• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest Maa-beta ek sacche pyaar ki kahani part-3

Incest--boy

Active Member
1,486
3,046
144
Jaisa ki maine kaha tha, main aap logo se gifs chahta hoon jo aapke pasand ke hai.. agar koi update aapne padha aur aap sab ko laga ki kaash ye gif ya pic udhar rahata mujhe wo section detail dm Karo aur gif or pic bhejo, even after update main edit karunga..so baki log bhi pasand karne lgenge...so please aap apne taraf se ye karte jaao.
 
Last edited:

Roy 07

Active Member
669
490
63
**San 1600-1610 ke kisi ek varsh mein.
Sthan – Vikrampur.**

Yeh yuddh chaar dino se chala aa raha tha, parantu antatah is yuddh ka samaapan aaj ho hi gaya tha. Is bhishan yuddh mein asankhya sainik maare ja chuke the aur anginat ghaayal ho chuke the. Maano rakt ki nadiyaan beh rahi thi.

Is yuddh ko antatah Raja Ranvijay ne jeet liya. Yuddh ke samay Raja Ranvijay apne mahal mein hi the, parantu unhone apne do veer putron, Yuvaraj Harshvardhan aur Yuvaraj Vikramaditya, ko yuddhbhumi mein bheja tha.


Yuddh ab samaapt ho chuka tha. Yuvaraj Vikramaditya apni sena ki doosri tukdi ke saath kaafi peeche the. Us samay Yuvaraj Vikramaditya ki aayu bees varsh thi. Ve abhi itne bade yoddha nahi bane the, isiliye unke pita Raja Ranvijay ne unhe seedhe yuddh mein aage se ladne ke liye na bhejkar peeche rakha tha. Yuddh ke samaapan ke baad Yuvaraj Vikramaditya ko yeh prasannata hui ki ve antatah is yuddh ko jeet chuke hain, parantu unhe yeh dukh bhi tha ki itne saare sainikon ko apne pranon ki aahuti deni padi.

**Sainik 1 (anandit aur utsahit hote hue):**
"Yuvaraj! Yuvaraj! Jai ho... Jai ho... Hum yuddh jeet chuke hain, Yuvaraj!"

Yuvaraj Vikramaditya ne bhi apni sena ko is parakram ke liye abhinandan kiya.

**Yuvaraj Vikramaditya:**
"Haan, hamare bade bhai Harshvardhan saamne se lad rahe the, aur mujhe apne bhai par poora vishwas tha ki ve is yuddh ko jeetenge."

**Sainik 2:**
"Jai ho Yuvaraj Harshvardhan ki! Jai ho... Jai ho... Jai ho!"


do-Sxlf-Mmq-De-NC9n-R-JNuu1l-HWc6-VSBkub-MMy-Dz-Zs557-Xd-HUSh-YC33-Xao-SI3-Cnwllpr-RE-fpcv0-Yeh-SEbd

Tabhi ek ghaayal sainik ghode par savaar atyant sheeghrata se unki or aaya.

Yuvaraj Vikramaditya ne dekha ki vo sainik atyant ghaayal avastha mein hai. Vo ek ghudsavaar tha, jise Yuvaraj Vikramaditya bhali-bhaanti jaante the. Vo sainik ab unke nikat aaya aur ghode se utar kar seedhe Yuvaraj Vikramaditya ke pairo mein gir pada aur zor-zor se rone laga.

**Ghudsavaar (rote hue):**
"Anarth ho gaya, Yuvaraj, anarth ho gaya!"

Yuvaraj Vikramaditya kuch samajh nahi sake. Ve to yuddh jeet chuke the, parantu yeh sainik aakhir kyon ro raha hai?

**Yuvaraj Vikramaditya (aashcharyachakit hokar):**
"Yeh aap kya keh rahe hain, yoddha? Hum is yuddh ko jeet chuke hain, hume Vijay praapt hui hai. Aap kis anarth ki baat kar rahe hain?"

