- 2,217
- 13,471
- 159
Chapter 1 - The Early Life
Update 6
Update 6
Word Count: 2365
Estimated Reading Time: 00:11:00
Ek or chehekti subah, adha ugta hua suraj is duniya me laali faila raha tha, ek bahot Khubsurat nazara pesh kar raha tha, or is Khubsurat nazare ko Aksh apne ghar ki chatt par khada dekh raha tha. Uske dimag me is waqt kafi baate chal rahi thi, ab wo kya soch raha tha ye to Aksh khud jane.
Wahi Sakshi subah subah naha kar tayar ho chuki thi. Din chuttiyo ke ho ya fir normal days, Sakshi humesha se jaldi uthkar tayar ho jati, or sabse pehla uska jo kaam hota wo Bhagwaan ke samne haath jodkar prarthana karna.
Sakshi(mann me): Deva... Aapki Krupa drushti aise hi hum sab par banaye rakhna... Or Aksh ko thodi sadbuddhi dena... Humesha bewajah sabse behes karta rehta he... Please use samjhana Deva....
Wo apni aakhe band kare apne pure dil se Bhagwaan ke samne haath jode khadi thi, uski har roz ki prarthana me Aksh ka naam zarur hota tha, kuch der baad Sakshi bhi upar chatt par jane ka sochti he, wo jese hi upar pahochi to usne dekha ke Aksh badi gehri soch me waha suraj ki taraf dekh raha tha. Sakshi aage akar Aksh ke kandhe par haath rakh deti he.
Aksh: kuch nahi.... Bas accha lagg raha he yaha par to ruk gaya me....
Jese hi use apne kandhe par Sakshi ka haath mehsus hua usne bol diya.
Sakshi: hmm... lekin mene to kuch pucha hi nahi...
Wo Aksh ke bagal me khade ho kar Aksh se kehti he.
Aksh: kyu? Yahi to puchne wali thi na tu?
Wo Sakshi ki akho me dekhte hue kehta he.
Sakshi: Bavlat(Pagal).....
Wo muskurate hue Aksh ke sar me marte hue kehti he.
Kuch der tak dono bas Suraj ki ugti kirano ko nihar rahe the, thodi der baad Sakshi ko Aksh se baat karne ka ye sahi waqt laga to wo Aksh se baat karne ka sochti he.
Sakshi: Aksh meri ek baat manega tu?
Wo bina Aksh ko dekhe hi puchti he.
Aksh: konsi baat?
Fir Sakshi Aksh ki taraf dekhne lagti he.
Sakshi: dekh Aksh me janti hu ke tujhe ye padhai wadhai me bilkul intereste nahi he lekin.....
Aksh: yaar Sakshi please ab tu subah subah shuru mat ho jana....
Wo Sakshi ki baat bich me kaat te hue kehta he.
Sakshi: Dada meri baat to sunn na pehle... Mujhe ek baat bata, tujhe padhai nahi karni to tu kya karega tabtak?
Aksh: pata nahi... lekin kabhi na kabhi kuch zarur karunga...
Sakshi: to fir tabtak padhai kar le na.... Abhi teri koi umar bhi nahi he jo tu kuch kar sake... Ek baar tu 18 ka ho gaya to jo tera dil kare waisa hi karna... Me humesha tera saath dungi.... Or agar tab bhi Aai Baba tere faisle ke khilaf honge to me fir bhi tera hi saath dungi... Lekin please tabtak padhai kar lena....
Wo Aksh ke samne khade ho kar uske haath thamkar kehti he, ab Aksh bhi sochne par majbur ho gaya ke akhir wo padhai chhod kar kya karega...
Sakshi: bolna Dada meri itni si baat manega na?
Ab Aksh kafi gehri soch me tha. Or shayad usko apne sawal ka jawab bhi mil gaya.
Aksh: thik he....
Uske jawab se Sakshi bahot hi khush ho jati he, or kas kar Aksh ko gale laga leti he.
Sakshi: thank you Aksh meri baat maan ne ke liye...
Aksh: ha... is baar teri baat maan li mene, Lekin ye mat samajh lena ke har baar teri mann mani chalegi...
Wo Sakshi ko apne se alag kar ke use ungli dikhate hue kehta he.
Sakshi: thik he..... Matt maan na meri baat, lekin ab se acche se padhai karna, thik he?
Uski baat ka jawab Aksh bas apni gardan ha me hila kar deta he.
Fir wo dono kuch der tak upar chatt par hi bate karte hue beth jate he.
Santosh apne kaam par janeke liye tayar ho chuka tha.
Santosh: Radha... Aksh ko bulao... Mujhe us se baat karni he.
Radha: dekhiye subah subah shuru mat ho jana ab aap, kya baat karni he?
Santosh: us se akhri baar puchunga ke padhai karni he ya nahi... Warna...
Sakshi: Baba aap chinta mat kijiye.... Aksh to bas aise hi bol raha tha ke use padhai nahi karni...
Santosh: chalo thik he.... Me chalta hu...
Or wo apne kaam par chala jata he. Tabhi Aksh apne kamre se bahar ajata he or sidha ghar ke bahar jane lagta he.
