- 8,687
- 28,963
- 219
Thank you bhaiSuper update hai bhai
Thank you bhaiSuper update hai bhai
Are bhai sala kalyug hai bc hawae bhi kisi ki sagi nahi haiYe hawaye kab se news report karne lagi
Aditya ka aisa konsa business he jo pure India me faila he par kiran ko bhi nahi pata ?
Last me jo scene bana tha bomb he
Bhai update aate rahenge jab tak aap log sath bane rahogeSuper update,,,,just intna batana chaunga ki ap daily update dite rahey,,,readers ka komi nehi rahga kiyku ap bahut acca describes korte ho har moment ka ,,,sathi hey likhtey rahjie
Bhai aap se to thoda jada expect kar sakta hu mainnice update
Update-27
After few days
Seema- tum kahi ja rahe ho?
Daksh- ha ghar
Thoda kaam hai
Seema- mera kya hoga?
Daksh- yaha kami hai kya
Kisi ko bhi pakad lena
Seema- main kya koe bajaru hu jo Kisi ko bhi pakad legi
Daksh- Maine ye to nahi kaha
Mere se pehle bhi to koe hoga
Nahi to mere alternate me bhi to kisi ko rakha hoga
Seema- lekin tum to nahi honge na
Daksh- don't get that attached to me
Main hawa ke jhoke ki tarah hu
Ek jagah nahi rahta
Seema- vapas kab aaoge
Daksh- let's see
Seema- last time to kar lete hai jane se pehle
Daksh- rough road?
Seema- vo nahi
Kabhi fursat me
Daksh- abhi bhi hai
Kafi gante hai
Seema- nahi kafi nahi hai
Tum insano ki tarah to karte nahi ho
Daksh- lekin jaisa bhi karta hu tumhe pasand aata hai
Seema- ye to hai
Aur vo Daksh ko aage bhad ke chhum leti hai
Agle hi second kapde sarir se door ho chuke the aur ghamasam mach chuka tha
Ek ded ghante baad dono finish hote hai uske baad shower lete hai sath me aur fir Daksh nikal jata hai
Kuch ganto ki flight ke baad vo apne sehar me pahuch chuka tha
Sala apne sehar ki hawao me hi kuch nasha hota hai
Kaisi bhi situation ho lekin chehre par Ek smile aa hi jati hai
Daksh ke sath bhi yehi hue
Ek bahut pyaari si smile uske chehre par aagaye thi jaisi hi uske sehar ki hawae usko feel hue
Lekin ye smile real thi vaise nahi jaise vo humesha dusro ko dikhane ke liye rakhta hai
Vo Ek taxi wale ko rukvata hai aur address bata ke bath jata hai
Jada der nahi lagi usse apne ghar pahuchne me
Ek chhota lekin bahut pyaare se ghar ke samne vo khada tha aur usse bas dekhte hi ja raha tha jaise pata nahi kitne barso baad dekha hai
Fir bahut dheere dheere chalte hue gate ka lock khol ke ander jane lagta hai
Ek ek step jaise jaise vo aage badha raha tha uske bachpan ki yaadein jaise uske samne se gujar rahi thi
Ek hasta hua bacha ek udhar bhag raha tha aur uske piche ek aadmi usse pakadne ki kosis kar raha tha
Samne dining table par ek bache ko vohi admi apne hatho se khana khila raha tha to soffe par usse vo bacha uske god me soya hua dikh raha tha
Jab stairs ki taraf dekha to vohi usse chhote chhote kadmo se niche utarta dikh raha tha jiske thik piche vo admi chal raha tha ek shadow ban ke aur uske chehre par ek bahut pyaari smile bhi thi
Fir hall me hi koe do person lad rahe the aur vo bacha apne room ke gate par chhup kar sab dekh raha tha
Next moment me usse hostel bejha ja raha tha aur vo bas us addmi ki taraf dekh raha tha jaise bol raha ho ki mujhe rok lo
Lekin aisa kuch nahi hua
Diwar par vahi bahut sari photos lagi hue thi, ek bachhe ki masumayat aur khushi bhar bhar kar jhalak rahi thi un photos me
Daksh lagbhag ek ghante se yehi sab dekh raha tha
