• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance LOVE WITH FIXERR (WITH SOME NEW FLAVOR) (Completed)

Ap ko story kesi lagi

  • Good

    Votes: 17 89.5%
  • Fine

    Votes: 1 5.3%
  • Bad

    Votes: 1 5.3%

  • Total voters
    19

Damha

𝓚𝓷𝓾𝓬𝓴𝓵𝓮𝓱𝓮𝓪𝓭 𝓝𝓲𝓷𝓳𝓪
Staff member
Sectional Moderator
18,928
21,943
229
Bhai abi meiny read nahi ya wali story jahan py update bd huwy thy waha tha parhi ha lakin ab dubara sy sari parhni pary gi.
Lakin ap plzzz LOVE AJ KAL bh likhyn lakin mujy to ap ki story jis ka naam Setaan (Evil) us ka intzar ha k wo kb start hoti ha. Ab wapas aa gy ho to plzz wo bh jaldi sy start kr do.
Shetaan ke liye ek satisfying end socha hai jis me bhi Musafir Bhai help karne wale hai Waisa to nahi ho ga jaisa sab ne socha tha lekin us ko complete karne ke liye ek acha end zaroor de gye us ko Ap iss ko read ker ke apne review Dena Koshis rahe gi Ramzan ke baad shetaan ko complete karne ki
 
  • Like
Reactions: Sexy launda

ZeeHh

Member
289
451
79
Shetaan ke liye ek satisfying end socha hai jis me bhi Musafir Bhai help karne wale hai Waisa to nahi ho ga jaisa sab ne socha tha lekin us ko complete karne ke liye ek acha end zaroor de gye us ko Ap iss ko read ker ke apne review Dena Koshis rahe gi Ramzan ke baad shetaan ko complete karne ki
Thank you
 

Sexy launda

Active Member
683
1,162
138
Bhai soniya ko saza milni chahiye thi,
Ending achha nHi lga hme
Ek to usne khudgarzi dikhayi aryan ke sath ,
Use to sabkuch hasil ho gya tha,
Pr aaryan ko usne dhokha diya
 

Mbindas

Active Member
1,957
4,153
158
Lajawab story hai ye bhai. Thode action aur thode romance ke sath bohot sahi tarah se likhi hai.
 

Musafir

There is Always A Way
395
377
63
Bhai soniya ko saza milni chahiye thi,
Ending achha nHi lga hme
Ek to usne khudgarzi dikhayi aryan ke sath ,
Use to sabkuch hasil ho gya tha,
Pr aaryan ko usne dhokha diya
Bhai iss scene ko likhne se pehle bohat socha gaya tha pehle mujhe bhi lagtavtha saza milni chahiye lekin jab kahani ko samjha to meri soch change ho gayi kiu ke soniya ne Aryan ko dhoka nahi dia us ke saath khud dhoka huwa use lagta tha ke wo Aryan ki biwi hai lekin wo nahi thi iss ka use khud nahi pata tha ulta wi Aryan ki care karti thi jis ke liye us ne apni beti Aryan ke paas rehne di aur ye he us ki saza bhi thi Bache apni maa ke jigar ke tukre hote hai jin ko wo apne se juda nahi ker sakti lekin us ne Aryan ke liye ye kia jis se us ki Aryan ke liye fikar ka pata chalta hai yahan galti thi to sirf khuram ki us ke liye writer matlab Damha ne kuch sicha tha jo ek alag storie me use hone tha lekin wo plan unho ne cancel ker dia iss liye ye kami reh gayi storie me
 
  • Like
Reactions: sorbobhuk

Musafir

There is Always A Way
395
377
63
Lajawab story hai ye bhai. Thode action aur thode romance ke sath bohot sahi tarah se likhi hai.
Thank you soo kuch bhai acha laga ye jaan ker ke ap ko kahani achi lagi ❣
 

sorbobhuk

Well-Known Member
2,267
5,584
158
LOVE WITH FIXERR
UPDATE-32
(Last Update)

