• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Adultery Life of an Engineer(adultery+romance+action) (Completed)

firefox420

Well-Known Member
3,371
13,878
143
so at last jaate jaate dil toot he gaya ladke ka .. principal maam se kuch nasihat bhi mili .. jiski ke Daksh ko bahut jarurat thi .. magar Poonam ko aur apne ateet ki bikhri hui yaadon ko dekh kar .. purane dard fir se taza ho gaye .. chalo jo hua accha hua ...

but aakhir ye baat sochne wali hai .. ki ek engineering student (Arjun) chuttiyon mein busy kaise ho sakta hai .. ye baat kuch hajam nahi hui .. lagta hai Arjun ki bhi kuch alag he kichdi pak rahi hai .. ye bhi pura chupa rustam hai .. jaroor isne kuch na kuch kaand kar diya hoga ghar par .. he he:haha:
 
Last edited:

Assassin

Staff member
Moderator
4,493
3,988
159
Update-27

After few days

Seema- tum kahi ja rahe ho?
Daksh- ha ghar
Thoda kaam hai

Seema- mera kya hoga?
Daksh- yaha kami hai kya
Kisi ko bhi pakad lena

Seema- main kya koe bajaru hu jo Kisi ko bhi pakad legi
Daksh- Maine ye to nahi kaha
Mere se pehle bhi to koe hoga
Nahi to mere alternate me bhi to kisi ko rakha hoga

Seema- lekin tum to nahi honge na
Daksh- don't get that attached to me
Main hawa ke jhoke ki tarah hu
Ek jagah nahi rahta

Seema- vapas kab aaoge
Daksh- let's see

Seema- last time to kar lete hai jane se pehle
Daksh- rough road?

Seema- vo nahi
Kabhi fursat me
Daksh- abhi bhi hai
Kafi gante hai

Seema- nahi kafi nahi hai
Tum insano ki tarah to karte nahi ho
Daksh- lekin jaisa bhi karta hu tumhe pasand aata hai

Seema- ye to hai
Aur vo Daksh ko aage bhad ke chhum leti hai
Agle hi second kapde sarir se door ho chuke the aur ghamasam mach chuka tha

Ek ded ghante baad dono finish hote hai uske baad shower lete hai sath me aur fir Daksh nikal jata hai

Kuch ganto ki flight ke baad vo apne sehar me pahuch chuka tha

Sala apne sehar ki hawao me hi kuch nasha hota hai
Kaisi bhi situation ho lekin chehre par Ek smile aa hi jati hai

Daksh ke sath bhi yehi hue
Ek bahut pyaari si smile uske chehre par aagaye thi jaisi hi uske sehar ki hawae usko feel hue

Lekin ye smile real thi vaise nahi jaise vo humesha dusro ko dikhane ke liye rakhta hai

Vo Ek taxi wale ko rukvata hai aur address bata ke bath jata hai

Jada der nahi lagi usse apne ghar pahuchne me

Ek chhota lekin bahut pyaare se ghar ke samne vo khada tha aur usse bas dekhte hi ja raha tha jaise pata nahi kitne barso baad dekha hai

Fir bahut dheere dheere chalte hue gate ka lock khol ke ander jane lagta hai

Ek ek step jaise jaise vo aage badha raha tha uske bachpan ki yaadein jaise uske samne se gujar rahi thi

Ek hasta hua bacha ek udhar bhag raha tha aur uske piche ek aadmi usse pakadne ki kosis kar raha tha

Samne dining table par ek bache ko vohi admi apne hatho se khana khila raha tha to soffe par usse vo bacha uske god me soya hua dikh raha tha

Jab stairs ki taraf dekha to vohi usse chhote chhote kadmo se niche utarta dikh raha tha jiske thik piche vo admi chal raha tha ek shadow ban ke aur uske chehre par ek bahut pyaari smile bhi thi

Fir hall me hi koe do person lad rahe the aur vo bacha apne room ke gate par chhup kar sab dekh raha tha

Next moment me usse hostel bejha ja raha tha aur vo bas us addmi ki taraf dekh raha tha jaise bol raha ho ki mujhe rok lo