Fir hall se aage bhad ke apne room me jane laga
Ek chhota sa bed aur dher sare khilone bilkul vaise hi pade the jaisa vo chhod ke gaya tha
Ek chhij yaha se vaha nahi hue thi
Vo ek ek chhij ko utha ke atit ke un dino ko yaad karne laga jab vo es chhoti si dunia me khush raha karta tha
Aaj 9 saal baad vo yaha aaya tha aur ab pehle jaisa kuch nahi bacha tha
Vo bachpan vo khushiya sayad kahi gum si ho gaye thi
Jitna bhi unko yaad karne ki kosis karta utna hi usse dard milta aur bas dard milta
Apne aashon puch ke Daksh apna room saaf karne lag gaya
New new chhije usse milne lagi aur chehre par smile aur aankhon me aashon liye vo bas unhe sambhal ke rakhta gaya
Bahut dher tak vo apne room me hi raha aur fir uth ke vaha se bahar aagaya
Jitna bhi kosis kar raha tha utna hi usse dard ho raha tha apne khud ke ghar me apne khud ke room me
Esliye vo vaha se bahar aagaya aur padal hi sadak par chalne laga
Sayad purani yaadon ko samet kar ek manjil par jana chah raha tha
Lekin lag nahi raha tha ki vo bilkul bhi kareeb hai us manjil ke
Aakhir me road ke side me jo jagah hoti hai vahi par bath gaya aur bas vo sare chhije yaad karne laga jiske karan ye sab hua
Reason chahe kitne bhi ho lekin uske liye sirf ek hi person tha
Aur uske hissab se saja bhi usse hi milegi aur vo milegi jo usne kabhi sapne me bhi nahi socha tha
Kuch der vahi batha raha fir phone nikal ke Arjun ke number dial kar diye
Arjun phone uthate hi
Bhai family ke sath bahar aaya hu baad me call karta hu aur bina Daksh ke baat sune phone kaat diya
Daksh ko laga tha ki Arjun ke sath thodi bakchodi karega to sayad mood thik ho jaega lekin aaj usse sab khud se hi handle karna tha sayad
Yehi sochte hue vapas ghar aaya, garage se bike nikali jo sayad barso se band padi thi
Pehle uski maramat ki aur fir usse leke nikal gaya
Exact idea tha usse ki jana kaha hai
Teen ghante bike chalane ke baad vo dusre sehar pahuch chuka tha aur es waqt ek badi si building ke bahar khada tha
Door se dekhne par to school hi lag raha tha lekin kya pata ander bc kya ho
Pata nahi kyu lekin Daksh ka ander jane ki himmat nahi ho rahi thi
Sayad under jake firse vohi sab ho jaye jo abhi ghar me jate waqt hua tha
Vo bahut dheer tak vahi khada raha aur bas us building ko dekhta raha aur kuch ache bure bitayae din yaad karne laga
Tabhi us building ka main gate khula aur ek old lady bahar nikal ke aae
Lady Daksh ki taraf bhadti ja rahi thi aur Daksh usse bahut ache se pahchanta bhi tha
Vo lady Daksh ke bilkul pass aake
Lady- maine bola tha tumhe
Ek na ek din tum yaha vapas aaoge
Dekho aaj vo din aagaya
Daksh- main bas side se gujar raha tha
Lady- aao ander chalo
Daksh- nahi Ma'am main bas yaha se gujar raha tha
Lady Daksh ko dekh ke muskurate hue
Mujhe pata hai tum yahi se gujar rahe the
Ab chalo aur Daksh ka hath pakad ke ander lejane lagti hai
Evening time tha to usse kuch students park me edar udar khelte bhi najar aa rahe the
Daksh bas un buildings aur un area ko dekh raha tha
Lady- ye kad kab apna lagne lag jata hai kisi ko pata nahi chalta
Vo Daksh ko chhijo ko dekhte hue boli
Daksh- Maam I'm sorry for everything
I was not well
Ye us school ki Principal thi
Maam- Daksh the fact is you are still not well
Daksh kuch nahi bola bas niche muh karke maam ke side me bath gaya
Maam- you are the best this school ever produced
You know that, right?
