tabishqureshi
Well-Known Member
- 2,862
- 6,979
- 158
Jabardast update..bhaiChapter 1 - The Early Life
Update 5
Mega Update
Word Count: 3630
Estimated Reading Time: 00:16:00
Aaj ka din har students ke liye bahot hi bhari din hota he, kyu ke aaj 10th ke results ane the, Sakshi or Aksh ke bhi aaj haal bura tha, Ek Taraf Sakshi soch rahi thi ke use kitne percentage milenge, wahi Aksh to soch raha tha ke wo pass bhi hoga ya nahi....
Sakshi or Aksh is waqt Aksh ke kamre me the.
Sakshi: mujhe bahot hi darr lag raha he Aksh.... Kitne percentage milenge mujhe?
Wo kamre me yaha se waha chakkar lagate hue Aksh se puchti he.
Aksh: ye sahi he..... tujhe percentage ki chinta ho rahi he, yaha pe mere pass hone ke Chance nahi he....
Sakshi: pura saal to kehti rahi na me tujhse padh le padh le... Lekin nahi... Baat kaha manega tu?
Wo Aksh ke samne gusse me apne kamar pe dono haath rakh kar kehti he.
Aksh: ab chhod bhi ye baat.... Or waise bhi mene soch liya he ke me ab aage padhai nahi karne wala...
Or wo uthkar samne ki table ki taraf chala jata he or table par rakhi bahot si books me se ek book nikal kar use padhne lagta he. Ab yaha Aksh ko padhai me bilkul mann nahi lagta tha, lekin use Self Development, Inspirational, Spiritual Books padhna pasand tha.
Uski baat sunkar Sakshi heran si reh jati he.
Sakshi: mere samne bol diya tune wo thik he, galati se Aai Baba ke samne mat bol dena.. bewajah pitt jayega nahi to tu...
Aksh: to usme konsi badi baat he.... Zindagi to waise bhi pitt hi rahi he, Aai Baba bhi haath saaf kar lenge....
Wo ek Sarcastic hasi ke saath kehta he.
Sakshi: Aksh tu kyu aisi baate karta rehta he?
Wo aage badhkar Aksh ke kandhe par haath rakh kar kehti he.
Aksh: yaar mera bilkul mann nahi karta padhai karne ka.... Ghutan si hoti he mujhe school ki kitabe padhne se....
Wo apne haath me jo book thi use table par rakh kar badi hi frustration me akar kehta he.
Sakshi: accha? To ye kitabe to kitni shok se padhta he tu....
Aksh: in dono kitabo me zameen asmaan ka fark he Sakshi.... Teri wali kitabe sirf or sirf padhai tak hi simit he, lekin ye... Ye wali kitabe zindagi ke daav pej sikhati he....
Sakshi: Deva.... Tu or teri baate....
Wo apne mathe par haath marte hue kehti he.
Sakshi: ab ye sab chhod or college me to acche se padhai kar lena...
Aksh: dekhte he....
Or aise hi kuch der tak dono wahi bethe rahe, kuch der baad Results ka time ho gaya tha, sab log bahar hall me jama the, Sakshi apni sari details daal kar page load hone ka intezar apne haath jodkar kar rahi thi, jese hi page load hua, to sabke chehre par khushi ajati he, wajah sirf ye nahi thi ke wo pass ho gati, balki use 94% mile the. Aksh bhi uske liye bahot khush tha lekin ab baari Aksh ki hi thi, jese hi Page load hota he to sabke chehre par jo khushi thi wo ek pal me hawa ho jati he or sab kafi nirash se khade the. Darasal Aksh pass to ho gaya tha lekin use sirf 38% mile hue the.
Santosh: Are.... Tum sab udaas kyu ho gaye? Bhai sahab ne passing mark se pure 3% zyada number laye he...
Wo Aksh ko taana marte hue kehta he.
Sakshi: Baba....
Santosh: Bolu De Mala (Mujhe bolne Do)
Wo Sakshi ko haath dikhate hue kehta he. Jis se Sakshi bhi chup ho jati he. Aksh to bas apna sar jhukaye khada tha, or Santosh uske paas ajata he.
Santosh: Pata nahi konsi konsi kitabe padhta rehta he din bhar.... Beta agar thodi si padhai kar li hoti to kam se kam muh dikhane layak number to ajate tere.....
Aksh: Baba ye School wali kitabe to bas insaan ko khacchar bann na sikhati he, bas ye sikhati he ke ek accha khacchar kese bane... Me jo kitabe padhta hu na wo ye samjhati he ke in khaccharo ki race se alag kese ho...
Wo Santosh ki akho me akhe dale bina dare apni baat samne rakhta he.
Santosh: jin logo ki kitabe padhta he na tu... Wo bass kahaniya he, asli Zindagi nahi....
Aksh: sahi kaha aapne... Or wahi log ye bhi batate he ke apni khud ki kahani kese likhe....
Santosh: beta is kahani ko chalaye rakhne ke liye society ke saath chalna hota he.... Warna use log Pagal ghoshit kar dete he.
Aksh: huhhh... Society.... Baba jab me is society par nazar dalta hu na, to mujhe apne charo taraf jhut dikhta he, sab nakli he, sablog acting karte he, ek natak chal raha he, ek script he jo kayi saal pehle koi likh kar chala gaya, wo darr ki script, wo maze marne ki script, sirf paise ke piche bhagne ki script... Or jab me unki script ke hisab se nahi chalta to ye log mujhe Pagal kehte he, me inki script ke hisab ss nahi chalunga, meri kahani, meri script me khud likhunga....
Santosh: huhh.... Pagal ho gaya he tu....
Wo apni gardan ko hilate hue kehta he.
Aksh: haha.... Ek junoon he, ek sukoon he, ek Ishq he, ek Muhabbat he... Jise aap sab pagalpan keh rahe ho, or sirf aap hi nahi agar ye puri duniya ke 700crore log akar bhi mujhe kahenge na ke tu pagal ho gaya he, me fir bhi apne Pagal pan ko khatam nahi hone dunga...
Is baar Santosh ko bahot gussa ajata he, lekin Aksh us se ek or aisi baat karne wala tha jis se Shayad Santosh apna aapa kho bethe...
Aksh: or waise bhi mene soch liya he ke mujhe ab padhai nahi karni.....
Uski baat sunte hi Santosh use kas kar thappad laga deta he, aaj pehli baar ye din agaya tha jab Santosh ko apne baccho par haath uthana pada.
Uske thappad marte hi Radha aage akar Santosh ko rok deti he or use thoda piche karti he, Aksh apna sar jhukaye khada tha Sakshi uske paas akar Aksh ka haath tham leti he.
Santosh: Suna..... Suna kya keh raha he ye? Padhai nahi karni? To kya karna he tujhe? Bata?
Wo bahot hi gusse me unchi awaz me Aksh se puchta he.
Radha: aap shant ho jayiye....
Santosh: are kese shant ho jau? Kese? Aye din ye ladka bigadne laga he....
Radha: aap chup ho jayiye me samjhati hu use.... Aap chaliye andar...
Fir Wo Santosh ko andar kamre me le jati he.
Sakshi: Aksh tujhe kaha tha na mene Aai Baba ke samne ye baat mat kar fir kyu tune meri baat nahi suni?
Aksh: jane bhi de na Sakshi.... Thappad hi to khaya he..
Wo ek Sarcastic hasi ke saath kehta he.
Sakshi: Aksh meri.....
Radha: Sakshi zara Pani le kar ana.....
Wo andar se hi Sakshi ko awaaz lagati he.
Sakshi: tu ja andar kamre me... Me bas abhi ayi....
Or wo kitchen se pani ka glass le kar Apne parents ke kamre me chali jati he. Lekin tabhi Aksh ghar ke bahar chala jata he.
Sakshi or Radha ne Santosh ko shant kar diya tha, fir Sakshi Aksh se baat karne ka sochti he, or kamre se bahar ajati he, lekin Aksh waha nahi tha to Sakshi uske kamre me dekhti he to Aksh waha bhi nahi tha. Ab Sakshi ke paas uska wait karne ke siwaye koi rasta nahi tha.
Yaha Aksh apne ghar se nikal kar Soham ke ghar chala jata he, waha Soham ki mummy ne door open kiya.
S. Mummy: are Aksh.... Aao andar ajao....
Wo Aksh ko ghar me bulate hue kehti he.
S. Mummy: to kitne percentage mile tumhe?
Aksh: kya Aunty aap bhi.... Ye puchna chahiye ke paas bhi hua ya fail... Aap to percentage par agayi....
Wo andar sofe par beth te hue kehta he.
S. Mummy: are aise kese.... Mera beta bahot hoshiyar he...
Wo Aksh ke sar se haath ferte hue kehti he, tabhi Soham apne kamre se bahar ajata he.
Soham: or bata bhai.... Fail ho gaya?
Wo piche se akar Aksh ke khande par thapki marte hue puchta he.
Aksh: dekha Aunty... Ye hota he tarika puchne ka....
S. Mummy: bakwas mat kar... Kitne percentage mile wo bata...
Aksh: pure 38%
S. Mummy: ohhh... Koi baat nahi ab College me Dil laga kar padhai karna, thik he?
Aksh: dekhte he....
