• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Lucifer- The fallen angel(completed)

Lone survivor

Well-Known Member
8,687
28,986
219
WRITER’s NOTE

School times se likhne ka bahut shauk tha mujhe mostly poems hi likhta tha. School me hi ek ladki mili bahut pyaari thi. College ke 3rd year tak relationship chala fir vo chali gaye door. Uske baad kabhi socha nahi tha dobara kuch likunga. Bilkul man hi nahi karta tha. Nashe to jaise jindagi ban gaye the. Pehle bhi nashe karta tha lekin uske baad jada ho gaye. Akela rahna acha lagne lagega aur dheere dheere sab door hote chale gaye. Main akela hi bacha tha. Tab kahi se xf ka pata chala aur pata nahi kyu aise hi ek raat pehli story ka first update post kar diya. Ek medium mil gaya tha mujhe kuch share karne ka aur acha bhi lagne laga tha. Dheere dheere vapas likhna start kiya aur es baar stories. Xf par kuch stories likhi fir vo band hua to yaha aa gaya. Aur vohi silsila yaha bhi kamyaab raha. Aap sabko sayad idea nahi hoga ki jo thoda bahut interact hota hai humara yaha vo kitna important ho sakta hai kisi ki life me. Es waqt mere pass almost sab kuch hai lekin agar kisi ko kuch share karna chahu to aisa person nahi hai esliye beech beech me kuch updates me apni situation likh deta hu to acha lagta hai. I hope ki humara sath aise hi aage bana rahe.

Ek mew story ka dimag me kuch idea hai lekin kab start hogi eske liye abhi sure nahi hu

May be main kuch dino ke liye rehab chala jau ya fir kuch aur mil jaye sath chalne ke. Lets see

In the end i want to thank each and everyone of you guys who has supported me and gave me so much love. Means a lot

Thank you so much guys. Jaldi hi milte hai ek new story ke sath tab tak ke liye 👋
 

Lone survivor

Well-Known Member
8,687
28,986
219
Nice update bhai waiting for next update
Thank you bhai
 