**Ghudsavaar (dukhpoorvak):**
"Yuvaraj, yuddh ke antim samay mein hamare priy Yuvaraj Harshvardhan par us kayar Sultan ne peeth peeche se talwar se vaar kiya..."


nZq5OR


Yeh sunte hi Yuvaraj Vikramaditya ke pairo tale se zameen khisak gayi. Apne priy bhai ke baare mein yeh sunkar unka hosh udd gaya. Unhe vishwas hi nahi ho raha tha ki aisa kuch ho sakta hai. Unka shareer ab kaanpane laga tha.

**Ghudsavaar:**
"Hamare sainik unhe lekar aa rahe hain. Humein sheeghra hi unhe kisi vaidya ke paas le jaana hoga. Unke paas samay kam hai."

Yuvaraj Vikramaditya ko ab kuch samajh nahi aa raha tha ki aakhir unhe kya karna chahiye. Unhone us ghudsavaar ka ghoda liya aur ve apne bhai ki or teevr gati se chal pade.


karnan-horse-riding-karnan

Jaate samay ve yahi prarthana kar rahe the ki unke bhai ko kuch na ho aur ve sukhruup rahe. Ve ab badi sheeghrata se aage badhne lage. Kuch doori ke baad unhe sainikon ki bheed dikhaai di, aur usi mein ek ghodagadi ke saath sainik unke bhai ko Vikrampur ki or lekar ja rahe the.

Yuvaraj Harshvardhan ne unhe apni or aate hue dekha aur apne sainikon se rukne ke liye kaha.

**Sainik 1 (vinamrata se):**
"Parantu Yuvaraj, aapko sheeghra hi vaidya ke paas le jaana ati aavashyak hai."


**Yuvraj Harshvardhan** - "Nahi, ruko, mujhe mere bhai se kuch kehna hai..."

Sainikon ne rath ko rok diya.

Yuvraj Vikramaditya ab rath ke samip gaye aur unhone dekha ki unke bade bhai rakt se lathpat the aur atyadhik peeda mein the. Ve turant unke paas gaye.

**Yuvraj Vikramaditya** - "Aap kyun ruke? Chaliye... agar hum vaidya ke paas nahi pahunche to..."

Harshvardhan ne unki baat kaatate hue kaha,

**Yuvraj Harshvardhan** - "Nahi, mere priya bhai... ruk jao."

**Yuvraj Vikramaditya** - "Parantu bhaiya..."

**Yuvraj Harshvardhan** - "Nahi, yadi main vaidya ke paas pahuncha bhi, to bhi main jeevit nahi rah sakta, mere bhai."

Harshvardhan ka sharir thanda pad chuka tha. Unke sharir mein bahut kam halchal thi. Ve apna sharir bhi theek se nahi utha paa rahe the. Parantu unhone kisi tarah se apna haath thoda upar uthaya.

Yuvraj Vikramaditya ne unka haath pakad liya aur rote hue bole - "Nahi bhaiya, aisa mat kahiye. Jab tak main hoon, main aapko kuch nahi hone doonga. Hume turant chalna hoga."

**Yuvraj Harshvardhan** - "Nahi, bhai... nahi... is tarah mat ro, tum ek yoddha ho, aur... yoddha ko is prakar nahi roona chahiye."

**Yuvraj Vikramaditya** - "Mujhe aapke saath hona chahiye tha... pitaji ne mujhe aapke saath hona chahiye tha."

**Yuvraj Harshvardhan** - "Koi baat nahi, mere bhai... jo hona tha, wo ho chuka hai. Ise ab swikar karo... mera ant nishchit hai."

Vikramaditya, rote hue - "Nahi bhaiya... yadi aap jaise mahan yoddha nahi rahe, to hamara rajya bikhar jayega."

Harshvardhan ne halke muskurate hue kaha - "Nahi bhai... ab wo mahan yoddha tum banoge, jinki aavashyakta Vikramapur rajya ko hai. Mujhe apne bhai par poorn vishwas hai. Tum nek hriday ke ho, aur aane wale samay mein tum is rajya ke raja banoge. Mujhe vishwas hai ki tum ek acche raja banoge aur apni praja ki seva karoge."

