• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Mentality [Completed]

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,000
173
UPDATE 2


Ajay:- Yaar Rahul ab hum to class 12 me pahunch chuke hai...Bahut hi mushkil se kata class 11...Socha nahi tha ki itna padhna padhega...Jab 10th mai tha to bahut hi easy tha course...Socha tha 11 aur 12 me bhi masti karke padhunga lekin yaha ka condition to bilkul alag hai.

Rahul:- Haan yaar...10th me to koi tension hi nahi tha....Science aur math me kabhi marks 90 se nichhe nahi aaya tha...Lekin jab 11 me pahuchha tha Terminal exams me 2 subjects me just pass...Agar galti se bhi fail ho jaata to college wale parents ko phone kar dete aur ghar se bhi dher saari baat suno.

Ajay:-Tune apne 11 ke final exams ke baare me kya bataya ghar par...Maine to keh diya thik thak hua hai..Lekin jis din result aayega us din kya hoga yahi soch soch kar dar raha hun.

Rahul:- Maine to exam se 1 month pehle hi keh diya tha ki 80% aayega...Lekin exam ke time me achhe se na padhne ke kaaran mera to exam bahut bura ho gaya...Baaki sab subjects me pass ho jaunga lekin physics me doubt ho raha hai.

Ajay:- Chal chhod purani baatein...Ab to hum log class 12 me pahuch gaye hai aur course 11 jitna boring nahi lag raha hai....Mera to main subject physics hai lekin tera to biology hai .... Tujhe 12 ke biology kaisa laga 11 ke comparison me interesting ya boring?

Rahul:- 11 se to interesting hi hai... Biology se yaad aaya tujhe to biology ke exam ke din hua ek funny baat batana hi bhul gaya...

Ajay:- Exam me bhi funny baatein hote hai kya ....Mujhe laga tha ki sabhi students seriously exams dete hai...Acchha bata
tujhe kya funny laga?

Rahul:- Jab main Botany ka answer likh raha tha to ek ladki ne bahut hi simple question ka answers mujhse puccha...What is Cytology and Histology?

Ajay:- Cytology means study of cell aur mujhe histology ke baare me pata nahi hai kyuki class 10 tak ye sab cheez ke baare me padhai nahi hua tha.

Rahul:- Histology means study of tissue.

Ajay:- To iss me kaunsi funny baat ho gayi...Uss ladki ko question ko answer nahi aaya to usne tujhe pucch liya.

Rahul:- Kamine...Ye sab basic knowledge hai biology me...Agar issi ka answer use nahi pata tha to baaki ka questions ka to use kuch bhi maalum nahi hoga...Pata nahi aise students padhte hi kis liye hai.

Ajay:- Tab to wo ladki definitely fail ho jaayegi.

Rahul:- Are nahi yaar...Fail to nahi hogi bahut cheating ki thi usne.

Ajay:- Ye baatein chhod....Ye bataa ki wo ladki sundar thi kya?

Rahul:-Chup kar kamine...Jab dekho ladki ke baare me baat karta rehta hai...Tujhe aur koi kaam nahi hai kya?

Ajay:- Are bhai bhadak kyu raha hai? Main to majak kar raha tha...Waise bhi mere section me bahut kam ladkiya hai.

Rahul:- Bhai ab bahut hua...Chal ab padhte hai warna iss saal bhi 11 ka jaisa hi exam ho jaayega.

Ajay:- Bhai abhi just 12 me aaye hai to kuch din masti karte hain...Agar abhi se seriously padhne lag gaye to baad me acche se nahi padh paayenge....Hume continuously padhna chahiye naa ki kuch din seriously aur baad me books bhi naa chhuye.

Rahul:- To thik hai...Chal movie dekhte hai.

Ajay:- Kis type ki movie Comedy, Romantic ya action...

Rahul:- Mujhe to romantic comedy movie dekhna hai.

Ajay:- Jab main ladki ke baare me baat kar raha tha to bhadak utha tha mujh par.... Jab ladki ke baare me itna nahi sun sakta to romantic movie kyun dekh raha hai?

Rahul:- Maine tujhe iss liye chup hone ko kaha tha kyu ki jab tu ladki ke baare me baat karta hai tab non sense baatein hi karta rehta hai... Tere baat me koi logic hi nahi hota hai.

Ajay:- Kya tu wahi Rahul hai jo kuch saal pehle ladki se nafrat karta tha aur unn se dur rehta tha.

Rahul:- Ha main wahi Rahul hu...Time ke saath saath asdmi ka nature aur "mentality" bhi change ho jaata hai.

Ajay:- Chal acchi baat hai....

Aur fir dono 1 movie dekh kar aur baat karke soo jaate hai....Dono ko neend to itni jaldi nahi aayi kyuki wo dono apne new class ke baare me bahut der tak soch rahe the...Bahut der baad unn dono ko neend aaya...Dono kuch der baad so jaate hain iss baat se anjaan ki kal ka din unn logon ko bahut disturb karne wala hai.
Parsanshniye update hai dost.
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,000
173
UPDATE 3


Rahul aur Ajay dono subah ke 6 baje hi utth jaate hai aur hostel ke kitchen me jaate hai aur chaai pee kar apne room me waapas aate hai....Thodi der fresh hone ke baad dono baatein karte hai.

Rahul:-Ajay main to pareshan ho gaya hu subah subah uth ke college jaane se...Tera life hi accha hai tujhe subah utth ke college jaana to nahi padta tera to day shift hai.

Ajay:-To tu bhi day shift join kar leta kya jarurat thi morning shift me padhne ki?

Rahul:-Maine jaan bujh ke thodi na amorning shift join kiya tha...Late admission hone ki wajah se day shift pack tha aur morning shift me admission lena pada.

Ajay:- To fir dusri college me padh leta agar tujhe morning shift pasand nahi hai to.

Rahul:- Bhai iss college me scholarship mila tha nahi to mai itne strict college me bilkul bhi nahi admission leta.

Abb 7 bajne me 15 minutes baaki tha aur Rahul baat karte karte tayar ho chuka tha college ke liye.

Rahul:- Chal bhai ab main college jaata hu...Shaam mein baat karenge.

Ajay:- Tera college to 15 min me start ho jaayega...Itna late kyun jaata hai tu?

Rahul:- College pahuchne me bas 10 min lagta hai aur jaldi jaa ke kya karunga? Chal ab nikalta hun.

Ajay:- Achha thik hai jaldi jaa warna late ho jaayega.

Rahul college chala jaata hai aur apne kuch dosto ke saath baith kar baate karne lagta hai....Aaj 1st lecture use bahut boring lagta hai aur baaki ke lectures bhi waisa hi tha...Uska mood kharab ho gaya...Aur wo college ke baad sidhe apna hostel aa jaata hai...Jab Lunch karke apne kamre me jaa raha tha to stairs me Vijay usse kehta hai.

Vijay:- Kaha se aa raha hai bhai aur tera chehra aise sade huye karela jaise kyun ho gaya hai???

Rahul ko uski baat se bahut hi gussa aa jaata hai...Kyuki Rahul bahut hi short tempered ladka tha use bahut jald gussa aa jaata tha... Aur waise bhi Rahul aur Vijay to suru se hi ek dusre ka dushman thhe...Vijay use chhidata tha aur Rahul bhi chhidh jaata tha... Inki fighting bahut baar ho chuki thi lekin hamesha hi Rahul haar jaata tha...Inki fighting ke baare me Warden ko kabhi bhi pata nahi chala tha...Rahul bhi kaafi din se intejaar kar raha tha aab agar uska ladaayi Vijay se ho gaya to iss baar wo apna pura taakat laga dega.

Rahul:- Chup chaap apne kaam se matlab rakh samjha....Nahi to tera kya haal karunga wo to mujhe bhi nahi pata.

Vijay:- Kyu be aaj tu mujhe dhamki de raha hai....Bahut din se maar khaya nahi hai isliye jyaada bol raha hai.

Rahul:- Abe Chupppppppp

Rahul ne bas itna hi bola tha ki uss ke gaal me ek punch Vijay bahut hi jor se maar deta hai...Rahul ne bhi palatwar karke usske chehre me ek punch maar diya....Gusse se uska chehra bilkul laal ho gaya tha...Aaj pichhle 1 saal ka badla lene ka achha mauka nahi tha...Kuch der dono yunhi lad rahe the...Dono ko kas ke maar padi thi lekin Vijay ko bahut buri tarah se Rahul ne maara tha...Rahul to bachhpan se hi utna strong nahi tha par aaj gusse me usne Vijay ki haalat kharab kar di thi...Aaj uske andar ke dabake rakha hua gussa futt kar baahar aa chuka tha...Aaj usne apne gussa se apni kamjori ko haraa diya tha... Aaj pehli baar usko itna maara tha Rahul ne...Usse bahut hi khusi mili thi... Iss ladaayi ke dauran bahut logon ka bhid jama ho gaya thaa...Kisi ne jaake Warden ko complain kar diya.

Warden:- Rahul aur Vijay Kyu ladd rahe ho tum dono? Ab bass karo...
Abb Rahul bhi Vijay ko maarna band kar chuka thaa.

Rahul:- Sir ye mujhe pichhle 1 saal se pareshaan kar raha tha...Khud ko bahut hi taakatwar samajh kar mujhe pareshaan karta tha ...Jab main kuch bhi bolta to mujhe maarne laagta...Maine aapko iss liye complaint nahi kiya kyu ki main ye baat gharwaalo ko baatana nahi chahta tha....Par sahne ki bhi ek hadd hoti hai....Aaj issne mujhe bahut gussa dilaya aur maine bhi acchi se pit diya isse...Ab ye mujhe kamjor samajh kar mujhe paresaan nahi karega.

