Musafir
There is Always A Way
- 395
- 377
- 63
LOVE WITH FIXERR
UPDATE-31 (PART-1)
Soniya ki ankhe ansoo se bhari huwi thi Ruhi apni jagha se uthi aur Soniya ke paas ja ker baith gayi aur us ke kandhe per haath rakh dia jis ke radeamal Soniya Ruhi ke gale lag gayiUPDATE-31 (PART-1)
“Main ne kabhi kisi ka bura nahi chaha meri to bus kismat kharab thi mera gunah sirf ye tha ke main ne pyaar kia” Soniya rote huwe boli “Pata hai us waqt jab Aryan ko sachai pata chali to us ki ankho me ek alag he dard tha jis ko daikh ker main andar tak kaamp gayi mujh se wahan khare nahi huwa ja raha tha”
Ruhi ne Soniya ke peet thapthapani shuru ker di
“Pata hai kitna dil dukha tha jab apni beti ko hamesha ke liye chor ker main aur khuram wahan se gye the bina ye jane ke kabhi hum us se dobara mil paye gye ya nahi lekin wo zaroori tha agar Pari bhi Aryan se dur ho jati to wo andar se toot jata aur shayad jur nahi sakta tha” Soniya Ruhi se alag huwi aur us ka haath apne haath me thaam lia “Ruhi tum mere jaisi galtiya mat karna Aryan toota huwa insaan hai wo aur tootna bardasht nahi ker paye ga please kabhi us ka dil mat dukhana main ne daikha hai us ke liye tumhari ankho me pyaar please use samet lo please”
Soniya ne haath jorte huwe kaha jis per Ruhi us ke haath pakar liye aur haan me sar hila dia jaise keh rahi ho “Main samet lu gi”
Bohat der kamre me khamoosi rahi kuch der baad Soniya ke mobile per ring huwi jis ko daikh ker Soniya khari ho gayi
“30 minute me meri filght hai Khuram bahir mera wait ker raha hai” Soniya ki baat sun ker Ruhi us se gale mili “Apna aur Aryan ka khayal rakhna aur meri little princess ka bhi”
Ye keh ker Soniya wahan se nikal gayi Ruhi ne apna mobile nikala aur Dolly ko call ker di
<○><○><○><○><○><○><○><○>
“Papa Chocolate wali aunty se kab mile gye hum” Aryan Pari ko us ke dost ki nirthday party me chorne ja raha tha us ke saath kaam karne wala robert bhi saath tha “Batao na papa”
“Mile gye beta wo abhi apne kaam me busy hai jaise he free ho gi wo khud mil le gi” Aryan ne pari ko samjhate huwe kaha lekin use bhi aisa lag raha tha jaise Ruhi use bhool gayi hai
Kuch he der me wo teeno Pari ke dost ke ghar aa gye Aryan Pari ko le ker andar chala gaya Pari apne dosto ke saath ja ker baith gayi tabhi Aryan ke phone per call aa gayi
“Hello” Aryan ne call attend ker ke kaha “Hello sir main Ahsaan” Dusri taraf se Ahsaan ki awaz ayi jo kafi ghabrai huwi thi
“Ahsaan is everything okay” Aryan ne Ahsaan ki awaz sun ker pucha “Sir yahan sab theek hai lekin wahan kuch bhi theek nahi hone wala” Ahsaan ki baat sun ker Aryan ke bhi kaan khare ho gye
“Sir Hassan wahan pohanch gaya hai badla lene ke liye us ka baap hamari hirasat me hai hum ne us se sach ugalwaya hai to pata chala hai Hassan ne wahan kuch logo ko paise diye hai ap ko aur Ruhi ko khatam karne ke liye”
Ahsaan ne abhi itna he kaha tha ke achanak se Robert ne apne haath aage barhaye pehle to Aryan kuch samajh nahi saka lekin jab Robert ne Aryan ke peeche se kisi ko pakara to Aryan ne ghoom ker daikha saamne ek admi chaku liye khara huwa tha
