- 5,758
- 13,146
- 189
Champ_AK_81 Bhai Story Me Rahul Priya Ko Us Ka Sabak Sikhna Jaruri Hai Rahul Ke Sath Jaada Bura Mat Karna Wase Likhna App Ko HaiUPDATE 20
Rahul Priya se baat karne ke baad sidha apne hostel ke room me aa gaya....Wo apne room me aakar gate lock karta hai aur bed me baith jaata hai....Wo iss vakt bahut hi disturbed tha....Abb kya karna hai wo bhi nahi samajh paa raha hai.....Gussa aur dard dono ka mila jula bhaaw uske chehre pee aa raha tha....
Kuch der aise hi baithne ke baad wo abb faisla kar leta hai ki abb wo aage badhega....Jo raashta usne banaya hai us me chalega....Abb picche dekhne se koi faaidaa nahi....Abb wo apne aap ko mentally itna strong banayega ki har dhokha, chaalbaaazi aur biswashghaat ko seh sakega....
Aise hi din gujarne lagta hai.....Rahul abb apne raashte me chalne lagta hai....Koi kuchh kahe usse koi parwah nahi....Khud ko jo achha lagta hai wahi karta hai....Abb uska 12 ka exam bhi aa jaata hai lekin usne koi taiyaari nahi kiya tha....Exam time me bhi mobile aur internet par busy rehta tha....Bas exam dene jaata tha....Bhale hi 2 mahino se usne kuchh nahi padha tha lekin picchle 8 mahino ke padhaayi ke kaaran uska exam thik thak kat jaata hai.....
Abb kal ka din Ajay aur Rahul dono ko iss hostel chhodna tha...Ajay apne engineering ke entrance ke liye coaching class join karne wala tha aur Rahul medical ka....Jab Ajay aur Rahul apna last exam dekar aate hai tab kuch baatein karte hai....
Rahul:- Ajay....Ye 2 saal bhi kitna jaldi bit gayaa....
Ajay:- Ha yaar.... Jab class 11 me admission liya tha tab to vakt bahut mushkil se kat raha tha....Lekin kuchh samay baad vakt itna jaldi bit gaya ki kya bataau....
Rahul:- Sach kaha....Aur iss badalte vakt hame bahut kuch sikhake chala gaya....Inn 2 saalon me maine bahut kuch sikh liya apne life ke baare me....Pehle jab iss city me aaya tha tab sab kuchh naya aur achha lagta tha....Lekin jab vakt bitta gaya yaha ke logon ka jhuth, dhokha aur khudgarz bhi samajh me aane laga....
Ajay:- Kya yaar....Tu bhi yahi baaton ko lekar baith gaya....Aaj hamara iss hostel me aakhiri din hai....Kuchh enjoy karte hai....
Rahul:- Haa yaar...Aaj hamara last din hai iss hostel me....Aaj ke baad ham dono alag alag jagah chale jaayenge .... Tujhe aur teri iss dosti ko bahut miss karunga yaar.....
Ajay:- Miss to mai bhi tujhe bahut karunga yaar....Lekin kya kare abb to ham dono ko alag alag subject padhna hai....Lekin ham dono hamesha phone aur facebook ke contacts mai rahenge.....
Rahul:- Wo to rahenge hi....Lekin tere jaise dost milna bahut mushkil hai....Bas tu aur Raj bhaiya hi hai jisne mujhe acche se samjha hai....Mujhe hamesha support kiya hai....Bilkul saccha aur niswarth doshti nibhaayi hai....
Ajay:- Are aisa mat keh yaar....Abhi hame apne life me bahut aage tak jaana hai...Nayi jagah, naya mahaul aur naya naya dost milte rahenge.....
Rahul:- Yaar tujhe to bahut saare dost mil jaayenge....Lekin meri baat alaag hai....Bachpan se hi akela raha hu....Uss time koi dost nahi tha....Bas apne life ko kisi tarah se aage badhaya hai....Ye nahi kahunga ki mera koi dost nahi tha....School me kuch dost to the lekin dosti utna gehra nahi tha....Koi best friend nahi tha....School me bhi akela hi rehta tha....Baaki ke dost apna group me baat karte the....Mai unn logon jitna baat nahi kar paata tha isi liye alag hi rehta tha....