Aryan neeche gira huwa tha kadmo ki awaz kareeb ati ja rahi thi lekin Ruhi ghutno per baithi Aryan ki taraf daikh rahi thi


kuch he der me wo kadmo ki Awaze paas aa gayi Ruhi ke kandhe per ek haath aya jab Ruhi ne sar utha ker daikha to wo Afzal tha Afzal ko daikh Ruhi seedhe Afzal se lipat gayi



“Papa please Aryan ko bacha lo wo ankhe nahi khol raha” Ruhi ne rote huwe Afzal se kaha jis ko sun ker Afzal ne Aryan ki taraf daikha jis ko daikh ker ek pal ke liye Afzal bhi dhachka kha gaya


Lekin Afzal ne khud per kaboo kia aur apne saath aye logo ko Aryan ko Hospital le jane ko keh dia jis ko sun ker un logo ne Aryan ko uthaya aur wahan se le jane lage


“Beta tum ghar jao yahan main sab sambhal lu ga” Afzal ne Ruhi ko relax karte huwe kaha “Nahi Papa main Aryan ko chor ker nahi jane wali” Ruhi ne jane se mana karte huwe


Afzal ne Ruhi ko manane ki koshis ki lekin wo sunne ko tayar he nahi jis wajha se Afzal ne Ruhi ko Aryan ke saath jane dia Afzal ki Permission milte he Ruhi bhaag ker Aryan ke paas chali gayi


Wo log Aryan ko road per khari ek Ambulance me le gye Ruhi bhi apni car se apna saman le ker un ke saath baith gayi aur us ne Aryan ka haath pakar lia pure raaste Ruhi bus Aryan ke bachne ki dua karte ja rahi thi


Kuch he der me wo log Hospital pohanch gye jahan Aryan ko seedha emergency ward me le gye Ruhi bahir rakhe bench per baith gayi





Kuch waqt baad ek Nurse Ward se bahir ayi aur ek list Ruhi ko de di aur samaan lane ko keh dia jis ko le ker Ruhi med me chali gayi aur wo sab cheeze le li jab Ruhi ne paise dene ke liye apne purse ko khola to us ke haath me kangan aa gye


Ruhi ne paise diye aur ja ker saman unhe de dia aur wapis bench per baith gayi aur un kangno ko daikhne lagi Afzal bhi hospital me aa gaya Doctor se baat ker ke wo Ruhi ke paas aa ker baith gaya


“Ye kangan kis ke hai Ruhi?” Ruhi ko kangnoo me khoye daikh ker Afzal ne Ruhi se pucha “Aryan ki Maa ke” Ruhi ne kangnoo ko daikhte huwe kaha


“Tumhare paas kia ker rahe hai ye?” Afzal ne Ruhi se pucha “Esha Di ne diye the keh rahi thi Aryan ki Maa ne un ko zimedari di hai iss ko iss haqdar tak pohnachane ki iss liye unho ne apni zimedari puri ker di” Ruhi ne puri baat batate huwe kaha


Kia tum khud ko haqdar samajhti ho?” Afzal ne sawalia nazro se Ruhi ko daikhte huwe pucha jis per Ruhi kuch der sochti rahi phir ek muskan ke saath us ne wo kangan pehan liye jis se Afzal ko jawab mil gaya


Afzal ne aage barh ker Ruhi ko gale laga lia Afzal ko Ruhi ka ye faisla sach me pasand aya tha


“Beta main ne Hassan ke waqt tumhe roka tha kiu ke mujhe pata tha wo tumhare liye sahi nahi hai lekin aj mujhe pata hai ke tum ne sahi Insaan ko chuna hai” Ye keh ker Afzal ne Ruhi ka matha choom lia tabhi Doctor ward se bahir aa gaya jis ko daikh ker Ruhi jaldi se un ke paas chali gayi


“Doctor Aryan kaisa hai?” Ruhi ne Doctor se pucha Ruhi ka dil bohat ghabra raha tha saanse dheeme hoti ja rahi thi “Fikar ki koi baat nahi hai he is out of danger now” Doctor ki baat sun ker Ruhi ki saans me saans ayi us ki ankho se phir ansoo behne lage Afzal ne aage barh ker Ruhi ko gale laga lia



