• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Horror Maut ka Aatank...!!!

-:Demon King:-

-:vïrüs:-
Prime
2,388
1,296
159

budbak index to thik kar dikh hi nahi rahe the pehle ke 19 update socha ye to thari signature hai :slap:

update it properly :waiting:
 
Last edited:

-:Demon King:-

-:vïrüs:-
Prime
2,388
1,296
159
mene padhna start kya kiya tha ju ne update dena hi band kar diya hai :slap:

aaj hi try karta hu balki abhi :reading: karne ki puri fir bat karte hai

ju update likhne k waste ready raho abhi

:reading: pehla update fir se padhna padega :sigh:
 

-:Demon King:-

-:vïrüs:-
Prime
2,388
1,296
159
Update : 1 (Jungle)

Jungle me mangle ho raha hai ka :sex: :?: bahot tharki writer hai :D


Insaan ka dil bhi kitna ajeeb haina, pal bhar me khush hota hai toh pal bhar me dukhi, vese toh kehte hai ki insaan ka dil kaafi majbut hota hai, kahi na kahi yeh kuch hadd tak sahi bhi hai, lekin insaan ka dil jitna majbut hota hai usse kahi ghuna jyada kamjor bhi hota hai..aur kamjor banta hai DARR se

Darr koi vastu toh nahi hai..par ek aisa ehsaas hai jo ache se ache insaan ko hila kar rakh deta hai, aur jab insaan darta hai toh uska joro se dhadak ne lagta hai

sahi kaha dar kafi kuchh kar deta hai aur uska reaction apni boody me instantly dikhta hai jab fatti hai to :D

dil majbut tab hota hai jab bat koi dukh bhari ho

dil fattu tab hota hai jab bat aaye dar ki (waha nahi bol sakte dar k aage jit hai) tab dimag se kam lo to hi darr k aage ja sakte hai :D

:slap: abhi jo bold kiya me waha typos change nai kiya abi bhi ka dhadakne lagta hai bhai :?: change karo men :waiting:


Vese toh aaj insaan ke pass sabkuch hai, par jab kisi chiz ke khone ka darr lagta hai toh insaan tut sa jaata hai, par sach kahu toh use darr nahi kehte..darr use kaha jaata hai jisse insaan ki rooh tak kaanp uth jaaye

mast likha hai darr ki definition ju ne mast di hai :thumbup:


Raat ke karib 1:30 baj rahe honge, thand ka mausam hone ke karan jungle me kaafi jyada kohra jama hua tha, aur kohre ki vajah se chaand ki roshni bhi thik se zameen tak pahuch nahi paa rahi thi

Jungle me charo aur ghor sannata chaaya hua tha, seher ki bheed bhaad aur pradushan se mukt jungle ka vatavaran kaaf shaant tha, par kehte haina ki shant chize hamesa khatarnak hua karti hai

sahi kaha jungle se me raat ko nikla huwa hu bahot mast mausam hota hai

wese ye last shant chize khatarnak wali ladkiyon k experience se likhi thi kya :?:

bahot mast explain kiya hai :thumbup:


Asmaan me chamgadhar udd rahe the, aur unke alawa jungle me raha har prani soya hua tha, charo aur ghor sannata chaya hua tha aur tabhi iss sannate ko chirte hue ek kachi sadak par se ek gaadi gujar rahi thi

Ab haalat kuch ese the ki jungle ke iss hisse me roshni ke naam par chal rahi gaadi ki headlight thi, jisse jyada dur toh nahi bas halka halka side se jungle ke gehrav dikhayi de raha tha

Gaadi me iss waqt 2 log sawari kar rahe the, aur dono ki hi saanse teji se daud rahi thi..unke chehre se darr saaf jhalak raha tha, aur darr ko kam karne ke liye driving site par baithe hue ladke ne music chalu kar diya

bahot hi mast explain karte ho tum situation esi samjayi ja rahi hai ki esa lagta hai me waha khada hu :smarty:

wese indono ki sansein kyun tej chal rahi thi :?: darr ki bajah se :?: to waha gaye hi kyun the :?:

wese ek baat samaj nai aayi ye boss dk ese jungle me raat k time car leke ghusne ki chul kyun hoti hai logo ko :dazed:

:reading:



“Gaadi Bulaa Rahi Hai, Siti Bajaa Rahi Hai
Gaadi Bulaa Rahi Hai, Siti Bajaa Rahi Hai
Chalanaa Hi Zindagi Hai, Chalati Hi Jaa Rahi Hai

Gaadi Bulaa Rahi Hai, Siti Bajaa Rahi Hai”


“jaan, yanha bhi..had hai” car me baithi hui ladki apne bf se kehti hai

Voh ladki ajeeb si shakal banate hue ladki se puchta hai “kya..??”

Ladki “har waqt train, train aur train, agar train tuje itni hi jyada pasand hai toh tu usi se shaadi kyu nahi kar leta..??”

Ladka sochne ka natak karte hue “shaadi..aur voh bhi train se, haa yaar..idea toh acha hai, par voh kya haina ki mai chahkar bhi usse shaadi nahi kar sakta”

Ladki “kyu kyu kyu..??”

Ladka “voh kya haina ki meri kundli me likha hai ki meri shaadi kisi bandariya se hogi”

Ladki “acha ais…..” achanak se voh bolte hue ruk jaati hai aur fir uss ladke par gussa hote hue uski chati par ghuse marte hue kehti hai “acha..toh mai bandariya hu, ruk abhi batati hu” aur voh ladki use gushe maarne lagi

Ladka haste hue kehta hai “are bas bas, ruk jaa meri maa..varna accident ho jayega”

Tabhi voh ladki ki najar samne padi aur use dekhte hi uski cheekh nikal gayi “nooooooooooooooooooooooooooo”

Ladki ki cheekh sunte hi ladke ka dhyaan samne ki aur gaya “ohhh shiitt” uske muh se itna hi nikala aur unki car sidhe samne se aa rahe truck ma jaa ghusi

thik hai bhai chalo car wala gaya waha lekin ye sala truck wala waha kya lene gaya tha :?; taskari :?:

good going abhi tak to mast ja rahi hai story

wese darr ko bhagane ki achhi taknik hai hasna aur majak karna

:reading:


Next Day, Morning
Aaj kaafi dino ke baad suraj ki roshni nikali thi, subah ka mahol tha, vese toh jungle me subah ko pakshiyo ke kilkarne ki awaze akshar sunayi deti thi, lekin aaj pakshiyo ki jagah police ki jeep ka siren ki awaaz jungle me gunj rahi thi

Gharrr gharrrr karti hui police ki jeep jungle ki chirti hui aage badh rahi thi, kachi sadak hone ki vajah se jeep kaafi dheere chal rahi thi

Jeep me iss waqt 3 log sawar the, usme se do log jo ek aage driver ke pass baitha tha aur ek piche baitha voh dono rangin kapdo me the jabki Driver apne uniform me tha

Raste me khade jyada hone ki vajah se driver ko jeep chalane me kaafi pareshani aarahi thi, jo aadmi piche baitha tha voh driver par chillate hue kehta hai “abe kar kya raha hai, sahi sa chala na”

Driver “sahab, rasta hi aisa hai kya karu”

Jo aadmi aage baitha tha voh kehta hai “are sunil, shant rah mere bhai, subah subah tera muh kyu utara hua hai”

Sunil “are kya batau yaar, jab se iss jagah posting hui hai meri toh zindagi hi barbaad hogayi hai”

Voh aadmi haste hue kehta hai “kyu bhai, Bhabhi ghar me nahi aane deti kya”

Sunil “aisa hi kuch samaj le mere bhai, yaar sach kahu toh tang aa chuka hu, log akshar subah me uthkar sabse pehle apni biwi bachcho ka chehra dekhte hai aur ek mai hu jo roj roj murdo ko dekhta hu”

Aryan joro se hasne lagta hai jise dekh Sunil kehta hai “has mat bhai, tera bhi yahi haal hone vala hai”

Aryan thoda gambhir hote hue puchta hai “iss jungle ke baare me kaafi kuch sunn rakha hai maine, maine toh suna hai ki yaha har police vala aane se katra ta hai, aakhir aisa toh kya raaz hai iss jungle me”

Khair Aryan ka sawal bhi khatam hua aur voh log uss jagah pahuch gaye janha voh hadsa hua tha


good going men

jungle me police jane se bhi darti hai :?:

esa to ka hai bhai jungle me :?:

tashkari ka bada karobar chal raha hai kya :?: isi liye ekka dukki ko marke khauf faila rahe hai ya fir asal me koi janwar hai waha :?:

dekhte hai naya aaya huwa police aur baki sabko ka milta hai

:reading:


Aryan ne jeep me baithe hue hi dekha ki vaha par NO ENTRY ka board laga hua hai aur hadse vali jagah ke charo aur yellow colour ki ribbon se ghera banaya hai

Police Jeep ke aate hi ek police constable daudte hue jeep ke pass aaya aur salam karte hue kehta hai “raam-raam sahib”

Tabtak Sunil aur driver dono hi jeep se utar chuke the, sunil “Raam-Raam Patil, kya khabar hai”

Patil bhi majak karte hue ketha hai “sahib kaiko majak karte hai, aap ko toh sab kuch pata hai, vahi jo akshar hota hai”

