Ko To Rok Lo {Update - 079}
____________________________
Keerti boli “saara bikhra hua saman, maine sone se pahle saaf kar diya tha aur toota hua saman alag kar diya tha. Abhi tum apne kamre me ruke hi kaha ho. Jab tum apne kamre me rukoge, tab tumhe pata chalega ki, kya kya saman waha se gayab hai.”
Mai bola “lekin isme mere kamre ka kya kasur tha. Jo tune waha tod fod kar daali.”
Keerti boli “mujhe bahut rona aa raha tha. Maine socha tumhare kamre me jaugi to, mujhe kuch aaram milega. Magar waha jate hi mujhe aur bhi jyada tumhari kami akharne lagi. Fir mujhe jis jis chij ko dekh kar, tumhari jyada kami akhari. Mai us us chij ko utha kar fekne lagi.”
Mai bola “waah jaan, tumhara gussa to, bahut nirala hai. Acha hai, mai waha nahi tha. Warna pata nahi tum mera kya haal karti.”
Keerti boli “tum rahte to, mujhe gussa aata hi kyo. Gussa to isi baat ka tha ki, tum mere pas nahi ho.”
Abhi keerti apni baat bata hi rahi thi. Tabhi hum log lover’s point pahuch gaye. Mere bike ke rukte hi keerti ka baat karna bhi band ho gaya. Wo bike se utar kar apne baal sahi karne lagi.
Bike me baithe hone ki vajah se hawa se uske baal bikhar gaye the. Maine bike khadi ki aur keerti ko baal sanvarte dekhne laga. Us samay uske baal, uske chehe par aa gaye the. Jis se uska chehra bahut sundar dikhne laga tha.
Maine use dekha to dekhta rah gaya. Kuch pal ke liye to, keerti ka chehra dekh kar meri dhadkane hi tham gayi. Usne apne baki ke baal bhi khole aur fir saare balon ko ek sath samet kar bandh liya.
Us samay uska dhyan meri taraf nahi tha. Jab us ne apne baal bandh liye, tab us ne meri taraf dekha. Usne mujhe apni taraf, itni gaur se dekhte paya to, usne muskurate huye kaha.
Keerti boli “itne gaur se kya dekh rahe ho. Kya pahle kabhi mujhe dekha nahi hai.”
Mai bola “dekha to hai, magar jo najara aaj maine dekha hai. Wo iske pahle kabhi nahi dekha.”
Keerti boli “kyo, aaj aisa kya dekh liya. Jo is se pahle nahi dekha tha.”
Mai bola “tere chehre par balon ka bikharna.”
Keerti boli “is me kaun si nayi baat hai. Har ladki ke baal, us ke chehre par bikharte hi hai.”
Mai bola “har ladki ka to, mai nahi janta. Lekin tere bikhre huye balon me, tu bahut jyada sundar dikh rahi thi. Aise me tujhe dekh kar meri dhadkane hi tham gayi thi.”
Keerti boli “acha ji, to kya aise me, mai sundar nahi dikhti hu.”
Keerti ke ye baat bolne ka andaj kuch aisa tha ki, mujhe aisa laga, jaise mere kaano me shahad ghul gaya ho. Maine chahakte huye, keerti se kaha.
Mai bola “haye mai mar jaava. Aisi ada par kaun na mar mite. Ek baar fir se bolo na.”
Keerti boli “kya.”
Mai bola “wahi jo abhi bola tha.”
Keerti boli “yahi ki, kya aise me mai sundar nahi dikhti.”
Mai bola “nahi, jo uske pahle bola tha.”
Keerti boli “kya bola tha.”
Mai bola “wahi, acha ji.”
Keerti boli “jao mai nahi bolti. Tum mera majak uda rahe ho.”
Mai bola “nahi jaan, mai tumhara majak nahi uda raha. Pls ek baar bolo na.”
Keerti boli “kyo bolu. Mai nahi bolugi.”
Mai bola “tumhe meri kasam. Pls bolo na jaan.”
Keerti boli “acha ji. Ab khush.”
Mai bola “jaan, mai to ye sunkar sach me pagal ho jauga. Pls ek baar fir bolo.”
Keerti boli “ab natak band karo. Mujhe gussa aa raha hai. Ab jaldi se upar chalo.”