Rober ne us ka muh pakar lia aur side me.le ja ker use behosh ker dia tabhi ek aur Admi ek taraf se nikla hamla karne jis ka sar oakar ker Aryan ne diwar per de mara wo to acha huwa ke music bohat loud tha iss liye kisi ko kuch suna nahi aur ye sab side per ho raha tha Aryan ne us dusre Admi ko gardan se pakar lia
“How many more here” Aryan ne us ki gardan ko dabate huwe kaha jis per use ne apna muh khol dia “only two”
Us ke jawab dete he Aryan use Robert ke hawale ker ke baki 2 ko dhoondne laga Achanak se kisi ne Aryan ko peeche se pakra aur ek taraf le gaya us ke saath he ek aur Admi chaku le ker wahan aa gaya
Wo Admi chaku maarne he wala tha ke Aryan ne Achanak palti maar di jis se wo chaku us ke lag gaya jis ne Aryan ko pamra huwa tha
Chaku lagte he us ke haatho se Aryan nikal gaya iss pal ka faida utha ker apne saamne khare admi ke seedhe gardan per war ker dia Aryan ne jis se wo bhi wanhi dher ho gya Robert aur Aryan ne mil ker un chaaro ko ek kamre me band ker dia
“Sir ap ko miss Ruhi ke paas jana chahiye Pari ke paas main rukta hu” Robert ki baat Aryan ko bhi sahi lagi “Khayal Rakhna Pari ka” ye keh ker Aryan bahir nikal gaya aur Ruhi ko call karne ki koshis karne laga lekin Ruhi call receive he nahi ker rahi thi
Aryan ne Afzal ko call ker ke sab kuch bata dia lekin use bhi kuch nahi pata tha ke Ruhi kahan hai jis per Aryan ko qur chinta hone lagi
Tabhi Aryan ke phone per kisi ki call ayi
<○><○><○><○><○><○><○><○>
“Ruhi kia kare gi Aryan se mil ker” Dolly ne Call per Ruhi se pucha “Pata nahi mainitne dino se khud ko rok ker rakhe huwi thi lekin ab bardasht nahi hota mujhe Aryan se milna ho ga”
“Ruhi kanhi tu Aryan se” Dolly ne adhoori baat karte huwe kaha “Pata nahi Dolly main khud confuse hu ke ye kia ho raha hai mere saath”
Abhi Ruhi ne itni baat he kahi thi ke achanak se us ke saamne 2 car aa ker ruk gayi Ruhi ne jab dhayan se daikha to saamne he Hassan tha jis ko daikh ker Ruhi ne ghabra ker Car jangal ki taraf ghooma di thori aage jaane ke baad he car ek pathar se ja takrayi
“Ruhi kia ho raha hai ye Awaz kis cheez ki aa rahi hai” Dolly phone per bolti rahi lekin Ruhi kuch kehti us se pehle us ko car se nikal ker bhaagna para
<○><○><○><○><○><○><○><○>
“Hello kia ap Aryan ho” Aryan ne call attend ki to auri taraf se kisi larki ki ghabrayi huwi awaz ayi “Ji ap kon”
“Aryan main Ruhi ki friens hu dolly Aryan Ruhi kisi khatre ne hai” Dolly ki baat sunte he Aryan bhi ghabra gaya “Tumhe pata hai ke Ruhi kahan hai”
“Wo office se tumhare ghar ja rahi thi mujhe sirf itna pata hai achanak wahan bohat awaze ane lagi aur Ruhi ki cheekh” Dolly itna keh ker chup ho gayi “Okay main kuch karta hu”
Aryan ne call cut ker ke Afzal ko inform ker dia aur khud us taraf jane ke liye jaise he apni car ke paas gaya to daikha us ki car ke tyre phate huwe hai
Aryan lift ke liye cars rokne laga lekin koi bhi car nahi ruk rahi thi tabhi Aryan ki nazar paas rakhi cycle per gayi
<To bas dosto ye he tha aj ka update umeed karta hu ap ko acha laga ho ga Agar Update accha laga ho to like zarur karna or Comment kar ke apna view mere saath zaroor Share karna Agla Update jald hi ayega till then Stay Tuned And Keep Smiling>