S. Mummy: tum betho me dono ke liye sharbat le kar ati hu.....
Or wo Kitchen me dono ke liye sharbat banane chali jati he.
Soham: yaar chal tension na le.... Games khelte he...
Aksh: me kyu tension lunga... Chal...
Or wo dono beth kar Games khelne lagte he.
Ghar pe sab log khana khane ke liye Aksh ka intezar kar rahe the. Lekin uska koi ata pata hi nahi tha.
Radha: Pata nahi kaha chala gaya ab ye ladka?
Sakshi: Aai, wo zarur Soham ke ghar gaya hoga... Tum call kar ke pucho na...
Radha: Sahi kaha.... Kabhi bata kar to jata nahi he ladka...
Wo kafi pareshani se kehti he, or Soham ke ghar pe call kar deti he.
Is waqt Soham ki Mummy kitchen me khana banane me lagi thi or Soham, Aksh hall me games khel rahe the, tabhi Soham dekhta he ke Radha ka call aya he.
Soham: Oye... Teri Aai ka call aya he.....
Aksh: are yaar..... Tu bolde ki me ghar ane ke liye nikal gaya hu...
Soham: me jhut kyu bolu bhai?
Aksh: accha?
Or itna kehkar Aksh ghar se bahar chala jata he.
Aksh: ab bata dena sach....
Soham: Are Aksh.... Abe sunn to....
Wo darwaze par ja kar Aksh ko awaaz lagate hue bolta he, lekin tabtak to Aksh dur nikal gaya tha. Soham call pick kar ke Radha ko bata deta he ke Aksh ghar chala gaya.
Yaha Aksh ghar jane ki bajaye dusre raste chal padta he, kuch der me hi wo ek Garage par pahoch jata he, jaha Ek aadmi car ki marammat kar raha tha.
Aksh: Salam Karim chcha.....
Karim: are Aksh.... Salam.. Salam.... Aja andar....
Wo piche Aksh ki taraf mudkar kehta he.
Karim: are aaj to tere Results the na? Kya hua?
Aksh: kya hona tha, pass ho gaya or Gift ke rup me Baba ka Thappad bhi mil gaya....
Wo andar akar ek car ke bonnet par beth the hue kehta he.
Karim: Thappad? Or wo kis liye?
Aksh: wo mene pure 38% marks laye is liye....
Karim: hmm... To tu Santosh se naraz ho kar ghar se chala aya?
Wo Aksh me paas akar uske kandhe par haath rakhte hue kehta he.
Aksh: n... Nahi... To... Me kyu naraz hounga....
Wo Karim ke sawal ka hadbadate hue jawab deta he.
Karim: wahh... Dekh Aksh bhale hi humara koi khun ka rishta nahi he, lekin tereko bachpan se janta hu me...... Dekh Aksh... Santosh ki isme koi galati nahi he, are me janta hu na yaar usne kitni mehnat ki he bachpan se... Are wo to chahta he ke tu or Sakshi ek sukoon bhari zindagi jiyo.... Is liye wo kabhi kabhi Sakth ho jata he....
Aksh: Chacha me Baba se naraz nahi hu, me to apne aap se naraz hu, samajh hi nahi ata kya hoga aage... Apne sapno par kaam karu, lekin dusri taraf dekhta hu to ye duniya to kisi alag hi disha me dod rahi he....
Uski baat par Karim use halke se sar pe marta he.
Karim: abe tu itna bhi bada nahi hua he jo duniya or iski baate kare...
Aksh: kya chacha aap bhi... Kuch saal or nahi karunga is duniya ki baate, lekin parents to bachpan me hi apne baccho ko is chuho ki daud me daal dete he na.... Yahi se to Shuruwat hoti he in sab ki....
Wo Karim ki Akho me akhe daal kar kehta he.
Karim: yaar tu itni badi badi baate kar kese leta he be?
Wo Aksh ke paas se uthkar thoda aage ki taraf khade hote hue puchta he. Jis par Aksh halka sa muskura deta he.
Karim: dekh beta.... Padhai likhayi par dhyan de, or ek accha insaan bann...
Aksh: kyu chacha... Jo log padhe likhe nahi hote kya wo acche insaan nahi he.... Aap hi dekh lo.... Aapne kaha padhai ki he, lekin aap to kitne acche insaan ho....
Karim: are bhai tu rehne de.... Tere saath kabhi behes nahi kar sakta me mere baap....
Wo piche mudkar Aksh ke samne haath jodte hue kehta he. Or firse apne kaam me lagg jata he.
Aksh: waise ek baat puchu chacha?
Kuch der baad Aksh ke dimag koi baat ajati he jise wo Karim se puchna tha.
Karim: ha puch na....
Wo apna kaam jaari rakhte hue kehta he.
Aksh: kya aap mujhe apne paas kaam par rakhoge?
Uska sawal sun kar Karim apna kaam rok deta he or Aksh ki taraf dekhne lagta he.
Karim: ab ye kya naya natak he tera?
Aksh: natak? Nahi.. nahi... Me to sach me ye kaam sikhna chahta hu....
Karim: are tereko to business karna he na to ye kya he?
Aksh: Aap please bataye na.... Kya mujhe aap yaha kaam par rakhoge?
Karim: are Aksh... Ye tera hi garage he or apne hi garage me koi nokri karta he kya?
Aksh: thik he... To aap nokri par mat rakhna... Lekin please aap mujhe ye kaam to sikha hi sakte ho na...
Karim: beta....
Aksh: please chacha.....
Karim: chal thik he.... Sikha dunga tujhe ye kaam...
Uska jawab sunkar Aksh bahot hi zyada khush ho jata he.
Karim: waise tune khana khaya ya nahi?
Aksh: ahhh... Ha... Ha mene kha liya...
Wo haklate hue Jawab deta he.
Karim: huhh... Jhut bhi bolne laga tu to? Chal ab... Ghar ja kar khana kha lete he... Teri chachi ne Biryani banayi he aaj.... Pasand he na tujhe?
Wo Aksh ke nazdeek akar uske sar pe haath ferte hue kehta he. Fir wo dono Karim ke ghar jane ke liye nikal jate he, Karim ne Santosh ko call kar ke bata diya tha ke Aksh uske saath hi he, or wo khana kha kar ayega.
Suraj ab dhire dhire dhalne laga tha, Aksh Karim ke saath khana kha kar Garage par kaam sikh raha tha, Dusri taraf ghar pe Sakshi or uski dost Neha apne ghar ki chatt par bethi hui thi.
Neha: yaar Sakshi.... College me ja kar kitna maza ayega na?
Wo bahot hi utsukta ke saath Sakshi se kehti he.
Sakshi: hmmm... Sahi kaha.. waha ab school se alag hi mahol hoga...
Neha: wahi to.... School me to kitne strict rules hote he... Lekin ab College me aisa kuch nahi hoga... Na kisi ki rok tok... Ab jab chahe class bunk karenge or....
Sakshi: kya kaha? Class bunk... Huhh.. wo tu akeli hi karna... Me nahi karne wali koi class bunk wunk...
Wo Neha ki baat ko bich me kaat te hue kehti he.
Neha: yaar kya Sakshi tu bhi... Kitni boaring he tu...
Wo apna muh fulakar Sakshi ko dhakka dete hue kehti he.
Sakshi: are... Isme boaring ki kya baat he? College me padhai karne jate he, na ke class bunk karne...
Wo Halke se Neha ke sar me thapki marte hue kehti he.
Neha: yaar Sakshi masti karne ke yahi to lamhe hote he.... Ek baar bade ho gaye to sab matang me badal jata he...
Sakshi: accha? Or wo kese?
Neha: are baba.... Bade ho jane ke baad fir job karo.... Uske baad shadi... Or....
Sakshi: ek.. ek... Minute... Tu itni dur shadi tak kaha chali gayi.... Wapis aa... Pagal...
Neha: kya dur.... Dekhna jese hi padhai khatam hogi na to gharwale shadi ke piche pad jayenge.... Huhhh...
Wo apna muh fulate hue kehti he.
Neha: Waise Sakshi tujhe kesa husband chahiye?
Uske sawal par Sakshi bahot sharma jati he.
Sakshi: ye...ye kya baate le kar beth gayi tu... Chup kar...
Wo Gusse se Neha ko aakhe dikhate hue kehti he.
Neha: bata bhi de na yaar Sakshi....
Wo Sakshi ko kohni marte hue kehti he. Ispar Sakshi apne chehre par bikhre balo ko apni ungliyo se kaan ke piche le jati he. Or wo kafi sharma gayi thi.
Sakshi: m...mujhe nahi pata....
Neha: hayee... Dekho to kese sharma rahi he...
Wo Sakshi ko dhakka marte hue kehti he jis par Sakshi ke chehre par hasi ajati he.
Neha: waise mujhe na.... Mujhe na..... Aksh husband ke roop me chahiye.....
Wo khudko hi apni baho me bharte hue kehti he. Lekin is se Sakshi Gussa ho jati he.
Sakshi: chup.... Ye kya keh rahi he tu?
Wo gusse me Neha se puchti he.
Neha: tu gussa kyu ho rahi he?
Sakshi: kuch nahi... Bas chup kar tu....
Wo narazgi se kehti he.
Neha: accha sorry baba.... Kyu gussa hoti he... Has bhi de jaldi se....
