• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Mentality [Completed]

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,146
189
UPDATE 2


Ajay:- Yaar Rahul ab hum to class 12 me pahunch chuke hai...Bahut hi mushkil se kata class 11...Socha nahi tha ki itna padhna padhega...Jab 10th mai tha to bahut hi easy tha course...Socha tha 11 aur 12 me bhi masti karke padhunga lekin yaha ka condition to bilkul alag hai.

Rahul:- Haan yaar...10th me to koi tension hi nahi tha....Science aur math me kabhi marks 90 se nichhe nahi aaya tha...Lekin jab 11 me pahuchha tha Terminal exams me 2 subjects me just pass...Agar galti se bhi fail ho jaata to college wale parents ko phone kar dete aur ghar se bhi dher saari baat suno.

Ajay:-Tune apne 11 ke final exams ke baare me kya bataya ghar par...Maine to keh diya thik thak hua hai..Lekin jis din result aayega us din kya hoga yahi soch soch kar dar raha hun.

Rahul:- Maine to exam se 1 month pehle hi keh diya tha ki 80% aayega...Lekin exam ke time me achhe se na padhne ke kaaran mera to exam bahut bura ho gaya...Baaki sab subjects me pass ho jaunga lekin physics me doubt ho raha hai.

Ajay:- Chal chhod purani baatein...Ab to hum log class 12 me pahuch gaye hai aur course 11 jitna boring nahi lag raha hai....Mera to main subject physics hai lekin tera to biology hai .... Tujhe 12 ke biology kaisa laga 11 ke comparison me interesting ya boring?

Rahul:- 11 se to interesting hi hai... Biology se yaad aaya tujhe to biology ke exam ke din hua ek funny baat batana hi bhul gaya...

Ajay:- Exam me bhi funny baatein hote hai kya ....Mujhe laga tha ki sabhi students seriously exams dete hai...Acchha bata
tujhe kya funny laga?

Rahul:- Jab main Botany ka answer likh raha tha to ek ladki ne bahut hi simple question ka answers mujhse puccha...What is Cytology and Histology?

Ajay:- Cytology means study of cell aur mujhe histology ke baare me pata nahi hai kyuki class 10 tak ye sab cheez ke baare me padhai nahi hua tha.

Rahul:- Histology means study of tissue.

Ajay:- To iss me kaunsi funny baat ho gayi...Uss ladki ko question ko answer nahi aaya to usne tujhe pucch liya.

Rahul:- Kamine...Ye sab basic knowledge hai biology me...Agar issi ka answer use nahi pata tha to baaki ka questions ka to use kuch bhi maalum nahi hoga...Pata nahi aise students padhte hi kis liye hai.

Ajay:- Tab to wo ladki definitely fail ho jaayegi.

Rahul:- Are nahi yaar...Fail to nahi hogi bahut cheating ki thi usne.

Ajay:- Ye baatein chhod....Ye bataa ki wo ladki sundar thi kya?

Rahul:-Chup kar kamine...Jab dekho ladki ke baare me baat karta rehta hai...Tujhe aur koi kaam nahi hai kya?

Ajay:- Are bhai bhadak kyu raha hai? Main to majak kar raha tha...Waise bhi mere section me bahut kam ladkiya hai.

Rahul:- Bhai ab bahut hua...Chal ab padhte hai warna iss saal bhi 11 ka jaisa hi exam ho jaayega.

Ajay:- Bhai abhi just 12 me aaye hai to kuch din masti karte hain...Agar abhi se seriously padhne lag gaye to baad me acche se nahi padh paayenge....Hume continuously padhna chahiye naa ki kuch din seriously aur baad me books bhi naa chhuye.

Rahul:- To thik hai...Chal movie dekhte hai.

Ajay:- Kis type ki movie Comedy, Romantic ya action...

Rahul:- Mujhe to romantic comedy movie dekhna hai.

Ajay:- Jab main ladki ke baare me baat kar raha tha to bhadak utha tha mujh par.... Jab ladki ke baare me itna nahi sun sakta to romantic movie kyun dekh raha hai?

Rahul:- Maine tujhe iss liye chup hone ko kaha tha kyu ki jab tu ladki ke baare me baat karta hai tab non sense baatein hi karta rehta hai... Tere baat me koi logic hi nahi hota hai.