Lone survivor

Well-Known Member
8,687
28,986
219
Ashmita ki manodasha samjhi jaa sakti hai... Uski zindagi mein khushiyan shayad kabhi thehri hi nahi hain... Pehle Inaaya, fir Arjun, aur ab Anisha.. Lucifer bhi kabhi na kabhi chala hi jaayega, is baat ko bhi Ashmita achhe se jaanti hai... Aur dekha jaaye to Lucifer ke alawa baaki sab cheezon ka zimmedar sirf aur sirf Ashmita ka apna hi baap hai, Lucifer se bhi jo itne din door rahi wo, uska kaaran bhi Raichand hi tha... Kabhi na kabhi to Ashmita ka gussa baahar aana hi tha & I think ki Anisha waali baat sach mein bohot badi thi, jise bardaasht kar paane mein Ashmita saksham nahi thi... Aur isiliye finally uska gussa foota hai Raichand par, and I think ki future mein Ashmita ko aur bhi mauke milne waale hain aisa karne ke...
Mokko ki kami nahi rahegi ashmita ke pass kabhi
Raichand ne rona dhona to kiya hai... Kahin na kahin shuruat se laga bhi hai ki aur kuchh nahi to kam se kam Ashmita aur Tara se to pyaar karta hi hai Raichand, especially Ashmita se... Is update ko bhi padhkar aisa hi laga parantu jaisa insaan Raichand hai, koyi shanka nahi is baat mein ki aage chalkar wo Ashmita ko bhi darkinar kar sakta hai, jaise baaki sabhi ko karte aaya hai... Parantu dekhna ye hai ki, kya Lucifer is baar bhi koyi saza dega Raichand ko..? Anisha kya chahti hai ye sabse important hai, Ashmita aur Tara ke saamne sab sach aan ahi Anisha ke liye kaafi hai, ya fir Raichand ki tudaayi ek baar fir honi hai..?
Yehi to sabse bada sawal hai bhai ki anisha chahti kya hai ab
Beharhal, ek aur baat saamne aa gayi ki Anisha cares for Ashmita... Dekhkar achha laga ki Ashmita ki absence mein Anisha kis tarah pareshan ho gayi... Usne Lucifer se baat ki parantu Lucifer ne use kuchh bhi nahi bataya, I think he wants Ashmita to talk with Anisha... Wo nahi chahta ki wo apni kisi bhi tarah ki input dono behno ke beech mein de, and this is the correct thing to do here...
Mujhe bhi yehi lagta hai ashmita ko khud hi baat karni chahiye anisha se aur vo bhi akele
Ashmita apne baap ko prasad dene ke baad ab Anisha se hi milegi par jaisa ki maine kaha, sabse important sawaal yahi hai ki Anisha kya chahti hai, beshak wo Ashmita ki parvah karti hai, but I'm doubtful whether she'll stay with Ashmita or not...
Me too
Idhar, Inaaya bhi pareshan hai Ashmita ke liye, waise Ashmita ne jo Lucifer ke jaane ke baare mein kaha, wo bhi jhatka raha hoga Inaaya ke liye... Uski situation bhi koyi bohot achhi nahi hai, wo achhe se jaanti hai ki kabhi bhi uski khushiyon par grahan lag sakta hai, let's see how she'll handle herself after Lucifer dies...
Baki sab bhi kaise apne apko handle karenge lucifer ke jane ke baad
Well, yahi sabse interesting question hai kahani ka, Lucifer to mukt ho jaayega mrityu paakar, par uske pichhe in sabka kya? Maadhuri aur Lucifer mein yadi kuchh hota hai, aage chalkar, to bhi shayad Maadhuri Lucifer ke jaane ke baad sambhal jaaye, kyonki uske paas ek maksad hai apne bachon ke roop mein... Lekin Ashmita, Inaaya, Anisha (she has feelings for Lucifer,no?), Payal, and possibly Annika & Tara too, a mass – suicide in the making..?
Mass suicide?
Nah I don't think so
Vo lucifer ki lover hai etni kamjor to nahi hogi sayad
Payal ne saamne se date par jaane ko kaha hai Lucifer ko, I think jaldi hi dono ke beech feelings ki baadh aane waali hai, jismein Payal ka beh jaana tay ho chuka hai... Wahin Anisha ne bhi jo dwiarthi baat kahi, wo bhi kisi aur hi taraf ishaara karti hai... Saar yahi hai in do updates ka ki do aur maasoom ladkiyan Lucifer ke moh jaal mein fanskar apni zindagi dukhon ke naam kar chuki hain...
Abhi pata nahi kitni aur fasengi
Well, waiting for Payal & Lucifer's next meeting...
That will be interesting for sure
Idhar past scenes mein pehla usi Baba ka tha jo Mitika ko Lucifer ke bhavishya ke baare mein bataya karte the... Unse milne gaya tha Lucifer, aur unki baatein shayad isi taraf ishaara kar rahi thi jo aaj present mein ho raha hai... Jaisa ki unhone kaha hi tha, bilkul waise hi Lucifer mein changes aa rahe hain... Parantu, unki doosri baat par agar dhyan diya jaaye to shayad abhi aur bhi bohot si laashein bichhani hongi Lucifer ko... Dekhte hain ye silsila kahaan jaakar rukega!
Abhi to start bhi nahi hua bhai vo silsila
Wahin doosre scene mein Shreya aur Lucifer ki nok – jhonk thi, saaf hai ki kis tarah ladayi ke bahaane hi wo Lucifer se baat karne ki koshish karti hogi...
Lag to aisa hi raha hai
Both the Updates were quite enthralling... Abhi emotional scenes ki bahaar aayi huyi hai kahani mein joki shayad kuchh aur updates tak chalne waali hai...
Hm kuch aur updates tak chalegi sayad
Btw. kahin na kahin aisa lag raha hai ki Lucifer par jald hi koyi khatra mandrane waala hai, bohot samay se koyi potent danger to nahi hi aaya hai Lucifer par, itne din tak uski life normal rahe, aakhir ye possible kaise hai..?
Facts
Outstanding Updates Bhai & Waiting For Next...
Thank you so much bhai
Keep supporting
 

