UPDATE-150
Knock knock
Kisi ka door baj raha tha aur andar wala banda ya bandi abhi naha rahe thi
Bahar lagatar gate bajne ki aawaz se usne jaldi se shower band kiya aur ek loose t-shirt aur lower daal kar gate kholne chal di
Gate khula samne ashmita ko dekh kar anisha ek dam shocked ho gaye aur thodi ghabrahat bhi hone lagi usse
Anisha- ma'am? Aap yaha?
I mean good evening ma'am
Kuch kaam tha to mujhe bula leti
Anish thode darte hue boli
Ashmita- andar aajau ya bahar hi khade rakhne ka irada hai?
Anisha- ohh sorry
Please come
Aur anisha raste se hat jati hai
Ashmita- tum aise hi sabke samne gate kholne aajati ho?
Anisha- vo ma'am main naha rahi thi esliye jaldi jaldi bhi aagaye
Ashmita- meri jagah koe aur hota to?
Anisha- yaha jada log nahi aate
Ashmita- mom kaha hai tumhri?
Anisha- market gaye hai
Ashmita- coffee without sugar
Anisha- ohh sorry
Main abhi laye aur anisha bhagte hue kitchen me ghus gaye
Vahi ashmita uska ghar dekhne lagi
Ye vohi flat tha jo enhe company ki taraf se mila tha lekin bahut sundar dhang se anisha ne usse decorate kiya hua tha
Har chhij apni jagah par thi aur koe faltu ka iteam nahi tha ghar me
Ashmita kuch kuch chhijo ko bade pyaar se dekh rahi thi jaise anisha ki bachpan ki photos jisme vo aur priyanka thi aur bhi kuch pyaari pyaari chhije
Unhe feel karke ashmita ko ek sukoon sa mil raha tha
Abhi vo baki chhijo ko dekhti ki anisha coffee leke aagaye
Ek ashmita ko de kar
Anisha- ye meri mom hai
Ashmita- bahut cute thi tum bachpan me
Anisha bas muskura di
Ashmita- abhi bhi ho lekin bachpan me jada thi
Anisha- thank you ma'am
Ashmita- aur photos hai tumhre pass tumhre bachpan ki?
Anisha- jada nahi hai Ma'am
Kuch hai
Ashmita- dikhao
Anisha- jee
Aur anisha kuch photos, toys nikalne lagti hai uske bachpan ke jisse usne abhi tak sambhal kar rakha hua tha
Ashmita- ye frock tumhri hai?
Anisha- ha
Ye mujhe etni pasand thi ki abhi tak sambhal kar rakhi hai
Ashmita- esme tum barbie doll jo lagti hogi
Anisha- hehe blush blush
Ashmita- ye photo main rakh lu?
Anisha- rakh lo ma'am
Ashmita- aur kaisa chal raha hai sab?
Anisha- theek hai ma'am
Company se sari suvidhaye mil rahi hai aur salary bhi achi hai
Theek chal rahi hai life
Ashmita- khush ho?
Anisha- khushiya to pal bhar ki mahman hoti hai
Aaj hai kal nahi
Ashmita- lucifer ka asar kyu dikh raha hai mujhe tum par?
Anisha- nahi nahi aisa to kuch bhi nahi hai
Ashmita- aisi baatein to lucifer hi karta hai
Anisha- vo to ulti baat karte hai
Ashmita- fir bhi tumne uske liye job tak chhod di thi
Anisha- sorry Ma'am
Ashmita- you can call me ashu if you want
Anisha- naam se kaise bula sakti hu main aapko?
Ashmita- to didi bol liya karo
Anisha abhi tak sab samjh gaye thi ki ashmita vaha kyu aaye hai, vo aise baat kyu kar rahi hai aur esliye hi vo thodi uncomfortable bhi ho gaye thi
Ashmita- kya hua?
Anisha- kuch nahi ma'am
Vo aap meri boss ho to aapko respect dena mera farz hai
Ashmita- to jo naam se bulate hai ya fir didi bolte hai vo respect nahi karte kya?
Anisha- nahi mera matlab vo nahi tha
Ashmita- to kya matlab tha tumhra?
Anisha- aap meri class le rahi ho maam
Ashmita- main to bas puch rahi thi
Anisha- ma'am bolna mujhe jada better lagta hai
Es se pata rahta hai ki aap baat kis se kar rahe ho aur kya kar rahe ho
Ashmita- hmm
Sahi kah rahi ho
Boss hi to hu main tumhri
Anisha- boss hi to ho maam aap meri
Ashmita- bahut kuch hua hai humari life me
Pata nahi kab hum humari life normal hogi
Anisha- lagta hi nahi hai Ma'am ki humari life kabhi normal hogi
Ashmita- i think ab mujhe hi step up karna padega hum sabki life ko ek sahi track par lane ke liye
Anisha- dekhte hai maam
Kya pata kya ho
Ashmita- tumne mujhe kyu nahi bataya?