“Aye pagal larki khusi me bhi roti hai gham me bhi roti hai kia kahe ga Aryan kaisi rondu larki mili hai use” Afzal ki baat sun ker Ruhi ko hansi aa gayi kuch he der me Aryan ko ward se room me shift ker dia gya


Kuch der baad he Ruhi Aryan ke paas chali gayi saamne he Aryan ankhe band kiye leta huwa tha Ruhi us ke paas chali gayi aur us ke chehre ko pyaar se daikhne lagi


Dheeme se apna haath le ja ker Aryan ke chehre ko chune lagi Ruhi kisi ke saparsh ke Ehsaas hote he Aryan ne apni ankhe khol li Apne saamne Ruhi ko daikh ker us ke chehre per muskan aa gayi


Aryan ne Ruhi ka haath thaam lia tabhi us ki nazar Kangan per gayi jis ko daikh ker Aryan herani se Ruhi ko daikhne laga jis per Ruhi ne muskura ker haan me sar hila dia




After 6 Months



“Noor aa bhi jao cake kaatna hai” Soniya ne Noor ko awaz dete huwe kaha jis ko sun ker Noor bhaagte huwe wahan aa gayi “Kia Maa thora to wait kar lia karo”



Noor ke ate he Khuram aur Soniya ne Ek cake table per rakh dia jis per “Happy Birthday Pari” Likha huwa tha


“Kia Maa aik saal me 2 birthday cake katwate ho” Noor ne shikayat karte huwe kaha jis per Soniya ka chehra utar gaya “Kia karo beta jis ki Birthday hai us ke saath to celebrate ker nahi sakti iss liye ye cake bhi tujh se he katwa leti hu” Soniya ki ankho me ansoo aa gye the jis ko us ne poch liye


“Kia Maa ap bhi har baat per emotional ho jati ho” Noor ne Soniya ko gale lagate huwe kaha tabhi door bell baj gayi “itni subha subha kon aa gaya” Soniya ne ghari ki taraf daikhte huwe kaha


“Tum log candle lagao main tab tak daikh ker ati hu” ye keh ker Soniya Darwaza kholne chali gayi Darwaza khol ker jab Soniya ne saamne daikh to us ke paon wanhi tham gye aur wo ghutno per gir gayi


Ek saath ansoo ke qatre us ki ankho se behne lage us ko apni ankho per yaqeen nahi ho raha tha ke iss waqt us ki ankho ke saamne Pari khari hai


Soniya seedhe Pari se lipat gayi aur us ka chehra choomne lagi jaise use dar ho ke ye koi khawab hai aur us ki ankh kisi pal bhi khul sakti hai lekin ye haqeeqat thi Pari bhi itne waqt baad apni Maa ka saparsh pa ker us se lipat gayi


Kafi der se Soniya ko wapis na ata daikh Khuram aur Noor bhi bahir aa gye jaise he Khuram ki nazar Pari per gayi wo bhi chaunk gaya aur khud ko girne se rok na paya


Pari Soniya se alag huwi aur aage barh ker us ne khuram ko uthne me madad karne lagi itne saalo baad Pari ko apne paas daikh ker Khuram phoot phoot ker rone laga jis ke Ansoo Pari ne apne nanhe haatho se ponch diye


“Kitne waqt se iss lamhe ka intezar kia aj roo lene de bohat waqt se roka hai in Ansoo ko” ye keh ker Khuram bhi Pari se lipat gaya Noor ne kabhi Pari ko daikha to nahi tha lekin mahool daikh ker wo use pehchaan gayi thi aur khusi se muskuraye ja rahi thi


“Papa itne saalo baad hamari princess ayi hai gate per he le ker baithe raho gye” ye kehte huwe Noor Pari ke paas neeche baith gayi “thak gayi hu tumhari jagha cake kaat kaat ker ab apni zimedari sambhalo” ye kehte huwe Noor ne plastic knife Pari ko de di


Jis ko le ker Pari Noor aur Khuram andar chale gye Soniya ne bahir chaaro taraf daikha lekin use wahan koi aur nahi dikha tabhi us ke phone per call ayi unknown number se jis ko Soniya Attend ker lia