Daksh- I don't know maam
I don't know nothing right now
I'm lost and I'm slowing giving up
Maam thoda muskurate hue
Pata hai jab bhi kabhi kisi student ka example dena hota hai to koe tumhra naam kyu nahi leta
Daksh- kyuki main us kabil nahi hu Ma'am
Maam- nahi ye reason nahi hai
Yaha sabko pata hai ki Daksh jaisa genius es school ko dobara nahi dekhne ko milega
Vo Daksh jo kabhi hara nahi
Vo Daksh jo kabhi challenges se piche nahi hata
Lekin tumhre naam na lene ka main reason ye hai ki vo Daksh jisse khud ki jeet se jada dusro ki haar me maja aata tha
Vo Daksh jisne kabhi rule follow nahi kiye
Vo Daksh jisne jitne logo ko yaha akele mara hoga utna sayad sare students ne mil ke nahi maar pae honge
Daksh- Maam situation change hoti hai
3 years not a single case
Maam- you happy?
Daksh- yes I am
Maam- tum agar sach me khush hote to yaha nahi aate
Tell me what is bothering you
Daksh- Maam main toot chuka hu
Jitna khud ko strong dikhane ki kosis karta hu utna hi kamjor hone lagta hai
I lost everything
I lost my childhood
I lost my father
I lost my dream
I lost my girl
I fucking lost everything
It feels like now I'm started loosing myself
Maam- Daksh you know the reason
Right?
Tum ek badle ki aag me jal rahe ho aur ussi ke chakkar me ye tak bhul gaye ho ki tum kon the aur tum kon ho
Ek baar apne bare me soch ke dekhe
Fir sab thik hone lag jaega
Daksh- Ma'am thik to sab hoga lekin ek kimat par
Maam- vo kimat bahut badi Hai daksh
Daksh- jisse main dene ko tayar hu
Maam- beta main bas ek hi request karti hu tumse ki kuch bhi ho jaye lekin kabhi aapne aapko khone mat dena
Kyuki agar sab kuch jeetne ke baad tumhe ye hi nahi pata hoga ki tum kon ho to ye tumhri sabse badi haar hogi
Daksh- thank you Ma'am
Maam- abhi kaha jaoge?
Daksh- jaha rasta lejaye
Maam- lunch kiya tumne
Daksh- Jee main raste me kar liya tha
Maam hasti Hai aur fir Daksh ka hath pakad ke mess ki taraf le jane lagti hai
Daksh- maam bhag jaenge log mujhe dekh ke
Maam- unhe aadat ho gaye thi tumhri
Daksh- abhi waqt gujar chuka hai
Maam- lekin tumhe nahi bhule abhi tak
Fir dono mess me jake khana khate hai aur Daksh Ma'am se vida leke vaha se nikal jata hai
Dusri jagah jaha vo jata hai vo jagah thi jaha par Daksh aur poonam aksar milte the
Daksh vaha pahucha aur bike bahar khadi karke ander ki taraf jane lag gaya
Lekin bechare ke pair raste me hi ruk gaye aur chehre par ek dard umad aaya
Aaj gussa nahi ek dard jhalak raha tha uske chehre par
Jis jagah par vo aur poonam bathte the vahi par poonam aur ek ladka batha tha
Daksh ka to jaise dil ke chithade ud gaye the
Sara pyaar sari moments aur sari taklife aise slides me uski ankhon ke samne se gujarne lagi
Aur arso baad Daksh ki ankhon ko nam bhi kar gaye
Agle hi second ek last time usne dobara us jagah ko dekha aur vaha vo hua jo nahi hona chahiye tha
Uski aur poonam ki najare mil gaye
Jaha Daksh ke chehre par dard jhalak raha tha vahi dusri taraf poonam ke chehre par ek dar saaf saaf dekha ja raha tha
Daksh ka man to kar raha tha ki aage bhade aur us bande ko jaan se maar de lekin poonam ke chehre ki khushi dekh ke ruk gaya aur poonam ko ek smile di jisme dard saaf dikh raha tha aur ishare me best of luck Bola aur vaha se mud ke vapas chala gaya
It was a good bye for the very last time aur ek chapter Daksh ki life se close ho gaya
SAYAD..........