Ab Yuvraj aur Maa Kadambari punah Nirjala ke paas lautte hain aur apni yatra par nikal padte hain.
Maa Kadambari Yuvraj ke saath ghode par baithi hui hoti hain. Wahi dwivida aur wahi vichar unke man mein sthayi roop se bas chuke hote hain.
Nirjala - Yuvraj, shaayad hum is maarg se chalein to humein sheeghrata se pahuchne mein sahayata hogi.
Yuvraj - Parantu yah maarg to van ke bheetar se guzarta hai, hai na?
Nirjala - Haan, parantu is maarg se hum sheeghr hi Shauryagarh pahuch sakenge.
Yuvraj kuch vichar karte hue - Theek hai, Nirjala ji... aapne jaisa kaha hai, waisa hi hoga. Hum is maarg se hi nikalte hain.
Maa Kadambari ko yah baat thodi asahaj lagti hai, lekin ve kuch nahin kehti. Unhe yah lagta hai ki Yuvraj ne kuch soch-samajh kar hi yah nirnay liya hoga.
Ab ve usi maarg se yatra prarambh karte hain. Wah maarg ghane van se hokar jaata tha.
Maa Kadambari - Waise, tumhe in maargon ke vishay mein kaise jankari hui, Nirjala?
Nirjala - Baat yah hai ki hamara gaav is maarg se yatra karne ke pashchat hi sabse pehle milega.
Maa Kadambari - Achha.
Maa Kadambari ne kuch nahin kaha, unhe yah prateet hua ki Nirjala sahi keh rahi hongi. Haalaanki, Shauryagarh jaane wale maarg ke vishay mein unhe kuch jankari thi, aur yah maarg wah bilkul nahin tha.
Kaafi samay ki yatra ke baad raat ka samay ho chuka tha. Sabhi ko bhukh bhi lag rahi thi aur vishraam ki avashyakta bhi thi, atah unhone kahin tambu lagane ka vichar kiya.
Nirjala bhi anya karyon mein sahayata kar rahi thi.
Nirjala - Yuvraj, hum tambu mein bistar bichate hain.
Yuvraj - Ji, dhanyavaad.
Maa Kadambari aur Yuvraj dono baahar bhojan banane ki taiyaari kar rahe the. Tabhi Yuvraj ko aisa aabhas hua jaise koi unki nigraani kar raha ho.
Unhone chaaron or dekha, lekin unhe koi dikhayi nahin diya.
Yuvraj - Maa, yah Nirjala kahaan chali gayi?
Maa Kadambari - Wah to abhi tambu mein gayi thi... shaayad kuch nijee kaam (shauch) ke liye yahaan kahin gayi hongi.
Yuvraj thode satark ho jaate hain. Unhe lagta hai ki shaayad kuch galat ho raha hai... ve isee vichar mein the ki tabhi kuch luteere wahaan aate hain. Ve luteere bilkul waise hi lag rahe the jaise ve pehle mile the.
Maa Kadambari ekdam ghabraati hain... Yuvraj turant Mata ke paas jaate hain, taaki unhe koi haani na pahunch sake. Ve apni talwaar dekhne ki koshish karte hain, lekin unki talwaar kahin dikhayi nahin deti.
Yuvraj - Meri talwaar kahaan hai?
Lutera (hansate hue) - Aapki talwaar? Hahaha... Nirjala, inhe inki talwaar do... Yuvraj bina talwaar ke ladh nahin sakte.
Tabhi un luteeron ke beech se Nirjala talwaar lekar saamne aati hain.
Maa Kadambari aur Yuvraj dono aashcharyachakit ho jaate hain, yah dekhkar ki aakhir yah kya ho raha hai, aur Nirjala in logon ke saath kya kar rahi hain.
Maa Kadambari (ghabrate hue) - Beti Nirjala, yah tum kya kar rahi ho? Aur tum in luteeron ke beech mein?
Nirjala - Luteere nahin, Maharani ji, ye mere bhai hain, mere sainik hain, aur yah mera parivaar hai.
Yuvraj aur Maa Kadambari dono sann rah jaate hain. Ve samajh nahin paate ki aakhir yah sab kya ho raha hai. Kya Nirjala ek gaddaar thi, ya kuch aur?
Maa Kadambari - Tumhare log... tum...
Yuvraj - Maa, ye Kaalpuri samudaay se hain...
Maa Kadambari ab aur bhi dar jaati hain.
Nirjala - Sahi kaha Yuvraj... Aakhirkar aap samajh hi gaye... Achha hoga ki aap yahaan se chale jaayen. Hamara pratishodh aapki maa se hai, aapse nahin.
Yuvraj abhi bhi samajh nahin pa rahe the ki aakhir yah sab kya chal raha hai...
Yuvraj - Hamari maa, kya bigaada hai hamari maa ne aapka?
Nirjala Yuvraj ki talwaar ko bahut majbooti se pakde hui thi.
Nirjala - Yah jaanne ka adhikaar aapko nahin hai Yuvraj... Jo paap unhone kiya hai, uski saza unhe bhogni hi hogi...
Tabhi ek ghode ki awaaz aati hai, jo tezi se unki aur aa raha tha... andhere mein yah spasht nahin ho paa raha tha ki aakhir us ghode par kaun hai.
**Nirjala - Jaao, jo bhi hai, use roko.**
Nirjala ne apne sainiko ko aadesh diya. Ve turant hi us ghode ki taraf jaane lage.
**Yuvraj - Nirjala ji, rukie. Jo aap kar rahi hain uska kaaran hum nahi jaante... lekin humare rahte hum apni maa par aanch tak nahi aane denge.**
Nirjala ab thoda gusse mein aa gayi. Unhone apni talwar ko upar kiya...
