• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Adultery Lust " Kimat " Love [completed]

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,643
8,432
219
Last edited:

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,643
8,432
219
Update - 85

Do min ki awkward silence ke baad rahul hi bola. " tune to apna saman pack kar liya yani tu mera kaam nahi karega ? " mein bhi is waqt thoda hadbadaya hua tha aur kuch pal pehle bole gayi baat ko badlne ke liye uski baat mein baat jod di.

" han to tu 10 minute mein aa raha tha... ab meri dukan band kal ana. " mene charger bag mein dalte hue kaha.

" aisa mat kar badi umeed se aye hai tere pas.. "

" kyu aisa kya naya kand kar dia tune ab ? " bolne ke baad phir dhayan aya ki vo akela nahi hai. " i mean kya ho gaya aisa ? "

" are kaam mera nahi.. akansha ka hai " Akansha... ishara uske sath ayi ladki ki taraf tha.

" kaisa kaam ? "

" are ise ek file nahi mil rahi.. bahut important hai aur IT wale ko server par nahi mili keh raha hai delete ho gyi hogi.. "

" han to kaise milegi.. trash nahi hota usme.. delete yani server se bahar.. " mere kehte hi rahul to chup hua par vo ladki yani akansha boli.

" to koi chance nahi hai ? "

" han yar dekh na... mene bola tu dhund dega.. tu to kuch bhi kar sakta hai "

" kuch bhi.. matlab... kaam karwane ke liye kuch bhi bahane lagayega... " mene laptop kholte hue kaha. " ip... " mere bolne ke baad kuch second dono ghurte rahe jaise unhe samajh nahi aya phir akansha ko jaise dhayan aya.

" oh yeah sorry... " usne bag se ek notebook nikali aur rahul ko de di, darasal vo mujhse thodi dur hi khadi thi.. jaise mere andar khujli wale kide reng rahe ho

Rahul se notebook li, ip aur user ke sath password usme tha, hairani ki baat thi ki IT ke bande ne server ka access de rakha tha.. varna aisa kaun karta hai.. server ka access kaun deta hai... sala chutia IT wala... mene man mein mazak udaya par chehre par expression aa gaye jiske bare mein jab socha to nazar rahul aur akansha ki taraf gayi vo dono hairani se dekh rahe the.

" file name ? "

" Important cases, like that thi file name "

" hmm, naam bhi nahi pata.. kaam bada dia.. " mein khud se bola par dono ne sun liya hoga.. mene pehle simple kuch command chalai, jise mujhe pata tha ki nahi milegi.. locate, find.. grep sab lagaya par nahi mili yani file delete ho gayi thi.

" file to sach mein deleted hai... " mene kaha par kaam nahi roka apna.

" yar delete kar di hogi kisi ne.. i am sure ki mene server par copy karwai thi. This IT guy... he is totally rubish... " vo thoda gusse mein aa gayi thi.

" email id ? " mene jab pucha to vo hairani se meri taraf dekhne lagi.

" excuse me ? "

" apki email id ? file nahi chahie ? "

" par apne abhi kaha ki vo delete hai.. "

" han vo to thi hi... "

" mene kaha tha na ye banda kuch bhi kar sakta hai.. " rahul bich mein kud pada phir akansha ne apni email id aur mene use file send kar di.

" thank you so much.. apne meri bahut badi help ki hai.. "

" its okay... " mein laptop band karke bag mein dalne laga.

" thank you rahul.. ok bye.. i gota go.. i will meet you tomorrow.. bye .. "

" bye.. " choti muskan ke sath mein bola aur vo chali gayi.

" chale ab.. " mere bolne ka intezar tha rahul ko bas. Hum dono raste mein the tab mene use sunaya.

" salle tune bataya nhi ki tu kisi ke sath aa raha hai.. khamakha meri reputation ki maa chodne par laga hai "

" abe to gali mat dia kar "

" aisa ho sakta hai kya... "

" hahaha.. han vo to hai.. par salle tu bhi ladki ke aage bahut style mara.. pehle kaha delete ho gayi hai.. aur phir baad mein de di file utha kar "

" abe delete hi hui thi "

" rehne de itna to mujhe bhi pata hai server se delete yani khatam "

" bc yahi tak to soch sakte ho tum.... server se delete hui files ko hum recover kar sakte hai.... iska bhi tarika hai.. mene script bana rakhi thi.. bas dono ko use kiya aur file recover kar li.. "

" tu to sch mein intelligent hai lawde.... , gaya beta IT wala ab.. "

" gaya matlab ? "

" tujhe pata hai akansha kaun hai ? "

" mujhe kaise pata hoga lawde "

" abe managing post par hai.. gand mar degi kal IT wale ki... "

" teri boss hai kya ? "

" nahi... hamara department alag hai mera HR uska marketing.. "

" farak kya hai ? "

" bahut hai hr vo hota hai jo marketing manage karta hai, resources provide karke aur marketing... "

" rehne de.. bc tum logo ki bakchodi na palle padti .. itne manager hote hain ye samajh nahi ata ki kaun kiski jagah hai... bas itna bata tere se uppar post par hai na "

" han ... "

" to tu gand mara.. "

" bc.... " vo bilbila kar reh gaya. Raat ko dinner aaj mene akele kia, mona ke sath chudai ka program tha bhai sahab ka. Mona ek divorcy akeli rehne wali aurat thi, aur rahul ki boss bhi.. dekhne mei kuch khas nahi thi.. par chudai ke liye khas ki kya jarurat bas lund ki atma ko shanti milni chahie aur vo rahul ko bharpur mil rahi thi. Mona aur rahul ka connection mumbai se tha.... aur dono ka transfer idhar hua tha ya yun kahun ki mona ne hi rahul ka transfer karaya tha apne sath. Dinner karte hue mein ye soch raha tha to lund bhi akadne laga lekin phir soch kar kuch nahi kiya kyun ki man nahi kiya. Phone utha kar dekha to mail hui thi o bhi thank you ki.. jo akansha ki thi.. mene use swipe karke hata dia aur tv dekhte hue so gaya pata hi nahi chala.

Diwali ke baad ke jo mahine hote hain us sal mein bache hue bade hi bakwas hote hain, aram karne ka time bhi nahi hota.. kaam hi kaam no holiday.... holiday milta bhi hai to year end par yani ki new year par. New year ki party announce hui thi office mein ... vo bhi kisi party disc type mein.... baad mein rahul se pata chala ki building ke kayi office ne co-ordinate karke party organize ki hai tabhi itni shandar ho rahi hai, mumbai mein aksar aisa hota hai ki jahan ek building mein kayi office ho to unme se kuch office mil kar party organize karte hian jise party badi aur badia hoti hai. Ek hafta tha abhi party ke liye, din tha 22 december jab mujhe mere sir ne apne cabin mein bulaya.

" Ankit... how are you ? kaam kaisa chal raha hai ? "

" all well sir.. " meri thodi fat rahi thi kyun ki jab koi maanger tumhe bulaye to samajh lo gand lagne wali hai.

" good... mene tumhe isliye bulaya hai kyun ki next month ek bahut bade client se meeting hai aur agar baat jam gayi to tumhe use handle karna hai "

" mujhe " kaha tha na... fad di na gand....

" han why ? tumne interview mein kaha tha ki you are very good in clint handling.. so now here is your chance.. "

" no problem sir... " ab ise kya batata fati hui gand ka dard..

" great... ready rehna... and don't worry i know you can handle... " mein room se bahar aa gaya.. gand to ab fadi jaa chuki thi.. bas ab border par ladne ke liye langadate hue jana baki tha. Khair mein akar apne kaam mein lag gaya kyun ki ane wala time kisne dekha tha...

31st december

" chal na bhai.. kitna taiyar hoga.. " mein adhe ghante se rahul ka wait kar raha tha bhosdiwala aurton se jada taiyar ho raha tha.

" han aa raha hun bas "

" bc aisa kaun si bra penty pehen raha hai jo fit nahi ho rahi tujhe.. salle "

" speical order se mangwai hai .. " vo bahar aya.

" bc mona ke sath aaj sex badal kar chudai ka program hai kya "

" tujhe kaise pata ? salle hamari jasusi karta hai haramkhor "

" han madarchod tu tikka hi isliye hai ... varna tuj jaise jhantu ko kuch ata bhi hai kya "

" yahin rape karwayega apna ya chalega.. " hum dono aise hi behas karte hue nikal gaye. Party vakai gazab jagah par thi.. behtarin hotel aur gaza ka enviornment..

" bada paisa lagaya hai "

" kamate bhi to bahut hai.. chal aja.. " rahul ke piche piche mein chal pada. Bc jitna mature ho jaun lekin ye party mein jakar hath wath milane se mein abhi bhi parez hi karta tha, ajeeb sa lagta tha mujhe in sab mein. Hum dono jitno ko jante the unse hath mila kar vahin khade ho gaye. Mahol bada hi gazab tha, ek se ek ladki thi jo fashionable dress pehen kar ayi thi. Aisa mahol mene aaj pehli baar dekha tha, ise pehle aisi party kabhi hui thi nahi meri zindagi mein.

" hey akansha... " rahul ki awaz sun kar mene apni nazar us taraf ki aur bas wahin dekhta reh gaya.
 

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,643
8,432
219
Update - 86

Akansha... kya ye wahi akansha thi jo mujhe us din office mein mili thi, yaad bhi nahi takreeban 1.5 mahine hone ko aye par iska ye matlab thodi hua ki 1.5 mahine mein insan itna khubsurat ho jata hai... ye kaise ho sakta hai ? nahi... mene us din shayad dhang se dekha hi nahi tha, sach mein ... dekha hi nahi tha...

Akansha, orange color ke one piece mein ayi thi, pata nahi kaise mene.. kaise mene uski itni sundarta ko us din dekha hi nahi tha.. itni sundar ? to mene kaise miss kar dia... ajeeb si bechaini dil mein uthi.. tez dhadak raha tha jaise vo chehra mere bilkul kareeb hai.. vo lambi badi ankhein... choti si naak aur uske honth... ise jada describe mein khud ko nahi de paa raha tha. Log kehte hain rang dekh kar insan ko chahna nahi chahie mujhe bhi samajh nahi aa raha tha ki vo rang ki vajah se khubsurat hai ya nahi.. par vo behad khubsurat hai ye mein samajh gaya tha.. shayad mere jeevan ki pehli aisi ladki jo mene itni khubsurat dekhi thi...

" ankit ? " rahul ke awaz se mein apne sawalon se bahar aya. " remember akansha.. " uske kehte hue meri nazar jo akansha par thi vo uspar aur gehra gayi, vo meri taraf dekhte hue halka sa muskurai. Jiske baad phir mere sawal bhoot ki tarah chipak gaye. Ye muskan to shayad us din bhi thi ? to meri nazar tab kyun is muskan par nahi gayi aur aaj hi kyun... kahin mene koi love story to nahi padi thi ? yaad kyun nahi aa raha kuch... bc... padi hi nahi to kaise yaad ayega.. par ye muskan ... akansha ki ye smile... ek aisi shanti kyun hai jo sukun de rahi hai... itni shant muskan par phir bhi itni pyari.....

" ankit ? " chipke hue bhoot jo mujhe behad ache lag rahe the use ek haramkhor tantrik baba bante hue rahul ne alag kar die.

" han bilkul... " jabki mujhe jara sa bhi akansha ka dhayan nahi tha.. bas naam chhod kar.....

" Hi.. " usne hath milane ke liye aage badaya to mene bhi bada dia aur hath milate time alag si hi gudgudi hui... fefdon mein... dil mein.... aur bas... iske aage kahin nahi... is baar ye gudgudi bas wahin tak simat kar reh gayi...

" Thanks for the help once again... uske baad tumse milne ka chance nahi mila "

" thanks ? " mein thoda confuse hua phir khud hi yaad kar baitha.. " ohh no problem... " hath abhi tak mene chhode nahi the, phir jab ye khayal aya ki ek skin aur meri skin se touch hai to mene hath chuda lia. Iske baad vo excuse kehti hui vahan se chali gayi aur mein use apni ankhon se use vahan tak chhod kar aya jahan tak chhod sakta tha...

" chhod aya ? " jab mene apni nazare uspar se hata kar vapis ki tab rahul ne mujhse pucha. Mene kuch nahi kaha.. na kehta to vo manta nah aur han kehta to use chedne ka mauka mil jata.

