To, Jaisa ki expected tha Lucifer se wo bina bataye hi Anisha ke ghar pahunch gaya aur wo bhi aadhi raat ko... Lucifer aur Anisha ki Mom ke beech huyi baatein clear nahi thi but koyi to raaz hai jo Anisha ki Mom Anisha se chhipa rahi hai aur of course Lucifer uske baare mein jaanta hai... Par kya Anisha ki Mom ka Lucifer se bhi koyi connection hai aur ye samajh nahi aaya ke wo Lucifer se milna kyun chahti thi... Kya use samajh aa gaya tha ke Lucifer uske us raaz ke baare mein jaanta hai..?
Bhai aap complicated chijje samjh jate ho aur aapne ye starting se abhi tak nahi pakda vahi baki sab ko pata chal gaya reason
Idhar Kaashvi k character bhi samajh nahi aaya... I guess wo ladki nahi hai, maybe asal mein wo Kaavish hi hai jo ladki ke roop mein wahaan gaya tha... Uski baaton se aisa hi laga baaki dekhte hain...
Nice kavish kaashvi
Kyonki Kaashvi aur Lucifer mein jo baatein huyi us se ek baat to saaf hi hai ke Kaashvi Lucifer ke baare mein aur uski kho chuki yaad dasht ke baare mein jaanti hai...
Lucifer ne hi bataya tha usse bhai
Aise mein kewal yahi ek tark dikhayi deta hai yahaan par, ke Kaashvi ka bhi koyi raaz hai,
Everyone has a story
I think uska bhi heaven se taaluk ho sakta hai...
May be
Wahin kayi dinon baad Naag ke bhi darshan ho gaye... Prem mein poori tarah se baawla ho chuka hai wo par ab Lucifer ne ek baar fir use kuchh kaam saunpe hai... Pehle to usi Gurukul ke baare mein pata lagane ka jiske baare mein Kaashvi ne bataya tha, doosra Malik, jo kaafi samay se gaayab sa ho gaya hai... Kya koyi badi planning kar raha hai wo..? Aur teesra Aarohi aur Payal ke baare mein pata karne ka... Let's see ke in dono ki zindagi mein kaun kaun se rahasya chhupe hain...
Kuch to hoga hi lekin kya naag jo pagal ho chuka hai usse pata chalega?
Tara bhi Lucifer ki taraf ab attract ho rahi hai... Pehle bhi wo Lucifer ke prati rukha vyavahar kewal Ashmita ke hi kaaran rakhti thi... I think use yahi lagta tha ke Lucifer shayad Ashmita ko use karna chahta hai, aur ye to saaf hi hai ke Tara Ashmita se ataah prem karti hai... Par pichhle kuchh samay se Tara aur Lucifer ke beech bhi baat cheet hone lagi hai aur Tara ka behaviour kaafi had tak change ho gaya hai... Mere hisaab se ab tak wo Lucifer par shayad thoda bharosa bhi karne lagi hogi... Let's see aage kya hota hai...
Ashmita ke baare mein jitni bhi baat ki jaaye wo kam hi hogi... I think filhaal wahi hai jo Lucifer ko sabse zyada samajhti hai... Uska Lucifer ka care karna aur uske liye pareshan hona saaf dikhayi padta hai... Aur jis tarah se wo Lucifer ki bakwas ka rukh mod deti hai wo apne mein tareef ke kaabil hai... Beharhal, Ashmita koyi aur tareeka bhi nischit hi dhoondegi jis se Lucifer ki yaad dasht waapis aa sake... Ab us bechari ko kya pata ke ye humans ke liye banaye gaye tareeke ek devil par asar kahaan karenge...
Karega jab ashmita apne dil se kaam karna suru karegi
Idhar, Inaaya ke saath bhi ek chhota sa scene aaya Lucifer ka... Inaaya ko bilkul waise hi sapne aate hain jaise ki us kitaab mein likha hai... Aur uske kaaran Inaaya ko problem hona bhi shuru ho gayi hai... Khair, Lucifer ne use ab wo kitaab padhne se mana to kar diya hai par wo khud Anisha ki madad se uske baare mein jaankari nikalne waala hai... Dekhte hain use kuchh pata chalega bhi ya nahi...
