• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Mʏ Vᴀᴍᴘɪʀᴇ Sʏsᴛᴇᴍ ~ Tʜᴇ Hɪɴᴅɪ Eᴅɪᴛɪᴏɴ

What are your first impressions?

  • Naah! I will pass 😮‍💨

    Votes: 0 0.0%

  • Total voters
    31

Your Sensei

Dᴏɴ'ᴛ ғᴜᴄᴋ ʙᴏᴅɪᴇs...! Fᴜᴄᴋ ᴛʜᴇ sᴏᴜʟs...!!
141
267
64
Guys! listen once again, likes ka target pura hone se pehle update nahi dene wala mai, bilkul bhi nahi. So agar next update chahiye to target pura kro.
One update per week ka schedule fix krne ka socha tha but past 3 days me back to back 3 update de chuka hu. So itna to kar hi sakte ho tum log.
Isliye target pura kro aur update le jao. Yahi deal hai apni.

Aur guys jo bhi naye bande thread par aa rahe hain wo upar poll me apna keemti vote jarur dalte jaye.

Ek aur baat tumhe story achhi lagti hai, batao.
Tumaye story achhi nahi lagti hai, wo bhi batao.
Tumhe kya achha lga, batao.
Tumhe kya achha nahi lga, wo bhi batao.
Agar thread par aaye ho, story read ki hai, to please kuchh na kuchh bol kar jao. Tum log bc aate ho aur aise gayab ho jate ho jaise gadhe ke sarr se kabhi seengh gayab ho gaye the. Bc 2 sabd naa bole jate tumse.

Jyada kuchh nahi mang raha, bss agar thread par aate ho to ek like kar diya kro aur ek chhota sa revo de diya kro. Kam se kam tumhari presence ka pta chalte rehta hai, ki bc tum log exist bhi karte ho.

Bss jo hai itna hi hai, itni baaton ka dhyan tum rakh lena baki tumhara dhyan mai rakh lunga. Tum khush, Mai khush, Dono log khush. To deal done samjhu Mai?? :hinthint:


And once again, keep supporting!!!
 
Last edited:

Your Sensei

Dᴏɴ'ᴛ ғᴜᴄᴋ ʙᴏᴅɪᴇs...! Fᴜᴄᴋ ᴛʜᴇ sᴏᴜʟs...!!
141
267
64
Next update soon...
 
Last edited:

Sushil@10

Active Member
552
524
93
Update - 5
[ Ability Level - 1 ]


Ab tak...

"Ab se thodi hi der baad hum tumhara power level check karenge. Isliye jab tak tumhe bulaya na jaye tab tak apni jagah se hilna nahi, understand?!" Sergeant Griff ne chehre par smile ke sath chillate huye kaha. Is wakt Sergeant ki us laude jaisi sakl par Smile ki decoration thi, aur isiliye chutiya hone ke baad bhi wo is wakt kisi Evil Monster ki tarah lag raha tha, ek aisa evil monster jo apne samne khade un nanhe munne bachcho ki maa chodne ko betaab ho.

"Good luck!!"


Ab aage...

Jab abilities pehli baar human race se introduce hui thi tab logo ko ye samjhne me jyada samay nahi laga ki kuchh abilities baki dusri abilities ki tulna me kaphi jyada powerful aur khatarnak hain.

Iske alawa agar kisi specific ability ki taraf dhyan diya jaye to wo bhi power ke mamle me person to person different thi. Kis bande ki ability kitni strong hogi ye is baat par nirbhar karta tha ki uske andar kitni mutant cells active hain. Iske alawa kiski body kitna sehen kar sakti hai ye bhi ek important factor tha ye decide karne me ki kiski ability kitni powerful hogi.

Iske kuchh samay baad hi 'Power Level System' ko bhi introduce kar diya gaya jo kul 8 levels me divided tha.

Ye levels darsate the ki kis bande ke andar kitni mutant cells active hain. Yani ki jitna high level, utni jyada mutant cells.

Iske baad military ne in levels ko bhi subcategories me divide kar diya. Ye subcategories 1.1 , 1.2 se leke 1.9 tak hoti thi. Aisa isliye kiya gaya taki sabhi logo ko identify kiya ja sake.

Kisi ability ko obtain karne ke sirf 2 hi tarike hote the. Pehla, ya to aap kisi so called Original family se ho. Dusra, ya phir aapne kisi ability book se us ability ko sikha ho.

Jab earth par dalki ke against war chal rahi thi aur Manav jati lagbhag bilupt hone ke kagar par thi tab aise sankat ke samay me kuchh logo ne samne aakar powers ka istemal karna suru kar diya, aisi powers jinse aam log puri tarah anjaan the. Us samay in logo ko manavta ki aakhri ummid ki tarah dekha gaya. Us samay originals ne jis sakti ka pradarshan kiya usne Dalki ko pichhe hatne par majboor kar diya.