Driver puchta hai “kya hua tha” voh teeno hi chalte hue ab uss crime-scene par pahuch chuke the, jabki Aryan jeep me baithe hue charo aur dekh raha tha ya kuch soch raha tha

Vaha ke haalat dekhte hue Driver kehta hai “firse nahi” voh aage kuch bol paata usse pehle unke pass daudte hue ek ladka aaya “saab ji..saab ji, bachaiye saab ji, hume bacha lijiye”

“aeee chup” kehte hue ek aur constable vaha aaya aur uss ladke ko vaha se le jaane laga

Aryan jo ab Sunil ke pass aachuka tha voh kehta hai “ek min ek min, yeh kuch kehna chahta hai”

Sunil “rehne de Aryan, tu iski baat sunega toh pakka yeda ho jayega”

Sunil ki baat sunkar Aryan uski aur ghurkar dekhta hai, toh Sunil kehta hai “bhai, dekh aaj tera pehla din hai aur mai nahi chahta ki pehla din tera aakhri din ho jaaye, filhaal tu ise ignore kar..aur thoda kaam kar le..??”

ye kya baat huyi bhai :?; matlab waha k police ko bhi pata hai ki kya ho raha hai :?: jis liye wo dar rahe hai :?:

ya fir ese hi case rafa dafa karne ke waste esa soch rahe hai aur aryan se bol rahe hai :?:

dekhte hai aage ka hota hai :D :reading:


Aryan “thik hai mere bhai, you are the boss” aur voh dono thode aage chal diye, aur unke saath Patil bhi piche piche chal diya

Patil Aryan se kehta hai “saab ji, bura naa mane toh ek baat kahu”

Aryan “ha bolna, kya baat hai”

Patil “meri baat maniye saab, aap yanha se vapas chale jaiye”

Aryan uski aur dekhte hue kehta hai “vapas chala jaun..!! par kyu..??”

Tabhi unn dono ko Sunil ki awaaz sunai deti hai “firse nahi, ab toh sach me tang aa chuka hu mai isse”

Aryan uske pass pahuchte hue kehta hai “kya baat hai, Sunil, kya de….” Voh bolte hue ruk gaya aur samne ka najara dekhte hi use vomiting chalu ho gayi

Darasal Aryan ki najar sunil se hote hue sidhe uss lassh par padi jo uske najar ke samne thi..aur uss laash ki haalat itni jyada buri thi ki Aryan use 5 seconds bhi dekh nahi paaya aur vahi par ultiya chalu kar di

fir se nahi :?:

matlab vardat bar bar ho rahi hai aur police ko kuchh pata nahi chal raha hai ki ka ho raha hai

esi to kya halat thi ki ultiya suru hogyi :?:

wese lash us ladka ladki ki hai na :?:

ya fir kisi aur ki aur agar us ladka ladki ki hai to wo truck wala kidhar hai :hmm:

:reading:

Ab baat karu laash ki toh voh laash se jyada kankaal lag raha tha, uss kankaal ke do hisse ho chuke the, aur jagah voh kankaal puri tarah se khoon se lipta hua tha, chehra ka adhe hisse ka maas gayab tha aur aadhi aankh kankaal par giri hui thi, aur sharir ka niche vala hissa pura sad chuka tha aur vaha se bahut hi bhayanak budbu aa rahi thi

Vaha par saans lena bhi thoda muskil ho raha tha aur aisa hote hi Aryan ne ulti kar di

Aryan ki haalat dekhte hi sunil ne patil ko ussko vaha se le jaane ka ishara kiya aur voh vaha ke constable se baat karne laga

lash sad chuki hai niche se matlab kal wali nai hai :hmm: :confued:

lash ki halat se to recent lagti nahi :sigh:

dekhte hai ka hai ye chiz

:reading:


Aryan abhi jeep me baitha hua tha, uski ultiya toh band ho chuki thi par abhi bhi voh najara uski aankho ke samne se haat nahi raha tha, sunil uske pass aakar driver seat par baith gaya aur jeep start karte hue bolta hai “bhai, tu thik toh haina..?? ab samja Patil tuje yanha se jaane ke liye kyu keh raha tha..??”

Aryan halklate hue bolta hai “yeh itni buri haalat, kese..??”

Sunil “yeh toh kuch bhi nahi hai mere bhai” kehte hue usne apne jeb mese aloo sev ka packet nikala aur usme se khaane laga

Sunil ko khaate dekh Aryan use ghurte hue kehta hai “hadd hai bhai, esa scene dekhne ke baad tuje khaane ka suj raha hai”

Sunil haste hue kehta hai “bhai, muje toh ab aadat si hi ho gayi hai, kuch din yanha reh le, adat ho jayegi”

Yeh sunkar Aryan kuch nahi bola, Sunil ne Patil se kaha “laash ko fauran PM ke liye bhejde”

Aryan “laash..?? laash bachi hi kanha hai ab..??”

Sunil “jo bhi hai, bas yahi hai” aur voh patil se kehta hai “aur haan, doctor ko bolna ki PM report hume computer par hi dikhaye”

Yeh sun Aryan kuch nahi bola, Patil salaam karte hue apne kaam me lag jaata hai aur sunil jeep ko police station ki aur mod deta hai

To be continued….


aryan ki ahalt me samaj sakta hu bhai

esa scene dekh k koi bhi bolega puke puke

wese sunil me bhi dam hai wese usne kaha bhi sahi hai ki usne dekha hai to aadat pad gayi usko

warna to doctor log roj khana hi na kha pate

dekhte hai PM me ka aata hai

lash sirf ek mili hai accident to 2 ka huwa tha :confused:

:reading: next after dinner
 

-:Demon King:-

-:vïrüs:-
Prime
2,388
1,296
159
Milan2010

Update : 2 (Hospital)
Sunil “jo bhi hai, bas yahi hai” aur voh patil se kehta hai “aur haan, doctor ko bolna ki PM report hume computer par hi dikhaye”

Yeh sun Aryan kuch nahi bola, Patil salaam karte hue apne kaam me lag jaata hai aur sunil jeep ko police station ki aur mod deta hai


Ab aage….

Dupher ke 3 baj rahe the, vese toh aaj subah ko bahut dino ke baad suraj nikla tha, lekin kudrat ke aage suraj bhi lachchar sa dikh raha tha, jese jese din aage badh raha tha, vese vese asmaan me badalo ne apna kabja jamana shuru kar diya tha, haroj ke muqable aaj thand thodi kam thi, par fir bhi thand itni jyada thi ki koi bhi blanket se bahar nikalna nahi chahega

Aryan aur Sunil police station ke andar bani cabin me baithe hue the, Sunil ke liye toh ese hadso ko dekhna jese daily routine sa bann gaya tha, lekin Aryan ki haalat ab bhi thodi se naram thi, voh chahkar bhi unn drishyo ko nahi bhula paa raha tha jo usne aaj subah dekhi thi, baar-baar vohi tasweer uske aankho ke samne aajati thi aur use firse ultiya shuru ho jaati

pehli bar esa manjar dekho to sabke andar ka system hil jayega :cold:

sahi kaha kudrat k aage to sab lachar hai bhai :yo:

dekhte hai PM me ka nikalta hai :reading:


Lekin iss waqt Aryan ne khudko thoda sambhal liya tha, aur voh chayi ki chuski lete hue “bhai, muje kuch samaj nahi aa raha hai, koi kisiko itni behrehmi se kese maar sakta hai..??”

Sunil “yahi toh samaj nahi aa raha, aakhir me yeh sab kar kaun raha hai”

Aryan “aur tune kaha tha ki yanha par ese hadse hote rehte hai, kuch toh evidence hoga ki yeh sab kaun raha hai”

Sunil “nahi mere bhai, hume aaj tak koi evidence nahi mile aur naahi kisine bhi aisa kuch karte dekha hai” fir voh rukkar kehta hai “jaanta hu mere bhai, tere dimaag me iss waqt bahut se sawaal ghum rahe hai, vese bhi aaj tera dusra din hai, toh dimaag par itna jyada jor mat daal, vese bhi aaj teri haalat kuch theek nahi hai, tu aaj aaram kar le, hum kal iss baare me baat karenge”

Aryan ko bhi sunil ki baat sahi lagti hai, voh jald se jald ghar jaakar sona chahta tha, fir ek baar voh Sunil se apna sawaal firse dohrata hai “koi itna berehem kese ho sakta hai..itni darindgi ki usne sharir ke do hisse hi kar diye..??”

