Kahani mein kaafi mod aaye joh kahani ko dilchasp banaye huye hai... ek achhe writer ke gun, lakshan yeh ki kahani ki jariye, kahani ke kirdaaro ke jariye kahani ke naam ko sarthak kar de.... jisme aap pure tarike se kamyab rahe...
Really badhte update ke sath sath kahani aur bhi zyada interesting hoti jaa rahin hai...
Har ek pehlu ko aapne dhyan dete huye kahani ko aage badha rahe hai..
romance ke sath sath thrill, action aur suspense ki bhi anokhi sangam hai kahani mein ...btw pata nahi
Qaatil sahab brutally kiye gaye murder scenes kahe add nahi kar rahe
mujhe rakt se bharpur update chaahiye jaha kirdaar ek dusre ko brutally maut ke ghat utar de like wrong turn movie series ki tarah
Khair.. kuch cheejo se shayad dhire dhire raaz ka parda hatenge.jaise abhi sakshi ka pyar jiska ehsaas us thulle aksh ko nahi
.. aur kuch kirdaaro ki asli roop bhi samne aa rahe hai.. jaise khaskar kamini haaraman mansi
toh kayi naye kirdaar bhi dekhne ko mil rahi hai... joh apni bhumika sathik roop se nibha rahe hai kahani ki har ek pehlu mein....
yeh bhi ek sach hai ki aapki is kahani mein har ek kirdaar ki mahattva purn hai.. I mean to say ek kirdaar bhi hata diya jaye toh kahani adhuri hai...
Hum hamesha hero heroine pe hi zyada dhyaan Kendrit karte hain... lekin yeh yaad rakhna chahiye ki baaki kirdaaro bin mul kirdaar kuch bhi nahin.... aur aap kahani mein sabhi kirdaaro ke sath ek justify karte hain... Isliye aapki yeh kahani meri favorites kahaniyo mein se ek ho gayi hai.... Lekin afsos ki baat ye hai ki lead heroine kiran ko zyada highlights nahi hone de rahe hai
Qaatil sahab... kahe
bichari ek hi to Aashiqq hai... usko bhi mansi ki jholi mein daal diya... bad, Bhery Bhery bad
aise hi likhte rahiye aur humari manoranjan karte rahiye
Brilliant update with awesome writing skills
Aksh: Mansi..... I Love You...... I Love You So Much..... Me kafi waqt se tumhe apne dil ki baat batana chahta tha, lekin kafi darr raha tha ke kahi tum bura na maan jao, lekin ab me apne aap ko rok nahi paya Mansi.... Tumhe pata he jab mene tumhe pehli baar dekha tha, tab se hi me shayad tumse pyaar kar betha tha, ab tum soch rahi hogi ke hum pehli baar us raat ko mile the jab tumhari car ka tyre kharab hua tha, lekin nahi, dimag par zor dalne ke baad mujhe yaad aya ke hum us se pehle bhi mile the, yaad he jab tum apne Dad ke saath Mumbai ayi thi, or tumhari car bigad chuki thi, jise thik karane tum mere garage par ayi thi..... Me to us waqt hi apna dil tumhe de betha tha, lekin us waqt ye sab namumkin lagg raha tha, kaha tum or kaha me? Lekin bhagwaan ne humari firse mulakat karwa di, or is tarike se karwa di ke.... Ke me apne aap ko tumse beinteha pyaar karne se rok nahi paya.... Mansi me janta hu ke aaj bhi me tumhare Dad jitna kabil nahi hu, me janta hu ke me kisi rich family se belong nahi karta, me to ek middle class family se hu, na zyada padha likha..... lekin... Lekin me tumhari sari khushiyo ko pura karunga..... Tumhe kabhi kisi baat ki kami nahi lagne dunga.... me, Sakshi, Aai, Baba.... Hum sab... Hum sab milkar tumhe humesha khush rakhenge.... i promise..... Tumhe... Tumhe kabhi koi pareshani nahi hone denge..... Kabhi nahi...... Mansi ab mere paas dusra rasta nahi he, me apna dil kab ka haar chuka hu, or is raste se wapis jana mujhse marte dumm takk nahi ho payega..... I Love You..... Till The end of my time, I'll be loving you....
Baaki sab to thik par baaki ke words normal aur ye thulle aksh aur us kulta mansi ke bich jo baate huyi hai wo bold letter mein kahe
tell tell
Khair.. Mujhe kya
Let's see what happens next
..
..
ab intezaar is baat ki... ki kab sakshi us nibbi mansi ko khaufnaak aur dardnaak maut degi
are uske pyar ka sawal hai, koi mazak nhi