Jab Class 5 me tune hamare school me admission liya tab uss time me tu bhi mera close friend nahi tha....Koi bhi insaan mera dost jaldi se nahi ban paaya hai....Pata nahi kyu lekin mujhe naye naye logon ko dost banane ki talent nahi hai....Bas kuch time bitane ke baad hi koi dost banta hai....Agar 11 aur 12 me ham log saath nahi hote to shaayad ham dono bhi itne close friend nahi hote....Mera to apna college me koi close friend bhi nahi hai....
Kehne ke liye bahut saare dost hai....Lekin tujhe chhod ke koi bhi close friends nahi hai.....Unn doston se mai apne dil ki baat bhi share nahi kar sakta.....Bas tujhe hi apna accha dost maana hai....
Tune mujhe bahut support kiya hai....Agar meri jarurat life me pade to jarur yaad karna....Vaada karta hu saath jarur dunga....Agar meri kisi baat ka buraa laga ho to maaf kar dena...
Rahul ne bahut emotional ho kar ye baat kaha tha....Ajay bhi kuch nahi bol paata hai lekin andar se bahut khush tha....Kyunki Rahul usse apna sabse achha dost maanta hai....Kuch der chup rehne ke baad Ajay Rahul se bolta hai....
Ajay:- Nahi yaar....Maine teri kisi bhi baat ka buraa nahi maana hai....Tune aaj tak koi galti nahi ki hai....Aur vishwash bhi hai ki aage bhi jaanbujh kar koi galti nahi karega....
Bas dosti ke naate ek salaah deta hu tune apna jo raashta apnaya hai usme sambhal kar chalna....Kahi aisa naa ho ki baad me pachtaana pade....Soch sambhal kar aage badhna....
Kuch der dono hi dost aise hi baat karte hai.....Fir uske baad enjoy karne ke liye ek hotel me jaate hai....Hotel me apne favourite khaana khaa kar wo dono puri raat films dekh kar bitaa dete hai....
Ajay ne apne liye pehle se hi ek hostel dhundh liya tha....Wo wahi par jaane wala hai aur Rahul Raj ke hostel me....Jaaha se usse medical ke entrance ka taiyaari karna hai....
Jaate vakt dono gale lag jaate hai aur hamesha contacts me rehne ka vaada karte hai....Rahul hostel chhodte vakt Vijay ko dekh leta hai aur kehta hai
Rahul:- Vakt rehte hi sambhal jaa....Apni har buri adaate chhod de....Warna baad me pachtaayega....
Vijay uski baat ka koi jawaab nahi deta hai....aur Rahul bhi hostel chhod kar chala jaata hai apne life ka ek nayaa suruwaat karne....Janha se uske life me bahut kuchh badalne waala hai....
[Doston abb kahani apna main plot me chalega....Aap logon ki support ka bahut jarurat hai....Positive ho ya negative review jarur dijiyega]
Thanks For Giving Such Beautiful UpdatesFriends aaj 3 updates post kiya hai...18, 19 and 20...Padh kar apna feedbacks jarur dijiye.
Thanks Raanjhanaa bhai for your support and review...Keep supporting.Champ_AK_81 Bhai Story Me Rahul Priya Ko Us Ka Sabak Sikhna Jaruri Hai Rahul Ke Sath Jaada Bura Mat Karna Wase Likhna App Ko Hai
Posting.Thanks For Giving Such Beautiful Updates
Intejar Hai App Ke Aane Ka
Ek Naya Update De Jaane Ka......
Thanks Kamdev bhai for your support and review...Ye to mere liye bahut acchi baat hai ki abhi tak ke story mein aapko jyaada kami mehsus nahi huachamp bhai............yahan tak ki kahani me......mein kahin kami mahsoos kar raha hoon.....................
rahul ke sath vijay ne utna galat nahin kiya.....................jitna priya ne kiya
aur priya ko rahul ne kuchh bhi sabak nahin sikhaya ..............kismat ke bharose chhod diya
yani rahul ke man me priya ke liye kahin na kahin ek soft corner jarur hai............ab bhi
dekhte hain nayi mentality..............rahul ko kaun se naye raste par le jati hai
vaise priya bhi shayad medical ke liye hi coaching legi