Vijay:- Nahi Sir ye jhuth bol raha hai.

Warden:- Chup karo tum dono...Matter ye nahi hai ki kaun taakatwar hai ya kamjor hai aur naa hi kaun sachha hai aur kaun jhuttha....Baat ye hai ki tum dono hostel me reh rahe ho...Aur mere hostel me mujhe shaanti chahiye...Agar tum dono ko koi problem hai to mujhse baat karo aise ladaayi karke dusro ko disturb mat karo....Main abhi tum dono ka parents se baat karta hu...Tum dono bhi apne parents ko jawaab dena.

Aur uske baad Warden unn dono ki parents se baat karte hai aur unn dono ko bhi apne hi saamne apne apne parents se baat karne ko kehte hai....Vijay ko to uska parents ne bahut baat sunaaya tha aur Rahul bhi apne Papa se baat karta hai.

Papa:- Ye main kya sun raha hu Rahul? Tumhara complaint aaya hai wo bhi fighting me...Tu waha fight karne gaya hai ya fir padhaayi karne?

Rahul:- Papa mera koi galti nahi hai...Fighting iske kaaran hi start hui thi....

Papa:- Tujhe usse ladne ki jarurat kya tha...Agar koi problem thi to Warden Sir se ya fir mujh se baat kar leta.

Rahul apne Papa ko bahut samjhaane ki koshish kar raha tha...Lekin uske Papa usse aur bhi jyaada baatein suna dete hai aur gusse me phone kaat dete hai.

Tabhi Ajay ka college bhi khatm ho chuka tha aur mahaul ko dekh kar samajhne ki koshish kar leta hai tabhi Rahul use saari baatein bata deta hai.

Ajay:- Warden Sir, Rahul bilkul sahi keh raha hai...Ye Vijay ne Rahul ko bahut time isko pareshaan kiya tha....Isse apne Baap ke paisa pe bahut ghamand hai aur baahut sare students iss hostel me iski chamchagiri karte hai...Rahul se iska bonding kabhi bhi achha nahi hai...Rahul dikhne me thoda kamjor hai iss liye hamesha ye Rahul ko pareshaan karta rehta hai.

Aur Rahul aur Ajay ne Vijay ke baare me bahut kuch Warden ko bata diya jaise wo bahut se students ko pareshaan karta hai aur bedsheet ke nichhe cigarettes aur gutkha rakhta hai...Kuch aur students ne bhi inn dono ko support kiya.

Warden:- Vijay kal tum apne parents ko yaha par bulaana...Unse baat karna hai tumhare baare mein.

Uske baad Warden Rahul ke Papa ko phone me sab baat samjhaa dete hai ki Rahul ki koi galti nahi thii.

Thodi der me mahaul shaant ho jaata hai....Aur sab log apne kamre me jaa chuke the Rahul, Ajay aur Vijay ko chhod kar....Vijay gusse me aur beizzat hone ke kaaran apna sar jhukake baitha tha.

Jab sab log jaa chuke the...tab...

Vijay:- Dekh Rahul...Tune accha nahi kiya iska anjaam tujhe bahut bhaari parhne wala hai.

Rahul:- Abe jaa yaha se...Jo kar sakta hai kar.

Vijay:- Tujhe khoon ka aansu nahi rulaya to mera naam bhi Vijay nahi...

Rahul:- Wo to baad me dekhenge....

Ab Rahul aur Ajay bhi apne kamre me aa jaate hai...Kamre me aakar thodi der dono hi chup the uske baad...

Ajay:- Ek baat bata yaar....Tune usko kaise dho dala???

Rahul:- Sab mera gussa ka kamaal hai....Gussa mujhe bilkul paagal kar deta hai....Mujhe itna gussa aata hai ki kya karu...Mujhe bhi nahi pata mera ye gussa baad me mujhe kaisa bana dega...Kabhi kabhi to khud se hi dar lagne lagta hai...

Ajay:- Bhai control karna sikh apne gussa par.

Rahul:- Wahi to nahi kar paata hu...Bahut baar try kiya hai...
Kuch der baat karne ke baad dono hi padhne baith jaate hai lekin padh nahi paate.... Aaj ka incident ne inn dono ko puri tarah se disturbed kar diya tha...

Rahul apna book wapas bag me rakh deta hai aur aaram karne laagta hai tabhi uske mobile me phone aata hai...

Phone uska bhai Raj ka tha aur wo phone pick kar leta hai.
Khubsurat update hai dost.
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,000
173
UPDATE 4

(Raj ek gaanw me rehne wala ladka hai....Padhne likhne me bahut hi achha hai...Ye bahut hi friendly nature ka hai aur sabhi se achhe se baat karta hai...Rahul bhi iska bahut izzat karta hai...Same age hone ke kaaran kabhi kabhi mazaak aur ladaayi bhi ho jaati hai...Lekin jald hi ye dono uss baat ko bhul kar achhe se baat karte hai.... Raj apna medical exam ke entrance ke preparation ke liye coaching karne uss town me aaya tha jaha par abhi Rahul padh raha hai...)

Raj:- Hello Rahul...Kaise ho?

Rahul:- Thik hu bhai...Aap kaise ho?

Raj:- Kya hua bhai???Tum to bahut gusse aur pareshaan lag rahe ho...Koi problem hai kya?

Rahul:- Ha bhai...Aaj ek ladke ne puri tarah se mood off kar diya.....( Aur fir Rahul Raj ko aaj hui saari ghatna ko bistaar purbak bata deta hai.) Agar aaj Warden nahi aata bich me to aaj usko itna maarta ki dusri baar se mujhse ladaayi karne se pehle 10 baar jarur sochta.

Raj:- Achaa kiya jo usko maara....Wo tujhe itne lambe time se pareshaan kar raha tha aur tu wo sab kaise chup chap sehta chala gaya? Ye to teri nature ka bilkul hi ulta ho gaya...Tujhe to bahut chhoti chhoti baato me gussa aata hai....Ab uss baat ko bhul jaa...Ab jo hua wo to ho gaya....Uss baat ko yaad karke kyu khud hi pareshaan ho raha hai..

Rahul:- Chup isliye tha kyuki ghar me kisi ko pareshaani na ho....Ghar me bhi tension ho jaati....Par aaj uss ladaayi ke baad Warden ne Papa se baat karwaya...Aur main pareshaan isliye hu kyuki Papa ne bhi mujhe nahi samjhaa...Baat ko achhi tarah se sunaa bhi nahi aur mera hi galti hai keh diya.

Raj:- Chal chhod ye baatein.....Tujhe ek baat bataani thi...Mera to iss town me aaya hua 10 days ho chuka hai...Abhi tak hum dono mile nahi hai...Bas phone me baatein hoti rehti hai....Chal kal milte hai...Ussi time achhe se baat karte hai.

Rahul:- Achha bhai...Ab aapko bhi time mil gaya mere liye nahi to all time bhabhi ke pichhe lage rehte ho?

Raj:- Bhabhi? Kya matlab hai tera?

Rahul:- Are bhai...Ab mujhse bhi chhupaoge kya? Bataao na apni gf ke baare me?

Raj:- Abe tu paagal ho gaya hai...Kisne keh diya tujhe ki mera gf hai.

Rahul:- Are iss me kisi se jaane ki kya jarurat hai...Ye to aapki behavior se hi pata chal jaata hai...Mujhse aab phone me bhi kam baate karte ho...Facebook me online rehte ho lekin messages ka reply nahi karte ho...Iska matlab to yahi hua na ki aap apni gf se chatting kar ke time pass karte hai....

Raj:- Tu bhi apna non sense logic dena sikh gaya...Are yaar main bhi hostel me rehta h....Internet chalane me hi time nikal jaata hai...To fir tujhe phone kaise karu aur jab facebook chalata hu to chat nahi karta jyaadatar.

Rahul:- Iska matlab aapka koi gf nahi hai.

Raj:- Nahi hai....Abhi padhne ka time hai....Ye gf banane ka aur pyar karne ka time bilkul bhi nahi hai.

Rahul:- Love karne ka time nahi hai...Iss ka kya matlab...Pyar karne ke liye bhi time nikalna padta hai kya....Ye to kisi bhi time kisi bhi insaan ko ho jaata hai....

Raj:- Tujhe to bahut kuch pata chal gaya hai pyaar ke baare mein...Kaha se aata hai tere dimaag me aisi ghatiya idea.

Rahul:- Are bhai....Films, Story books aur Friends kis din kaam aayenge....Aur aapko to pata hi hai..."Where there is will, there is a way"...To bas pyaar ke baare me jaane me mushkil to bilkul bhi nahi hai.

Raj:- Achha to ye teri dialogue "Where there is will, there is a way" ka use apne padhaayi me use kar aur medical entrance me achhe marks laana...Aur jo tune film ki baat kahi to filmy idea ka use karke tu hi apni gf bana le.

Rahul:- Are bhai filmy life aur real life me bahut difference hai....Aur ladkiyan to mujhe bilkul bhi bhaaw nahi deti upar se mujhe bhi unse baat karne me dar sa lagta hai.

Raj:- Ab bas kar bhai....Maine tujhe kal milne ke liye phone kiya tha....Lekin tune to ye pyar ki baat karke pura dimaag chaat liya...Chal ab rakhta hun phone...Kal milte hai.

Rahul:- Achha thik hai...Bye.

Raj:- Bye.

Ab Rahul ka mood Raj se baat karke thik ho chuka hai...Tabhi Ajay usse kehta hai.

Ajay:- Bhai main ye baat pichhle 1 saal se notice kar raha hu ki jab bhi tera mood off hota hai aur tu apne Raj bhaiya se baat karta hai to tera mood thik ho jaata hai.