Lekin aisa kuch nahi hua

Diwar par vahi bahut sari photos lagi hue thi, ek bachhe ki masumayat aur khushi bhar bhar kar jhalak rahi thi un photos me

Daksh lagbhag ek ghante se yehi sab dekh raha tha

Fir hall se aage bhad ke apne room me jane laga

Ek chhota sa bed aur dher sare khilone bilkul vaise hi pade the jaisa vo chhod ke gaya tha

Ek chhij yaha se vaha nahi hue thi

Vo ek ek chhij ko utha ke atit ke un dino ko yaad karne laga jab vo es chhoti si dunia me khush raha karta tha

Aaj 9 saal baad vo yaha aaya tha aur ab pehle jaisa kuch nahi bacha tha

Vo bachpan vo khushiya sayad kahi gum si ho gaye thi

Jitna bhi unko yaad karne ki kosis karta utna hi usse dard milta aur bas dard milta

Apne aashon puch ke Daksh apna room saaf karne lag gaya

New new chhije usse milne lagi aur chehre par smile aur aankhon me aashon liye vo bas unhe sambhal ke rakhta gaya

Bahut dher tak vo apne room me hi raha aur fir uth ke vaha se bahar aagaya

Jitna bhi kosis kar raha tha utna hi usse dard ho raha tha apne khud ke ghar me apne khud ke room me

Esliye vo vaha se bahar aagaya aur padal hi sadak par chalne laga

Sayad purani yaadon ko samet kar ek manjil par jana chah raha tha

Lekin lag nahi raha tha ki vo bilkul bhi kareeb hai us manjil ke

Aakhir me road ke side me jo jagah hoti hai vahi par bath gaya aur bas vo sare chhije yaad karne laga jiske karan ye sab hua

Reason chahe kitne bhi ho lekin uske liye sirf ek hi person tha
Aur uske hissab se saja bhi usse hi milegi aur vo milegi jo usne kabhi sapne me bhi nahi socha tha

Kuch der vahi batha raha fir phone nikal ke Arjun ke number dial kar diye

Arjun phone uthate hi
Bhai family ke sath bahar aaya hu baad me call karta hu aur bina Daksh ke baat sune phone kaat diya

Daksh ko laga tha ki Arjun ke sath thodi bakchodi karega to sayad mood thik ho jaega lekin aaj usse sab khud se hi handle karna tha sayad

Yehi sochte hue vapas ghar aaya, garage se bike nikali jo sayad barso se band padi thi

Pehle uski maramat ki aur fir usse leke nikal gaya

Exact idea tha usse ki jana kaha hai

Teen ghante bike chalane ke baad vo dusre sehar pahuch chuka tha aur es waqt ek badi si building ke bahar khada tha

Door se dekhne par to school hi lag raha tha lekin kya pata ander bc kya ho

Pata nahi kyu lekin Daksh ka ander jane ki himmat nahi ho rahi thi

Sayad under jake firse vohi sab ho jaye jo abhi ghar me jate waqt hua tha

Vo bahut dheer tak vahi khada raha aur bas us building ko dekhta raha aur kuch ache bure bitayae din yaad karne laga

Tabhi us building ka main gate khula aur ek old lady bahar nikal ke aae

Lady Daksh ki taraf bhadti ja rahi thi aur Daksh usse bahut ache se pahchanta bhi tha

Vo lady Daksh ke bilkul pass aake
Lady- maine bola tha tumhe
Ek na ek din tum yaha vapas aaoge
Dekho aaj vo din aagaya

Daksh- main bas side se gujar raha tha
Lady- aao ander chalo

Daksh- nahi Ma'am main bas yaha se gujar raha tha
Lady Daksh ko dekh ke muskurate hue
Mujhe pata hai tum yahi se gujar rahe the
Ab chalo aur Daksh ka hath pakad ke ander lejane lagti hai

Evening time tha to usse kuch students park me edar udar khelte bhi najar aa rahe the

Daksh bas un buildings aur un area ko dekh raha tha

Lady- ye kad kab apna lagne lag jata hai kisi ko pata nahi chalta
Vo Daksh ko chhijo ko dekhte hue boli