Or wo Sakshi ki kamar me gudgudi karne lagti he, jis se Naraz bethi Sakshi khil khila kar hasne lagti he.
Neha: waise Sakshi... Kya me itni buri hu jo Aksh ki wife nahi ban sakti?
Kuch der baad wo Sakshi se puchti he.
Sakshi: are pagal.... tu buri nahi he... Wo ladka hi alag he.. use samajh pana har kisi ke bass ki nahi he... Pata nahi kab kya kar de...
Neha: aisa nahi he.. Aksh bahot accha ladka he...
Sakshi: to mene kab kaha ke wo bura he... In fact us se accha insan to mene apni zindagi me nahi dekha... Bas tu use kabhi samajh nahi payegi...
Neha: accha? To Aksh ko samajhne wali kabhi milegi bhi?
Sakshi: zarur milegi... Zarur milegi......
Wo bahot hi gehri soch me akar kehti he. Kuch der dono chup si wahi bethi rehti he. Tabhi Radha un dono ko niche bula leti he, niche kuch nashta karne ke baad Neha apne ghar chali jati he.
Is waqt raat ke khane ka waqt ho raha tha, waha Karim pure din Karim ki zidd karte hue bhi Aksh ghar nahi gaya, ab Karim Garage band hone ka waqt tha, Karim use apne saath khane ke liye kehta he lekin Aksh mana kar deta he or apne ghar ke raste chal padta he. Or yaha Ghar pe sab uska intezar kar rahe the, Santosh ab uspe thoda gussa ho gaya tha, Sakshi darwaze par ruk kar Aksh ki raah dekh rahi thi, wo janti thi ke Santosh Aksh par gussa karne wala he to wo mahol ko sambhalne ke liye tayar thi, tabhi use Raste se Aksh ata dikhayi deta he. Aksh baramde me agaya tha Sakshi use gusse se dekh rahi thi.
Aksh: aise kyu dekh rahi he?
Wo ghar ke darwaze ke bahar hi baramde me ruk kar puchta he.
Sakshi: ye kya waqt he Aksh ghar ane ka? Firse Baba ko gussa dila diya na?
Wo bahot hi dhimi awaaz me Aksh se kehti he.
Aksh: Baba ka mujhpar gussa karna koi nayi baat thode na he.... Ab hatt samne se....
Wo Sakshi ko Darwaze se hatate hue kehta he or ghar ke andar ajata he.
Santosh: bahot jaldi agaye laat sahab aap to?
Lekin Aksh bas uski baat khatam hone tak waha rukta he or sidha apne kamre me chala jata he.
Santosh: dekha.... He koi sharm... Jawab diye bina hi chala gaya....
Wo gusse me Radha se kehta he.
Radha: aap jane dijiye na.... Wo pehle se pareshan he or aap he ki...
Wo Santosh ko shant karate hue kehti he.
Radha: Sakshi ja use khane ke liye bula la....
Sakshi: ha abhi bulati hu....
Or ye kehkar wo Aksh ke kamre me chali jati he jaha Aksh bed par leta hua tha.
Sakshi: oh hero... Kaha ghum raha tha din bhar tu?
Wo andar akar Aksh ke bagal me beth te hue Aksh se puchti he.
Aksh: Karim chacha ke yaha tha pata nahi kya tujhe?
Sakshi: accha? Pura din kya kar raha tha waha?
Aksh: kuch nahi... Bas aise hi time pass kar raha tha...
Sakshi: tu itna thaka hua kyu lag raha he?
Aksh: thodi thakan to lagg rahi he....
Sakshi: chal pehle khana kha le... Badme me tere haath per daba dungi....
Aksh; are nahi mujhe bhuk nahi he tum log kha lo....
Ispar Sakshi Aksh ka haath pakad leti he or use sidha bitha deti he.
Sakshi: Aksh.... Kabtak Baba se naraz rahega tu? Wo tera bura thodi na chahte he...
Aksh: are yaar tu na.... Mujhe sachme bhuk nahi lagi he... Mene Karim chacha ke ghar pe hi Biryani kha li thi... Ye ghas pus tu kha.... or tujhe pata he na mujhe non veg khane se firse bhuk nahi lagti...
Sakshi: sach keh raha he na?
Aksh: to jhut kyu bolunga... Puchle chacha ko call kar ke...
Sakshi: chal ab tu keh raha he to maan leti hu.
Or fir Sakshi bahar akar Radha or Santosh ko ye baat bata deti he fir tino milkar khana kha lete he, khane ke baad Sakshi Radha ke kaam me haath bata rahi thi, kaam khatam hone ke baad wo Aksh ke kamre me us se kuch baat karne ajati he lekin dekhti he ke Aksh to kafi gehri nind me tha. To Sakshi apne kamre me ja kar so jati he.
Or is tarah inka ye din nikal jata he, jaha Aksh or Santosh ke bich kafi gehma gehmi ho gayi thi, aaj humne dekh ke Aksh kis tarah se apni baate bina dare samne rakhta he, lekin ab uski ye adat bakiyo ke liye kesi hogi ye to ane wala kal hi batayega.
Agar Update accha laga ho to like zarur karna or Comment kar ke apna view mere saath zarur share karna. Agla Update jald hi ayega till then Stay Tuned And Keep Smiling
Behad hi shandar or jabardast update bhai.Chapter 1 - The Early Life
Update 4
Word Count: 4135
Estimated Reading Time: 00:18:00
Aaj thi Sunday ki subah, sab log aaj aram se so rahe the, kyu ke aaj hi wo din tha jiska intezar baccho se le kar bade bhi karte he.
Yaha Aksh or Sakshi besudh se soye hue the, or waha Santosh bhi apne kamre me nischint sa so raha tha, lekin Radha to ghar ki aurat he or uske liye Sunday koi mayne nahi rakhta tha, wo to hafte ke saato din bas ghar ko sambhalne me hi lagi rehti thi. W uthkar pure ghar ka kaam karne me jut jati he.
Subah ke 9 baje hue the, Santosh fresh ho kar hall me akar beth jata he.
Santosh: Are Radha.... Ye dono so rahe he abtak?
Wo kitchen me kaam karti Radha se puch leta he.
Radha: ha bas abhi ja hi rahi thi me un dono ko jagane....
Santosh: tum rehne do, me jaga deta hu dono ko...
Itna kehkar wo Aksh or Sakshi ke kamre me chala jata he, jaha Aksh or Sakshi bahot hi gehri nind me, apne haath per ek dusre ke upar dale soye the. Santosh aage akar dono ko awaaz lagata he lekin dono par koi farak nahi padta, dono to ghode bech kar soye hue the.
Santosh: Aksh.... Sakshi.... Utho jaldi..... Aaj me tum dono ko bahar ghumane le jane wala hu....
Uski baat sun kar Sakshi jhat se uth kar beth jati he.
Sakshi: Sach me Baba?
Wo apni adhi khuli ya aisa bhi kehna galat nahi hoga ke aadhi band aakhe le kar puchti he.
Santosh: are me sach keh raha hu.... pehle Jaag jao nind se...
Wo Sakshi ke sar me halke se marte hue kehta he. Lekin Aksh to ab bhi sapno ki duniya me hi tha.
Santosh: Aksh.... Jaldi uthja beta....
Wo Aksh ko hila kar uthane ki koshish kar raha tha lekin wo nakamyab raha.
Sakshi: Baba ye bandar aise nahi jagega... Ek minute....
Or Ye kehkar wo ulte soye hue Aksh ki pith par beth jati he, or zor zor se uske baal khinch ne lagte he.
Santosh: Sakshi.... Ye kya kar rahi he.... hatt ja.....
Wo Sakshi ko Aksh ke upar se hata deta he, lekin tabtak Sakshi ne to Aksh ki nind bigad di thi, Aksh bechara aadhi nind me uth kar beth jata he. Use pata hi nahi tha ke abhi abhi hua kya. Wo to bas apna sar sehla raha tha. Sakshi uski halat par apni hasi daba rahi thi.
Santosh: Chalo ab jaldi se tayar ho jao, fir hum bahar ghumne jayenge.....
Or fir wo kamre ke bahar chala jata he, Sakshi or Aksh bhi jaldi jaldi tayar ho jate he. Puri family milkar breakfast kar rahe the.
Sakshi: Baba.... Aap kaha le kar jaoge hume?
Wo aaj ghumne jane ki baat se bahot khush thi.
Santosh: hmmm... to hum aaj circus dekhne jayenge.... Yaha kuch duri par hi ek circus shuru hua he....
Circus ka naam sunte hi Sakshi or Aksh bahot khush ho jate he.
Sakshi: kya? Circus.... To Chalo na jaldi se....
Wo adha khana chhod kar hi uth jati he. or Santosh ka haath pakad kar use uthane ki koshish karne lagti he.
Radha: pehle pura khatam kar lo... Abhi jane me waqt he.....
Sakshi: mera ho gaya, aap sab jaldi chaliye na....
Wo circus jane ke liye bahot hi utsuk thi.
Santosh: beta pehle pura khatam karo fir hi jayenge warna circus jana cancel....
Sakshi: nahi... Nahi...... Me abhi khati hu.....
Or wo jaldi se niche beth kar apna breakfast khatam karne lagi.