Rahul:- Ha bhai....Ye baat to hai...Bachpann se hi Raj bhaiya mere bahut karib hai....Same age hone ke kaaran bahut baat hota hai....Class 10 tak bas wahi the jinse main baate karta tha...Nahi to bas akela rehta tha....Ab kal mujhe milne bulaya hai...1 saal se unse mulakaat hui nahi hai.

Ajay:- Achha thik hai ab kya karega bhai...Padhega ya fir mobile?

Rahul:- Aaj padhne ka mood nahi hai...Aaj to fir se ek new movie dekhni hai.

Ajay:- Achha thik hai...Padhne ka mood to mera bhi nahi hai....Main bhi movie dekhta hu.

Rahul:- Achaa thik hai....Chal saath me dekhte hai.

Fir dono movie dekhte hai aur dono so jaate hai....Kal inn dono ka college nahi tha aur Rahul ko Raj se milne bhi jaana tha.
Manmohak update hai mitr.
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,000
173
UPDATE 5


Fir dono movie dekhte hai aur dono so jaate hai....Kal ka din inn dono ka college nahi tha aur Rahul ko Raj se milne bhi jaana tha...


Rahul aur Ajay dono aaj subah ke 7 baje jaag gaye...Jab dono ko pata chala ki subah ka 7 baj chuka hai to Rahul ne Ajay se kaha.

Rahul:- Ajay abb to bahut late ho gaya hai...Chhai(Tea) peene ka time bhi khatm ho gaya..

Ajay:- Ha yaar...Ye warden bahut hi kamina hai...Bakwas sa rule banata rehta hai hostel me...Chhai peene mein bhi punctuality...6:30 am se ek minute bhi late nahi. :mad:

Rahul:- Chhai ka baat chhod iss hostel me to kucch bhi accha nahi lagta hai....Warden ne students ko attract karne ke liye Wifi to rakha hai lekin itna slow chalta hai ki kya batau....Are yaar youtube bhi thik se nahi chalta...Kal ham logo ne movie dekha tha 2 ghante ka lekin itna buffering ho raha tha ki ham logo ne pure 4 ghante waste kar diye...Iss liye aaj uthne me bhi late ho gaya.

Ajay:- Bilkul...Aur iss buddhe ko paise har months ke 3 days ke andar chahiye...Koi bhi kaam acche se karta nahi hai...Bas isse paise pura ka pura chahiye wo bhi without any delay...Discipline ka baat to aise karta haiki iss town me isse achaaa discipline wala hostel hi nahi hai...Har chhoti chhoti baaton me parents ko phone kar deta hai.

Rahul:- Chal chhod ye baatein. Subah Subah buddhe ko yaad karke pareshan hone se kuch nahi milne wala.

Aur dono hi dost kuch der aise hi baat kar rahe the...Tabhi Rahul ke mobile me Raj ka phone aata hai.

Rahul:- Hello bhaiya...Aaj subah subah kaise yaad kiya.

Raj:- Abe Kamine bhul gaya kya kal maine tujhse milne ke liye kaha tha...Itni jaldi kaise bhul gaya.

Rahul:- Oh sorry bhaiya...Dimaag se ye baat bilkul nikal gaya tha...Kaha pe aau milne ke liye.

Raj:- Iss town ke bus stand pe aaja...Abhi main yahi par hu...Aaj mere ek dost apne ghar jaa raha hai to usse chhodne ke liye aaya hu...To sochha ki yahi se hamlog kisi park ki taraf nikal jaayenge.

Rahul:- Ok bhaiya 15 minutes me pahuchta hu.

Raj:- Ok

Aur Rahul phone kaat deta hai aur Ajay se kehta hai ki wo shaayad shaam tak wapas laut ke aa jaayega...Rahul ek auto rikshaw me baith ke bus stand chal deta hai....Kuch der dhundne ke baad Raj mil jaata hai.

Raj:- Aaj pehli baar tune time me koi kaam kiya hai...Warna hamesha tu late hi hota hai.

Rahul:- Time pe pahucho to bhi baat suno aur nahi pahucho to bhi suno....Aapki to aadat ban chuki hai meri har kaam me galti dhundne ki...Achha ye bataiye kya aapke dost chale gaye apne ghar?

Raj:- Haa abhi kuch time pehle hi gaya hai...Mujhe bahut bhukh lag rahi hai...Chal pehle koi hotel jaate hai uske baad kisi park me jaayenge.

Bhukh to Rahul ko bhi lagi thi usne bhi subah se kuch khaya nahi tha...Phir dono bhai ek hotel me jaate hai aur naasta kar ke waha se park ki taraf chal dete hai... Park me pahuch kar,

Rahul:- Achha ye bataiye...Itne din ke baad yaad kaise kiya mujhe...Aur milne ki koi khaas vajah?

Raj:- Tujhse milne ke liye bhi koi vajah ki jarurat hai kya? Bahut dino se acche se baat hua nahi tha...Phone me bhi acche se baat nahi ho sakta hai...Isi liye bula liya tujhe milne ke liye.

Rahul:- Mujhe to lagaa tha ki aapne party dene ke liye bulaya hai.

Raj:- Party kis baat ki?

Rahul:- Girlfriend milne ki....(Aur fir Rahul hasne lagta hai)

Raj:- Rahul tu aajkal jyada hi bakwaas baatein karne lag gaya hai...Main to kabhi girlfriend nahi banaunga.

Rahul:- Bhai juth bolna to koi aapse seekhe...Jisne aap ko achhi tarah se jaana hai koi bhi ye nahi kahega ki aap kabhi girlfriend nahi banayenge.

Raj:- Kyun tujhe aisa kyun lagtaa hai ki main girlfriend banaunga?

Rahul:- Jis insaan ke mobile me bas romantic movies aur songs ho...Wo insaan jo ladki se ghabrakar baat karta hai...Waise insaan ko girlfriend banane ki iccha nahi hogi kya.

Raj:- Baat to teri thik hai...Lekin abhi padhne ka time hai isliye nahi banana chahta.

Rahul:- Are bhai har baat pe kyun jhuth bolte ho...Sidhi tarah kyun nahi kehte ki Ladkiyaan aapko bhaaw nahi deti hai.(Rahul ye kehte hue hasne lagta hai)

Raj:- Achha to has kyun raha hai...Jaise ki tujhpe bahut si Ladkiyaan fidaa ho gayi hain...Tujhe bhi to koi bhaaw nahi deti.

Rahul:- Maanta hu ki koi ladki mujhe bhaaw nahi deti...Lekin mein admit to kar raha hu na ki mujhe girlfriend banane me koi problem nahi hai.

Raj:- Ek baat bata...Tu wahi Rahul hai jo class 8 tak kehta tha ki main kisi se pyaar nahi karunga, kisi ko girlfriend nahi banaunga aur shaadi bhi nahi karunga....Uss time tak tu ladkiyon se bahut nafrat karta tha....

Rahul:- Ha bhai main wahi Rahul hu...Aur aapne jo kaha hai wo bhi sahi hai...Lekin ye baate bachhpan ki hai...Uss time me ladkiyon se nafrat karta tha...Kyuki jab main class me baith ke homework karta to ladkiyaan teacher ko complaint kar deti thi...Aur mujhe maar khana padta tha.

Raj:- To ab tujhme itni changes kaha se aa gaya ki ab tu bhi girlfriend banana chahta hai aur pyaar bhi karna chahta hai.

Rahul:- Are bhai...Kaise baat kar rahe ho aap bhi....Ye sab time time ki baat hai....Time ke saath hi Insaan ki mentality bhi change hoti rehti hai...Ab teen age me aake adolesence ne mujhe bhi puri tarah se change kar diya hai ...Film aur friends ki baaton ne aur change kar diya...Opposite sex ki taraf attract hona common si baatein hai...Jab 8th me tha tab main bhi 1 ladki ki taraf attract ho gaya tha...Uss time to lagta hai ki ye pyaar hai... Lekin uss ladki ne bhi mujhe koi bhaaw nahi diya aur baat aage nahi badhi...Ab aake pata chala ki yeh pyaar nahi attraction hai...Kyuki uss ladki ke liye mujhe ab koi feeling hi nahi aati.

Raj:- Achha to uss ladki ko apni girlfriend banayega jiski taraf tu attract hoga? Tu to bahut hi jaldi main hai girlfriend banane ki...Aur tujhe lagta hai ki tujhe kisi bhi ladki se pyaar ho jaayega aur uss ladki ko bhi tujhse...Kuch din pyaar ka khel chalta rahega...Aur fir break up and dusra ladki ko dhundne ka kaam suru? Bas yahi reh gaya hai aaj ke yug me pyaar ka matlab...Tu bhi aisa hi kamina niklega ye baat maine socha bhi nahi tha.