Daksh- Maam I'm sorry for everything
I was not well
Ye us school ki Principal thi

Maam- Daksh the fact is you are still not well
Daksh kuch nahi bola bas niche muh karke maam ke side me bath gaya

Maam- you are the best this school ever produced
You know that, right?
Daksh- I don't know maam
I don't know nothing right now
I'm lost and I'm slowing giving up

Maam thoda muskurate hue
Pata hai jab bhi kabhi kisi student ka example dena hota hai to koe tumhra naam kyu nahi leta
Daksh- kyuki main us kabil nahi hu Ma'am

Maam- nahi ye reason nahi hai
Yaha sabko pata hai ki Daksh jaisa genius es school ko dobara nahi dekhne ko milega
Vo Daksh jo kabhi hara nahi
Vo Daksh jo kabhi challenges se piche nahi hata

Lekin tumhre naam na lene ka main reason ye hai ki vo Daksh jisse khud ki jeet se jada dusro ki haar me maja aata tha
Vo Daksh jisne kabhi rule follow nahi kiye
Vo Daksh jisne jitne logo ko yaha akele mara hoga utna sayad sare students ne mil ke nahi maar pae honge

Daksh- Maam situation change hoti hai
3 years not a single case
Maam- you happy?

Daksh- yes I am
Maam- tum agar sach me khush hote to yaha nahi aate
Tell me what is bothering you

Daksh- Maam main toot chuka hu
Jitna khud ko strong dikhane ki kosis karta hu utna hi kamjor hone lagta hai
I lost everything
I lost my childhood
I lost my father
I lost my dream
I lost my girl
I fucking lost everything
It feels like now I'm started loosing myself
Maam- Daksh you know the reason
Right?
Tum ek badle ki aag me jal rahe ho aur ussi ke chakkar me ye tak bhul gaye ho ki tum kon the aur tum kon ho
Ek baar apne bare me soch ke dekhe
Fir sab thik hone lag jaega

Daksh- Ma'am thik to sab hoga lekin ek kimat par
Maam- vo kimat bahut badi Hai daksh

Daksh- jisse main dene ko tayar hu
Maam- beta main bas ek hi request karti hu tumse ki kuch bhi ho jaye lekin kabhi aapne aapko khone mat dena
Kyuki agar sab kuch jeetne ke baad tumhe ye hi nahi pata hoga ki tum kon ho to ye tumhri sabse badi haar hogi

Daksh- thank you Ma'am
Maam- abhi kaha jaoge?

Daksh- jaha rasta lejaye
Maam- lunch kiya tumne

Daksh- Jee main raste me kar liya tha
Maam hasti Hai aur fir Daksh ka hath pakad ke mess ki taraf le jane lagti hai

Daksh- maam bhag jaenge log mujhe dekh ke
Maam- unhe aadat ho gaye thi tumhri

Daksh- abhi waqt gujar chuka hai
Maam- lekin tumhe nahi bhule abhi tak

Fir dono mess me jake khana khate hai aur Daksh Ma'am se vida leke vaha se nikal jata hai

Dusri jagah jaha vo jata hai vo jagah thi jaha par Daksh aur poonam aksar milte the

Daksh vaha pahucha aur bike bahar khadi karke ander ki taraf jane lag gaya

Lekin bechare ke pair raste me hi ruk gaye aur chehre par ek dard umad aaya

Aaj gussa nahi ek dard jhalak raha tha uske chehre par

Jis jagah par vo aur poonam bathte the vahi par poonam aur ek ladka batha tha

Daksh ka to jaise dil ke chithade ud gaye the

Sara pyaar sari moments aur sari taklife aise slides me uski ankhon ke samne se gujarne lagi

Aur arso baad Daksh ki ankhon ko nam bhi kar gaye

Agle hi second ek last time usne dobara us jagah ko dekha aur vaha vo hua jo nahi hona chahiye tha

Uski aur poonam ki najare mil gaye
Jaha Daksh ke chehre par dard jhalak raha tha vahi dusri taraf poonam ke chehre par ek dar saaf saaf dekha ja raha tha