Mai bola “nahi, jab tak tum ek baar fir nahi bologi. Mai yaha se hiluga bhi nahi.”
Keerti boli “acha ji, ab chalo bhi.”
Mai bola “haan, ab chalo.”
Fir hum dono upar pahadiyon par jaane lage. Chalte chalte keerti ne kaha.
Keerti boli “jaan ek baat puchhu.”
Mai bola “haan puchho.”
Keerti boli “nikki aur priya me kaun jyada sundar hai.”
Mai bola “nikki jyada sundar hai. Lekin priya bhi koi kam sundar nahi hai. Wo riya se jyada sundar dikhti hai. Lekin achanak tujhe ye sawal puchhne ki kaise sujhi.?”
Keerti boli “kuch nahi, bas aise hi puchh liya.”
Mai bola “kahi tujhe ye to nahi lag raha hai ki, mai kahi sach me to, priya se pyar nahi karne laga.”
Keerti boli “nahi, mujhe aisa kuch nahi lag raha hai. Mujhe meri jaan par pura viswas hai. Magar na jaane kyo mujhe, us din tumhara priya wali baat karna bahut ajib laga tha.”
Mai bola “usme kuch bhi ajib nahi tha. Maine tujhse jo bhi kaha tha. Wo sab sach tha, siway iske ki, mai priya se pyar karne laga hu.”
Mere ye bolte hi keerti meri taraf dekhne lagi. Maine uska ek hath apne hathon me pakda aur fir aage badte huye, usko us din ki saari ghatna batane laga. Ye hi baat karte karte hum upar pahuch gaye.
Upar pahuch kar hum ek chattan par baith gaye. Jab meri baat puri huyi to, maine keerti ke hathon ko chumte huye kaha.
Mai bola “mujhe us din khud ye sab karna bura lag raha tha. Lekin mere liye, tere pyar ki sachai priya ke samne lana jaruri tha. Mai use bas ye dikhana chahta tha ki, tera pyar, mere aur priya ke pyar se bahut upar hai.”
“Nikki bhi us samay is sab me meri madad kar rahi thi. Jis vajah se maine use bhi kuch karne se nahi roka. Magar aaj mai tujhse is sab ke liye maafi mangta hu. Shayad mujhe aisa nahi karna chahiye tha.”
Keerti boli “nahi jaan, tumhe maafi mangne ki koi jarurat nahi hai. Tumne jo bhi kiya, wo sirf mujhe uncha dikhane ke liye kiya hai. Magar meri samajh me ye baat nahi aa rahi hai ki, kya priya aur nikki dono humari sachai ko jaan gaye hai.”
Mai bola “nahi, priya sirf itna janti hai ki, mai kisi ladki se pyar karta hu. Lekin wo ye nahi janti ki, wo ladki kaun hai. Magar nikki sab kuch janti hai. Use ye bhi malum hai ki, wo ladki tum ho.”
Keerti boli “nikki ko ye sab kaise malum pada.”
Keerti ki is baat par mai use, hospital me uske call aane se lekar, nikki se sath huyi har ek ghatna ke baare me batane laga. Wo bade gaur se meri baat ko sun rahi thi.
Jab maine use nikki aur mehul ke bich huyi baton ke baare me bataya. Tab usne mujhe tokte huye kaha.
Keerti boli “ye to nikki ne sach me bahut galat kaam kiya hai. Lekin tumhe usko apne aur shilpa ke baare me batane ki jarurat kya thi.”
Mai bola “jab wo mere aur tumhare rishte ke raz ko jaan chuki thi to, mujhe laga ki wo mera sabse bada raz to janti hi hai. Aise me uske ye sab jaan lene se mujhe koi farak nahi padega. Yahi soch kar maine use apne aur shilpa ke baare me bhi bata diya tha.”
Keerti boli “kya mehul se fir tumhari is baare me baat huyi.”
Mai bola “nahi, mai usko abhi talta ja raha hu. Maine socha pahle tujhse salah kar lu. Fir us se koi baat karu.”
Keerti boli “ye tumne bilkul thik kiya. Ab ye batao nikki se is baare me aage, tumhari kya baat huyi.”