Lone survivor

Well-Known Member
8,687
28,986
219
To finally Asmita ne apne baap ko uski aukaat dikha hi di hai ab dekhte hai Raichand sudharta hai ya fir se apna kameenapan dikhata hai? Bas Asmita gusse mein kuch ka na baithe?
Ashmita gusse me kuch bhi kar sakti hai
Udhar Anisha bechari ek taraf Asmita ko lekar pareshaan hai aur upper se ye Lucii ka chutiyapa band nahi hota hai magar aaj Anisha ke munh se kuch aisa lokal gaya hai jo aage jaa kar sabke rishte mein bhoochal laa sakta hai.
Bilkul aisa ho sakta hai
Bechari Payal bhi ab fansti jaa rahi hai Lucii ke jaal mein, magar kya hi kar sakte hai bhale dimaag se paidal hai aur jubaan se sirf gobar hi nikalta hai magar hai to dil ka saf aur Jin logo ko pasand karta hai Lucii unke liye kuch bhi kar sakta hai to, isiliye ye sab ladkiya uske liye Fida ho jaati hai bhale hai rishta sabka uske saath alag hai.
Charm hi aisa hai apne londe ke
Beautiful update.
Thank you bhai
 

Lone survivor

Well-Known Member
8,687
28,986
219
Gajab update bhaya :sip:
Thank you bhai
 

Lone survivor

Well-Known Member
8,687
28,986
219
Yaha par kya 2-2 stories chal Rahi hai Kya bhaya :sip:
I'm blessed to have readers like Death Kiñg
 

Lone survivor

Well-Known Member
8,687
28,986
219
UPDATE-150
Knock knock

Kisi ka door baj raha tha aur andar wala banda ya bandi abhi naha rahe thi

Bahar lagatar gate bajne ki aawaz se usne jaldi se shower band kiya aur ek loose t-shirt aur lower daal kar gate kholne chal di

Gate khula samne ashmita ko dekh kar anisha ek dam shocked ho gaye aur thodi ghabrahat bhi hone lagi usse

Anisha- ma'am? Aap yaha?
I mean good evening ma'am
Kuch kaam tha to mujhe bula leti
Anish thode darte hue boli

Ashmita- andar aajau ya bahar hi khade rakhne ka irada hai?
Anisha- ohh sorry
Please come
Aur anisha raste se hat jati hai

Ashmita- tum aise hi sabke samne gate kholne aajati ho?
Anisha- vo ma'am main naha rahi thi esliye jaldi jaldi bhi aagaye

Ashmita- meri jagah koe aur hota to?
Anisha- yaha jada log nahi aate

Ashmita- mom kaha hai tumhri?
Anisha- market gaye hai

Ashmita- coffee without sugar
Anisha- ohh sorry
Main abhi laye aur anisha bhagte hue kitchen me ghus gaye

Vahi ashmita uska ghar dekhne lagi

Ye vohi flat tha jo enhe company ki taraf se mila tha lekin bahut sundar dhang se anisha ne usse decorate kiya hua tha

Har chhij apni jagah par thi aur koe faltu ka iteam nahi tha ghar me

Ashmita kuch kuch chhijo ko bade pyaar se dekh rahi thi jaise anisha ki bachpan ki photos jisme vo aur priyanka thi aur bhi kuch pyaari pyaari chhije

Unhe feel karke ashmita ko ek sukoon sa mil raha tha
Abhi vo baki chhijo ko dekhti ki anisha coffee leke aagaye

