Meera - itne hi rupiye bacha ke rakhe the sare lele, bas itna sa ehsaan kar de jindagi bhar nahi bhoolungi tumhe, ek baar jay ke sath so jao na ! ......meera rote rote radha ke pairo me gir gai.... ......meera apni galti sudharna chahti thi usne jay ko jo takleef di uske liye karna chahti thi meera.... .....meera ka haal radha se dekha nahi gaya.....
Radha ne use utha kar bahon me bhar liya.
Raat ke 11 baje jay makan me aaya usne radha ko dekha to chaunk gaya.
Jay - tu itni raat ko yaha !
Meera - radha aaj yahi rukegi !
Radha - nahi muze jay chor dega me chali jaungi ! .......meera ke chehre pe mayusi cha gai..... ......bina kuch bole usne khana paros diya.
Khana khatam hote hi radha or jay chale gaye.....
......meera apne aap me khoi bartan dho rahi thi tabhi raj ne use ghuma kar jabardasti chumne laga...... ......gusse me aake meera ne jor ka thappad jada kar use dur dhakel diya.
Meera - kya karu jisase tu mera picha chod dega !
Raj - shadi kar le muzase hamesha ke liye picha chor dunga ! .......fir ek thappad khake hi raaj jate jate bola.
Raaj - accha hua meri baat sun ke pratap ji ko lekar nahi aai, dur hi rehna unse ! ......gusse se meera bartan idhar udhar fekne lagi.
*******************************************
Agli sham ko meera ke sath pratap ji bhi aaye the.....par aaj pratap ji khud meera se duri banake chal rahe the....... ..jisase raj ka chehra khil gaya.... ....dono imarat ke kuch aage chalte hi raaj ne unke piche chalte huye aavaj lagai....
Raaj - meera ruk ja !
Pratap ji or meera piche dekh ke chuank gaye..... .....tabtak raj unke pass pohonch gaya.....
Raaj - kaise ho pratap ji !
Pratap ji - badhiya ! .....meera ki kamar pakad ke raaj ne use pass khinch liya.
Raaj - chaliye chai pine !
Pratap ji - aaj nahi meera ko ghar tak chorne aaya tha keh rahi thi imarat ke pass koi mavali use pareshan karta he !
Raaj - shukriya pratap ji me isliye aaj jaldi aa gaya, ab to chai ke liye mana nahi kar sakte ! .......pratap ji maan gaye...... .....meera ki kamar pakad ke raaj makan ki or chalne laga.....
Makan me jate hi raaj bola.
Raaj - baithiye pratap ji muze meera se kuch baat karni he ! ......meera rasoighar me chai bana rahi thi..... .....raaj ne use piche se bahon me bhar ke kaha....
Raaj - kal ki tarah chini jyada mat dalna ! ........itna kehkar raaj ne apne hont gori Hirani jaisi gardan pe rakhe...... .......meera ka jism kaanp utha hato ki dono mutthiyo me usne saree kas li....
Raaj ke hont gardan ko bade pyaar se chum rahe the..... .....meera ne uske baal pakad kar dur hatate hi raaj bahar aa gaya.....
Kuch der baad jab meera aai to vapas raaj ne use pass bithakar aadha pyala use pila diya.
Pratap ji chai pikar chale gaye..... ......meera ke thappad jadate hi raaj ne uska haat pakad ke kaha.
Raaj - us buddhe ko meri aankho me pyaar dikha, tuze kyu nahi dikh raha !
Meera - mera haat chor usne kuch nahi dekha !
Raaj - to kyu aate waqt tuz se duri banake chal raha tha, kyu nahi teri kamar pakad li aaj ! .....meera ki aankhe jam gai.
Meera - jay dekh leta !
Raaj - zhut mat bol jay 11 ke baad aata he !
Meera - ek bar me sunai nahi deta tuze !
Raaj - unhone meri aankho me tere liye pyaar dekha or apni galti ka ehsaas hua yahi he na sach ! .......meera ki aankhe behne lagi.
Meera - nahi !
Raaj - meri aankho me dekh !
Meera - muze nahi dekhna chala ja meri jindagi se dur, kyu muze ghut ghut ke jine ke liye majboor kar raha he, kya bigada he mene tera, ek galti hui muzase tumhe jaal me fasake, itni badi saja mat de, bardash nahi hota muzase ab ! ......meera ki surat rone jaisi ho gai..... ......raaj or bardash nahi kar paya or chala gaya.
Meera 21