Daksh ka man to kar raha tha ki aage bhade aur us bande ko jaan se maar de lekin poonam ke chehre ki khushi dekh ke ruk gaya aur poonam ko ek smile di jisme dard saaf dikh raha tha aur ishare me best of luck Bola aur vaha se mud ke vapas chala gaya

It was a good bye for the very last time aur ek chapter Daksh ki life se close ho gaya
SAYAD..........
Gajab akhir story me he sahi tum wapas to gaye apne ghar me :D
Bohot sensitive update tha ye :)
Bachpan ki yaade jo thodi si he thi par jhinjodne ke liye kaafi thi, school ki yaade jo uski ek Khas pehchaan thi, aur ant me uski life ki sabse sunehri yaadein Poonam ke saath jo abhi sabse jyada dard de rahi thi.
Keep updating :good:
 
  • Like
Reactions: Nevil singh

Lone survivor

Well-Known Member
8,687
29,215
219
Jeet ke sab kuchh kho diya to jeet ka koi matlab nahi.
Jo hai use dekha nahi,
Jo nahi hai usake peechhe bhagta raha.
Yehi to zindagi Hai Sali
Bahut sahi bola bhai
 
  • Like
Reactions: Nevil singh

Lone survivor

Well-Known Member
8,687
29,215
219
Kya update h Bhai padhke kuch purane jakhm hare ho gye
Let's see aage Kya hota h
Bas Bhai tayar raho ab yehi randirona hota rahega
Jab ek engineer likhega aur dusra padega to sala Dard to hoga hi
 
  • Like
Reactions: Nevil singh

Lone survivor

Well-Known Member
8,687
29,215
219
Nice update.. Last mey e kiya new twist dal dia apney?
Yaad nahi Bhai kya daal diya bc nashe kaam karne padenge
 
  • Like
Reactions: Nevil singh

Lone survivor

Well-Known Member
8,687
29,215
219
Nice update....


Story going perfect....


Seema ki thukai ho gyi or daksh apne sahar mai...

And the thing that touched my heart....

Aap kitne samay baad bhi kahi he apne ghar, gaon, ya sahar jao ek alag khushi hoti he us hawa ki alag mahak hoti he...jb wahan pohochte hein to vo hawa or vo mahol dil ho chuu jata he...

यूं तो वर्षों बीत ग‌ए गांव से आए हुए जनाब...

पर वो हवाऐं अब भी बखूबी पहचानती है मुझे...



‌‌dakh ka school jana principal se milna kya iska koi connection he story...jab ye part aaya he to hoga hi...

Khair ek chapter ke close hone ki baat ki he shayad ke sath...


Ab dekhna ye he is shayd mai kya kya chippa he....


Waiting for next....
Sab kuch relate karega Bhai ek dusre se
Etni aasan life nahi hone wali
 
Last edited:
  • Like
Reactions: Nevil singh

Lone survivor

Well-Known Member
8,687
29,215
219
so at last jaate jaate dil toot he gaya ladke ka .. principal maam se kuch nasihat bhi mili .. jiski ke Daksh ko bahut jarurat thi .. magar Poonam ko aur apne ateet ki bikhri hui yaadon ko dekh kar .. purane dard fir se taza ho gaye .. chalo jo hua accha hua ...

but aakhir ye baat sochne wali hai .. ki ek engineering student (Arjun) chuttiyon mein busy kaise ho sakta hai .. ye baat kuch hajam nahi hui .. lagta hai Arjun ki bhi kuch alag he kichdi pak rahi hai .. ye bhi pura chupa rustam hai .. jaroor isne kuch na kuch kaand kar diya hoga ghar par .. he he:haha:
Bhai aapko Arjun ki bahut fikar rahti hai lekin hakikat me vo chutiya hai
Kahi na Kahi gand hi mara raha hoga
Bhosdika phone bhi nahi uthata ab to
 

