• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy MAYAJAAL (SciFi Paranormal)

Status
Not open for further replies.

Zas23

Well-Known Member
4,624
4,625
158
MAYAJAAL

UPDATE * 1

‘Tan....Tan...Tan’.....school ki ghanti teen char baar baji aur Ramu ko aisa mahsoos hua jaise ki uske dil par kisi ne teen baar hathoude se vaar kar diya ho.

Choutha period shuru ho gaya tha aur ye period usko kisi rakshas ke bhojan ki tarah lagta tha....kisi tarah khatam hi nahi hota tha....usko ganit aur ganit ke agrawal sir dono se bahut chidh thi aur choutha period unhi ka hota tha.

Ramu ka poora naam Ram Kumar Verma tha...kintu vah ramu ke naam se hi vikhyat tha......Ek mahine pahle hi usne apna 18th janamdin manaya tha lekin abhi bhi metric me hi latka hua tha, uska karan tha uska 8th aur 10th me fail hona...maths uske dimag me ghusti hi nahi thi.

Ramu ke dost usko ramu kuthali ke naam se bulate the....uske iss naam ke piche bhi ek badi hi rochak kahani hai, jiska jikra aage kiya jayega.

Rame ne apne mann ko ummid bandha kar class attend karne ke vishay me sochne laga....ek baar to uska mann hua ki ghar bhag jaye lekin phir kuch aur hi sochne laga.

Ramu (mann me)—ho sakta hai ki aaj agrawal sir school hi na aaye ho... ? kisi accident me unki taang toot gayi ho….aaj kal ke traffic ka koi bharosa to hai nahi...kisi gadi wale ne unki bike ko piche se thonk diya ho.

Lekin traffic ka wakayi me koi bharosa nahi hai....kyon ki agrawal sir apni dono taango ki poori majbooti ke sath class me dakhil ho rahe the....unke chehre par chadha mota chashma unhe aur bhi khunkhar bana raha tha...kisi anakonda ki tarah...unhe dekhte hi ramu ne mann hi mann agrawal sir aur apni kismat ko dher galiya di.

Class me aane ke sath hi agrawal sir ne balck board par do rekhaye khich di aur ek ladke ko khada kar diya.

Agrawal—anil, tum batao ye kya hai…..?

Anil—sir, ye do samantar rekhaye hain.

Agrawal—shabash..! baith jao….gagan, ab tum samantar rekhao ki koi ek vishesta batao.

Gagan—sir, samantar rekhaye aapas me kabhi nahi milti.

Gagan ne turant jawab diya...uski ganit ka loha to achche achche mante the....kuch to usko agrawal sir ka uttaradhikari tak samajhne lage the.

Agrawal—very good….tum bhi baith jao……ram kumar ab tum khade ho.

Ramu (dhire se)—Lo aa gayi shamat.

Usne kisi tarah apni taango par jor diya aur mann me gaaliya dete huye dhire dhire khada hua...uske khade hote hi poori class ka sir uski oor ghum gaya tha.

Agrawal—batao...samantar rekhaye aapas me kyo nahi milti...... ?

Ramu (mann me)—unn dono se itne saral sawal aur mujhse itna kathin... ! lagta hai jarur pichle janam ka koi badla le raha hai ye agrawal.

Agrawal sir ne sawal jada aur ramu ka dimag ghum gaya...vo sawal ke bare me sochne laga kintu kuch samajh nahi aa raha tha...akhir kaar usko ek dhansu jawab soojh hi gaya.

Ramu—sir, rekhaye stri ling hoti hain...aur striyo ki vishesta yahi hoti hai ki vo sasuri aapas me mil baith kar nahi rah sakti.

Dusre hi pal poori class me ek thahaka pada...sab jor jor se hasne lage...ramu boukhala kar charo taraf dekhne laga...

Ramu (mann me)—sab aise has kyo rahe hain.... ? kya mere muh se kuch galat nikal gaya tha….?

Agrawal (daant kar)—abe, ghogha basant ki aulad….poori duniya sudhar jayegi, lekin tu nahi sudharega…chal idhar kinare aa.

Agle hi pal uska kaan agrawal sir ki mutthi me tha…kinare pahuch kar pahle to uss khaddus ne do teen thappad lagaye aur phir murga ban jane ka order de diya….uske baad poore aadhe ghante tak agrawal sir ne uska bheja chabakar poore ka poora uske dimag ka bhurta bana diya tha.

Ramu (mann me)—sale ka period bhi khatam nahi ho raha hai….iska period itna lamba kyo hota hai..?

Akhir agrawal sir ka period khatam hua aur vo class se chale gaye…tab kahi ramu ki jaan me jaan aayi vo sidha ho ke apni jagah par baith gaya.

Gagan—hahaha….aaj class me bahut maza aaya.

Pinky—mujhe bhi….vaise achcha hi hai…ek gadha to hai class me hamara manoranjan karne ke liye… hihihihi

Anil—ye pinky bhi aaj kal gagan ke favour me ho gayi hai…aur ye gagan to hai hi..apne aap ko bahut bada ganitagya samajhta hai.

Ramu—school aate samay kisi din raste me pakad kar sale ki gaand maar lunga to poori ganit hawa ho jayegi.

Anil—chal be gussa thook..ab ghar chalte hain

Chhutti hote hi vo ghar aa gaya…andar ghuste hi uski naak me kuch achche khane ki khushbu aane lagi to bhag kar kitchen me gaya jaha uski maa nirmala khana bana rahi thi.

