- 5,758
- 13,139
- 189
Posting.Thanks Kamdev bhai for your support and review...Keep supporting.
Posting.Thanks Kamdev bhai for your support and review...Keep supporting.
ShaandaarPROLOGUE
Insaan apne janm ke baad badhte umar ke sath sath bahut kuch sikhta hai...Kisi cheej me achha experience
bhi hota hai...Apne liye kya Sahi hai aur kya Galat iss ka decision bhi time k saath achhe se lena sikh jaata hai...Kuch gyan aur education ke baad uska apna naya
soch ban jaata hai....Kisi bhi cheej me kaise react karna hai ye uske Mentality par depend karta hai...Har insaan ki mentality bhi alag hota hai.
Ye kahani me ek aise insaan ki mentality ko dikhaya gaya hai jo koi bhi kaam me kaise react karega khaas taur par
"pyar" par...Uske mentality pyaar ke baare me kaisa hai aur kaise change hoga ye kahani me likha jaayega. Film,
Stories aur aas paas ke log ko dekh kar iss ne pyaar ko jaise jaana tha kabhi ye pyaar ko positively leta hai to kabhi
negatively...Time ke saath saath iss ka decision pyaar ke liye change hota rehta hai.
Jordaar shuruwat ke sath behtreen update hai mitr.UPDATE 1
Ye Kahani hai Rahul ki....Rahul middle class family se belong karta hai...Iss ka
family ek nuclear family hai jiss mein 4 family members rehte hai...Rahul ke family me
uske alawa uska Papa, Mummy aur ek behan hai...Rahul ka age 18 years hai....Abhi class 12 me just enter kiya hai...Dekhne me thik thak hai...Skin
colour thoda saawla hai...Dekhne me badsurat bilkul bhi nahi hai aur uska body slim hai jyada muscular bhi nahi...Dikhne me bilkul fit hai...Uska face
dekh ke koi bhi keh sakta hai ki bahut hi serious insaan hai...Chehre par muskurahat bas kabhi kabhi aata hai...Jyaadatar akela rehna pasand karta
hai...Kyuki ye kisi se gehri dosti nahi karta hai aur bas ussi se jyada baat karta hai jisse uska gehra relation ho...Apne Mummy, Papa , Raj(Uska Mama ka beta hai aur age me kuch months se bada hai), and Ajay (best friend) se hi jyada baat karta hai.
Ajay aur Rahul ki pehchaan bachpan se hi hai wo dono Class 5 se hi saath me
padhe the...Suru suru me to ye dono jyada baat cheet nahi karte the par class 10 me jab pahuche to dono ki dosti bahut hi acchi ho gayi...Class 10 tak Ajay class ka topper tha to Rahul 3rd position me tha par 10 th ke baad
Rahul 2nd me pahuch gaya... Dono ne 10th ke baad Science padhne ka decide kiya, Ajay ne Physics group join kiya to Rahul ne Biology...Ajay future me engineer banna chahta hai aur Rahul doctor...Abhi abhi dono ne class 11 ka exam diya tha aur class 12 me enter kiya tha...Jaisa socha tha unn dono ne
exam ke baare me usse bhi bura hua tha aur ab result ka wait kar rahe hai.
Raj Rahul ka bhaiya hai...Wo uska mama ka beta hai...Bas kuch months age
me bada hai...Iss ne bhi class 11 aur 12 Rahul ki tarah biology le kar padha tha...Ye bhi doctor banna chahta hai aur MBBS ka entrance ka preparation
kar raha hai...Iss ka aur Rahul ka rishta bhai aur dost dono ka tha....Inn dono ko ek dusre ke acche se jaante hai... Rahul bachpann me khud ko bahut hi
akela mehsoos karta tha...Tab Raj ne uska bahot hi acche se nibhaya tha...Ye dono alag alag jagah rehte hai aur saal me inki mulakaat bas 2 baar hi hoti hai vacations ke time me... Raj ka ek chhota bhai bhi hai uska naam hai Rohit...Rohit padhne me thik thaak tha... Rahul Rohit se bhi acche se baat karta tha lekin Raj jitna nahi.
Abhi Rahul ko class 12 me enter kiya hua jyaada din nahi hua tha...Bas 1 week pehle hi Ajay aur Rahul class 12 me gaye the...Dono same hostel me rehte hai par unka college different tha...Wo log ek private hostel me rehte
the.
Ye dono class 11 se hi hostel me rehte aaye hai...Rahul aur Ajay saath me Physics, aur Chemistry padhte the...Kyuki ye dono subject common thi dono ke liye.
Aise hi wo dono saath me padhte hue baat karne lagte hai apne life ke experience ke baare mein.