" mein tabhi soch raha tha ki kaise... matlab kaise kar sakta hai tu " vo ek dum se bola.

" kyaa.. ? " mein turant bola, mujhe laga kahin vo use jakar bol dega to kahin kuch gadbad na ho jaye. Ye dar wala badlav mere andar tabse aya tha jabse naukri lagi thi kyun ki suna to yahi jata hai hamare job culture mein ki log ek dusre ke khilaf bhadakate hai logon ko apni position uppar lane ke liye aur agar kisi ne ye mere sath kar dia to meri naukri to jayegi plus jo khun mera kholega use kahin mein kisi ka murder karke jail na chala jaun.

" yahi ki akansha se milne ke baad tune uske bare mein pucha kaise nahi.. "

" matlab ? "

" abe use milne ke baad koi us ladki ko kaise bhul sakta hai... salle.. par jis tarah tune use dekha ye samajh aa gaya ki tu use bhula nahi hai "

" aisa kuch nahi hai.. "

" sab kuch hai dalle... mein to hairan tha ki tune uske bare mein mujhse kuch pucha kyun nahi.. phir mujhe laga ki shayad teri kahin aur setting chal rahi ho isliye tune dhyan nahi dia "

" meri kisi se setting nahi hai be.. "

" acha matlab tu ye bata raha hai mujhe taki mein teri madad kar saku akansha se setting karane mein " bahut harami insan hai rahul.. baton mein tumhe kab fansa de tum samjah nahi paoge..

" harami pana band karega apna.. aisa kuch nahi hai.. ye baton mein uljhane ki chal kisi aur par chala kar.. aur ab yahan party mein khane pine aye ya phir teri bakchodi sunne.. "

" bukhad sala.. yahan bhi khane ki padi hai.. mein chala pine.. care to join.. ? "

" chal sakta hun par ise jada kuch nahi.. " phir hum dono us taraf gaye jahan bar bana hua tha, sabhi suit pehne gentleman vahan daru ka glass badi adab ke sath pakde khade the jaise bc inse jada agyakari koi dusra hai nahi ... vahan hamare sir bhi khade the.. kareeb 5 minute tak usne pakaya aur end mein enjoy bol kar chala gaya. Udhar rahul ne apne liye glass pakdwaya aur mene bhi par vo ek fruit juice wala without cocktail drink tha... vahiyad.. tha.. par dikhane ke liye pakda hua tha. Itne mein meri nazar phir vahan padi jahan nahi padni chahie thi, akansha par..

" ye ladki aaj mere piche kyun ghum rahi hai.. " mein use milna nahi chaha raha tha na jane kyun.. Vo apne group ke sath thi.. shayad uske friends ya colleague ke sath. Usne shayad dhayan nahi dia aur rahul bhi filal kisi se baat kar raha tha isliye sirf mein hi tha jo use dekh raha tha. Haye... ye khubsurti... ye masumiyat uske chehre ki.. vo muskurahat uske dil ki jo uske chehre par thi.. maturenes uske chehre par aisi bikhri hui thi jaise janmi hi use sath lekar ho... ek dum perfect figure ke sath... bahut kam ladkiyan aisi maintained hoti hai aur itni khubsurat bhi shayad ye professionalism ka bhi affect tha us par.. marketing line.. par mujhe kya farak padta hai koi bhi line ho... lekin uski khubsurti ki line bilkul sateek tha.. mujhe aisa feel na jane kyun aa raha tha ki ye ek movie jaisi love story rahegi.. bahut sundar ladki aur ek average guy but dimag se thoda intelliegent aur usne us ladki ki madad ki jiske baad kuch badti mulakaton mein use pyar ho gaya... Ek min.. pyar .. kya mene abhi abhi ye kaha ki mujhe use pyar ho gaya.. matlab ho jayega ? aur ye love story bich mein kaha se aa gayi.. Mujhe apni present value nahi bhulni chahie...

" kitna dekehega... bc us din office mein to dekha tak nahi tha.. dhang se tabhi tujhe yaad nahi.. jabki is ladki koi ek baar dekh le to ise baat karne ke liye tadapta hai... aur salle aaj tu use ghure hi jaa raha hai.. hua kya hai tuje ? " mujhe pata nahi tha ki rahul bhi ab wahi dekh raha hai jahan mein.

" aisa kuch nahi hai.. vo dekh vo bhi drink kar rahi hai vahi dekh raha hun.. chehre se lag nahi raha tha ki vo drink kar rahi hai .. " bahar se to mene itni asani se kaha jaise mujhe farak nahi padta ki vo kaun hai, kya lena dena hai mera use. Par sahi kahun dil itna jala aur itna gussa aa raha tha andar se ki ye kaise pii sakti hai.. kaise se jada kyun piii rahi hai.. pata nahi kyun par mujhe to gusa aa raha tha ab koi bhi mujhe jaisa soche.. society ki language mein vo kaun se chutiye shabd hote hain jo ladko ko die jate hain... bc yaad kyun nahi aa rahe chhodo maa chudaye...

" to shakal se tuje pata chalta hai ki kaun piyega kaun nahi aur tujhe kya.. salle ladki hai to pii nahi sakti kya.. "

" nahi.. "

" teri soch to badi kharab hai "

" mene kaha nahi.. mujhe kya farak padta hai piye khub piye.. " mene apni nazar mod li.

" padna bhi nahi chahie.. aur jo itna tu ghur raha hai vo jada ghurna bane ise pehle mein ye bata dun ki she is nearly to get engaged. " rahul ki akhri line ne dimag blank kar dia, blank tone.. ki tarah blank... par kyun ? abhi to kuch hua hi nahi na love story na pyar.. na movie ke chalte scene to blank kyun hona.. chal hat... mein phir normal enovirment mein pahunch gaya.

" ghurna paap thodi hai aur vaise bhi agar sundar chiz dekhni nahi chahie to unhe sundar dikhne ka hak nahi... kyun ki jaruri nahi agar hum ladke kisi sundar ladki ko dekhe to sirf uske sharir ko dekh rahe ho, uski value ki sundarta ko sarhana bhi ata hai hume.. "

" fair and valid point maharaj... " usne hath jod lie.

" hey rahul.. come join us.. " usko bhi bulana jaruri tha...

" chal aja.. akansha bula rahi hai "

" tu jaa.. mein nahi aa raha.. vaise bhi mein odd lagunga.. " yahi farak hai mujhme aur dusre laundon mein... mein apni value kabhi kam nahi karna chahta.. Ego kahe ya attitude lekin meri apni khud ki kuch shartein jinhe todna mere bas mein bhi nahi.

" sure ? "

" aise puch raha hai jaise mein suicide karne ko keh raha hun.. mana kiya na.. mein drink nahi karta yar.. aur phir odd banke khada rahunga, vo mujhse drink karne ka bar bar puchenge.. hasenge... do batein banayenge.. vaise bhi mein unhe janta nahi.. khama kha agar mera temper loose ho gaya to gadbad ho jayegi " pata nahi kyun phir se purane wala mein zinda ho raha tha, jo mein lana nahi chahta tha...

" ok " iske baad vo bhi kuch nahi bola aur chala gaya. Mood ka satyanash kar dia is ladki ne mera... isliye ladkiyun ko apni life se bahar kar dia tha taki focus mera bas ek cheez par rahe, apne kaam par apni tariki par..

Mein bas 2-3 minute hi baithe the ki kano mein awaz padte hi meri nazar ghumi, ye phir aa gayi , mene socha par sala ladkiyan tumhare man ki feelings kab badal dete hain pata nahi chalta.

" hey.. "

" hi.. "

" sorry, but its your choice lekin can i ask you something ? "

" yeah.. "

" why didn't you join us ? i know ki ye tumhari wish hai.. but if everthing's fine.. tum hamare sath join kar sakte ho ? if not then it's ok.. mene bas isliye pucha ki we are enjoying and you are sitting alone.. " vo ek sath bahut boli aur mein muskura dia.. ye kaisa expression tha

" nhi nahi.. aisa kuch nahi hai.. but it's like mein drink nahi karta.. isliye mein aap sab ke bich odd nahi banna chahta tha bas iske alawa koi reason nahi hai "

" seriously ? " mujhe pata tha vo ye bolne vali hai ki tum drink nahi karte bc inhi sawalon se ab chid ho chuki thi... kya insan ka pina itna jaruri hai ? really ? par jab vo boli to kuch alag hi boli.

" tumhe ye lagta hai ki hum drink ki wajah se enjoy karte hai.. no mr. you are wrong.. its just a gesture.. and we dont mind.. tum drink karte ho ya nahi.. actually we don't care...at all sorry mein tumhare muh par bol rahi hun par we still do not care for anyone personal life... " bc ladki ne to dil hi jeet lia

" i like it... " mein fauran bola aur meri tone itni funny thi ki vo hans padi. Galat disha mein dil mud raha tha mera... bahut galat.. mein single ladkiyun ke bare mein nahi soch raha tha and she is about to..

" to could i ask you to join ? " uske bolne par mein is infinite world mein aa gaya. Infinte kyun ? waqt ane par ye bhi pata chalega..

" yeah sure.. agar apko problem nahi to mujhe kaisi.. " mein apni jaah se khada hua aur hum sath aage bade. " apki drink ? " usne vo wahin chhod di thi.

" i don't need anymore.. i guess.. " ajeeb bandi thi.. khair bandiya to sab hi ajeeb hoti hai isme naya kuch nahi tha..

Us raat vo bahut boli.. mere se nahi.. matlab group mein ... rahul aur mein uske sath hi rahe puri sham aur phir 12 bajne ke baad sabne new year wish kiya, hum dono ne ek dusre ko offcourse... par usme itna khas nahi tha jo kahun... she is very professional, koi lalu chapo nahi... uske baad dance ka program shuru hua.. ye dusra kaam jo mujhse kabhi nahi hua.. usne mujhse pucha... par mene saaf mana kiya aur uske baad usne dubara nahi pucha aur khud chali gayi.. dance usne kiya 4-5 minute hi par jitna kia nazre wahi rahi... un logo ka raat bhar rukne ka plan tha.. par mera nahi... rahul ka to samajh aa gaya tha.. mona ke sath vo nikal lia.. isliye mera aur koi plan nahi tha.. Akansha ne mujhse pucha par mene na hi kaha jiske baad usne koi force nahi kia.. aur karti bhi kyu ? kya mein aisa cha raha tha ? pata nahi usne na kaha aur bye keh kar mein nikal gaya.

Ye saal bahut si batein bandh kar gaya tha mere sath.. jinko mein bhula kar hi aage badh raha tha... par jate jate vo mujhe kahin aur hi bandh kar chala gaya tha.. shayad takdeer ab mujhe kuch dikhana chahti thi....
 
  • Like
Reactions: james_kr

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,643
8,432
219
Update - 87

Naya saal ane par sab koi na koi resolution lete hain ya sochte hain is baar kuch naya hoga.. ye saal acha jayega... par sahi kahun vo sab bhand ke akandh chutie hote hain jo aisa sochte hain... aisa kabhi bhi kuch bhi nahi hota.. aap vaise hi har saal jeete ho jaise ki jee rahe hote ho yani ki ... kisi chutie ki tarah.. sahi keh raha hun mana is baat ke andar mein khud ko chutia keh raha hun lekin galat kahan hai kuch bhi .. sali zindagi kam chutia thodi hai... jaise live scenario hi dekh lo, abhi do paise kamane laga to maa ke bheje utpat shuru ho gaya.. shadi ka matlab akhand chutiape ki shuruwat.. udhar office ki zindagi to waisi hi hai jaise paida hona aur marna.. subh paida hue bache ki tarah jau rote-rote aur vapis aau to marne jaisi halat mein bilkul chup chap pade rehna.. jo ki mein pada tha... rahul ne bahut bola ghum kar ane ko lekin mein alsio ki tarah pada tv ke channel badal raha tha.. vakai mein theek hun... zindagi chutia, log chutia aur hum bhi chutia hi.. do chiz hai life mein kamana aur chudwana.. bas.. vahi kaam karte hain sab aur mein bhi wahi kar raha hun....