Harshvardhan ne apni aankhon se sainikon ko ishara kiya ki ve dur chale jayein.

Sainik ab dur khade yah drishya dekh rahe the. Yuvraj Vikramaditya ko samajh nahi aa raha tha ki unke bhai aisa kyun kar rahe hain.

**Yuvraj Harshvardhan** - "Meri baat dhyan se suno, shatru hamare beech hai. Main nahi jaanta ki wo kaun hai, parantu iska pata tumhe lagana hoga. Ho sakta hai wo hamara koi nikat ho. Jab use pehchaano, use kabhi mat chhodna. Hamare har yudh ki yojna shatru pehle se jaan leta tha."

**Yuvraj Vikramaditya** - "Jo aap kahen bhaiya, main use dhoondh ke khatam kar doonga."

**Yuvraj Harshvardhan** - "Sultan ko agar koi maar sakta hai to wo tum ho. Tumhe ab yuddh niti seekhni hogi. Mujhe vishwas hai ki tum ye kar loge. Varna, ye akramankari kabhi bhi hamare rajya par adhikaar kar lenge. Phir ve sabko maar denge ya daas bana lenge. Auraton ki izzat lootenge... mujhe vachan do bhai tum ye ladhai khud ladoge."

Ab Harshvardhan ki saansen tez ho chuki thi. Aisa lag raha tha jaise ve kisi bhi samay apna sharir tyaag denge.

**Yuvraj Vikramaditya** - "Haan bhaiya, main aapko vachan deta hoon."

**Yuvraj Harshvardhan** - "Hamari tarah mat banana. Mujhe pata hai tum hum sabse shreshth vyakti ho. Tum ek acche raja banoge."

Yuvraj Vikramaditya ki aankhon se ab bhi aansu beh rahe the.

**Yuvraj Harshvardhan** - "Vikram, mere bhai, ek raaz ki baat mujhe tumse kehni thi."

**Yuvraj Vikramaditya** - "Bataiye bhaiya."

**Yuvraj Harshvardhan** - "Main ek stri se prem karta hoon... bahut prem karta hoon... kaash is samay wo yahaan hoti."

Yuvraj Vikramaditya ko yeh sun kar aashcharya hua. Harshvardhan, jo keval yuddh, rajneeti, aur praja ke karyon mein ruchi rakhte the, prem ka naam sun kar Vikramaditya ko bhi thoda aachambha hua.

**Yuvraj Vikramaditya** - "Kaun hain wo bhaiya? Main abhi kisi sainik ko bhejta hoon unhe lane ke liye."

**Yuvraj Harshvardhan** - "Nahi, nahi. Mera wo prem ek paap hai. Main ise apne saath le jana nahi chahta. Isliye main tumhare samaksh iska prayaashchit kar raha hoon."

Harshvardhan ka sharir ab aur bhi kamjor ho chuka tha. Unki aankhein dheere-dheere band hone lagi.Vikramaditya samajh chuke the ki unke bhai ki mrityu ab nikat hai.

Yuvraj Harshvardhan - "Vikram, hamari maa ka dhyan rakhna... unhe bahut sneh dena... aur haan, unhe batana ki main marne se pehle unhe yaad..."

Harshvardhan ki aankhein ab band ho chuki thi. Unka hriday ab dhadakna band ho gaya tha. Unki mrityu ho chuki thi. Yuvraj Vikramaditya ab zor-zor se ro pade.

Yuvraj Vikramaditya - "Bhaiya..."

Vikramaditya ne unhe apne gale laga liya aur wo rote rahe. Unke senapati wahan aaye.

Senapati - "Yuvraj, hum sabhi ko inke jaane ka khed hai. Ve ek mahaan yoddha the, sirf ek utam purush hi nahi. Hume ab sammaan se unka antim sanskaar karna hoga."