“Kaisa laga surprise” Dusri taraf se Aryan ki awaz ayi jis per Soniya ki ankho se dobara ansoo nikal aye “Mujhe pata hai tum bohat chaunki ho gi aise Achanak ye sab daikh ker tumhe lag raha ho ga ye koi khawab hai but believe me its true”


“Per kaise” Soniya ke muh se bus itna he nikla us se kuch bola he nahi ja raha tha


“Kaise?” Aryan ne Soniya ka lafz dobara bola “Tumhari jagha main hota to main bhi ye he puchta ke ye kaise huwa sach me main bhi itne saalo se ye he soch raha tha ye kaise ho ga kiu ke main ek darpok insaan tha duniya ke liye to main fixerr tha lekin apni life ko he main kabhi fix nahi ker saka ulta uljhata raha lekin ye nahi samajh saka Fixerr can not fix his own life us ke liye mujhe apni life ka fixerr chahiye tha jis ko dhoondne me waqt to laga lekin mujhe wo mil gaya jis ne mujhe bataya ke na tumhari galti itni bari thi jis ko maaf na kia ja sake aur na meri galti aisi thi jise sudhara na ja sake


Aryan ki baat sun ker Soniya je chehre per khusi ki muskan aa gayi


“To bus main ne us ki baat maan li aur tumhari galti maaf ker ke apni galti sudharne ki koshis karne laga Lekin” Aryan ne rukte huwe kaha “Lekin ye baat kabhi nahi badle gi ke Pari meri beti thi aur rahe gi bus ye us ka Birthday gift hai aj se us ko 2 Maa ka air 2 Baap ka pyaar mile ga” Aryan ki baat sun ker Soniya ki khusi ka koi hisaab nahi tha


“Tum yahan kiu nahi ho” Soniya ne gehri saans lete huwe pucha


“Mujhe waqt lage ga wo sab Bhoolane me lekin main aoo ga zaroor aur yaad rakhna Pari ka jab dil chahe ga wo tum logo ke paas jaye gi jan dil chahe ga hamare paas aye gi koi rok nahi ho honi chahiye use” Aryan ne muskurate huwe kaha “Ab jao apni beti ke saath ke lamho ko khul ke geo”


“Thank you” Soniya ne Aryan se kaha aur phone band ker ke apni beti ke paas chali gayi wanhi Aryan ne call cut hote he phone jeb me dal lia aur saamne daikhte huwe bola


“Han ji Mrs Aryan agar gol gape kha liye ho to chale” Aryan ki baat sun ker Ruhi jo golgapa muh me daalne he wali thi us ne jaldi se golgape khaye aur muskura ker Aryan ke saath us ki bike ke paas aa gayi


“Tum ne kiu nahi khaye” Ruhi ne Aryan se pucha jis per Aryan bike ke saath tik ke khara ho gya aur musmura ker Ruhi ko daikhne laga “Mere khane ka style thora alag hai”


Ye keh ker Aryan ne Ruhi ki kamar me haath daala aur apna chehra us ke kareeb le jane laga Ruhi ne bhi ankhe band ker li dono kareeb ate gye tabhi wahan se ek truck guzra jis ne tez horn dia jis se Ruhi dar ker peeche ho gayi


“Ek to ye kameene truck wale ko bhi galat waqt per ana hota hai” Aryan ne gusse me tilmilate huwe kaha jis per Ruhi ki hansi choot gayi “Hans kia rahi ho ek to pareshan ho gya hu jab lagta hai hone he wali hai tab he koi siyapa per jata hai”


Aryan gusse me tilmilate huwe Bike per baith gaya aur kick maar ker bike start ker lo aur Ruhi ko baithne ka keh dia Ruhi chalte huwe Aryan ke paas ayi aur us ne Aryan ka haath handle se hata diye aur bike ke fuel tank per Aryan ki taraf chehra ker ke baith gayi


Ab jo bhi ho jaye rukna mat” ye keh ker aone hont Aryan ke honto per rakh diye Aryan ne tez race de ker bike aage barha di jis per Ruhi thori hil gayi lekin phir muskura dobara apne hont Aryan ke honto se mila diye



Iss tarha Akhir hosh ne in ka pehla kiss ho he gaya aur in ki zindgi ki nayi shurwat ho gayi



~THE END~
Ending achhi hui......thanks to mushafir bhai
 

Aakash.