Rahul:-(Serious hote hue) Nahi bhai....Bas aapse majak kar raha tha...Main aisi koi bhi girlfriend nahi banaunga jisski taraf bas attraction hi ho...Main ussi ko girlfriend banaunga jisske saath lage ki mujhe saccha pyaar ho...Shayad aisi ladki mere bhagya me likha hai ya nahi wo nahi pata...Bas aapse majaak kar raha tha ki mujhe girlfriend banane ki jaldi hai...Koi bhi ladki ke taraf mera galat bichaar nahi hai...Ye alag baat hai ki jab mujhe inn sab baaton ke baare me pata chala tab mujhe bhi laga tha ki "Love is Lust" Lekin abb nahi...Pyar karne se do log aapas me judd jaate hain...Kisi ek ne agar koi galat decision liya to iska asar dono par padta hai...Kisi ek ke bewafai se dusre ko bhi tadapna padta hai...Maine bas film mein nahi balki real life me bhi dekha hai love failure se koi bhi insaan kiss hadd tak tadapte hain.
Aap to mujhe se acche se jaante hain...Mujhe gussa bahut jyada aata hai lekin iska matlab ye nahi ki main bura insaan hu...Bas main apne achhayi logon ko dikhata nahi...Mujhe kisi ke saath bewafai ya fir kisi ko dhokha dena nahi aata...Itna bura insaan nahi hu ki kisi ko apne swarth ke liye tadapne ko chhod du... Kisi se pyaar karunga to sacchi dil se jiwan bhar saath nibhaane ke liye naa ki koi 2 se 4 months ke relation ke liye...Agar koi ladki bhi mujhse sacche dil se pyaar kare to uska saath kabhi nahi chhodunga...Aapse thoda sa majak kya kiya tha aapne to mujhe itna gira hua insaan samajh liya.

Ye sab baat karte hue Rahul bahut hi serious aur dukhi ho chuka tha...Mahaul ko shaant karne ke liye Raj usse kehta hai.

Raj:- Sorry bhai agar tujhe mere baat ka bura lag gaya ho to...Mujhe wo log bilkul bhi pasand nahi hai jo pyaar ka majaak udaate hai...Tere majaak ko maine seriously le liya aur tu bhi bahut der se bas majaak kiye jaa raha tha to control nahi kar paya aur tujh pe bhadak gaya.

Rahul:-Bhaiya aapki baat karne ke tarike se aur mujhpe bhadak jaane se to yahi lagta hai ki jarur kuch baat hui hai aapke saath jisse aapko bahut dukh pahucha hai...Aur koi pyaar ka majak banaye ye aapko pasand nahi...Bhaiya please bataiye kya hua tha aapke saath? Kya aapne bhi kisi se pyar kiya tha?

Raj:- Chal chhod ye baatein....Baad mein bataunga abhi uss manhoos din ko yaad karne ka bilkul bhi man nahi kar raha hai...Socha tha ki bahut din ke baad mile hai to achhi baatein karenge lekin ye love ki baaton ne pura mahaul hi bigad diya.

Rahul bhi Raj ka haalat samajhte hue Raj ko wo baat kehne ke liye force nahi karta hai...Uske baad dono kuch der ke liye baat karte hai aur dono hi bhai din bhar ke liye kahi ghumne jaate hai...Jab shaam hoti hai to dono apne apne hostel ki taraf chal dete hai...Aaj Rahul din bhar ghumne ke kaaran bahut hi thak gaya tha...Jab wo log kitchen me jaake dinner karke aate hai to Ajay kuch padhne lagta hai aur Rahul aaj ke din me jo kuch bhi hua unn sab baat ko yaad karte hue chup chap so jaata hai.
kubsurat update hai mitr.
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,000
173
UPDATE 6


Rahul subah ke 6 baje uth jaata hai...Uthne ka man to nahi tha fir bhi aaj usko college jana tha to uth jaata hai...
.Aur dusre bed me Ajay ki taraf dekhta hai jo bahut hi gehri neend me so raha tha...Wo bahar washroom me jaake fresh ho ke aata hai aur Ajay ko uthata hai.

Rahul:- Ajay jaldi se uth jaa yaar...Chhai peene ka time khatm ho raha hai...Tere liye hi wait kar raha hu...Jaldi se fresh ho ke aa.

Ajay:- Bhai please sone de na...Raat ke 1:00 baje soya tha...Uthne ka man nahi kar raha hai.

Rahul:- Raat ke 1:00 baje tak kya kar raha tha?

Ajay:- Raat me neend nahi lag raha tha isliye padh raha tha...Bahut mushkil se neend aaya wo bhi 1:00 baje.

Rahul:- Chal chhod ye baatein...Pehle chal chhai peeke aate hai...Uske baad tu fir se soo jaana.

Ajay:- Please yaar...Sone de na...Bahut neend lag raha hai...Chhai peene ka bhi man nahi hai.

Rahul:- Ok...Thik hai soo jaa.

Fir Rahul niche kitchen me jaake chhai peeta hai aur apne room me aa jaata hai...Aaj Ajay so raha tha to wo bhi bahut hi boring feel kar raha tha...Uske baad wo jaldi se ready hoke college chala jaata hai.

College me suru ke 4 lectures attend karne ke baad uska lunch time suru ho jaata hai...Wo canteen ki taraf jaata hai naashta karne ke liye lekin aaj ke menu card me Rahul ko koi bhi item achha nahi lagta...Isliye wo waha se nikal jaata hai...Lunch time pure 30 minutes ka tha aur wo soch raha tha ki ye time kaise spend kare...Wo akele hi idhar udhar chup chap chal raha tha aur galti se jaake ek Ladki se takra jaata hai....Wo Ladki kuch react karti uss se pehle hi Rahul usse kehta hai

Rahul:- Sorry...Galti se takra gaya....Please maaf kar do.

Rahul ki baat sunke to wo ladki bhi shocked ho jaati hai...Uss ladki ko Rahul ka sorry bolne ka tarika bilkul bhi pasand nahi aaya...Lekin ladki ne bhi Rahul ko aisa answer diya ki Rahul bhi shocked ho gaya.

Ladki:- Its ok...Kabhi Kabhi ho jaata hai...Agar main galat nahi hun to tum Rahul ho na.

Rahul shocked ho jaata hai ki iss Ladki ko uska naam kaise pata...Usne to kabhi bhi iss ladki ko aaj se pehle dekha nahi tha...Aur wo uss ladki se kehta hai.

Rahul:- Tumhe mere naam kaise pata? Kaise jaanti ho tum mujhe? Tum kaun ho?

Ladki:- Cool down Rahul...Main yahi khadi hun kahi jaa nahi rahi hun aaram se puchho sabhi questions ka answer de dungi.

Rahul:- Pehle tum bataao ki tum ho kaun?

Ladki:- Guess karo.

Rahul bahut der tak sochta hai ki aakhir ye ladki hai kaun aur usse itne acche se baat kyu kar rahi hai...Lekin bahut der tak sochne par bhi usko koi idea nahi aaya...Tabhi wo ladki has has kar kehti hai.

Ladki:- Are yaar...Pehle kabhi dekha ho to yaad aayega na...Tumne mujhe dekha nahi hoga maine 1 week pehle iss college me dusre college se transfer liya tha...Main commerce section me padhti hun.

Rahul:- Oh to ye baat hai...Main to picchle 1 saal se ye tak nahi jaan paaya hu ki hamare science section me kaun kaun students hai...Science ki baat chhodo mujhe to biology group ka bhi pata nahi hain...Tum to commerce section ki ho to koi chance hi nahi hai....

Ladki:- Logic accha dete ho...Maine picchle kuch dino se notice kiya hai ki tum lunch time me hamesha akele hi idhar udhar chalte rehte ho...Iski koi khas vajah.

Rahul:- Kya karu bachhpan ki aadat hai...Jaldi se chhod bhi nahi sakta...Tumne mera question ka answer nahi diya...Tum kaun ho? Aur tumhe mera naam kaise pataa?

Ladki:- My name is Priya...Tum kaafi din se aise hi akele ghum rahe the aur tumhari face me koi bhi tension nahi thi to main jaana chahti thi ki iske picche reason kya hai...Jab tumhe kal ek ladke ne name se pukara tha to mujhe tumhara naam bhi pata chal gaya.

Rahul ke pass ab pucchne ke liye koi sawaal baaki nahi tha aur wo Priya se kya baat kare ussi ke baare me soch raha tha...Kyuki Rahul ne aaj tak ladkiyon se acche se baat nahi ki thi aur aaj usse Priya se kya baat kare ye bhi samajh nahi aa raha tha...Fir bhi wo kehta hai.

Rahul:- Abhi Lunch time bhi khatm hone wali hai...Bye Priya abhi main jaata hun.

Rahul ko waha se jaldi se nikalna hi thik laga...Lekin

Priya:- Abhi bhi Lunch khattam hone me 15 minutes baaki hai...Chalo waha kursi par jaakar baithte hain.

Ab Rahul ko bhi waha se nikalne ke liye koi Idea nahi mil raha tha aur wo na chahte hue bhi Priya ke saath chala gaya baat karne ke liye.

Priya:- To Rahul pehle tum mujhe ye batao ki tum hamesha akele hi kyun rehte ho????Tumhare dost nahi hai kya.

Rahul to Priya se baat karne me bhi ghabra raha tha...Wo to pehle se hi ek sharmila ladka tha aur aaj kisi bhi ladki se iss tarah se pehli baar baat kar raha tha...Issliye usse samajh me nahi aa raha tha ki Priya se kaise baat kare...Fir bhi wo apne ghabrahat chhupate hue kehta hai.

Rahul:- Pehle bhi bataa diya tha...Bacchpan ki aadat hai.

Priya:-Oh...To tum bachpann se hi aise akele rehte ho...Aur ye batao ki tum mujhse baat karne me itna kyun ghabra rahe ho.

Rahul ke pass iss question ka koi answer nahi tha...Fir bhi wo apne aap ko defend karne ke liye kehta hai.

Rahul:- Ghabra nahi raha hu...Abhi tumhare saath kya baatein karu wo samajh me nahi aa raaha hai.

Rahul ne bas itna hi kaha tha ki lunch time over hone ki bell bajne lagta hai aur Rahul bahut hi relief feel kar raha tha.

Rahul:- Priya chalo ab lunch time bhi khatm ho chuka hai...Kal milte hain.