Yuvraj Vikramaditya samajh gaye ki ab unhe apne rajya ki taraf lautna hoga. Sab rajya ki taraf lautne lage. Sampurn yatra mein Yuvraj Vikramaditya apne bhai ke shav ko hi dekhte rahe. Unhe ab bhi vishwas nahi ho raha tha ki jo hua wo vastavik tha. Ek taraf vijay ka ullas tha, to dusri taraf apne bade bhai ke chale jaane ka dukh. Aakhirkar, ve apne rajya pahunche.

Raja Ranvijay mahal ke bahar yuddh se lautne wale veeron ka swagat karne ke liye khade the. Kai striyan aarti ki thali lekar khadi thi. Jaise hi Yuvraj Vikramaditya apne rath se neeche utare, sabne un par phoolon ki varsha karne lagi. Sab log unka jai-jai kar rahe the।

Raja Ranvijay - "Putra, hum yuddh jeet chuke hain, parantu tumhare chehre par ye udasi kyun chhayi hui hai?"

Yuvraj Vikramaditya ne apne sainikon ki taraf dekha aur ishara kiya. Do sainik Harshvardhan ka shav rath se neeche laye.

Yuvraj Vikramaditya ka shav dekhte hi Raja Ranvijay unke pichhe rakhe hue sinhasan par baith gaye. Unhe vishwas nahi ho raha tha ki unka uttaradhikaar ab is duniya mein nahi raha.

Puri praja jo ab tak jai-jai kar rahi thi... wo sab ekdum se shaant ho gaye... Yuvraj Vikramaditya apne sir ko niche kiye abhi tak ro rahe the... har taraf ek sannata chhaya hua tha.

Tabhi Yuvraj ko paaylon ki aawaz sunai di... Rani Kadambari tezi se daudte hue unki taraf aa rahi thi...

Rani Kadambari ab apne bete ke paas aa gayi aur unke shav ko pakadkar rone lagi... unhone Yuvraj Vikramaditya ki taraf dekhte hue kaha,

Rani Kadambari - "Ye sab kaise hua Yuvraj... mera beta ab nahi raha..."

Wo kabhi logon ki taraf dekhti, kabhi sainikon ki, kabhi apne chote bete ki taraf dekh kar yahi sawal puch rahi thi ki aakhir koi bhi unhe kyun nahi bacha paaya...

Maa Rani Kadambari kai samay tak apne bete ke shav ko apni baahon mein lekar roti rahi... tabhi Raja Ranvijay unke paas aaye aur unhe ek dusre se alag kar diya...

Raja Ranvijay - (bhari aawaz mein) "Aap andar jaiye..."

Rani Kadambari bhale hi chahti thi ki wo apne putra ke saath apne antim kuch samay bitayein, lekin wo apne pati ke viruddh nahi jaa sakti thi. Kuch dasiyan aayi aur rani ko lekar mahal mein chali gayi...

Surya dheere-dheere ast ho raha tha, aur Vikramapur ki vadion mein ek gehra sannata chha gaya tha. Poore rajya ke log apni aankhon mein aansu aur dilon mein shok lekar Raja Ranvijay aur Yuvraj Vikramaditya ke peeche chal rahe the. Har taraf shok ki lehar thi. Yuvraj Harshwardhan ka shav ek bhavya palki mein rakha gaya tha, jise unke parama mitron aur sainikon ne apne kandhon par uthaya hua tha.

Shav yatra ka marg phoolon se saja hua tha. Rani Kadambari, jinki aankhon mein apaar dukh tha, apne bete ke shav ke paas bhi nahi ja sakti thi. Unka chehra aansuon se bhara hua tha, aur ve baar-baar apne bete ko pukar rahi thi, jaise ki vah lautkar aayega. Log unhe santona dene ki koshish kar rahe the, lekin unke liye yeh ek asambhav karya tha. Ye parampara sadiyon se chalti aa rahi thi. Ek Rajgharane ke purush ke antayatra mein striyaan kabhi nahi aa sakti thi. Unka maana ye tha ki veergati mardon ka vardan hai. Aise samay aurat ke aansu us veerta ko narm banate hain.

