Chapter 2 - The Journey
Update 17
Mega Update
Word Count: 6655
Estimated Reading Time: 00:35:00
Aksh, Sakshi...... Akhir kya chupa hua he in dono ki kismat me? Akhir Niyati ka khel dono ko kis taraf le ja raha tha? Kya Aksh or Sakshi ki kismat me ek dusre ka saath nahi he? In sawalo se to dono hi anjan apne apne kamre me the, lekin nind is waqt dono ko nahi thi, dono hi apne dil me kayi sari bate le kar bethe the.
Sakshi(mann me): me jab bhi Aksh or mere Future ke bare me sochti hu to mujhe itna ajib sa kyu lagne lagta he? Badi hi mili juli feelings ane lagti he.... Huhhh... Lekin me kese Aksh ko apne pyaar ka ehsas karau? Ab to kal se hum dono Surat chale jayenge, bass mujhe kisi bhi tarah jitna ho sake Aksh ke close jana hoga, abhi to hum dono ke bich bhai behen wali diwar bani he, jise me kabhi laangh nahi pati... Lekin ab waqt agaya he, is se pehle ke koi or ladki Aksh ke Dil me apna ghar basa le, mujhe ye bhai behen wali diwar ko todna hi padega.... Me janti hu ke ye sab galat he, lekin ab Aksh ke bina jina mere liye namumkin he, me nahi reh pati Aksh ke bina....
Aksh(mann me): yaar kya ho gaya he mujhe? Jabse me Mansi se mila hu, uska chehra meri akho ke samne se jaa hi nahi raha.... Aksh beta, kahi pyaar vyaar me to nahi pad gaye? Nahi nahi.... Aisa nahi he.... Agar aisa nahi he to kyu har pal Mansi mujhe dikhayi deti he? Ahhh.... Mujhe in sab me nahi padna, bass apna business, or pariwar sambhalna he...... Chhodo yaar... Kal Surat jana he, so jate he chup chap....
Sakshi ke dil me Aksh ko hasil karne ki chahat, or Aksh ke dil me kisi insan ke liye ubhri nayi bhavnaye, ab kiska dil sahi he, ye to koi nahi bata sakta.
Berehaal, subah subah Joshi house me sab jaldi jaldi me the, kyu ke aaj Aksh or Sakshi Surat jane wale the, wahi par Neha, Soham or Karim bhi mojud the, Sakshi apni bag le kar hall me sabke saath bate kar rahi thi, Aksh apne kamre me phone par laga hua tha, jabse Aksh ki facility ke nirman ka kaam shuru hua tha, tabse hi Aksh kafi busy tha. Radha ke awaz dene par Aksh bhi apna bag lekar bahar ajata he.
Radha: Aksh, Sakshi lo... Safar ki Shuruwat aachi ho isliye Dahi Shakkar khao....
Wo dono ko Dahi khilate hue kehti he.
Sakshi apne Maa Baap se dur hone wali thi, jis se uske chehre par udasi chayi hui thi.
Radha: Sakshi... Tujhe kya hua? Muh kyu utra hua he tera?
Wo Sakshi ke sar par se haath ferte hue puchti he. Sakshi bina Radha ki aakho me dekhe bass apni gardan Naa me hila deti he.
Radha: hmm.. samajh gayi, Aai Baba se dur ja rahi he to isliye udas he na?
Uski baat par Sakshi kas kar Radha ko apne gale se laga leti he, or uski aakhe bhi num thi. Radha uska sar sehlate hue Sakshi ko normal karti he. Fir Sakshi, Aksh, Santosh or Radha Karim ke saath gadi me beth jate he, Soham or Neha Soham ki gadi par the. Kuch der baad sab Airport pahoch chuke the.
Is waqt Santosh or Radha dono hi num si aakhe liye khade the, kyu ke shayad pehli baar Sakshi or Aksh ko wo log akele chhod rahe the. Wahi Aksh or Sakshi ko bhi bachpan se hi Santosh or Radha se alag rehne ki adat nahi thi. Aksh or Sakshi pehle Santosh ko gale se laga lete he.
Santosh: thik se rehna waha.... Koi pareshani ho to call karna, apni padhai apna business acche se sambhalna....
Aksh/Sakshi: ho Baba....
Fir wo dono Radha se bhi akhri baar gale laga lete he.
Radha: khana sahi waqt par khana, padhai or kaam ke bich Khana bhulna matt.... Or ek baat yaad rakhna, tum dono ka phone kabhi bhi band nahi rehna chahiye.... Jabhi bhi call karungi to phone uthana, samjhe?
Wo dono ko warn karte hue kehti he. Dono apni gardan ha me hila dete he. Fir Aksh Soham se gale milta he uske baad Sakshi, lekin jab Aksh Neha se gale laga, tabb Neha use kafi kas kar apne gale se laga leti, or us se alag ho kar Aksh ke haath apne haatho me thamkar us se baat karne lagti he, Neha ki is harkat se Sakshi ke chehre par jalan ke bhav saaf saaf nazar arahe the. Wo aage badh kar zabardasti Neha ke haath Aksh se chudda kar use gale milti he. Dono karim se bhi mil lete he, ab yaha ka sara kam Karim sambhalne wala tha, Aksh har mahine Sakshi ko le kar Mumbai ane wala tha.
Jese jese Sakshi or Aksh aage badh rahe the, waise hi Radha or Santosh ke asu chalakne lagte he. Gate ke paas ja kar Aksh or Sakshi akhri baar sabko dekh kar andar chale jate he. Sakshi ab bhi kuch udas si lagg rahi thi, jo Aksh ne dekh liya. Aksh kas kar Sakshi ka haath tham kar, muskurate hue Sakshi ko dekhta he, Ab Aksh ki muskurahat to Sakshi ke liye duniya jitne jesi kimti thi, Aksh ka hasta chehra dekh Sakshi kabhi chehra khil uth ta he, or wo bhi muskurate hue apne palke jhuka kar Aksh ka haath kas kar aage badhne lagti he.