Office bilkul waisa hi tha, bas kuch zimmewari badh si gayi thi, new year ke baad meri akansha se koi baat cheet nahi hui thi, shayad mein use bhul gaya tha ya bas dhayan hi nahi raha uske bare mein sochna, maa bhi ghar ane ko keh rahi thi, par chutti milni mushkil thi aur is saal ka pehla mahina khatam par tha, mein priya ko wish karke bas sone hi jaa raha tha ki phone par mail thi. Mene dhayan nahi dia aur so gaya. Agli subah mujhe rahul ne nind se aise uthaya jaise sale ke pichwade mein aag lag gayi ho aur aag bhujane ke liye use lund chahie ho.. sala gay kahin ka..

" kya hua bhutneke... " mene ankhein malte hue kaha.

" ye le phone hai.. " usne phone mere hath mein thama dia.

" kiska hai ? aur tere phone par mere liye kyun ayega.. bc drame na kar " mene phone patak dia.

" akansha ka hai.. " vo bol kar chala gaya, use offc jane ki jada jaldi thi isliye vo taiyar hone mein lag gaya. Bc akansha ka naam sun kar ek bar to man kiya is rahul the gand ko khub gali dun bc subh subh gali niklwa di aur use akansha ne bhi sun li hogi, ye meri izzat ke lawde hi lagwayega ek din

" helo "

" helo ankit, good morning " bc subh subh aisi awaz sune ko mil jaye to morning good kaise na ho

" good morning akansha ji "

" ji ? really.. akansha is fine " mein kuch nahi bola. " waise ankit i need one favor, if you do no mind ? "

" ji bilkul " uske baad usne jo kaha mene suna aur ant mein bye keh kar phone cut kar dia. " in ladkiyun ko tab hi yaad ati hai jab favour chahie hota hai, 'chalo bhai lag jao majduri par' mein fresh hua aur nikal gaya office. Office phuch kar jab mail dekha to akansha ka tha aur jo usne phone par kaha tha wahi mail mein tha. Mene uska kaam nipta kar mail par revert kar dia aur office ke kaam mein jut gaya. Lunch time ke baad mujhe sir ne bulaya aur mera pehla client bada client set de dia. Fat rahi thi meri, wajah no ek pehla itna bada client dusra jo technology par use install karna tha vo product naya launch hua tha office ka. Samajh nahi aa raha tha kaise hoga.. khud study ki kuch seniors se help li bas sham tak majdur apne naye hatiyar ke sath taiyar.

Sham ko office se bahar nikal kar rahul ka wait kar raha tha to dekha uske sath akansha bhi aa rahi hai. Wah is launde ke alag maze hai.. boss ki chut aur laundiyu ka sath nahi chutta iska.

" hi ... " akansha ne hath aage badaya, mene use hath milaya. " thank you so much for the help .. hamari IT team bas... "

" it's okay, ye to mera kaam hi hai " baat karne ka man bhi kare aur bolne ko kuch na ho tab insan kaisa feel karta hai .. mujhe bilkul wahi feel ho raha tha is waqt.. bc ajeeb si ulti aa rahi thi na nikalne ko ho rahi thi na andar kahin adjust ho rahi thi. .. behen ki lodi

" aisa nahi hai.. tum mere liye thodi kaam karte ho, mana bhi to kar sakte the "

" adat nahi hai "

" kiski "

" mana karne ki.. " meri baat sun kar vo hans di.

" mera to koi kaam nahi karta tu sab mana karta hai " rahul bina bole kaisa reh sakta tha.

" han nahi karunga.. jaa jo karna hai kar "

" dekh li teri dosti.. "

" han dekh lenge.. ab chalein.. "

" aree.. kahan sara time jana hota hai tujhe us boring se flat mein "

" galti se wahi rehta hu to wahi jana padega, ab chal "

" nahi bahar jaa rahe hain.. "

" bahar ? "

" han.. and infact mein tumhe hi bulane ayi thi.. " akansha boli.

" kahan ? "

" aise hi hangout.. with all.. chalo .."

" nahi yar.. aap sab jao "

" kaha tha na mene ye aisa hi hai " rahul phir bola.

" why ? you don't like us ? " mein hans dia.

" nahi yar.. par office ki thakan bahut hai.. phir kabhi chalenge aap log jao " mera man hi nahi tha ya mein tha par jana nahi chahta tha. Akansha kuch der mujhe ghurti rahi jaise man hi man galiya de rahi ho.

" rehne do akansha .. ye bekar hai.. na drink karta na ise ghumne ka shauk.. hum chalte hain... "

" hm.. chalo bye.. " is bar uski bye mein vo hi wali feeling nahi thi, mene bye kaha aur chal dia flat par. Uske baad koi baat cheet hamare bich nahi hui jaise ek dusre ko jante hi nahi.

Din aise beet rahe the jaise superfast train mein baitha kar time travel karwa rahe ho... kal mujhe jana tha, subh 9 baje ki flight thi, maa ke arman pure ho rahe the unhone ghar bulaya tha aur client bhi delhi ka tha.

Mei bas tv band karke sone ka soch raha tha, rahul aaj bhi bahar tha aur ab 12 bajne wale the tabhi mera phone bajne laga.

" itni raat ko kise kya ho gaya.. kahin rahul pee kar mar to nahi gaya harami.. " mene phone dekha, unknown number tha.

" helo " mene kaha aur samne se awaz sun chup ho gaya.
 

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,643
8,432
219
Update - 88

" Hi "

" helo "

" sorry late night call karne ke liye ? am i disturbing ? "

" no.. "

" ok thanks, i need a favour "

" ok " mein chote jawab de raha tha kyun ki lambi baat karne wala mahol nahi tha background se shor bahut jada aa raha tha.

" actually rahul is a bit drunk, isliye use tumhara number lekar mene hi call kar liya "

" uska aisa hi hota hai hamesha " vo ye sun kar thoda sa hansi.

" actually, mene call isliye kiya kya tum meri ek help kar doge ? " madad ke alawa ise kya chahie hota hai .. ajeeb hi hai ye.. mana karne ka dil tha aaj na jane kyun par mana kar nahi sakta tha.. professionalism par sawal lag jate.. maa ka lawda professionalism... zindagi jhand ho gayi hai.. .

" sure.. " usne apna wahi kaam bataya.. na jane kyun ye ladki khud koi kaam time par nahi karti.. aur agar iska IT itna bekar hai to salla use nikalte kyun nahi..

" thank you so much.. and i am really sorry.. tumhe itni late night disturb kiya "

" no its ok.. "

" thank you so much.. ankit.. okay have a good night bye.. "

" ek min.. " mujhe fauran yaad aya ki us ullu ke pathe ko pata nahi hai ki mein kal jaa raha hu.

" han bolo "

" actually mein kal delhi jaa raha hun office ke kaam se .. to rahul ko bata nahi paya.. message to drop kar dia hai lekin pata nahi dekhe ya nahi.. isliye use yaad se keh dena please... "

" ohh.. yeah... no issue sure.. "

" thanks.. bye.. enjoy.. "

" you too.. " raat ko 2 baj gaye, kuch apna dimag aur google devta ki jai.. dono ki madad se mene akansha ka kaam kiya aur so gaya. Subh jab nikla to as usual rahul aya nahi tha, mene phone nahi kiya aur nikal gaya.

Ghar pahuncha to mummy ke liye surprise tha unhe pata nahi tha ki mein aa raha hun. Us din se lekar agle teen din tak client ke sath rakh kar marwai mene. Agle din mene kaam khatam kar dia, vaise to 7 din ka kaam tha lekin meri banai planing pehli baar kaam ayi thi jiski badault hi 7 din wala kaam 4 din mein nipta dia tha mene. Kaam bhi successfull raha aur client ne mujhe dinner par invite kia.

" han khana bahar kha kar aunga "

" pehle kyun nahi batata ? ab mene khana bana dia "

" to kya hua bana dia to.. bekar ki baat na karo "

" tujhe sab bekar lagta hai.. chal rakh phone " maa ka behaviour abhi bhi waisa hi tha, dimag kharab kar deti hai.. khair baat khatam karke vo sham client ke sath hi nikli.. ghar ate der ho gayi thi, sab chuke the, mein bhi apne kamre mein jakar aram se so gaya aur aisa soya ki pata hi nahi chala subah kab hui, 4 din ki thakan ka asar acha bhala bol raha tha sharir mein....

Subh jab maa ne darwaja khat-khataya tab nind kholi usme mene darwaja khola aur phir so gaya. Maa ne light on kar di aur pata nahi kisi ke sath baat karti hui andar ayi. Mene chadar lapeti muh par aur so gaya.

" kitna soyega... raat mein late aya tha kya ? "

" hmm "

" batao yahan itna late ata hai vahan to pata nahi kya kya karta hoga "

" sone do yar abhi "

" 5 minute mein uth jaa.. kaam wali aa gayi hai safai karni hai... "

" mein nahi uthunga "

" han yahi umid hai tumse.. maa to kamwali hai.. jo sab kaam kare.. parwah hi nahi hai " ye tanna mujhe aisa chuba ki mein nahi janta kyun chuba...mein fauran uth baitha.

" ek to sala admi itne time baad ghar aya hai uppar se ye sab suno.. agar nahi jhel sakti to bulati kyun ho.. chala jata hun mein... " mein is waqt behad gusse mein tha.

" han to chala jaa.. roka kisne hai.. mujhe itna moh nahi hai .. jada bolne ki jarurat nahi hai mujhse.. "

" theek hai.. chala jata hun... sala kadar hi nahi hai.. aunga hi nahi ab " mein bistar se tilmilate hue utha.. kamre se bahar aya papa wahin khade the kuch bole nahi.. umid thi ki bolenge par nahi.. mein fresh hua aur apni ticket jo teen din baad ki thi use aaj dophar ki karwa di. Packing karna shuru kar chuka tha aur udhar se maa ke tanne ab badhte jaa rahe the.

" meri to kadar hi nahi hai is ghar mein.. shadi ke baad pati suna raha tha ab beta.. yahi naseeb hai mera.. " vo rote hue papa se baat kar rahi thi aur mujhe farak nahi padh raha tha. Choti si baat par itna bol jati hai tab unhe koi parwah nahi to mene kya theka le rakha hai.. bhad mein jaye sab.. mene packing ki aur ghar se hi nikal gaya, na kisi ko kuch bola aur na hi dekha... jabki abhi flight ko bahut time tha.. ye mera gussa tha jo shayad bahut din se kahin daba tha.. jo nikal chuka tha.. bas jagah aur halat theek nahi the..

Airport par baitha tha aur bas subh hue vakaye par soch kar khud se hi keh raha tha ki bekar mein gussa kar baitha.. insan gusse ke aage sab bhul jata hai vo ye nahi samajh pata ki kuch second ka gussa agar hum andar rakh le to kismat ki kahani kuch aur ho jati hai... Mene ek baar socha ghar phone karun par phir himmat na hui.. vaise bhi unki taraf se koi response nahi tha.

8 baje mein vapis pune tha... ek hi din mein kya se kya ho gaya.. kya soch kar gaya tha... kya ho gaya.. office mein sir ko mene keh dia tha.. aur vo is baat se khush the ki mene time se pehle kaam khatam kiya aur iske chalte do din ka off mujhe mil gaya tha.

Generally mein fb par status dalta nahi lekin us din mene pune vapis ane ka checkin dal dia tha, rahul ko bataya nahi tha, use surprise dena tha aur check in dekh kar vo hua bhi.. vo office ke kaam se mumbai tha aur kal raat tak ane wala tha. Mein khana kha kar fb scroll kar raha tha, acha time pass ho jata hai.. usme kuch chutiye videos aur memes dekh kar. Phir scroll ke time par ata hai ek sabse bada chutiapa, friend suggestion ka.. time pass karne ke liye mene socha chalo us list ko hi check kar lia jaye...

Pehli ayi ek gaunv ki ladki.. ' bc fb filter nahi lagata kya ?' mene delete kia to uski jagah ek aur aya, launda.. swipe.. agla bhi launda.. swipe... jitne launde ate gaye unhe swipe hi karta gaya mein.. chehra bhi dhang se nahi dekha.. kuch school time ke chutie the.. jo aaj stylish ban chuke the... mene unhe bhi swipe kia aur phir ayi ladki.. jo shayad apne school ki thi, mutual friends bahut the.. mein uski profile mein gaya aur dp dekhi.. bc pehle to gareeb lagti thi ab khandani ban gayi thi.. mene back kiya aur phir swipe karna shuru kiya.