Radha: Aksh kaha ja raha he t subah subah?
Wo Aksh ko darwaze par hi rokte hue puchti he.
Aksh: Karim chacha ke yaha ja raha hu or me sham ko 4 baje aunga ghar pe...
Or ye kehkar wo bahar chala jata he
Radha: 4 baje? Lekin... Aksh... Aksh... Sunn to...
Wo piche se Aksh ko pukarti he lekin tabtak to wo nikal gaya tha.
Radha: pata nahi kab sudhrega ye ladka?
Sakshi: kya Aai tum bhi... Aksh kaha bigda hua he jo sudharne ki baat kar rahi ho...
Wo aage akar Radha ke gale me bahe dalte hue kehti he.
Radha: ha... Tu to bas humesha uski hi tarafdari karti reh..... Dada chi ladki (Bhai ki ladli)
Wo narazgi se Sakshi se alag hote hue kehti he.
Sakshi: isme tarafdari ki kya baat agayi Aai? Uski soch thodi alag si he, or mujhe usme koi galat baat nahi lagti or me uski kisi bhi galat baat me saath nahi deti....
Radha: Rahude Rahude (Rehne do).... Bahot bolne lagi he ab tu bhi...
Wo Sakshi ke sar pe halke se thapki marte hue kehti he.
Aise hi dono masti mazak me ghar ke kaam nipta dete he, waha Aksh Garage par pahoch gaya tha. Karim use chote mote kaam sikha raha tha or Aksh bhi mann laga kar kaam sikh raha tha, lekin jab Karim apne customers se baat karta to Aksh kafi bariki se unki baate sunta tha, kyu ke Karim ke sare customer us se bahot hi friendly tarike se baat karte the, Karim ne apne customers ko shikayat ka mauka kabhi bhi nahi diya tha or isi wajah se har koi Karim se kafi acche se baat karte, or is area me Karim ka hi ek lauta garage tha kisi me itni himmat nahi thi ke wo yaha par ek Garage open kare, kyu ke log humesha Karim se hi apni gadiyo ki marammat karwate the. Aise hi waqt nikalta gaya, dopehar ko khane ka samay ho gaya tha, Karim Aksh ko apne saath ghar le gaya jaha wo log khana kha kar firse garage agaye.
Karim: Aksh bahot der ho gayi he, ab chala ja tu ghar pe.
Aksh: nahi chacha me shaam ko chala jaunga....
Karim: are Aksh tu thak gaya he, ghar ja aram kar le....
Aksh: chacha me nahi thaka hu, chaliye kaam par lagg jate he.
Or wo aage badh kar apna adhura kaam pura karne me lagg jata he.
Karim(mann me): ise samajh pana namunkin he... Yaa Khuda... Iski humesha madat karte rehna, ye ladka kuch alag hi he... Lekin dil ka kafi saaf he....
Or fir Karim bhi apne kaam me lagg jata he. Shaam ke 4 baje hue the Karim Aksh ko ghar jane ko kehta he, Aksh ka dil ghar jane ke liye nahi kar raha tha, lekin Karim ki zidd par wo ghar chala jata he, Raste me jate hue Aksh ko usi Showroom me ek Supercar dikhit he, jaha bachpan me do admiyo ne uska mazak udaya tha, us car ko dekh kar Aksh ke chehre par hasi ajati he.
Aksh(mann me): bahot jald tu mere paas bhi hogi... Thoda sabr kar.. huhhh
Or wo apne mann me apne ane wale future ko plan karte hue ghar ke raste chala gaya. Ghar akar wo fresh ho jata he, kuch der baad ghar pe Soham or Neha bhi aye hue the, charo milkar upar apni chatt par bethe dhalte suraj ka Khubsurat nazara dekh rahe the.
Neha: yaar me to College jane ke liye bahot hi exited hu, kitna maza ayega....
Wo bahot hi khushi se kehti he lekin Soham usi khilli udane ki sochta he.
Soham: accha? Me janta hu tu kyu exited he... Dekh itna exite hone ki koi zarurat nahi he... Kyu ke teri shakal Bandariya jesi he, or Bandariya ko koi ladka ghaas bhi nahi dalta... Samji...
Uski baat se Sakshi zor zor se hasne lagti he lekin Neha bahot gusse me ajati he or sidha Soham ka collar pakad leti he.
Neha: kutte.. kya kaha tune.... Me Bandariya.... khud to joker lagta he, or mujhe Bandariya bol raha he..
Wo zor zor se Soham ka collar pakad kar use age piche karte hue bol rahi thi, Sakshi in dono ki masti par hass rahi thi lekin Aksh to bas dhalte suraj ko ek takk dekhe ja raha tha. Or Sakshi use is tarah se dekh leti he.
Soham: kya soch raha he Aksh tu?
Aksh: kuch nahi..... Bas dekh raha hu ke jese ye suraj dhal raha he, waise hi meri life bhi dhalte ja rahi he...
Uski baat se wah ka sara mahol hi badal jata he, lekin Sakshi ko is baat par kafi gussa ajata he lekin wo bina gussa dikhaye Aksh ke bagal me beth jati he.