Anisha bahut intelligent hai
Wahin Suresh Raichand nischit roop se ek wahiyad aur kameena insaan hai... Tara aur Ashmita ki Maa ki aatmahatya ka kaaran uska affair tha aur uske baad jis se uska affair tha uski bhi maut ho gayi... Aur ab uske nishane par Rathore hai... Rathore ka bhi filhal kisi ladki se affair chal raha hai aur usiki tasveeren wo viral karna chahta hai... Business mein Rathore se aage nikalne ke liye hi ye hathkanda apna raha hai wo par kya wo kaamyab hoga..? Lucifer ko jab iski jaankari milegi to wo kuchh karega..? Aur Inaaya par is sabka kya asar padega, dekhne laayak hoga...
Sab par effect padega lekin inaaya aur ashmita ke fucked up relation ka kya hoga?
Wahin Eda aur Raaj par huye hamle se filhaal ke liye Supreme ne dhyan hatane ko keh diya hai... Unke mutaabik ye sab kewal ek bhram hai, ab us se zyada samajhdar shayad hi koyi ho... Agar unhone kuchh socha hai to of course sahi hi hoga... Aage ki baatein to un dono ke hosh mein aane ke baad hi pata chalegi...
Jaldi hi chal jayega
Past scenes mein kayi cheezon ka zikr hua... Sabse pehle Shreya, wo khud hi Lucifer ke kaam ke beech mein aa rahi hai aur fir khud hi Lucifer ko taunt bhi maar rahi hai... Sahi mein is kahani ke sabhi characters, especially past mein, kewal Lucifer ko hi galat thehrane ki koshish mein hain... Yahaan par gaur karne waali ek baat thi, Shreya ka kehna ke Lucifer ek insaani ladki ke haathon hi marega, aur yadi ise Ashmita ke dwara anjane mein kahi gayi baaton se jod diya jaaye to...
Jo marji man kare usse jod do kisi ke sath bhi baki tod main dunga
Abhi tak ek baat to poori tarah saaf hai ke Lucifer ko Supreme ne, Uski Maa ne, Guruji ne aur Lucifer ke aas paas rehne waale logon ne, sabne milkar use yahi sikhaya ke pyaar kewal ek shabd hai aur uska koyi wajood nahi... Lucifer ko kewal yahi bataya gaya ke taakat aur shaktiyan hi sab kuchh hain... Aur ab inmein se jo log ye keh rahen hain ke Lucifer burayi ke raaste par chala gaya hai aur use saza milni chahiye, wo kewal aur kewal awwal darje ke moorkh hain... I hope ke aage chalkar yadi Lucifer ko maut milegi to in sabko bhi inke karmon ka fal mile...
Sabko sabka hak milega bhai
Saanvi ke baare mein bhi kya hi baat ki jaaye... Ye jante huye bhi ke wo aur Lucifer kabhi ek nahi ho payenge, usne apne pyaar ko bakhoobi nibhaya aur saath hi ye bhi sunischit kar gayi ke uske jaane ke baad Lucifer uski wajah se khoon na bahaye... Shayad isiliye aaj yaad dasht chale jaane ke baad bhi use kewal Saanvi ka hi naam yaad hai...
Pehla pyaar jo hai vo
Suspense ki maatra sachmein hi bohot adhik badh gayi hai... Par ab kahin na kahin ghatna kram badalne ke sanket bhi milte dikh rahen hain... Kaashvi ki entry, Eda aur Raaj waali ghatna aur ab yadi us book se Lucifer ko kuchh pata chalta hai to, I think jald hi koyi major turning point story mein aa sakta hai...
Sahi samjho ho 100 update
Teenon updates bohot hi badhiya likhe bhai aapne... Lucifer ka vyavhar sabhi ke saath alag hai aur uski itni different conversations likhna koyi aasan kaam nahi, but you've done it very well... Wahin past aur present ka mishran bhi kaafi badhiya tareeke se chal raha hai... Keep Going..!!
Outstanding Updates Bhai & Waiting For Next...
Thank you so so much bhai
Always looking for your review