Mai bola “maine us se is baare me abhi tak koi baat nahi ki hai. Us din yadi usne tumhari kasam nahi di hoti to, shayad aaj meri us se baat bhi nahi ho rahi hoti. Abhi bhi jab wo mere samne aati hai. Mujhe us par bahut gussa aata hai.”
Keerti boli “mujhe nahi lagta ki, is baat ko batane ke pichhe nikki ka koi galat maksad hoga. Shayad wo ye sab karke tumhari koi madad karna hi chahti ho.”
Mai bola “tum kis madad ki baat kar rahi ho. Jo baat aaj tak maine kisi ko pata nahi chalne di. Usne wo baat sirf kuch hi ghanto me mehul ko bata di. Us ne ye sab kar ke mere sath viswasghat kiya hai.”
Keerti boli “tumhara ye sochna galat nahi hai. Magar tum ek baat kyo bhool rahe ho. Yadi use tumhare sath dhokha hi karna hota to, us ne mehul ko hum dono ke rishte ki baat batayi hoti.”
“Lekin us ne ye baat mehul to kya, hamesha uske sath rahne wali priya aur riya se bhi chhupa kar rakhi hai. Fir usne priya ko samjhane me aur abhi jab tum yaha aaye ho tab bhi tumhari madad ki hai. Aisa to sirf ek sacha dost hi kar sakta hai.”
Keerti ki ye baat mere dimag me baith gayi. Maine us se puchha.
Mai bola “tumhe kya lagta hai. Nikki ne aisa kyo kiya ho sakta hai.”
Keerti boli “ab ye to wo hi behtar bata sakti hai. Lekin jaha tak mera andaja hai ki, shayad kisi vajah se, wo mehul ko ye batana chahti ho ki, tumne mehul ke liye kitni badi kurbani di hai.”
Mai bola “teri ye baat sahi bhi ho sakti hai. Wo sach me hum logo ki sabse jyada madad kar rahi hai. Lekin fir bhi use dekhte hi mujhe gussa aa jata hai.”
Keerti boli “wo isliye ki tum ab tak uski is galti ko bhula nahi pa rahe ho. Magar tum is baat ko soch kar kyo nahi dekhte ki, yadi is baat me uski galti hoti to, wo us din tumko manane ke liye hospital me nahi ruki hoti. Wo bhi sabke sath ghar chali gayi hoti. Tumne to us se ye tak janne ki koshish nahi ki hogi, ki us ne baki sab ko hospital me rukne ki kya vajah batayi hai.”
Mai bola “teri ye baat bilkul sahi hai. Na to maine us se ye sab janne ki koshish ki thi aur na hi tere bolne se pahle ye baat mere dimag me aayi thi. Tujhe kya lagta hai. Kya mujhe us se is baare me baat karna chahiye.”
Keerti boli “haan, tumhe us se bhi baat karna chahiye aur mehul se bhi baat karna chahiye. Nahi to mehul ko ye lagega ki, tum abhi bhi shilpa se pyar karte ho aur wo apne aapko is sab ke liye doshi manega.”
Mai bola “lekin meri samajh me ye nahi aa raha ki, mai mehul se is baare me kya bolu. Nikki to use sab kuch bata chuki hai. Ab mai is baat ko jhuthla bhi to nahi sakta.”
Keerti boli “tumhe ye baat jhuthlane ki jarurat bhi nahi hai. Jo bhi sach hai. Wo hi bol do aur aakhiri me uske samne ek sawal rakh do ki, yadi tumhari jagah wo khud hota to wo kya karta.”
Mai bola “lekin ye bhi to ho sakta hai ki, mere ye kahne se uske aur shilpa ke bich me duri bad jaye.”
Keerti boli “mere pas iska bhi ilaaj hai. Tum uske samne ye baat rakh dena ki ab tum kisi aur ladki se pyar karte ho. Tumhare itna bol dene se uske man ka saara bojh utar jayega.”
Mai bola “aise me to, mai ek aur samasya me ghir jauga. Wo kahega ki, use us ladki se milwao. Tab mai wo ladki kaha se lauga. Jo uske samne is baat ko maane ki mai us se pyar karta hu.”