Lone survivor

Well-Known Member
8,687
29,215
219
Gajab akhir story me he sahi tum wapas to gaye apne ghar me :D
Bohot sensitive update tha ye :)
Bachpan ki yaade jo thodi si he thi par jhinjodne ke liye kaafi thi, school ki yaade jo uski ek Khas pehchaan thi, aur ant me uski life ki sabse sunehri yaadein Poonam ke saath jo abhi sabse jyada dard de rahi thi.
Keep updating :good:
Thank you so much Bhai for you support and love
Mega mega update coming soon
 

Lone survivor

Well-Known Member
8,687
29,215
219
Update-28

Kitni bhi bhasad ho lekin apne ghar me aur apne bistar par humesha chain ki hi nind aati hai

Vohi Daksh ke sath hua vo bhi etna sab hone ke baad sober halaat me aaram se apne bistar par so raha tha

Early morning ka time tha aur usne pehle to socha tha ki yaha aur ruka jaega lekin jabse poonam ko etna khush dusre ki bahoo me dekha to yaha rahne ka matlab hi khatam ho gaya

Vaise to uska ye ghar tha lekin kahi na kahi usne hostel ko hi apna ghar maan liya tha aur esliye hi usne decide kiya ki vo vapas chala jaega

College jane se pehle kuch aur kaam karne the usse jiske liye dusri jagah bhi jana tha

Jab vo utha to ek bhoj jo poonam naam ka tha vo sayad kam ho gaya tha aur esliye uske taraf bina soche apne aage ke kaam ke bare me sochte hue planning karne laga

Tayar hoke vo ghar se bahar aaya aur ek aur baar bahar se apne ghar ki taraf dekhne laga

Ek mila jhula emotions aa raha tha uske chehre par
Jispar khushi aur Dard dono bilkul same thi

Fir vaha se mud gaya aur airport par chala gaya aur vaha se apni dusri manjil ki taraf

Jaise hi flight se utara Arjun ki call aagaye

Daksh- hello
Arjun- ha be lodu
Call kiya tha

Daksh- kiya to tha
Lekin tu kaha gand mara raha tha
Arjun- are kahi nahi
Bas socha thoda family ke sath time spend kar lu esliye gumne gaye the

Daksh- achi baat hai
Arjun- kaha hai tu?

Daksh- guess kar
Arjun- mujhe kya pata bc kaha gand mara raha hai

Daksh- mujhe laga tu guess kar lega
Arjun- kahi mujhe miss to nahi kar raha tha ki mere sehar me aagaya ho

Daksh- sahi pakde ho
Arjun- bccccc tu yaha hai
Abhi kaha hai bata
Main aata hu

Daksh- thoda kaam khatam karke call karta hu
Arjun- Abe vo Ambani ki aulad
Kya kaam hai tujhe?

Daksh- hai kuch
Arjun- sath me kar lenge
Main ghadi leke aajata hu

Daksh- main shayam tak call karta hu tujhe
Arjun- baat change kar raha hai bc
Kisi ko tapkane ka plan to nahi hai na

Daksh- tu Bach ke rahiyo
Sabse pehla naam tera hi hai meri list me
Arjun- sale jhaat bharabar hai tu
Ukhad ke fek dunga

Daksh- Dard bahut hoga usme bhi
Arjun- sah lunga main

Daksh- thik main call karta hu
Arjun- okay bro
Koe problem ho to bata dena

Daksh- okay
Aur fir Daksh phone kaat deta hai

Uske baad cab leke apne raste nikal jata hai aur pahuchta hai city ke sabse rahis area me aur ek bahut bade se ghar me gus jata hai

Bahut sare log the vaha jo apna apna kaam kar rahe the lekin jaise hi sabki najar Daksh ki taraf padti hai to sab apni apni jagah se uth jate hai aur Daksh ki taraf badh jate hai

Unmse ek bolta hai
Bhai aap yaha
Daksh- vo kaha hai?