Ajay:- Kya tu wahi Rahul hai jo kuch saal pehle ladki se nafrat karta tha aur unn se dur rehta tha.

Rahul:- Ha main wahi Rahul hu...Time ke saath saath asdmi ka nature aur "mentality" bhi change ho jaata hai.

Ajay:- Chal acchi baat hai....

Aur fir dono 1 movie dekh kar aur baat karke soo jaate hai....Dono ko neend to itni jaldi nahi aayi kyuki wo dono apne new class ke baare me bahut der tak soch rahe the...Bahut der baad unn dono ko neend aaya...Dono kuch der baad so jaate hain iss baat se anjaan ki kal ka din unn logon ko bahut disturb karne wala hai.
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,146
189

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,146
189
Bhai yeh story aapne xossip pe pehli daali thi ja?
Welcome bhai on the story :hug:...Haan ye story pehle xossip par likha tha...Ye mera 1st story tha :approve:
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,146
189
UPDATE 3


Rahul aur Ajay dono subah ke 6 baje hi utth jaate hai aur hostel ke kitchen me jaate hai aur chaai pee kar apne room me waapas aate hai....Thodi der fresh hone ke baad dono baatein karte hai.

Rahul:-Ajay main to pareshan ho gaya hu subah subah uth ke college jaane se...Tera life hi accha hai tujhe subah utth ke college jaana to nahi padta tera to day shift hai.

Ajay:-To tu bhi day shift join kar leta kya jarurat thi morning shift me padhne ki?

Rahul:-Maine jaan bujh ke thodi na amorning shift join kiya tha...Late admission hone ki wajah se day shift pack tha aur morning shift me admission lena pada.

Ajay:- To fir dusri college me padh leta agar tujhe morning shift pasand nahi hai to.

Rahul:- Bhai iss college me scholarship mila tha nahi to mai itne strict college me bilkul bhi nahi admission leta.

Abb 7 bajne me 15 minutes baaki tha aur Rahul baat karte karte tayar ho chuka tha college ke liye.

Rahul:- Chal bhai ab main college jaata hu...Shaam mein baat karenge.

Ajay:- Tera college to 15 min me start ho jaayega...Itna late kyun jaata hai tu?

Rahul:- College pahuchne me bas 10 min lagta hai aur jaldi jaa ke kya karunga? Chal ab nikalta hun.

Ajay:- Achha thik hai jaldi jaa warna late ho jaayega.

Rahul college chala jaata hai aur apne kuch dosto ke saath baith kar baate karne lagta hai....Aaj 1st lecture use bahut boring lagta hai aur baaki ke lectures bhi waisa hi tha...Uska mood kharab ho gaya...Aur wo college ke baad sidhe apna hostel aa jaata hai...Jab Lunch karke apne kamre me jaa raha tha to stairs me Vijay usse kehta hai.

Vijay:- Kaha se aa raha hai bhai aur tera chehra aise sade huye karela jaise kyun ho gaya hai???

Rahul ko uski baat se bahut hi gussa aa jaata hai...Kyuki Rahul bahut hi short tempered ladka tha use bahut jald gussa aa jaata tha... Aur waise bhi Rahul aur Vijay to suru se hi ek dusre ka dushman thhe...Vijay use chhidata tha aur Rahul bhi chhidh jaata tha... Inki fighting bahut baar ho chuki thi lekin hamesha hi Rahul haar jaata tha...Inki fighting ke baare me Warden ko kabhi bhi pata nahi chala tha...Rahul bhi kaafi din se intejaar kar raha tha aab agar uska ladaayi Vijay se ho gaya to iss baar wo apna pura taakat laga dega.

Rahul:- Chup chaap apne kaam se matlab rakh samjha....Nahi to tera kya haal karunga wo to mujhe bhi nahi pata.

Vijay:- Kyu be aaj tu mujhe dhamki de raha hai....Bahut din se maar khaya nahi hai isliye jyaada bol raha hai.