Rajmahal ke paas, jahan antim sanskar hona tha, ek vishal agni chita tayar ki gayi thi. Wahan Raja Ranvijay ne ek dukhi lekin garvit chehre ke saath upasthit hokar apne putra ko antim vidaai dene ka nirnay liya. Lekin jitna dukh bhai aur maa ko tha utna dukh unke yani Raja Ranvijay ke aankhon mein nahi tha. Unhone shanti aur samman ke saath chita ke chaaron or khade hokar prarthana ki, apni praja se kaha, “Mere veer putra Yuvraj Harshwardhan humare beech nahi hain, lekin unka sahas aur balidan hamesha hume prerit karega.”

Yuvraj Vikramaditya ne apne bade bhai ki chita ko dekhte hue siskiyaan bharti hui kaha, “Aap hamesha hamare dilon mein jeevit rahenge, bhai. Main vachan deta hoon ki aapke dvara dikhaye gaye maarg par chalunga aur hamare rajya ki raksha karunga. Aur ek din aap ki mrutyu ka badla main hi lunga.”

Phir, Raja Ranvijay ne chita ke agni ko prajwalit kiya. Agni ne Yuvraj Harshwardhan ke sharir ko apne aagosh mein le liya, aur uske saath-saath unki sabhi yaadein, unka sahas, aur unke dvara dikhaye gaye tyag ko bhi. Log aansu bahate hue, unke sahas ko yaad karte rahe. Agni ki laptain aasman ki or uthne lagi, jaise ki Yuvraj Harshwardhan swarg ki or udaan bhar rahe hon.

Parantu, is dukhad kshan mein bhi, log ekjut hokar unki veerta ka jashn manane ke liye tayyar the. Unhone apne dilon mein yeh sankalp liya ki ve Harshwardhan ki yaad ko sahejenge. Antim sanskar ke baad, log lautne lage.

Yeh antim sanskar na keval ek shok ka pal tha, balki yeh ek nayi shuruaat ki or bhi ishara kar raha tha, jismein Yuvraj Vikramaditya apne bhai ki virasat ko aage badhane ke liye tayyar the.

Antim sanskaar ke baad sab log apne ghar laute to Yuvraj Vikramaditya bhi apne raajmahal me vaapas laut aaye aur apne shayan kaksh ki taraf jaane lage... jaate waqt wo unki maa Rani Kadambari ke kaksh se guzarate hain... Wo dekhte hain ki unki maa aur unke saath kuch dasiyan baithi hui hain... us samay ka pratha anusaar aurate hamesha ghunghat me hi rahti thi... lekin Yuvraj Vikramaditya ko saaf saaf mahsus ho raha tha ki unki maa abhitak ro rahi hain... aur royengi kyun nahi... unhone apna bada beta kho diya tha. Wo apne maa se kuch baat nahi karte aur chupchaap andar apne aasan par jaakar baithate hain...

Ab wo aasan par baithe hue the. Unke man me vicharon ka manthan chal raha tha... kabhi kabhi unhe khud par nafrat hone lagi. Wo khudko kosne lage ki kaash us samay wo wahapar apne bhai ke saath hote to wo bacha paate. Lekin phir unke man me ye sawal aata ki unke bhai unse bade yoddha the lekin phir bhi wo khudko bacha nahi paaye. Nahi itne saare sainik aur mai to abhitak yuddh ko acchese janata bhi nahi hoon. Nahi mujhe koi khaas anubhav hai.

Apne bhai ke khone ka gham unhe is kadar ho raha tha ki wo kabhi khudko to kabhi kisi aur ko dosh de rahe the. Sultan ke prati unka krodh aur badle ki bhawana aur badh gayi... wo samjh gaye ki unke pass abhi ekmaatr paryay hai, wo hai ab zimmedari lena. Yuddh neeti, raj neeti, shastravidhya... in sab ke bina ye ladhai wo kabhi nahi jeet sakte... unhe apni maa, pita aur praja ke liye ab taiyyar hone ka samay aa chuka tha. Pratishodh ki jwala ab unme bhadak chuki thi.

Aur yahi shuru hota hai is kahani ke paatr hamare nayak hone wale RajKumar Yuvraj Vikramaditya ki kahani.