Ladka- Bhai aapne bola tabhi chhod diya
Daksh- jab Maine bola to chhod diya lekin mere bolne se pehle pakda kyu

Ladka- issue jada create kar raha tha
Daksh- usse kaise handle karna hai vo mera kaam hai
Lekin important ye hai ki mere bina permission ke pakda kyu

Ladka- galti ho gaye bhai
Aage se dhayan rakhenge
Daksh- dobara galti karne layak nahi chhodta bhai

Ladka- Bhai mujhe laga family matter hai to aap kuch nahi bolohe
Daksh- agar tumhri family matter hota to nahi bolta
Lekin mera family matter hai esliye nahi chhod sakta

Ladka- lekin Bhai aapka naam kahi involve nahi hai
Daksh- uska to hai jiski vajah se ye hua hai
Now tell me one thing agar usse kuch hogya to?

Ladka- Bhai hum pura dhayan rakh rahe hai
Daksh- agar ek baar chuk gaye to

Ladka- nahi chukenge bhai
Daksh- maan le ek baar ho gaye dobara galti to
Tumhe har baar jitna hai aur usse sirf ek baar

Ladka- security badha denge
Daksh- kiska area hai ye

Ladka- uska
Daksh- to support kisko milega?

Ladka- Bhai aage se kuch nahi karenge aapse puche bina
Bat batao esko kaise thik kiya jaye
Daksh- phone kar dadu ko protection money ke liye
Jisse usko lage ki ye sab paiso ke liye ho raha hai na ki koe personally dusmani hai

Ladka- Jee bhai
Daksh- dobara galati nahi honi chahiye

Ladka- nahi hogi bhai
Uske baad Daksh vaha se nikal gaya

Dopahar ka time ho gaya tha aur usse bhukh bhi lagne lagi thi esliye kisi hotel me chala gaya lunch ke liye

Ek seat pakad ke batha hi tha ki usse samne koe aur batha dikh gaya

Daksh muskurate hue apni jagah se utha aur samne jo batha tha uski seat par jake bath gaya

Daksh- hie
Maine suna ki tum naraj ho mujhse
Kiran bas Daksh ko dekhe ja rahi thi jaise usse yakin hi nahi ho raha ho ki vohi hai yaha

Kiran- tum yaha?
Daksh- ha main yaha
Lekin tum?

Kiran- Daksh mera ghar hai yaha
Daksh- ohh sorry
Mujhe nahi pata tha
Lekin tumne bataya nahi ki mujhse naraj kyu ho

Kiran- main to nahi hu
Niche muh karke bolti hai
Daksh- fir to acha hai
Chalo apna sehar hi dikha do fir

Kiran- mujhe ghar jana hai
Daksh- thik hai fir ghar dikha do
Vahi khana bhi kha lenge

Kiran- main khud bahar khane aae hu
Daksh- thik hai lekin mere hotel ka rent to bach jaega

Kiran- mujhe nahi dikhana tumhe apna ghar aur na hi tumhre sath kahi gumna hai
Thoda gusse me boli
Daksh- acha matlab sach me naraj ho

Kiran- main hoti kon hu tumse naraj hone wali
Daksh- ye baat bhi sahi hai

Tab tak kiran ka khana aa chuka tha aur waiter Daksh ko dekh ke
Waiter- Sir aapke liye?
Daksh- no thanks
Hum share kar lenge
Just give me an extra plate

Waiter ek extra plate deta hai aur Daksh kiran ke plate me khane lagta hai

Kiran- agar meri plate me khana tha to extra plate kyu mangvae
Daksh- aise hi
Tumhe koe problem hai?

Kiran kuch nahi bolti aur vo bhi Daksh ko dekhte hue ek plate me hi khane lagti hai

Daksh- ghur mat mujhe
Kiran- mujhe sorry sunana tha
Thoda tej awaz me lekin gussa nahi tha

Daksh- kis chhij ke liye?
Kiran- tumhe nahi pata?