Kuch der baad plane udan bhar leta he, Sakshi window me se jee bhar kar apne Sheher ko ki khubsurti dekh rahi thi, dhire dhire Mumbai puche choot rahi thi, or kuch ghanto baad wo log pahoch gaye the Surat. Sakshi or Aksh ghar akar apna apna saman kamre me rakh dete he, lekin tabhi Sakshi dupatta apni kamar par bandh kar ghar ka kaam karne me lagg jati he.
Aksh: oye.... Kya? Aram kar le thoda....
Sakshi: are baba Aram karne nahi ayi hu me yaha, or ghar humesha thik hona chahiye...
Wo aage akar Aksh ke sar pe marte hue kehti he.
Aksh: accha? To thik he.... Me bhi haath bata deta hu tera kaam me...
Fir wo dono pure ghar ko sahi karne me lagg gaye, kareeb 2 baj chuke the, dono ke pet me ab chuhe uchal kud karne lage the. Ghar ka sara kaam bhi ho chuka tha.
Aksh: yaar Sakshi.... tune to jaan hi nikal di meri....
Wo rahat bhari saas le kar sofe pe beth te hue kehta he.
Sakshi: accha? Mere saath kaam karte hue thak gaya tu, agar biwi ke kaam me haath bata raha hota to itna nahi thaka hota tu.....
Wo Aksh ke bagal me bethkar uske khande par apni kohni rakhte hue kehti he.
Aksh: ye bhi koi baat he? Are biwi ke saath chedd khani karte hue ehsas hi nahi hoga ke kitna kaam kiya he.... To fir thakan kese ayegi?
Wo apna chehra Sakshi ke chehre ke nazdeek le jakar shararati lehze me kehta he. Uski baat par Sakshi Aksh ki kamar me ek ghusa mar deti he.
Sakshi: Bavlat.... Kuch bhi bolta rehta he....
Aksh: ahhh... Ab tune sawal kiya to uska jawab dena hi padega na....
Sakshi: accha? To fir ek or sawal ka jawab de...
Aksh: puch....
Sakshi: agar hum dono bhai behen na hokar sirf ek dost hote to?
Aksh: t.... To.... To kya.... Umm.... Bass.... Dost hote...
Sakshi ke achanak puche gaye sawal par Aksh kuch samajh nahi paya or uske paas is sawal ka koi jawab bhi nahi tha, to wo hadbadate hue Sakshi ki baat taal deta he. Sakshi ko bhi ehsas hua ke usne galat waqt par galat sawal kar liya.
Aksh: wo sab chhod.... Bhuk bhi lagg rahi he ya nahi?
Sakshi: ha..... Ha...
Aksh: to chal ab bahar hi jakar khana kha lete he, or tujhe ghar ke liye jo saman lena he wo bhi market se lete ayenge....
Sakshi: thik he.... Me ati hu kapde change kar ke.....
Fir Sakshi akar apne kamre me darwaza band kare wahi khadi ho jati he.
Sakshi(mann me): Sakshi ki bacchi..... Bavlat, na waqt na moka, kuch bhi puch leti he.... Konsi jaldi he tujhe? Aksh kaha bhaga ja raha he? Koi baat nahi, dhire dhire sab thik ho jayega.....
Aksh or Sakshi apni car me nikal chuke the, sabse pehle dono ja kar ek restaurant me khana kha lete he, or uske baad Sakshi ko ghar ke liye kafi sara saman bhi lena tha, to wo dono paas hi ke local market me chale jate he. Aise hi tehelte hue Sakshi ghar ke liye kuch sabziya bhi le rahi thi, lekin Aksh ne paya ke Sakshi to 5-5 rupay ke liye bargain kar rahi he, jis se wo thoda heran sa reh gaya tha. Sakshi jab apni deal me jeet gayi to usne sabziya le kar piche Aksh ki taraf mudi to paya ke Aksh uspar hass raha tha.
Sakshi: kya ho gaya tujhe? Hass kyu raha he?
Aksh: yaar tum ladies bhi kamal ho.... Jeb me lakho pade honge, fir bhi 5 rupay ke liye bargain karti rehti ho....
Sakshi: beta tum mardo se laakh guna zyada accha money Management hota he hum ladies ka.... Tum paisa kama sakte ho, lekin use sahi dhang se kharch sirf Ladies hi kar sakti he... Khair.... Tu kya samjhega, Bavlat jo tehra..... Huhhhh....
Ye kehkar wo aage badhne lagti he.
Aksh: argument karne me tum Ladies se kabhi koi jeeta he jo aaj me jeet lunga?
Sakshi: argument nahi.... Sacchayi he ye... Or sacchayi kadwi hoti he...
Aksh: thik he meri Maa.... Chal ab chup chaap...
Wo apne dono haath Sakshi ke samne jodte hue kehta he. Aise hi dono hasi mazak karte hue market se bahar ja rahe the, Aksh ke haath me kafi sara saman tha, or Sakshi ne sabziya pakdi hui thi, sabziya kuch zyada thi, jis se use chalne me thodi takleef ho rahi thi, tabb Aksh us se wo sari sabziya bhi le leta he, Sakshi dusre saman apne paas le rahi thi, lekin Aksh use nahi deta.
Ghar akar Sakshi or Aksh fresh hokar backyard me bethe hue baate kar rahe the.
Sakshi: waise ek baat bolu Aksh..... Tu na shadi ke baad joru ka gulam banega.....
Aksh: accha? Or aisa kyu?
Sakshi: kyu ke tu na bahot sidha he.... Or tu apni biwi ki choti choti chizo me bhi help karega.... Or log aise logo ko joru ka gulam kehte he....