" itni khubsurat.. fake kahin ki sali.. " dp dekh kar hi profile ki sachai pata chal jati hai.

" ye to pakka nakli hogi.. behen ki lodi.. naam manju aur photo bc itni sundar.. maa ki lawdi naam par dhayan deti to kuch launde fans jate.. swipe.. "

" waah madarchod... iske to naam mein hi jhol hai... priy@, ye pakka angel priya ki sagi hai... swipe... " aisa karte hue mene vo suggestion list complete ki aur jaise fateh hasil kar li ho aisi tassali hui. Mein fb band karke phone lock karne wala tha ki ek ke baad do message whatsapp par popup hue, unknown number plus no dp.

Mene whtsapp khola aur message box, message tha. Hi and came back ? mein confuse ki kiska number ho sakta hai. Mene reply kia.

" hi.. who's this ?" message blue tick mein tabdeel bhi ho gaye.

" offcourse you didn't know. Mein wahi hun jo tumse hamesha kaam karwati hai "iske sath dant fad vala smily.

" Ohh akansha.. "

" sorry, mene tumhara number save nahi kara tha us raat isliye nahi pehchan paya " mene puri baat ache se samjhayi.. adat padh gayi thi office ki wajah se ek-ek akshar likh kar samjhao warna boss log gand par hath fair jate hain..

" its okay.. waise tum to week ke lye gaye the ? "

" vo actually ghar par ladai........... " mene itna likha aur phir delete kar dia. " kaam jaldi kar aya to socha vapis aa jaun "

" rahul ne kaha tha ki tum family ke sath rehte ho "

" han.. "

" then ? gaye the to ghar par aram kar lete "

" ghar par kaisa araam............ " mene phir delete kia. " bas aise hi .. "

" hmm.. " is hmm dekhne ke baad na to jawab samjh ata hai kya do aur khud se sawal karunga ? to sochegi chep ho raha hai.. aur nahi sochti bhi to mein kya puchu?

" so back to office tomorrow ? " usi ne message kia.

" nah.. "

" then ? "

" sir ne 2 din ka off de dia.. "

" really ? why ? "

" mera kaam acha lag gaya unhe.. "

" that's great... " aur thumbs bhej dia.. na jane kyun mujhe ye sab conversation ek tarfa aur badi hi practically si lag rahi thi. Maza hi nahi aa raha tha.. Uske baad mene koi reply nahi dia bas simple smily dia aur whtsapp exit kar dia. Bistar palang se nikal kar jab palang par laita to akansha ka message aya hua tha.

" hey.. !! "

" Hi... karne ka shauk rakhti hai aap ? " ye pehli dafa tha mene jab kuch aisa apni taraf se likha tha... send karne ke baad khayal aya ki kyun likha..

" hehehe.. actually that hey is for.. ki mujhe ek idea aya.. "

" ohh kaisa ? "

" why don't we have lunch tomorrow ? " umeed nahi thi.. par lunch ka sun kar ajeeb si feeling nachne lagi

" aap free ho ? "

" lunch ke liye to bilkul.. tumhara office hai nahi isliye we can meet.. if you are okay ? "

" yeah.. i am okay "

" that's great.. "

" then i'll c u tomorrow.. "

" ok.. " iske baad vo to chali gayi lekin mein us convo ko khole baitha raha. Man mein bahut se sawalon ka khayal aya ki puch kar phone net off karke so jaun subh jab uthunga to reply mil jayega.. jaise.. kahan milna hai.. kitne baje.. etc etc.. par phir man hat gaya... mene conversation se exit kia aur phir whtsapp se exit karne se pehle mene us number ko add contacts kiya aur Akansha ke naam se save karke band kar dia.

Mera bheaviour, mujhe khud samajh nahi aa raha tha... ek jagah kuch acha lagta to dusri taraf sab kuch bekar... aur filal na mujhe kal ki chinta thi aur na hi koi excitment ... mene rajai odhi aur so gaya..
 

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,643
8,432
219
Update - 89

Kya faida hota hai sochne ka ? Na chaha kar bhi insan sochta hai aur sirf tabhi jab usme koi ladki ho, lekin faiyda kya hua... raat ko to mein ye soch kar so gaya ki koi farak nahi padta lekin agli subh ki khulti ankhon ke baad hi sala chain se baithna mushkil ho gaya tha, pehle to hath mein phone lekar ye sochne laga ki samne se mein khud message karun... sochne mein time lagaya phir himmat kar phone par message bhi likha ' kya plan hai ? ' par use delete karke koi message nahi kiya.Phir is baat ki umeed bhi puri thi ki vo message karegi kyun ki usi ne pucha par sath hi sath is baat ka dar bhi tha ki kahin vo busy hokar bhul gayi thi ? phir laga ki mein itna kyun soch raha hun ? Subh ke routine se free hua to ye sochne laga ki uska message ayega vo mujhe apne pass bulayegi phir hum sath jayenge ek sath, baat karte hue... lekin hua kya...

Mein Akansha ki batayi jagah par pahunch chuka tha, aur kareeb 15 minute se uska intezr kar raha tha. Vakai mein kuch bhi sochna bekar hai.. aur sahi mayine mein ek baat samjhun to mein itna interest kyun le raha hun ? Ab mujhe gussa aa raha tha kyun ki mujhse intezar nahi hota, sahi mein ? ya phir gussa mein shayad isliye tha kyun ki mera man ka abhi tak kuch hua nahi tha..

" ankit ? " shayad dusri ya tisri baar mein mera dhayan aya ki koi mera naam pukar raha hai. " kya soch rahe ho ? "

" kuch nahi bas aise hi.. " akansha mere samne khadi thi.

" sorry thoda late ho gayi.. "

" nhi koi baat nahi "

" hmm chalo.. fir.. bahut tezz bhuk lagi hai.. " Uske baad hum lunch karne gaye, vahi socha tha bahut batein hogi.. lekin vo bahut shant thi aur mein to kuch bolne jaisa tha hi nhi.. order dete time humne thodi baat ki ho uske baad kuch der aise hi baithe rahe, phir kuch sawal jawab.. Mein bich bich mein uski taraf dekhta, sundar to bahut thi... use jada itna shant chehra mene shayad hi kisi ka dekha ho, matlab kaise samjhau.. aisa lag raha tha jaise na to kisi baat ki chinta hai na hi kuch... Phir abhi lunch khatam ho rha tha ki baton mein ek dusre ke kaam ke bare mein baat chalne lagi.. rahul ne bataya tha ki marketing ki head hai.. mere bare mein jitna pata tha use aur thoda jana.. phir vo batein families par ayi aur phir vo baat ayi.. jo rahul ne kahi thi... she is about to get engaged.

Lunch normal raha, mera thoda mood kharab ho gaya tha pata nahi kyun par aisa lag raha tha jaise kuch sahi nahi hai. Us din ke baad mujhe laga jaise sab normal ho jayega.. aur hona bhi shuru ho gaya tha, rahul vapis aa gaya tha, routine life bhi chal padi thi, par ab uske sath sath meri aur akansha ki baat cheet hone lagi thi, din mein 5-7 min hi sahi par hone lagi thi. Mere andar jo feeling uske liye aye the vo gayab ho chuke the, mera vo upset hona sab kuch jaise khatam.. ye meri soch thi.. kyun ki mene apna dimag filal apne kaam mein laga lia tha ...

Us din sham ko mein office se jaldi ghar aya tha, laptop par baitha tha, aur achanak muth marne ka man kar gaya.. aur phir muth marne laga.. vo porn thi bhi gazab.. bc 3 minute mein hi beh gaya mein to... aaj bahut dino ke baad muth lagi thi to sar aisa halka ho gaya tha jaise dunia ki sab takleef dimag se khatam ho gayi ho.. dunia bekar mein sharab par kharcha karti hai.. thoda kharcha apni hath ki lakeer lund par masal de to vaise hi safal ho jaye sab kuch.

Muth mar kr tv dekhte hue raat ho gayi aur roz ki tarah aaj bhi akansha se baat cheet chal rahi thi.

" tell me one thing ? "

" hmm.. "

" tum asal mein sharmate ho ya sirf dikhate ho "

" samjha nahi "

" last time hum lunch par gaye the tab mene notice kia "

" kya ? "

" tum mujhse nazre kyun chipa rahe the ? " ab mene message read kar lia par jawab kya dun ye sochne laga. Bahut socha ye likhun vo likhun.. par end mein kya likha..

" nahi aisa kuch nahi hai.. "

" itna kehne ke liye itna time ? kuch to gadbad hai boss.. "

" nahi nahi aisa kuch nahi hai " aaj pehli baar hamari is tarah ki baat cheet ho rahi thi shayad itne dino ki understanding ki vajah se attitude mein changes aa rahe the jo ki bahut normal tha.

" gf hai isliye nahi dekh paa rahe the ? "

" gf ? meri.. nahi koi hai nahi "

" r u serius ? "

" yep "

" juth mat bolo "

" nahi yar seriously.. "

" hmm.. strange "

" aisa kyun ? "

" bas aise hi.. "

" apko aisa kyun lagta hai ki meri gf hogi ? " vo offline jaa chuki thi, iske baad usne reply bhi nahi dia. Subh utha to akansha ka message tha ki sorry was in call, mene swipe kare hataya aur office ke liye nikal gaya. Office ka kaam ab office mein kam client ki taraf jada rehta tha.. yun kahun ki office ko client side handle karne vala ek naya banda mere roop mein mil chuka tha.. khair badia tha.. mere liye bhi .. jab kaam kam hota to ghar bhi jaldi aa jata tha.. lekin aaj kuch jada hi late ho gaya tha.. pichle kuch dino ka sara aram aaj hi nikal gaya.. Ghar akar mein fresh hone ke liye chala gaya aur khane pine ke baad, jab charging se phone hatane gaya to dekha 5 missed call the akansha ke. Mene time dekha to 11:45 ho rahe the, aaj se pehle hume kabhi call par aise baat karne ke liye call nahi ki thi, isliye ajeeb laga.. socha phone karun ya nahi.. ye sochta raha ek pal ke liye phir kuch soch kar phone lagaya.. dil mein dar tha aur man mein sawal ki vo kya sochegi ? itni raat mene use phone kyun kia... Akhir phone ki ring bajti rahi aur end mein phone cut ho gaya... mera bhari dil thoda halka hua ye soch kar ki chalo mene apna farz pura kia call karke varna vo sochti ki missed call dekh kar bhi call nahi kia. Bas abhi phone rakh kar mein bathroom ki taraf jaa raha tha ki mera phone bajne laga.. umeed yahi laga raha tha ki akansha ka ho... par dikha aisa raha tha bahr se ki na jane kaun aa gaya itni raat?

Screen par akansha ka naam hi flash ho raha tha, mene phone kuch soch kar kuch second baad uthaya.

" hello " mene kaha.

" helo ankit... " vo itna bol kar chup hui... aur phir.. " kuch nahi.. " itna keh kar usne phone cut kar dia. Ajeeb baat thi.. bahut ajeeb... aisa call par kaun karta hai.. aur iske alawa jis tarah ka sanata aur khamoshi thi mera naam lene ke baad use aisa laga jaise kuch hai.. vo kuch kehna cha kar bhi nahi keh pai isliye phone cut kar dia, awaz normal thi ya nahi ye to mein samajh nahi paya.. par kya ho sakta hai ? khud se itna sochne par dimag ne kuch aur nahi socha aur is baar bina parwah kiye mene akansha ka number dial kar dia..
 
  • Like
Reactions: james_kr

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,643
8,432
219
Update - 90

Par mere phone milane par sirf ring jati rahi aur kuch nahi.. Puri ring hoti use pehle mene kat dia kyun ki achanak ye zehen mein aya ki aise itni raat ko phone milana shayad sahi nahi hai. Nind jaise kahin kho gayi, man itna bechain ho gaya ki samajh nahi aya kya karun.. do sawalon mein kho gaya tha, message karun ? ya nahi.. do teen bar kosish ki par nahi hua, ajeeb musibat thi.. ajeeb fansa dia isne.. jab baat nahi karni thi to phone kyun kia ? i mean.. ye galat hai bc..... Sone jata uski jagah tv dekhne baith gaya, tv mein to vaise hi kuch nahi ata.. ek channel par akar ruk gaya kyun ki vahan gane badia aa rahe the, aa to purane rhe the lekin badia lag rahe the. Sunte hue meri nazar phone par gayi.. ye sali chiz hi kharab hai.. phone nahi ye ladkiyan... Akhir phone utha kar mene message ke liye whtsapp khol hi dia. Bc zindagi ki adhi barbadi to ye whtsapp hi hai...