Daksh- nahi
Maine pucha bhi tha lekin tumne hi to bola ki naraj nahi ho
Kiran kuch nahi boli aur chhup chhap khane lagi

Daksh bhi kuch der khaya bhi ek dam se usse gussa aagaya pata nahi kyu lekin aagya

Daksh- listen
I'm sorry
Maine jo kiya
Vo galat tha manta hu
Lekin Arjun jada important tha aur aaj bhi hai
Vohi tha jo har moment me mere sath khada tha
Mujhe usse kuch batane ke bhi jarurat nahi padti thi aur vo na kuch puchta tha bas sab samjh jata tha aur hai
Agar firse kuch issue hua to bhi main Arjun ki hi side lunga chahe vo galat hi kyu na ho
Main janta hu ki galat hai aur jo maine kiya vo bhi galat tha
Lekin jo sachae hai vo hai
Maine tumhe Dost mana tha aur aaj bhi manta hu lekin vo log mere Bhai hai
Aur tum samjh sakti ho ki kiska palda bhari hai
Tumne sorry sunana tha to ye lo
Sorry from bottom of my heart
I'm really sorry
Aur eske aage main kuch nahi bolunga

Aur Daksh apne face par hath ferta hai jaise gussa ya frustrating chhupane ki kosis kar raha ho

Kuch der tak vaha khamosi rahi aur fir vapas Daksh khane laga

Kiran- ye baat aaram se bhi bol sakte the
Gussa dikhane ki kya jarurat thi
Daksh- tumhe sayad aaram se samjh nahi aata

Kiran- abhi shant ho jao please
Mere upar gussa karne walo ki kami nahi hai jo tum bhi karne lag gaye
Ye baat Kiran ke sidhe dil se nikali thi jo sayad Daksh ke dil par ja lagi aur vo Kiran ke face ko dekhne laga

Fir uske hatho par hath rakh ke
I'm sorry
I'm just dealing with few things
I'm really sorry
Main tumhe hurt nahi pahuchana chahata tha
Bahut dheere aur pyaar se bola
Kiran bhi Utne hi pyaar se it's okay bolti hai

Kuch der baad
Kiran- acha tumhe gumna tha na
Chalo main guma deti hu
Daksh- na mujhe ahsaan nahi chahiye
Tumne ek baar na karke mera dil tod diya hai

Kiran- jada baatein na banao
Aur chalo
Daksh- bina bill diye bhagne ka irada hai kya

Kiran smile karte hue bill pay karti hai aur fir Daksh ke sath bahar aajati hai

Daksh- Cab book kar leta hu
Kaha bus me gumenge
Kiran- main car lae hu

Daksh- waw Bahut paise wali ho tum
Aur jab Daksh car dekhta hai to
Daksh- holly fuck
Kon ho tum?

Kiran- rich kid smile ke sath bolti hai
Aur Daksh ko leke car me bath jati hai
Daksh- Arjun ko bula leta hu

Kiran- Arjun yaha rahte hai?
Daksh- badi respect show ho rahi hai Arjun ke liye
Aur ha uska bhi ghar yahi hai

Kiran- thik hai bula lo
Daksh Arjun ko phone milata hai

Arjun- hello
Daksh- kaha hai?

Arjun- hospital
Daksh- aids ho gaye kya bc

Arjun- tu raat ko kaha ruk raha hai?
Uski baat katate hue
Daksh- decide nahi kiya hai

Arjun- thik hai fir main raat ko tujhe pick kar lunga
Mere farm house par chalenge
Daksh- abhi kisko kya hua?

Arjun- raat ko batata hu
Daksh- chal thik hai
Mara gand

Kiran- kya hua?
Daksh- usko aids ho gaya
Esliye nahi aa sakta

Kiran- koe baat nahi
Aaj mere sath gum lo
Kal hum sath me gum lenge
Daksh- chalo fir dikhao apna sehar

Kiran car start karti hai aur dodda deti hai sadak par

Vo log gumte gumte baatein karne lage
Daksh- tumhra ghar yaha hai to tum hotel me kyu khana khane aae
Kiran- mere mom dad aur Bhai out of city hai
To ghar me koe hai hi nahi

Daksh- car BMW hai aur ghar me Cook bhi nahi hai kya
Kiran- nahi
Mom ko pasand nahi khana kisi aur se banvana

Daksh- kya karte hai tumhre mom dad?
Kiran- tumhe kya?

