• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Mʏ Vᴀᴍᴘɪʀᴇ Sʏsᴛᴇᴍ ~ Tʜᴇ Hɪɴᴅɪ Eᴅɪᴛɪᴏɴ

What are your first impressions?

  • Naah! I will pass 😮‍💨

    Votes: 0 0.0%

  • Total voters
    31

Your Sensei

Dᴏɴ'ᴛ ғᴜᴄᴋ ʙᴏᴅɪᴇs...! Fᴜᴄᴋ ᴛʜᴇ sᴏᴜʟs...!!
141
267
64
Guys! listen once again, likes ka target pura hone se pehle update nahi dene wala mai, bilkul bhi nahi. So agar next update chahiye to target pura kro.
One update per week ka schedule fix krne ka socha tha but past 3 days me back to back 3 update de chuka hu. So itna to kar hi sakte ho tum log.
Isliye target pura kro aur update le jao. Yahi deal hai apni.

Aur guys jo bhi naye bande thread par aa rahe hain wo upar poll me apna keemti vote jarur dalte jaye.

Ek aur baat tumhe story achhi lagti hai, batao.
Tumaye story achhi nahi lagti hai, wo bhi batao.
Tumhe kya achha lga, batao.
Tumhe kya achha nahi lga, wo bhi batao.
Agar thread par aaye ho, story read ki hai, to please kuchh na kuchh bol kar jao. Tum log bc aate ho aur aise gayab ho jate ho jaise gadhe ke sarr se kabhi seengh gayab ho gaye the. Bc 2 sabd naa bole jate tumse.

Jyada kuchh nahi mang raha, bss agar thread par aate ho to ek like kar diya kro aur ek chhota sa revo de diya kro. Kam se kam tumhari presence ka pta chalte rehta hai, ki bc tum log exist bhi karte ho.

Bss jo hai itna hi hai, itni baaton ka dhyan tum rakh lena baki tumhara dhyan mai rakh lunga. Tum khush, Mai khush, Dono log khush. To deal done samjhu Mai?? :hinthint:


And once again, keep supporting!!!
 
Last edited:

Your Sensei

Dᴏɴ'ᴛ ғᴜᴄᴋ ʙᴏᴅɪᴇs...! Fᴜᴄᴋ ᴛʜᴇ sᴏᴜʟs...!!
141
267
64
Edited
 
Last edited:

Your Sensei

Dᴏɴ'ᴛ ғᴜᴄᴋ ʙᴏᴅɪᴇs...! Fᴜᴄᴋ ᴛʜᴇ sᴏᴜʟs...!!
141
267
64
Give me link, will read
Just type the story name on Google
 

Your Sensei

Dᴏɴ'ᴛ ғᴜᴄᴋ ʙᴏᴅɪᴇs...! Fᴜᴄᴋ ᴛʜᴇ sᴏᴜʟs...!!
141
267
64
Thanks man!
Keep supporting!!
 
  • Like
Reactions: parkas

Rocky666

New Member
43
113
48
Waiting for update
 
  • Like
Reactions: Your Sensei

Your Sensei

Dᴏɴ'ᴛ ғᴜᴄᴋ ʙᴏᴅɪᴇs...! Fᴜᴄᴋ ᴛʜᴇ sᴏᴜʟs...!!
141
267
64
Next Update Soon...
 

Your Sensei

Dᴏɴ'ᴛ ғᴜᴄᴋ ʙᴏᴅɪᴇs...! Fᴜᴄᴋ ᴛʜᴇ sᴏᴜʟs...!!
141
267
64
Update - 5
[ Ability Level - 1 ]


Ab tak...

"Ab se thodi hi der baad hum tumhara power level check karenge. Isliye jab tak tumhe bulaya na jaye tab tak apni jagah se hilna nahi, understand?!" Sergeant Griff ne chehre par smile ke sath chillate huye kaha. Is wakt Sergeant ki us laude jaisi sakl par Smile ki decoration thi, aur isiliye chutiya hone ke baad bhi wo is wakt kisi Evil Monster ki tarah lag raha tha, ek aisa evil monster jo apne samne khade un nanhe munne bachcho ki maa chodne ko betaab ho.

"Good luck!!"


Ab aage...

Jab abilities pehli baar human race se introduce hui thi tab logo ko ye samjhne me jyada samay nahi laga ki kuchh abilities baki dusri abilities ki tulna me kaphi jyada powerful aur khatarnak hain.

Iske alawa agar kisi specific ability ki taraf dhyan diya jaye to wo bhi power ke mamle me person to person different thi. Kis bande ki ability kitni strong hogi ye is baat par nirbhar karta tha ki uske andar kitni mutant cells active hain. Iske alawa kiski body kitna sehen kar sakti hai ye bhi ek important factor tha ye decide karne me ki kiski ability kitni powerful hogi.