Keerti boli “aisi ek ladki meri najar me hai. Jo sirf is baat ko hi nahi mangi balki ye bhi maan legi ki, wo bhi tumse pyar karti hai.”
Mai bola “kahi tum nitika ki baat to nahi kar rahi ho.”
Keerti boli “khabardar, jo dobara nitika ka naam bich me laye. Wo pahle hi tumhare pichhe pagal hai. Mai tumhare gale se ghanti utarna chah rahi hu aur tum mere hi gale me ghanti bandhne ja rahe ho.”
Mai bola “sorry, mujhe koi aur samajh me nahi aaya to, mai uska naam le gaya. Tum batao tumhari najar me aisi kaun si ladki hai. Jo khushi khushi ye sab karne ko taiyar ho jayegi.”
Keerti boli “meri ek saheli ankita hai. Wo mere sath coaching classes me padti hai aur sabse badi baat ye hai ki wo mere school ki bhi nahi hai. Isliye use koi nahi janta hai. Use bhi ek jhuthe boyfriend ki talash hai.”
Mai bola “mai samjha nahi.”
Keerti boli “usko uske boyfriend ne, kisi dusri ladki ke liye chhod diya hai. Ab wo is lafde me padna nahi chahti hai aur apne us boyfriend ko jalana bhi chahti hai. Isliye wo koi jhuta boyfriend banana chahti hai.”
“Usne aise kisi ladke baare me mujhse puchha tha. Tab maine uski madad karne ki niyat se, tumhara naam uske samne le diya aur bata diya tha ki, tum bahar gaye ho. Tumhare aate hi mai usko tumse milwa dugi.”
Mai bola “kahi aisa na ho ki, wo hi mere gale pad jaye.”
Keerti boli “uske gale padne ka koi chance nahi hai.”
Mai bola “wo kyo bhala.”
Keerti boli “kyoki maine use bataya hai ki, tum mere boyfriend ho.”
Keerti ki ye baat sunte hi mere kaan khade ho gaye. Maine us se kaha.
Mai bola “tujhe ye sab us se kahne ki kya jarurat thi.”
Keerti boli “mai kya karti. Wo mere samne roj roj apne boyfriend ki tarif kiya karti thi. Mai bhi usko batana chahti thi ki, mera bhi koi boyfriend hai aur wo mujhse apni jaan se bhi jyada pyar karta hai. Ek din jab mujhse nahi raha gaya to, maine use ye baat bol hi di.”
Mai bola “tune ye nahi socha ki, agar use bad me pata chal gaya ki, hum dono bhai bahan hai. Tab kya hoga.”
Keerti boli “ab jo bhi hoga, dekha jayega. Mujhe us samay jo bhi thik laga maine kiya. Waise bhi mai apne aaj ko ji bhar kar jeena chahti hu. Jitni khushi mujhe is baat ko batane me mili hai.”
“Utni khushi mujhe kabhi kisi baat me nahi mili. Mai apni ye khushi us kal ke liye nahi khona chahti thi. Jisme pata hi nahi kya hone wala hai. Isliye mai kal ke dar se aaj ki khushiyon ko khona nahi chahti.”
Keerti ki in baton ko sun kar mera dil bhi uski baat ko manne ko majbur ho gaya. Maine us ki baat ko rakhte huye kaha.
Mai bola “chal, ab jo hua, acha hua. Ab ye bata aage kya karna hai.”
Keerti boli “hum ghar wapas lautte samay, ankita se milte huye chalege. Ab tum nikki se apni narajgi ko khatam kar do aur use apni safai dene ka mauka do.”
Mai bola “thik hai, aisa hi hoga.”
Keerti boli “jaan, maine bhi abhi tumhe ek baat nahi batayi hai.”
Mai bola “kaun si baat.”
Keerti boli “pahle tum bolo ki, tum abhi us baat ko lekar jara bhi gussa nahi karoge.”
Mai bola “nahi karuga. Ab bata.”
Keerti boli “us din maine tumhe ye bataya tha ki, mausa ji ne mujhe unke sath, na bhejne ki baat par mausi ji se khagda kiya tha. Lekin maine ye nahi bataya tha ki, un ne mausi ji ke upar hath bhi uthaya tha.”