Us samay in naye samne aaye superheroes ko ye realise hua ki wo apni powers ko dusro ke sath bhi share kar sakte hain. Aur unhone aisa kiya bhi kyuki us waqt survival ke liye humanity inhi ajeeb wo gareeb powers par dependent thi. Unhone likhna suru kar diya ki unhone ye abilities kaise obtain ki aur jis chiz par unhone ye sari information likhi thi unhe hi baad me "Ability books" ke name se jana gaya.

Pehli war ke khatam ho jane ke baad ye ability books logo me freely distribute hona band ho gai. Iske bajay ab un books ko public me sale par becha jane lga. Isi time jo first ability users the jinhe Originals ke name se bhi jana jata hai, unhe ye realise hua ki unki power ne unhe food chain ki top par la kar khada kar diya hai, aise me unke andar bhi lalach aa gaya aur wo iska jyada se jyada fayda uthane ki koshish karne lage. Wahi military ne bhi some of the most powerful abilities ko khudke liye rakh liya. Military ke alawa un abilities ko aur koi bhi access nahi kar sakta tha.

Us din ke baad se level 1 se 5 tak ke bich me range karne wali ability books ko public ko sell kiya jane laga, jabki kuchh badi companies aur military ne Originals ke sath milkar ability books ke higher versions ko khudke liye rakh liya.

Isiliye, agar koi banda khudko ability user bole to uske do hi mtlb ho sakte hain. Pehla, ya to wo kisi Original family se belong karta hai. Dusra, ya phir usne apni ability kisi related ability book ko learn karke obtain ki hai.

And ofcourse, power and abilities ke is khel me Originals sabse aage the, kyuki unke paas higher level and more powerful abilities ki access thi.

In sabke alawa kuchh aisi Original families bhi thi jinho ne apni abilities ko outside world ke sath share karne se mana kar diya tha. Ye aise log the Jo apni abilities ko apni khudki bloodline tak hi seemit rakhna chahte the. Originals ke paas normally strongest abilities hoti thi jinhe power level system se measure nahi kiya ja sakta tha.

Parents ki death ke baad Vikram ko support karne ke liye koi bhi family member nahi bacha tha. Uske paas sabse cheapest ability book ko kharidne tak ke paise nahi the aur jaha tak baat ki jaye dusre tarike ki, to jaha tak wo janta tha uski family me aisi koi khas baat nahi thi ki wo use ek Original family keh sake.

Lekin itne varsho ke baad aakhirkar usne ek ability obtain kar hi li. Halanki usne is tarah ki ability ke bare me pehle kabhi nahi suna tha, isiliye use koi idea nahi tha ki is ability ne uski cells ko kis power level par mutate kiya hai.

Normally kisi bhi ability ko master karne ke liye ek technique hoti thi, jisse us ability ko ek certain level tak master kiya ja sakta tha.

Lekin unfortunately wo book to ab gayab ho chuki thi aur sath hi uske andar ka gyaan bhi.

Vikram ne apna hath upar utha kar uski kalai par bandhi us watch ko dekha, jisme abhi uska power level 1 show ho raha tha. Usne apne aas paas nazar ghumai to waha khade sabhi students ki watch par bhi same number show ho raha tha.

Wahi students ki us bheed se thoda door aage ki taraf khada Sergeant Griff students ko unke naamo se chillakar bula raha tha aur uske bulane ke thik baad hi 5 ke group me wo students bheed se nikal kar ek taraf khade hote ja rahe the.

In students ko test dene ke liye kisi aur jagah bheja jane wala tha. Vikram abhi test me achha perform karke apne power level ko badalne ke bare me soch raha tha, use ummid thi ki ability milne ke baad wo apne power level ko badha sakta hai lekin apne samne aayi screen ko dekh kar uski ye ummid bhi toot gai.


[You are being hit by direct sunlight]

[All stats will be halved]



To be continued...
Awesome update and nice story
 
  • Like
Reactions: Your Sensei

Your Sensei

Dᴏɴ'ᴛ ғᴜᴄᴋ ʙᴏᴅɪᴇs...! Fᴜᴄᴋ ᴛʜᴇ sᴏᴜʟs...!!
141
267
64
Awesome update and nice story
Thanks man
 

111ramjain

Well-Known Member
2,506
3,786
143
Nice update
 
  • Like
Reactions: Your Sensei

Avir

Well-Known Member
2,111
4,787
158
Waiting next
 
  • Like
Reactions: Your Sensei

Dhakad boy

Active Member
1,054
1,538
143
Nice update
 
  • Like
Reactions: Your Sensei
Top