Rahul:- Abe Chupppppppp

Rahul ne bas itna hi bola tha ki uss ke gaal me ek punch Vijay bahut hi jor se maar deta hai...Rahul ne bhi palatwar karke usske chehre me ek punch maar diya....Gusse se uska chehra bilkul laal ho gaya tha...Aaj pichhle 1 saal ka badla lene ka achha mauka nahi tha...Kuch der dono yunhi lad rahe the...Dono ko kas ke maar padi thi lekin Vijay ko bahut buri tarah se Rahul ne maara tha...Rahul to bachhpan se hi utna strong nahi tha par aaj gusse me usne Vijay ki haalat kharab kar di thi...Aaj uske andar ke dabake rakha hua gussa futt kar baahar aa chuka tha...Aaj usne apne gussa se apni kamjori ko haraa diya tha... Aaj pehli baar usko itna maara tha Rahul ne...Usse bahut hi khusi mili thi... Iss ladaayi ke dauran bahut logon ka bhid jama ho gaya thaa...Kisi ne jaake Warden ko complain kar diya.

Warden:- Rahul aur Vijay Kyu ladd rahe ho tum dono? Ab bass karo...
Abb Rahul bhi Vijay ko maarna band kar chuka thaa.

Rahul:- Sir ye mujhe pichhle 1 saal se pareshaan kar raha tha...Khud ko bahut hi taakatwar samajh kar mujhe pareshaan karta tha ...Jab main kuch bhi bolta to mujhe maarne laagta...Maine aapko iss liye complaint nahi kiya kyu ki main ye baat gharwaalo ko baatana nahi chahta tha....Par sahne ki bhi ek hadd hoti hai....Aaj issne mujhe bahut gussa dilaya aur maine bhi acchi se pit diya isse...Ab ye mujhe kamjor samajh kar mujhe paresaan nahi karega.

Vijay:- Nahi Sir ye jhuth bol raha hai.

Warden:- Chup karo tum dono...Matter ye nahi hai ki kaun taakatwar hai ya kamjor hai aur naa hi kaun sachha hai aur kaun jhuttha....Baat ye hai ki tum dono hostel me reh rahe ho...Aur mere hostel me mujhe shaanti chahiye...Agar tum dono ko koi problem hai to mujhse baat karo aise ladaayi karke dusro ko disturb mat karo....Main abhi tum dono ka parents se baat karta hu...Tum dono bhi apne parents ko jawaab dena.

Aur uske baad Warden unn dono ki parents se baat karte hai aur unn dono ko bhi apne hi saamne apne apne parents se baat karne ko kehte hai....Vijay ko to uska parents ne bahut baat sunaaya tha aur Rahul bhi apne Papa se baat karta hai.

Papa:- Ye main kya sun raha hu Rahul? Tumhara complaint aaya hai wo bhi fighting me...Tu waha fight karne gaya hai ya fir padhaayi karne?

Rahul:- Papa mera koi galti nahi hai...Fighting iske kaaran hi start hui thi....

Papa:- Tujhe usse ladne ki jarurat kya tha...Agar koi problem thi to Warden Sir se ya fir mujh se baat kar leta.

Rahul apne Papa ko bahut samjhaane ki koshish kar raha tha...Lekin uske Papa usse aur bhi jyaada baatein suna dete hai aur gusse me phone kaat dete hai.

Tabhi Ajay ka college bhi khatm ho chuka tha aur mahaul ko dekh kar samajhne ki koshish kar leta hai tabhi Rahul use saari baatein bata deta hai.

Ajay:- Warden Sir, Rahul bilkul sahi keh raha hai...Ye Vijay ne Rahul ko bahut time isko pareshaan kiya tha....Isse apne Baap ke paisa pe bahut ghamand hai aur baahut sare students iss hostel me iski chamchagiri karte hai...Rahul se iska bonding kabhi bhi achha nahi hai...Rahul dikhne me thoda kamjor hai iss liye hamesha ye Rahul ko pareshaan karta rehta hai.

Aur Rahul aur Ajay ne Vijay ke baare me bahut kuch Warden ko bata diya jaise wo bahut se students ko pareshaan karta hai aur bedsheet ke nichhe cigarettes aur gutkha rakhta hai...Kuch aur students ne bhi inn dono ko support kiya.

Warden:- Vijay kal tum apne parents ko yaha par bulaana...Unse baat karna hai tumhare baare mein.

Uske baad Warden Rahul ke Papa ko phone me sab baat samjhaa dete hai ki Rahul ki koi galti nahi thii.