Kuch der baad sab log circus jane ke liye nikal gaye. Pure Raste Sakshi or Aksh kafi khush nazar arahe the. Thodi der me wo log circus pahoch gaye andar kafi khel hue jise dekh Sakshi bahot khush thi tabhi waha ek Aadmi Bandar ka show dikhane ke liye ajata he.
Sakshi: Aai Baba, wo Dekho Aksh waha kya kar raha he? Aksh...... Aksh......
Wo us bandar ki taraf dekh kar Aksh ka naam pukar rahi thi jis se Santosh or Radha ki bhi hasi chutt gayi.
Aksh: chup kar chipkali..... Bhagwaan ne insaan banane ke chakkar me Bandariya bana di.... Huhhh
Sakshi: ha khud to Jese hero hi he na? Bandar.....
Radha: Deva...... Tum dono kabhi nahi sudhruge.... Bilkul Chup... Warna ghar chale jayenge yahi se...
Wo dono ko chup karate hue kehti he. Fir dono hi chup ho jate he or circus dekhne lagte he.
Circus khatam hone ke baad wo log bahar ajate he or waha se market me tehelte hue jane lagte he. Sakshi Santosh ka haath pakde hue chal rahi thi or uske bagal me Aksh ka haath Radha thame chal rahi thi. Aise hi chalte hue Sakshi ki nazar ek gift shop me rakhi Doll set par padti he, use dekh kar Sakshi ke Chehre par ek muskurahat ajati he, lekin Aksh ne ye sab dekh liya tha.
Sakshi: Baba... Mujhe wo.......
Wo Santosh se us Doll set ko lene ki baat karna chahti thi lekin uske bich me hi Aksh uska haath zor se jakad leta he or use gardan hila kar mana kar deta he. Sakshi ko bhi kal ki baat yaad ajati he or wo Doll na mangne ka faisla karti he.
Santosh: Kya hua?
Sakshi: n...nahi kuch nahi.....
Santosh: are.... Abhi kuch kehne wali thi na tum?
Sakshi: nahi to.... Me to kuch bhi nahi keh rahi thi....
Wo kisi tarah baat ko sambhal leti he. Fir wo sab aage badh jate he lekin Sakshi bahot udas ho chuki thi. Aksh ne use Udaas dekh liya tha lekin wo bhi kya kar sakta tha, aaj pura din ghumne firne ke baad wo log ghar ajate he. Ab raat dhal chuki thi or wo sab khana bhi kha kar aye the to sab apne kamre me chale jate he.
Sakshi or Aksh bed par lete hue the Sakshi ab bhi kuch udas si lagg rahi thi.
Aksh: Kya hua Sakshi?
Wo Sakshi ko udas sa dekh kar puch leta he. Lekin Sakshi bas Naa me gardan hilati he.
Aksh: Mujhe pata he, tujhe wo Doll set chahiye tha na?
Sakshi: ha.....
Aksh: Sorry Sakshi, Meri wajah se tu....
Sakshi: nahi.. nahi.. teri wajah se kuch nahi hua, me samajh gayi hu ke paise kamane ke liye bahot mehnat karni padti he, or Baba bhi bahot mehnat karte he, to me bhi abse Baba ke paas faltu ki zidd nahi karungi....
Aksh: dekhna Sakshi, jab me paise kamane lagunga na, to tujhe waisi 100 Doll set la kar dunga.....
Wo uthkar beth te hue Sakshi ka haath thamkar kehta he, jis se Sakshi ke Chehre se udasi hawa ho jati he, fir dono kuch baate karte hue so jate he.
Aise hi ek ke baad ek din nikalte ja rahe the, Aksh roz Santosh ne diye paise bina kharch kiya gullak me daal diya karta tha, wahi Sakshi bhi use bina pata chale apne paise Aksh ke Gullak me daal ti thi, use bahot mann karta tha ke wo un paiso se apne liye chocolate, toffee kharide lekin wo har roz apna mann maar kar paise Aksh ke gullak me daal diya karti thi, or pata nahi kyu lekin Sakshi ko aisa karne se bahot hi khushi ho rahi thi.
Lekin Dusri taraf Aksh din ba din gehri soch me duba ja raha tha, uska behavior bhi kafi change ho chuka tha, Aksh ab padhai me bhi piche padne laga, jis se uske parents ne use kafi danta bhi, lekin Aksh to is dal dal me fase hi ja raha tha.
Aise hi Kuch mahine nikal gaye, ab 2 din baad Raksha Bamdhan tha, raat ke kareeb 11 baje hue the Sakshi to gehri nind me thi lekin Aksh ko nind nahi arahi thi, wo uthkar beth jata he or uske dimag me pata nahi kya agaya, or wo uthkar apna Gullak haath me le leta he. Gullak ab kafi wazan daar ho chuka tha jis se Aksh ko kafi khushi hoti he.
Aksh(man me): isme to kafi paise jama ho gaye he.... lekin ab bhi itne paise nahi he ke me is se cycle le saku...
Wo nirasha se apne mann me soch raha tha.
Aksh(mann me): kya me Gullak ko khol kar dekh lu kitne paise jama ho gaye he? Ha chalo dekh hi leta hu.
Or wo Gullak ko kholne ka faisla karta he, jese hi usne niche se gullak khola to usme kafi paise jama ho gaye the, Aksh ek ek karke sare paise gin leta he lekin ginti khatam hote hi use herani ho jati he. Kyu ke paise uske ummid se zyada the.
Aksh(mann me): ye kya? Ye to zyada he, jabse mene Gullak me paise dalna shuru kiya he tabse to isme itne paise nahi hone chahiye the....
Wo Gullak me zyada paise pane par thoda chonk gaya tha.
Aksh(mann me): ye kese......
Wo kuch soch hi raha tha ke uski nazar Sakshi par padti he. Or use kuch waqt pehle ki baat yaad ajati he. Jab Aksh Sakshi se puchta he kya uske paas toffee lane ke liye paise he, to Sakshi mana kar deti he or kehti he ke usne to aaj un paise se Chocolate kharid li, lekin Sakshi school se ane ke baad pure din ghar se bahar gayi hi nahi thi, jis se Aksh ko kuch ajib laga lekin tab usne is baat par zyada dhyaan nahi diya tha. Lekin ab Aksh ko kuch gadbad lag rahi thi.
Aksh(mann me): kahi ye Sakshi bhi to mere Gullak me paise nahi dalti? Kya me use abhi puch lu? Nahi kal subah puch leta hu....
Or wo itna sochte hue sare paise Gullak me wapis daal deta he or apni soch me duba gehri nind me chala jata he.
Dusri din Aksh school jane se pehle apne kamre me Sakshi se is bare me puchta he.
Aksh: Sakshi.... Kya tu tere paise bhi is Gullak me dalti he?
Uske sidhe sawal se Sakshi thoda hadbada jati he.
Sakshi: n...nahi..... M..me kyu Tere Gullak me paise dalu.... Cycle to tujhe leni he na?
Aksh: Lekin.....
Sakshi: ab jaldi chal.... Baba ruke he bahar.....
Aksh aage kuch kehta Ke Sakshi itna bol ke apna school bag utha kar bahar bhag jati he.
Ab Aksh tehra ek chota baccha use kuch samajh nahi aya or usne bhi is baat ko chhod diya.
Sakshi: Baba, Kal Raksha Bandhan he na, to aap is bandar ki taraf se mujhe kya tofa dene wale ho?
School jate waqt Bike par aage bethi Sakshi Santosh se puch ti he.
Santosh: are ye kya baat hui bhala? Tofa aise batate thodi na he....
Sakshi: batao na Baba....
Santosh: bilkul nahi bataunga..... Kal hi dekh lena...
Or aise hi bate karte hue wo school pahoch jate he. Apni class me bethe hue Aksh kuch soch raha tha.
Aksh(mann me): humesha Raksha Bandhan par Baba hi Sakshi ko Gift dete he.... Is baar to mere paas kafi paise he.... Kya me hi Sakshi ko Gift de du? Haa.... Ye thik hoga, lekin use kya du me? Are haa... Sakshi ko ek baar wo Doll set pasand aya tha na... Wahi le kar de deta hu use.... Ha ye thik he...
Ye sab sochte hue uske chehre par hasi ajati he, Sakshi use is Tarah hasta dekh leti he.
Sakshi: Aye Bandar..... Kyu has raha he?
Wo Aksh ko kohni se marte hue puchti he.
Aksh: n....nahi kuch nahi.....
Wo hadbadate hue jawab deta he tabhi class teacher andar ajati he.
School se ghar jane ke baad Sab khana kha lete he, aaj bhi Sakshi ne chupke se Aksh ke Gullak me Paise Daal diye. Aaj Aksh Santosh ka besabri se intezar kar raha tha. Sham ke 5 baje Santosh ghar ajata he Aksh ko us se baat karni thi lekin Sakshi bhi wahi thi to wo kuch baat nahi kar paya, kuch der baad Radha or Santosh apne kamre me chale gaye, Sakshi TV dekhne me gum thi, Aksh ne moke ka fayda uthaya or chupke se Santosh ke paas chala gaya.
Aksh: Baba..... Baba.... Chaliye jaldi.....
Wo tezi se kamre me akar Santosh ka haath pakad kar use khichte hue kehta he.