Aksh: thik he na fir.... Or apni biwi ki help kar ke koi mujhe aisa bolega to mujhe joru ka gulam bann ne me koi harj nahi he....
Jaha Aksh befikar baate kar raha tha, wahi Sakshi apne aap ko us jagah imagine karne me lagi thi, waha Aksh bak bak kare ja raha tha, or Sakshi use niharne me lagi thi, tabhi Sakshi ka phone bajne lagta he, lekin Sakshi is se bekhabar Aksh ko niharne me magn thi.
Aksh: oye.... Dhyan kaha he tera? Phone baj raha he...
Wo Sakshi ki aakhe ke samne haath lehrate hue kehta he. Jis se Sakshi apni imagination se bahar ajati he.
Sakshi: ha.... Ha.... Me...
Wo hadbadahat me phone dekhti he to wo call Mansi ka tha.
Sakshi: Hello.... Ha Mansi kaho....
Mansi: tum agayi ya nahi Surat?
Sakshi: wo to hum din me hi agaye the, lekin yaha akar ghar ke kaam me itna busy ho gayi ke tumhe call karna bhul gayi.... so sorry...
Mansi: ohh... Koi baat nahi, to chalo kahi ghumte he...
Sakshi: ahh... Aaj to nahi Mansi.... Kyu ke din bhar kaam kar ke thak chuki hu, kal jayenge.....
Mansi: okay.... Ye thik rahega... To tum Dinner ke liye mere ghar to ajao....
Sakshi: Mansi please sorry lekin fir kabhi zarur aungi, lekin ab ghar se bahar jane ka bilkul mann nahi kar raha he.... Ek kaam karo na, tum hi ajao yaha.... Saath milkar Dinner karte he...
Mansi: Sounds Good.... Thik he me ajati hu....
Sakshi: okay... Me wait kar rahi hu....
Fir wo dono call kaat deti he.
Sakshi: Aksh.... Me khane ki tayari karti hu, Mansi bhi arahi he yaha....
Aksh: kya? Wo arahi he..... Th..... Thik he....
Mansi ka naam sunte hi Aksh ke tevar badal jate he. Sakshi uthkar Kitchen me chali gayi. Aksh bhi andar akar Sakshi ke kaam me haath batane lagta he.
Kuch der baad Mansi tayar ho kar apne kamre se niche Living Room me agayi thi, jaha Aman or Kiran bethe hue the.
Mansi: Mom Dad me thodi der baad ghar ajaungi.... Bye....
Wo dono ko piche se hug karte hue kehti or darwaze ki taraf daud padti he.
Kiran: Mansi.... Come back.... Kaha ja rahi ho?
Wo Mansi ko rokte hue puchti he. Mani bhi piche mudkar Kiran ki taraf badh jati he.
Mansi: hmm... Actually me Date par ja rahi hu, koi problem?
Aman: Arere... Kon he wo badkismat?
Wo Mansi ka mazak udate hue kehta he.
Mansi: haaa..... what you mean by Badkismat?
Wo aakhe badi karte hue Aman se puchti he.
Kiran: are tum mujhe batao kiske saath ja rahi ho?
Mansi: me? Me ja rahi hu insaan ke saath....
Kiran: Mansi..... Mazak band kardo tumhara....
Wo Mansi ka kaan pakadte hue kehti he.
Mansi: ahhhh..... kya Mom aap bhi? Janwar ke saath thodi na kahi jaungi me.....
Kiran: to sidha sidha batati kyu nahi....
Mansi: actually me apni friend ke ghar ja rahi hu, wo aaj se Surat me rehne ayi he.... To socha milkar ajau...
Kiran: accha? Abhi to keh rahi thi Date par ja rahi ho...
Mansi: me to mazak kar rahi thi, aap janti ho na mujhe is pyaar vyaar ke chakkar me bilkul nahi padna....
Aman: beta tumhari problem kya he is pyaar se?
Mansi: are Dad.... Dekhiye na aaj kal ke ye Couple.... Mujhe to unpar bahot taras ata he.... Kya pata mera bhi haal kal ko waisa hi ho jaye, fir Virani Industries ko kon sambhalega? Isliye me to in sab se dur hi rehna chahti hu....
Aman: accha? Fir tumhari Maa se pyaar kar ke bhi to mene itna bada business khada kar diya, wo kese?
Mansi: Dad.... Aapke waqt ki baat alag he, or waise bhi aap samajhdar the na....
Aman: ye bhi thik kaha tumne....
Kiran: ek minute..... Samjhdar the? To me kya bewakuf thi?
Wo Aman ke samne gusse me kamar par haath rakh kar puchti he.
Aman: wo..... M.... Mera Matlab waisa nahi tha...
Kiran: to kya matlab tha?
Aman: yaar meri baat to suno....
Wo khade ho kar Kiran ka gussa shant karate hue kehta he. Lekin mahol ab shant nahi hone wala tha, Kiran Aman par gussa karne lagi thi, Mansi to aag laga kar or ye halat dekh jaldi se bhaag jati he.
Waha Aksh or Sakshi ne milkar sabkuch ready kar liya tha, Sakshi table par khana laga rahi thi or tabhi ghar ki doorbell bajti he. Aksh khud darwaza open karne ke liye chala jata he. Jese hi usne darwaza khola to Samne Mansi ka hasta hua chehra uski nazro ke samne agaya, jise dekh kar Aksh ki dhadkane badh gayi thi, or wo ek takk Mansi ko dekhe ja raha tha.
Mansi: Hi Aksh......
Aksh: H..... Hi....
Wo apne hosh sambhalte hue kehta he.
Mansi: to kya me andar asakti hu?
Aksh: ha.... Ha.... Aao....