Itna keh kar Rahul waha se apni class ke taraf chala jaata hain...Usse aaj apne aap par bahut hi jyada gussa aa raha tha kyu ki wo aaj ek ladki se acche se baat nahi kar paa raha tha...Uska dhyaan abb padhayi me bilkul bhi nahi tha...Wo to aaj uske aur Priya ke hui baat ko soch soch kar time spend kar raha tha...Jaise taise college khatm hua aur wo apne hostel ki taraf jaane lagaa.

Apne hostel ki taraf jaate hue bhi wo yahi soch raha tha ki kyu wo ladkiyon se acche se baat nahi kar paa raha hai...Aur wo Priya bhi uss ke saath itne acche se kyu baat kar rahi hai...Kya iske pichhe Priya ki koi maksad hai? Kya wo usse se pyaar karti hai? Ya fir bas ye sab dosti tha? Ya fir koi khaas vajah nahi tha...Yahi sab sochte hue Rahul apne hostel pahuch jaata hai.
jordaar update hai dost.
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,000
173
UPDATE 7

Rahul apne hostel pahunch kar sabse pehle lunch karta hai...Uske baad wo apne kamre me jaata hai...Uske baad fresh hoke wo apna bed par baith jaata hai aur ek kitaab bag se nikal kar padhne lagta hai...Bahut concentrate karne par bhi wo nahi padh paata hai...Usse baar baar Priya aur Priya ki baatein yaad aane lagta hai

Rahul (apne man me):- Ye aajkal mere saath kya ho raha hai...Kabhi bhi thik se nahi padh paata hu...Kabhi Ajay se baat karne me time nikal jaati hai...Kabhi Vijay se fight kar ke pura din barbaad ho jaata hai...Kabhi movie dekhne me to kabhi Internet...Aur to aur Jis din college nahi rehta hai us din bhi baahar ghumne nikal jaata hu Ajay ke saath...Padhne ke liye kabhi bhi mood banta hi nahi hai...11 class ke exams to bahut bura gaya tha...Socha tha ki 12 me acche se padhunga...Lekin kabhi mood banta hi nahi hai.

Socha tha aaj se acche se padhunga...Lekin baar baar Priya ki baat dimag me aa rahi hai...Aakhir usme kya hai jo mujhe uski taraf kheencha jaa raha hai...Nahi nahi main uski taraf attract nahi ho raha...Bas aaj pehli baar kisi ladki se akele me baat ki hai isliye aisa ho raha hai.

Rahul yahi sab soch soch ke pareshan ho chuka tha...Aaj bhi uska padhne ka mood off ho gaya tha...Usne socha ki kuch der rest karega aur utth ke padhega...Wo book ko side ke table par rakh kar rest karne lagta hai aur use pata hi nahi chalta hai ki kab wo neend ke agosh me chala jaata hai.

Shaam ke 5:30 ho chuka thaa...Ajay niche kitchen me se naasta kar ke upar aa chuka tha...Jaise hi wo apne room me aata hai saamne ka najara dekh ke shocked reh jaata hai...Uske saamne Rahul ghoda bech ke ekdam mast neend me soo raha tha....Wo Rahul ko sone dena chaahta tha lekin hostel ke rule anusar naashta ka time bhi khatam hone wala tha...Shaam ke 6:00 baje ke baad kisi ko dopahar ka naashta nahi diya jaata tha...Isiliye wo Rahul ko uthane laagta hai.

Ajay:- Rahul...Utth yaar aur kitna soyega...Jaldi se utth warna naashta ka time khatam ho jaayega.

Lekin Rahul nahi uthta hai....Ajay ke bahut koshish karne ke baad wo utth jaata hain.

Rahul:- Kya hua bhai...Sone de na...Kyun pareshaan kar raha hai...Subah ka badla le raha hai kya?

Ajay:- Nahi yaar koi badla nahi le raha hu...Tere bhalayi ke liye hi tujhe utha raha hu...Jaa jaldi se naashta karke aaja...Time khatam hone wala hai.

Rahul ko bhi bahut bhukh laga tha...College ke canteen me bhi aaj usne khaya nahi tha...Bas college se aake hostel me lunch kiya tha...Isliye wo jaldi se ghadi ki taraf dekhta hai...Ghadi 5:45 ka time show kar raha tha...Wo chup chap kitchen ki taraf nikal jaata hai...Waha se naashta karne ke baad wo apne room me aa jaata hai aur chup chap apne bed par baith jaata hai...Shaayad kuch soch raha tha.

Ajay ko aaj Rahul ka harkat bahut ajeeb sa lag raha tha...Kuch der tak sochta hai ki kya hua hoga...Lekin soch nahi paata hai...Aur Rahul se puchh leta hai.

Ajay:- Kya hua yaar...Kyu aisa khamosh baitha hai...College me kuch hua kya?

College ki baat sun kar Rahul ko phir se Priya ki yaad aane laagta hai...Aur wo Ajay se kehta hai.

Rahul:- Ajay...Dekh bhai tujhse jhuth nahi bolunga...Aaj Priya se mila tha college me pehli baar...Usse baat karne ke baad kuch soch bhi nahi paa raha hu ki kya karu ya kya nahi karu...I am totally confused...Bas baar baar uska chehra aur usse kiya hua baat yaad aa raha hai.

Ajay:- Matlab tujhe pyaar ho gaya hai bhai...Wo bhi Love at first sight.

Rahul:- Chup kamine...I dont believe in Love at first sight...Bas aaj usse kiya hua baat yaad aa raha hai.

Ajay:- Accha...To fir bataa ki kya baat kiya tune uske saath...Wo bhi pehli mulakaat me.

Rahul:- Are yaar maine usse koi baat nahi kiya...Usne mujhse baat kiya...Fir Rahul saari baat Ajay se share karta hai.

Ajay:- Ek baat bata tu itna ghabra kyu raha tha uske saath baat karne me...Tune to khud apni izzat mitti me mila diya...Ek ladka ho kar ghabra kar baat kar raha tha...Pata nahi wo ladki bhi kya soch rahi hogi tere baare me?

Rahul:- Wohi to yaar khud pe bahut gussa aa raha hai...Majaak ban gaya yaar uske saamne...Ab agar fir se kisi bhi ladki se baat karni pade to bilkul confidentally baat karunga.....Shaayad aaj pehli baar kisi ladki ke saath aise baat karne ke kaaran ghabra gaya tha.

Ajay:- Kya tune aaj se pehle kisi bhi ladki se baat nahi ki thi?

Rahul:- Kiya to tha...But kaam ke baat kiya tha naa ki time pass wala...Bas ek baat samajh me nahi aaya ki wo Ladki kyu mujhse itna frankly baat karna chahti thi.

Ajay:- Bahut se reason ho sakta hai...Wo ladki bhi tujhse pyaar karti hogi yaa fir bas dost ki haisiyat se baat ki hogi yaa fir wo bhi akele baithe bore ho rahi hogi aur jab tujh jaisa bakra mil gaya to baat ki hogi yaa fir wo ladki characterless hogi.

Jab Ajay ne characterless kaha to Rahul ko gussa aagaya phir bhi control karke usne kaha.

Rahul:- Pyar ki baat nahi ho sakta...Kyuki koi ladki mujhse pyaar kyu karegi? Naa jyada handsome hu...Naa hi accha khaasa body hai...Middle class family ka huu aur wo ladki bhi bahut sundar thi...Aakhir kyu wo mujhe pyaar karegi?

Ajay:- Dekh bhai...Pyaar rup rang se nahi hota hai...Pyaar dil se ki jaati hai...Usne tere achhe dil ko dekh kar pyar kiya hogaa...Tera behavior bahut hi achha hai Rahul...Tu ek gentleman hai...Kabhi kisi bhi ladki ko buri najaar se nahi dekhta...Kabhi kisi ka bura nahi chahta...Nasha bhi nahi karta...Sab ke saath achhe se behave karta hai...Padhayi me bhi accha hai.

Rahul:- Sab kuch aacha hai lekin mera gussa accha nahi hai...Jab bhi gussa aata hai apne aap par control nahi kar paata hu...Gussa mujhe ek jaanwar baana deta hai...Jab sehan shakti se gussa upaar chaala jaata hai to bahut hi ghatiya aadmi ban jaata hu......Ek baat bata tune uss ladki ko characterless kyun bola? Hame kisi ko bhi uska character jaane bina usske character par ungli uthane ka adhikaar nahi hai.

Ajay:- Bhai maine use kab characterless kaha...Main to sirf wo ladki aisa ho sakti hai ye bola tha...Aur tu bata ki kyun tu uss ladki ke baare me aisa sun nahi sakta hai...Mujhe lagta hai tujhe usse pyaar ho gaya hai.

Ajay ki baat se Rahul bhi soch me padd jaata hai...Kyun wo Priya ke baare me hi hamesha sochne laaga hai? Kyun usske baare me kucch bura nahi sunn sakta...Kya sacch me wo Priya se pyaar karne laga hai.

Rahul:- Bhai abhi kuch kehne ki haalat me nahi hu...Mujhe bhi nahi pata ki main usse pyar karta hu ki nahi...Thoda sa time deta hu khud ko tab jaake pata chalega ki ye pyar hai ya sirf aakarshan yaa fir kuchh bhi nahi...Abb Priya ke saath baat karne par hi aage ka baat ka pata chalega.

Ajay:- Ok bhai...Pyaar ki maamle me koi jaldbaazi nahi karna chahiye...Nahi to baad me pacchtana bhi padd sakta hai.

Rahul:- Chhal chhod ye baatein....Ab kuch padhte hain...Bahut din se book ko haath bhi nahi lagaya hai.