" every thing is ok ? " mene message send karke phone aise patka jaise lakhon ki tizori ka maal saaf karke baitha hun aur ye dikha raha hun jaise mene kuch kiya nahi. Dil se ek bhoj phir kam ho gaya ki mene apni taraf se kaam kar dia hai, isliye ek gane mein magan ho gaya...

Kareeb 5 minute baad phone ki taraf nazar gayi to dekha ki led light blink ho rahi thi yani message aya hua tha. Mene phone unlock kia aur dekha akansha ka message aya hua tha.

" hmm yes.. " pehla message

" no " second

" sorry for disturbing " teeno message tab ke the jab mene kiye the yani 5 minute pehle. Chutia se bada chutia hun mein

" akansha are you ok ? " is bar mene whtsapp band nahi kiya aur phir baton ka silsila shuru hua jiske baad ye shuruwat ek ajeeb se ant tak pahunch gayi.

" i am sorry, mujhe tumhe call nahi karna chahie tha "

" are you ok ? " mein apne sawal par hi zama tha.

" yeah.... i don't know "

" kya hua ? "

" nothing "

" personal? "

" i don't know.. " shak to mujhe ho raha tha lekin mein khud se kehna nahi cha raha tha par uske jawab majbur kar rahe the ki mein hi puchun.

" wanna share ? "

" why everything seems so complicated ? "

" mere hissab se complicated hota nahi hai "

" then ? "

" hum banate hai shayad... "

" hum ? kaise ? "
" uhmm.. ichayein bahut hoti hai hamari aur jahan hum umid rakhte hain life wahin se complicate ho jati hai " usne kafi time liya iske baad kuch kehne ke liye, mein bhi baitha raha, agar vo online nahi rehti to shayad chala jata lekin online bhi thi bas ye lag raha tha shayad kahin aur busy hai par uske jawab ne to bata dia ki vo meri hi baat ke bare mein soch rahi thi.

" to kya hume ab umeed bhi nahi rakhni chahie ? "
" nahi mene aisa bhi nahi kaha "

" i am confused "

" Umeed mein feelings judi hoti hai shayad tabhi hum udas hote hain aur yahi reason hai complications ka.. "

" tumhe kaise pta ki mein sad hun ? "

" feelings se.. " baat-cheet itni gehri thi ki mein bas keh gaya.
" can i call you ? if you are ok ? "
" sure " jab samne se ek ladki tumse baat karna chahti hai to ye to pakka hai ki use abhi jarurat hai aur uski jarurat ke hissab se tumse behtar insan koi nahi hai.

Akansha ka agle minute phone aa gaya " hello " mene pick karte hi kaha. Vo phone milane ke baad bhi khamosh thi. Pareshan lag rahi thi.. mein samajh to raha tha ki ek ladki tabhi itna pareshan hoti hai jab uski umeed ki feelings ko chot pahunchti hai ab ya to mein us chot ki vajah jan sakta tha ya phir uspar malham laga kar uski jalan ko kam kar sakta tha, pehle raste mein shayad mere pas kuch na hota par dusre raste mein kuch jarur mil jata..

" itni khamoshi kyun hai bhai ? " bahut hi cheap aur ghatia shuruwat thi par karni to thi hi
 

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,643
8,432
219
Update - 91

Meri baat ka koi reaction nahi dia usne, bada ajeeb sa moment hota hai ye samajh nahi ata ki kya kahe aur kya nahi..

" akansha.. " naam pukarne par usne reaction dia.

" hmm... " aur phir mera dhayan phone ke background ki taraf gaya uski itni khamoshi hi thi jisne us shor ko suna dia.

" ek ladki sidhi sadhi si.. soti raton mein jagi si.. " mene kaha aur vo ek pal ke liye samjhi nahi.. " yahi song sun rahi hu aap abhi.. mein bhi yahi channel par song laga kar baitha hun.. "

" bhighi bhagi si.. " vo boli.

" matlab ? "

" ek ladki bhighi bhagi ssi.. "

" han yahi song sun raha hun "

" tumne sidhi sadhi kaha.. "

" ohh acha.... "

" old song pasnd hai tumhe ? " usne mujhse pucha.

" nahi.. par kabhi kabhi sukun de dete hai.. as in relief.. "

" hmm " itni upset ? jada ho raha hai ye.. nahi koi badi baat hi hui hogi, par puchunga to vo aur upset hogi, isme koi faiyda to hoga nahi balki batein shayad yahi khatam ho jaye.

" apko yaad hai apne mujhse kuch pucha tha ? "

" hello ? " response na ane par mene kaha.

" uhmm... i am sorry.. mera dhayan nahi tha.. "

" ohk.. "

" tum soch rahe hoge ki kaha fans gaya ? its ok .. you can go.. "

" go se yaad aya.. meri maa ne yahi kaha tha aur mein do din pehle ghar chhod kar aa gaya tha.. "

" matlab ? " vo ek dum se action mein ayi, ladkiyan jitni bhi pareshan kyun ho na lekin batein janne ke liye hamesha taiyar rehti hai. Uske puchne par mene sab bata dia, actually ye baat mein islliye nahi batana chahta tha kyun ki hamare bich kuch itna close relation tha hi nahi.

" tumne aisa kyun kiya ankit ? " vo meri baat sun kar boli. " tum nahi samjhoge ki unpar kaisi beeti hogi.. you know.. jab hum kisi se pyar karte hain to haq hota hai unka hume dantne ka.. "

" haq hi hamare rishton ki sabse kamjor rassi hai..ehsan ki tarah hoti hai.. jab pura kar do tab rishte rehte hain varna jata diye jate hain.. "

" tum.. " usne ek pal ke liye pause lia. " kis way mein rishton ko dekhte ho ? "

" mein.. ? "

" hmm " jawab nahi tha isliye mene kuch time lia.


" matlabi... " mein kuch soch kar bola.


" mein kuch samjhi nahi "



" asan hai.. hum apni feeling kisi ko batate hain.. matlab hua to vo samjhta hai varna apni zindagi mein mashul ho jata hai.. "



" isme feelings mazak hue ? ya rishte ? "



" feelings... rishte jodte hain... aur rishte insan ke matlab.. "



" bina un matlab ke rishte nahi bante ?



" nahi.. "



" galat.. "



" bina un matlab ke hum insan bante hain.. aur ek insan rishte banata hai na ki unke matlab ... " akansha kuch aur kehti use pehle mene apni baat puri ki. Usne ek gehri sans li..



" tum sab itna asan samjhte ho .. "



" kyun ki mein akela hun.. " mein janta tha vo kya kehna chahti hai.


" tumhe sab pata hai.. kya tum ye bata sakte ho ki mein kab khush hongi ? " mein pura andaza laga sakta hun ki usne vo baat bahut masumiyat se kahi thi. Uski awaz ka rukha-pan.. gale mein tehrav.. shayad vo roo rhi thi.. ya so chuki thi... ya bolte hue rona chahti thi.. inme se kuch to tha.. Mein apni jagah se khada ho gaya...


" hum khush kyun nahi hote janti hai aap ? " mere pas jada waqt nahi tha, jitna tha usme ab irritate karna padne vala tha. Vo kuch nahi boli, mein janta tha vo is waqt mujhe kuch jada hi samjhdar samajh rahi thi aur sath mein irritate ho rahi thi.


" apke pas koi hai.. ? "



" matlab.. " usne apni naak sikodi, jaise rote tym hum aksar karte hain.


" apko hi nahi pata ki apke pass kya hai.. "



" nahi... kya.. "



" aap khud... "



" mein samjhi nahi.. "



" mere pas kya hai mere alawa... akelapan right ? "

" hmm.. "

" to apke pas kya hai apke alawa.. ? "

" uhhh.. "

" apki ye khamoshi.. "

" do you want to go ? " mein janta tha meri baton se yahi hona tha.

" kyun ? "

" i don't know.. it feels like it.. "

" but if you wanna go its fine.. i can understand... " vo bolti gayi mein chup raha.. jaise vo khamosh thi ab mein tha.. " ankit .. r u there ? "

" yes.. sorry.. vo just.. i think.. apka koi door knock kar raha hai.. ? "

" mine ? " usne jaise phone khud se dur krte hue kaha. " no.. "

" hmm.. aisa laga ki koi apka door knock kar raha tha... acha mein kuch keh raha tha.. apne abhi apni feeling ki baat kahi.. right ? "

" hmm.. "

" to kya aap ye bata sakti hai ki... " mein ruka.. " apne suni ? "

" kya ? "

" apka koi door knock kar raha hai.. "

" par.. i couldn't hear.. wait.. "

" dhayan se kholna.. der kafi ho gayi hai.. " usne apne kan se phone hata lia tha aur phone par uske chalne ki awaz aa rahi thi. Iske baad uske door ki lock khulne ki awaz ayi aur phir dhire se door khulne ki jo jada nahi tha..

" kaun .. ? " Usne apna chehra bahar nikalte hue kaha aur phir.. " ankit you.. ? "

" apne kaha tha na ki apke future ki khushi kahan hai ... " mein halka sa smile karte hue bola. Ye mene kaise kiya mein khud nahi janta.. lekin akansha ki us baat ke baad mein ghar se nikal gaya... aur usko baat mein bas uljhaye rakhna chahta tha taki time par pahunch saku.. mein janta tha ki vo mujhe dekh kar khush to nahi hogi lekin mein to use dekh paunga ki vo kaisi hai, keh nahi sakta.. par shayad ye baat sahi hai ... ki himmat ke liye insan ko kisi ke sath hi jarurat nahi hoti... vo hamesha uske sath hi hoti hai..
 
  • Like
Reactions: james_kr

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,643
8,432
219
Update - 92

" apne kaha tha na ki apke future ki khushi kahan hai ... "


Mene tab ye bolne se pehle nahi socha tha ki iska asar aur asliyat meri zindagi mein aage bhi ayegi.



" ankit, how ? i mean.. " use bilkul umid nahi thi uski ye confusion saaf bata rahi thi.


" i think, ki aap khush nahi ho " meri baat sunne se pehle uske chehre par smile nahi thi lekin kehte hi vo halka muskura padi.


" aisa to mene nahi kaha.. "



" bina kahe andaz samajh jana hi to feeling kehte hai akansha ji.. " mene ye baat kahi mazakiye tarike se thi, lekin mein us waqt ye samajh nahi paya ki is baat ke piche ka matlab kuch aur hi tha.


" why.. ? " kuch der pehle akansha jo apne darwaje par chup kar khadi thi ab vo uske shahare khadi mere se baat kar rahi thi.


" matlab ? "


" ye surprise kisliye.. " uske kehne ka matlab mere ane se tha.


" Ye surprise hai ? seriously... finally mene kisi ko surprise to dia. " mera reaction kuch jada hi over reaction tha.. Bahut si chizen sikhni thi mujhe.. Vo kuch nahi boli to mene hi apne reaction ko control kia.


" i don't know honestly, par han.. " mene ek second liya sochne ke liye " kabhi kabhi dil ki sun leni chahie kyun ki vahi dusre dil ke kori dhadkno ki awaz sun sakta hai... "



" how sweet... " vo bahut halki awaz mein boli par mujhe sunai de gayi aur mein nature ke viprit sharma sa gaya. Na vo kuch boli aur na mein.. ye aisi khamoshi thi jisne meri soch ko pareshan kar dia tha, mein kabi uski taraf dekhta to kabhi idhar udhar...



" are you ok now ? " akhir kuch na soche jane par mene yahi pucha.


" hmm.. " vo itni hi boli, mene pehli bar uski ankhon mein dhayan se dekha, pata nahi raat ki nind thi ya phir uski pareshani ..



" good.. mein ab chalta hun... take care.. " mere kehne par use jaise kuch yaad aya.


" ohh i m sorry.. andar aao.. mujhe to dhayan hi nahi raha.. i am so sorry.. " vo darwaje se hati.