Wo darwaze se hatkar Mansi ko andar ane ke liye jagah dete hue kehta he. Mansi andar akar Sakshi se bhi mil leti he. Kuch der takk tino milkar baate karne lagte he, or badme khana kha kar backyard me beth jate he.
Mansi: by the way ghar bahot hi shandar he....
Sakshi: thanks.....
Mansi: accha Aksh mujhe ek baat bataoge?
Aksh: ha kaho?
Mansi: mene tumhari car dekhi, or ye car fully Armed car he, jo ke Government officials, ya fir kisi aise insan ko di jati he jo Government ke liye bahot important hota he.... Kya tum Government Officials ke saath jude hue ho?
Uske sidhe sawal se Sakshi or Aksh heran se reh jate he. Aksh ke paas to is sawal ka koi jawab nahi tha.
Mansi: ohh... Don't worry me janti hu Kayi kaam secret taur par hote he, so don't be serious.....
Aksh: aisi baat nahi he.... Wo to bass AI based company he meri, jo Government Offices ke liye Software Development ka kaam karti he... So....
Mansi: ohh.... That's Good....
Sakshi: kya Mansi tum bhi..... Ye ladka kam tha jo ab tum bhi business business le kar beth gayi?
Mansi: ohh I'm sorry....
Wo apne kaan pakad kar kehti he. Uske baad kafi der takk Sakshi or Mansi baate kar rahi hoti he, Mansi ki hasi Mano Aksh ke kano me shehed si ghul rahi thi, Mansi ka wo har baat par khil khila kar hasna mano Aksh ki zindagi ka ek ehem hissa bante ja raha tha.
Thodi der baad Mansi apne ghar chali jati he, Aksh or Sakshi ghar pe Santosh or Radha se kafi der takk baate karte he, or ja kar apne apne kamre me so jate he. Lekin nind dono ki aakho se dur thi, Aksh baar baar karvate badal badal kar sone ki koshish kar raha tha ke tabhi Sakshi uske kamre me ajati he, jise dekh kar Aksh uthkar beth jata he.
Aksh: kya hua Sakshi? Tu soyi nahi abtak?
Sakshi: wo.... Darasal.... Baat.....
Aksh: kya hua? Saaf saaf bolna....
Wo uthkar Sakshi ke samne khade hote hue kehta he.
Sakshi: wo Aksh.... Mujhe apne kamre me sone se darr lagg raha he...
Aksh: kya? Darr lekin kyu?
Sakshi: ye kamra kitna bada he.... Humare ghar mera kamra itna bada thodi na he.... Or ab Mujhe yaha kafi darr lagg raha he....
Wo kisi chote bacche ki tarah bahot masumiyat se kehti he. Use dekh kar Aksh ko bahot hasi arahi thi, lekin wo janta tha ke agar wo galati se bhi hasa to uski khair nahi he. Isliye wo kisi tarah apni hasi daba leta he.
Aksh: yaar Sakshi tu bhi na..... Itni badi ho gayi he or akele sone me darr lagg raha he tujhe?
Sakshi: to kya hua badi ho gayi to? Ab darr lagta he to lagta he...
Aksh: thik he..... To ab tu kya chahti he?
Sakshi: me..... Me yahi so jau tere saath?
Aksh: ye koi puchne wali baat he.... So ja....
Fir Sakshi akar bed par let jati he, Aksh bhi uske bagal me apni aakhe band kiye leta hue tha. Sakshi ki nazar to Aksh par hi tiki hui thi, uska dil kar raha tha ke wo Aksh se lipat kar soye, lekin use Aisa karne me thodi jhijak ho rahi thi. Kayi baar Ha Na karne ke baad Sakshi ne faisla le hi liya, or apna sar Aksh ke sine par rakh diya, or apne haath Aksh ke aas paas dal kar apni aakhe band kar li. Aksh ki aakhe ab bhi band thi, lekin jese hi use apne sine par apni dhadkano se bhi zyada kimti insan ka ehsas hua to Aksh ke chehre par bhi ek muskurahat agayi, or wo apne dayne haath se Sakshi ki zulfe sehlane laga, jis wajah se Sakshi ki saase tez hone lagi. Lekin sacchayi ye thi ke use to puri zindagi kuch isi tarah se guzarni thi. Pata nahi kyu lekin Sakshi ki aakhe num ho gayi thi. Ab ye asu khushi ke the ya Aksh ko khone ke khayal ke the, ye to Sakshi khud jane.
Bairehaal..... Jo silsila Aksh ke saath hote araha tha, wo ab bhi jari tha, yani ke jab bhi wo Sakshi ke kareeb hota to use na hi is duniya ki fikar rehti, or na hi kisi dusre insaan ke khayal. Wo bass is pal ko jine lagta, kuch der baad hi dono ko sukoon bhari nind ajati he.
•
•
•
•
•
•
•
•
Subah Subah Shahid apni Bag me Drugs ki kuch pudiya bhar raha tha. Kareeb 50-60 choti choti pudiya Shahid ne apni bag me rakh li thi, or wo nikal gaya aaj College ke pehle din par. Shahid Second year me tha, Matlab kehne ko wo Senior tha or Senior ka college me pehle din hota he Juniors ki class lena.
Waha Sakshi subah subah tayar ho chuki thi, or Bhagwaan ki murti ke samne khade ho kar aaj ka din accha jaye, iske liye prarthana kar rahi thi. Aksh uske kamre me aya to wo Sakshi ko bass dekhta hi reh gaya. uska wo sadharan sa Salwar Kameez, khuli zulfe Or mathe par chota sa tika, uski khubsurti ko char chand laga raha tha.
Sakshi apni prarthana puri kar ke darwaze ki tarag mudti he to pati he Aksh waha pehle se hi khada he.
Aksh: kya bate hue bhagwaan se?
Wo andar akar Sakshi ke samne khada ho kar puchta he.
Sakshi: hmmm..... Wo humari secret bate he.... Tujhe us se kya Matlab?