Thodi der me mahaul shaant ho jaata hai....Aur sab log apne kamre me jaa chuke the Rahul, Ajay aur Vijay ko chhod kar....Vijay gusse me aur beizzat hone ke kaaran apna sar jhukake baitha tha.

Jab sab log jaa chuke the...tab...

Vijay:- Dekh Rahul...Tune accha nahi kiya iska anjaam tujhe bahut bhaari parhne wala hai.

Rahul:- Abe jaa yaha se...Jo kar sakta hai kar.

Vijay:- Tujhe khoon ka aansu nahi rulaya to mera naam bhi Vijay nahi...

Rahul:- Wo to baad me dekhenge....

Ab Rahul aur Ajay bhi apne kamre me aa jaate hai...Kamre me aakar thodi der dono hi chup the uske baad...

Ajay:- Ek baat bata yaar....Tune usko kaise dho dala???

Rahul:- Sab mera gussa ka kamaal hai....Gussa mujhe bilkul paagal kar deta hai....Mujhe itna gussa aata hai ki kya karu...Mujhe bhi nahi pata mera ye gussa baad me mujhe kaisa bana dega...Kabhi kabhi to khud se hi dar lagne lagta hai...

Ajay:- Bhai control karna sikh apne gussa par.

Rahul:- Wahi to nahi kar paata hu...Bahut baar try kiya hai...
Kuch der baat karne ke baad dono hi padhne baith jaate hai lekin padh nahi paate.... Aaj ka incident ne inn dono ko puri tarah se disturbed kar diya tha...

Rahul apna book wapas bag me rakh deta hai aur aaram karne laagta hai tabhi uske mobile me phone aata hai...

Phone uska bhai Raj ka tha aur wo phone pick kar leta hai.
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,146
189
UPDATE 4

(Raj ek gaanw me rehne wala ladka hai....Padhne likhne me bahut hi achha hai...Ye bahut hi friendly nature ka hai aur sabhi se achhe se baat karta hai...Rahul bhi iska bahut izzat karta hai...Same age hone ke kaaran kabhi kabhi mazaak aur ladaayi bhi ho jaati hai...Lekin jald hi ye dono uss baat ko bhul kar achhe se baat karte hai.... Raj apna medical exam ke entrance ke preparation ke liye coaching karne uss town me aaya tha jaha par abhi Rahul padh raha hai...)

Raj:- Hello Rahul...Kaise ho?

Rahul:- Thik hu bhai...Aap kaise ho?

Raj:- Kya hua bhai???Tum to bahut gusse aur pareshaan lag rahe ho...Koi problem hai kya?

Rahul:- Ha bhai...Aaj ek ladke ne puri tarah se mood off kar diya.....( Aur fir Rahul Raj ko aaj hui saari ghatna ko bistaar purbak bata deta hai.) Agar aaj Warden nahi aata bich me to aaj usko itna maarta ki dusri baar se mujhse ladaayi karne se pehle 10 baar jarur sochta.

Raj:- Achaa kiya jo usko maara....Wo tujhe itne lambe time se pareshaan kar raha tha aur tu wo sab kaise chup chap sehta chala gaya? Ye to teri nature ka bilkul hi ulta ho gaya...Tujhe to bahut chhoti chhoti baato me gussa aata hai....Ab uss baat ko bhul jaa...Ab jo hua wo to ho gaya....Uss baat ko yaad karke kyu khud hi pareshaan ho raha hai..

Rahul:- Chup isliye tha kyuki ghar me kisi ko pareshaani na ho....Ghar me bhi tension ho jaati....Par aaj uss ladaayi ke baad Warden ne Papa se baat karwaya...Aur main pareshaan isliye hu kyuki Papa ne bhi mujhe nahi samjhaa...Baat ko achhi tarah se sunaa bhi nahi aur mera hi galti hai keh diya.

Raj:- Chal chhod ye baatein.....Tujhe ek baat bataani thi...Mera to iss town me aaya hua 10 days ho chuka hai...Abhi tak hum dono mile nahi hai...Bas phone me baatein hoti rehti hai....Chal kal milte hai...Ussi time achhe se baat karte hai.

Rahul:- Achha bhai...Ab aapko bhi time mil gaya mere liye nahi to all time bhabhi ke pichhe lage rehte ho?

Raj:- Bhabhi? Kya matlab hai tera?