" nah nah... phir kabhi.. raat bahut ho gayi hai.. good night.. u take care.. bye.. "


" bye... nd good night... " dono ke chehre par ek smile thi, mere chehre par isliye kyun ki mein khud se satisfed tha uske chehre par... ?



Subh alaram bajne par utha, par nind itni thi ki laita raha.. late to hona hi tha to socha ho hi jaye aaj late..



" uth ja .. " rahul ne meri gand par chapet laga di, sala ek number ka dalla bisexual hai.. harami.. mene man mein kaha par koi jawab nahi dia.


" tune kal akansha ka number itni jaldi mein kyun manga tha.. ? " mene phir koi jawab nahi dia.


" salle dalle bhul mat uska kabhi bhi tanka bhid sakta hai.. vo already numbered hai.. " pata nahi kyun uski is baat ne meri gand sulga di.


" teri gand mein kyun itne kide nach rahe hain... madarchod... apne kaam se kaam rakha kar.... tere se kisi ne pucha uska kya hai kya nahi.. aa jayega apni gand bich mein lekar marane .. itna hi shauk hai to sale red light par khada ho jaya kar roz.. bc ab ye launde sikhayenge hume jo khud apni boss ki gand mar kar office mein zinda hai... " vo mere chehre ko ghur raha tha.


" pyar se bhi bol sakta hai.. bhadak kyun raha hai.. ja taiyar ho jaa.. " vo phir meri gand par chatak lagate hue bola aur room se nikal gaya.


" aur bhosdike.. ye teri gand nahi hai jo hak samajh kar bajata rehta hai... "



" apni gand kaun bajata hai be ... i like every other gand's hahaha.. " vo bol kar flat se nikal gaya. mein kuch nahi bola aur phir naha dho kar office ke liye nikal gaya. Office pahunchne ke baad mene phone nikal kar net on kia to kuch apps ke notification aur whtsapp par messages the, jinme se ek akansha ka tha.


" thank you.. it means a lot, what you had done today.. " man to kiya nach uthun.. chatti ful rahi thi.. garv mehsus ho raha tha. Samajh hi nahi aya ki jawab kya dun ? Bas simple wala smily send kar dia aur phone rakh kar kuch thoda kaam pada tha use khatam karne laga.


" are you free ? lunch ? " uska message dekh kar chehra khil utha, kaam niptane ke baad jab phone dekha to uska message tha. Mene 'sure' likha aur phir use lunch par join kar lia. Vo kal ke mukable aaj kuch alag mood mein thi, yani khush.. pichle lunch ke mukable is bar hamari batein jada thi.. ek raat rishte mein.. nahi nahi ek pal.. rishte ko badal kar kahan se kahan le jate hain iska pata insan ko nahi chalta.. shayad yahi vo connection wali feeling hoti hai jisme hume umeed nahi hoti lekin phir bhi rishta jud jata hai.. shayad ise hi rishta kehte hain.... Do batein, do pal ki khushi aur phir unhi baton ka intezar.....



Mene kabhi is baat ko nahi socha ki mera use rishta kya hai, mene sirf us pal ko dekha jab uski mulakat mere sath hui, par jaise jaise waqt aage badh raha tha mein khud se haar raha tha... harna matlab kamjor ... Akansha ek aisi ladki thi jo itni straight thi ki mere jaise complex ke sath koi bhi rishta behad ajeeb tha, ye baat mene do teen bar khud se sochi bhi.. par mein jab bhi is rishte mein negative sochta to khud se hi gussa ho jata.



Lunch to jaise bina ek dusre ke ab hota nahi tha, ek din ki baat hai, lunch karte waqt vo mere sath apni kuch memories share kar rahi thi aur unhe share karti hui us memories mein vo phone par photos dikha rahi thi. Meri to samajh nahi aa raha tha kiski taraf dekhun, un photos ko ya phir uske hanste hue chehre ko jo bilkul mere chehre ke kareeb tha, aisa nahi tha hum dono ek dusre ke kareeb pehli baar baithe the, par filal uska itna kareeb baithna.. mene apni sans par kabu rakha, mein bahut galat jaa raha tha... aur khud se baar baar ye baat khud ko samjha raha tha. Par vo to befikar thi.. jaise kuch nahi hai.. itni befikar.. shayad jo mein feel kar sakta tha uske bare mein vo nahi soch rahi thi aur vo sochegi kyun ? galti uski nahi thi.. balki meri thi... Khud se sawalat karne ke baad mein uski kahani sunne laga.. aur vo apni memories share karti hui jab photos scroll karne lagi to mene ek dum se uska hath rok dia aur ek photo ko piche scroll kar dia.


" kudrat ki paheli ko koi suljha nahi sakta.. "



" kch kaha tumne ? "



" nahi bas.. " mein kuch keh hi nahi saka us photo ke aage, vo shayad subah subah ki li hui ek random click thi.. lekin random sirf vo waqt tha... tasveer to kudrat ki subah ki tarah gulabi thi. Itna nikhar jagne ke baad koi dekh le to shayad uska din kabhi bura jaye hi na.. uppar se vo banawati muskurana.. aisa laga jaise pahadon ke piche se suraj... mein ye soch kar hans pada ki us mahol mein akansha kya soch rahi hogi jo soch kar vo hansi.. aur akansha ne bhi fauran us hansi ko pakad lia.


" hans kyun rahe ho ? "



" nahi kuch nahi.. "



" nah.. kuch to baat hai.. tum hamesha baat ko aise tal dete ho.. tell me.. "



" ye photo.. " mene bas itna hi kaha.


" i know.. ye photo.. random click tha.. tum bhi jaan kar yahan ruk kar mera mazak bana rahe ho na.. "



" nahi .. this is the best... ye jo photo hai .. ye natural hai.. iska glow... " mein bahut kuch kehna chahta tha lekin ruk gaya... aur photo scroll karne laga, akansha kuch der chup rahi aur phir apni baat batane lagi.


Mujhe itna malum hai ki ek ladki apni tarif se ladke ke intension samajh jati hai aur is kahani mein jab mujhe khud apne intension nahi malum the to mein kaise akansha ko mere intension judge karne deta.. jabki i know ki vo kabhi bhi engaged ho sakti hai ?



Mein nahi janta tha hamara sath kitna hai aur na hi kab tak is rishte mein yun hi bina umeed ke mein khush rahunga par jab bhi tha mein khush rehta tha.. uski maujudgi hi kafi thi.. sab kuch normal chal raha tha, mere intension, meri feeling ko mein daba kar rakh chuka tha, par uske rishte sirf mujhse hi nahi jude the aur uski wajah se is normal kahani ki likhai badal gayi...

Mere hath uske hath ki taraf bade aur dhire dhire hi sahi mene unhe pakad liya, dil ye sab karte hue behad tez dhadak raha tha, mere hathon ka sparsh pakar jab uska response nahi aya to mene himmat karke uski taraf dekha, vo ankhein band kar chuki thi, jinme se shayad uske bhare ansu bahar aa nikle the, mein uske itne kareeb tha ki uske ansu ki chamak roshni mein nazar aa rahi thi, mein uske chehre ke najdeek gaya aur uske ansu ko chehre se saaf kar dia, meri bhari sansein uske chehre par padh rahi thi is baat ka abhas mujhe tha, kyun ki jis hath ko mene pakad rakha tha un hathon ko usne sofe par kas liya tha.

" akansha.. " mera itna kehne par usne apni ankhein kholi aur apna chehra meri taraf mod lia, chehre itne kareeb the ki uski sansein mere chehre par thi, aur khamoshi itni ki uski sanson ki ghabrahat, dil ki bechaini mere kano mein gunj rahi thi. Ye ek aisa moment tha jisme vichar, soch jab ghul jate hain kuch samajh ata to vo tadap jo us moment mein do dilo ke andar bhar chuki hoti hai aur nikalne ke waqt dunia ko bhul jati hai.. rishton ko bhul jati hai..

Mere aur uske honth ek dusre se ja jude jiske baad akansha ne mere hathon ko majbuti se pakad lia.
 

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,643
8,432
219
Update - 93

36 Hours Before !!


" aunty uncle kab se bahar hai ? "



" 5 saal ho gaye ab to.. "



" atte-jatte nahi ? "



" atte hain.. par kabhi kabhi "



" aap bhi wahi shift ho jaoge ab ? " ye sawal karne ke liye mene pure 2 min lagaye sochne mein ki kaise puchun


" maybe.. " usne apni ankhein gol gol karte hue kaha aur lunch karne lagi aur mein bhi phir achanak se vo boli.


" tumhari baat hui ghar mein ? " yaad tha use.. mein hi bhul gaya tha ki mene use sab bata dia hai ki mein ghar se kaise vapis aya.


" nahi.. " mene nazre niche kar li aur lunch karne laga. Mera mood badal gaya.


" why ? "



" aise hi... "



" ankit ? "



" ankit.. " usne dusri baar mera naam liya tab mene nazar uppar uthai kyun ki mein janta tha vo kya bolegi.


" tum itne mature ho.. phir aise kaun karta hai ? vo bhi apne hi parents ke sath ? and baat karo vo to shayad bhul bhi gayi hongi and expect kar rahi hongi tumse baat karne ke liye they always misses you trust me.. and you know na ki jab koi nahi hoga they are for you.. "



" aisa nahi hoga... mere liye mein hi kaffi hun.. " mera jawab sun akansha ek pal ke liye hairan hui.. shayad bahut.. kyun ki use mujhse aisa expect shayad nahi tha.


" Ok " iske baad vo kuch nahi boli. Mein janta tha jo mene kaha vo bilkul sahi nahi tha bilkul... Uske baad akansha ne meri taraf dekha nahi aur phone par busy hokar bas lunch karti rahi jaise mein uske liye kuch tha hi nahi.. usne meri taraf tab tak nahi dekha jab tak usne meri awaz nahi sun li.



" han maa... kya kar rahi ho ? " uske baad meri maa se kuch der tak baat hui aur jab baat khatam hui to akansha ne muskurate hue meri taraf dekha. Kaisa asar tha uske is rukhe pan ka jo bardasht hi nahi hua...Par jo bhi hua dil bada halka hua.. ek ajeeb sa bhoj jo tha kuch din se jo samajh nahi aa raha tha kyun hai vo is waqt nikal gaya.


" thank you "



" for what ? "



" bas aise hi.. galti meri thi aur mene hi baat nahi ki ghar par.. "



" i know... " raat ko batein karte hue kab time kat jata tha pata nahi chalta tha. Sone se pehle mein akansha ke bare mein hi soch raha tha.. soch kya raha tha balki use picture kar raha tha uske ho sakne wale fiance ke sath aur sath mein ye bhi soch raha tha ki mujhe kaisa feel hoga.. sach kahun.. ek baar to man kiya ki zindagi mein dard to mile par ye dard nahi jise nind mein bhi dil roye.. phir agle pal jab vo chiz mehsus hokar bardasht nahi hui to sochna hi chhod dia aur ye sochne laga jis raste ko chun nahi sakte use life ki paheli mein banana hi kyun.. Sona behtar option tha vo bhi bina kuch soche.. kyun ki hum us bare mein jitna sochte hain jo hamare liye hai par hume nahi milegi utni takleef hoti hai.. Insan hai yar .. janwar nahi jo mehsus karke bol nahi sakte.. roo nahi sakte...



12 Hours Before !!


Mene message kiya tha par reply nahi mila tha aaj, aisa pehli baar nahi tha kafi baar hua tha, lekin lunch par hum milte the, mein roz ki tarah vahin baitha tha. Par aisa nahi hua tha ki itni der baithe rehna pade, message mene kuch bheje par response nahi aya tha, nazar bar bar darwaje par thi.. lunch mein bahut hi jada tukdon mein aur dhire dhire kar raha tha ye soch kar ki vo aa jayegi par aisa hua nahi.. ek pal call karne ki sochi par nahi kia aur jo lunch 10-15 min mein khatam ho sakta tha usme mene 1 ghanta laga dia vo bhi pura nahi kia aur beman se khaya jo khaya.



Zarur office mein hi busy ho gayi hogi, ye soch kar mein office vapis aya aur phir uske office walle floor ki taraf chal dia. Ab office mein jakar kaise puchun ? meri nervousness hamesha mere sath jo rehti hai.. wahin khada raha andar nahi gaya mein... idhar udhar ghumta raha gate ke bahar jhankta raha... matlab mein janta tha ki andar jakar puchta to 2 minute lagti lekin 20 min se chakar laga kar apna khun ka pressure bada raha tha..