Mai bola “ye baat to mujhe, subah yaha aate hi, ami nimi se pata chal gayi hai. Magar tujhe ye baat mujhe, usi din bata dena chahiye thi.”
Keerti boli “kaise batati jaan, mausi ji ne tumhare wapas aane tak, tumhe is baare me batane ko mana kiya tha. Wo nahi chahti thi ki, unki vajah se, tumhare aur mausa ji ke bich me koi jhagda bade.”
Mai bola “jhagda to ab badna hi hai. Lekin unki ye giri huyi harkate, waha bhi chalu hai. Ab wo waha par shayad, riya ko apne jaal me fasana chahte hai.”
Keerti boli “ye kya bo rahe ho jaan, waha mausa ji ne aisa kya kar diya.”
Keerti ki is baat par mai use papa ke riya logon ke sath, mumbai ghumne se lakar dinner aur fir riya ke sath kisi kaam se jaane ki baat ko batata chala gaya. Jise sun ne ke bad keerti ne kaha.
Keerti boli “jaan ho sakta hai ki, tumhara sochna galat ho. Unke man me aisa kuch bhi na ho.”
Mai bola “ab mai unko aur unki harkaton ko ache se samajh chuka hu aur mai jitna unko samajha hu. Us se to mujhe yahi lag raha hai ki, wo riya ko apne sanche me dhalna chahte hai.”
Keerti boli “yadi aisa hai bhi, tab bhi riya itni sidhi to nahi hai ki, mausa ji ke iradon ko na samajh sake.”
Mai bola “teri ye baat sahi hai. Lekin mujhe papa ki ye harkat pasand nahi aa rahi hai. Riya ke ghar wale humare upar itna viswas karte hai. Kahi papa ki ye harkat hum logon ko unki najron me gira na de.”
Keerti boli “mujhe nahi lagta ki, mausa ji aisa kuch karege. Unhe bhi apni ijjat ki chinta hogi. Wo jo kuch bhi karege, bahut soch samajh kar karege. Yadi wo riya ke sath koi harkat karte bhi hai to, usme riya ki bhi sahmati jarur rahegi. Isliye is baat ko lekar, tumhe jara bhi sharminda hone ki jarurat nahi hai.”
Mai bola “teri ye baat bhi sahi hai. Fir bhi mujhe ye sab, thik nahi lag raha hai. Mai unki is harkat ko rokna chahta hu.”
Keerti boli “jaan, yadi tum aisa hi karna chahte ho to, mere pas is sab ko rokne ka ek rasta hai. Jis se tum unki is harkat ko rok sakte ho. Lekin shayad tum aisa na kar sako.”
Mai bola “tu bol to sahi. Mai dekhta hu ki, mai aisa kar sakta hu, ya nahi kar sakta.”
Keerti boli “jaan ye to hum jante hai ki, waha par riya priya aur nikki ye 3 ladkiyan hai. Jin par mausa ji ki buri najar ho sakti hai. Ab jaha tak mai samajhti hu ki, priya aur nikki se tum jo kuch bhi bologe. Wo log bina sawal kiye maan legi. Ab sirf riya bachti hai. Jiske upar mausa ji ki najar hai. Tab tum aisa karo ki, usko mausa ji ki niyat se sawdhan kar do. Shayad wo tumhari baat ko samajh sake.”
Mai bola “kya mera papa ke khilaf ye sab bolna thik rahega. Is se meri ijjat par farak nahi padega.”
Keerti boli “jaan ye sab mat socho. Is sab ko sochne se koi fayda nahi hai. Kyoki yadi mausa ji wo sab karte hai. Jo tum soch rahe ho. Tab bhi to tumhari ijjat par farak padna hi hai.”
“Jabki aisa karke to tum un logon ko aane wale khatre se aagah kar rahe ho. Wo log yadi tumhe apne ghar ki tarah hi maan rahe hai. Tab tum bhi unhe, apna samajh kar ye baat bata rahe ho.”
Mai bola “kya mujhe teeno ko ye baat bolna hogi ya sirf riya ko bolna hai.”
Keerti boli “tum riya ko saari sachai bata do. Haan, nikki aur priya ko chaho to, kisi aur tarike se mausa ji se door rahne ke liye bol do. Lekin tumko ye baat teeno se hi bolna padegi. Kyoki ho sakta hai ki, mausa ji jab riya ke pas apni daal galti na dikhe to, wo nikki ya priya ko daana dalne lage.”
