• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy MAYAJAAL (SciFi Paranormal)

Status
Not open for further replies.

Avir

Well-Known Member
2,111
4,787
158
MAYAJAAL
(CHAMATKAR-PART II)
UPDATE- 2

Rajesh fresh hone ke baad jaise hi uske room ke samne se gujra to dekh kar vahi ruk gaya aur phir andar aa gaya.

Rajesh (jor se)—ye kya kar raha hai...? aaj phir pi kar aaya hai kya….?

Ramu –nnn…nahi papa….main to padhayi kar raha hu.

Rajesh—padhayi kar raha hai….? To ye suit case khol kar kyo baitha hai….?

Ramu (chounk kar mann me)—maine to laptop khola tha….ye suitcase kaise ban gaya….?

Ab Aage……

Rajesh—piya nahi hai to tere room se itni smell kyo aa rahi hai….?

Ramu—pata nahi..papa

Rajesh (paas aa kar gusse me)—achcha pata nahi…chattaaakkkkk……nalayak gaanja peene ke baad ab jhuth bolna bhi sikh liya…..ruk aaj main teri khal udhedta hu.

Nirmala—kya hai, aap to aate hi bechare ke piche pad gaye….?

Rajesh—dekho janki, tum na beech me mat bola karo…..ye gadha kisi kaam ka nahi hai…gadha to phir bhi theek hai kam se kam vajan to uthane ke kaam aata hai, par ye nalayak to usse bhi gaya gujra hai.

Nirmala—main usko samjha dungi…aap chalo khana kha lo.

Rajesh—tumne hi sar me chadha kar bigada hai isko…ek din pachhtaogi….har hafte iski school se principal aur math ke teacher ke calls aate hain ki iska naam kaat denge…math me bilkul zero hai, faltu me mera paisa barbad karwa raha hai.

Janki—aaj bhi ye murga bana tha papa.

Rajesh—sun liya tumne….do do baar fail hone ke baad bhi koi sharam nahi hai….har mahine test me math me isko zero milte hain….naak katwa kar rakh di hai isne meri.

Nirmala—haan sun liya….sab ke sab jab dekho uske hi piche pade rahte ho.

Ye koi aaj ka kriya kalap nahi tha…..yah to lagbhag har roj hi hota tha ramu ke sath….har baar test me zero milne par uski ghar me jam kar pitayi hoti thi.

Pahle school me agrawal sir ne uska dimag khaya aur ab ghar me uske papa ne bhurta banaya…ramu apne gaal sahlata hua chup chaap math ki kitab nikal kar padhne baith gaya lekin jab juch samajh me aaye tab to padhe…phir bhi sab ko dikhane ke liye kitab me bani aadi tirchhi rekhao ke chitra hi dekhne laga.

Lekin ramu ke andar ek vishesh gun bhi tha….vo chitrakari bahut achchi karta tha….ek baar usne jo dekh liya uska aisa chitra banata tha .

Chitra dekh kar aisa mahsoos hota tha jaise ki vo sajeev ho aur abhi haqiqat ka roop le kar jeevant ho uthega….

Agle din subah maa ke uthane par uski need khuli to vo fresh hone bathroom chala gaya….unke ghar me ek hi bathroom tha…kisi ke liye seperate to tha nahi.

Bathroom me brush karte huye achanak uske dimag me kya kida bul bulaya ki vo vaha se nikal kar sidhe apne room me ja kar teen char colour ke marker le kar phir se bathroom me ghus gaya aur darwaja andar se band kar liya.

Bathroom me bijli ke socket ke upar hi usne chitrakari shuru kar di…iss douran uske papa usko baar baar jaldi bahar nikalne ke liye awaz dete rahe…..lagbhag aadhe ghante me hi usne uss socket par karina kapoor ka bilkul sajeev lagne jaisa ek jeeta jagta khubsurat chitra bana dala….

Rajesh (chillate huye)—nalayak andar hi so gaya kya….? Jaldi bahar nikal, mujhe dukan bhi jana hai.

Ab ki baar rajesh ke kuch jyada hi jor se chillane se ramu ki tandra toot gayi….usne ek baar chitra ko dhyan se dekha ki kahi koi kami to nahi hai.

Chitra me koi kami nahi thi….balki uss chitra ki khubsurti aur satik colour ke aage ye tak malum nahi chal raha tha ki ye chitra socket ke upar aarekhit hai.