Ek ashmita ko de kar

Anisha- ye meri mom hai
Ashmita- bahut cute thi tum bachpan me

Anisha bas muskura di

Ashmita- abhi bhi ho lekin bachpan me jada thi
Anisha- thank you ma'am

Ashmita- aur photos hai tumhre pass tumhre bachpan ki?
Anisha- jada nahi hai Ma'am
Kuch hai

Ashmita- dikhao
Anisha- jee

Aur anisha kuch photos, toys nikalne lagti hai uske bachpan ke jisse usne abhi tak sambhal kar rakha hua tha

Ashmita- ye frock tumhri hai?
Anisha- ha
Ye mujhe etni pasand thi ki abhi tak sambhal kar rakhi hai

Ashmita- esme tum barbie doll jo lagti hogi
Anisha- hehe blush blush

Ashmita- ye photo main rakh lu?
Anisha- rakh lo ma'am

Ashmita- aur kaisa chal raha hai sab?
Anisha- theek hai ma'am
Company se sari suvidhaye mil rahi hai aur salary bhi achi hai
Theek chal rahi hai life

Ashmita- khush ho?
Anisha- khushiya to pal bhar ki mahman hoti hai
Aaj hai kal nahi

Ashmita- lucifer ka asar kyu dikh raha hai mujhe tum par?
Anisha- nahi nahi aisa to kuch bhi nahi hai

Ashmita- aisi baatein to lucifer hi karta hai
Anisha- vo to ulti baat karte hai

Ashmita- fir bhi tumne uske liye job tak chhod di thi
Anisha- sorry Ma'am

Ashmita- you can call me ashu if you want
Anisha- naam se kaise bula sakti hu main aapko?

Ashmita- to didi bol liya karo
Anisha abhi tak sab samjh gaye thi ki ashmita vaha kyu aaye hai, vo aise baat kyu kar rahi hai aur esliye hi vo thodi uncomfortable bhi ho gaye thi

Ashmita- kya hua?
Anisha- kuch nahi ma'am
Vo aap meri boss ho to aapko respect dena mera farz hai

Ashmita- to jo naam se bulate hai ya fir didi bolte hai vo respect nahi karte kya?
Anisha- nahi mera matlab vo nahi tha

Ashmita- to kya matlab tha tumhra?
Anisha- aap meri class le rahi ho maam

Ashmita- main to bas puch rahi thi
Anisha- ma'am bolna mujhe jada better lagta hai
Es se pata rahta hai ki aap baat kis se kar rahe ho aur kya kar rahe ho

Ashmita- hmm
Sahi kah rahi ho
Boss hi to hu main tumhri
Anisha- boss hi to ho maam aap meri

Ashmita- bahut kuch hua hai humari life me
Pata nahi kab hum humari life normal hogi
Anisha- lagta hi nahi hai Ma'am ki humari life kabhi normal hogi

Ashmita- i think ab mujhe hi step up karna padega hum sabki life ko ek sahi track par lane ke liye
Anisha- dekhte hai maam
Kya pata kya ho

Ashmita- tumne mujhe kyu nahi bataya?
Bahut pehle aajana chahiye tha tumhe mere pass
Anisha- kaise aajati?
Main kon hu maam?

Ashmita- tumhe pata hai tum kon ho aur tumhe ye bhi pata tha main kon hu
Anisha- esliye hi to nahi aaye kyuki mujhe pata tha ki aap kon ho

Ashmita- bahut jaldi samjhdar ho gaye tum
Anisha- waqt ne kar diya ma'am

Ashmita- waqt bahut shaktishali hota hai
Hume apno se aise door kar deta hai jaise vo humare kabhi the hi nahi
Anisha- kya pata vo kabhi humare the hi nahi

Ashmita- apne to apne hote hai na
Anisha- humesha nahi hote ma'am

Ashmita- ek baat puchu?
Sach sach batana
Anisha- aapse kabhi juth na bolna pade yehi kosis rahti hai meri