Ajay bhi kuch nahi kehta hai...Aur wo dono thodi der padhne laagte hai...Raat ke 8:00 baje wo dono kitchen se dinner karke aate hai aur phir dono kuch der padhne ke baad dono bed me lait jaate hai sone ke liye....Rahul ko to bas college jaa ke Priya se baat karne ki jaldi thi...Lekin ye baat usse pareshaan bhi kar raha tha ki kal Priya uss jagah par milegi ya nahi...Yahi soch me kab usse neend aa jati hai ye usse bhi pata nahi chalta hai.
behtreen update hai mitr.
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,000
173
UPDATE 8


Rahul fir se subah ka 6:00 baje uth gaya...Sabse pehle wo washroom se fresh ho kar aaya aur uske baad usne Ajay ko bhi uthaya...Ajay bhi jaldi se utth kar washroom se fresh ho kar aa gaya...Fir dono dost niche kitchen me chhai peene chale gaye...Chhai peene ke baad wo dono apne room me jaakar baat karne laage.

Ajay:- Bhai aaj to tu har kaam jaldi jaldi kar raha hai...Chhai bhi jaldi me pi liya tune aur jaldi se room me bhi aa gaya...Aur jaldi se ready ho raha hai college jaane ke liye...Kya baat hai?

Rahul:- Are nahi aisi koi baat nahi...Hamesha college time se just 5 minute pehle pahuchhta hu...Isiliye college me jo bhi log jaante hai wo sab college late aane wala student aur absent jyada rehne wala student ke roop me jaante hai mujhe...Isiliye aaj se college 15 minutes pehle jaaya karunga.

Ajay:- Tu kya mujhe bewkuf samajhta hai?Jitna main tujhe jaanta hu tujhe koi fark nahi padta ki log tere baare me kya kehte hai aur kya sochte hai...Tujhe to bas apne kaam se matlab hain...Tere jaldi college jaane ke pichhe koi aur vajah hai.

Rahul bhi kuch nahi bolta hai aur Ajay kuchh der sochne ke baad halki si muskuraahat ke saath bolta hai.

Ajay:- Kahin tere college jaldi jaane ke vajah Priya to nahi hai.

Rahul:- (Shocked hote hue) Tujhe kaise pata chala?

Ajay:- Bas guess kiya tha...Lekin tere aise react karne se confirm ho gaya ki yahi vajah hai.

Rahul kuch nahi bolta hai....Bas chup chap ready ho raha tha college jaane ke liye.

Ajay:- Bhai...Tu bahut badal gaya hai...Bachpann me main jis Rahul ko jaanta tha wo Rahul abb bahut badal gaya hai...Jo Rahul pehle ladkiyo se nafrat karta tha aur unn se baat bhi nahi karta tha...Ab wo Rahul to ek deewana ban gaya hai...Ek ladki se mile hue 1 din bhi nahi hua...Uske picche pura deewana ban gaya hai.

Rahul:- Tu apna bakwas band kar...Haa maanta hu ki bachhpann me main akela rehta tha aur ladkiyon se bilkul bhi baat nahi karta tha lekin abb time badal chuka hai...Aur hame bhi time ke saath aage badhna chahiye...Tab ki mere soch aur aab ki mere soch me bahut difference hai....Aur vakt ke saath insaan ki "mentality" bhi change hota hai.

Abb Rahul ready ho chuka tha...Aur college jaane ke liye bas nikalne hi wala tha ki.

Ajay:- Are yaar thodi der baith naa...Itna bhi kya jaldi hai.

Rahul:- Bhai tere saath baat kate hue 5 minute bit gaya...Socha tha uske saath 15 minutes baith ke baat karunga lekin abb 10 minutes hi bachhe hai....Ab tu chup chap se baith main nikalta hun...(Rahul ne puri baat bahut hi jaldi me keh diya)

Ajay:- Kamine tu to pyaar me pura andha ho gaya hai...Tune mujhe pehle hi bataya tha ki tere college me science ka class 7:00 baje se start hoti hai aur commerce ki 7:30 se....To kya Priya tere liye 45 minutes pehle aa jaayegi. :mad:

Rahul:- Ha yaar...Ye baat to mai bhul hi gaya tha...Par kya wo mere liye jaldi nahi aa sakti hai college?

Ajay:- Yaar tu bewkoof jaisi baat mat kar...Tujhe kya lagta hai ki koi ladki agar kisi se kuch der ke liye haas ke baat karegi to wo pyar hai...Bhai tu bhi sure nahi hai ki wo tujhse pyaar karti hai ya nahi...Pyaar ke maamle me jaldbaazi mat kar...Ab jab bhi tu usse milega usse aaram se baat karna...Aur ye baat notice karna ki wo tere baare me kya sochti hai...Bilkul bhi jaldbaazi mat karna...Nahi to kahi tera pyaar ek tarfa hi reh jaayega.

Rahul:- Maine kab kaha ki main usse pyaar karta hu...Mujhe to khud nahi pata ki ye pyaar hai ya attraction...Kuch din uske saath rehne ke baad hi decide kar paaunga...Bhai ab jaa raha hu college...Ab phir se disturb mat karna.

Ab Rahul bhi apne college ke liye nikal jaata hai...Class me pahunchne ke baad bhi wo bahut bechain tha...Usse to bas Priya se baat karne ka man kar raha tha...Lectures me bhi dhyaan nahi de raha tha...Jaise taise karke time spend kar raha tha aur Lunch ka wait kar raha tha...Jab Lunch time ho gaya to wo canteen ki jagah college ke park me chala jaata hai...Jaha par usne kal Priya se baat kiya tha.

Wo bas Priya ka wait kar raha tha...Lekin 15 minutes beet chuka tha aur ab bas 15 minutes baaki tha lunch time khatam hone me phir bhi Priya waha nahi aayi thi...Rahul ko bahut hi gussa aa raha tha aur nirash bhi ho gaya tha...Phir kuch der me Priya bhi park me aa gayi...Wo chupchap ek kone me baith gayi...Ye dekh ke Rahul ko aur bhi jyada gussa aa gaya aur wo hi Priya ke paas chala gaya...Priya ke paas pahunch kar.

Rahul:- Hi Priya...Kaisi ho????(Usne apne gusse ko bahut hi mushkil se control kiya tha)

Priya:- Hi Rahul...Kya baat hai...Kal to tum mujhse bhaag rahe the ...Aaj khud hi mujhse baat karne aa gaye.

Rahul ab soch raha tha ki kya jawaab du...Kuch der sochne ke baad.

Rahul:- Aisi koi baat nahi hai...Main yahi park me baitha hua tha...Jab tumhe dekha to aa gaya tumhaare paas tumhaari haalchaal pucchne.

Priya:- Tum kuch bhi bolne se pehle itna sochte kyun ho? Koi bahana dhundh rahe ho kya?

Rahul ab apna saara gussa bhul kar koi bahana dhundh raha tha...Jaise taise karke usne phir se ek bahana dhundh liya.

Rahul:- Nahi Priya...Actually baat ye hai ki aaj mera mood off hai...Aaj class me physics ke lecture me teacher ne mujhe bahut kuch keh diya homework nahi karne par...Isiliye abhi bhi wahi baatein yaad aa raha hai...(Rahul bahut hi achhe se jhuth bol raha tha aur Priya uski haalat pe muskura rahi thi)

Priya:- To galti to tumhara hi hai naa...Apni galti maane ki jagah tum teacher ki hi buraayi kar rahe ho.

Rahul:- Galti to mera hi thi lekin wo teacher ne bhi aaj over react kiya tha uss maamle me.

Priya:- Chalo chhodo ye sab baatein...Bekaar me apne mood kyu kharab kar rahe ho.

Priya ne bas itna hi kaha tha ki Lunch time khatam hone ka bell bajta hai.

Priya:- Rahul chalo ab class ki taraf...Lunch time khatm ho gaya hai...Kal phir milte hain yahi par.

Rahul ko to khud pe bahut gussa aa raha tha...Bas 15 minutes ka time mila tha baat karne ke liye...Socha tha ki acche achhe baate karega...Lekin usne apne bakwaas baat se pura time waste kar diya...Lekin iss baat ki khushi bhi tha ki Priya ne kal usse issi jagah par milne ki baat kahi hai.

Wo apne man me bahut kuch sochte hue apna class me jaata hai aur chup chap baaki ke Lecture attend karta hai...Lectures khattam hone ke baad wo apne Hostel chala jaata hai aur Hostel pahunchte hi apna Lunch karta hai...Usne kal raat se kuch nahi khaya tha issliye aaj bahut hi jyaada khaana kha liya...Aur chup chaap apne room ki taraf jaane lagta hai...Jab wo siddhi se upar chadhh raha tha to phir se Vijay mil jaata hai...Vijay uski taraf ek jehreli muskaan de raha tha...Lekin Rahul uss ko ignore karta hua apna room me chala jaata hai...Pata nahi uska Vijay ko ignore karna uske liye kya kya musibat laane wali hai.

Wo apne kamre me jaake bas pichhle 2 din ke baare me soch raha tha.....Kaise wo 2 din se Canteen ka khana miss kar raha hai...College me Lectures ki taraf dhyaan nahi de paata hai...Hostel me aake padhne ka man nahi karta hai aur bas Priya se baatein karne ka man karta hai...Wo yahi sab baatein sochte hue Ajay ka wait kar raha tha.
khubsurat update hai dost.
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,000
173
UPDATE 9



Ajay college se hostel 5:30 ke aaspass aata tha...Abhi bas 2:00 hi baja tha...Rahul bas yahi soch raha tha ki ye 3 ghante ka time kaise bitaya jaaye...Uska padhne ka mood to bilkul bhi nahi tha...Isiliye usne kuch aur karne ka faisala kiya....Pehle to usne socha ki soo ke (sleep) time spend karega lekin agar soo gaya to fir raat me neend der se aayegi aur subah uthna bhi mushkil ho jaayega...Isiliye usne socha Internet me time pass karna hi achha tarika hai...Wo Internet me idhar udhar ki cheez search karne laga...4:00 baje ka aaspass wo niche kitchen me gaya aur fir nashta karke apna room me chala gaya...Aur fir se Internet me kho gaya...Jab 5:30 baje Ajay aaya to wo dono Priya ke baare me baat karne lage.