Agla bhaag jald hi......
🥵🔥😍
 

coollog

Love mom
467
972
94

coollog

Love mom
467
972
94
Bhai log sorry, bahot koshish ki lekin ek line tak likhne ka time nahi mil raha hai...aaj bahot busy hoon. So update kal subah hi aayega. Ummid hai aap log samjhne ki koshish karenge..
Subah kab?
 
Last edited:

Rajug8804

Member
312
416
78
Ab Yuvraj aur Maa Kadambari punah Nirjala ke paas lautte hain aur apni yatra par nikal padte hain.

Maa Kadambari Yuvraj ke saath ghode par baithi hui hoti hain. Wahi dwivida aur wahi vichar unke man mein sthayi roop se bas chuke hote hain.

Nirjala - Yuvraj, shaayad hum is maarg se chalein to humein sheeghrata se pahuchne mein sahayata hogi.

Yuvraj - Parantu yah maarg to van ke bheetar se guzarta hai, hai na?

Nirjala - Haan, parantu is maarg se hum sheeghr hi Shauryagarh pahuch sakenge.

Yuvraj kuch vichar karte hue - Theek hai, Nirjala ji... aapne jaisa kaha hai, waisa hi hoga. Hum is maarg se hi nikalte hain.

Maa Kadambari ko yah baat thodi asahaj lagti hai, lekin ve kuch nahin kehti. Unhe yah lagta hai ki Yuvraj ne kuch soch-samajh kar hi yah nirnay liya hoga.

Ab ve usi maarg se yatra prarambh karte hain. Wah maarg ghane van se hokar jaata tha.

Maa Kadambari - Waise, tumhe in maargon ke vishay mein kaise jankari hui, Nirjala?

Nirjala - Baat yah hai ki hamara gaav is maarg se yatra karne ke pashchat hi sabse pehle milega.

Maa Kadambari - Achha.

Maa Kadambari ne kuch nahin kaha, unhe yah prateet hua ki Nirjala sahi keh rahi hongi. Haalaanki, Shauryagarh jaane wale maarg ke vishay mein unhe kuch jankari thi, aur yah maarg wah bilkul nahin tha.

Kaafi samay ki yatra ke baad raat ka samay ho chuka tha. Sabhi ko bhukh bhi lag rahi thi aur vishraam ki avashyakta bhi thi, atah unhone kahin tambu lagane ka vichar kiya.

Nirjala bhi anya karyon mein sahayata kar rahi thi.

Nirjala - Yuvraj, hum tambu mein bistar bichate hain.

Yuvraj - Ji, dhanyavaad.

Maa Kadambari aur Yuvraj dono baahar bhojan banane ki taiyaari kar rahe the. Tabhi Yuvraj ko aisa aabhas hua jaise koi unki nigraani kar raha ho.

Unhone chaaron or dekha, lekin unhe koi dikhayi nahin diya.

Yuvraj - Maa, yah Nirjala kahaan chali gayi?

Maa Kadambari - Wah to abhi tambu mein gayi thi... shaayad kuch nijee kaam (shauch) ke liye yahaan kahin gayi hongi.

Yuvraj thode satark ho jaate hain. Unhe lagta hai ki shaayad kuch galat ho raha hai... ve isee vichar mein the ki tabhi kuch luteere wahaan aate hain. Ve luteere bilkul waise hi lag rahe the jaise ve pehle mile the.

Maa Kadambari ekdam ghabraati hain... Yuvraj turant Mata ke paas jaate hain, taaki unhe koi haani na pahunch sake. Ve apni talwaar dekhne ki koshish karte hain, lekin unki talwaar kahin dikhayi nahin deti.

Yuvraj - Meri talwaar kahaan hai?

Lutera (hansate hue) - Aapki talwaar? Hahaha... Nirjala, inhe inki talwaar do... Yuvraj bina talwaar ke ladh nahin sakte.

Tabhi un luteeron ke beech se Nirjala talwaar lekar saamne aati hain.