Yakeen mano mera mene kayi baar kosish ki andar jakar kisi se puchun par nahi puch paa raha tha :banghead: uppar se rahul ko phone karta to uske sawlon se mera sar fatta aur uski gand... isliye us chutie ko phone nahi kia



40 minute nikal gaye, office se sar ke 2 phone aaye jis bich mein office jakar do chote mote kaam nipta aya, phone bhi check kiya mene apna par message ka reply nahi aya tha, call karne ki sochi par bas office meeting ka soch kar nahi kia, par aisi kaun si meeting thi ye ? pehla sawal.... aur mein itna bechain kyun ? dusra sawal... jawab khojta use pehle vo hua jo mein kab se soch raha tha ki bc is office mein koi bahar nahi ata kya ? tabhi ek admi bahar aya jo pata nahi office ka koi kaam karne wala hi lag raha tha.. cleaning types wala..


" excuse me bhaiya " meri awaz sun kar vo ruk gaya. " akansha madam ko jante ho tum ? "



" han. " vo aram se bola


" meeting mein hai ? "



" nahi sir, vo to ayi hi nahi aaj.. "



" oh.. " mere muh se ek bar yahi nikla aur phir ek pal ke liye blank. " thank you "



Office ke 6 bajane mushkil ho gaye aaj.. ajeeb sa mood off ho gaya.. bina kisi reason ke.. ye kaun sa reason hua ki usne mujhse koi baat nahi ki, lunch sath nahi kia to mood is tarah kharab ? Kisi tarah thoda bahut kaam kia aur sham ko nikal gaya. Raste bhar rahul kuch na kuch bolta raha lekin mene koi interest nahi dikhaya, ghar pahunch kar mein thoda laita... par sala is laitne mein kahin se bhi aram nahi tha... dimag kharab ho raha tha..



1 Hour Before !!


Mein akansha ke flat ke samne khada tha, i dont know kyun .. kaise... office ke andar nahi ghus paya tha yahan bhi yahi haal hai.. darwaja hi nahi khatkhataya jaa raha tha.. kyun ? aree samjho mein use kya bolta ki mein use milne kyun aya hun .... kya kaam hai mujhe ? usko to yah lagega ki mein uske sath flirt kar raha hun aur involve hone ki kosish kar rhaa hun ye jante hue bhi ki vo kisi aur ke sath ? confusion ne mere dimag ki nasbandi kar di thi. Akele nahi hui to ? kisi aur ke sath hui ? tab.. us time kya karunga.. koi bekar sa excuse... shit.. aya hi kyun mein yahan... Dil itni zor se dhadak raha tha ki next pal itna sab sochne ke baad bhi mene bell baja di.. aur phir to sansein tez ho gayi.. bc mera bp kisi din mere dil ki nasein fad dega.. ye mohabat sach mein kisi din marwyaegi... abe kya bola mein?



Iske aage kuch hota use pehle darwaja khulne ki awaz ayi.. aur akansha ne apna chehra bahar nikal kar meri taraf dekha, mene usi ek pal mein soch liya tha ki mein kaise react karunga..


" hi akansha.. " mein khule hue smily ke sath bola.. jaise mein kitna khush hun bina ye dekhe ki vo kaisi hai...

" i am sorry ankit... i can't talk to you.. please go.. " itna bol kar door band.. aur uske baad mera muh.. bc bc pehli baar kisi ke sath is tarah se mene confornt kiya tha aur usi mein chud gaya.. bc isliye kehte hai jab muth marni na aye to lund ko kisi bhi angle mein nahi modna chahie.. varna tumhari nasle tedi paida hone lagegi.... Mujhe bada gussa aya... khud par.. aur mera mood jo kharab tha uske attitude bhar aya .... man mein to bahut galiyan dene ka man tha khud ko... par bina kuch bole mein jane ke liye mud gaya.
______________________________

Mein samajh gaya tha ki iske piche reason kya hai aur khud ko bhi gali de raha tha ki mein aya kyun? ek hi din ki to baat thi... lekin phir bhi mein aya aur uska result ye nikla... bohat jada gussa aya... par kar kya sakta tha .. ye meri kharidi hui icha jo nahi thi... Mein vapis jane ke liye mud kar do kadam aage bada tha ki piche se mujhe rok lia. Kaun rokega... akansha hi ... Mein jab muda to vahi thi.

Vo kuch bol nahi rahi thi par usne mujhe pakde rakha tha. Vo ek tuk mujhe dekh rahi thi aur mein uske chehre jispar kuch ansu shayad abhi bhi reh gaye the aur vo behad pareshan dikh rahi thi, mein samajh gaya tha ki shayad phir kuch baat hui hai par har ki tarah mene tab bhi use nahi pucha.

" its ok akansha.. i am sorry mene tumhe disturb kar dia .. " vo mera hath chhod chuki thi. " i think mujhe chalna chahie.. " mene ek dafa use aur dekha, man to kar raha tha use gale laga kar uske sare dukh ko sokh lu apne sine mein lekin ye sirf kehne ki batein thi.. Bada hi asmanjas sa mahol tha, isliye mene jana behtar samjha kyun ki mujhe nahi pata tha akhir yahan karna kya hai.. Mein bas bye kehkar thoda hi piche hataunga ki uske lafzon se behad dhimi par is khamoshi mein bhi itni clear sunai di ki mere pair ruk gaye.

" co...m.e..e pl.e..as.e.. " uski awaz aisi thi jaise dard uske dil se nikal kar lafzon mein aa gaye ho.

' kya hua hai akansha ? tum is tarah pareshan ho.. batao.. mein sach mein tumhe aise nahi dekh paa raha hun.. please batao kya hua hai.. shayad mein tumhare is dard ko itna kam kar dun ki us dil ko pata bhi na chale ki dard hota kya hai ? bas ek baat batao to.. ek baar.. mujhe samjhao dekho kaise mein phir tumhe use itna alag kar dunga ki khojne par bhi sirf ek hi chiz milegi.. sukun.... ' ye sab batein mein bolna chahta tha.. kehna chahta tha lekin kya nikla... muh se.. kuch nahi sirf ankhein samne chal rahe tv par thi jispar koi cartoon film chal rahi thi aur mein bas sofe par baitha tha.. bagal mein baithi thi akansha vo bhi bas tv ki taraf hi dekh rahi thi.. Is this really so difficult ? kuch kehna.. par mein aisa to nahi tha.. mein bol sakta hun.. sidhe.. ki kyun ro ri hai ? chal aja.. kuch excited krte hain .. maza hi alag milega... nahi? shitt.. kya soch raha hun ye mein.. Mene ek taraf akansha ki taraf halki si nazar dali, uski dress bahut hi jada revealing thi.. uska top.. man mein ek ajeeb sa khayal aya... hat bc chutie... pata nahi kaise ajeeb ajeeb si batein aa rahi thi par jo bolna tha vahi nahi bol paa raha tha, shayad vo mujhse kuch expect kar rahi thi.. par mein hi tha jo uski expectation ko khatam kar chuka tha. Achanak se akansha ke hasne ki awaz ayi... mene usi pal uske chehre ki taraf dekha to vo vakai hans rahi thi par kyun ? phir uski nazar ki taraf dekha to uski nazar tv par hi zami hui thi, phir jab mene bhi tv ki taraf dekha to vo cartoon film ke scene par hans rahi thi..

Emotions.. Badi hi kutti chiz hai.. kai bar bikh dene ke liye 10 rs ka emotion nahi hota hamare pas aur kai baar itne emotions ikhate ho jate hain ki unhe hum sambhal nahi patte.. shayad kuch aisa hi akansha mehsus kar rahi thi aur mein abhi tak shant tha, meri nazar tv par thi par dhayan kahin aur .. phir agle pal vo hansti hui awaz rone mein badal gayi..

Vo is bar zor zor se ro rahi thi, chehre ko band muthi mein daba kar phir ek dum se usne rona band kar dia aur nak sikodti hui apne hathon se chehra saaf kia aur phir shant hokar baith gayi.

" akansha.. "

" uhmm.. " uska galla itna jada bhara tha ki ek pal mujhe aisa laga ki ye uski awaz nahi balki koi thokar hai jo shayad andar se use mil rahi ho.

" what happened ? "

" nothing.g. " vo mushkil se boli par boli, uska chehra ansu ... ankhon ke niche kajal aur un emotions ki wajah se bilkul lal ho gaya tha. Dil ab teharne ko mana kar chuka tha, usne meri soch band kar di .. Mein akansha ke thoda najdeek ja baitha... jada pas nahi par dur bhi nahi...

Mene apna hath uthaya uske hath ko uske chehre se alag karne ke liye taki mein uska chehra apne samne la paun.. par vo bich mein ek pal ke liye ruka.. mera hath.. lekin dil ke aage insan itna kamjor ho jata hai ki khud ka hath bhi gairana ho jata hai..

Mene bas uspar hath hi rakha tha vo ek dum se hadbada kar baith si gayi aur usne apna chehra samne kar liya aur mein bhi thodi dur hokar apna hath khinch lia. Mujhe laga shayad mene kuch galat kar dia, touch nahi karna chahie tha bas yun hi puch lena tha. Akansha bahut normal hokar baith gayi.. mujhe kabhi itne complex nature, emotions ko mehsus karne ka muka nahi dia tha zindagi ne, ya phir diya tha lekin mere pas hi emtions nahi the jaise is waqt the.. iske liye..

" tumne kaha tha ki hume kisi se umeed nahi karni chahie ... par kya bina umeed ke hum pyar ke rishte ko rishta bana sakte hai ? kya us rishte mein hume pyar ki umeed bhi nahi rakhni chahie ? " mere pas har baat ka jawab hota hi tha lekin is sawal ne jaise mujhe mere hi sawal mein pakad liya tha aur ise bahar nikalne ke liye mere pas kuch nahi tha...
 

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,643
8,432
219
Update - 94

Tumhare jawab sawal ban jaye to kaisa lagea tumhe ? kya tumhare pas uska jawab hoga ? agar ha to do nahi to kya doge ? Mene kahani ki tarah jawab to die par abi usi jawab ke aage sawal aye to mein chup tha.. kya ye meri galti thi ki mene usko aise jawab die ? shayad nahi.. ye galti na mere jawab ki thi na hi akansha ke sawal ki... ye galti hum insan ki hai.. jo na hi kahani samajh pate hain na hi zindagi ke us rishte ko jise nibhane ke liye hum shuruwat mein puri kosish karte hain aur baad mein ate-ate uspar apni pakad dhili kar dete hain... vaise bhi ye koi patang nahi jahan dhil dene par bhi jeet mil jaye.. ye zindagi ka vo part hain jahan dheel dete hi sab kuch khatam ho jata hai.. mene yahan yahi galti nahi ki... mene na to zindagi ko dheel samjha nahi hi dil mein panap rahe is rishte ko...

" kya pyar mein pyar ki bhi umeed nahi karni chahie ankit ? " akansha sawal karke chup rhi, uski ankh se abhi abhi ansu utra tha aur vo mere jawab ka intezar kar rahi thi.

" jis pyar mein pyar ki bhi umeed karni pade vo pyar hota hi nahi akansha " mene akhir apna jawab de hi dia.

" to phir i love you bol kar kya dikhate hain hum ? " aaj usne kasam kha rakhi thi mujhe fasane ki...

" keh nahi sakta.. par vo hum tabh kehte hain jab kisi se dur na hona chahte ho " mene aaj tak kisi se ye baat kahi nahi thi kyun ki meri life mein aj tak koi aisa aya nahi tha.. aaj se pehle...