Ajay:- Rahul...Kya hua bhai...Aaj itna bechain kyu hai?

Rahul:- Bhai tera hi intejaar kar raha tha...Priya ke baare me baat karna hai...Main kya karu kuch samajh nahi aa raha hai.

Ajay:- Bhai pehle ye baat acche se samajh le ki main koi Love guru nahi hun...Jo tere Love ke baare me tujhe kya karna hai wo bata saku...Main to bas tujhe salah de sakta hu ki jo decision tu lega wo sahi hai ya galat...Main koi planning nahi kar sakta.

Rahul:- Bhai socha tha ki tu mujhe iss maamle me help karega...Lekin koi baat nahi main khud hi apna kaam karunga.

Ajay:- Bhai tu naraj kyu ho raha hai? Maine kab kaha ki main tera help nahi karunga...Maine to bas yahi kaha tha ki main koi bhi planning nahi karunga...Dekh bhai agar main koi plan banau aur wo fail ho jaye to mujhe bhi bahut bura lagega ki meri vajah se tera pyar tujhse dur ho gaya...Bhai mujhe bhi pyar ke baare me jyaada pata nahi hai...Tujhe to pyar ho gaya hai lekin mujhe abhi tak nahi hua...To fir main kaise tujhe Priya ko patane ke liye idea du jab main hi confident nahi hu...Main tujhe bas yahi kahunga ki jo decision tu lega wo sahi hai ya nahi...Iss jyada help to main chah kar bhi nahi kar sakta.

Ajay ke muh se baar baar Rahul ka Priya se pyar karne ka baat sun kar ab Rahul ko bhi lagne laga tha ki wo abb Priya se pyaar karta hai...Lekin abbhi bhi sure nahi tha...Bas pehle se jyaada sure tha.

Rahul ko bahut khushi hua ki Ajay thoda hi sahi lekin uska help jarur karega.

Rahul:- Thanks bhai...Yahi mere liye badi baat hai.

Ajay:- Dosti me no thanks no sorry...Tujhe itna bhi pata nahi hai kya.

Rahul:- Kamine...Ab tu bhi Dialogue maarne lag gaya...Jyaada film mat dekha kar...Abhi hame sirf padhaaayi me dhyaan dena chahiye.

Ajay:- Padhaayi me dhyaan chahiye to Priya ko bhul jaa.

Rahul:- Bhai yahi time hai jitna majaak udana hai udaale...Mera bhi time aayega aur jab tujhe pyar hoga tab main bhi tera majaak udaungaa.

Rahul ye kehte hue khud hi shocked ho gaya ki usne indirectly hi sahi lekin Priya se pyar kehne ke baat ab maan liya hai.

Ajay:- Iska matlab ab tu bhi maan raha hai ki tu Priya se pyar karta hai...Ab to sure ho gaya hai na.

Rahul:- Pehle se jyaada lekin pura nahi.

Ajay:- Accha thik hai kuch time bitne de....Pata chal jaayega ki ye Love hai ya Attraction...Ab ye baatein chhod aur padhna suru kar.

Uske baad dono padhne lagte hain...Rahul to padhaayi me utna dhyan nahi de paa raha tha...lekin fir bhi padhne ki koshish kar raha tha...8:00 baje dono dinner karne jaate hai aur wapas aa kar padhaai karte hain aur 10:00 baje ke aaspass so jaaate hain.

Rahul subah hamesha ki tarah 6:00 baje uthta hai aur chhai peene ke baad Ajay se kuch baatein karke college ke liye nikal jaata hai...College me kuchh Lectures khatam hone ke baad Lunch time start ho jaata hai.

Rahul aaj bhi bina kucch khaaye park me chala jaata hai...Usse bas Priya se baat karna tha...15 minutes ho gaye the lekin Priya aaj bhi nahi aayi...Rahul ko bahut bechaini ho raha tha...Wo soch raha tha ki kahi Priya ne usse kal milne wali baat bhul to nahi gayi...Fir bhi wo Priya ka intejaar karta raha.

Kuch der baad Priya bhi aa gayi...Aate hi wo sidhe Rahul jis bench me baitha tha usske saath baith gayi...Aur Rahul se baate karne lagi.

Priya:- Jyada intejaar to nahi karna padaa na.

Rahul:-(Jhuth bolte hue) Nahi nahi main bhi abhi just kuch der pehle aaya hu.

Aaj inn dono ne apne apne baare me ek dusre ko intro diya...Rahul bade dhyaan se Priya ki baate sun raha tha...Priya ne usse bataya ki wo ek bahut hi garib family se belong karti hai...Usse bhi science padhne ki iccha thi lekin paiso ki kami aur gharwalon ke dawaab me aakar usne commerce padhne ka decide kiya...Rahul ko uski baat pe shak hua ki ye jarur jhuth bol rahi hai...Agar garib family se hai to itna expensive college me kaise admission liya.

Rahul jis college me padhta tha wo college city ke no 1 college tha...Bahut jyada facility bhi tha...Ye college me sirf paise wale students hi padh paate hai...Middle class student ko uss college me admission lene ka bas ek hi tarika tha "scholarship"...Scholarship me bahut hi kam seat tha lekin Rahul ne entrance exam me acche marks score kiya tha aur usko scholarship mil gaya tha...Wo Priya se bas puchhne hi wala tha ki usne scholarship me admission liya hai yaa fir donation...Lekin ussi time pe bell baj jaata hai...Jab bell baja to Priya ne usse kaha.

Priya:- Rahul main tumse kuch baat karna chahti hu...Lekin tumse college me hamesha iss tarah se mil nahi sakti...Log galat matlab nikal sakte hain...Kal se ham college park me baat nahi karenge...Ham log Sunday ko city ke park me milte hain...Ye lo mera phone number.

Itna keh kar wo Rahul ko apna phone number de deti hai.

Priya:- Please agar Sunday ko tum busy nahi ho to jarur milna...Bahut hi jaruri baat karni hai.

Rahul:- Jarur milunga...Waise kya baat karni hai tumko?

Priya:- Wo to tumhe Sunday ko hi bataungi.

Uske baad dono apne apne class ki taraf nikalte hai...Rahul apna baaki ke class khattam karke hostel jaata hai aur kitchen me lunch karke apna room me jaata hai...Room me pahuchne ke baad.

Rahul:- (Apne man me) Yaar main to Priya ko samajh hi nahi paa raha hun...Jyada din bhi nahi hua mile hue...Phir bhi baat to aisi karti hai ki saalon se jaanti hain...Kehti hai ki garib family se belong karti hai lekin itne expensive college me admission kaise liya usne? Kahin jhuth to nahi bol rahi...Shaayad scholarship me admission liya hoga...Scholarship ke baare me pucchna to bhul hi gaya time hi nahi mila...Koi baat nahi Sunday ko milke pucch lunga...Oh god!!!Aaj to Wednesday hai...Iska matlab 3 din usse dekh bhi nahi paaunga...Usne bhi milne se mana kar diya...Lekin koi baat nahi...Phone number to hai naa phone me baat kar lunga...Ek baat to bilkul bhi samajh me nahi aaya...Wo mujhse milna kyu chahti hai...Aur kya baat karna chahti hai...Kahin Priya mujhse pyar to nahi karti...Yaa fir mere khilaf koi chaal chal rahi hai...Yaa kuch aur hi hai...Ye baate to Sunday hi pata chalega...Abhi to main bahut thak gaya hu abb kuch der soo jaata hu.

Ye sab sochhte hue Rahul ko kab neend aa jaata hai ye usse bhi pata nahi chalta hai.
jabardast update hai dost.
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,000
173
UPDATE 10


Rahul ka jab aankh khula to usne apne mobile me time dekha...Time 4:00 pm ho raha tha...Wo turant utha aur fresh hoke niche kitchen me nashta karne chala gaya...Nashta karne ke baad wo apne room me waapas wapas bed me let gaya...Wo soch raha tha ki abb kya karu...Aaj usse mobile chalane me koi man nahi lag raha tha...Abhi abhi soo kar utha tha...Tabhi usne socha ki pichhle kuchh din se wo padhaayi me jyaada dhyaan nahi de paa raha hai...11 ki exam bhi accha nahi gaya tha....Abhi 1 ghanta ke baad Ajay bhi room me aa jaayega...Tab baat karte huye time nikal jaayega...Isiliye wo bag me se kuch books nikal kar padhne laga.

Usse abhi bhi Priya aur Priya ki baatein yaad aa raha tha...Wo khud apne aap par vishwas nahi kar paa raha tha ki kaise wo ek ladki ke liye sab kuchh bhulta jaa raha hai...Khud pe bilkul bhi dhyaan nahi de paa raha hai...Apna daily routine ko bhi follow nahi kar paa raha hai...Wo bhi ek aisi ladki ke liye jisse wo acche se jaanta bhi nahi hai...Ye tak nahi pata ki Priya usse pyaar karti bhi hai ya nahi...Yahi sab sochte huye wo bas padhne ka try kar raha tha...Lekin achhe se padh nahi paa raha tha...Baar baar Priya ke baare me hi soch raha tha...Usse ye baat ka bhi bahut dukh tha ki wo 3 din tak Priya se mil nahi paayega...Jaise taise karke 1 hour bit jaata hai aur Ajay bhi apne room me aa jaata hai.

