush dekhna chahta tha.Mai janta tha ki, jis din uske samne baat khulegi ki, mai uska bhai hu, us din use bahut bada jhatka lagega. Wo is baat ko itni aasani se sahan nahi kar payegi. Fir bhi uska khayal rakhne ka mera farz banta tha.Mai yahi chahta tha ki, wo chahe humare sath rahe ya Mumbai me rahe. Lekin hamesha khush rahe. Is se jyada mai kuch nahi chahta tha. Mai inhi baton me ulajh kar apni soch me gum ho gaya.______________________________
Thanks akki bhai, update jaldi hi aapke samne hoga.Eagerly Waiting for Next Update![]()
Thanks, ayush bhai, update pasand karne ke liye aapka bahut bahut dhnayawad. Rahi keertti ki baat to, punnu keerti se kuch nahi chhupana chahta tha. Isliye keerti ike samne is tarah se ye baat laya hai. Ummid hai ki aage bhi aapko isi tarah se update pasand aayege.Hahaha yaha pannu ne kriti ko jor ka jhatka jor se diya ab aeyga maza dekhna panu juhi ki shadi kaose todta hai sach me dekhne wala hoga scene