ᴇᴍʙʀᴀᴄᴇ ᴛʜᴇ ꜰᴇᴀʀ
Staff member
Moderator
33,338
150,089
304
Hello everyone.

We are Happy to present to you The annual story contest of XForum


"The Ultimate Story Contest" (USC).

Jaisa ki aap sabko maloom hai abhi pichhle hafte hi humne USC ki announcement ki hai or abhi kuch time pehle Rules and Queries thread bhi open kiya hai or Chit Chat thread toh pehle se hi Hind section mein khula hai.

Well iske baare mein thoda aapko bata dun ye ek short story contest hai jisme aap kisi bhi prefix ki short story post kar sakte ho, jo minimum 700 words and maximum 7000 words (Story ke words count karne ke liye is tool ka use kare — Characters Tool) . Isliye main aapko invitation deta hun ki aap is contest mein apne khayaalon ko shabdon kaa roop dekar isme apni stories daalein jisko poora XForum dekhega, Ye ek bahot accha kadam hoga aapke or aapki stories ke liye kyunki USC ki stories ko poore XForum ke readers read karte hain.. Aap XForum ke sarvashreshth lekhakon mein se ek hain. aur aapki kahani bhi bahut acchi chal rahi hai. Isliye hum aapse USC ke liye ek chhoti kahani likhne ka anurodh karte hain. hum jaante hain ki aapke paas samay ki kami hai lekin iske bawajood hum ye bhi jaante hain ki aapke liye kuch bhi asambhav nahi hai.

Aur jo readers likhna nahi chahte woh bhi is contest mein participate kar sakte hain "Best Readers Award" ke liye. Aapko bas karna ye hoga ki contest mein posted stories ko read karke unke upar apne views dene honge.

Winning Writer's ko well deserved Awards milenge, uske alawa aapko apna thread apne section mein sticky karne ka mouka bhi milega taaki aapka thread top par rahe uss dauraan. Isliye aapsab ke liye ye ek behtareen mouka hai XForum ke sabhi readers ke upar apni chhaap chhodne ka or apni reach badhaane kaa.. Ye aap sabhi ke liye ek bahut hi sunehra avsar hai apni kalpanao ko shabdon ka raasta dikha ke yahan pesh karne ka. Isliye aage badhe aur apni kalpanao ko shabdon mein likhkar duniya ko dikha de.

Entry thread 7th February ko open hoga matlab aap 7 February se story daalna shuru kar sakte hain or woh thread 25th February tak open rahega is dauraan aap apni story post kar sakte hain. Isliye aap abhi se apni Kahaani likhna shuru kardein toh aapke liye better rahega.

Aur haan! Kahani ko sirf ek hi post mein post kiya jaana chahiye. Kyunki ye ek short story contest hai jiska matlab hai ki hum kewal chhoti kahaniyon ki ummeed kar rahe hain. Isliye apni kahani ko kayi post / bhaagon mein post karne ki anumati nahi hai. Agar koi bhi issue ho toh aap kisi bhi staff member ko Message kar sakte hain.



Story se related koi doubt hai to iske liye is thread ka use kare — Chit Chat Thread

Kisi bhi story par apna review post karne ke liye is thread ka use kare — Review Thread

Rules check karne ke liye is thread ko dekho — Rules & Queries Thread

Apni story post karne ke liye is thread ka use kare — Entry Thread

Prizes
Position Benifits
Winner 1500 Rupees + Award + 30 days sticky Thread (Stories)
1st Runner-Up 500 Rupees + Award + 2500 Likes + 15 day Sticky thread (Stories)
2nd Runner-UP 5000 Likes + 7 Days Sticky Thread (Stories) + 2 Months Prime Membership
Best Supporting Reader Award + 1000 Likes+ 2 Months Prime Membership
Members reporting CnP Stories with Valid Proof 200 Likes for each report



Regards :- XForum Staff
 
Top