Vo jaldi se bahar nikal kar room me bhag gaya…ki kahi pitayi na ho jaye…..rajesh badbadate huye fresh hone bathroom me chala gaya….

Rajesh (badbadate huye)—pata nahi itni der tak kya karta raha hai….?

Rajesh jaise hi bathroom me enter hua to samne deewar ko dekhte hi chounk gaya….usko sara mazra samajh aa gaya.

Lekin chitra dekhte hi vo bhi uski khubsurti me kho gaye…karina kapoor ke surkh lal lal hotho ko dekh kar rajesh ma mann lalcha gaya aur vo khud ko uske inn hotho ka ras pine se nahi rok paya…usne apne hotho ko karina ke hotho se mila diye.

Kintu agle hi pal bathroom se uske jor se chillane ki awaz aane lagi…jabki haqiqat me hua ye tha ki rajesh ne iss baat par dhyan diye bina ki ye chitra bijli ke socket ke upar bana hai, jaise hi usne apne hoth karina ke hotho ke upar rakhe…..usko tez bijli ka jhatka laga aur uska kiss karne ka bukhar hawa ho gaya.

Rajesh (jor se)—aaaaahhhhh….marrr gayaaaa.

Nirmala—kya hua…aise kyo chilla rahe ho….?

Rajesh (muh me hath rakh gusse se)—kaha hai vo nalayak…..? aaj uska chitrakari ka bhoot utarta hu.

Bas phir kya tha..ho gayi bechare ramu ki bina sabun pani ke dhulayi shuru….ramu ko to pitayi ki asli vajah bhi samajh nahi aayi.

Nirmala—ab chhodo bhi…maar hi daloge kya mere bete ko…?

Rajesh (jor se)—math me zero aur chitrakar banega….? Agar aaj se teri koi bhi shikayat math me aayi to samajh lena.

Rajesh uski pitayi karne ke baad bina nahaye hi dukan chala gaya…ramu kuch der tak bistar me leta raha chupchap aur phir taiyyar ho ke school chala gaya.

Parantu aaj ka uska din hi kharab tha….school aane ke baad bhi usko koi rahat nahi mili….ulta agrawal sir ke puche sawalo ka aaj bhi galat jawab dene par usko saza hi mili.

Sadak par paaydal marte huye ram kumar urf ramu aaj kuch jyada hi vichlit tha…usko ehsaas ho gaya tha ki math jeevan bhar uske palle nahi padegi…aur math ke bina jeevan hi bekar tha…yahi sabak uske maa baap aur teachers diya karte the.

So usne apna jeevan samapt karne ka nishchay kiya…uske raste me ek chota sa jungle padta tha…uske andar ek gahra talab hai..ye bhi usko pata tha.

Usne apni cycle sadak se niche utar di….ab vah uss gahre talab ki oor ja raha tha…chunki usne tairna sikha nahi tha, isliye vah aasani se doob kar mar jayega…yahi vichar aaya uske mann me.

Jaldi hi uski cycle talab ke kinare pahuch gayi….usne speed tez kar di…uski speed dekh kar aisa laga jaise ki vo cycle ke sath hi pani me ghus jana chahta tha.

Achanak usko laga ki piche se kisi ne uski cycle rok li hai….usne ghum kar dekhna chaha, lekin ussi samay uski gardan bhi kisi ne pakad li…..koi uski gardan daba raha tha….dhire dhire uss par behoshi chha gayi.


Nice Update...
Best Part Ramu ke papa ka Kiss karna... :lipsrsealed::lipsrsealed::laugh::laugh:
 

anandsngh12

Well-Known Member
28,992
64,487
173
MAYAJAAL
( CHAMATKAR PART- II)

UPDATE-3

Sadak par paaydal marte huye ram kumar urf ramu aaj kuch jyada hi vichlit tha…usko ehsaas ho gaya tha ki math jeevan bhar uske palle nahi padegi…aur math ke bina jeevan hi bekar tha…yahi sabak uske maa baap aur teachers diya karte the.

So usne apna jeevan samapt karne ka nishchay kiya…uske raste me ek chota sa jungle padta tha…uske andar ek gahra talab hai..ye bhi usko pata tha.