Aksh: ohh.... To ab mujhse secret rakhne lagi tu?
Sakshi: tu na kabhi bahot pitega mujhse dekh lena.... Mazak kar rahi hu na?
Wo gusse me aage akar Aksh ki collar pakad kar kehti he.
Aksh: are yaar tu to maar pitai par agayi.... Me bhi mazak hi to kar raha hu....
Sakshi: jhuta..... Darr ke mare apna bayan badalne laga....
Wo Aksh ko dhakka dete hue kehti he.
Aksh: darr...... Or wo bhi tujhse? Hahaha....
Sakshi: ab hasna band kar..... Bandar kahi ka.....
Aksh: thik he..... Teri college jane ki tayari ho gayi?
Sakshi: ha, bass nikal hi rahi hu...
Aksh: chal me chhod deta hu tujhe...
Sakshi: tujhe koi kaam nahi he aaj?
Aksh: ha bass construction dekhne ja raha hu kesa chal raha he, tujhe college chhod kar chala jaunga...
Sakshi: okay....
Fir wo dono gadi me bethkar nikal jate he Sakshi ke college ki taraf. Kuch der baad Aksh Sakshi ke college ke samne car rok deta he.
Aksh: me lene ajaunga tujhe..... Chali matt jana akele....
Sakshi: Aksh tu apne kaam par dhyan de.... Me chali jaungi ghar....
Aksh: are me waha construction site par pura din kya karunga? Me to improvement dekhne ja raha hu, or bass thoda kaam he... College ki chutti hone takk me free bhi ho jaunga....
Sakshi: thik he Dada ajana.... Ab me chalti hu...
Fir Sakshi gadi se utar kar college ke andar chali jati he or Aksh apne kaam par.
Sakshi badi utsuk thi college ke pehle din par halaki wo bhi second year me thi, lekin is college me Sakshi ka pehla din tha. Sakshi andar achuki thi, tabhi ground me bike laga kar bethe Shahid ki nazar uspe padd jati he, or use turant Admission wala din yaad ajata he, jab Sakshi ki wajah se use Mansi ne thappad lagaya tha. Shahid ke saath 3 ladke or 2 ladkiya bhi thi, jo milkar kuch freshers ki ragging kar rahe the.
Shahid: ohhhh.... Priyanka.... Wo dekho, samne wo ladki arahi he na, uski bhi class lete he...
Wo apne saath khadi ladkiyo me se ek jiska naam Priyanka tha, us se kehta he.
Priyanka: oye.... Sanskaro ki murat..... Kaha ja rahi ho, apne Senior ko good morning bhi nahi kahogi.....
Uski baat sunkar dari sehmi Sakshi dhire dhire apne kadam unlogo ki taraf badha rahi thi. Jab Sakshi un sabke samne khadi hoti he to Shahid or uske dost Sakshi ko upar se niche takk gandi nighao se ghurne lagte he. Jis se Sakshi ko bahot bura lagg rah tha, wo apna dupatta thik karne lagti he. Shahid apni bike se uthkar Sakshi ke kareeb ane lagta he, jise dekh Sakshi ki dhadkane hi badhne lagti he.
Shahid: Priyanka.... Tumne galat kaha, Sanskaro ki murat nahi, ye to Khubsurti ki murat he....
Wo Sakshi ko niche se upar takk dekhte hue kehta he. Uske aisa dekhne se Sakshi ko ghin arahi thi. Tabhi Priyanka bhi Sakshi ke paas ajati he.
Priyanka: are wo to he... Naam kya he tumhara?
Sakshi: S...... Sakshi.....
Priyanka: konsi stream me ho?
Sakshi: Second.... Second Year Computer Science...
Shahid: Second Year? First Year me to kabhi dekh nahi tumhe?
Uski baat ka Sakshi koi jawab nahi deti.
Priyanka: are..... Senior kuch keh rahe he tumse, jawab nahi dene ata?
Sakshi: me.... Me Mumbai se hu, or... Or mene First Year wahi se kiya he.....
Priyanka: thik he.... Waise darr kyu rahi ho tum? Koi baat nahi, tumhari ragging nahi hogi... Lekin uske liye meri ek baat maan ni padegi....
Sakshi: kya?
Priyanka: Shahid Senior he tumhare, to Senior ko ek kiss kar ke khush kar do, fir tum yaha se ja sakti ho....
Uski baat sunkar Sakshi ka matha ghum jata he, or wo bina der kiye Priyanka ko zordar thappad laga deti he.
Sakshi: apni hadd paar matt karna..... Warna ye to sirf ek thappad tha, aage se kabhi mujhse battamizi karne ki koshish bhi ki na to..... Dekh lena....
Wo gusse me gurra kar Sabko ungli dikhate hue kehti he. Lekin tabhi Priyanka aage badh kar Sakshi ko marne arahi hoti he ke Sakshi ke piche kisi ko khada dekh kar sabki fatt ke haath me ajati he. Sakshi piche mudkar dekhti he to wo or koi nahi Mansi thi. Halake Mansi bhi First Year me hi thi, lekin use yaha lagbhag har koi jata tha, or kisi ki himmat nahi thi ke wo Mansi ke samne kuch bol de.
Mansi: kya hua? Ruk kyu gayi? Uthao Sakshi par haath.....
Wo aage akar Priyanka ke samne khadi hokar kehti he. Lekin Priyanka sehmi hui apni nazre nichi kar leti he. Tabb Mansi Shahid ke samne khadi ho jati he.
Mansi: kehte he kutte ki doom kabhi sidhi nahi hoti, lekin kutte ko maar maar kar uski doom sidhi ki ja sakti he, lekin tum konsi prajati ho kutto ki, jo apni doom apne hi pichwade me ghused raha he?