Santosh: are kya baat hui? Batao to sahi....
Aksh: Baba kal Raksha Bandhan he to Sakshi ke liye Gift lene chalte he na....
Santosh: ha wo me le aunga..... Kuch der baad tumhare Mama ko lene ke liye ja raha hu na station tab ate hue le aunga Sakshi or Anu (Mama ki Beti) ke liye gift....
Aksh: nahi Baba.... Aap nahi laoge me launga...
Radha: kya matlab tum laoge?
Wo dono Aksh ki baat ko samajh nahi pate.
Aksh: wo Baba mene na Gullak me paise jama kare he, to me un paiso se hi Sakshi ke liye gift lunga.... Or aap Sakshi ko mat batana....
Uski baat sunke Dono heran ho jate he, wo dono hi apne bete par naaz kar rahe the.
Radha: bada samjhdar ho gaya mera beta to....
Wo Aksh ka matha chumkar kehti he. Fir Aksh Santosh ke saath market chala jata he or jaha Sakshi ko wo Doll set pasand aya tha usi shop se Doll set kharid leta he. Uske paas ab bhi kuch paise bache hue the, jis se wo Anu ke liye bhi ek Gift le leta he. Fir wo dono ghar ajate he, Santosh ne uska Gift apne kamre me rakh diya tha, thodi der baad wo Aksh ke Mama or Mami ko lene station chala jata he. Jab Santosh unko le kar ghar aya to sab bahot khush ho gaye.
Sakshi: Mama.... Mami......
Wo Dono ko darwaze par dekhte hi unki taraf dod padi or ja kar unke gale lag gayi. Aksh bhi jaldi se unke paas ajate he.
Rohan: are meri jaan..... kese ho tum dono?
Wo dono ka sar sehla te hue kehta he.
Sakshi: aap kabhi ate kyu nahi ho mama humse milne?
Wo apna muh fula kar puchti he.
Rohan: are sorry beta.... lekin ab agaya hu na, or kuch din hum yahi rehne wale he.
Wo Sakshi ka chehra apne hatho me thamkar kehta he. Jise sunkar Sakshi or Aksh kafi khush ho jate he.
Fir sablog milkar khana kha lete he, khana hote hi Anu, Sakshi Or Aksh khelne lagte he.
Radha: chalo baccho ab sone jao..... Bahot der ho chuki he....
Sakshi: Aai... Khelne do na thodi der....
Anu: Ha Bua khelne dijiye na..... Please...
Radha: are tum ab kuch din yahi ho na to aram se khelna... Itni raat ho gayi he ab jao, Subah jaldi uthna he sabko...
Or wo tino ko andar Sone ke liye bhej deti he. Aksh, Sakshi or Anu ek kamre me soye the, ya ye kehna galat nahi hoga ke kamre me dhum macha rahe the. Kafi der khel kud karne ke baad tino so hi jate he.
aaj Raksha Bandhan ka din tha, subah subah pure ghar me in tino baccho ka hi shor macha hua tha, tino ek saath khel rahe the.
Radha: Anu, Sakshi..... Ab Raakhi Bandhogi bhi ya pura din bas khelna hi he?
Anu: Bua Aksh kaha bhaga ja raha he, khelne do na....
Radha: tum logo ka khelna to kabhi khatam hi nahi hoga... Chalo jaldi pehle Raakhi bandho fir khel lena....
Or fir wo sab hall me ikhatta ho jate he. Radha apne bhai ko raakhi bandh ti he, Anu or Sakshi Aksh ko Raakhi bandh dete he.
Sakshi: Baba.... Mera Gift...
Santosh: beta me to Gift laya hi nahi....
Uska jawab sun kar Sakshi ka chehra hi utar jata he. Uske aakho se bas Asu ana reh gaya tha.
Sakshi: Kyu nahi laye?
Santosh: are mene to tumhare liye gift lane wala tha, lekin Aksh ne mujhe mana kar diya....
Ab Sakshi Aksh ko kha jane wali nazro se dekhne lagti he.
Santosh: Are Are.... Aise mat dekho use, mera matlab he ke Tumhare liye Gift me nahi laya, lekin Aksh ne khud tumhare liye Gift liya he.
Is baat par Sakshi thoda heran si reh jati he, Tabhi Radha us Doll set ko Aksh ke paas de deti he.
Aksh: Ye le tera Gift...
Wo Gift Sakshi ke haath me dete hue kehta he. Sakshi nasamjhi ki halat me hi us se Gift le leti he or use kholne lagti he, jese hi Wo Doll set Sakshi ke samne aya to uske hosh ud jate he. Doll set dekh kar Uske chehre par bahot hi pyaari Muskurahat ajati he. Wo jaldi se us Box ko open kar ke Dolls apne haatho me le leti he. Or ye Doll set pane ki khushi me wo ye bhul jati he ke akhir ye Gift Aksh kese laya. Anu apne Gift ke liye Aksh ko thank you kehti he or fir Santosh or Radha ko.
Radha: beta hume Thank You mat kaho, ye Gift Aksh apne paiso se laya he.
Ab ye baat Sunkar Sakshi thoda alert si ho jati he.
Rohan: matlab?
Radha: are Aksh khud paise bacha kar use jama karta gaya, or kal usne khud Sakshi or Anu ke liye Gifts kharide.
Sacchayi samne ate hi Sakshi ka dil to jese tut sa jata he. Uski Akho me Aansu ajate he. Or wo Doll set ko wahi niche Dalkar Aksh ki taraf badhti he or use khinch kar thappad marti he. Sakshi ki is harkat par sab heran se reh gaye the, Aksh apna gaal par haath rakh ke Sakshi ko dekhe ja raha tha.
Aksh: Kitna bura he Aksh tu..... In paiso se to apne liye cycle lene wala tha na? Fir kyu kharch kiye tune apne paise?
Wo rote hue bahot hi Chillakar Aksh se puch rahi thi, Aksh ke paas is sawal ka koi jawab nahi tha.
Radha: Sakshi ye kya tarika he….
Wo Sakshi ko piche khinch te hue kehti he. Lekin Sakshi to bas roye ja rahi thi.
Sakshi: mujhe nahi chahiye koi Gift…. Le jao ise yaha se…
Wo chillate hue kehti he or us bikhre doll set ko laat maar ke bhag kar apne kamre me chali jati he. Radha or baki sab use chup karane ke liye andar chale jate he, bahar Aksh akela khada tha, wo aage badh kar us Doll set ko uthata he, us box me se Sari Dolls or baki sab niche gir gaya tha. Aksh sabkuch samet kar Box me daal deta he, or Box ko apne Parents ke kamre me rakh deta he, or khud ghar se bahar chala jata he.
Yaha ghar me sabne Sakshi ka rona band karwa diya tha.
Radha: beta aise gussa hona acchi baat nahi he, Aksh ne itne pyaar se tunhare liye gift layi wo bhi apne paise bacha kar.. or tum ne aisa kiya, use kitna bura laga hoga ab.
Wo Sakshi ke bagal me beth kar uske sar pe haath ferte hue Sakshi ko samjha rahi thi. Sakshi ko bhi ab realize ho gaya ke usne galat kiya.
Sakshi: Sorry Aai……
Wo apne kaan pakad kar Radha se mafi mangti he.
Radha: mujhse nahi, Aksh se maafi mango… or itne pyaare tofe ke liye use Thank You bhi kaho….
Sakshi: thik he Aai… me abhi Aksh se Sorry bol deti hu…
Or ye kehkar wo bahar Hall me ajati he, lekin Aksh to waha tha hi nahi, sablog bhi uske piche piche hi hall me agaye the.
Sakshi: Aksh….. Aksh…..
Wo kabse Aksh ko pukarti he lekin Aksh to ghar ne hi nahi tha.
Radha: kaha chala gaya ye ladka? Aap dekhiye na jaldi se bahar use..
Wo ghabrayi si Santosh se kehti he.
Santosh: are tum ghabrao mat… me dekhta hua use….
Fir Santosh or Rohan Aksh ko dekhne ke liye bahar ajate he. Sakshi ko ab darr lag raha tha ke Aksh kaha chala gaya.
Dusri taraf Aksh ghar se nikal kar bas Raste se guzar raha tha.
Aksh(mann me): yaar mene to socha Sakshi wo Gift dekh kar khush ho jayegi… lekin usne to mujhe hi thappad maar diya…. Pagal ladki he ek number ki….. huhhh….. koi baat nahi uska gussa shant hone ke baad us se baat karunga….
Wo bas aise hi sochte hue chal raha tha or chalte chalte wo main Road par agaya, tabhi waha ek Supercar ajati he, Aksh to us car ko bas dekhta hi reh gaya. Tabhi wo car samne ke Car Showroom me ruk jati he. Aksh jaldi se waha chala jata he. Waha ja kar wo gate se hi us car ko dekhne lagta he, us car ko dekhte waqt Aksh ke chehre par kafi khushi nazar arahi thi. Lekin tabhi piche se 2 log guzarte he wo Aksh ko dekh rahe the.
Aadm: are ye ladke ko to dekh…. Aise gaadi ko dekh raha he jese ke ye car wo kharidne wala he hahahah….