Rahul:- Are bhai...Ab mujhse bhi chhupaoge kya? Bataao na apni gf ke baare me?

Raj:- Abe tu paagal ho gaya hai...Kisne keh diya tujhe ki mera gf hai.

Rahul:- Are iss me kisi se jaane ki kya jarurat hai...Ye to aapki behavior se hi pata chal jaata hai...Mujhse aab phone me bhi kam baate karte ho...Facebook me online rehte ho lekin messages ka reply nahi karte ho...Iska matlab to yahi hua na ki aap apni gf se chatting kar ke time pass karte hai....

Raj:- Tu bhi apna non sense logic dena sikh gaya...Are yaar main bhi hostel me rehta h....Internet chalane me hi time nikal jaata hai...To fir tujhe phone kaise karu aur jab facebook chalata hu to chat nahi karta jyaadatar.

Rahul:- Iska matlab aapka koi gf nahi hai.

Raj:- Nahi hai....Abhi padhne ka time hai....Ye gf banane ka aur pyar karne ka time bilkul bhi nahi hai.

Rahul:- Love karne ka time nahi hai...Iss ka kya matlab...Pyar karne ke liye bhi time nikalna padta hai kya....Ye to kisi bhi time kisi bhi insaan ko ho jaata hai....

Raj:- Tujhe to bahut kuch pata chal gaya hai pyaar ke baare mein...Kaha se aata hai tere dimaag me aisi ghatiya idea.

Rahul:- Are bhai....Films, Story books aur Friends kis din kaam aayenge....Aur aapko to pata hi hai..."Where there is will, there is a way"...To bas pyaar ke baare me jaane me mushkil to bilkul bhi nahi hai.

Raj:- Achha to ye teri dialogue "Where there is will, there is a way" ka use apne padhaayi me use kar aur medical entrance me achhe marks laana...Aur jo tune film ki baat kahi to filmy idea ka use karke tu hi apni gf bana le.

Rahul:- Are bhai filmy life aur real life me bahut difference hai....Aur ladkiyan to mujhe bilkul bhi bhaaw nahi deti upar se mujhe bhi unse baat karne me dar sa lagta hai.

Raj:- Ab bas kar bhai....Maine tujhe kal milne ke liye phone kiya tha....Lekin tune to ye pyar ki baat karke pura dimaag chaat liya...Chal ab rakhta hun phone...Kal milte hai.

Rahul:- Achha thik hai...Bye.

Raj:- Bye.

Ab Rahul ka mood Raj se baat karke thik ho chuka hai...Tabhi Ajay usse kehta hai.

Ajay:- Bhai main ye baat pichhle 1 saal se notice kar raha hu ki jab bhi tera mood off hota hai aur tu apne Raj bhaiya se baat karta hai to tera mood thik ho jaata hai.

Rahul:- Ha bhai....Ye baat to hai...Bachpann se hi Raj bhaiya mere bahut karib hai....Same age hone ke kaaran bahut baat hota hai....Class 10 tak bas wahi the jinse main baate karta tha...Nahi to bas akela rehta tha....Ab kal mujhe milne bulaya hai...1 saal se unse mulakaat hui nahi hai.

Ajay:- Achha thik hai ab kya karega bhai...Padhega ya fir mobile?

Rahul:- Aaj padhne ka mood nahi hai...Aaj to fir se ek new movie dekhni hai.

Ajay:- Achha thik hai...Padhne ka mood to mera bhi nahi hai....Main bhi movie dekhta hu.

Rahul:- Achaa thik hai....Chal saath me dekhte hai.

Fir dono movie dekhte hai aur dono so jaate hai....Kal inn dono ka college nahi tha aur Rahul ko Raj se milne bhi jaana tha.
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,146
189
Friends Update 4 post kar diya hai...Padh kar apna feedbacks jarur dijiye...Aur deri ke liye maafi chaahta hun...Ye baat dimaag se nikal gaya tha ki ye story restart bhi kiya hai :D...Abb dhire dhire update ki frequency bhi badhaaunga. :thumbup:
 
Last edited:

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,146
189

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,311
304
Wow champ ji ye great story idhar bhi..... Ek innocent wid angry young boy ki story................. :applause::applause::applause::applause:
Great going dear
 
Top