Uski baat par aas paas khade students ki hasi chhut jati he, lekin is baat se Shahid ki buri tarah se jalne lagti he.
Mansi: aakhe kya dikha raha he? Dafa ho ja warna ek or thappad mujhse padega tujhe....
Wo apne sunglasses hata kar gusse me Shahid se kehti he. Shahid firse apni bezzati karwake waha se chala jata he, or uske piche piche uske paltu bhi.
Mansi: dekha.... Aise nikalte he in logo ki akad.....
Sakshi: thanks Mansi....
Mansi: kya tum ate hi Thanks ki pipudi bajane lagi...... Chalo canteen me pehle, me apni friends se tumhe milwati hu....
Sakshi: okay.... Chalo...
Fir wo dono baate karte hue Canteen ki taraf chal padti he. Sabki nazar Sakshi or Mansi par tiki hui thi, kyu ke ek taraf Mansi thi jisne ek Short Dress pehni thi or usme wo kafi jach bhi rahi thi, wahi dusri taraf Sakshi is Salwar Kameez me bhi Keher dha rahi thi.
Mansi: waise ek baat puchu Sakshi?
Sakshi: ha pucho na...
Mansi: tum sirf Aise Salwar Suit type kapde hi pehenti ho?
Sakshi: ha waise ghar ke bahar jate waqt to yahi pehenti hu, ghar me halke fulke hi rehte he....
Mansi: no.... I mean Western Dress, Jeans Tops, ye sab nahi pehenti tum?
Sakshi: ohh.... Nahi.... Me nahi pehenti....
Mansi: kyu?
Sakshi: kyu Matlab?
Mansi: yaaf itna Qaatil Figure he tumhara, or un kapdo me to or bhi zyada Qaatil lagogi tum....
Wo aakh marte hue Sakshi se kehti he, jispar Sakshi ka chehra Sharm se laal ho jata he.
Sakshi: k..... Kya tum bhi Mansi.... Kuch bhi bolti ho...
Mansi: ab adat daal lo aisi baate sunn ne ki....
Wo Sakshi ki kamar pe chimti kaat te hue kehti he, aise hi hasi mazak karte hue dono canteen me pahoch gayi, jaha Diksha or Kavita bethi Mansi ka intezar kar rahi thi.
Mansi: Good Morning.....
Diksha/Kavita: Good Morning....
Mansi: Remember Her? Sakshi..... Us kutte Shahid ka ghinona Kand bataya tha.....
Diksha: Yeah..... Yaad he, How Are You Sakshi?
Wo Sakshi ko hug karte hue kehti he.
Sakshi: me bilkul thik hu....
Kavita: hi....
Wo jhuti smile dete hue Sakshi se haath milati he, Sakshi bhi use haath milakar Chair par beth jati he. Kuch der sab apas me baat kar rahe the. Pata nahi kyu lekin Sakshi ko Kavita ka Behavior bilkul accha nahi lagg raha tha.
Berehaal.... Kuch der baad sabki class ka waqt ho gaya tha, Diksha, Kavita or Mansi Sakshi ko bye kehkar nikal hi rahe the ke Mansi wapis akar aage jati hui Sakshi ko rok leti he.
Mansi: Sakshi... Wait....
Sakshi: kya hua?
Mansi: College ke baad sidha ghar matt chali jana, tumhare liye shopping karne jana he....
Sakshi: mere liye?
Mansi: ha, aaj me tumhare liye ekdum hot kapde kharidungi.....
Sakshi: Mansi me.....
Mansi: OMG mujhe kuch sunayi nahi de raha, bye me ja rahi hu or tum class ke baad mili nahi to me baat nahi karungi tumse....
Wo Sakshi ki baat bich me kaat kar waha se bhagte hue chilla kar kehti he.
Sakshi: Mansi.... Mansi.... Ruko to....
Wo Mansi ko rokne ki koshish karti he lekin Tabtak Mansi bhaag chuki thi.
Sakshi: ye sachme pagal ladki he.... Koi baat nahi, baadme baat karti hu....
Yaha college building ki chatt par Shahid Kavita ka intezar kar raha tha, tabhi Kavita waha ajati he.
Kavita: kya hua Shahid.... Tumne mujhe yaha kyu bulaya?
Shahid: tumhari dost Mansi humesha meri bezzati karti rehti he..... Aaj bhi usne sabke samne meri Gaand Maar li....
Wo gusse me aag babula hokar Kavita se kehta he.
Kavita: sabse pehli baat.... Wo Slut meri koi friend nahi he.... Ayenda use meri dost kehne ki galati matt karna...
Shahid: galati mene kar di he tumhe apni Girlfriend bana kar..... Bhenchod Mera crush pehle se Mansi he, lekin tumhari wajah se.....
Kavita: Shahid tumhe apni aag mitane se Matlab he..... To fir Mansi or mujhme kya farak he?
Shahid: accha? Tumne abtak pucha aaj kya hua?
Kavita: I'm sorry.... Please ab batao na...
Fir Shahid use subah wali baat bata deta he, jis se Kavita ko bahot gussa araha tha.
Kavita: is Mansi ko chhodungi nahi me.... Tum bass sahi moke ka intezar karo Shahid....
Shahid: wahi to kar raha hu itne waqt se....
Kavita: bass kuch waqt or, uske baad us Mansi ki puri Life barbad kar dungi....
Uske baad Kavita Shahid se thodi der takk baat karti he or jese hi wo firse apni class jane ke liye piche mudi to Shahid ne use pakad liya.
Kavita: kya hua?
Shahid: kuch der pehle hi kaha na tumne ki mujhe to sirf apni Garmi nikalni he, to fir chalo meri garmi kam kardo....
Wo Kavita ko apne se sata kar kehta he.
Kavita: accha? To kya khule me apni garmi kam karni he?
Shahid: tum chinta matt karo....