Wo apne saath chal rahe aadmi se kehta he or dono hi Aksh par Hasne lagte he. Aksh ka dil to is se tut sa jata he. Fir wo us jagah se nikal jata he or apne Ghar ke raste chal padta he. Aadhe Raste me Santosh or Rohan use dikhte he. wo dono jaldi se Aksh ke paas ajate he.
Santosh: Aksh…. Kaha chala gaya tha beta?
Wo Aksh ke sar pe haath ferte hue puchta he.
Aksh: Baba me to wo apne Dost Soham ke paas gaya tha lekin wo to ghar pe nahi tha…
Santosh: kam se kam bata kar jana chahiye tha na beta…
Wo Akah ka chehra apne hatho me thamkar kehta he.
Aksh: Sorry Baba….
Wo apni nazre jhuka kar kehta he.
Rohan: ab chalo jaldi ghar…. Wo sab chinta kar rahe honge….
Fir wo dono Aksh ko le kar ghar ajate he.
Ghar pe Sakshi to apni nazre darwaze par hi tikaye ruki thi. Jese hi Aksh use ata dikhayi deta he to wo Dod kar Aksh ke paas jati he or uske Gale lag jati he.
Sakshi: Sorry Dada…… Sorry….. lo tum bhi mujhe maro…..
Wo rote hue Aksh se alag hoti he or uska haath pakad kar apne gaal par marne lagti he.
Aksh: are ye kya kar rahi he tu?
Wo Sakshi se apne haath chuddate hue kehta he.
Sakshi: Sorry Aksh…. Tum gussa to nahi ho na mujhpar?
Aksh: Nahi to…. Me kyu gussa honga….. or ek minute ruk yahi….
Itna kehkar wo apne parents ke kamre me chala jata he or us Doll set ko le kar bahar Sakshi ke samne aake khada ho jata he.
Aksh: hmm… ye le… ab firse fekna mat ise….
Wo Doll set ko Sakshi ke hatho me dete hue kehta he. Sakshi us se Doll set le leti he, or wo kafi khush bhi lag rai thi.
Sakshi: Thank You Dada….
Wo Aksh ko gale laga kar kehti he.
Fir sab kuch pehle jesa Normal ho jata he. Sakshi or Anu to Aksh ne di Doll set ke saath khelte thak hi nahi rahe the.
Raat ko Sablog so rahe the. Lekin Aksh ko nind hi nahi arahi thi, uske dimag me bas us Aadmi ki hi baate ghum rahi thi. Aksh ko us baat se hurt bhi hua tha, wo bas soch raha tha ke use bhi waise hi car leni he. Kafi der tak karwate badalne ke baad uski aakh lag hi jati he.
Or is tarah se inka din nikal jata he. jaha Aksh ke dimag se pehle wali chiz gayi bhi nahi thi ke ab us aadmi ki baat bhi Aksh ke dil o dimag me chap si gayi thi. Kuch samay baad jab Aksh ka birthday tha, tab Santosh ne use Cycle gift lar di, lekin pehli baar Aksh ko Santosh ne diya gift pasand nahi aya. Kuch mahino baad dono ka result tha, Aksh ke grades kafi kam ho chuke the, jis se Santosh or Radha ne use danta bhi lekin ye sil sila kuch saalo tak jari raha, har saal Aksh ke grades kam ate, har Saal Sakshi padhayme hoshiyaar ho rahi thi. Aksh ab kafi chup chup sa hone laga tha, ab Aksh or Sakshi 10th me chale gaye, or ab unka results tha. Dekhte he inka results aage kya mod lata he.
Agar Update accha laga ho to like zarur karna or Comment kar ke apna view mere saath zarur share karna. Agla Update jald hi ayega till then Stay Tuned And Keep Smiling
Good update sakshi`s unconditional love for his brother is a treat to watch overall an impact full update. Aksh`s attitude(masumiyath) has totally been destroyed at a tender age let's see what more too happen.Chapter 1 - The Early Life

Gajab update bhai jiChapter 1 - The Early Life
Update 5
Mega Update
Word Count: 3630
Estimated Reading Time: 00:16:00
Aaj ka din har students ke liye bahot hi bhari din hota he, kyu ke aaj 10th ke results ane the, Sakshi or Aksh ke bhi aaj haal bura tha, Ek Taraf Sakshi soch rahi thi ke use kitne percentage milenge, wahi Aksh to soch raha tha ke wo pass bhi hoga ya nahi....
Sakshi or Aksh is waqt Aksh ke kamre me the.
Sakshi: mujhe bahot hi darr lag raha he Aksh.... Kitne percentage milenge mujhe?
Wo kamre me yaha se waha chakkar lagate hue Aksh se puchti he.
Aksh: ye sahi he..... tujhe percentage ki chinta ho rahi he, yaha pe mere pass hone ke Chance nahi he....
Sakshi: pura saal to kehti rahi na me tujhse padh le padh le... Lekin nahi... Baat kaha manega tu?
Wo Aksh ke samne gusse me apne kamar pe dono haath rakh kar kehti he.
Aksh: ab chhod bhi ye baat.... Or waise bhi mene soch liya he ke me ab aage padhai nahi karne wala...
Or wo uthkar samne ki table ki taraf chala jata he or table par rakhi bahot si books me se ek book nikal kar use padhne lagta he. Ab yaha Aksh ko padhai me bilkul mann nahi lagta tha, lekin use Self Development, Inspirational, Spiritual Books padhna pasand tha.
Uski baat sunkar Sakshi heran si reh jati he.
Sakshi: mere samne bol diya tune wo thik he, galati se Aai Baba ke samne mat bol dena.. bewajah pitt jayega nahi to tu...
Aksh: to usme konsi badi baat he.... Zindagi to waise bhi pitt hi rahi he, Aai Baba bhi haath saaf kar lenge....
Wo ek Sarcastic hasi ke saath kehta he.
Sakshi: Aksh tu kyu aisi baate karta rehta he?
Wo aage badhkar Aksh ke kandhe par haath rakh kar kehti he.
Aksh: yaar mera bilkul mann nahi karta padhai karne ka.... Ghutan si hoti he mujhe school ki kitabe padhne se....
Wo apne haath me jo book thi use table par rakh kar badi hi frustration me akar kehta he.
Sakshi: accha? To ye kitabe to kitni shok se padhta he tu....
Aksh: in dono kitabo me zameen asmaan ka fark he Sakshi.... Teri wali kitabe sirf or sirf padhai tak hi simit he, lekin ye... Ye wali kitabe zindagi ke daav pej sikhati he....
Sakshi: Deva.... Tu or teri baate....
Wo apne mathe par haath marte hue kehti he.
Sakshi: ab ye sab chhod or college me to acche se padhai kar lena...
Aksh: dekhte he....
Or aise hi kuch der tak dono wahi bethe rahe, kuch der baad Results ka time ho gaya tha, sab log bahar hall me jama the, Sakshi apni sari details daal kar page load hone ka intezar apne haath jodkar kar rahi thi, jese hi page load hua, to sabke chehre par khushi ajati he, wajah sirf ye nahi thi ke wo pass ho gati, balki use 94% mile the. Aksh bhi uske liye bahot khush tha lekin ab baari Aksh ki hi thi, jese hi Page load hota he to sabke chehre par jo khushi thi wo ek pal me hawa ho jati he or sab kafi nirash se khade the. Darasal Aksh pass to ho gaya tha lekin use sirf 38% mile hue the.
Santosh: Are.... Tum sab udaas kyu ho gaye? Bhai sahab ne passing mark se pure 3% zyada number laye he...
Wo Aksh ko taana marte hue kehta he.
Sakshi: Baba....
Santosh: Bolu De Mala (Mujhe bolne Do)
Wo Sakshi ko haath dikhate hue kehta he. Jis se Sakshi bhi chup ho jati he. Aksh to bas apna sar jhukaye khada tha, or Santosh uske paas ajata he.
Santosh: Pata nahi konsi konsi kitabe padhta rehta he din bhar.... Beta agar thodi si padhai kar li hoti to kam se kam muh dikhane layak number to ajate tere.....
Aksh: Baba ye School wali kitabe to bas insaan ko khacchar bann na sikhati he, bas ye sikhati he ke ek accha khacchar kese bane... Me jo kitabe padhta hu na wo ye samjhati he ke in khaccharo ki race se alag kese ho...
Wo Santosh ki akho me akhe dale bina dare apni baat samne rakhta he.
Santosh: jin logo ki kitabe padhta he na tu... Wo bass kahaniya he, asli Zindagi nahi....
Aksh: sahi kaha aapne... Or wahi log ye bhi batate he ke apni khud ki kahani kese likhe....
Santosh: beta is kahani ko chalaye rakhne ke liye society ke saath chalna hota he.... Warna use log Pagal ghoshit kar dete he.
Aksh: huhhh... Society.... Baba jab me is society par nazar dalta hu na, to mujhe apne charo taraf jhut dikhta he, sab nakli he, sablog acting karte he, ek natak chal raha he, ek script he jo kayi saal pehle koi likh kar chala gaya, wo darr ki script, wo maze marne ki script, sirf paise ke piche bhagne ki script... Or jab me unki script ke hisab se nahi chalta to ye log mujhe Pagal kehte he, me inki script ke hisab ss nahi chalunga, meri kahani, meri script me khud likhunga....