Usne apni cycle sadak se niche utar di….ab vah uss gahre talab ki oor ja raha tha…chunki usne tairna sikha nahi tha, isliye vah aasani se doob kar mar jayega…yahi vichar aaya uske mann me.

Jaldi hi uski cycle talab ke kinare pahuch gayi….usne speed tez kar di…uski speed dekh kar aisa laga jaise ki vo cycle ke sath hi pani me ghus jana chahta tha.

Achanak usko laga ki piche se kisi ne uski cycle rok li hai….usne ghum kar dekhna chaha, lekin ussi samay uski gardan bhi kisi ne pakad li…..koi uski gardan daba raha tha….dhire dhire uss par behoshi chha gayi.

Ab Aage…….

Ek chhote se kamre me tez neeli roshni phaili huyi thi….iss roshni me chaar bachche aas paas khade huye kisi gambhir chintan me doobe huye the.

Lekin haqiqat to yah thi ki dar asal ye bachche nahi balki boune prani hain…kyon ki inke chehre par dadhi aur moonchhe moujud thi.

Unke sharir ka poora ranga gahra peela colour ka tha jo ki iss baat ka suchak tha ki ye boune prani iss dharti ke arthat prithvi vasi to bilkul bhi nahi hain.

Issi kamre ke ek kone me ramu moujud tha jo ki abhi bhi behosh avastha me tha….lekin kamre ki sabse aakarshit karne wali vastu thi, ek taboot numa shishe ka baksha.

Jiske andar unhi charo ke jaisa ek bouna prani nishchal avastha me pada hua tha….uske sharir me koi bhi halchal nahi ho rahi thi.

“To ab kya irada hai, Mr. Romeo” unn charo me se ek ne vatavaran me chhayi nistabdhta ko todte huye kaha.

Romeo—hame apne samrat ko kisi bhi keemat par bachana hai…warna prithvi naam ke iss anjan grah par ham jyada samay tak jinda nahi rah payenge.

“Saari galti hamare yaan ke auto pilot ki thi…..yaha ke vayu mandal me utarte huye usne yaan ko poori tarah se dis balance kar diya….natize me hamare samrat ka sharir lagbhag poora hi nasht ho gaya.” Teesra vyakti bola.

“Theek kahte ho silvasa…..ab hamare samrat ke sharir me kewal unka mastisk hi sahi salamat bacha hai aur agar hamne der ki to vah bhi nasht ho jayega…..kyo romeo…..?” Pahle wala bouna admi bola.

Romeo—haa..Dove……ab aage madam vaan ko apna hunar dikhana hai…..unhe jald se jald samrat ka dimag uss ladke ke sharir me transplant kar dena hai, jisko hum jungle me talab ke kinare se pakad kar laye hain.

“Theek hai.” Teesra vyakti jo dar asal madam dove thi bol uthi.

Aur phir vo sab apne apne kaam me jut gaye….ramu ko taboot ke bagal me lita diya gaya tha… phir vo mastisk transplant ke operation me jut gaye.

Inki technology dharti ki apeksha kayi guna adhik viksit thi….jaha dharti vasiyo ke doctors ko ek normal operation me bhi poora din nikal jata hai..vahi ye har kaam chutkiyo me nipta dete the.

Ek taraf ramu ka sir khola ja raha tha to dusri taraf samrat ka…..ye operation poore ek ghante tak chalta raha…aur phir thodi der baad samrat ka dimag ramu ke jism me fit ho chuka tha….jabki ramu ka dimag alag ek tray me nazar aa raha tha.

“Ab poora ho gaya hai operation….hum iss ladke ke dimag ko nasht kar dete hain.” Madam Vaan ne ramu ke sharir ko achchi tarah se test karne ke baad kaha.

Romeo—mere dimag me ek idea aaya hai.

Silvasa—kaisa idea…?

Romeo—khidki ke bahar uss ped par baithe bandar ko dekho….iss dimag ko uss bandar me fit kar ke jungle me chhod dete hain….agar hosh me aane ke baad samrat ke dimag ne iss ladke ke sharir ko kubul nahi kiya to ek manusya ka dimag bekar me hi nasht ho jayega.

Dove—theek kahte ho tum romeo.

Madam Dove ne romeo ki baato me apni sahmati jatayi…aur phir apni choti si pistol nikal kar uss ped par baithe bandar ki taraf taan di usko behosh karne ke liye.