Fir Shahid apne dost ko call kar ke piche hostel room ka jugad kar leta he. Dono waha ja kar apni pyas mitane lagte he.
Suhana: I'm Sorry Sir..... Mene apni puri koshish kar li lekin Mumbai me hum fail ho gaye.....
Is waqt Suhana Aman ke cabin me apni mazre jhukaye khadi thi or Aman se mafi maang rahi thi.
Aman: isme tumhari galati nahi he, ladke ka naseeb accha he..... Lekin problem ab or badh gayi he....
Wo window me khada ho kar Suhana se kehta he.
Suhana: me kuch samjhi nahi.....
Aman: mujhe pata chala he ke Aksh ab Surat me aya he or yaha ek AI company start kar di he.....
Suhana: what.....
Aman: ha..... Wo ab mujhe compete karne ke liye Surat agaya he..... pehle to us Mantri ka galat kaam saath na chahte hue bhi dena pad raha he... or ab ye Aksh......
Aman ko jabse Aksh ki company ke bare me pata chala, tabse wo kafi Frustrate tha, wajah ye nahi thi ke kahi Aksh use hara na de, kyu ke kuch bhi ho Aman Gujrat ka sabse bada Business man he, use harana kafi mushkil he, Aman ko to kuch or hi chinta khaye ja rahi thi.
Suhana: sir if you don't mind kya puch sakti hu ke aap itne pareshan kyu he..... Kyu ke itne salo me hazaro Business Gujrat me shuru hue band hue, lekin aap kabhi itne pareshan nahi lage.... Or aaj.....
Aman: Suhana..... Kuch purane raaz he, jinse parda sirf or sirf Aksh utha sakta he..... Agar jo me soch raha hu waisa hua to kahi me.... kahi me Mansi ko humesha ke liye.....
Aman aage kuch bol hi nahi pata or uski aakho se asu behne lagte he, or to or Aman ki dhadkane tez hone lagi. Ye sab Dekh kar Suhana achambhit reh gayi thi, Aman ka Blood Pressure badhne laga tha, Suhana use chair par bitha kar pani de deti he.
Suhana: Sir me abhi Doctor ko bulati hu....
Aman: nahi.... Rehne do, Me thik hu....
Suhana: but sir....
Aman: Suhana......
Wo Suhana ki baat kaat kar use chup kara deta he.
Suhana: Sir me.....
Aman: me janta hu tum kya kehna chahti ho....
Wo Suhana ki baat bich me kaat te hue kehta he.
Aman: Suhana, itne salo se tum is company se judi ho, or tumhara judav sirf company takk nahi he, tum bhi mere pariwar ka hi hissa ho, or is business me mujhe sabse zyada bharosa sirf tum par he.... Or shayad ye Raaz tumhe bhi jaan na banta he....
Suhana Aman ki baat sunkar kafi tensed ho gayi thi, kyu ke aaj se pehle usme Aman ko itna pareshan nahi dekha tha.
Aman: Suhana.... Ye baat aaj se kareeb 40 saal pehle ki he, darasal..........
Waha aman Suhana ko sare raaz bata raha tha, jise sunkar Suhana ko yakeen nahi ho raha tha, uske haath pair kanp ne lage the.
Suhana: S..... Sir...... Ye...... Me..... K..... Kyu....
Suhana Aman ki baat sunkar itni darr gayi thi ke us se apni baat bhi puri nahi ho pa rahi thi.
Aman: Ha..... Mujhe bhi bass isi baat ka darr he kahi.....
Wo apni adhuri baat kar ke matha pakad kar wahi beth jata he. Kuch der takk us cabin me sirf sannata chaya raha.
Waha college ki chutti ho chuki thi, Sakshi Mansi ka intezar kar rahi thi ke tabhi samne se use Mansi ate hue dikhayi deti he.
Mansi: thank God tum gayi nahi, mujhe laga tum waise hi ghar chali jaogi....
Sakshi: kese ghar jati, Aksh lene ane wala he mujhe....
Mansi: bechara Aksh.... Yaar Sakshi jaldi se koi boyfriend dhund lo, or bechare Aksh ko is duty se free kar do....
Sakshi: Mansi tum na bahot zyada bolti ho, agar aisa he to tum kyu abtak Single ho?
Mansi: yaar mujhe mere Dad ka business sambhalna he, or agar me relationship me ajati hu to Business par dhyan kon dega?
Sakshi: Tumhara business or tum.... Pagal.....
Wo Mansi ke sar pe halke se marte hue kehti he.
Sakshi: waise Kavita or Diksha kaha he?
Mansi: Diksha to uski ek friend ke saath andar hi he, wo dono saath hi jate he na ghar.... or Kavita to pata nahi kuch urgent kaam he bolkar gayi to wapis ayi hi nahi...
Sakshi: okay.... Waise Mansi agar tumhe bura na lage to ek baat keh sakti hu?
Mansi: Sakshi tum bhi kya? Me kyu bura mannungi tumhari baat ka? Please be jhijak kaho...
Sakshi: dekho Mansi mujhe na Kavita kuch thik ladki nahi lagti, uska swabhav tumhare prati kuch alag sa lagg raha he.....
Mansi: Sakshi he tum kya keh rahi ho hum.......
Sakshi: me janti hu Mansi ke tum Kavita ko bahot pehle se janti ho, or me koi nahi hoti uske bare me aisi baat karne wali, lekin Mansi ek baat me tumhe bata du, tum bachpan se aise mahol me ho jaha zyada log tumhare aspas nahi he, or me ek moholle me pali badi hu, waha rehkar insan ki parakh karna bakhubi ata he mujhe.....
Uski baat to Mansi ko bhi sahi lagg rahi thi.
Sakshi: dekho Mansi me ye nahi keh rahi hu ke Kavita buri ladki he, lekin uska behavior tumhari taraf khuch fake sa dikhta he....