Daksh- rista bejhna tha Arjun ka
Kiran- shut up
He is my friend only

Daksh- Sach batana
Agar humare group me agar tumhe kisi ek ko date karna ho to vo kon hoga
Kiran- tough question
Tumhe main sirf Dost samjhti hu aur I will never think anything more than that with you
Hritik ki already girlfriend hai
Karan sirf ek hi chhij se sochta hai
Pawan nashe me rahta hai
Bacha Arjun

Daksh- Matlab Arjun na
Maine to pehle hi kaha tha kuch chal raha hai tumhre bech
Kiran- puri baat sunlo
Pata nahi kyu lekin mujhe lagta hai ki har kisi ki bhasad me Arjun bina matlab fas jata hai aur badnaam hota hai vo alag
Thoda different hai
Immature hone ki acting karta hai ya Sach me hai mujhe nahi pata
Lekin dil ka kuch jada hi saaf lagta hai

Daksh- aa rahi hai point pe
Aa rahi hai
Kiran- Maine finish nahi kiya
Bich Bich me rokna band karo
Daksh- ohh sorry
Mujhe koe boyfriend nahi chahiye Daksh
Mujhe sirf dosti chahiye tum sabki jaisi tum logo ki aaps me hai
Agar mere sath bhi vaisi hi hogae to mujhe aur kuch nahi chahiye
Behad hi pyaar se bolti hai

Daksh- emotional kyu ho rahi hai
Arjun acha ladka hai
Main likh ke deta hu
Kiran- tumse koe serious baat karna hi bekar hai
At least vo tumhri tarah fake to nahi hai

Daksh- main fake hu?
Kiran- ha
Vo jo hai sabke samne hai
Aur tum jo ho uske bare me kisi ko nahi pata
Ek mask laga ke gumte ho humesha

Daksh- sahi hai
Banda mila to Dost bhul gaye
Kiran- ha bhul gae
Ab batao Chai peeoge mere hatho ki

Daksh- gusse me jehar mat peela dena
Kiran- vo fir kabhi
Vaise bhi aaj raat hone wali hai
Baki kal teeno gumenge

Daksh- yaha road par chai banaoge?
Kiran- Mera Ghar pass hi hai

Daksh- tumhre ghar koe nahi hai
Acha nahi lagta aise me vaha jana
Kiran- common kisi ko koe fark nahi padta
Aur main mom dad ko bol dungi okay?

Daksh- hmm
Fir Kiran apne ghar ki taraf car mod deti hai aur kuch der baad ek aalisaan banglow ke gate ke samne car rukti hai
Jisse dekh ek Daksh ke chehre ke haav bhav hi badal jate hai

Daksh- ye kiska ghar hai
Kiran- mera hai

Daksh- stop the car
Kiran- kya hua?

Daksh- car roko
Kiran car side me laga deti hai

Kiran- Ab bologe kya hua?
Daksh- tumhre dad ka kya naam hai

Kiran- tum pehle bologe hua kya
Daksh- tum aaditya Roy ki beti ho?

Kiran- ha lekin tum kaise jante ho dad ko
Daksh- are bc meri kismat

Kiran- Daksh hua kya
Thodi tension me
Daksh- kuch nahi
Chalo

Kiran car to gate ke ander le jati hai lekin uske chehre par ek chinta aajati hai

Kiran car park karti hai aur fir dono ander ki taraf chalne lagte hai

Kiran- tum mere dad ko kaise jante ho?
Daksh- apne dad se hi puch lena

Kiran- vo to nahi jante tumhe
Daksh- puch ke to dekhna unse ki Daksh Chaudhary kon hai

Kiran- vo mere Dost nahi hai
Tum ho
Daksh- bahut bolti ho tum
Chai pilane wali thi
Hall me pahuch ke Daksh ne bola

Kiran- main lati hu
Lekin sach jane bina to aaj nahi jane dungi tumhe
Aur Kiran kitchen ki taraf chali jati hai aur Daksh diwar par lagi photos dekhne lagta hai

Thodi der baad
Kiran- kya kha jaoge en photos ko
Daksh- bas ye dekh raha tha ki ameer log photo me kaise dikhte hai aur Kiran ke hatho se chai leke peene lagta hai.....
 
Top