Maa Kadambari aur Yuvraj dono aashcharyachakit ho jaate hain, yah dekhkar ki aakhir yah kya ho raha hai, aur Nirjala in logon ke saath kya kar rahi hain.

Maa Kadambari (ghabrate hue) - Beti Nirjala, yah tum kya kar rahi ho? Aur tum in luteeron ke beech mein?

Nirjala - Luteere nahin, Maharani ji, ye mere bhai hain, mere sainik hain, aur yah mera parivaar hai.

Yuvraj aur Maa Kadambari dono sann rah jaate hain. Ve samajh nahin paate ki aakhir yah sab kya ho raha hai. Kya Nirjala ek gaddaar thi, ya kuch aur?

Maa Kadambari - Tumhare log... tum...

Yuvraj - Maa, ye Kaalpuri samudaay se hain...

Maa Kadambari ab aur bhi dar jaati hain.

Nirjala - Sahi kaha Yuvraj... Aakhirkar aap samajh hi gaye... Achha hoga ki aap yahaan se chale jaayen. Hamara pratishodh aapki maa se hai, aapse nahin.

Yuvraj abhi bhi samajh nahin pa rahe the ki aakhir yah sab kya chal raha hai...

Yuvraj - Hamari maa, kya bigaada hai hamari maa ne aapka?

Nirjala Yuvraj ki talwaar ko bahut majbooti se pakde hui thi.

Nirjala - Yah jaanne ka adhikaar aapko nahin hai Yuvraj... Jo paap unhone kiya hai, uski saza unhe bhogni hi hogi...

Tabhi ek ghode ki awaaz aati hai, jo tezi se unki aur aa raha tha... andhere mein yah spasht nahin ho paa raha tha ki aakhir us ghode par kaun hai.

**Nirjala - Jaao, jo bhi hai, use roko.**
Nirjala ne apne sainiko ko aadesh diya. Ve turant hi us ghode ki taraf jaane lage.

**Yuvraj - Nirjala ji, rukie. Jo aap kar rahi hain uska kaaran hum nahi jaante... lekin humare rahte hum apni maa par aanch tak nahi aane denge.**

Nirjala ab thoda gusse mein aa gayi. Unhone apni talwar ko upar kiya...

Tabhi unhe us ghode par baithe aadmi ki awaaz aati hai... jo bahut zor se thi.

**Aadmi - Ruko...**

Nirjala ne us awaaz ki taraf dekha. Mauka dekhte hi Yuvraj ne Nirjala ko pakadkar unke haath se talwar cheen li. Aur unki gardan par rakh di. Nirjala ke sainik pal mein hui is ghatna ko samajh nahi paaye. Nirjala ko is sthiti mein dekhkar ve dar gaye.

**Yuvraj - Main nahi jaanta ye sab kya chal raha hai... lekin aap hamari maa ko chot bhi pahunchaayi to Nirjala ko hum maar denge.**

Nirjala ke sainik dar gaye... unhe laga ki unke paas chupchaap khade rehne ke alawa aur koi vikalp nahi hai.

Tabhi wah ghoda ab unke paas aata hai. Us insaan ke saath Nirjala ke sainik bhi the.

**Maa Kadambari us insaan ko dekhti hain.**

Mata Kadambari apne aap se - "Vishwajeet" (Wahi 10 sainiko mein se ek sainik jise Yuvraj ne apne rajya mein aakar rehne ko kaha tha)

Vishwajeet ab unke paas aata hai... jab wah dekhta hai ki Yuvraj ne Nirjala ki gardan par talwar rakhii hai, to wah dar jaata hai.

**Vishwajeet - Nahi Yuvraj, ruk jaiye... aisa anarth mat ki jiye.**

**Yuvraj - Nahi Vishwajeet, yah mahila hamari maa ko maarna chahti thi. Hum ise aise nahi chhod sakte.**

Maa Kadambari ne dekha ki jab Vishwajeet un sainiko ke beech khada tha, to aisa lag raha tha jaise wah unhe bahut pehle se jaanta ho...