Sunil haste hue Aryan ke sawal ka jawab deta hai “hahahaha, muje nahi lagta bhai ke tu yanha par jyada din ruk payega, sach kahu toh DG se kehkar apna transfer karwa le”

Yeh sunkar Aryan use thoda gusse se ghurne laga, toh Sunil hasna band kar deta hai, tabhi vaha Patil aakar kehta hai “sir, doctor saab ka phone tha, unhone kaha hai PM report taiyaar hai”

Sunil “chal mere bhai, asli darindgi toh tuje ab dekhne ko milegi” aur voh vaha se bahar chala gaya, Aryan kuch sochne lagta hai aur fir voh bhi Sunil ke pass chala gaya

abhi jeep khud sunil drive kar raha tha, aur Aryan uske pass baithe hue apni hi soch me duba tha, jabki Patil apni hi masti me jeep me piche baithe hue gaana gun-guna raha tha

Karib 35 min ki driving karne ke baad yeh teeno gaanv ke sarkari hospital me pahuch gaye, jeep se utarte hue Sunil Aryan se puchta hai “kya soch raha hai..?? tu pure raste me chup tha”

Aryan iss waqt sunil se koi baat nahi karna chahta tha toh voh keh deta hai “kuch nahi bhai, bas tabiyat thodi kharab thi” aur voh Hospital ki aur dekhne lagta hai

Hospital ko dekhte hi Aryan kehta hai “yeh hospital hai ya kabaad khaana”

Vese Aryan ka kabaad khaana kehna galat nahi tha, yeh hospital ko jo bhi pehli baar dekhta use yeh kabaad khaana hi lagta tha
Ek tuta hua chota sa bunglow tha, road ke khatam hote hi main gate tha jispar ek sada hua name plate laga tha, name plate ki kinari jagah jagah se tuti hui thi aur voh plate puri tarah se jaang kha chuki thi jis vajah se hospital ka naam dikhayi nahi de raha tha
Kehne ko toh hospital thi, lekin voh hospital se jyada kabad khaana laga hua tha, gate ke dono side logo ne kuda faink raha tha, aur kuda itna ki dono hi side bade bade dher ban chuke the, jinpar anginat makhiya udd rahi thi

:shocked: aryan kya soch raha hai :?: uske dimag me kahi wo aadmi to nahi jisko sunil ne bhej diya tha us lash wali jagah pe se jo bol raha tha ki hume bacha lo :?:

aur ye hospital hai ya bhoot bunglow :?: :scared:

dekhte hai kabad khane me kya milta hai :D

:reading:


Vese toh gate ke haalat bhi kuch thik nahi the, Aryan gate se andar jaate hue dekhta hai ki lohe gate ek side se juk gaya aur dusri side vala gate side me gira pada tha, aur samne ki aur dekhe toh ek choti si pagdandi thi jo thodi dur ek darwaze ki aur jaa rahi thi
Pagdadni ke aaju baaju badi badi ghaas ugi hui thi, aur uss bunglow ki baat kare toh bunglow ko puri tarah se paid ki daaliyo ne dhak rakha tha
Deewar tak podho se hare rang me rang chuki thi, khair Aryan unn sab ignore karte hue Sunil ke saath bunglow ke darwaze par pahucha, usne dekha ki main door bhi sahi nahi hai..lakde ka darwaza tha par voh bhi niche se puri tarah sad chuka tha, jagah jagah darwaze me ched ban chuke the

Yeh se dekhne ke baad Aryan se raha nahi jaata toh voh Sunil se sawaal karta hai, “bhai..yeh toh muje kaha lekar aaya hai, yeh hospital se jyada muje ek kabaad khaana hi lagta hai”

Patil “saab ji, yanha par yahi haalat hai” ispar Aryan kuch nahi bolta aur voh teeno hi hospital ke andar chale jaate hai

Jab hospital ke bahar aise haal the toh hospital ke andar kya halat hogi yeh toh aap sab samaj hi gaye honge, andar ka haal bhi kuch khaas acha nahi tha, jese hi darwaze se andar dekhe toh samne ek bada sa hall tha, jisme roshni ke naam par kuch nahi tha..jo kuch bhi dikhayi de raha tha uski vajah khidki se aati hui roshni thi
Ab baat kar khidki toh usme bahut sare madki ke jaale bane hue the, hall me charo aur sirf tuti futi cheeze rakhi hui thi..yaa fir giri hui thi kehna muskil tha, hall ki haalat dekhkar aisa lag raha tha maano saalo se yanha par safaayi hui hi nahi hai

Aryan ne apne charo aur dekha, aur gehri saanse lete hue voh Sunil aur Aryan ke saath aage chala gaya, voh teeno side me bane ek room me aakar rukte hai, jo kuch thoda sa sahi tha, room me ek chota sa bulb laga hua tha aur upar chatt par chhrrr chhhhrrr awaaz karta hua pankha dheere dheere ghum raha tha, jiski haawa naa ke barabar thi

Room me ek budhe se doctor the, jinki umar karib 50 saal ke karib thi..voh Sunil ko dekhte hue kaatil se hasi ke saath kehta hai “aao inspector aao, mai tumhara hi intezaar kar raha tha”

:scared: hospital ka haal dekh k padhke to yahi lag raha hai ki ye bhoot bunglow hi hai

kahi ye wahi hospital to nahi jaha murde kali raat me khade hoke tandav karte hai :?: :hmm:

pura hospital ka description jordar tha esa laga me wahi khada hu :claps:

doctor to ese bula raha hai sunil ko jese ki koi bhoot apne pasandida insan ko dekhe :hehe:

dekhte hai aage kya hota hai :reading:


Sunil bhi ese hi thoda masti me kehta hai “kya baat hai tau, aaj bade khush lag rahe hai”

Doc “ab kya batau, baat hi kuch esi hai ki mujse raha nahi jaa raha” fir uski najar Aryan par padti hai, “sunil, tumhe lagta hai yeh chora yeh sab dekh paayega”

Doc ke sawaal ka jawaab khud Aryan deta hai “nahi nahi, subah se meri tabiyat kharab hai, aap sidhe report dijiye, baaki mai khud hi dekh lunga”

Doc “jesi aapki marji” kehte hue ek report deta hai, jise dekhte hi Aryan chauk jaata hai

Aryan “yeh kya majak hai doctor, isme toh kuch hai hi nahi”

Doc “vahi toh mai bhi keh raha hu, yeh kankaal kisi kaam ka nahi hai”

Aryan “aur iski chamdi..aapne likha hai ki iski chamdi naakhun se nikali gayi hai”

Doc “haa, chamdi nikali toh naakhun se hi hai..par”

Aryan “par kya doc, itna toh mai bhi jaanta hu ki koi bhi insaan apni chamdi iss tarah se nahi nikal sakta, aur agar mai maan leta hu ki kisine aisa kar bhi diya hai toh sharir ke andar ke hissa ka kya hua..??”

Doc haste hue kehta hai “inspector yanha par sirf kankaal hi aate hai, ab andar ke hisso ka kya hota hai iska pata lagana aapka kaam hai”

Aryan thoda gusse se kehta hai “yeh kya bakchodi hai, Sunil yeh sab kya hai, yeh report hai ya majak hai”

Sunil “bhai, tu shant hoja, yaanha jitni bhi maute hoti hai unki reports hamesa se ese hi aati hai, hume aajtak laash ke naam par sirf kankaal milte hai, aur uske saath me unki ek aankh”

ab to yakin hogya hai ki ye men made :yo:

ek hi type ka sab lash milna to inshan hi kar sakta hai

report to sahi me bakchoodi wali hi hai :D

dekhte hai aage ka likha hai

:reading:


Aryan apne dono haatho ko upar karta hai, jise puch raha ho ki yeh sab kya hai, par voh kuch bolta nahi hai, fir sunil “doc, sirf yahi kaam tha yaa kuch aur bhi”

Doc “are haa, voh baat yeh thi ki mai 4 din ke liye apne ghar jaa raha hu, toh ab uske baad hi mulaqat hogi” fir voh hospital ki chaabiya dete hue kehta hai “agar kuch kaam ho toh hospital aajana”

Aryan abhi bhi kuch samaj nahi paa raha tha, usne PM report apni jeb me rakhi aur voh tino vapas police station aagayi

Khair Aryan ne aaj kuch kaam naa karne ka faisla kiya aur voh bhi apne ghar chala jaata hai, jo usne gaanv me hi kiraye par liya tha, jabki Sunil kuch der police station me hi rukta hai

To be continued…

doctor to sala creepy sound karta hai aur vacation k liye bhi chala gaya lekin hospital ki chabi kyun sunil ko de di :?: hospital me uske alawa koi nahi hai ka :?:

wese aryan ka faisla sahi hai kam na karne ka aur shayad uske vichar usko kam na karne dete

ek bahot hi mast update diya hai tumnne :thumbup:

sabse best part hospital ka description tha :scared:

:reading: next
 

-:Demon King:-

-:vïrüs:-
Prime
2,388
1,296
159
Update : 3 (Shuruwat)

kis chiz ki be :?: murder to kabke chalu hogye hai :hmm:

kya wo kan kar raha hai uska pata lagane ki shuruwat :?:

:reading:


Kudrat bhi kitni ajeeb haina, aaj dusre din bhi subah kaafi rangin si thi, aasmaan me halka kesariya sa rang tha aur suraj ne apni roshni charo aur bekhirni shuru kar di thi

Pakshiyo ke kilkarne ki awaaz aaj bade dino ke baad asman me sunayi de rahi thi..kehte hai ki jab bhi bura waqt aata hai toh voh apne saath apne piche achche waqt ko bhi lekar aata hai

sahi kaha

sab waqt ka khel hai babu bhaiye waqt ka khel :D

aur nature to apne hisab se hi chalta hai bhai :yo:


Aryan aaj jaldi hi police station aa chuka tha, aur voh apne table par baithe hue mast garma garam chayi ki chuskiya le raha tha

Patil jab police station pahucha toh use thoda shocked laga kyunki aaj se pehle yaha par yeh police station itna jaldi kabhi nahi khulla tha, fir turant uski najar Aryan ki jeep par padi jise dekh voh turant hi samaj gaya ki aaj Aryan ne jaldi aakar police station ko khola hai

Voh bina deri kiye sidhe Aryan ki cabin me chala gaya aur Aryan ko greet karte hue kehta hai “ram ram sahib, aap itni jaldi, muje bula liya hota”

Patil ki aur dekhte hue Aryan kehta hai “are nahi patil, mai akshar hamesa jaldi hi utha karta hu, aur upar se gaanv ki yeh hasin si subah ko mai miss nahi karna chahta tha, toh socha aaj jaldi chala jao” aur voh khada hokar apne room me bani khidki ke pass aagaya aur voh bahar asmaan ki aur dekhne laga

Patil bhi uske pass aakar kehta hai “aapne sahi kahab saabji, pichle dino me beeti vardaato ne hume puri tarah se janjdokar rakh diya tha, humne toh kabhi isspar dhyaan nahi diya”

Aryan vese hi asmaan ki aur dekhte hue kehta hai “kudrat bhi kitni ajeeb haina, kabhi voh itna sundar drishya dikha deti hai ki pura mann shaant sa ho jaata hai, toh kabhi kuch aisa dikha deti hai ki insaan ki roonh tak kaamp uthe”

Patil “haa saab, yeh toh aapne ekdum sahi bola, yeh sab kudrat aur uss upar vaale ki maaya hai, use koi nahi samaj sakta, ab dekhiye na, itne vishaalkay jungle me kabhi kisi ne sapne me bhi nahi socha hoga ki kabhi iss tarah ki dardnaake maute hogi idhar”

Aryan fir apni kursi par aakar baith te hue kehta hai “acha patil, ek baat bata, tuje kya lagta hai..yeh sab jo khoon kharabe ho rahe hai, kaun kar raha hai”

aryan ko sure lagta hai ki koi kar raha hai :yo: sahi disha me ja raha hai :alright:

sahi kaha gaon kahi ka bhi ho waha ki subha city se 100 guna achhi hoti hai :love:

:reading: patil ka janta hai :don:


Patil “saab ji, yeh mai toh kya…koi nahi janta ki yeh sab kaun kar raha hai”

Aryan kuch sochte hue apni jep mese voh kagaj nikalta hai, jisme kal ke hadse me mara gaya shaks ki PM report thi, use voh ghaur se dekhte hue puchta hai “muje kuch samaj nahi aa raha, aakhir iss tarah koi maar kese sakta hai..koi toh hathiyaar hoga, par kya..??”

Tabhi uss kamre me Sunil aata hai, aur Aryan ko dekhte hi puchta hai “kya bhai, tu toh aaj badi jaldi aagaya, good morning”

Aryan “haa yaar, socha subah subah gaanv ki thodi shair kar lu”

Sunil “voh sab toh thik hai, aajka kya plan hai, kahi ghumne chale”

Aryan thoda gusse se kehta hai “kal yanha par ek aadmi ko behrimi se mara gaya hai aur tuje ghumne ki padi hai..??”

Sunil vahi par baithe te hue kehta hai “mere bhai, adaat daal de, iska kuch nahi ho sakta”

Aryan “kuch ho nahi sakta yaa fir tu kuch karna nahi chahta..??”

Sunil “toh fir tune kya socha hai”

Aryan “dekh, jo kuch bhi maine kal dekha, uss hisab se toh muje saaf lag raha hai ki koi na koi hathiyaar ka istemaal jarur hua hai”

Sunil “humne pura jungle chaan maara, aajtak hume koi bhi hathiyaar nahi mila, aur naa hi koi surag mile hai”

Aryan “chalo maine maan liya ki khooni ne hathiyaar kahi chupa diya hai yaa fir voh apne saath le gaya, par ek baat muje khatak rahi hai”

Sunil “konsi baat”

Aryan “insaan ka sharir, marne ke baad ek raat me kankaal nahi banta..aur jabki maine khud dekha tha ki uss admi ka sharir buri tarah se sad chuka hai, aur maans toh maano bacha hi nahi hai”

Patil “saab, uss jungle me bahut se jungle janwar rehte hai, kya pata voh hi saara maans khaa liye ho..??”

Aryan “nahi patil, agar yeh kaam kisi janwar ka hai, toh uske pairo ke nishaan laash ke aaspass hone chahiye, jabki vaha par vaisa kuch nahi tha”

Fir voh kuch sochte hue “sunil, voh aadmi akhir hai kaun…?? Aur voh aakhir iss jungle me kar kya raha tha, aur sabse bada sawaal, aakhir voh vanha pahucha kese..??”

Sunil “are Aryan, chod na yaar, kya tu subah subah laash ki baato ko lekar baith gaya hai”

Aryan “nahi sunil, ab toh muje iss case ki guthi ko suljaani hi hogi”

Sunil “dekh mere bhai, mai tuje pehle hi bata deta hu, yaha kuch nahi ho sakta, apni duty ke 2 saal khatam kar aur vapas apne ghar chale jaa”

sunil koi to raaz janta hai aur jesa mene socha tha aryan us aadmi k bare me jarur sochega to sahi raha kuchh to connection hai uska

dekhna hai ki ye suspense kab khulta hai

wese aryan ne to jid pakad li hai ki case solve karna hai ab sunil usko sirf samjana chahta hai dekhte hai ka hota hai :reading:


Aryan ko sunil ki iss baat se thodi si shanka ho rahi thi, voh thoda kadak hokar bata raha hai “kya hai yeh sab..?? jo bhi dekho voh muje yanha se bhagane ki baate kar raha hai, aakhir manjara kya hai..?? kahi aisa toh nahi haina ki inn sab khoon ke piche tum sab mile hue ho”

Sunil “tu bol kya raha hai..?? Aryan mai toh bas itna kehna chahta hu ki humne aur tere se pehle aaye hue sabhi logo ne bahut koshishe ki, lekin hum iss jungle ke case ko aajtak nahi sulja paaye hai, aur toh kar, tere se pehle aane almost saare inspector maare gaye hai”

Aryan “yeh ajeeb hai, aisa kese ho sakta hai”

Patil “saab ji, sabke marne me kya ajeeb hai..??”

Aryan “ajeeb yeh hai ki headquarters me toh aisi kisi baat ka jikar nahi kiya jaata, infact vaha kisi bhi inspector ki maut ki koi khabar nahi hai, aur naahi muje inn sab ke baare me kuch bataya gaya hai”

Sunil “aisa kese ho sakta hai mere bhai, tere pehle yaha par Sharma tha, uski maut tere aane se thik 10 din pehle hui thi..aur humne toh har kisi ke maut ke baare me headquarters me report kiya hai, aur tu keh raha hai ki vaha iss baare me kisiko nahi pata..??”

Aryan kuch sochte hue “iss jungle ka case koi aam case nahi hai..mere hisab se hume ek aur baar uss jungle me jaana chahiye”

Sunil jo abhi tak Aryan ko bhagane ki baat kar raha tha, voh khud soch me pad jaata hai, voh Aryan se kehta hai “Aryan, dekh maine hamesa se iss case se jitna ho sake utna dur jaane ki koshish ki hai, aur maine sabhi ko yahi salah di hai ki jitna ho sake utna iss case se dur rahe, par agar jo tu keh raha hai..voh sach hai ki headquarters inn baato ko chippa raha hai toh koi na koi baat jarur hai, mai tere saath hu, hume iss case ki jad tak jaana hi hoga”

Patil “saab ji, mai bhi aapke saath hu, mai nahi chahta ki mere marne ke baad meri bhi maut ko chupaya jaaye”

Aryan “thik hai, toh yeh tay raha, ki hum iss case ki chaanbin hamare tarike se karenge, hume yeh case dubara se kholna hoga..aur shuru se dekhna chahiye, koi na koi surag toh hume jarur milega”

Sunil “patil, ek kaam karo, iss case se related jitni bhi files hai, unhe fauran yanha le aao”

Patil uss kamre se bahar nikal jaata hai, aur vahi Aryan kuch sochte hue apne headquarters phone lagata hai aur kuch der baat karne ke baad voh sunil se kehta hai “mere andaaza sahi tha, sunil..yaanha par koi bahut hi badi saajish rachi jaa rahi hai, hume uss jungle me dubara jaana hoga”

Sunil “abhi..??”

Aryan “haa abhi” aur fir voh dono police station se uss jungle ki aur chal diye janha par kal voh katl hua tha

Karib 25 min me voh dono hi crime scene par maujud the, Aryan “yaad rahe sunil, hume bariki se sab kuch dhundna hoga, kuch bhi chutna nahi chahiye”

Karib 2 hours sabkuch dekhne ke baad bhi inn dono ke haath kuch nahi laga tha, Aryan kehta hai “muje laga tha ki yanha par hume kuch toh milega”

Sunil apne kamar par rakhte hue “haa yaar, lekin yanha par toh iss paid ke alawa kuch nahi hai”

Aryan kuch sochte hue “voh paid” fir voh uss paid ki aur dekhta hai aur kehta hai “laash aakhir voh paid tak pahuchi kese..?? aur humne kal dekha ki laash ke kankaal par khoon laga hua tha, par yeh paid par ya iske aaspass khoon ke koi nishaan nahi hai, kahi aisa toh nahi ki koi iss kankaal ko yaanha laakar faink diya hai”

Sunil “yeh baat toh maine sochi hi nahi, agar kankaal yanha par kisine fainka bhi hai toh uske khoon ke dhaabe yanha par jarur hone chahiye”

Aryan “jabki yanha par aisa kuch nahi hai..toh ho sakta hai ki jo khoon uss kankaal par laga hua tha voh uss aadmi ka ho hi nahi aur kisi aur ka ho..??”

Sunil “voh PM report, usme kuch bhi likha nahi rehte”

Aryan “hume fauran police station vapas jaana hoga, muje voh saare PM reports dekhne hai”

Fir voh dono vapas police station aa pahuche the, jab Aryan apne cabin me gaya toh vaha par 7-8 badi badi files rakhi hui thi, jise dekhkar voh sawaliya bhari najro se sunil ki aur dekhne laga

Sunil samaj jaata hai ki Aryan kya puchna chahta hai “list lambi hai, inn sab ko dekhne me kaafi time lagne vaala hai”

Aryan “upar se voh doctor bhi nahi hai, muje uss blood ka test karwana tha”

Sunil “uss buddhe ke saath reh-reh kar mai thoda bahut toh sikh gaya hu, ek kaam karta hu, mai jaakar blood test karta hu tab tak tu inn files ko dekhna shuru kar”

Aryan ko sunil ki baat sahi lagti hai, aur voh files dekhne lag jaata hai, aur vahi Sunil vaha se hospital ki aur chala gaya

To be continued…

ab lag raha hai ki case solve hoga :yay:

aryan ka dimag wakai me chalta hai aur ye bat sach nikli ki headquarters me in sab police walo k maut ki khabar nai mil rahi to kuchh to locha hai aur jo locha karwa raha hai wo koi badi top hai :hmm:

dekhte hai aur kon kon milta hai is case me aur kya kya hota hai

i think to tashkari aur fir khoon jese ger kanuni dhandhe hi kiye ja rahe hai

wese mujhko sabse zyada do baat janni hai

1. wo ladka ladki jiska accident hone wala tha aur dusra ki wo truck wo log kaha hai :?:
2. esa to konsa hathiyar hai jisse khoon ho raha hai ya fir koi hathiyar nai hai sirf purani kabar khod k naya khoon nayi aankh lake fek rahe hai :?:

update mast likha hai ju ne aur is update me story thodi aage gayi ahi aur achha buildup diya hai :goteam:
:reading: next
 

-:Demon King:-

-:vïrüs:-
Prime
2,388
1,296
159
Update : 4 (Raat ka waqt)

:sex:


Raat ke karib 9 baj rahe the, aur thand bhi apni charam seema par pahuch chuki thi, dekha jaaye toh aaj vatavaran kuch thik nahi lag raha tha, aur inn sab se anjaan Aryan abhi bhi police station me baitha hua tha

Jab se sunil hospital gaya tha thik ussi waqt se Aryan ne unn files ko dekhna chalu kar diya tha, voh apne cabin me baithe baithe pehli file ke har ek case ko bahut hi ache se study kar raha tha, lekin pura file khatam hone ko aayi thi par abhi tak uske haath kuch nahi laga tha, aur isi vajah se voh jhalla sa gaya tha

Vahi dusri aur hospital se report banakar sunil apne ghar laut raha tha ki uski najar police station par padi, police station me itne der tak light chalu dekh voh apni jeep ko vahi rok deta hai aur Aryan ki jeep vaha khadi dekh use yeh samajne me der nahi lagti ki Aryan abhi tak apne ghar nahi gaya..voh turant hi jeep se utar kar sidhe Aryan ke cabin me chala jata hai

Sunil cabin ke andar jaakar puchta hai “aryan, tu abhi tak yahi hai, ghar kyu nahi gaya..??”

Aryan jo uss pehli file ko khatam kar hi chuka tha, toh file ko band karte hue jawab deta hai “ha bas bhai, ghar hi jaa raha tha, socha yeh ek file khatam kar du”

Sunil “mere bhai, tuje pata bhi hai iss waqt time kya hua hai..??”

Aryan ubasi lete hue kehta hai “7 baj rahe honge” aur usne deewar par tangi ghadi me time dekha toh voh chaunk gaya “9 baj gaye, sach me..??”

Sunil “haa sahah, 9 baj gaye hai, tu sach me pagal ho gaya hai”

Aryan sawal karta hai “yaar voh sab chod, kuch pata chala”

Sunil ne apne jeb se voh report nikali aur table par rakhte hue kehta hai “haa, mai report lekar aaya hu, par iss waqt bahut der ho chuki hai, tu bhi ghar jaa aur muje bhi aaram karne de, varna aaj fir teri Bhabhi muje ghar ke bahar hi sulayegi”

Aryan haste hue kehta hai “acha..chal thik hai, kal dekte hai”

Sunil “yaar ek kaam karte hai, aaj vese bhi der ho chuki hai, toh tu bhi ghar chal, isi bahane tu neeta se bhi mil lega aur raat ka khana bhi vahi khaa lena”

Aryan bhi sunil ko mana nahi kar paata aur voh dono hi sunil ke ghar ke liye nikal jaate hai

aryan to sach me case ko 2-3 din me hi solve karna chahta hai shayad

bas uski lagan dekh k achha laga aur sunil jo uska sath de raha hai wo achhi bat hai

story progress nai huyi lekin buildup abhi tak to solid diya hai

:reading:


Vahi dusri aur uss ghane jungle me kuch alag hi gati vidhya chal rahi thi, vaha ka mahol aaj kuch alag sa tha

Thik usi jagah, jaha par sunil aur Aryan ko jis paid ke pass voh laash mili thi, Voh paid achanak se dheere dheere karte hue hilne laga, pehli najar me dekhne vale ko toh aisa hi lage ki paid hawa ki vajah se hil raha hai, par asal me baat alag thi, voh paid dheere dheere karte hue bahut joro se hilne lagta hai, kuch der hawa me voh paid lehrata hai aur fir achanak se paid ki sari daaliya tut kar gir jaati hai aur uske saare patte sukh jaate hai

Thik usi jagah bahayank tarike se hawa behne lagi thi, lekin voh hawa koi aam hawa nahi thi, aisa mehsus ho raha tha maano koi hai..koi hai jo bahut hi joro se saanse le raha hai, lekin shayad yeh kaafi nahi tha, uss saans lene ki awaaz ke saath me hi ek bahut hi bhari aur ekdum darawani hasne ki awaaz uss jagah par gunjne lagti hai

Par shayad itna kaafi nahi tha, vaha jitne bhi paid the voh vichatra tariki se hawa me jhulne lagte hai aur ek-ek kar ke sare paid ki bhi vahi halat hoti hai, unn sare paid ke patte peele hokar vahi par gir jaate hai aur unn sabhi paido ki daliya bhi vahi par gir jaati hai

Kuch der pehle jaha par hara bhara jungle tha voh ab kisi jale hue kabristan se kam nahi lag raha tha, vaha charo aur bas paid ke thad the aur unn sabhi daliya aur pattiyo ne jameen ko gher rakha tha

Thik iske turant baad voh pehle vala paid teji se hawa me hi lehrate hue aage badhne laga aur achanak se uss jungle ke ek kone me kisi ke joro se chillane ki awaaz sunayi deti hai
Voh chikh itni dard bhari thi ki uss awaaz se uss shaks ki peeda ka andaaza lagana bahut hi aasaant tha, par afsos ki voh awaaz isi jungle me kahi kho gayi aur kisiko bhi voh awaaz sunayi nahi di

Vahi jungle se thode hi dur ek gaanv tha, filhaal toh gaanv me har koi so chuka tha, par 2 shaks ese the jo abhi bhi jaage hue the aur bahar aangan me baithe baithe baate kar rahe the

Ekak Aryan kehta hai “yaar, yeh thand achanak se itni kese badh gayi”

Aryan ki baat par sunil jab ghaur karta hai toh use bhi yeh mehsus hone laga, “haa yaar, aaj se pehle toh itni thand kabhi muje mehsus hi nahi hui” fir voh khud kehta hai “haa yeh bhi hai ki itni raat ko mai kabhi apne kamre se bahar tak nahi nikla”

Aryan fir apne mobile me time dekhta hai “bhai, 12 baj rahe hai, mai chalta hu, kal subah milte hai”

Sunil “hmm, thik hai bhai, good night” aur fir Aryan sunil ke ghar se apne ghar ki aur chal deta hai

Aryan jeep drive karte hue gaane gun guna raha tha, aaj usko kuch jyada hi thand lag rahi thi, voh apne man me sochta hai “yeh ho kya raha hai, aaj vakahi me itni jyada thand hai ya fir muje hi kuch jyada thand lag rahi hai”

Voh jeep ko dhimmi speed se drive kar raha tha, ab thand itni jyada badh gayi thi ki Aryan ko saans lene me dikaat hone lagti hai, jese hi voh saans bahar nikalta voh dhue ke roop me dikhayi dene lagti hai

Achanak se hi uske jeep ki headlights band ho jaati hai, toh Aryan jeep ko rok deta hai aur jeep se utarkar voh khud headlight dekhne laga “kya musibat hai yaar, ise bhi abhi band hona tha”

Thand itni jyada thi Aryan ne jyada nahi socha aur voh vapas jeep me aakar baith gaya aur jeep lekar apne ghar ki aur jaane laga

Yaha par ek baat hui jab Aryan ne apni jeep ko roka toh usne jeep ko band kar diya tha, par jab voh vapas jeep me baitha toh voh jeep pehle se hi chalu thi, pata nahi kese par Aryan ne iss baat par dhyaan nahi diya

Aryan dheere dheere jeep ko chala raha tha, gaanv ka kacha rasta, upar vaha par roshni naa ke baarabar thi, ek dum ghor sannata, thodi bahut jo awaaz thi voh jeep ke chalne ki awaaz sunayi de rahi thi..lekin sirf itna hi nahi, Aryan ko aisa mehsus hone laga ki jese koi hai jo uska peecha kar raha hai, usne rear mirror se piche dekha toh use ek khula maidan dikhta hai, matlab ki vaha par koi nahi tha

fir achanak se use aisa mehsus hone laga jese uske bagal me baithe hue koi lambi lambi saanse le raha hai
Jab aap aisi anjaan jagah par raat ke andhere me jaa rahe ho, toh dar lagna swabhawik hai, upar se Aryan ke dimaag me unn sabhi case ke tasweere ghum rahi thi, toh usko halka sa darr bhi lag raha tha, par fir bhi voh apni najare ghuma kar baaju vali seat me dekhta hai, par firse use kuch nahi dikhta..lekin use abhi bhi mehsus ho raha tha ki koi toh hai uske saath jo bahut bhari par lambi saansein le raha hai

Aryan khud se kehta hai “yeh ho kya raha hai muje, shayad aaj sach me maine bahut jyada kaam kar liya, sunil sahi kehta tha, itna jayada kam nahi karna chahiye muje”

“aaaaaaaaaaaaaaaaaaauuuuuuuuuuuuuuuuuuuuu” tabhi achanak se kutte ke rone ki awaaz sunkar Aryan ekdum se ghabra jaata hai, uski najar turant hi piche ki aur jaati hai jaha se kutte ke rone ki awaaz aayi thi, par vaha use kuch nahi dikhta toh fir voh turant apni najar samne ki aur karta hai toh uske samne do bhayank se laal aankhe dikhti hai, aur achanak se unn aankho ka rang laal se pile rang me badal jaata hai aur ek kutta road ko dayi aur se cross karta hai

Aryan ne jeep ko naa rokne ki koshish ki aur naa hi uss kutte ko bachane ki koshish ki, achanak se aise laal aankhe dekh voh kaafi daaar gaya tha, itni thand me bhi uske chehre par pasine ki boonde aajati hai

Aryan ne dekha ki uss kutte ne road cross toh kiya, par voh chal bhi raha tha aur ruka bhi nahi..lekin naa toh usne uss kutte ko vaha se kahi mudte hue dekha aur naa hi kahi usne uss kutte ko khet me jaate hue dekha

Voh bas yeh soch hi raha tha ki achanak se uski jeep kisi cheez se takra jaati hai aur Aryan jeep ka seesa todte hue samne ki aur gir jaata hai

To be continued…

:wooow: story jese jese buildup le rahi hai maja utna badhta ja raha hai

aaaj aryan ki to achhe se fat gayi hai :hehe:

wese dekhte hai ki aage kya hota hai kyunki mujhe ye jungle me paid k sath hone wali chiz samaj to aayi lekin wo ho kese rahi hai wo dekhna hai mujhe aur kya kal subha wapis hare pate honge wo sab paid ki dale thik hogi ya fir jungle tabah ho chuka hai aur sirf suke paid hai.

aur jo wo chikh suni thi wo kiski thi :?: ek aur maaut ho chuki hai kya :?:

agar ek aur maut huyi hai to kya jungle wese hi behave karta tha har maut k pehle jese abhi huwa tha :?:

dekhte hai ka hota hai :reading: next
 

-:Demon King:-

-:vïrüs:-
Prime
2,388
1,296
159
Update : 5 (Rahashyamay Ghatna)

“khaaattt khaatt khaatt khaatt” lagatar bina ruke koi sunil ke ghar ke darwaje ko khata-khata raha tha

Neeta sunil ko ghusa marte hue neend me hi kehti hai “suniye, darwaja kholna, dudh vala hoga” aur voh vapas so jaati hai

Vahi sunil nind me hi kehta hai “kya hai yaar subah subah” aur fir voh so jata hai

Lekin bahar jo tha voh bina kuch bole aur bina ruke ektak darwaja khata-khataye jaata hai

Sunil pareshan hokar ardh khuli aankho se chalte hue darwaje ke pass jaata hai, aur gaaliya dete hue darwaja kholta hai “kya hai be bhutnike, kyu subah subah dimaag ka korma bana raha hai, ek kaam kar dudh sham ko de jaana” lekin usne abhi tak bahar khade patil ko nahi dekha tha

Voh bechara ajeeb sa muh banate hue kehta hai “sahab, mai dudh vala nahi hu, mai Patil hu”

Patil ki awaaz sunkar sunil apni aankho ko malte hue use dekhta hai aur kehta hai “kya hai be tuje, subah subah bc tune dimaag ka bhobda kar diya” aur voh ubasi lete hue bolta hai “ab yaha kya meri maiyaat me aaya hai jo ese khada hai, bol kya hua, bhokna chalu kar”

Vahi bichara patil, uska toh aaj ka din hi pura kharab tha, abhi abhi jo hadse uske saath hue voh usspar sochne laga ki aakhir yeh sab ho kya raha hai “sahab, voh Aryan sir ka accident hua hai”

Itna sunna tha ki sunil ki saari nind jese ek hi pal me gayab ho gayi, voh aankhe faade kabhi patil ko dekhta toh kabhi sochta ki yeh usne kya sunn liya “kya bola tu..??”

Patil “haa…sahab, voh hamare gaanv ka jo dudh vala hai usne muje bataya ki kisi ka accident hua hai, aur jab mai dekhna gaya toh dekha ki Aryan sir ka accident hua hai”

Itna sunte hi sunil jor se chillata hai “neeta, mai jaa raha hu, Aryan ka accident hua hai” aur voh fauran patil ke saath chala jaata hai

Aryan iss waqt apne ghar me hi tha, aur gaanv ka ek local doctor bhi vahi par maujud tha jisne Aryan ka check up almost kar hi liya tha

Sunil vaha pahuchte hi puchta hai “arun, aryan thik toh haina..??”

Arun “haa, Aryan thik hai, bas sar par halki si chot lagne se voh behos ho gaya tha”

Sunil Aryan ki aur dekhte hue kehta hai “Aryan, yeh hua kese..??”

Aryan khud iss soch me duba hua tha ki aakhir yeh hua kese, use kuch bhi samaj me nahi aa raha tha, voh apne mann me sochta hai “kya muje yeh sab batana chahiye..?? par batau toh bhi kya batau, kese batau ki mera accident kese hua tha”

Sunil Aryan ko hilate hue firse puchta hai “bhai, tu thik toh haina..??”

Aryan hosh me aate hue kehta hai “haa yaar, mai thik hu..bas voh jeep ki headlight achanak se band ho gayi thi, toh aage paid dikhayi nahi diya”

Tabhi patil turant bolta hai “lekin sahab, aapka jaha par accident hua vaha toh koi paid nahi tha”

Aryan ajeeb si najro se dekhte hue kehta hai “ho sakta hai, andhera jyada tha aur light nahi thi toh kuch dikha nahi hoga”

Sunil “chalo acha hai ki tu sahi salamat hai, ek kaam kar tu aaja aram kar, mai aaj police station sambhal lunga”

Aryan “are nahi nahi sunil, maine kaha na mai thik hu, bas kuch der me mai aajaunga” fir voh sunil ko dhoti aur baniyan m dekh uske maje lete hue kehta hai “aur sale, naahkar toh aata”

Sunil apni halat dekh firse patil par baraste hue kehta hai “are yeh sab iss dhakkan ki vajah se ho raha hai, sala bolta hai tera accident hua hai, mai samja ki tu toh gaya, pehle bol deta ki halki chot hai”

Patil “par sahab, aapne muje bolne ka mauka hi kaha diya, aap toh siddha mujpar baras pade”

Sunil “haa haa thik hai thik hai chal, aajaiyo tu bhi kuch der me”

Uske baad sab Aryan ke ghar se chale jaate hai, aur vahi Aryan bhi fresh hokar ready ho jaata hai, par uske dimaag me bahut saaare sawaal ek saath ghum rahe the

“yeh sab ho kya raha hai mere saath, muje pakka yaad hai meri jeep paid se hi takrayi thi, kuch samaj me nahi aa raha” aise hi soch me tha ki vaha par sunil aajata hai

Voh dono hi fir police station ki aur chal padte hai, toh Aryan kehta hai “are bhai, yaha koi mechanic hoga..?? jeep ko kaafi nuksaan pahucha hai”

Sunil “yaar gaanv me vese toh koi bada mechanic nahi hai, lekin shayad apna raju yeh kaam kar lega, mai patil ko keh dunga ki voh mechanic ko bula le”

Vo dono police station pahuch jaate hai, vahi patil raju ko bulane chala jaata hai aur sunil mast aaram se cabin me baithe hue chayi ki chuskiya le raha tha

Vahi Aryan ka subah subah me hi head-office se phone aagayi tha, to Aryan DG se baat karne lagta hai

DG “toh Aryan, kesa raha tumhara naya posting”

Aryan “sir, vese toh thik hi hai, par ek baat mere samaj me nahi aa rahi”

DG “haa bolo, kya samaj me nahi aa raha”

Aryan “sir..yaha par kam se kam 200 se jyada log maare jaa chuke hai, aur usme bhi kahi police vale bhi maujud hai..toh yeh baate mujse kyu chupayi gayi hai..?? aur yaha tak ki aesi khabare toh media pure gaanv me dhindhora peet peet kar batati hai..lekin inn sab khoon ke baare me kahi par jikar kyu nahi hua..??”

Aryan ke itne saare sawaal ek saath puchne par ek pal ke liye DG bhi thoda tension me aajata hai, par fir voh gehri saans lete hue kehta hai “dekho beta, meri tujse koi aapsi dushmani nahi hai, jitne sawaal tu kar raha hai, voh saare sawal mere mann me bhi kahi baar aaye hai, par kya karu..muje upar se order diya gaya hai ki iss baare me kisi ko bhi kuch bhi banak nahi lagni chahiye” thoda rukkar “tere se pehle bhi kahi police vaale vaha gaye hai, aur unn mese sirf ek zinda lautkar aaya tha..lekin aaj voh kaha hai hum nahi jante”

Aryan “kya matlab ki hum nahi jaante..?? sir please, dekhiye aap jo bhi jaante hai muje bataiye, usse hume bahut fayda ho sakta hai..yaanha tak ki Mussoorie ki yeh gutthi sulaj jayegi”

DG “sorry Aryan, but mere pass tumhare iss sawal ka koi jawab nahi hai”

Aryan “sir, muje aisa kyu lag raha hai ki aap kuch chupa raha hai”

DG “dekh Aryan, mai officially tumahari koi madad nahi kar sakta, lekin haa..muje shaq hai ki inn sab ke piche gaanv ke sarpanch ka kuch haath hai, tumhe usse baat karni chahiye, par dhyaan rahe ki hamari yeh baate kisi aur ko naa pata chale, tumhare khaas dost sunil ko bhi nahi”

Aryan “thik hai sir, mai iss baat ka dhyaan rakhunga”

DG “dekho beta, mai janta hu ki vaha par kya hua hai..lekin Aryan, iss case ko tuje solva karna hi hoga, tu meri aakhri ummid hai”

Aryan “aap fikar naa kare sir, mai puri koshish karunga”

DG “mai janta hu Aryan, par beta sambhal kar” aur fir voh phone rakh deta hai, Aryan jo iss waqt police station ke bahar jaakar baat kar raha tha, voh ab andar aajata hai aur vaha par raju ko dekhta hai

Raju “raam raam sahab”

Sunil “raam-raam raju, ke haal hai thaare” voh Aryan ke cabin me aate hue kehta hai

Raju “mai thik hu sahab, kahiye kya kaam hai”

Aryan “dekh bhai, jeep ki headlight kaam nahi kar rahi, aur aage ka sheesha tut gaya hai, toh use banwana hai”

Lekin shayad aaj ka din Aryan ke liye achcha nahi tha, patil kehta hai “yeh kya keh rahe ho sahab, aapki jeep ka toh koi bhi seesha nahi tuta hai”

Aryan yeh sunte hi patil ko ajeeb se najro se dekhne lagta hai, voh kehta hai “patil, maana ki mera accident hua tha, par muje pakka yaad hai ki mai aage vaala kaanch toadkar bahar geera tha”

Patil “nahi sahab, mai sach keh raha hu, mai hi toh aaj subah aapo ghar lekar aaya tha, aur aap jeep ke aage nahi, balki side me gire the, aur aage ka sheesa toh sahi tha”

Sunil haste hue kahta hai “kya bhai, yeh kya locha hai..?? kahi tu kal sharab peekar toh gaadi nahi chala raha tha”

Aryan gusse se kehta hai “toh tuje kya lagta hai ki mai juth bol raha hu..??”

Sunil “are bhai shant hoja, mai toh bas masti kar raha tha, ek kaam karte hai, hum sab khud chalkar dekh lete hai”

Aryan ko bhi yeh sahi lagta hai, aur voh charo log uss jagah pahuchte hai jaha par Aryan ka accident hua tha, aur vaha pahuchte hi sabse pehle Aryan ko jatka lagta hai, kyunki yeh toh voh jagah thi hi nahi jaha par uska accident hua tha, balki yeh toh koi aur hi jagah thi

Aryan ko kuch bhi samaj me nahi aa raha tha, voh apne jeep ke charo aur ghumkar dekhta hai toh uska sar aur bhi jyada chakrane lagta hai, kyunki Patil sahi keh raha tha..uski jeep ka sheesa bilkul sahi salamat tha aur yaha tak ki uski jeep bhi sahi salamat thi

Sunil jeep ke pass jaata hai aur headlight chalu karta hai toh voh chalu ho jaati hai “Aryan, headlights ko toh kuch bhi nahi hua, yeh toh kaam kar rahi hai”

Aaj sach me Aryan ka din bahut hi jyada kharab tha, usne bhi dekha ki uske jeep ki headlight sahi se kaam kar rahi hai, aur vahi samne paid naa hokar bijli ke light ka khambha tha

Aryan ke mann me bahut se sawaal ek saath umad rahe the, lekin kisi bhi sawaal ka jawaab uske pass nahi tha, voh bas kabhi sunil ko dekhta toh kabhi apni jeep ko dekhta

Raju jo vaha aaya tha voh jeep ko dekhta hai aur kehta hai “are sahab, aap, headlight toh thik hai..lekin yeh steering wheel jaam ho gaya hai”

Sunil kehta hai “thik hai raju, ise thik karke police station pahucha dena”

Raju “sahab, aaj ravivar hai, ab isspar kaam toh kal hi ho payega”

Aryan “thik hai raju, kal kar dena, tu jaa sakta hai”

Raju ke jaane ke baad Sunil Aryan ke pass aakar puchta hai “Aryan, sach bata, kya hua tha kal”

Aryan kuch kehta usse pehle ek aur hawaldar vaha daudte hue aata hai, aur joro se hanfte hue kehta hai “saab ji, saabji…jungle me ek aur khoon hua hai”

Aryan “baad me baat karte hai, abhi work first”

Sunil iss par kuch nahi kehta, aur voh sab uss jungle me chale jaate hai aur aaj fir ek baar Aryan ko kuch aisa dikhta hai jo voh dekh nahi paata aur firse vomiting chalu kar deta hai

To be continued…

update itna mazedar tha ki bich me comment karne k liye nahi ruka me :thumbup:

wese bahot se sawal mere man me bhi hai ki aryan ki kon marke gaya bhai :?:

aur sabse bada sawal sarpanch ye karwa raha hai to kese :?: paid kese hil rahe hai bc :dazed: aur to aur sarpanch par shaq kese ho raha hai :?:

aur aryan ka accident huwa to uski car ka lass wagera wapis kese thik hogya :?:

idhar ek sath do team khoon kar rahi hai ya fir koi ek hi hai jo bada scene kar raha hai :?:

aryan kese solve karte hai dekhte hai

mujhe ye dekhna hai ab ki ye jo naya khon hai wo kaha huwa hai aur agar jungle me huwa hai to jungle ki kya halat hai

agar halat sahi hai to kese bc :shocked: majak chal raha hai ka :?:

next update kal se review dunga :alright:

mere story khatam karte hi update suru hone chahiye :slap: apne ko aadhi adhuri story pasand nahi hai :buttkick:

dekhte hai aage ka hota hai :reading: update 6
 

-:Demon King:-

-:vïrüs:-
Prime
2,388
1,296
159
Update : 6 (Ek aur)

ek aur ek gyarah wo mere yaara :dost:

ju bus tapkate rahiyo insano ko :dazed:


Aryan kuch kehta usse pehle ek aur hawaldar vaha daudte hue aata hai, aur joro se hanfte hue kehta hai “saab ji, saabji…jungle me ek aur khoon hua hai”

Aryan “baad me baat karte hai, abhi work first”

Sunil iss par kuch nahi kehta, aur voh sab uss jungle me chale jaate hai aur aaj fir ek baar Aryan ko kuch aisa dikhta hai jo voh dekh nahi paata aur firse vomiting chalu kar deta hai
Ab aage…

Laaash..yeh shabd sunte hi kaafi logo ko rongte khade ho jaate hai, aur jab koi bhi insaan jab kisi lash ko buri halat me dekh leta hai toh uske liye voh pura din bahut hi khaarab gujarta hai

Ab jara sochiye ki aap kahi jaa rahe hai aur raste me kisi ki accident se maut ho jaati hai aur uski laash aap bahut hi kharab haalat me dekhte hai tab aapke saath kya hota hai…ab jara sochiye ki ab vahi laash agar tin tukdo me ho aur voh laash ki bajay siddha kankaal hi dikh jaaye toh shayad voh drishya aapke dimag se jaldi nahi nikalta

Aryan ke saath bhi kuch aisa hua tha, uss laash ki itni jyada buri haalat thi ki aaj sirf use ultiyaan nahi hui, balki uss laash ke kankaal ko dekhte hi voh vahi par behos hokar gir padta hai

Hua yeh ki jese Aryan, sunil aur patil jungle ke uss ilake me pahuche toh sabse pehle toh aaj unhe saans lene me pareshani ho rahi thi..uss laash ki itni bhayankar sadi hui budbu aa rahi thi ki use khulla naak se saans nahi liya jaa sakta tha

Inn tino mese koi bhi laash ke pass jaana nahi chahta tha, lekin kehte haina ki police valo ko hamesa farz ke aage jukna padta hai toh yanha bhi yahi hua..unn teeno ne apne muh par rumaal bandha aur chal diye uss lash ki aur

Laash ya kaankaal voh aaj ulta gira hua tha, lekin voh bade hi vichitra aakar me tha, ise dekh Aryan ko jyada toh kuch naa hua..lekin badbu itni jyada thi ki use vomiting jesa feel hone laga

Usne badi himmat karke vaha apne pairo par baitha aur uss kankaal ko dekhne laga, khopdi vala hissa adhar jameen me ghusa hua tha, aur khobdi ki niche siddha kamar vala hissa tha, jisse ek side par haath ki hadiya lagi hui thi aur dusri aur pair ki hadiya thi..aur fir kamar se niche chaati ka kankaal tha aur vaha se bhi ek side se haath ki hadiya thi toh dusri aur pair ki hadiya

Aur vaha charo aur pele sukhe patte gire hue the, aur aaspass ke sare paid podhe bhi murja se gaye the..tabhi achanak se pata nahi par ek tezz hawa ka joka aaya aur usne unn saare patto ko hawa se uda diya
Paatto ke hatte hi Aryan ki najar uss kankaal ke adhe maans aur sade hue khoon par padi aur use dekhte hi usne vahi par ulti kar di

Lekin vahi sunil..voh toh bina kuch kare mast aaram se aloo sev khaa raha tha, aur Aryan ko dekhte hue hasne laga

Toh Aryan jese tese khud ko sambhalte hue kehta hai “yaha muje utliya ho rahi hai, aur tu maje se aloo sev kha raha hai..??”

Sunil “yaar, ab bhukh lagi hai toh kya karu..aur vese bhi yeh sab mere liye haroj ka hai” aur fir voh uss kankaal ko pair se dhakkar dekar ulta ghuma deta hai

Ab iss baar darne ki baari sunil ki thi..vese voh dara nahi tha, par aage se uss kankaal ki haalat dekhkar toh use bhi ek baar ubki aajati hai

Kyunki aage ke side voh kankaal naa hokar laash thi, aur laash bhi kesi..chehre ke aadhe hisse me sadi hui chamdi thi..jaha par khoon lipta hua tha aur uss khoon par dedh sare Macchar aur makhiya mari hui chipki thi

Aur aankh ki baat kare toh dayi vaali aankh toh thi hi nahi..balki usme ek lambi si lakdi ghusi hui thi aur baayi vali aankh andar se naasho ke saath bahar latak rahi thi

Aryan bar itni hi dekh paaya aur turant hi voh behosh hokar gir jaata hai, vahi sunil ko bhi aaj laash ki yeh haalat dekhkar ubkiya si aajati hai aur voh fauran vaha se haat jata hai

scene bahot hi bada bhayanak tha bhai :scared:

jis tarah tumne scene ko describe kiya hai us hisab se esa lag raha tha ki me wahi khada hu :D :claps:

bus mujhe sirf ye bat jannin hai ki lash purani hai ya fresh hai i mean jiski bhi lash mil rahi hai wo mare kab :?:

kese mare :?:

lash aadhi kese sad jati hai :?:

koi psycho hai jo ye kar raha hai ya fir koi machine ka aawishkar kiya gaya hai :?:

jungle ki halat ka pata nai chala abhi :peep:

wese sunil ka idea sahi hai "aloo sev" kha k mind ko divert karne wala :D :lol:

:reading:


Kuch der baad
Aryan aur Sunil, dono iss waqt police station ke andar cabin me baithe hue the, sunil aur Aryan ke aankho ke samne abhi bhi uss laash ke drishya ghum rahe the, lekin aaj dono mese koi kuch nahi bol raha tha

Ekaek Aryan ek sawaal karta hai “koi itna behreham kese ho sakta hai..?? itni dardnaak maut toh kisi dushman ko bhi naa mile”

Sunil “bhai..sach me yaar, mai toh yeh soch raha hu ki uss bechare ne kitna dard saha hoga jab uske saath….” Voh bolte hue ruk jaata hai

Aryan “par yaar..voh sukhe paid, yeh baat muje kuch samaj me nahi aa rahi”

Sunil kuch samajta nahi hai, toh voh puchta hai “matlab..?? mai kuch samja nahi”

Aryan “yaar, parso subah jo laash hume mili thi, voh bhi jungle se hi mili thi..lekin vaha par jungle hara bhara tha, jabki aaj jo laash hume mili hai vaha par ek bhi podha aisa nahi tha jo hara ho, har ek paid podhe sukh chuke the”

Sunil “iss baat se toh mai khud heran hu, sach me yeh jungle bahut hi rahsyamay hai”

Aryan “par hamara sawaal toh ab bhi vahi hai, yeh sab kar kaun raha hai..?? aur kyu..??” thoda rukkar kehta hai “aisi toh konsi vajah hai jo itne behrehmi se katal kiye jaa rahe hai”

Sunil “tune kuch socha hai ki aage kya karna chahiye..??”

Aryan kuch sochte hue “mai gaanv ke sarpanch se milna chahunga, kya pata shayad unhe iss baare me kuch pata ho..??”

Sunil “kya pata, par mai hamesa sarpanch se dur hi rehte hu, suna hai ki voh bahut hi khadus hai”

Aryan “voh toh usse milne ke baad hi pata chalega”

Sunil “thik hai, toh kal jaate hai usse milne”

Aryan “kal nahi, aaj sham hi jaayenge, par filhaal muje ek kaam karna hai, mai janna chahta hu ki yeh jo laashe hai voh hai kisi ki”

Fir Aryan sunil ka laaya hua PM report dekhta hai, use dekhte hi voh kehta hai “PM report me bhi kuch nahi hai, voh khoon aur kankaal usi ka hai, aur marne ka waqt karib 24 hours hai”

haa ab mila hai ek answer ki marne ka waqt 24 hiurs k karib hai to lash itni sadti kese hai :hmm:

dekhte hai sarpanch k waha kya hota hai

:reading:


Sunil “iska matlab samaj raha haina tu, yeh khoon haroj ho rahe hai”

Aryan “voh budhau kab aa raha hai..??”

Sunil pehle toh Aryan ko ghurta hai, fir voh samajte hue kehta hai “voh 3-4 din ke liye keh raha tha, maybe shayad voh parso aajaye”

Aryan “thik hai, aaj jo laash mili hai, doc se kehna ki PM ke samay hum dono uske saath rahenge, muje lagta hai kuch toh hai jo hamare najar se chut raha hai”

Sunil “Aryan, sach me tu, I mean uss laash ke pass”

Aryan “haa sunil, yeh case ko ab toh suljana hi hoga, varna ese hi haroj kisi na kisi ki maut hoti rahegi”

Sunil “thik hai, mai bata dunga..uss budhau ko”

Fir voh dono kuch der ese hi baate karte hai, aur fir voh dono hi nikal padte hai, gaanv ke sarpanch ke ghar ki aur
Vese toh gaanv ka sarpanch logo se kaam hi milta tha..aur gaanv vale use sarpanch aur khaadus jyada bulate the

Lekin uska ghar dekhkar aisa nahi lagta tha ki voh sarpanch ho, balki uska ghar kisi raja maharajao ke jesa tha..gaanv me bahut badi par purani haweli thi, aur haweli ki bahar pehere daar lage khade the, jo aryan aur Sunil ki jeep ko andar jaane se rok rahe the

Jabki Aryan ne bina ghurte hue uss hawaldaar ko dekha aur kaha “sarpanch se kaho unse milne Inspector Aryan aaya hai”

Kuch der baad voh dono jeep lekar haweli ke andar chale jaate hai, aur aage jaakar jeep ko side me park karte hue haweli ke andar chale gaye

To be continued…

haa ba aayega maza :yay:

dekhte hai ki waha kya hota hai

khadus sarpanch sirf khadus hai ki khooni bhi hai ya fir wo kisi k kehne par ye sab kar raha hai

ek sawal ka jawab mila to dusre 3 aagye

dekhte hai ki lash ki PM karte waqt aryan aur sunil k waqt kya lagta hai kya kuchh miss hota hai wo milta hai ya fir mehnat bekar jayegi :?:

:reading: next

will finish today :D
 
Top