Mai bola “tera kahna thik hai. Ab mujhe us aadmi ka koi bharosa nahi hai. Kya pata kab kaun si giri huyi harkat kar jaye. Mai riya, priya aur nikki teeno ko hi sawdhan kar duga. Iske bad unki marji. Wo jo thik samajhe kare.”
Keerti boli “jaannnn.”
Mai bola “haan, bol na, kya bolna hai.”
Keerti boli “tumhari ye saari baten ab ho chuki hai ya abhi bhi koi baat baki hai.”
Mai bola “kyo, kya tujhe wapas chalna hai.”
Keerti boli “nahi, mujhe wapas nahi jana hai. Lekin yadi hum ye hi sab baten karte rahege to, fir apni baten kab karege.”
Mai bola “tu bol to sahi rahi hai. Magar abhi ek sabse jaruri baat baki rah gayi hai.”
Keerti boli “to fir jaldi se use bhi bol daalo aur in baton ko khatam karo.”
Mai bola “mujhe samajh me nahi aa raha ki, wo baat tujhse kis tarah bolu. Pata nahi usko sun kar tu kya matlab nikale.”
Keerti boli “jaan, tum chinta mat karo. Mai tumahri kisi baat ka, koi galat matlab nahi nikalugi. Ab tum befikar hokar apni baat kaho.”
Mai bola “thik hai, to sun. Ye baat raj aur riya ke ghar se judi hai. Unke dada ji ek din mere pas aakar mujhse baton baton me bole ki, pichhle kuch samay se meri bahu ki tabiyat thik nahi rahti hai. Mujhe uske ilaj ke liye tumhari madad ki jarurat hai.”
“Unki is baat par maine un se kaha ki, aapko mujhe kya madad chahiye, aap mujhe bataiye. Mai aunty ke ilaj ke liye aapki har madad karuga. Tab un ne mujhse aunty ke sath sex karne ko kaha.”
Mera itna bolna tha ki, keerti gusse se laal ho gayi aur dada ji ko ulta sidha balne lagi.
Keerti boli “kya wo buddha satiya gaya hai. Tumse aisi baat karte huye, use kya apni umar ka bhi khayal nahi aaya. Jo itni giri huyi baat tumse bina kisi sharam ke kah gaya. Lanat hai aise sasur par, jo apni bahu ko kisi aur ke sath sex karwana chahta hai. Wo bhi us aurat ke, bete ki umar ke ladke ke sath. Aise buddhe ko to mar jana chahiye. Thuu,”
Meri puri baat sune bina hi, keerti ko yun bhadakte dekh, maine use samjhane ki koshish karte huye kaha.
Mai bola “tujhe itna bhadakne ki jarurat nahi hai. Pahle meri puri baat to sun le.”
Lekin keerti par to gusse ka bhoot sawar ho chuka tha. Usne mujhe meri puri baat bolne hi nahi di aur ulte mujh par hi aag babula hokar apni bhadas nikalte huye kaha.
Keerti boli “tumhare badan me agar itni hi aag lagi hai to, Mai koi mar nahi gayi hu. Mai abhi us aag ko bujhane ke liye jinda baithi hu. Lekin yadi tumne kisi aur ke sath sex karne ke baare me socha bhi to, mai tumhara khoon pi jaugi. Kaan khol kar sun lo. Yadi dobara aisi baat tumhare muh se nikli to, mujhse bura koi aur nahi hoga.”
Keerti ka ye roop dekh kar aur uski baten sun kar to, mere hosh hi ud gaye. Mujhe is baat ka to pahle se andaja tha ki, keerti is baat ko sun kar gussa kar sakti hai aur dada ji ko bhala bura bhi bol sakti hai.
Lekin mujhe is baat ka jara bhi andaja nahi tha ki, wo itna jyada gusse me aa jayegi ki, mujhe hi ulta sidha bakne lagegi. Ye sab dekh aur sun kar to meri bolti hi band ho gayi thi. Mai abhi is wakt is baat ko karne ke liye, apne aapko man hi man kos raha tha.
____________________________