Sakshi: to tu apne aap ko is suraj ki jagah dekh raha he na?
Wo samne dhalte Suraj ko dekhte hue Aksh se puchti he, Aksh uske sawal par sirf Sakshi ko dekh raha tha.
Sakshi: jawab de na Aksh
Aksh: ha.....
Sakshi: to fir tujhe ye sacchayi kyu nahi dikhayi deti ke Yahi Suraj dhalte hue bhi is puri duniya ko kitna Khubsurat bana deta he, khud jal kar dusro ki zindagi me sawera lata he... Aksh tu kyu humesha aisi ulti sidhi bate karta rehta he? Me... Me....
Or wo apni baat puri kiye bina hi waha se niche chali jati he, Soham or Neha use samjhane ke liye uske piche hi chale ate he, Lekin Aksh Sakshi ko naraz kar ke kafi bura mehsus kar raha tha, Aksh kuch der wahi betha rehta he.
Kuch der baad Soham or Neha bhi apne ghat chale gaye the, Aksh ko Sakshi se baat karni thi lekin Sakshi us se Naraz lagg rahi thi or wo bas ghar ke kaam karne me lagg jati he, Aksh ko us se baat karne ka mauka nahi milta.
Raat ko sab log milkar khana kha lete he, khane ke baad Sakshi Radha ka kaam me haath batane lagti he, Aksh tabtak bahar walk ke liye chala jata he, jab wo ghar aya to Radha or Santosh TV dekh rahe the, Sakshi ko waha na dekh kar Aksh us se baat karne uske kamre me chala jata he. Jaha Sakshi bed par badi hi gehri soch me leti hui thi, Uske kamre ka darwaza khula hua tha Sakshi ko pata nahi chalta ke Aksh waha aya he tab Aksh darwaze ko knock karta he jis se Sakshi hosh me ajati he or Darwaze par Aksh ko khada dekh uthkar beth jati he. Aksh andar akar pehle darwaza lock kar deta he or ja kar Sakshi ke samne niche apne ghutno par beth kar uske haath thaam leta he.
Aksh: sorry Sakshi..... Me janta hu tu meri kahi baat se naraz he, or tera naraz hona sahi bhi he, lekin.... lekin me kya karu, me nahi janta ke kyu me aisi baate karta hu... Samajh hi nahi araha ke me kyu aisa banta ja raha hu, kabhi kabhi me apne aap se nafrat karne lagta hu... Kya karu Sakshi me tu hi bata....
Sakshi: You find peace not by rearranging the circumstances of your life, but by realizing who you are at the deepest level, Eckhart Tolle...... Jin Authors ki kitabe padhta he tu, unki hi bate he ye...
Wo halki si num akhi se kehti he, jis se Aksh ke chehre par ek hasi ajati he.
Aksh: sahi kaha... Lekin kayi baar Practicality in sari baato par kese na kese haawi ho hi jati he... Or us waqt bahot dard hota he... Sabse zyada to tab, jab humare pyaar karne wale log humse naraz ho jaye...
Sakshi: me koi naraz nahi hu tujh par....
Wo Aksh se nazre ferte hue kehti he.
Aksh: to fir aise nazre kyu fer rahi he..... Ab maaf bhi kar de.... Aage se kabhi aisi baate nahi karunga..
Wo Sakshi ke haath kaste hue kehta he lekin wo koi response nahi deti.
Aksh: ab maan bhi jana... Oye chipkali....
Bas Aksh ke muh se ye nikla ke Sakshi ka gussa satve asman par chala jata he, or wo Aksh se apne haath chhuda kar uska collar pakad leti he.
Sakshi: tujhe kitni baar kaha he ue mat bola kar mujhe.... Samajh nahi ata tere....
Wo bahot hi gusse me usko dhakke dete hue kehti he. Uska gussa dekh Aksh has padta he or fir Sakshi bhi uska collar chhod deti he.
Sakshi: please Aksh age se aisi utpatang baate mat kiya kar...
Aksh: ha nahi karunga.... Ab so ja.. mujhe bhi bahot nind arahi he.
Sakshi: okay...
Or fir Aksh waha se apne kamre me chala ata he, aaj pura din kaam karne se wo kafi thak chuka tha isliye bed par let te hi uski aakh lagg jati he.
Or is tarah inka ye din nikal jata he, jaha humne dekha ke wo Aksh jo kisi ki nahi manta use Sakshi ne bas kuch palo me apni baat manva li, or wo Apni padhai continue karne ke liye razi ho gaya, jaha Aksh mann laga kar Karim se kaam sikh raha tha, lekin jab bhi Karin apne customers se baat karta to Aksh unko kafi note karta tha. Wahi Sakshi ki apne bhai se narazgi, jo jayaz thi, use Aksh ne dur kar hi diya. Ab inki life ne aage kya mod ate he ye dekhna interesting hoga.
Agar Update accha laga ho to like zarur karna or Comment kar ke apna view mere saath zarur share karna. Agla Update jald hi ayega till then Stay Tuned And Keep Smiling
Last edited: