• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Horror Maut ka Aatank...!!!

-:Demon King:-

-:vïrüs:-
Prime
2,388
1,296
159
Update : 7 (Haweli)

aao kabhi haweli pe :waiting:

Jabki Aryan ne bina ghurte hue uss hawaldaar ko dekha aur kaha “sarpanch se kaho unse milne Inspector Aryan aaya hai”
Kuch der baad voh dono jeep lekar haweli ke andar chale jaate hai, aur aage jaakar jeep ko side me park karte hue haweli ke andar chale gaye

Ab aage
Haweli, khair yeh toh ab aap samaj hi gaye honge ki gaanv me haweli kesi hoti hai, akshar haweli shabd sunte hi hamare dimaag me ek tasweer chap jaati hai ki gaanv ki haweli hai toh tuti futi si haweli hogi, sukhe paid aur seeshe tute hue

Lekin Aryan ko yeh haweli dekhkar thoda sa tajub hota hai, kyunki yeh haweli kaafi sundar dikh rahi thi, haweli kaafi badi hone ki vajah se voh main gate se hi dikhayi de jaati hai, aur main gate se haweli tak jaane ka rasta kisi swarg me jaane se kam naa tha

well gaon ki haweli tuti puti hi ho esa jaruri nai hai but zyadatar log sochte esa hi hai

agar haweli me log rehte hai to uski halat achhi hongi :dazed:

wese haweli jitni sundar dikh rahi hai kya waha k log bhi ese hai :?:

wese agar sarpanch hi ye sab kar raha hai to shayad ye haweli ki chamak logo k khoon se rangi ho :dazed:

:reading:


Road ke dono side rang-berangi fool khile hue the, aur unke piche bade par bahut hi sundar paid lage hue them thoda aage jaate hi raste ke bich me ek fountain aata hai, jise dekhkar Aryan uski khubsurati me thoda kho saa jaata hai, par fir uski najar uske samne rahi Vikram Rathod ki haweli par padti hai aur uske piche dikh rahe barf ke pahad uss haweli ko aur bhi jyada khubsurat bana dete hai

Jeep se utarte hi Aryan uss haweli ko ache se dekhta hai, karib 3 maal ke jitni unchi aur karib 5 khidkiya har manjile par dikhayi de rahi thi, aur har khidki ke upar ek shelter daala hua tha..ek pal ke liye toh Aryan khud bhul jaata hai ki voh yanha kyu aaya tha, uska dhyaan toh tab hata jab uske saath me aaye Sunil ne use hilaya

Sunil “bhai, kaha kho gaya..??”

Aryan hosh me aate hue kehta hai “ahh, haa, voh haweli toh kaafi khubsurat hai”

Sunil “haa voh toh hai, sach me kisi raja maharaja ki haweli se kaam naa hai” fir voh bhi ek najar haweli par daalta hai “ab chale andar”

Aryan aur Sunil choti sidiyo se chadte hue haweli ke main darwaje tak pahuchte hai, two hisso me bana yeh darwaaza bhi ek alag hi chamak de raha tha, lakde se bana yeh darwaaja dekhne me kaafi vajandar toh tha hi..par saath me usme rahi aakrutiya bahut hi sundar lag rahi thi

Aryan aur Sunil ka intezaar kiye hue ghar ka naukar darwaze ke pass hi khada tha, voh unn dono ko haweli ke andar le aata hai aur dayeen side ki aur jaha sofe rakhe hue the vaha unhe baithne ke liye kehta hai

Aryan toh bas jese haweli me kho sa gaya tha, voh sofe par baithe hue charo aur dekh raha tha, kabhi chat ki aur dekhta jaha par ek bada sa laal rang ka jumar latak raha tha, toh vahi kabhi deewar par lagi badi badi tasweero ko nihaar raha tha

Tabhi main hall me bani hui sidiyo se utarte hue ek 60 saal ka Buddha aata hai, badi badi muchche, sar par halke kaale safed baal, aur hatta-katta sharir, dekhne se hi uski alag chaap padti thi

Aryan ise dekh samaj jaata hai ki yahi sarpanch hai, toh voh sofe se khada hote hue Sarpanch ko greet karta hai, aur fir sarpanch unn dono ke pass aate hue baith jaata hai aur inn dono ko bhi baithne ke liye kehta hai

Tab-tak, ghar ke naukar Aryan aur sunil ke liye paani aur chaay lekar aate hai, Vikram “kahiye inspector, yanha kese aana hua..??” fir voh sunil ki aur haste hue dekhkar kehta hai “aaj se pehle toh yaha koi police vala nahi aaya”

Aryan “maaf kijiyega, par shayad aapne muje pehchana nahi, Muje Gautam Sir ne bheja hai”

Vikram “achcha, tum Aryan ho, gautam ka phone aaya tha mujpar, kaho kya baat hai”

Aryan “dekhiye sir, meri baato ka galat naa lijiyega par kya hum dono akele me baat kar sakte hai..??”

Yeh sunkar Sunil thoda asamaj se bhaav se Aryan ki aur dekhta hai, jabki Vikram thoda sa serious hote hue kehta hai “bilkul, hum bahar jaakar baat karte hai”

Aur fir Aryan aur vikram dono hi haweli se bahar chale jaate hai, aur samne rahe garden me chalte hue baat karte hai


sahi hai aap kuchh chizo ko pehli bar dekhte ho to usme kho jate ho

aur aryan ka bhi esa hi hal hai

sarpanch ka huliya padhte huwe hi wo thoda harami lagta hai :evil:


gautam sir ki aur ye sarpanch ki kya baat huyi aur agar gautam ko sarpanch pe sak hai to uske sath contact kesa :?:

kuchh jol to abhi se dikh raha hai :hmm:

dekhte hai sarpanch ki aur aryan ki kya bat hoti hai :reading:


Vikram “haa, ab bolo, aisi toh kyaa baat karni hai jo tum mujse akele me baat karna chahte the”

Aryan “sir, ek baat hai jo muje samaj me nahi aa rahi, yanha tak ki maine yeh sawaal kahi baar Gautam sir se bhi puche, lekin unhone mere sawalo ko hamesa se taala hai, aur fir aaj subah unhone muje aapse milne ke liye kaha”

Vikram lamb isi saanse lete hue kehta hai “yahi na ki yeh sab khoon jo ho rahe hai voh kaun kar raha hai..?? aur kyu kar raha hai..??”

Aryan haa mein apna sar hilate hue kehta hai “par aapko kese pata ki mai isi silsile me baat karne ke liye aaya hu..??”

Vikram halka sa muskurate hue kehta hai “beta, yeh ek aisa sawaal hai jo muje Gautum bhi akshar puchcha karta hai, aur mai yeh jaanta hu ki use mujpar shak hai ki mai inn sab me shaamil hu”

Aryan thoda confused ho jaata hai, use samaj me nahi aa raha tha ki voh vikram ki baat ka kya jawab de, voh kuch bolta uske pehle hi Vikram kehta hai “nahi beta, isme teri galti nahi hai, yaanha ke haalat hi kuch aise hai ki mujpar shaq hona swabhawik hai, par mai tumhe bata du ki inn sab me mera koi haath nahi hai”

Aryan “aap sach me kuch bhi nahi jaante..?? yeh sab kaun kar raha hai, aur kyu kar raha hai..?? aur sabse badi baat ki inn sabhi ke khoon ke baare me chupaya kyu jaa raha hai, yanha anginat logo ko behrehmi se maara gaya hai, anek police vaalo ki hatiya ki gayi hai..lekin inn saare murder ka headquarters me naamo nishaan nahi hai, aisa kyu..??”

Vikram “tumhare pehle sawal ka jawab toh mai nahi de sakta, par tumhare baaki ke sawaal ka jawab mere pass hai” voh rukkar kehta hai “beta, yeh hamara ek chota sa gaanv hai, aur yanha pass me Mussoorie padta hai, toh yaanha bahut se log ghumne ke liye aate hai, ab agar inn maut ke baare me agar har kisi ko pata chal gaya toh yaha ghumne koi nahi aayega, aur iska siddha asar gaanv valo par padega, kyunki pure gaanv valo ki kamayi inhi logo par tiki hai”

Aryan “par yeh toh galat hai, unn bichare masumo ki jaan ka khatra hai, aur aap gaanv ke sarpanch hote hue iss ke baare me kuch bhi nahi kar rahe”

Vikram “gaanv ka har vyakti jaanta hai ki raat ko uss andhere jungle me koi naa jaaye, aur hum yaanha aane vale har vyakti ko uss jungle me naa jaane ke liye kehte hai, par logo aajkal itne jiddi ho gaye hai ki voh pehle vahi karte hai jise karne ke liye mana kiya jaata hai, toh mere hisab se voh khud hi apni maut ko dawaat dete hai”

Aryan “aisa toh kya hai uss jungle me, jo raat ke waqt voh itna jyada khatarnak ho jaata hai”

Vikram “beta, yeh mai toh kya, koi nahi jaanta ki aakhir uss jungle me aisa kya hai, par suna hai ki vanha par koi shaitani rooh hai jo yeh sab kar rahi hai”

Aryan haste hue kehta hai “what nonsense, aaj ke waqt me aap inn sab par vishwaas rakhte hai, I don’t believe it”

Vikram “suni sunayi baate hamesa majak hi lagti hai, voh toh bas uss dard ko vahi samaj sakta hai jispar yeh beeti ho” uski awaaz me thodi narmi aajati hai

Aryan sawaliya bhari najro se dekhta hai “matlab..??”

Vikram lambi saanse lete hue kehta hai “mere pass tumhare iss sawaal ka bas yahi jawaab hai, ab asliyat kya hai voh koi nahi jaanta”

Aryan “thik hai vikram ji, aap se milkar acha laga”

Vikram usse haath milate hue kehta hai “agar mai tumhari koi madad kar saku toh jarur kehna, aur haan..mai bhi tumhe ek salaah dena chahunga, chahe kuch bhi ho, uss jungle me raat ko kabhi nahi jaan, agar khud ko dardnaak maut se bachana chahte ho toh”

Uske baad vikram andar chala jaata hai aur Aryan vahi jeep ki aur jaane lagta hai, tabhi vanha par ek safed rang ki gaadi aati hai, aur usme ek behad hi khubsurat si ladki utarti hai

White top aur black jeans me voh kaafi khubsurat lag rahi thi, khulle baal, jeel jesi aankhein aur chehre par koi makeup nahi jo uss ladki ko aur bhi jyada pyaara bana rahi thi..vahi Aryan uss ladki ki khubsurati me kho saa jaata hai

Voh ladki bhi ek baar Aryan ki aankho me dekti hai aur fir sharma kar voh bhi ghar ke andar chali gayi, aur sunil bahar aajata hai

Aryan “yeh ladki kaun thi”

Sunil “sochna bhi mat, voh Vikram ki badi beti hai, aur voh apni ladkiyo se bahut pyaar karta hai”

Aryan “haa toh, mai thodina uski ladki se shaadi karna chahta hu, ese hi puch raha ki kaun hai”

Uske baad Aryan aur Sunil vapas police station pahuch jaate hai, voh dono chaayi ki chuskiya lete hue aapass me baat kar rahe the

Sunil “toh kya baate hue tere aur sarpanch ke bich me”

Aryan “voh kuch nahi bola, ulta keh raha tha ki mai raat ke waqt uss jungle me naa hi jau”

Sunil “haa, yeh toh sach hai..gaanv ka koi bhi aadmi raat ke andhere me uss jungle me koi nahi jaata”

Aryan apne mann me sochta hai “aakhir iss jungle ka raaz kya hai..?? aur gaanv vaale iss jungle me jaane se itna darte kyu hai..?? aur yeh vikram..aakhir kya vajah thi uske aisa kehni ki, kuch toh hai jo yaha sahi nahi hai”

Aryan “chal bhai, yeh baaki ki files dekh lete hai”

Fir Sunil aur Aryan dono milkar unn files ko ek-ek karke dekhne lagte hai, karib 2 din me inhone saari files dekh li thi, par abhi bhi Aryan ke haath koi bhi surag haath nahi aaya tha

To be continued…

vikram ki bato se to lagta hai ki wo innocent hai but kya pata wo behrupiya bhi ho sakta hai :dazed:

abhi kuchh bhi kehna mushkil hai

ek bat mere dimag se nai ja rahi wo sarpanch ki beti ki khubsurati :love:

bahot achha update tha

aryan ko next PM report se shayad sach pata chal jaye ya fir koi kadi mile jisse case ek kadam aage badhe

shayad esa bhi ho ki raat k andhere me waha gair kanuni kam bhi ho rahe ho

aur agar waha pe koi bhatakti aatma hai to wo kiski hai :?:

1920 ki :?:

bahot se sawal mile hai is update s jawab to kuchh hi mile

:reading: next update dekhte hai aage ka hota hai
 

-:Demon King:-

-:vïrüs:-
Prime
2,388
1,296
159
Update : 8 (Ab hui Shuruwat)

pehle to mene esa padha ki ab huyi suhagraat :D

suruaat kiski :?: agar proof ya koi esi chiz mile jisse case aage badhe uski shuruaat ho to achha hai

aur aryan aur sarpanch ki badi beti k bich kuchh suruaat ho to bhi achha hai :D


:reading:

Fir Sunil aur Aryan dono milkar unn files ko ek-ek karke dekhne lagte hai, karib 2 din me inhone saari files dekh li thi, par abhi bhi Aryan ke haath koi bhi surag haath nahi aaya tha

Ab aage
ek naya din, ek nayi raat..fir ek naya din, kehne ko toh din badalte jaate the, par uss jungle me ho rahe hadso ke baare me kuch bhi pata nahi chal paa raha tha

Aryan ne jungle se related har ek file ko ache se dekh liya tha, lekin uske haath naa toh koi esa subat laga aur naa hi koi esi gawah jisski madad se voh uss khooni tak pahuch sake jo jungle me itni behrehmi se katl kiye jaa raha tha

Aryan ne har ek file dekhne ke baad sunil aur patil ko apne cabin me bulata hai aur voh kehta hai “5 saal ho chuke hai, aur aajtak uss khooni ke baare me koi detail nahi hai, aisa kese ho sakta hai”

wait 5 saal :?:

story 5 saal aage badh gayi hai ya fir ye silsila 5 saal se chal raha hai :?:

agar story 5 saal aage badhi hai to bad me flashbacks achhe nai lagenge aur usme aryan aur sarpanch ki beti ka ilu ilu mangta esa kuchh hai to :bat:

aur agar ye khoon 5 sal se ho rahe hai to achha hai usse ye pata chal sakta hai ki wo aatma kiski hai :hmm:

dekhte hai ka hai :reading:

Sunil “jo bhi tha, voh sab tere samne hai”

Aryan thoda gussa hote hue puchta hai “sunil, yeh koi choti baat nahi hai, jis tarah se iss jungle me khoon ho rahe hai yaa jitne bhi khoon hue hai..voh koi sadharan nahi hai, aakhir tum sab kar kyaa rahe ho yanha par..??”

Patil “saab ji, vahi toh samaj me nahi aa raha hai, ki yeh sab aakhir me kaun aur kyu kar raha hai..??”

Aryan “patil, agar sab kuch itni asani se hi mil jaata toh shayad aaj hum sab yanha par nahi baithe hote” thoda sa jhallate hue voh apni baat aage badhata hai “common yaar, koi toh aisa hoga jisne iss khooni ko dekha hoga”

Sunil “bhai, tuje kya lagta hai, hum yanha par baithe baithe bhajiye tal rahe hai, iss case ki yahi toh sabse badi kadi hai, hume naa toh hathiyaar mil raha hai aur naa hi koi sabut”

Aryan “lagta toh yahi hai ki yanha par police ka kaam kam aur bhajiye talne ke kaam jyada ho raha hai, voh doctor kab aa raha hai..??”

Sunil “kal subah tak toh aahi jayega”

Aryan “thik hai, uske aate hi muje inform kariyo..mai usse milna chahta hu” aur fir voh vaha se ghar jaane ke liye nikal jaata hai


oh achha hai ki 5 sal story aage nai badhi aur ye bhi achha hai ki khoon sirf 5 sal se hi ho rahe hai ya fir 5 sal se hi case file ho rahe hai

:reading:


Aaj Aryan police station se karib sham ke 4 baje hi nikal gaya tha, darasal, pichle 2 din se unn files ko dekhne ke baad uska sar dard karne laga tha

Voh aaj jeep drive ko dheere dheere drive karte hue apne ghar ki aur jaa raha tha, par uske dimaag me abhi bhi unn sare case ki chabi ghum rahi thi, tabhi achanak se uski najar ek ladki par padi aur usne turant hi apni jeep ko side me khada kiya aur uss ladki ki aur dekhne laga, aur fir kuch sochte hue voh jeep se utarkar uss mandir me chala gaya jaha voh ladki gayi thi

Mandir me darshan karne ke baad Aryan uss ladki ke pass aaya aur usse puchta hai “excuse me, kya mai aapse kuch puch sakta hu..??”

Voh ladki achanak se ruk jaati hai aur Aryan ki aur dekhne lagti hai, toh Aryan kehta hai “shayad aapne muje pehchana nahi, mai kal aapke ghar aaya tha”

Voh ladki kehti hai “muje yaad hai, kahiye inspector..kya madad kar sakti hu..??”

Aryan “dekhiye muje galat mat samajna, meri abhi abhi yanha par posting hui hai, aur aap toh jaanti hi hongi ki yanha jo jungle hai vanha kya ho raha hai”

Voh ladki “haa, par sorry, mai aapki uss baare me koi madad nahi kar sakti”

Aryan “please, dekho agar aap uss jungle ke baare me kuch bhi janti hai toh please muje bataiye, yeh aap jaanti hai ki uss jungle me kis tarah se khoon ho rahe hai”

Voh ladki chillate hue kehti hai “maine kaha na muje kuch nahi pata” aur itna kehte hi voh ladki daudte hue vaha se chali jaati hai

Vanhi Aryan uss ladki ko ese bhagte dekh thoda chaunk jaata hai, aur vahi mandir me rahe kuch log ajeeb si najro se Aryan ko ghurne lagte hai

Aryan ko yeh kuch thik nahi lag raha tha, toh voh bhi vanha se apne ghar ke liye chala jaata hai

Raat ke karib 10 baje, Aryan apne bistar par lete hue har ek kadiyo ko jodne ki koshish kar raha tha, lekin uska dimaag uska saath nahi de paa raha tha, voh jhaalate hue kehta hai “had hai bc, akhir aisa toh kya hai uss jungle me, kya iss gaanv me aisa koi hai bhi jo kuch jaanta ho”

Khair ese hi sochte sochte kab Aryan ko nind aagayi use nahi pata, aur voh bekhabar hokar so jaata hai

daal me jarur kuchh kala hai B-)

wo ladki ka mamuli sawal puchhne pe yun chilana

wese kahi esa to nai ki uski hi family se koi mara ho aur aatma bhatak rahi ho :?:

ya fir wo janti ho ki kya ho raha hai :?:

ya fir k usko apne baap ki kartut ka pata hai :?:

ya wo khud zimmedar hai :?:


Sarpanch ke ghar
Raat ke karib 2 baje
Voh ladki apne room me baithe hue upar asmaan ki aur dekh rahi thi, chaand ki halki halki roshni uske kamre me aa rahi thi, aur roshni sidhe iss ladki ke chehre par aa rahi thi, chand ki roshni me uska chehra bahut hi pyaara lag raha tha

Lekin Voh ladki apne room me ghumsum si baithi hui thi, par yeh kya uski yeh haalat, baal bikhre hue the..aankho se aansu lagatar beh rahe the, aur voh subak subak kar ro rahi thi, aur rone ki vajah se uski aankho bahut hi bhayanak tarike se laal ho chuki thi..Yanha tak ki usne jo kameez pehni thi voh bhi puri tarah se uske aansuo se bhig chuka tha


uski maa ka ye kyun ro rahi hai :?:

kahi jo mene pehle sawal kiye usme se kuchh sach to nai :?:


itni khubsurat ladki rote huwe achhi nai lagti :slap:

:reading:


Dusre din, Police Station me
Aaj Patil aur Sunil dono kaafi jaldi police station aa chuke the, aur vo dono haste hue baate kar rahe the, jo aryan vanha aate hue unhe aise dekh leta hai

Aryan “yeh koi pagal khana hai kya..?? Sunil, voh doctor aagaya kya..??”

Sunil “shayad, aa chuka hoga”

Aryan “shayad se kya matlab hai..?? muje fauran usse milna hai”

Sunil “bhai, thoda shant hoja”

Aryan “nahi sunil, agar hum ese baithe rahe toh yaanha koi nahi bachega”

Sunil “okay okay bhai, mai puchta hu use”

Aryan “sunil, ek list banao, gaanv mese jin jin logo ki hathiya hui hai, unn sab ki list banao”

Patil “par sahab, voh”

Aryan “voh kya” vese hi thode strict way me puchta hai

Patil “par saab, jyadatar logo ke naam toh hamare pass hai hi nahi"

Aryan “yanha ho kya raha hai, hum police vale hai ya nikaame..?? kisiko kuch kaam hi nahi karna”

Sunil “Aryan, patil sahi toh keh raha hai, hamare pass unn logo ke naam ki koi details nahi hai”

Aryan “haa toh..?? hume yeh uniform ese hi nahi di gayi, jaakar puchtach karo, ghar ghar jao, muje har ek information chahiye, voh bhi written me, har ek shaks ka bayaan likhkar unse sign karwao, aur sign naa kare to angutha lagwao..par muje har ek details chahiye, fir chahe voh choti si choti kyu naa ho, sunil..tu patil ke saath jayega..Is that clear”

Patil aur Sunil “yes sir”

Aryan “good, mai uss doctor se jaakar baat karta hu” aur fir voh gaanv ke hospital ki aur nikal jaata hai, aur vahi dusri aur Sunil aur Patil bhi vanha se chale jaate hai

To be continued….

haa ab lag raha hai ki kaam ho raha hai

warna abhi tak to sunil ka ravaiya esa tha ki chalo jo chal raha hai chalne do

wese dekhna ye hai ki ab kya hota hai

gaon se kya kya statements aate hai :?:

kyunki agar itne log batayenge to kahi na kahi koi to galti jarur karega

dekhte hai aryan ka itna gusssa hona is case ko kitna aage le jata hai :?:

dekhte hai aage kya hota hai :waiting:


kal read karunga next update se :ciao:
 

piyanuan

Active Member
1,318
806
128
JUNGLE

lekin insaan ka dil jitna majbut hota hai usse kahi ghuna jyada kamjor bhi hota hai..aur kamjor banta hai DARR se
sahi kaha :scared:
.darr use kaha jaata hai jisse insaan ki rooh tak kaanp uth jaaye
dara kyu rahe ho :sad:
Ladki ki cheekh sunte hi ladke ka dhyaan samne ki aur gaya “ohhh shiitt” uske muh se itna hi nikala aur unki car sidhe samne se aa rahe truck ma jaa ghusi
couple ko maar dala, par kisne :?: aisa kya tha
Aryan uske pass pahuchte hue kehta hai “kya baat hai, Sunil, kya de….” Voh bolte hue ruk gaya aur samne ka najara dekhte hi use vomiting chalu ho gayi
ewwww ye kya tha

acha tha intro story ka, lag raha hai jo b kafi khatarnaak hain
 

piyanuan

Active Member
1,318
806
128

piyanuan

Active Member
1,318
806
128
SHURUWAT

voh apne table par baithe hue mast garma garam chayi ki chuskiya le raha tha
maine b abhi pi
“kudrat bhi kitni ajeeb haina, kabhi voh itna sundar drishya dikha deti hai ki pura mann shaant sa ho jaata hai, toh kabhi kuch aisa dikha deti hai ki insaan ki roonh tak kaamp uthe”
sahi kaha, ye he kudrat ka niyam b hai
“acha patil, ek baat bata, tuje kya lagta hai..yeh sab jo khoon kharabe ho rahe hai, kaun kar raha hai”
pta hota patil ko to case solve ho jata :angry:
main hint du, uske nakhun me tej dhar hai
muje kuch samaj nahi aa raha, aakhir iss tarah koi maar kese sakta hai..koi toh hathiyaar hoga, par kya..??”
hathiyar hai to, nakhun
Sunil “voh sab toh thik hai, aajka kya plan hai, kahi ghumne chale”
:angry:
log mar rahe hai ise ghumne jana hai
Sunil vahi par baithe te hue kehta hai “mere bhai, adaat daal de, iska kuch nahi ho sakta”
jab tak kisi apne k sath bura na ho logo ko farak nhi parta
Aryan “nahi patil, agar yeh kaam kisi janwar ka hai, toh uske pairo ke nishaan laash ke aaspass ho
sahi soch rahe ho aryan
 

piyanuan

Active Member
1,318
806
128
RAAT KA WAQT

Kuch der pehle jaha par hara bhara jungle tha voh ab kisi jale hue kabristan se kam nahi lag raha tha, vaha charo aur bas paid ke thad the aur unn sabhi daliya aur pattiyo ne jameen ko gher rakha th
ye kaisa jungle hau, mayajaal hai ya koi buri shakti
Thik iske turant baad voh pehle vala paid teji se hawa me hi lehrate hue aage badhne laga aur achanak se uss jungle ke ek kone me kisi ke joro se chillane ki awaaz sunayi deti hai
Voh chikh itni dard bhari thi ki uss awaaz se uss shaks ki peeda ka andaaza lagana bahut hi aasaant tha
paid murder kar rha hain, :nana: wo paid nhi ho sakta, mujge koi shaitan lag raha hai

bhyanak update tha, sachmuch dra diya :scared:
 

-:Demon King:-

-:vïrüs:-
Prime
2,388
1,296
159
Milan2010

Update : 9 (Rewind)

⏪ :lol:


Aryan “haa toh..?? hume yeh uniform ese hi nahi di gayi, jaakar puchtach karo, ghar ghar jao, muje har ek information chahiye, voh bhi written me, har ek shaks ka bayaan likhkar unse sign karwao, aur sign naa kare to angutha lagwao..par muje har ek details chahiye, fir chahe voh choti si choti kyu naa ho, sunil..tu patil ke saath jayega..Is that clear”

Patil aur Sunil “yes sir”

Aryan “good, mai uss doctor se jaakar baat karta hu” aur fir voh gaanv ke hospital ki aur nikal jaata hai, aur vahi dusri aur Sunil aur Patil bhi vanha se chale jaate hai

Ab aage…
Aaj Aryan ka mood bahut hi jyada kharab tha, aur Aryan ka gussa dekh Sunil aur Patil dono hi chintit dikh rahe the, khair Aryan toh inn dono ko order dete hi turant vanha se nikal gaya tha, par inn dono ko hi kuch bhi samaj me nahi aa raha tha ki voh shuru kaha se kare

Patil “yeh aaj saab ko kya ho gaya hai..??”

Sunil “pata nahi, par Aryan ko dekhkar yahi lag raha hai ki aaj hamari khair nahi hai”

Patil “haa sahab, muje toh aisa lag raha hai ki aaj agar hume koi surag nahi mila toh hamari naukari khatre me pad sakti hai”

Sunil ghurkar Patil ki aur dekhta hai “toh fir chalte hai gaanv me”

Fir patil aur Sunil bhi police station se nikal jaate hai, Jeep chalate hue Patil puchta hai “sahab, hum nikal toh aaye hai, par aakhir hum karenge kya..??”

Sunil bhi khud pareshan tha ki akhir voh kaahe se shuru kare aur kya shuru kare, fir kuch sochte hue voh kehta hai “Patil, mere hisab se hume pehle yeh puchtach karni chahiye ki vakahi me kitne logo ki maut hui hai, kyunki yeh ek chota sa gaanv hai aur muje nahi lagta ki hamare pass har ek ki details hogi”

Patil “haa sahab, voh toh hai, toh fir kya socha hai aapne”

Sunil “hum har ek ghar jaana hoga aur har logo se puchtach karni hogi, unke ghar mese kisi maut hui hai aur kab aur kis karan hui hai”

aryan to in dono ki fad k nikal liya
idea achha hai ki gaon walo se puchhe but kya gaon wale kuchh jawab denge aur kya kuchh milega bhi waha se jo case ko thoda sa bhi aage le jaye

aur ye maut ho rahi hai to kitne time se :?:

kyunki 5 sal pehle se hi satrt huwa hai to dekhna hai ki gaon walo me se koi 5 sal pehle koi kand huwa uske bare me batate hai ki nai

:reading:


Dusri taraf, Aryan jeep ko bahut teji se uss hospital ki aur bhaga raha tha, uska gussa uske chehre par saaf dikhayi de raha tha, voh khud se hi baat karte hue drive kare jaa raha tha “kuch toh gadbad ho rahi hai, aisi toh kya vajah hai ki yeh sab ho raha hai, aur sabse bada sawal ki yeh kaun aur kyu kar raha hai..??”

Voh yahi sab sochte hue hospital pahuch gaya, lekin doctor Verma abhi tak hospital nahi aaya tha toh Aryan use man hi man gaaliyan dene laga “yeh sala chodu doc, kabhi time par aata bhi hai ya nahi..??”

Vese Doctor Verma ki galti nahi thi, iss waqt subah ke 8:42 ho rahe the, aur gaanv ka chota sarkari hospital hone ki vajah se vaha jyada koi aata jaata bhi nahi tha, Hospital ka gate bandh dekhkar Aryan ka gussa satve asmaan me pahuch gaya, usne jeep se utarkar sidhe hospital ke entrance darwaze par laat mari aur voh arwaza dhaadaaamm ki awaaz ke saath tutkar gir pada

Darwaze ke girni ki awaaz se asmaan me sare pakshiyo ke kilkarane aur fadfadane ki awaze ek saath sunai dene lagi, toh vahi dusri aur main hall me charo taraf dhul fail gayi

Achanak se dhul felne ki vajah se Aryan ko saans lene me thodi si dikkat hone lagi aur voh khasne laga, kuch der baad khud ko sambhalkar voh bolta hai “yeh sala mai kaha aakar fans gaya, aisa lag raha maano sadiyo se yaanha koi aaya hi nahi” aur voh sidhe doctor Verma ke cabin ki aur chala gaya

Cabin me pahuchte hi Aryan ne thodi saans li “ab jaakar thodi rahat mili, yeh pura ka pura kabaad khaana hai” aur fir vaha tables par rakhi hui files ko dekhne laga, lekin voh normal files thi ussme use kuch nahi mila toh usne unn files ko joro se patak diya aur voh khud verma ke chair par baith gaya

Voh baar-baar apne phone me time dekh raha tha, lekin shayad aaj waqt ne bhi Aryan ko pareshan karna than liya tha, Aryan ko aaye abhi sirf 7 minutes hue the aur dheere dheere uska gussa badhta hi jaa raha tha

Voh chair se khade hokar cabin me idhar udhar chakkar kaatne laga, par uska gussa kam hone ka naam nahi le raha tha

Darasal Aryan gussa hone se jyada pareshan tha, jabse uski posting yanha hui hai ab tak 2 khun ho chuke hai..aur iss tarah ke khoon usne apne puri zindagi me naa kabhi dekhe the aur naa hi kabhi sune the, upar se DG aur gaanv ke sarpanch ki baate aur bhi jyada use pareshan kar rahi thi”

Voh thak haar kar firse chair par baitha jaata hai aur khud se hi sawaal karte hue “aisa kese ho sakta hai, jab bhi koi khoon hota hai toh uske piche koi na koi vajah jarur rahti hai, par yaanha ke haalat kuch aur hai, yaanha sab jaante hai ki khoon toh ho rahe hai, par khoon kyu ho rahe hai unke piche ka kaaran kisiko nahi pata, yaa fir koi batana nahi chahta..??”

Aryan ese hi badbadate hue kehta hai “sala, dimag ka toh korma ban gaya hai, voh dono laashe, muje abhi tak ghin aa rahi hai, koi kisiko itni behrahmi se kese maar sakta hai..?? voh laashe itni vichatra haalat me ki pucho mat” voh saans lete hue kehta hai “uske baad yeh pata chalta hai ki yaha jitney bhi khoon hue uske baare me desh me kisiko bhanak tak nahi hai, aur jab maine yeh baate DG se puchi toh ulta DG yeh kehta hai ki use upar se orders hai ki voh yeh saari baate public nahi kar sakta” fir voh ek-ek karke unn saari vardato ko jodne lagta hai

hospital ki halat to sach me buri hai men

hospital kam bhutiya bunglow zyada hai

wese ye bat bhi samaj na aa rahi ki uper se waha k reports badalne aur kuchh na likhne k orders aa rahe hai in sab murders par to uper se hi team kyun na bhej rahe badi wali jisse case solve ho sake

:hmm:

:reading:


Aryan ne kuch sochte hue pass hi me padi hui pen uthayi aur ek paper me sab kuch likhne laga “mere yaanha aate hi 2 logo ki maut hui, unki laashe puri tarah se sadi hui thi, jise laash se jyada kankaal keh sakte hai, uske baad jab mai police station pahucha toh pata chala ki iss tarah ke khoon yanha par akshar hote rehte hai, lekin inn sab ka koi evidence nahi hai, naa kisine kuch dekha hai aur naa hi koi iss baare me baat karta hai, fir voh doctor…voh kehta hai ki har baar issi tarah ki laashe aati hai jo laashe naa hokar sirf kankaal hi hote hai” fir kuch sochte hue “aur khuuni kis hathiyaar ka upyog karta hai uski bhi koi jaankari nahi hai” kuch sochte hue likhta hai “aur fir unn laasho ka itni buri tarah se ek hi din me sad jaana, yeh baat kuch hajam nahi ho rahi” fir thoda rukkar voh firse likhna shuru karta hai “Sunil ke hisab se yanha aane vale har ek inspector ki maut ki report HeadQuarters ko di gayi hai, lekin headquarters me iss baat ka koi jikar tak nahi hai, infact vaha par kisika bhi namonishan nahi hai, aur sabse badi baat mere aane ke thik 10 din pehle Sharma ki maut hui thi..iss baat ko bhi mujse chupaya gaya tha” fir voh rukkar likhta hai “fir hum tino jungle me jaate hai, vanha par yeh pata chalta hai ki jab hum pichle bar aaye the tab laash par khoon laga hua tha, aur voh lash paid par latki hui thi..jabki uss paid par kahi par bhi khoon ke nishan nahi the, aur agar koi kisiko mar kar vanha fainkta hai tab bhi kahi par khoon ke nishan hone chahiye, jo vaha par nahi the..it’s almost impossible” aur fir “aur fir voh hadsa jo mere saath hua, muje sahi se yaad hai ki meri jeep paid se takrayi thi, par voh paid naa hokar electric pole kese ho sakta hai..?? aur meri jeep, mai aage ka seehsa todkar gira tha, jabki subah ko jeep ekdum sahi salamat thi aur headlights bhi kaam kar rahi thi” “aur fir DG ki voh baate, unhe inn maut ke baar ae mai sabkuch pata hai, par naa toh unhone muje kuch bataya aur upar se yeh keh rahe hai ki iss baat ko bahar nahi aane dena hai..?? aur DG ki mutabik, inn khoon me shayad Sarpanch ka haath ho sakta hai, par voh Sarpanch DG ka dost hai, aur voh kehta hai ki unhe inn sab ke baare me kuch bhi nahi pata, isi bich jungle me ek aur khoon hota hai, aur jungle ka voh hissa puri tarah se sukha tha, jabki pehle vali laashe janha mili voh pura hara-bhara tha, aur voh Sarpanch ki badi ladki..uski toh ek alag hi guthi hai” voh saans lete hue kehta hai “aise toh mai pagal ho jaunga”

Kuch der ke liye voh thoda shant ho jaata hai, aur voh kamre se khidki ke bahar subah ka hasin najara dekhne laga, par uske mann me umad rahe sawaal uspar itne jyada haavi ho gaye thi ki voh jyada der kudrat ki khubsurati ko nihaar nahi paaya, voh firse inn case ke baare me sochne laga “yeh toh had hai, muje toh kuch bhi samaj me nahi aa raha hai, itne sare khoon ho chuke hai, par kisi bhi khoon ke bich me koi taluqq nahi hai, agar ek bhi link mil jaaye toh kuch toh pata chala” fir voh thoda sa chillate hue kehta hai “yeh sala doctor kaha mar gaya”

“kya sahab, aap itni jaldi muje marna chahte hai, vese bhi yanha mere alawa aur koi nahi aata” yeh awaaz Doctor Verma ki thi jo apne cabin ke darwaaze ke pass khada tha

Verma ki awaaz sunkar Aryan turant mud jaata hai aur uspar baraste hue kehta hai “yeh toh koi aane time hai aapka..?? mai kabse aapka intezaar raha hu”

Verma “are shant hojaiye, yahi waqt hai mere aane ka”

Aryan firse apni ghadi dekhta hai toh usme karb 9:16 min hue the, voh thoda shant hote hue kehta hai “haa, shayad mai kuch jyada jaldi aagaya hu”

Verma table ke pass jaate hue kehta hai “voh sab toh thik hai, par aap kuch pareshan lag rahe hai, kya baat hai..?? kahi koi firse..”

Verma kuch bolta uske pehle hi Aryan uski baat ko bich me kaat te hue kehta hai “nahi nahi, doc, iss baar aisa kuch nahi hua hai, muje aapse kuch aur kaam tha”

Verma “haa boliye”

Aryan “aise nahi, baithkar baat karte hai”

Verma aur Aryan dono hi baith jaate hai, Verma thoda narmi se puchta hai “Aryan, baat kya hai..?? tum bahut jyada hi pareshan lag rahe ho”

Aryan “baat hi kuch aisi hai doc, dekhiye mai nahi janta ki yanha par yeh jo murder ho rahe hai voh kaun kar raha hai aur kyu kar raha hai, aur mere se pehle jo bhi officers yanha aaye the unke saath kya hua hai mai yeh bhi nahi jaanta”

Verma thodi gehri saanse lete hue kehta hai “Aryan, mai samaj sakta hu ki aap kya soch rahe hai, par yakin maaniye, yaanha aane se pehle muje bhi kuch pata nahi tha, lekin yanha jiss tarah se khoon hue hai, uss tarah ke haalat maine aajse pehle kabhi nahi dekhe”

Aryan “isiliye toh mai aapke pass aaya hu, muje aapki madad chahiye”

Verma “thik hai Aryan, mujse jo ho payega voh mai karunga”

Aryan “thank you doc, aapne jitney PM kiye hai, unki details toh aapke pass hogi hi, muje uski har details chahiye..har ek ki”

Verma “hmm, thik hai, par usme thoda waqt lagega, kyunki kuch details files me hai aur kuch soft copies me, mai dupher tak aapko pahucha dunga”

Aryan “thank you doc, mai patil ko lene ke liye bhej dunga”

Verma “itni si baat ke liye aap yanha chale aaye”

Aryan “nahi doc, muje kuch aur bhi kaam hai, mai aapse baad me milta hu” aur uske baad Aryan vanha se bina kuch kahe siddha nikal jaata hai, uss jungle ki aur

To be continued…

aryan ka diag sahi disha me dod raha hai

dekhte hai usko apne sawalo ke jawab kese milte hai aur wo apne jawab tak kese pahuchta hai

doc to help karega dekhte hai ki uski report kitni help karti hai

over all good update men

:reading: next one
 

-:Demon King:-

-:vïrüs:-
Prime
2,388
1,296
159
Update : 10 (Kya hai Uska Raaz)

Verma “itni si baat ke liye aap yanha chale aaye”

Aryan “nahi doc, muje kuch aur bhi kaam hai, mai aapse baad me milta hu” aur uske baad Aryan vanha se bina kuch kahe siddha nikal jaata hai, uss jungle ki aur

Ab aage


Aryan ke jaate ki verma apne kaam me lag jaata hai, vese toh uske pass har kuch pehle se hi maujud tha, par ek baar voh khud dekh kar side me kar raha tha taaki koi chiz chuth naa jaaye

Verma khud se hi bolta hai “kuch toh baat hai iss ladke me”

Vahi dusri Aryan hospital se jeep lekar sidhe Sunil ke ghar ki taraf gaya aur vaha pahuchkar sochne laga “maine iss list ko toh bana liya, jiske jawab muje itni jaldi nahi milenge, par ek sawaal hai jiska jawab muje dhundhna hai

Sunil ke ghar se thodi dur aage do raste padte the, jisme se ek rasta gaanv se hote hua jaata tha aur dusra rasta jo thoda kachcha tha voh sidhe jungle ki aur se jaa raha tha

Aryan apne dimaag par jor dalte hue sochta hai “muje ache se yaad hai ki mai isi raste se gaya tha” aur fir voh jeep ko gaanv vale raste ki aur mod deta hai

Voh jeep ko dheere dheere karte hue chala raha tha, gaanv me iss waqt kaafi shanti faili hui thi, sirf jeep ke engine ki ghrrrr ghrrrrr ki awaaz thi
Ek pal ke liye Aryan bhi thoda shock ho jaata hai “din ke 11 bajne aaye hai, par gaanv me itna sannata, yeh mai pehli baar dekh raha hu”

Raste me voh charo aur dekh raha tha lekin uske samaj me kuch bhi nahi aa raha tha, kyunki voh jo kuch bhi dekh raha tha voh sab ka sab vaisa hi tha jb voh pichli baar aaya tha, fir achanak se use kuch yaad aata hai aur voh jeep me baju vali seat ki aur dekhta hai aur fir voh piche dekhta hai aur fir voh turant apna chehra samne ki aur ke deta hai

Jab koi hadsa manusya ke saath hota hai toh Jahir si baat hai thoda darr jehan me rehta hai, parantu jab yeh hadsa asadharan sa hota hai toh voh darr kaafi ghuna badh jaata hai

Aryan ke saath bhi kuch aisa hi hua tha, jab voh iss raste se gujar raha tha toh uss raat ki ghatna ka ek ek pal uske samne aa rahi thi, aur jese hi Aryan uss jagah pahucha jaanha par uske sath hadsa hua toh ekak uske pair brake par chale gaye aur usne jeep ko vahi rok diya
Uske dilo ki dhadkan pure jor me thi, maano ki Aryan bahut lambi daud lagakar aaya ho, chehre pura pasine se latpat tha, voh lambi lambi saanso ko lekar khud ko sambhalne ki koshish kar raha tha
Voh jeep se niche utarkar charo aur dekhte hue kehta hai “yeh ehsas, jo maine mehsus kiya tha, voh kya tha..?? thik yahi jagah thi..yahi par maine uss kutte ko dekha tha, aur yanha samne voh paid tha, par yeh kese ho sakta hai”

“beta..lya baat hai, tum kuch pareshan se lag rahe ho” ek bujurd aadmi ki awaaz Aryan ke kaano me padti hai, jise sunkar voh thoda hadbada jaata hai

Voh fir khud ko sambhalte hue kehta hai “k..kuch nahi, chachaji, mm..maa,…I thik hu” voh thoda sa haklate hue jawab deta hai

Aryan ne dekha ki voh Buddha aadmi uske samne lakdi ke sahare khada tha, voh khaanste hue kahta hai “beta, yeh aankhe kamjor jarur ho gayi hai, lekin tumhari pareshani saaf dikhayi de rahi hai”

Aryan abtak khud ko sambhal chukka tha, voh ek sawaal karte bue puchta hai “chacha ji, aap keh toh sahi rahi hai, ek sawaal mann me hai, jo muje samaj me nahi aa raha”

Chacha ji “haa bolo beta, kya baat ha”

Aryan “yeh gaanv, yanha ke log, yeh sab dikhayi kyu nahi de rahe..?? subah ke 11 baj chuke hai, par bhi gaanv pura shumsham sa hai”

Chacha ji apni aankhe chaudi karte hue kehte hai “beta, lagta hai tum gaanv me naye naye aaye ho, isiliye tum aisa sawaal kar rahe”

Aryan “ha chacha ji, mai abhi kuch din pehle hi yanha aaya hu, mera naam Aryan hai aur mai inspector hu”

Chacha ji kuch der Aryan ko dekhte hai “beta, chale jao agar tumhe apni jaan pyaari hai toh”

Aryan sawaliya najro se uss chacha ji ko dekh raha tha “mai akshar har logo se yeh sunta aa raha hu, aap sab itna dare hue kyu hai..?? agar ap kuch jante hai toh please muje bataiye, please chacha ji”

Tabhi Aryan ke kaano me ek awaaz gunjti hai “dada ji, dada ji” kehte hue ek ladka daudte hue inn dono ke pass aata hai, aur fir Aryan se kehta hai “please, dur rahiye aap log mere dada ji se, aur vese bhi aap sehar ke babu log hai, aap kyu hamari baato par vishwaas karenge” aur kehte hue voh apne dada ji ko lete hue vaha se nikal jaata hai

Aur vahi Aryan unn dono ko jaate hue dekhne laga, ekaek use yaad aata hai ki yeh toh vahi ladka hai jo use pehli hi din crime scene parmila tha, lekin voh kuch kehta uske pehle hi voh dono uski aankho se dur ho chuke the

Khair Aryan bhi jyada nahi sochta aur voh vanha se sidhe police station aa jaata hai, aur kuch kaam karne lagta hai

Dupher ko Verma kuch files aakar chale jaata hai, jise dekhkar Aryan khud se bolta hai “iss kaam me kaafi time lagne vala hai” aur voh unn files ko side me rakhva deta hai

Fir Aryan apna banaya hua list dehte hue “ab sirf ek kaam aisa bacha hua hai jo mai kar sakta hu, muje uss sarpanch ki ladki se milna hi hoga” aur fir voh apni jeep lete hue sidhe sarpanch ke ghar chale jaata hai

Voh kuch sochkar sarpanch ke ghar chale gaya, lekin aaj sarpanch kahi bahar gaya hua tha, lekin uski kismet achi thi ki ghar ka darwaaza uski beti ne hi khola “inspector sahab, aap”

Aryan “haa, voh mai sarpanch se milne aaya tha, kuch kaam tha unse”

Voh ladki “sorry, par papa bahar gaye hue hai, kuch kaam hai toh muje bata dijiye, mai umhe bata dungi”

Aryan kuch sochte hue kehta hai “nahi, shukhirya, jab voh aaye toh unhe kehna ki mujse baat kare”

Voh ladki “thik hai”

Aryan “bura naa mane toh kya ek glass paani mil sakta hai”

Voh ladki ek najar Aryan ki aur karti hai aur fir apne ghar ke naukar ko paani lane ke lliye kehti hai, yeh dekh Aryan turant kehta hai “bura naa mane toh kya mai aapse kuch puch sakta hu..??”

Yeh sunkar voh ladki thodi ghabra jaati hai, voh haklate hue puchti hai “mm..muje kuch nahi maalum hai, please aap dur rahiye mujse”

Aryan “par maine toh abhi kuch pucha hi nahi aapse..?? aap hamea muje dekhkar itna dar kyu jaati hai..?? agar koi baat hai toh aap muje bata sakti hai”

Par voh ladki abhi bhi ese hi dari hui awaaz me bolti hai “nahi nahi nahi, aisi koi baat nahi hai” aur voh baar baar haweli ke main darwaaze ki taraf dekh rahi thi

Aryan ko kuch ajeeb lagta hai, par voh bhi iss waqt jyada dabav nahi daalta aur kehta hai “thik hai, agar aapko kabhi bhi koi madad chahiye toh muje batayiega” aur fir voh paani peekar vanha se chale jaata hai

Aur vahi sarpanch ki ladki vaha se sidhe apne kamre me chali jaati hai aur darwaaza bandkar ke vahi darwaaze ka tek lagaye baithkar rone se lagti hai

Voh ladki iss kadar ro rahi thi maano ab uske liye kuch bacha hi naa ho, voh kehna toh bahut kuch chah rahi thi par keh nahi paa rahi thi
Voh rote hue hi badbadati hai “kyu..?? kyu hota hai aisa..?? aakhir kyu mai kuch..” aur voh aur bhi jor jor se rone lagti hai

Vahi Aryan jeep chalate hue yahi soch raha tha “aakhir kya baat ho sakti hai..?? kuch toh gadbad hai yanha par, muje aisa kyu lagta hai jese voh ladki..kuch batana chahti toh hai, par bata nahi paati” yahi sab sochte hue Aryan police station aajata hai

Yahi sab sochkar Aryan ko sar-dard karne laga tha, toh voh kuch der aaram karne ki sochta hai aur hawaldar ko batakar voh apne kursi par jaakar ek japki le leta hai

Sham ke karib 6 baj rahe the, Sunil aur Patil thake hare vapas aate hai, aur siddha Aryan ke pass chale jaate hai
Aryan “kaam hua..??”

Sunil “haa mere bhai, yeh rahe sabke bayan, aur”

Aryan “aur kya..??”

Sunil “main eek list bhi banayi hai, socha ki jitney log mare hai aur jitney records hamare pass hai, hum unhe compare kar sakte hai, shayad kuch mil jaaye”

Aryan kuch sochte hue kehta hai “excellent, aur mai bhi doctor verma se sabhi ke PM ki reports mangwayi hai, kuch toh madad hume jarur milegi”

Sunil “bhai, agar bura naa mane to ab ghar chale..?? aaj bahut hi jyada thakawat ho gayi hai”

Aryan “thik hai, par ek baat puchni thi”
Sunil “haa bol bhai”

Aryan “yeh sarpanch ki jo beti hai, uska kya locha hai..??”

Sunil “bhai, meri maan toh usse dur hi reh, voh sala sarpanch bahut yeda hai”

Aryan “thik hai, tu ghar jaa”

Sunil “aur tu kya karega”

Aryan “kuch khas nahi, bas personal kaam hai, voh karke mai bhi ghar jaata hu”

Uske baad Sunil vanha se chale jaata hai, aur Patil kehta hai “saab, aap sarpanch ki beti ke baare me kyu puch rahe the..??”

Aryan “kuch nahi, tum bhi ghar jao”

Patil “saab, mai aapki madad kar sakta hu, agar unse baat karna hamare case ke liye madadroop hai toh mai unse aapki baat karwa sakta hu”

Aryan “kese..?? sawaliya bhari najro se dekhte hue ek sawaal karta hai

Patil “voh, meri beti hai, unki dost hai, dono ek hi college me padhte hai”

Aryan “acha yeh baat hai, thik hai Patil, toh agar tumhe aitraaz nahi hai toh mai tumhari beti se pehle kuch baat karna chahunga”

Patil “ji saaab, mai kal use apne saath lete aaunga”

Aryan “thik hai” fir kuch der baad kehta hai “par dhyaan rahe, uss waqt sunil yaanha naa ho”

Patil “thik hai saab”

Aur fir uske baad voh dono hi apne apne ghar chale jaate hai

To be continued…..


ek raaz to ye sarpanch ki beti ne daba k rakha hai ka hai wo :?: :hmm:

wese usko sab pata hai ki ka ho raha hai ya fir khud ki bajah se ho raha hai :?:

wese me ab tak samaj nai saka ki wo jo ladka hai jo pehli bar hi aryan ko jungle me mila tha usse hi baat kyun nai karte ye sab ya fir unse hi aryan kyun nai puchhta kuchh :?:

aur ek achhi bat huyi ki ab aryan ko ek jariya mil gaya hai sarpanch ki beti se bat karne ka dekhte hai ka hota hai aage

:reading: next
 
Top