Dusri taraf jab aaj ramu kafi der tak ghar nahi louta to uski maa nirmala pareshan ho gayi…usne janki se bhi pucha lekin usne apni anbhigyata jahir kar di.

Nirmala (pareshan hote huye)—kaha gaya hoga….? Ab tak ghar nahi aaya….kahi aata jata bhi to nahi hai vo.

Janki—mummy..kahi ghum raha hoga apne awara dosto ke sath..aa jayega…bhukkhad kahi ka….jab bhukh lagegi to khud hi khane ke liye bhaga bhaga ayega.

Nirmala—tu chup kar..tujhe to koi fikar hi nahi hai ki vo tera bhai hai.

Janki—petu hai vo…..jab dekho khata hi rahta hai…aur ladta hai poora din…aap usko to kuch bolti nahi bas mujhe sunati rahti ho.

Jab kuch aur intazar ke baad bhi ramu ghar nahi aaya to vo dukan pahuch gayi….rajesh bhi soch me pad gaya…uske dimag me kayi tarah ke sawal panapne lag gaye.

Rajesh (mann me)—kaha gaya hoga ye…? Aaj subah hi maine uski jam kar pitayi ki thi, kahi uski vajah se to gussa ho kar kahi nahi chala gaya….? Lekin iske pahle to usne aisa kabhi nahi kiya.

Rajesh aur nirmala pata karne school pahuch gaye….school pahuch kar dono sidhe principal Mrs. Bhatiya ke cabin me chale gaye.

Rajesh—madam hum andar aa sakte hain…?

Principal—aaiye….kahiye main kya kar sakti hu apke liye….?

Rajesh—dekhiye hamara beta ramu aap ke school me padhta hai…ham uske parents hain….ramu abhi tak ghar nahi aaya hai…isliye hame aap ke paas aana pada.

Principal—dekhiye school ki chhutti to do baje tak ho jati hai…..uske baad kisi ke yaha rukne ka sawal hi paida nahi hota…..aur aap ke ladke ram kumar ko main achchi tarah se janti hu..vo to kabhi library bhi nahi jata hai.

Rajesh—phir bhi aap agar staff se ek baar puch le to…..! chhutti huye char ghante ho rahe hain…ramu abhi tak ghar nahi pahucha hai.

Nirmala—uski to kahi idhar udhar jane ki aadat bhi nahi hai…school se sidha ghar gi aata hai.

Ussi samay vaha kisi kaam se agrawal sir ne pravesh kiya….vo rajesh aur nirmala ko achchi tarah se jante the…unhe baitha dekh kar vah unki oor ghum gaye.

Agrawal—achcha hua aap log aa gaye….aap ka ladka ram kumar maths me bilkul gol hai..agar aap ne uski taraf dhyan nahi diya to iss saal bhi uska paas hona mushkil hai.

Principal (beech me rokte huye)—ek minute….! Mr. aur Mrs. Verma yaha isliye aaye hain kyon ki inka ladka ab tak ghar nahi pahucha hai.

Agrawal—jarur vah kisi park vagairah ki taraf nikal gaya hoga…..aaj maine usko saza di thi…ho sakta hai ki dil bahlane ke liye kahi picture dekhne nikal gaya ho…?

Principal—dekhiye aap dono aisa kare ki thodi der aur apne ladke ka intazar kar le…ho sakta hai ki ab tak vah ghar pahuch gaya ho….agar aisa nahi hota hai to hame aur police ko inform kare.

Dono—theek hai.

Rajesh aur nirmala dono thandi saans le kar uth khade huye…..unke chehre par pareshani aur chinta ki lakire aur bhi gahri ho gayi thi.
 

anandsngh12

Well-Known Member
28,992
64,487
173
Super duper update tha bhai shurwat boht achi ha yar
Thanks for Reading & Supporting
Stay Tuned with us

Today's Update is on Page.....9
 

anandsngh12

Well-Known Member
28,992
64,487
173
Wonderful update
Great starting
Hero bahut bhola h
Samantar Rekhaye..Striling..hahahahaha
Kahani ke start me hi mast comedy
Bechara Laptop ke dhoke m suitcase khol ke padh raha h...hehehehe
Jabardast shuruwat bhai
Thanks for Reading & Supporting
Stay Tuned with us

Today's Update is on Page.....9
 
Status
Not open for further replies.
Top