- 79
- 101
- 34
काव्या के लिए 3 लड़के | देखना दिलचस्प होगा कौन दिल जीतेगा |UPDATE 2
Jaise hi Kavya college campus ke andar jati hai, wo iske sundarta me kho jati hai. Main gate se 200 meter ki road sidha main building se jod rahi thi jiske dono taraf trees lage hue the jiski khubsurti unme lage hue pink flowers aur jyada badha rahe the. Charo taraf hariyali thi, college ka campus kafi bada tha. Chuki Kavya ne college ka orientation program kisi karanvas miss ho gya tha isliye ye uska pehla anubbhav tha.
Kuch minute baad wo apni ghadi me samay dekhti hai aur tab wo hosh me aakar..
Kavya: Shitt… shit… 5 min me class start hone wali hai.
Kavya bhag kar main building me jati hai aur student office se apna ID card collect karte huye Registrar se puchti hai
Kavya: Sir 1st year BSc Chemistry ki classes kidhar lagti hai.
Registrar: Block C, Room no. 6 Ground floor.
Kavya thank you bolke bhag kar jati hai kyuki wo already 10 minute late ho chuki thi. Tabhi achanak samne ek ladka aa jata hai usase na takraye isliye apne aapko bachane ke chakkar me wo girte girte bachi. Aur khud ko sambhalte huye usne ladko ko awaj di.
Kavya: Hello mister. (Khud se budbudate hue) Idiot dekh ke nhi chal sakta abhi ise batati hu….
Jaise hi ladka palatata hai Kavya ki ankhe chaudi ho jati hai. 6 feet height, well built lean body, fair colour, sharp jawline, symmetrical face, hunter eyes aur medium hairs jo thode chehre ki taraf the. Usne white shirt with rolled sleeves aur black jeans pehen rakhi thi. Aisa lag raha tha koi super model ho.
Kavya ne is jaise ladke ko aaj tak nahi dekha tha… Wo kuch pal ke liye usko dekh kar kho jati hai aur fir us ladke ki awaj Kavya ko hosh me lati hai:
Ladka: Hi miss. Is there any problem?
Kavya (hadbada kar): Wo.. wo… maiii.. maii… Mai ye puch rahi thi 1st year chemistry class kahan lagti hai.
Ladke ke chehre par confused expression tha jo ki bol rha ho pagal hai ky aur wo bolta hai.
Ladka: Block C, I don’t know about the room.
Tabhi piche se uska dost awaj deta hai.. Aarav chal yaar late ho rhe baad me baat kar lena bhagi thodi na ja rahi, isi college me hai.. bolkar hasne lagte hai.
Aarav: Kunal tu kuch jyada hi nhi bolne lag hai.
Aur kavya sharma kar Thank You bolti hai aur class ke liye bhag jati hai.
Ek class ke andar teacher ne sab ka intro liya. Aur khud ka name Kabir bataya wo is college me 8 saal se padha rahe hai aur unhone ne apni Phd foreign se ki thi aur bhi kuch wo apne bare me students ko bata rahe the.
Wahin ek ladka last bench me akele baitha hua tha jiska chehra bilkul expressionless tha dikhne me smart aur cute tha. Wo sketchbook me kuch bana raha tha, aur kuch minute baad sketchbook band kar ke window se bahar 2 kitten ko khelte hue dekhne lagta hai jinke paas unki cat mom baithi thi.
Tabhi uska dhyan ek ladki ki mithi awaj apni taraf khichti hai “May I come in sir?”
Kabir: Come in. First day hi late?
Ladki: Sir wo auto nhi mil rahe the is liye late ho gyi…. Jhut bolkar masum sa chehra bana leti hai.
Kabir: Its ok. Par agli baar se late nhi hona aur apne aapko introduce karo.
Ladki: Thank you sir. Good morning friends, myself Kavya Shrivastav. I am from Bangalore itself. I love to play Piano. I hope we will be good friends. Khub party aur maje karenge.
Ladka(khud se): Kavya.. Nice name. Sketchbook kholke kuch fir se banata hai aur fir band karke bahar dekhne lagta hai.
Puri class has deti hai. Aur Kabir bhi hasne lagta hai aur bolta hai.
Kabir: Ok kavya have your seat.
Kavya idhar udhar nazar daudake seat dhudhne lagti hai. Waise to room bahut bada tha seats bhi bahut thi par ek dusre department ke teacher nahi aaye the aur subject bhi common tha isliye class ko combine kar diya gya tha kewal is lecture ke liye.
Kavya dekhti hai last me ek seat khali hai wahapar ek ladka akele baitha tha jo ki bahar dekh raha hai. Wo seat par jati hai apna bag rakhti hai aur baith ke ladke se bolti hai.
Kavya: Hi I am Kavya and you?
Ladka Kavya ko dekhta hai aur bina jawab diye fir se bahar dekhne lagta hai. To kavya khud se budbudati hai…
Kavya: Ajeeb pagal hai. Aur apna sir jhatkate hue teacher jo bol rhe uspar concerntrate karti hai.
Chuki abhi ye thermodynamics ka pehla lecture tha to teacher ne jyada kuch nhi padha rahe the aur unhone ek sawal pucha aur jawab ke liye puri class me sirf Kavya ne hath uthaya.
Kabir: Good kavya. Anyone else?
Kisi ne hath nhi uthaya fir Kabir ne us ladke ko awaj di jo kavya ke bagal me baitha tha.