" sab juth.. tum bhi juth bol rahe ho.. " mein ? par kaise.. puch nahi paya bas chup raha. " pyar kya sirf kehne ke liye hota hai ? ab jab mein us pyar ka waqt mang rahi hun.. use aage badana chahti hun to kyun vo piche hat raha hai ? "

" mein kuch samjha nahi akansha.. dekho tum mujhse sawal karogi to mein shayad uska jawab to de dunga par tumhari is takleef ko dur nahi kar paunga.. " mein use janna chahta tha ki akhir hua kya hai .... vo shayad meri baat ka matlab samajh gayi thi.. usne apni ansu poche aur ek gehri sans lekar usne mujhe bataya ki, Akash jiske sath akansha ka relation tha, jiski vo fiance banne wali thi vo pyar to karta hai par is rishte ko aage badane ki jab bhi baat ati vo use talta jata, ab akansha ki bato mein ye samajh nahi aya ki vo kaam ki vajah se tha ya phir koi aur par akansha ko ye chiz bardasht nahi ho rahi thi, vaise bhi mein kafi time se sun raha tha ki uski kabhi bhi engagement ho sakti hai lekin kabhi uske muh se aisa nahi suna tha, isliye lagta hi nahi tha ki vo kisi relation mein hai na hi kabhi akash ke sath uski itni baat hote dekha tha. Samajh to mere itna aa raha tha ki akansha use behad pyar karti hai par akash ka response bahut low tha, jaise use fikar na ho.. isliye akansha pareshan rehti thi .. aur is waqt bhi isliye jada thi kyun ki akash ki hui baat cheet mein uska jhagda isi baat par hua tha.. short mein kahun to ye wahi love story thi jo aksar hoti hai....par isme farak itna tha ki samne wale ko pyar to hai bas uske pas samay nahi kyun ki vo apni zindagi ke bare mein pehle soch raha tha aur akansha ke bare mein baad mein.. kya akash apni jagah sahi tha ? agar ha to kya akansha galat thi ? aur agar akash sahi nahi tha to akansha ka kehna galat nahi ? ya phir dono apni jagah sahi the ya dono galat... ? shayad nahi... shayad ye pyar hi galat tha... kyun ki jahan tak pyar ki baat hai.. chinta hume apni nahi hamesha uski hoti hai jisne hamari zindagi ko ek naya mod dia.. khud ki chinta to hum bachpan se karte aye hain.. to agar abhi bhi khud hi karenge to vo badlav ka faiyda kya ? ye to samne wale ke waqt aur uski chinta ki tauheen hai ... jo hum sirf apne matlab ke liye istemal kar rahe hain.. jab jab mauka mila humne use apnaya aur apni zindagi durust ki aur phir aage badh gaye use bhul kar... yani baat to wahi hui.. na mera jawab galat tha na hi akansha ka sawal... galat to insan hai..

" kya tumhe mauka nahi dena chahie kuch aur ... " mein dhire dhire bolte hue chup hua... " thoda aur... " ye baat bolne ka man to nahi tha par kehna pada.

" mazak hi karna hai mere sath to mein road par khadi ho jati hun... let everyone have a mauka.... " mein sunn.. uski sansein tez thi.. ankh se phir ansu aa nikle.. uski nazar itni paini thi mere uppar ki meri nazre hi niche jhuk gayi.. baat ke andar aisa tamacha mara usne ki mere andar ki sari samjhdari ghus gayi.

" mein sundar hun.. par kya farak padta hai.. shayad mera pyar sundar nahi hai" itna keh kar vo phir rone lagi... yakeen karna shayad meri baat ka har kisi ko mushkil hoga lekin mujhe aisa lag raha tha jaise vo mujhse shikayat kar rahi hai.. Uska rona mere kano mein chub raha tha, kya usne mujhe isliye apne sath rehne ke liya kaha tha ki vo mujhe apna dard suna sake ? nahi.. balki vo is dard se alag hona chahti thi isliye usne mujhe apne pas rukne ko kaha tha.. lekin mein kaun hun ? ek ajnabi.. ya had se jada ek naya dost.. aaj ke waqt mein insan kya hai kuch samajh nhi ata, ajnabi...dost... pyar.... kuch nahi samajh ata.. kyun ki hum jo dil se hain vo juban par bilkul nahi hai... phir bhi mujhe to kuch karna hi tha..

Mein shayad uska dard khatam to nahi kar sakta tha jabki karna to bahut chahta tha kyun ki mere dil mein ye pyar hi tha jo ki ab mein 'shayad' keh kar apne dil ko bevkuf nahi banana chahta tha... mene apna hath uthaya aur akansha ke hath par rakh dia jo vahin sofe par rakha tha .. jaise hi mera hath uske hath par gaya usne rona to band nah kia.. mera dil bahut zor se dhadak raha tha jbki ye uske sath hona chahie tha.. vo abhi shant nahi hui thi.. to mene is bar uske hath ko apne hath mein tham lia, use halka sa kas lia.. mujhe umeed thi ki vo bura manegi mujhe bahar bhej degi... kyun ki itna hak mere pas nahi tha ... hai na ?

Par mein yahan galat tha... usne bura nahi mana balki apne hath ko mere hath se kas lia, aur usi pal mene uski taraf dekha, vo chup ho gayi thi par abhi bhi ansu nikal rahe the.. par mein kuch nahi bola, aisa hi baitha raha.. kabhi kabhi hamare actions shabdon se jada dil ko rahat dete hain... Kuch der akansha aise hi baithi rahi phir dhire dhire vo sarakte hue mere kareeb ayi aur mere kandhe par sar rakh kar baith gayi... hathon ki ungiya apas mein mil chuki thi, jaise ye mera hi pyar tha jo mere liye hi bana tha... Jab insan itna jada kareeb ho jata hai to kuch chizein bhul jata hai aur is waqt mein.. ya yun kahun hum.. zindagi ke sabhi rishte bhulte jaa rahe the .... yahi vo pal tha jo naye rishte ka janam data ban gaya ..
______________________________

Kya khona, kya pana waqt se pehle na to keh sakte hai aur na hi waqt ane par use bhul sakte hain, jo bhi hota hai uske piche ane wali zindagi ki tasveer ban jati hai bas farak itna hota hai ki us tasveer ko dekhne ke liye hamare pas ankhein nahi hoti. Samajh nahi aa raha tha kya karu, kya kahun.. kya isi tarah akansha ke sath baitha rahun yun hi is rishte ko aage bada dun ? Agar zindagi mein koi mujhse puchega ki zindagi ki sachai uski takleef kya hai.. to mein uska purra dosh pyar ko dunga.

Mera hath usi tarah usi majbuti se uske hathon ke sath juda hua tha, time kitna guzra par akansha jaise abhi bhi waisi hi thi.. hamare liye kisi ke pyar ki takleef ek filmi kahani lagti hai aur usi mein hum sahabunti bhare dialog chap kar apni samjhdari dikha dete hain par asliyat mein uski takleef vahi samajh pata hai, hona bhi chahie, ek insan apna bhrosa, apna waqt sab deta hai aur badle mein shayad mangta bhi wahi hai ... mein akansha ki shayad hi madad kar sakta hun kyun ki mein to us dard se guzra nahi jo use samjha sake lekin phir bhi uske dard ko ache se samajh raha tha.

" akansha.. " usne suna par kuch kaha nahi, " pyar karne par takleef hoti hai ye to suna hai par dekh pehli baar raha hun.. " mein bahut soch soch kar bol raha tha jisme kai bar bich mein rukna padh raha tha mujhe, kano mein cartoon ke shor ki awaz, uske sath akansha ki .. jisme uski sansein.. uska dhadkta dil aur khamoshi..

" please... roo mat... sab theek hoga.. " mene kaha tha na hum sirf sahanbuti de pate hain wahi mene bhi kia. Vo kuch bol nahi rahi thi aur mere dimag mein khud se kabhi kuch ata nahi .. bina uske jawab ke kya bolu ? ye samajhta raha par kuch der baad vo boli, jisne meri uljhane bada di.

" keh do mein bevkuf hun jo ro rahi hun, vo bhi kisliye ? bahut mil jayenge jo mere sharir se pyar kar lenge.. " na jane kyun emotions mein hum khud ko ek bikau chiz bana dete hain jise ab har koi kharid sakta hai.. kya aaj ke waqt mein insan itna bikau ho gaya hai ?

" mere kehne ka vo matlab nahi tha akansha... mein... " ise aage ka mauka usne chin liya, usne apna sar utha kar mere chehre ke samne apna chehra kar dia.

" sab yahi kehte hain ankit... chehra dekho mera.. khubsurat hai na.. kisi ka bhi dil behla sakti hai... hai na ? to kyun mein us insan ko lekar roo rahi hun jab mujhe hazaron mil sakte hain ? " kehte hue uski ankh se ansu aa nikla, " pyar ko bechna hi hai to use kharid kar kyun nahi kar lete.. kitna asan hai na ? " is bar uski ankh se ansu nikle to mein dekh nahi paya aur mene uske chehre ko hath mein tham kar unhe ankh ke niche ate hi hata dia. Ye kya ajeeb waqt hai, kitna acha tha aaj se pehle par abhi ye sab kyun badal gaya, mujhe na akansha ke relation se matlab na tha aur na hi apni khushi se... matlab tha ki kisi tarah iska dukh hat jaye, mein sirf aise hi nahi keh raha yakeen karo mera, chehra akansha ka ... kehlwa raha tha mujhse...pyar ho gaya tha mujhe aur ab mujhe afsos ho raha tha ki kyun hua? Kuch rishte aise ban jate hain jiske khali panne bhi hume bharne padte hain aur mitane bhi hume hi padte hain... na to mein cha kar use apna paa raha tha na hi chhod paa raha tha.... kash chhod deta.. kash... akansha ko is waqt chhod deta agar pyar na hua hota to.. par is pyar ki majburi ne aise fansa dia ki na to ab alag ho sakta tha aur na hi is rishte mein aage badh sakta tha... ab mein kya bataun apna haal... samajh nahi paa raha tha ki is naam ko alag kaise karun khud se... na to juban se kuch nikal raha tha na hi dil se ise nikaal paa raha tha... bura fans gaya tha..

" bharosa rakho.. khud par ... jo tumhara hai use koi chin nahi sakta tumse " mene uski dono ankhein saaf karte hue kaha.

" aur jo kabhi ho hi na use kaise paun ? "

" tab ... bhul jao use "

" kya tum bhul jate agar tumhe is tarah mujhse pyar hua hota to ? " rulayegi kya pagli... kya bol dia isne... pakka ro dunga agar muh se kuch bhi nikal gaya to, aur bezati hogi alag... mene bas naa mein mana kiya vo bhi kisi tarah khud par kabu rakhte hue, varna ankhon se nikalte jarur, ansu ya phir us pal ki soch ka dukh...

" dekhaa.... tum to bina kare nahi soch sakte aur mujhse keh rahe ho ? " baat uski itni theek thi ki man kia abhi keh dun ki tum shayad nahi jaan paogi ki mein pyar kar chuka hun isliye mana kar raha hun...

" pyar doobara bhi hota hai akansha.. " mere muh se nikal gaya, shayad uski baton ne majbur kia tha.

" bajaru ban chuka hai pyar.. kharid lo... bech lo.. isliye to har bar ho jata hai " ye baat mujhe uski bahut galat lagi , aisa mehsus hua jaise mujhe hi boli gayi ho.

" guzara karte hain vo log zindagi ko, jo tumhare jaise pyar ko samjhte nahi ... par iska maltab ye nahi ki tum apni sachai chhod do.. " mein use samjha raha tha ya use rula raha tha kyun ki vo meri baat sun kar roo padi, mene use apna hath alag kiya aur uske chehre ko dono hath se tham lia, " pyar mein nafrat karna bahut asan hota hai akansha par use karke nibhana sabse jada mushkil.. aaj agar tumne pyar se nafrat kar li to tum zindagi bhar dosh pyar ko jabki isme uski koi galti nahi.. " usne apni nazre jhuka rakhi thi, mene apna chehra jhukaya aur uske kareeb le aya, " pyar bikau nahi hai akansha... vo bas mushkil hai... bas use pakde rakho... har nahi manni... nahi manni na ? " meri nazar uspar thi, vo mere sawal par han mein sar hilane lagi, banane vale ne aurton ko dimag kyun nahi dia iska jeeta jagta jawab mere samne the... kaise deta dimag ? kyun ki vo sirf umar se badi hoti hai asal mein to bachpana unka sath kabhi chhodta hi nahi.. ye mein isliye nahi keh raha kyun ki mujhe uppar wale ne bataya balki isliye keh raha hun kyun ki vo masumiyat is waqt akansha ke chehre par thi aur yahi vo ghadi thi jisme har ladka ek ladki se aise pyar kar baithta hai jo vo dilo dimag se nahi nikal pata aur mujhe bilkul wahi pyar ho chuka tha....
 
Top