• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Mentality [Completed]

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,146
189
PROLOGUE

Insaan apne janm ke baad badhte umar ke sath sath bahut kuch sikhta hai...Kisi cheej me achha experience
bhi hota hai...Apne liye kya Sahi hai aur kya Galat iss ka decision bhi time k saath achhe se lena sikh jaata hai...Kuch gyan aur education ke baad uska apna naya
soch ban jaata hai....Kisi bhi cheej me kaise react karna hai ye uske
Me
ntality par depend karta hai...Har insaan ki mentality bhi alag hota hai.

Ye kahani me ek aise insaan ki mentality ko dikhaya gaya hai jo koi bhi kaam me kaise react karega khaas taur par
"pyar" par...Uske mentality pyaar ke baare me kaisa hai aur kaise change hoga ye kahani me likha jaayega. Film,
Stories aur aas paas ke log ko dekh kar iss ne pyaar ko jaise jaana tha kabhi ye pyaar ko positively leta hai to kabhi
negatively...Time ke saath saath iss ka decision pyaar ke liye change hota rehta hai.
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,146
189
UPDATE 1

Ye Kahani hai Rahul ki....Rahul middle class family se belong karta hai...Iss ka
family ek nuclear family hai jiss mein 4 family members rehte hai...Rahul ke family me
uske alawa uska Papa, Mummy aur ek behan hai...Rahul ka age 18 years
hai....Abhi class 12 me just enter kiya hai...Dekhne me thik thak hai...Skin
colour thoda saawla hai...Dekhne me badsurat bilkul bhi nahi hai aur uska body slim hai jyada muscular bhi nahi...Dikhne me bilkul fit hai...Uska face
dekh ke koi bhi keh sakta hai ki bahut hi serious insaan hai...Chehre par muskurahat bas kabhi kabhi aata hai...Jyaadatar akela rehna pasand karta
hai...Kyuki ye kisi se gehri dosti nahi karta hai aur bas ussi se jyada baat karta hai jisse uska gehra relation ho...Apne Mummy, Papa , Raj(Uska Mama ka beta hai aur age me kuch months se bada hai), and Ajay (best
friend) se hi jyada baat karta hai.

Ajay aur Rahul ki pehchaan bachpan se hi hai wo dono Class 5 se hi saath me

padhe the...Suru suru me to ye dono jyada baat cheet nahi karte the par class 10 me jab pahuche to dono ki dosti bahut hi acchi ho gayi...Class 10 tak Ajay class ka topper tha to Rahul 3rd position me tha par 10 th ke baad
Rahul 2nd me pahuch gaya... Dono ne 10th ke baad Science padhne ka decide kiya, Ajay ne Physics group join kiya to Rahul ne Biology...Ajay future me engineer banna chahta hai aur Rahul doctor...Abhi abhi dono ne class 11 ka exam diya tha aur class 12 me enter kiya tha...Jaisa socha tha unn dono ne
exam ke baare me usse bhi bura hua tha aur ab result ka wait kar rahe hai.

Raj Rahul ka bhaiya hai...Wo uska mama ka beta hai...Bas kuch months age
me bada hai...Iss ne bhi class 11 aur 12 Rahul ki tarah biology le kar padha tha...Ye bhi doctor banna chahta hai aur MBBS ka entrance ka preparation
kar raha hai...Iss ka aur Rahul ka rishta bhai aur dost dono ka tha....Inn dono ko ek dusre ke acche se jaante hai... Rahul bachpann me khud ko bahut hi
akela mehsoos karta tha...Tab Raj ne uska bahot hi acche se nibhaya tha...Ye dono alag alag jagah rehte hai aur saal me inki mulakaat bas 2 baar hi hoti hai vacations ke time me... Raj ka ek chhota bhai bhi hai uska naam hai Rohit...Rohit padhne me thik thaak tha... Rahul Rohit se bhi acche se baat karta tha lekin Raj jitna nahi.

Abhi Rahul ko class 12 me enter kiya hua jyaada din nahi hua tha...Bas 1 week pehle hi Ajay aur Rahul class 12 me gaye the...Dono same hostel me rehte hai par unka college different tha...Wo log ek private hostel me rehte
the.

Ye dono class 11 se hi hostel me rehte aaye hai...Rahul aur Ajay saath me Physics, aur Chemistry padhte the...Kyuki ye dono subject common thi dono ke liye.

Aise hi wo dono saath me padhte hue baat karne lagte hai apne life ke experience ke baare mein.
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,146
189
Friends Prologue and 1st update of the stories are posted...Please read and give your valuable feedbacks.
 

Mbindas

Active Member
1,957
4,153
158
:congrats: bhai is story ko yaha fir se start karne ke liye.
 
  • Like
Reactions: Champ_AK_81

kamdev99008

FoX - Federation of Xossipians
9,751
37,503
219
to 4 characters samne aye hain................
rahul..........jisse intro shuru hua............ye hero man liya
rahul ka dost ajay................
rahul ke mama ke bete raj aur rohit

aur apne jo shuru mein bataya........... mentality ke bare mein............mein bhi yahi sochta hu
every mind has own mentality
ek hi ghar, pariwar, padhaiaur mahaul milne par bhi.........
2 logo ke ek hi bat ko sochne, samajhne aur manne ka nazariya alag-alag hota hai.........
kitna bhi ek jaisa socheinge........ lekin fark jarur hoga

so mentality is unique.......... individually
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,146
189
to 4 characters samne aye hain................
rahul..........jisse intro shuru hua............ye hero man liya
rahul ka dost ajay................
rahul ke mama ke bete raj aur rohit

aur apne jo shuru mein bataya........... mentality ke bare mein............mein bhi yahi sochta hu
every mind has own mentality
ek hi ghar, pariwar, padhaiaur mahaul milne par bhi.........
2 logo ke ek hi bat ko sochne, samajhne aur manne ka nazariya alag-alag hota hai.........
kitna bhi ek jaisa socheinge........ lekin fark jarur hoga

so mentality is unique.......... individually
Thanks Kamdev bhai for your support and review...Dhire dhire sab ke role aur soch saamne aayenge...Rohit ka role story mein nahi hai...Pehle socha tha ki uske baare mein bhi kuch likhunga jo story ke saath saath mere dimaag se bhi gaayab ho gaya :D...Baaki ke baare mein jald hi pata chalega...Saath bane rahiye bhai.
 
Top