Santosh: huhh.... Pagal ho gaya he tu....
Wo apni gardan ko hilate hue kehta he.
Aksh: haha.... Ek junoon he, ek sukoon he, ek Ishq he, ek Muhabbat he... Jise aap sab pagalpan keh rahe ho, or sirf aap hi nahi agar ye puri duniya ke 700crore log akar bhi mujhe kahenge na ke tu pagal ho gaya he, me fir bhi apne Pagal pan ko khatam nahi hone dunga...
Is baar Santosh ko bahot gussa ajata he, lekin Aksh us se ek or aisi baat karne wala tha jis se Shayad Santosh apna aapa kho bethe...
Aksh: or waise bhi mene soch liya he ke mujhe ab padhai nahi karni.....
Uski baat sunte hi Santosh use kas kar thappad laga deta he, aaj pehli baar ye din agaya tha jab Santosh ko apne baccho par haath uthana pada.
Uske thappad marte hi Radha aage akar Santosh ko rok deti he or use thoda piche karti he, Aksh apna sar jhukaye khada tha Sakshi uske paas akar Aksh ka haath tham leti he.
Santosh: Suna..... Suna kya keh raha he ye? Padhai nahi karni? To kya karna he tujhe? Bata?
Wo bahot hi gusse me unchi awaz me Aksh se puchta he.
Radha: aap shant ho jayiye....
Santosh: are kese shant ho jau? Kese? Aye din ye ladka bigadne laga he....
Radha: aap chup ho jayiye me samjhati hu use.... Aap chaliye andar...
Fir Wo Santosh ko andar kamre me le jati he.
Sakshi: Aksh tujhe kaha tha na mene Aai Baba ke samne ye baat mat kar fir kyu tune meri baat nahi suni?
Aksh: jane bhi de na Sakshi.... Thappad hi to khaya he..
Wo ek Sarcastic hasi ke saath kehta he.
Sakshi: Aksh meri.....
Radha: Sakshi zara Pani le kar ana.....
Wo andar se hi Sakshi ko awaaz lagati he.
Sakshi: tu ja andar kamre me... Me bas abhi ayi....
Or wo kitchen se pani ka glass le kar Apne parents ke kamre me chali jati he. Lekin tabhi Aksh ghar ke bahar chala jata he.
Sakshi or Radha ne Santosh ko shant kar diya tha, fir Sakshi Aksh se baat karne ka sochti he, or kamre se bahar ajati he, lekin Aksh waha nahi tha to Sakshi uske kamre me dekhti he to Aksh waha bhi nahi tha. Ab Sakshi ke paas uska wait karne ke siwaye koi rasta nahi tha.
Yaha Aksh apne ghar se nikal kar Soham ke ghar chala jata he, waha Soham ki mummy ne door open kiya.
S. Mummy: are Aksh.... Aao andar ajao....
Wo Aksh ko ghar me bulate hue kehti he.
S. Mummy: to kitne percentage mile tumhe?
Aksh: kya Aunty aap bhi.... Ye puchna chahiye ke paas bhi hua ya fail... Aap to percentage par agayi....
Wo andar sofe par beth te hue kehta he.
S. Mummy: are aise kese.... Mera beta bahot hoshiyar he...
Wo Aksh ke sar se haath ferte hue kehti he, tabhi Soham apne kamre se bahar ajata he.
Soham: or bata bhai.... Fail ho gaya?
Wo piche se akar Aksh ke khande par thapki marte hue puchta he.
Aksh: dekha Aunty... Ye hota he tarika puchne ka....
S. Mummy: bakwas mat kar... Kitne percentage mile wo bata...
Aksh: pure 38%
S. Mummy: ohhh... Koi baat nahi ab College me Dil laga kar padhai karna, thik he?
Aksh: dekhte he....
S. Mummy: tum betho me dono ke liye sharbat le kar ati hu.....
Or wo Kitchen me dono ke liye sharbat banane chali jati he.
Soham: yaar chal tension na le.... Games khelte he...
Aksh: me kyu tension lunga... Chal...
Or wo dono beth kar Games khelne lagte he.
Ghar pe sab log khana khane ke liye Aksh ka intezar kar rahe the. Lekin uska koi ata pata hi nahi tha.
Radha: Pata nahi kaha chala gaya ab ye ladka?
Sakshi: Aai, wo zarur Soham ke ghar gaya hoga... Tum call kar ke pucho na...
Radha: Sahi kaha.... Kabhi bata kar to jata nahi he ladka...
Wo kafi pareshani se kehti he, or Soham ke ghar pe call kar deti he.
Is waqt Soham ki Mummy kitchen me khana banane me lagi thi or Soham, Aksh hall me games khel rahe the, tabhi Soham dekhta he ke Radha ka call aya he.
Soham: Oye... Teri Aai ka call aya he.....
Aksh: are yaar..... Tu bolde ki me ghar ane ke liye nikal gaya hu...
Soham: me jhut kyu bolu bhai?
Aksh: accha?
Or itna kehkar Aksh ghar se bahar chala jata he.
Aksh: ab bata dena sach....
Soham: Are Aksh.... Abe sunn to....
Wo darwaze par ja kar Aksh ko awaaz lagate hue bolta he, lekin tabtak to Aksh dur nikal gaya tha. Soham call pick kar ke Radha ko bata deta he ke Aksh ghar chala gaya.
Yaha Aksh ghar jane ki bajaye dusre raste chal padta he, kuch der me hi wo ek Garage par pahoch jata he, jaha Ek aadmi car ki marammat kar raha tha.
Aksh: Salam Karim chcha.....
Karim: are Aksh.... Salam.. Salam.... Aja andar....
Wo piche Aksh ki taraf mudkar kehta he.
Karim: are aaj to tere Results the na? Kya hua?
Aksh: kya hona tha, pass ho gaya or Gift ke rup me Baba ka Thappad bhi mil gaya....
Wo andar akar ek car ke bonnet par beth the hue kehta he.
Karim: Thappad? Or wo kis liye?
Aksh: wo mene pure 38% marks laye is liye....
Karim: hmm... To tu Santosh se naraz ho kar ghar se chala aya?
Wo Aksh me paas akar uske kandhe par haath rakhte hue kehta he.
Aksh: n... Nahi... To... Me kyu naraz hounga....
Wo Karim ke sawal ka hadbadate hue jawab deta he.
Karim: wahh... Dekh Aksh bhale hi humara koi khun ka rishta nahi he, lekin tereko bachpan se janta hu me...... Dekh Aksh... Santosh ki isme koi galati nahi he, are me janta hu na yaar usne kitni mehnat ki he bachpan se... Are wo to chahta he ke tu or Sakshi ek sukoon bhari zindagi jiyo.... Is liye wo kabhi kabhi Sakth ho jata he....
Aksh: Chacha me Baba se naraz nahi hu, me to apne aap se naraz hu, samajh hi nahi ata kya hoga aage... Apne sapno par kaam karu, lekin dusri taraf dekhta hu to ye duniya to kisi alag hi disha me dod rahi he....
Uski baat par Karim use halke se sar pe marta he.
Karim: abe tu itna bhi bada nahi hua he jo duniya or iski baate kare...
Aksh: kya chacha aap bhi... Kuch saal or nahi karunga is duniya ki baate, lekin parents to bachpan me hi apne baccho ko is chuho ki daud me daal dete he na.... Yahi se to Shuruwat hoti he in sab ki....
Wo Karim ki Akho me akhe daal kar kehta he.
Karim: yaar tu itni badi badi baate kar kese leta he be?
Wo Aksh ke paas se uthkar thoda aage ki taraf khade hote hue puchta he. Jis par Aksh halka sa muskura deta he.
Karim: dekh beta.... Padhai likhayi par dhyan de, or ek accha insaan bann...
Aksh: kyu chacha... Jo log padhe likhe nahi hote kya wo acche insaan nahi he.... Aap hi dekh lo.... Aapne kaha padhai ki he, lekin aap to kitne acche insaan ho....
Karim: are bhai tu rehne de.... Tere saath kabhi behes nahi kar sakta me mere baap....
Wo piche mudkar Aksh ke samne haath jodte hue kehta he. Or firse apne kaam me lagg jata he.
Aksh: waise ek baat puchu chacha?
Kuch der baad Aksh ke dimag koi baat ajati he jise wo Karim se puchna tha.
Karim: ha puch na....
Wo apna kaam jaari rakhte hue kehta he.
Aksh: kya aap mujhe apne paas kaam par rakhoge?
Uska sawal sun kar Karim apna kaam rok deta he or Aksh ki taraf dekhne lagta he.
Karim: ab ye kya naya natak he tera?
Aksh: natak? Nahi.. nahi... Me to sach me ye kaam sikhna chahta hu....
Karim: are tereko to business karna he na to ye kya he?
Aksh: Aap please bataye na.... Kya mujhe aap yaha kaam par rakhoge?
Karim: are Aksh... Ye tera hi garage he or apne hi garage me koi nokri karta he kya?
Aksh: thik he... To aap nokri par mat rakhna... Lekin please aap mujhe ye kaam to sikha hi sakte ho na...
Karim: beta....
Aksh: please chacha.....
Karim: chal thik he.... Sikha dunga tujhe ye kaam...