Ashmita- tum kya chahti ho ab?
Anisha- pehle to bahut kuch chahti thi lekin ab kuch bhi nahi

Ashmita- kuch bhi nahi?
Anisha- ma'am main ek normal ladki hu aur main ussi tarah se apni life chahti hu
Apni puri zindagi maine badle ki chah me gujar di lekin ab jab badle ke etne kareeb hu main ki uski koe importance hi nahi dikhae pad rahi
Aisa lag raha hai jaise abhi tak jo maine kiya vo bas waqt ki barbaadi thi
Mujhe apne aap par aur apni mom par dhayan dena chahiye tha

Ashmita- kis tarah ka badla chahti thi tum?
Anisha- kya fark padta hai?
Ab jab kuch chahiye hi nahi to

Ashmita- mujhe chahiye
Anisha- kya chahiye aapko?

Ashmita- tum
Anisha- main aapki employee hu aur main vaise hi bani rahna chahti hu

Ashmita- ab jo kuch hai vo hum teeno ka hi to hai
Anisha- mera nahi hai maam
Esme aap logo ki mahnat hai main yaha kisi chhij par hak jamane nahi aae thi

Ashmita- apne hak ke liye to log lad jate hai
Anisha- jis chhij par mera koe hak hi nahi hai uske liye lad kar main kya kar lungi?
Mujhe meri pehle wali life hi chahiye bas

Ashmita- maine jo apne dam par banaya hai vo sab tumhra hi hai
Anisha- mera nahi hai aapka hai aur aapka hi rahna chahiye

Ashmita- you can't live like this anymore
You don't need to
Anisha- but i want to
Yehi meri sachae hai aur main essi me khush rahungi

Ashmita- tum nahi chahti ek family?
Anisha- hai mere pass ek family
Meri mom
Vo hai mera sab kuch

Ashmita- aur behane?
Anisha- maam main jabardasti ke rishte nahi chahti
Meri koe behane nahi thi aur yehi sachae hai

Ashmita- aisa mat karo mere sath
I know maine bahut bura kiya hai tumhre sath aur main un sab chhijo ke liye sarminda bhi hu
Anisha- aapko sarminda hone ki bilkul jarurat nahi hai
Aap ke jaisa boss milna hi mere liye bahut badi baat hai aur jitna aapne mere liye kiya vo more than enough hai ma'am

Ashmita- mujhe meri chhoti behan chahiye aur vo main leke rahungi
Anisha- uska mujhe nahi pata ma'am
Lekin meri koe badi behan nahi hai

Ashmita- bahut jiddi ho tum
Anisha- sayad khoon hi aisa hai mera

Ashmita- humara
Anisha- mera

Ashmita- anisha main tumhre sath koe jabardasti nahi kar rahi
Tum na to koe chhoti bachi ho aur na hi naadaan
Apne bhale bure ki bahut ache se samjh hai tumhe
Main bas etna bolna chahti hu ki main hu
Theek hai?
Main hu
Jindagi me jab tumhe lage ki tum akeli pad rahi ho yaad rakhna main hu tumhre pass

Anisha- thank you ma'am
Ashmita- ghar aaye guest ko tum khane ke liye bhi nahi puchti kya?
Ashmita halke muskurate hue boli

Anisha bhi muskurate hue khadi hue aur
Anisha- pasand meri hogi

Ashmita- aur banaoge bhi tum
Anisha- main hi banaungi ma'am

Ashmita- maa kitne der me aa rahi hai?
Anisha- hai?

Ashmita- mera matlab tumhri mom?
Anisha- pata nahi
Thoda late hi ho jayengi sayad

Ashmita- unke pith piche dawat kar le hum fir?
Anisha- hehe bilkul

Ashmita- chalo fir suru ho jao to
Aur ashmita aur anisha muskurate hue kitchen ki taraf badh gaye....
 
Top