Tabhi unhe us ghode par baithe aadmi ki awaaz aati hai... jo bahut zor se thi.
**Aadmi - Ruko...**
Nirjala ne us awaaz ki taraf dekha. Mauka dekhte hi Yuvraj ne Nirjala ko pakadkar unke haath se talwar cheen li. Aur unki gardan par rakh di. Nirjala ke sainik pal mein hui is ghatna ko samajh nahi paaye. Nirjala ko is sthiti mein dekhkar ve dar gaye.
**Yuvraj - Main nahi jaanta ye sab kya chal raha hai... lekin aap hamari maa ko chot bhi pahunchaayi to Nirjala ko hum maar denge.**
Nirjala ke sainik dar gaye... unhe laga ki unke paas chupchaap khade rehne ke alawa aur koi vikalp nahi hai.
Tabhi wah ghoda ab unke paas aata hai. Us insaan ke saath Nirjala ke sainik bhi the.
**Maa Kadambari us insaan ko dekhti hain.**
Mata Kadambari apne aap se - "Vishwajeet" (Wahi 10 sainiko mein se ek sainik jise Yuvraj ne apne rajya mein aakar rehne ko kaha tha)
Vishwajeet ab unke paas aata hai... jab wah dekhta hai ki Yuvraj ne Nirjala ki gardan par talwar rakhii hai, to wah dar jaata hai.
**Vishwajeet - Nahi Yuvraj, ruk jaiye... aisa anarth mat ki jiye.**
**Yuvraj - Nahi Vishwajeet, yah mahila hamari maa ko maarna chahti thi. Hum ise aise nahi chhod sakte.**
Maa Kadambari ne dekha ki jab Vishwajeet un sainiko ke beech khada tha, to aisa lag raha tha jaise wah unhe bahut pehle se jaanta ho...
**Maa Kadambari - Yeh sab kya ho raha hai... yeh sab kaun hai Vishwajeet. Kyun tum is aurat ko bachana chahte ho?**
**Vishwajeet - Yuvraj kripya karke is mahila ko chhod dijiye, hum sab kuch bataenge.**
**Nirjala - Zarurat nahi hai... hum mar jayenge lekin apna badla poora karke rahenge.**
**Vishwajeet - Aap galat soch rahi hain bhabhi maa, jismein bhi aapko woh baat batayi, wah sab jhoot hai...**
**Yuvraj - Kis jhoot ki baat kar rahe ho, kya chal raha hai... yeh tumhari bhabhi kaise hai, Vishwajeet. Humein kuch to batao...**
Yuvaraj ab bahot gusse me the...unka krodh vishwajeet ne pahle bhi dekha tha.
Vishwajeet- ye sirf hamari nahi yuvaraj, ye aapki bhi bhabhi hai, aapke Priya bhai yuvaraj harshwardhan ki patni. Ab to unhe chod dijiye..
Yuvaraj aur maa kadambari ke maano pairo se jamin hil gayi thi... Yuvaraj ko pata hi nahi chala ki unke haath nirjala ki gardan se chut Gaye hai....unhone nirjala ki taraf dekha, jiski aankhe halki si nam ho gayi thi..
Yuvaraj ke aawaz kaanpne lagi....
Yuvaraj - hamare Bhai ki patni...ye nahi ho sakta.. kya ye hamari bhabhi maa hai...
Nirjala tabtak unse chut chuki thi..unhone jhat se ek talwar uthayi aur maa kadambari par vaar karne hi wali thi tabhi...
Vishwajeet- nahi bhabhi maa, aap khud ek paap kar rahi hai...
Nirjala- hume jhoot bolkar bahelao mat vishwajeet...hum sab jante hai.
Yuvaraj- bhabhi maa, hum nahi jaante aap ye kyun kar rahi hai..aapko is se kya laabh hone wala hai...hume kuch to bataiye.
Nirjala ki aankhe ab nam thi...unki aankho se halke halke aansu nikal rahe the.
Nirjala- yuvaraj, to puchiye unse ki unhone hamare pati ko kyon mara...aapke Priy bhaai ki hatya kyun ki.
Yuvaraj is baat ko sunte hi mano ek jagah par jam se gaye...bhai ki hatya aur wo bhi maa..unhe maano ab kuch samjh hi nahi aa raha tha. Unhone apni maa ki taraf dekha, maa kadambari ki aankhe apne paap ki pashchatap me apne aap ro rahi thi...
Unhe samajh nahi aaya ki aakhir unki maa ye sab kyun karegi..
Vishwajeet- (haath jodte hue apne ghutno par baith jaata hai)- ye sach nahi hai bhabhi maa, aap aisa mat kijiye.
Nirjala rote hue lekin gusse me- hum tum par yakin nahi kar sakte..
Vishwajeet- main yuvaraj harshwardhan ki kasam khakar kahta hoon, bhabhi maa. Aap ek baar sochiye...maharani nirdosh hai..
Yuvaraj harshwardhan ki kasam khana, nirjala ke liye ek sacchai ki Nishan thi...ye baat sunte hi nirjala ke haath se talwar chutati hai..
Nirjala- ye tum kya kah rahe ho..
Yuvaraj ek putale ki tarah khade the
Vishwajeet- ye sach hai bhabhi maa, yuvaraj harshwardhan ke hatya ke doshi koi aur hi hai..
Yuvaraj- kaun hai vishwajeet...
Vishwajeet apni aankhe niche karta hai...
Vishwajeet - aapke Bhai ki hatya me kuch log shamil hai yuvaraj...
Yuvaraj ( krodh me) - kaun hai vishwajeet, hum uska sir dhad se alag kar denge.
Vishwajeet( aankho me aansu liye)- un logo
me se ek hai aapke pita Raja ranjvijay....
Agla bhaag jald hi