Mansi: ha Sakshi.... Ye baat to mene bhi kayi baar notice ki he, lekin me humesha is baat ko taal te ayi hu...
Sakshi: chalo ab chhodo us baat ko, me bass tumhe agha karna chahti hu.... me nahi chahti ke tum jesi ladki ke saath kuch galat ho...
Wo Mansi ke khando par haath rakhte hue kehti he.
Mansi: Thanks Sakshi..... Thanks....
Wo Sakshi ko tightly hug karte hue kehti he.
Sakshi: kya tum bhi ye thanks ki pipudi bajane lagi?
Wo Mansi ko subah ki baat yaad dilate hue kehti he. Tabhi gate ke bahar Aksh ajata he, wo Sakshi ko call kar deta he, Sakshi ne Aksh ko gate ke bahar khada dekh liya.
Sakshi: okay Mansi me chalti hu.... Aksh bhi agaya...
Mansi: oye... Ek minute.... Mene kaha na Shopping par jana he...
Sakshi: Mansi Try to understand, me waise kapde nahi pehenti....
Mansi: kyu? Parents ne mana ki he?
Sakshi: nahi....
Mansi: to Aksh ne? Wait abhi uski khabar leti hu....
Or ye kehkar wo gate ke bahar khade Aksh ke paas chal padti he.
Sakshi: Mansi..... Ruko.... Are ruko....
Wo bhi Mansi ke piche piche gate ke bahar ajati he.
Aksh ne jab dekha ke Mansi samne arahi he to uske saath firse wahi sab hone laga jo abtak hota arah tha. Wo bass Mansi me kho sa gaya, lekin waha Mansi ekdum gusse me akar Aksh ke samne khadi ho gayi.
Mansi: Aksh.... Tum na bahot galat kar rahe ho..... Ye bilkul bhi thik nahi he....
Aksh: k.... Kya..... Mene... Mene kya kiya?
Mansi: tum Sakshi ko short kapde pehen ne se kyu mana karte ho?
Aksh: kya? Lekin mene aisa kab kaha?
Wo bechara nasamjhi ki halat me Mansi se kehta he.
Sakshi: are Mansi.... Chup.... Kya kar rahi ho?
Mansi: ek minute Sakshi....
Mansi: to mujhe ek baat batao Aksh.... Kya tumhe Sakshi ke Western type kapde pehen ne se koi etraz he?
Wo apne dono haath kamar par rakhte hue Aksh se puchti he. Or uske piche khadi Sakshi ishare se Aksh Haa kehne ko bolti he, lekin Aksh ab Sakshi ko fasana chahta tha.
Aksh: mujhe etraz kyu hoga? Me to kitni baar keh chuka hu us se ke ye sab pehen ne me koi burayi nahi he, lekin wo hi nahi manti to me kya karu?
Wo Mansi ki aakho me aakhe dalkar kehta he, jise sunkar Sakshi ka muh khula ka khula reh gaya.
Mansi: ab bolo Sakshi, kya kehna he tumhara?
Sakshi: Bavlat..... Besharam.....
Wo bahot hi gusse me Aksh ko kha jane wali nazro se dekhte hue kehti he. Jispar Aksh ki hasi chutt jati he.
Mansi: kya? B..... Bavl.... Bavlat.... Ye kya hota he?
Sakshi: Bavlat yani ye.... Pagal....
Wo Aksh ki tarag ungli karte hue kehti he.
Mansi: bavlat wo nahi tum ho.... Ab chalo shopping ke liye jate he....
Sakshi: Mansi please.....
Mansi: Aksh please ise kuch kaho na.....
Wo Aksh ki bahe pakadte hue kehti he, lekin Aksh firse usme hi kho sa jata he.
Mansi: Aksh.... Kaha kho gaye? Bolo na ise kuch...
Aksh: ha..... S... Sakshi.... Maan jana... Kya ho jayega agara waise kapde pehen liye to?
Sakshi: Tu....
Aksh: yaar meri baat bhi nahi manegi ab tu?
Ab Sakshi dono taraf se ghir chuki thi, or ab use bahar ane ka koi tarika nahi dikh raha tha. Akhir kaar use dono ki zidd ke aage jhukna pada. Fir wo tino Aksh ki gadi me hi Sakshi ke liye kapde kharidne nikal jate he.
To Be Continued.......
To dosto ye tha aaj ka Update, i know bahot late ho gaya ye Update... Lekin kya karu, jabb mann hi udas tha to kya likh pata me? Lekin ab apna 100% de dunga Updates jaldi jaldi post karne ke liye. Stay Tuned And Keep Supporting ❤❤
Agar Update accha laga ho to like zarur karna or Comment kar ke apna view mere saath zarur share karna. Agla Update jald hi ayega till then Stay Tuned And Keep Smiling
Badiya Update tha bro
Sakasksh moments bahuth hi cute tha yaar
Jis tarah se aksh sakshi ko chadtha hai
bahuth hi maza aata hai bhale hi wo chote se moments hi kyun na ho. Ek taraf ek anjaan se feelings ne aksh ke man ghar kar liya aur wo bus badtha hi ja raha hai tho ek taraf mansi jiski soch is ke fipareet. kya hoga in dono ka anjaam aur saath saath sakashi ka, is kahani mein dekhna dilschap hoga....
Wo koun sa
RAAJ, hai jo aman, mansi se juda huva hai...?? Dekhna Dilschap hoga.....
Shahid aur kavita kasie mansi aur sakshi ko nuksaan pouchathe ya fir pahuchapthe hai ya ni...Dekhna dilschap hoga.....swal bahuth sare hai jawab srif ek...
Waiting for next......
"
Kabhi Palke neeche karna, kabhi saasans gheri bharna..,
Usne Seekhaya hai Mujhe, Uski har ada se mohabhat karna.......
"