Ramu—maa jaldi khana do bahut bhookh lagi hai…aaj badi khushbu aa rahi hai..kya banaya hai..?

Nirmala—aa gaya…methi ke parathe hain…chal pahle ye kapde badal aur hath muh dho…tab tak main khana lagati hu.

Ramu—arey maa, tum hi apne hath se khila do..ab ye hath muh koun dhone jaye roj roj.

Nirmala—nahi..pahle hath muh dho..chal

Ramu mann masos kar kitchen se chala gaya aur kapde change kar ke hath pair dhone ke baad khana khane baith gaya…khana samne aate hi jaldi jaldi khane laga.

“Ye bhukkhad khana rakh niche…jab dekho khata hi rahta hai.” Piche se aati huyi Janki didi ne kaha.

Janki kahne ko to ramu ki badi bahan hai vo bhi poore ek saal badi....lekin dono bhai bahan ke beech chhattis ka aankada hai....halanki vo bhi ramu ki hi school me 12th class me padhti hai aur bahut brilliant hai...jaha ramu math me zero hai to vahi janki hoshiyar hai.

Vaise inka ek aur bada bhai bhi hai Umesh jo engineering kar raha hai...rajesh jo ki inke pita ji hain unki city me paan ki ek chhoti dukan hai jisse kisi tarah se jeevan yaapan chal raha hai.

Ramu—mera dimag mat kha..tujhe bhi khana hai to kha le.

Janki—tere paas dimag hai hi kaha jo khaungi... ?

Nirmala—tum dono phir chalu ho gaye...aur janki use khane de shanti se.

Janki—to main kya uska khana chhuda rahi hu.. ? bhukkhad kahi ka…..maa, aaj phir ye class me murga bana tha aur maar bhi padi isko jam ke.

Nirmala—tujhe kitni baar kaha hai ki kuch usko bhi math padha diya kar lekin tu sunti kaha hai…agle week se timahi exams hai…kam se kam iss saal to kisi tarah se paas ho jaye.

Janki—ooff…mujhe apni bhi to taiyyari karni hai…theek hai..ye bhukkhad chal khana band kar ke mere room me aa ja…aaj main teri class leti hu.

Ramu—mujhe nahi padhna tere se…chal apna kaam kar….maa main thoda ghum kar aata hu.

Janki—haan…ja..ja…aur phir apne awara dosto ke sath bhaang pikar aa jana ghar.

Nirmala—dekh ramu..agar kuch nasha kar ke aaya to phir aaj main nahi bachaungi tujhe tere papa ke hatho ae maar khane se.

Ramu—nahi maa…kaha peeta hu main…ek baar galti se dosto ne pila diya tha holi ki party me.

Janki—to chhod kyo nahi deta aise ghatiya dosto ka sath…?

Ramu—tu apna kaam kar samjhi.

Ramu ghar se nikal kar apne dosto ke paas cricket khelne chala gaya...unme se kuch ladke nasha bhi karte the.

Rohit (dost)—arey yaar....thoda maal hai kya... ?

Satish—haan kaam chal jayega.

Rohit—chal ek do kash laga lete hain phir khelne me maza ayega.

Satish—sahi kahta hai bhai…chal aa ja.

Ramu—tum log kaha ja rahe ho...khelna nahi hai kya.... ?

Satish—aa ja tu bhi ek kash le le.

Ramu—nahi...main koi nasha nahi karta.

Rohit (jhuth)—pagal ye nasha thode hi hai....isse dimag tez hota hai....tujhe pata hai gagan to roj leta hai ye..tabhi to uska dimag math me itna tez chalta hai.

Ramu (hairan)—kyaaaa...tum log sach kah rahe ho.... ?

Satish—aur nahi to kya…? Kya hum tujhse jhuth bolenge…? Yaha tak ki vo agrawal sir bhi ye daily peete hain.

Rohit—kya tu nahi chahta ki tujhse bhi math aane lage….?

Ramu—haan..haan...chahta hu..lekin math mere bheje me aati hi nahi hai.

Satish—to aa ja thoda sa le le aur phir ghar ja kar padhna aur dekhna iska kamal.

Ramu—kya sach me... ?

Rohit—bilkul

Ramu bhi unke sath baith kar gaanja peene laga...lekin ek do kash me hi usko khansi aane lagi...kuch hi der me uski ankho ke samne andhera chhane laga.

Ramu (nashe me)—main ab ghar jaunga aur khub padhunga aaj.

Ramu jhumte huye kisi tarah ghar pahuch ke apne room me chala gaya chup chaap.....kuch hi der me uske papa bhi ghar aa gaye.

Papa ke dwara usko lagbhag daily hi daant milti thi padhne ke piche.... daant se bachne ke liye usne jaldi se laptop khol kar bed par baith gaya aur padhne laga.

Ramu (mann me)—aa gaya jallad....achcha hai..aaj padhte dekhega to daant nahi padegi.

Rajesh fresh hone ke baad jaise hi uske room ke samne se gujra to dekh kar vahi ruk gaya aur phir andar aa gaya.

Rajesh (jor se)—ye kya kar raha hai...? aaj phir pi kar aaya hai kya….?

Ramu –nnn…nahi papa….main to padhayi kar raha hu.

Rajesh—padhayi kar raha hai….? To ye suit case khol kar kyo baitha hai….?

Ramu (chounk kar mann me)—maine to laptop khola tha….ye suitcase kaise ban gaya….?
Nice update
 
Status
Not open for further replies.
Top