**Maa Kadambari - Yeh sab kya ho raha hai... yeh sab kaun hai Vishwajeet. Kyun tum is aurat ko bachana chahte ho?**

**Vishwajeet - Yuvraj kripya karke is mahila ko chhod dijiye, hum sab kuch bataenge.**

**Nirjala - Zarurat nahi hai... hum mar jayenge lekin apna badla poora karke rahenge.**

**Vishwajeet - Aap galat soch rahi hain bhabhi maa, jismein bhi aapko woh baat batayi, wah sab jhoot hai...**

**Yuvraj - Kis jhoot ki baat kar rahe ho, kya chal raha hai... yeh tumhari bhabhi kaise hai, Vishwajeet. Humein kuch to batao...**

Yuvaraj ab bahot gusse me the...unka krodh vishwajeet ne pahle bhi dekha tha.

Vishwajeet- ye sirf hamari nahi yuvaraj, ye aapki bhi bhabhi hai, aapke Priya bhai yuvaraj harshwardhan ki patni. Ab to unhe chod dijiye..

Yuvaraj aur maa kadambari ke maano pairo se jamin hil gayi thi... Yuvaraj ko pata hi nahi chala ki unke haath nirjala ki gardan se chut Gaye hai....unhone nirjala ki taraf dekha, jiski aankhe halki si nam ho gayi thi..

Yuvaraj ke aawaz kaanpne lagi....

Yuvaraj - hamare Bhai ki patni...ye nahi ho sakta.. kya ye hamari bhabhi maa hai...

Nirjala tabtak unse chut chuki thi..unhone jhat se ek talwar uthayi aur maa kadambari par vaar karne hi wali thi tabhi...

Vishwajeet- nahi bhabhi maa, aap khud ek paap kar rahi hai...

Nirjala- hume jhoot bolkar bahelao mat vishwajeet...hum sab jante hai.

Yuvaraj- bhabhi maa, hum nahi jaante aap ye kyun kar rahi hai..aapko is se kya laabh hone wala hai...hume kuch to bataiye.

Nirjala ki aankhe ab nam thi...unki aankho se halke halke aansu nikal rahe the.

Nirjala- yuvaraj, to puchiye unse ki unhone hamare pati ko kyon mara...aapke Priy bhaai ki hatya kyun ki.

Yuvaraj is baat ko sunte hi mano ek jagah par jam se gaye...bhai ki hatya aur wo bhi maa..unhe maano ab kuch samjh hi nahi aa raha tha. Unhone apni maa ki taraf dekha, maa kadambari ki aankhe apne paap ki pashchatap me apne aap ro rahi thi...

Unhe samajh nahi aaya ki aakhir unki maa ye sab kyun karegi..

Vishwajeet- (haath jodte hue apne ghutno par baith jaata hai)- ye sach nahi hai bhabhi maa, aap aisa mat kijiye.

Nirjala rote hue lekin gusse me- hum tum par yakin nahi kar sakte..

Vishwajeet- main yuvaraj harshwardhan ki kasam khakar kahta hoon, bhabhi maa. Aap ek baar sochiye...maharani nirdosh hai..

Yuvaraj harshwardhan ki kasam khana, nirjala ke liye ek sacchai ki Nishan thi...ye baat sunte hi nirjala ke haath se talwar chutati hai..

Nirjala- ye tum kya kah rahe ho..

Yuvaraj ek putale ki tarah khade the

Vishwajeet- ye sach hai bhabhi maa, yuvaraj harshwardhan ke hatya ke doshi koi aur hi hai..

Yuvaraj- kaun hai vishwajeet...

Vishwajeet apni aankhe niche karta hai...

Vishwajeet - aapke Bhai ki hatya me kuch log shamil hai yuvaraj...

Yuvaraj ( krodh me) - kaun hai vishwajeet, hum uska sir dhad se alag kar denge.

Vishwajeet( aankho me aansu liye)- un logo
me se ek hai aapke pita Raja ranjvijay....





Agla bhaag jald hi
Wah bhai maza aa gaya ab kb update mulega
 
Top