Iske kuchh samay baad hi 'Power Level System' ko bhi introduce kar diya gaya jo kul 8 levels me divided tha.

Ye levels darsate the ki kis bande ke andar kitni mutant cells active hain. Yani ki jitna high level, utni jyada mutant cells.

Iske baad military ne in levels ko bhi subcategories me divide kar diya. Ye subcategories 1.1 , 1.2 se leke 1.9 tak hoti thi. Aisa isliye kiya gaya taki sabhi logo ko identify kiya ja sake.

Kisi ability ko obtain karne ke sirf 2 hi tarike hote the. Pehla, ya to aap kisi so called Original family se ho. Dusra, ya phir aapne kisi ability book se us ability ko sikha ho.

Jab earth par dalki ke against war chal rahi thi aur Manav jati lagbhag bilupt hone ke kagar par thi tab aise sankat ke samay me kuchh logo ne samne aakar powers ka istemal karna suru kar diya, aisi powers jinse aam log puri tarah anjaan the. Us samay in logo ko manavta ki aakhri ummid ki tarah dekha gaya. Us samay originals ne jis sakti ka pradarshan kiya usne Dalki ko pichhe hatne par majboor kar diya.

Us samay in naye samne aaye superheroes ko ye realise hua ki wo apni powers ko dusro ke sath bhi share kar sakte hain. Aur unhone aisa kiya bhi kyuki us waqt survival ke liye humanity inhi ajeeb wo gareeb powers par dependent thi. Unhone likhna suru kar diya ki unhone ye abilities kaise obtain ki aur jis chiz par unhone ye sari information likhi thi unhe hi baad me "Ability books" ke name se jana gaya.

Pehli war ke khatam ho jane ke baad ye ability books logo me freely distribute hona band ho gai. Iske bajay ab un books ko public me sale par becha jane lga. Isi time jo first ability users the jinhe Originals ke name se bhi jana jata hai, unhe ye realise hua ki unki power ne unhe food chain ki top par la kar khada kar diya hai, aise me unke andar bhi lalach aa gaya aur wo iska jyada se jyada fayda uthane ki koshish karne lage. Wahi military ne bhi some of the most powerful abilities ko khudke liye rakh liya. Military ke alawa un abilities ko aur koi bhi access nahi kar sakta tha.

Us din ke baad se level 1 se 5 tak ke bich me range karne wali ability books ko public ko sell kiya jane laga, jabki kuchh badi companies aur military ne Originals ke sath milkar ability books ke higher versions ko khudke liye rakh liya.

Isiliye, agar koi banda khudko ability user bole to uske do hi mtlb ho sakte hain. Pehla, ya to wo kisi Original family se belong karta hai. Dusra, ya phir usne apni ability kisi related ability book ko learn karke obtain ki hai.

And ofcourse, power and abilities ke is khel me Originals sabse aage the, kyuki unke paas higher level and more powerful abilities ki access thi.

In sabke alawa kuchh aisi Original families bhi thi jinho ne apni abilities ko outside world ke sath share karne se mana kar diya tha. Ye aise log the Jo apni abilities ko apni khudki bloodline tak hi seemit rakhna chahte the. Originals ke paas normally strongest abilities hoti thi jinhe power level system se measure nahi kiya ja sakta tha.

Parents ki death ke baad Vikram ko support karne ke liye koi bhi family member nahi bacha tha. Uske paas sabse cheapest ability book ko kharidne tak ke paise nahi the aur jaha tak baat ki jaye dusre tarike ki, to jaha tak wo janta tha uski family me aisi koi khas baat nahi thi ki wo use ek Original family keh sake.

Lekin itne varsho ke baad aakhirkar usne ek ability obtain kar hi li. Halanki usne is tarah ki ability ke bare me pehle kabhi nahi suna tha, isiliye use koi idea nahi tha ki is ability ne uski cells ko kis power level par mutate kiya hai.

Normally kisi bhi ability ko master karne ke liye ek technique hoti thi, jisse us ability ko ek certain level tak master kiya ja sakta tha.

Lekin unfortunately wo book to ab gayab ho chuki thi aur sath hi uske andar ka gyaan bhi.

Vikram ne apna hath upar utha kar uski kalai par bandhi us watch ko dekha, jisme abhi uska power level 1 show ho raha tha. Usne apne aas paas nazar ghumai to waha khade sabhi students ki watch par bhi same number show ho raha tha.

Wahi students ki us bheed se thoda door aage ki taraf khada Sergeant Griff students ko unke naamo se chillakar bula raha tha aur uske bulane ke thik baad hi 5 ke group me wo students bheed se nikal kar ek taraf khade hote ja rahe the.