Uska jawab sunkar Aksh bahot hi zyada khush ho jata he.
Karim: waise tune khana khaya ya nahi?
Aksh: ahhh... Ha... Ha mene kha liya...
Wo haklate hue Jawab deta he.
Karim: huhh... Jhut bhi bolne laga tu to? Chal ab... Ghar ja kar khana kha lete he... Teri chachi ne Biryani banayi he aaj.... Pasand he na tujhe?
Wo Aksh ke nazdeek akar uske sar pe haath ferte hue kehta he. Fir wo dono Karim ke ghar jane ke liye nikal jate he, Karim ne Santosh ko call kar ke bata diya tha ke Aksh uske saath hi he, or wo khana kha kar ayega.
Suraj ab dhire dhire dhalne laga tha, Aksh Karim ke saath khana kha kar Garage par kaam sikh raha tha, Dusri taraf ghar pe Sakshi or uski dost Neha apne ghar ki chatt par bethi hui thi.
Neha: yaar Sakshi.... College me ja kar kitna maza ayega na?
Wo bahot hi utsukta ke saath Sakshi se kehti he.
Sakshi: hmmm... Sahi kaha.. waha ab school se alag hi mahol hoga...
Neha: wahi to.... School me to kitne strict rules hote he... Lekin ab College me aisa kuch nahi hoga... Na kisi ki rok tok... Ab jab chahe class bunk karenge or....
Sakshi: kya kaha? Class bunk... Huhh.. wo tu akeli hi karna... Me nahi karne wali koi class bunk wunk...
Wo Neha ki baat ko bich me kaat te hue kehti he.
Neha: yaar kya Sakshi tu bhi... Kitni boaring he tu...
Wo apna muh fulakar Sakshi ko dhakka dete hue kehti he.
Sakshi: are... Isme boaring ki kya baat he? College me padhai karne jate he, na ke class bunk karne...
Wo Halke se Neha ke sar me thapki marte hue kehti he.
Neha: yaar Sakshi masti karne ke yahi to lamhe hote he.... Ek baar bade ho gaye to sab matang me badal jata he...
Sakshi: accha? Or wo kese?
Neha: are baba.... Bade ho jane ke baad fir job karo.... Uske baad shadi... Or....
Sakshi: ek.. ek... Minute... Tu itni dur shadi tak kaha chali gayi.... Wapis aa... Pagal...
Neha: kya dur.... Dekhna jese hi padhai khatam hogi na to gharwale shadi ke piche pad jayenge.... Huhhh...
Wo apna muh fulate hue kehti he.
Neha: Waise Sakshi tujhe kesa husband chahiye?
Uske sawal par Sakshi bahot sharma jati he.
Sakshi: ye...ye kya baate le kar beth gayi tu... Chup kar...
Wo Gusse se Neha ko aakhe dikhate hue kehti he.
Neha: bata bhi de na yaar Sakshi....
Wo Sakshi ko kohni marte hue kehti he. Ispar Sakshi apne chehre par bikhre balo ko apni ungliyo se kaan ke piche le jati he. Or wo kafi sharma gayi thi.
Sakshi: m...mujhe nahi pata....
Neha: hayee... Dekho to kese sharma rahi he...
Wo Sakshi ko dhakka marte hue kehti he jis par Sakshi ke chehre par hasi ajati he.
Neha: waise mujhe na.... Mujhe na..... Aksh husband ke roop me chahiye.....
Wo khudko hi apni baho me bharte hue kehti he. Lekin is se Sakshi Gussa ho jati he.
Sakshi: chup.... Ye kya keh rahi he tu?
Wo gusse me Neha se puchti he.
Neha: tu gussa kyu ho rahi he?
Sakshi: kuch nahi... Bas chup kar tu....
Wo narazgi se kehti he.
Neha: accha sorry baba.... Kyu gussa hoti he... Has bhi de jaldi se....
Or wo Sakshi ki kamar me gudgudi karne lagti he, jis se Naraz bethi Sakshi khil khila kar hasne lagti he.
Neha: waise Sakshi... Kya me itni buri hu jo Aksh ki wife nahi ban sakti?
Kuch der baad wo Sakshi se puchti he.
Sakshi: are pagal.... tu buri nahi he... Wo ladka hi alag he.. use samajh pana har kisi ke bass ki nahi he... Pata nahi kab kya kar de...
Neha: aisa nahi he.. Aksh bahot accha ladka he...
Sakshi: to mene kab kaha ke wo bura he... In fact us se accha insan to mene apni zindagi me nahi dekha... Bas tu use kabhi samajh nahi payegi...
Neha: accha? To Aksh ko samajhne wali kabhi milegi bhi?
Sakshi: zarur milegi... Zarur milegi......
Wo bahot hi gehri soch me akar kehti he. Kuch der dono chup si wahi bethi rehti he. Tabhi Radha un dono ko niche bula leti he, niche kuch nashta karne ke baad Neha apne ghar chali jati he.
Is waqt raat ke khane ka waqt ho raha tha, waha Karim pure din Karim ki zidd karte hue bhi Aksh ghar nahi gaya, ab Karim Garage band hone ka waqt tha, Karim use apne saath khane ke liye kehta he lekin Aksh mana kar deta he or apne ghar ke raste chal padta he. Or yaha Ghar pe sab uska intezar kar rahe the, Santosh ab uspe thoda gussa ho gaya tha, Sakshi darwaze par ruk kar Aksh ki raah dekh rahi thi, wo janti thi ke Santosh Aksh par gussa karne wala he to wo mahol ko sambhalne ke liye tayar thi, tabhi use Raste se Aksh ata dikhayi deta he. Aksh baramde me agaya tha Sakshi use gusse se dekh rahi thi.
Aksh: aise kyu dekh rahi he?
Wo ghar ke darwaze ke bahar hi baramde me ruk kar puchta he.
Sakshi: ye kya waqt he Aksh ghar ane ka? Firse Baba ko gussa dila diya na?
Wo bahot hi dhimi awaaz me Aksh se kehti he.
Aksh: Baba ka mujhpar gussa karna koi nayi baat thode na he.... Ab hatt samne se....
Wo Sakshi ko Darwaze se hatate hue kehta he or ghar ke andar ajata he.
Santosh: bahot jaldi agaye laat sahab aap to?
Lekin Aksh bas uski baat khatam hone tak waha rukta he or sidha apne kamre me chala jata he.
Santosh: dekha.... He koi sharm... Jawab diye bina hi chala gaya....
Wo gusse me Radha se kehta he.
Radha: aap jane dijiye na.... Wo pehle se pareshan he or aap he ki...
Wo Santosh ko shant karate hue kehti he.
Radha: Sakshi ja use khane ke liye bula la....
Sakshi: ha abhi bulati hu....
Or ye kehkar wo Aksh ke kamre me chali jati he jaha Aksh bed par leta hua tha.
Sakshi: oh hero... Kaha ghum raha tha din bhar tu?
Wo andar akar Aksh ke bagal me beth te hue Aksh se puchti he.
Aksh: Karim chacha ke yaha tha pata nahi kya tujhe?
Sakshi: accha? Pura din kya kar raha tha waha?
Aksh: kuch nahi... Bas aise hi time pass kar raha tha...
Sakshi: tu itna thaka hua kyu lag raha he?
Aksh: thodi thakan to lagg rahi he....
Sakshi: chal pehle khana kha le... Badme me tere haath per daba dungi....
Aksh; are nahi mujhe bhuk nahi he tum log kha lo....
Ispar Sakshi Aksh ka haath pakad leti he or use sidha bitha deti he.
Sakshi: Aksh.... Kabtak Baba se naraz rahega tu? Wo tera bura thodi na chahte he...
Aksh: are yaar tu na.... Mujhe sachme bhuk nahi lagi he... Mene Karim chacha ke ghar pe hi Biryani kha li thi... Ye ghas pus tu kha.... or tujhe pata he na mujhe non veg khane se firse bhuk nahi lagti...
Sakshi: sach keh raha he na?
Aksh: to jhut kyu bolunga... Puchle chacha ko call kar ke...
Sakshi: chal ab tu keh raha he to maan leti hu.
Or fir Sakshi bahar akar Radha or Santosh ko ye baat bata deti he fir tino milkar khana kha lete he, khane ke baad Sakshi Radha ke kaam me haath bata rahi thi, kaam khatam hone ke baad wo Aksh ke kamre me us se kuch baat karne ajati he lekin dekhti he ke Aksh to kafi gehri nind me tha. To Sakshi apne kamre me ja kar so jati he.
Or is tarah inka ye din nikal jata he, jaha Aksh or Santosh ke bich kafi gehma gehmi ho gayi thi, aaj humne dekh ke Aksh kis tarah se apni baate bina dare samne rakhta he, lekin ab uski ye adat bakiyo ke liye kesi hogi ye to ane wala kal hi batayega.
Agar Update accha laga ho to like zarur karna or Comment kar ke apna view mere saath zarur share karna. Agla Update jald hi ayega till then Stay Tuned And Keep Smiling
awesome updateChapter 1 - The Early Life

Nice update yeh kehna galat nahi hoga ke aaj ke zamana k padayi srif kitab tak hi seemit rah gayi hai aur alsi duniya mein iska koi mol nahi hota hai..Chapter 1 - The Early Life