Raaj - kyu meri jindagi me aake muze pagal kar diya, tuze chahne laga to itni nafrat kyu karne lagi muzase ! .....meera dusari or dekh lambi lambi sanse bhar rahi thi..... .....kuch pal khamoshi me beet gaye.
Meera - veshya ka yahi kaam hota he grahako ko behkana !
Raaj - khud ko veshya kehna band kar !
Meera - 50 saal ke aadmi ke niche soi hu, veshya nahi to or kya hu !
Raj - muze koi farak nahi padta kitno ke niche soi he, tere dil me hamesha me hi rahunga !
Meera - dil me to jagah nahi he, baki mardo ki tarah tuze bhi jangho ke bich jagah de rahi hu, buzha le apni aag or jaa ek rupiya nahi lungi tuzase ! .......meera ke tikhe lafzo ne raaj ki ruh kaanp uthi.
Uske haat se kalai chut gai...... ......meera ek pal ki deri kiye bina makan ki or chali gai.
Car me baithi dipti ki pareshani har pal badh gai..... .....kyunki 11 baj gaye the jay ke jane ka waqt hua tha kahi usne raaj ko dekh liya to..... .....tabhi dipti ko jay jata dikhai diya ab uske pasine chutne lage..... .....car se utar kar dipti kacche raste ki mod se dekhne lagi.
Imarat ke pass andhere me kuch dikhai nahi diya uske pasine or jyada chutne lage raaj uske makan me to nahi gaya.
Dipti tez kadam badha ke aag aai tab..... .....imarat ke pass vale cement ke baak par usne raaj ko dekha.
Sar ko pakad kar niche dekh ke gehri soch me duba tha.
Dipti - kya hua bhaiya ! .....raaj ne sar upar kiye bina hi javab diya.
Raaj - kuch nahi tum ghar jao !
Dipti - bataoge bhi ya meera ne tuze bhi ruthne ki aadat laga di !
Raaj - akela chor de muze !
Dipti - bhaiya shayad vo meera hi he ! ......raj fauran kacche raste ke chor ki or dekhne laga..... .....vaha koi na tha vo raaj ki firaki le rahi thi......
Par uski hasi jyada der tik nahi pai...... ......raj ki aankhe khoon ki tarah lal hui thi..... ......dipti ka dil kaanp utha.
Dipti - ghar chal baat karte he !
Raaj - mene kaha na akela chor muze !
Dipti se uski halat dekhi nahi gai..... .....kuch na kuch jarur hua he par kaise puchti kahi or jyada takleef na ho.
Dipti kuch der rukne ke baad car ki or chali gai.
Jab Jay makan me aaya tab meera khana bana rahi thi.
Jay - abhi tak khana nahi bana !
Meera - 2 minute lagege tum hat dho lo tabtak paros deti hu !
2 minute kehke 10 minute baad meera ne khana paros diya.....
Jay - tu bhi kha le !
Meera - Mene kab ka kha liya !
.jay - abhi to banaya he kab khaya !
Meera - dopeher ko hi khaya bhook nahi he aaj !
Jay - me janta hu kyu bhook nahi he tuze ! .....meera ne chaunk ke sawaliya nazaro se puch liya.
Jay - imarat ke andhere me baithe gunde ko dekh dar gai kya, ! ......meera ghabra gai raaj ko dekha kya jay ne.... .....par vo to pehchanta he use ya andhere me dekha nahi theek se.
Meera - vaha to koi nahi tha !
Jay - me abhi to aaya vahi baitha he shayad mere aane se kuch der pehle aaya hoga !
Meera - ha shayad, muze nind aa rahi he jay me soti hu ! .....meera bistar pe let rajai odh kar so gai.
Jay bhi uske baju me let gaya...... .......jay ka kai baar man kiya tuti imarat ke pass jake dekhne ka...... .....Kahi gunde fir pareshan to nahi karne lage meera ko..... ......par meera khud bata deti isliye jay bhi so gaya..... .....dipti car me hi so gai....... ......raj akela bak pe baitha tha.
Meera 18