Bahut pehle aajana chahiye tha tumhe mere pass
Anisha- kaise aajati?
Main kon hu maam?
Ashmita- tumhe pata hai tum kon ho aur tumhe ye bhi pata tha main kon hu
Anisha- esliye hi to nahi aaye kyuki mujhe pata tha ki aap kon ho
Ashmita- bahut jaldi samjhdar ho gaye tum
Anisha- waqt ne kar diya ma'am
Ashmita- waqt bahut shaktishali hota hai
Hume apno se aise door kar deta hai jaise vo humare kabhi the hi nahi
Anisha- kya pata vo kabhi humare the hi nahi
Ashmita- apne to apne hote hai na
Anisha- humesha nahi hote ma'am
Ashmita- ek baat puchu?
Sach sach batana
Anisha- aapse kabhi juth na bolna pade yehi kosis rahti hai meri
Ashmita- tum kya chahti ho ab?
Anisha- pehle to bahut kuch chahti thi lekin ab kuch bhi nahi
Ashmita- kuch bhi nahi?
Anisha- ma'am main ek normal ladki hu aur main ussi tarah se apni life chahti hu
Apni puri zindagi maine badle ki chah me gujar di lekin ab jab badle ke etne kareeb hu main ki uski koe importance hi nahi dikhae pad rahi
Aisa lag raha hai jaise abhi tak jo maine kiya vo bas waqt ki barbaadi thi
Mujhe apne aap par aur apni mom par dhayan dena chahiye tha
Ashmita- kis tarah ka badla chahti thi tum?
Anisha- kya fark padta hai?
Ab jab kuch chahiye hi nahi to
Ashmita- mujhe chahiye
Anisha- kya chahiye aapko?
Ashmita- tum
Anisha- main aapki employee hu aur main vaise hi bani rahna chahti hu
Ashmita- ab jo kuch hai vo hum teeno ka hi to hai
Anisha- mera nahi hai maam
Esme aap logo ki mahnat hai main yaha kisi chhij par hak jamane nahi aae thi
Ashmita- apne hak ke liye to log lad jate hai
Anisha- jis chhij par mera koe hak hi nahi hai uske liye lad kar main kya kar lungi?
Mujhe meri pehle wali life hi chahiye bas
Ashmita- maine jo apne dam par banaya hai vo sab tumhra hi hai
Anisha- mera nahi hai aapka hai aur aapka hi rahna chahiye
Ashmita- you can't live like this anymore
You don't need to
Anisha- but i want to
Yehi meri sachae hai aur main essi me khush rahungi
Ashmita- tum nahi chahti ek family?
Anisha- hai mere pass ek family
Meri mom
Vo hai mera sab kuch
Ashmita- aur behane?
Anisha- maam main jabardasti ke rishte nahi chahti
Meri koe behane nahi thi aur yehi sachae hai
Ashmita- aisa mat karo mere sath
I know maine bahut bura kiya hai tumhre sath aur main un sab chhijo ke liye sarminda bhi hu
Anisha- aapko sarminda hone ki bilkul jarurat nahi hai
Aap ke jaisa boss milna hi mere liye bahut badi baat hai aur jitna aapne mere liye kiya vo more than enough hai ma'am
Ashmita- mujhe meri chhoti behan chahiye aur vo main leke rahungi
Anisha- uska mujhe nahi pata ma'am
Lekin meri koe badi behan nahi hai
Ashmita- bahut jiddi ho tum
Anisha- sayad khoon hi aisa hai mera
Ashmita- humara
Anisha- mera
Ashmita- anisha main tumhre sath koe jabardasti nahi kar rahi
Tum na to koe chhoti bachi ho aur na hi naadaan
Apne bhale bure ki bahut ache se samjh hai tumhe
Main bas etna bolna chahti hu ki main hu
Theek hai?
Main hu
Jindagi me jab tumhe lage ki tum akeli pad rahi ho yaad rakhna main hu tumhre pass
Anisha- thank you ma'am
Ashmita- ghar aaye guest ko tum khane ke liye bhi nahi puchti kya?
Ashmita halke muskurate hue boli
Anisha bhi muskurate hue khadi hue aur
Anisha- pasand meri hogi
Ashmita- aur banaoge bhi tum
Anisha- main hi banaungi ma'am
Ashmita- maa kitne der me aa rahi hai?
Anisha- hai?
Ashmita- mera matlab tumhri mom?
Anisha- pata nahi
Thoda late hi ho jayengi sayad
Ashmita- unke pith piche dawat kar le hum fir?
Anisha- hehe bilkul
Ashmita- chalo fir suru ho jao to
Aur ashmita aur anisha muskurate hue kitchen ki taraf badh gaye....