In students ko test dene ke liye kisi aur jagah bheja jane wala tha. Vikram abhi test me achha perform karke apne power level ko badalne ke bare me soch raha tha, use ummid thi ki ability milne ke baad wo apne power level ko badha sakta hai lekin apne samne aayi screen ko dekh kar uski ye ummid bhi toot gai.


[You are being hit by direct sunlight]

[All stats will be halved]



To be continued...
 
Last edited:

Your Sensei

Dᴏɴ'ᴛ ғᴜᴄᴋ ʙᴏᴅɪᴇs...! Fᴜᴄᴋ ᴛʜᴇ sᴏᴜʟs...!!
141
267
64

Militri traning..... vartman Samay mein bhi yah Rul hai bahut se deshon mein ki agar aap 18 Sal Ho Gaye to aapko military training karna anivarya hai to thoda bahut Uske bare mein maine bhi padha tha

Lekin bakchodi yah Hai Ki yah military training Kuchh alag hi level per hai Jahan per power hi Sab Kuchh matter karta hai jo Jitna powerful hoga uski gand ki Puja Hogi Jo kamjor hoga Usi gand Mari Jayegi Jaise ju ne bataya...

Military training per jaane se pahle hi Vikram ko system ke bare mein ek bakchodi Pata Chali ki ho sunlight mein Apni stats ka Aadha ho jata hai.... aur Shayad ISI Ke Chalte system Ne Vikram ko task de diya ki 8 ghante Tak sunlight ko avoid Kijiye aur 5 point le jaaiye aur jahan tak samajh mein aata hai Vikram ko yah task complete karne Mein aasani Hogi Kyunki "Sona" Sabko pasand hai....

Dushmanon se bachne ke liye military ne apne Jagah ko bilkul khufiya rakha hai yahan per Aane jaane wale Logon ke sight ko blind kar diya jata hai Taki kisi ko bhi use Jagah Ka Pata Na Chale...

Chalo bhai dekhte hain Yahan per Vikram ke sath क्या-क्या bakchodiyan hoti hain

Lage raho bhai sahab

Superb update

military to kafi powerful lag rhi hai. esa lagta hai ek alag hi duniya basa kar bethey hue hain. aur technology bhi itni futuristic. aur 2 saal vikram ne yehin par nikaley hain to phir bohat maza aney wala hai. dekhte hain phir vikram ki powers ka level kya hai. aur kya vikram shadow mein rhe ga ya phir khul kar sab k samey apni system ki powers ko show kare ga.

level 2 tak sleepy gas ko resist kiya tha vikram ne aur bad mein khudi resist karna chor diya jab black mask pehnaya us k muh par to kya is se bhi zeyada wo resist kar sakta tha qk bad mein gas ka dabaw bharne lga tha lekin vikram ne resist bhi nahi kiya us se bachne k liye

sunlight mein janey se vikram ki powers half ho jati hain aur dalkis ko sunligh se koi dikat nahi hoti to ye kafi interesting hone wala hai. and i believe k agey chal is cheez ka bhi koi hal zrur nikley ga ya koi esi skill or something jo vikram k liye shield ka kam kare usey sunlight se bchane k liye.

informational update tha koi event nahi hua is mein military powers ko kafi ache se show krwaya hai ya hint diya hai un ki powers ka teaser dikha kar. 2 saal ka time jo hai kya ye fast forward chaley ga ya phir slowly chaley ga. and story mein sex sux ki possibility hai, vikram k koi bhi relatives nahi hain ya phir wo issey miltey nahi hain ya phir vikram hi nah janta ho apne kisi relative ko[shyd relative wala question maine dubara puch liya hai khair mujy sahi se yad nahi to ans kr dena bro is ka bhi]

baki agey update mein dekhein ge. and hope k next update ki length bhi esi hi ho gi :sip:

keep writing & keep rocking


waiting for the next update :dost:

Nice update


Nice update....

Jabardast update 🔥 🔥

Bahut hi shaandar update diya hai Your Sensei bhai....
Nice and awesome update....

Nice update bhai. Next update ka intajaar rahegaa 👍👍👍👍👍👌👌👌

kul milaker is update ye pta chala ki vikram ki gaand todne ki puri planning kri hai military school mai ha ha ha dekho ab vikram apni gand kaise bachata hai


Awesome update

Brother story bahut acchi hai. Story ka plot kafi alag hai aur suspencefull and intresting hai. But jis tarah se update aate hai, to readers ka story ko padane me intrest kam ho raha hai. 1 week me kam se kam 2 updates to hone chahiye...

Your friend. DEVIL WANTED


Waiting for update

Update 5 posted...!
 

Your Sensei

Dᴏɴ'ᴛ ғᴜᴄᴋ ʙᴏᴅɪᴇs...! Fᴜᴄᴋ ᴛʜᴇ sᴏᴜʟs...!!
141
267
64
Index updated...!
 
Top