Kabir: Oye hello.
Ladka Kabir ki or dekhta hai
Kabir: Yes you. Stand up. What was your name again?
Ladka (khade hokar): Subham Verma.
Kabir: Yes, subham. To Mr. Subham tumhara dhyan kidhar hai aur chalo is sawal ka jawab do.
Subh us question ko short me bahut hi achhi tarah se explain karta hai jisase puri class impress ho jati hai aur unse kahin jyada kavya impress hoti hai…
Kavya (mann me): Damn… itna to mujhe bhi nhi pata.
Kabir: Very impressive Subham. Aise answer Phd wale nhi de pate. You may sit now.
Subh apni seat me baith jata hai aur fir se bahar dekhne lagta hai. Kavya ko bada hi achambha hota aur khud se bolti hai.
Kavya (mann me): Pata nahi kaisa pagal ladka. Aur bahar itna kya interesting hai jo baar baar dekh rha.
Kavya khidki se bahar dekhti hai to bahar ki khubsurati uska bhi mann moh leti hai aur wo nischay karti hai ki ab se wo isi seat me baithegi.
Aise hi 1 hour nikal jata hai aur pehla lecture over ho jata hai. Agle lecture ko adhe ganthe ke liye postpone kr dete hai. Aur dusri department ke bache apni class me chale jate hai aur adhi se jyada seat khali ho jati hai. Kavya bahar nikal ke kadhi ho jati hai tabhi usi ke batch ke 2 ladki aur 1 ladka aate hai.
Ladki: Hii Kavya, Myself Shruti. Ye meri besti Anchal aur ye iska boyfriend Rohit.
Kavya: Hello guys, aap log ek dusre ko pahle se jante hain. Sahi hai yarr.
Anchal: Are nahi ham sabhi Orientation me mile the. Tumne attend nahi kiya?
Kavya: Nahi, actually wo ghar me function tha to attend nahi kar payi.
Rohit: Aur waise hamare group me wo khoya hua ladka bhi hai (Subh ki or ishara karke).
Kavya: Pagal lagta hai mujhe, dinbhar bahar dekhta hai rehta hai. College bahar dekhne ke liye aata hai ya padhne.
Shruti: Shayad introvert hai isliye kisi se baat nahi karta. Thodi bahut baat rohit se hoti hai.
Rohit: Par banda dil ka acchha aur bahut smart hai. Bechare ki gf bhi baat karne ko taras jati hogi.
Kavya: Gf aur uski…(bol ke has deti hai)… Aise pagal ki gf banana ka kisko shauk hai.
Sab hasne lagte hain… aur kuch hi der baad sab andar chale jate hai.
Kavya jaise hi apni seat par jati hai to Subh use prashn bhari nigaho se dekh rha tha jaise puch raha ho “Itni seat khali hai yahan ku baith rahi hai”.
Kavya: Kya hai (aankh badi karke)… Pehli baar ladki dekh rhe.
Subh kuch nahi bolta aur dusri taraf dekhne lagta hai… Fir 2 lecture aur khatam hone ke baad recess ho jata hai… Sabhi log college ki common canteen ki taraf chal dete hai. Lekin Kavya ko fresh hona tho to wo washroom ki taraf chal deti hai
Tabhi waha corridor me ek dur khade huye ladke ko dekhkar pahle to chauk jati hai aur fir khus hoke chillate hue ”Shushant” name leti hai aur udhar badh jati hai.
..................
उम्मीद हे कहानी बेहतरीन होगी अगर हिंदी में लिखें ज्यादा बेहतर होगाPrologue
What is love? Jise sunte hi dil ki dhadkane badh jati hai, hame alag ahsas hota hai jise bayan na kiya ja sake. Agar kisi se pucho to uske paas koi satik jawab nhi hoga. Sabhi ke paas is shabd ke alag alag answer honge. Love ko shabdo me batane ki jagah agar mahsus kiya jaye to iska matlab asaani se samjha ja sakta hai.
Lekin fir bhi ise shabdo me kaha jaye to, pyar aapko bandhata nhi balki aapko khula asman deta hai jisme aap udd sakein. Love sbhi ke bich hota hai aur uske kai roop ho sakte hain. Jaise Ek pita ka apne bachho ke liye pyar uski maa se alag hota hai parantu uske pyar ko kam nhi kah sakte.
Jab ghar me akhari mithai bachi ho to maa apne bachhe ko thama deti hai ye bolke ki use khane ka man nhi.
Jab aap apni khushiyon ki fikar kiye bina apne pyar ki khushiyon ki parwah karein, use koi kathinayo ya samasya ka samna na karna pade isliye aap apni bhawnao ko dabkar use in sab se bachaye… Shayad ise hi to pyar kahate hain.
Love ek niswarth bhav hai jise nibhana sab ke bas ki baat nhi hai. Is raste me jitna jyada sukh hai utni hi kathinayi bhi ho sakti hain par agar sath milke lada jaye to ye life journey yadgar ban jati hai.
Aisi hi kuch kahani hai un dono ki. Kaise do alag vichar vale log milte hai aur unhe pyar hota hai aur khud pyar ka matlab samjhte hai.
Is kahani me ham unke beech ka nokjhok, pyar bhare paal, khushiyan aur dukh sath me experience karenge. Kya wo dono sabhi challenges ka samna kar sakenge? Iska to pata hame is kahani me lagega lekin ek baat to sach thi …. Kuch to tha unke Darmiyan(beech)….