Ajay:- Kya hua bhai...Kya soch raha hai?

Rahul:- Kuch nahi.

Ajay:- Tera chehra dekh kar to lag raha hai ki kuch to jarur hua hai...Tera aur Priya ka breakup ho gaya kya (Haste hue)?

Rahul:- Kamine...Relationship start hua hi nahi hai aur tu breakup ki baat kar raha hai...Lekin uske saath 3 din mil bhi nahi paaunga aur baat bhi nahi kar paaunga.

Ajay:- Kyu kya hua?

Phir Rahul ne Ajay ko aaj uske aur Priya ke bich jo bhi baat hua tha uske baare me sab kuch bata deta hai.

Ajay:- To fir kyu muh latkake baitha hai...Usne tujhe phone number to diya hai na...Baat karle usse.

Ajay ka baat sunke Rahul khus ho gaya lekin agle hi pal fir se serious ho gaya.

Rahul:- Are yaar agar Priya ne pucch liya ki phone kyu kiya hai to kya bolungaa? Abhi to mere paas baat karne ke liye koi topic bhi nahi hain...Agar usne phone kiya to hi baat karungaa.

Ajay:- Bhai tujhe apna dost kehte hue bhi sharm aa raha hai...Ek ladka hoke ladki se baat karne me itna darta hai...Dusre ladkon se kucch seekh...Ladkiyon se kaise flirting karte hain...Phone pe kaise baatein karte hain.

Ajay ne ye baat to majaak ke mood me kaha tha lekin Rahul ko uske baat se bahut gussa aa gaya aur usne chilla kar kaha

Rahul:- Chup...Jyada mat bol...Tu mujhe samajhta kya hai...Main koi aisa ladka nahi hu jo ladkiyon se bas flirt karta rahun...Maine tujhe pehle bhi kaha hain ki agar main pyar karunga to saccha pyaar karunga naki koi 2 ya 4 months ki relationship wala pyaar...Bhai sabhi insaan ek dusre se alag hote hain...Main jaisa hun waisa hi theek hun...Mujhe dusron se compare mat kar...Mujhe kisi se kuchh nahi sheekhna aur waise ladkon se to bilkul bhi nahi...Maine tujhse Priya ki maamle me help kya maanga tujhe laga ki tu mujh pe koi aishaan kar raha hai...Tujhe help nahi karna to mat kar lekin aisi baatein bhi mat kar.

Ajay Rahul ka iss tarah se achanak gussa ho jaane se shocked reh jaata hai aur usse bhi thoda thoda dar lagne lagta hai...Aisa nahi tha ki usne Rahul ka gussa nahi dekha tha bahut baar dekh chuka tha lekin aaj baat kuch aur tha...Aaj tak Rahul Ajay ke upar kabhi bhi gussa nahi hua tha lekin aaj to Rahul ne usse bhi bahut kuch suna diya tha.

Ajay bhi Rahul ka haalat samajhte hue uske saath acche se baat karne lag jaata hai.

Ajay:- Sorry yaar...Main to majaak kar raha tha...Tune to bura maan liya.

Rahul:- Bhai maine tujhe kitni baar bola hai ki jab main serious hota hu to mujhe gussa mat dila.

Ajay:- Thik hai...Aaj ke baad aisa nahi karunga...Chal baahar ghum kar aate hain.

Rahul bhi room me reh kar bore ho chuka tha...Isiliye wo aur Ajay dono nikal jaate hain baahar ghumne ke liye aur dinner time me hostel laut aate hain...Wo dono kaafi thak chuke theyisiliye dinner ke baad turant so jaate hai.

Subah Rahul uth kar college chala jaata hai...Aaj usse college me bahut boring feel ho rahi thi...Aaj wo lunch time me bhi Priya se mil nahi paaya...Aise hi wo college se hostel aa gaya....Hostel me bhi wo Priya ko hi yaad kar raha tha aur uska Priya se baat karne ka man kar raha tha lekin phone karne se dar bhi raha tha...Aise hi dekhte dekhte raat ho jaati hai...Rahul aur Ajay dono thodi baat karte hain aur padhne baith jaate hai...Rahul ka to padhne me bilkul bhi man nahi lag raha tha...Usse to bas Priya ka phone ka wait tha...Lekin aaj raat bhi Priya ka phone nahi aaya.

Aise hi 2 din aur beet jaate hain...Rahul ka to bura haal ho chuka tha...3 din ho gaye the usse Priya se bina mile, bina baat kiye, aur bina dekhe...Wo to besabri se Sunday ka wait kar raha tha ki kab Sunday aaye aur Priya se baat kiya jaaye.





SUNDAY MORNING



Rahul abhi soo hi raha tha ki uska mobile me kisi ka call aata hai.

Rahul phone utha leta hai aur gusse se kehta hai.

Rahul:- Kaun hai jo mujhe subah subah disturb kar raha hai...Abhi main soo raha hu please pareshaan mat karo.

Phone ke dusre taraf se ek ladki ki awaaz aati hai.

Ladki:- Achha to main tumhe disturb kar rahi hu...Sorry...Main phone rakhti hun.

Uss ladki ki awaaz sun kar Rahul pehchaan leta hai aur ghabrahat me jaldi jaldi keh deta hai.

Rahul:- Sorry Priya...Abhi soo raha tha isiliye number dekha nahi...Mujhe laga ki koi dost hoga jo subah subah parseshaan karne ke liye phone kiya hoga.

Priya:- Tumhe abhi subah ka time lag raha hai...Ghadi dekho jaldi se dopahar hone wala hai...10:00 baj chuka hai.

Rahul:- To kya hua...Aaj to Sunday hai isiliye itni der tak sota hu...Kal se to fir 6:00 baje uthna padega college jaane ke liye.

Priya:- Ye baatein chhodo aur batao ki aaj kaha par milna hai.

Rahul:- Tum hi decide karo...Main to new hu iss town me...Mujhe iss town ke baare me jyada pata nahi hai.

Priya:- To ham log iss town se thodi duri par ek Park hai waha par milte hai...Main tumhe adress message kar deti hu...11:30 tak waha par pahuch jaana...Intejaar karungi.

Rahul:- Ok thik hai...Main bhi fresh hoke pahunchta hunn.

Priya:- Thik hai(Aur phone kaat deti hai)

Rahul fresh hone ke liye bed se uthta hai aur saamne baithe Ajay ko dekhta hai jo Rahul ko dekh kar muskura raha tha...Rahul ye dekh kar shocked ho gaya tha aur waha se muhh chupaake washroom ki taraf jaa raha tha lekin usse pehle hi Ajay Rahul ko keh deta hai.

Ajay:- Bhai tu to pehle sher ki tarah garaj raha tha phone me lekin Priya ki awaaj sunte hi bheegi billi ban gaya...Ye sab pyaar ka hi jaadu hai.

Rahul:- Bakwas band kar...Jab tujhe pyar hoga uss time tera bhi majaak udaaunga.

Itna keh kar Rahul washroom se fresh ho kar waapas aa jaata hai...Tabhi uske mobile me Priya ka message aata hai...Jab usne message dekha to usme adress likha tha...Wo turant ready ho kar Ajay ko bye kehte hue uss adress ke liye nikal jaata hai.

Jab Rahul uss park me pahunchta hai to uss ko Priya dikhayi deti hai jo uska hi wait kar rahi thi...Aaj 3 din baad Priya ko dekhkar wo bahut khush ho jaata hai aur jaldi se Priya ke paas pahunch kar.

Rahul:- Hello Priya.

Priya:- Hi Rahul...Baitho yaha.

Rahul ko samajh me nahi aa raha tha ki kya baat kare phir bhi wo kehta hai.

Rahul:- Priya...Tumne mujhe kyu bulaya...Koi jaruri kaam tha kya?

Priya:- Ha kuchh kehna tha tumse lekin college ke park me time nahi mil paata tha aur waha par baat karne ka mahaul bhi achha nahi tha...Isiliye tumhe yaha pe bula liya.

Rahul:- Accha thik hai...Kya kehna hai tumhe?

Priya:- Dekho Rahul jo bhi main kahungi wo agar tumhe bura lage to tum gussa mat hona...Aur vaada karo ki hamari dosti hamesha rahega.

Rahul Priya ki baat sunkar bahut hi khush ho gaya ki Priya usse apna dost to maanti hai...Lekin Priya ki iss tarah se baat karne se usse kuch ajeeb sa lag raha tha.

Rahul:- Are jaldi bataao na...Paheli kyu bujha rahi ho...Aur main vaada karta hun ki iss baat ke liye main tumse hamara dosti nahi todunga.

Priya:- (Chehra ko jhukaate hue aur dheemi awaaj me) I love you Rahul.

Rahul to ye baat sunkar bahut jyaada shocked ho jaata hai...Usse bilkul bhi ummeed nahi tha ki Priya itni jaldi usse purpose kar degi...Usse Priya ke muhh se "I love you" sunkar to bahut khushi hui...Lekin thoda sa shanka bhi lag raha tha Priya pe...Kyu ki Rahul ko Priya ke kehne me koi feelings bhi najar nahi aa rahi thi...Usne apne aap ko jaise taise control kiya aur Priya se kaha..

Rahul:- What? Priya ye tum kya keh rahi ho...Aakhir tumne mujhme kya dekh liya ki tum mujhse pyaar karti ho?

Priya:- Bahut kuch dekha hai maine tum me...10 din se tumhe dekh rahi hun...Tumhara piccha bhi kiya hai tumhare baare me jaane ke liye...Tumhare friends se bhi tumhare baare me information liya hai...Mujhe tumhara behavior bahut achha laga...Sab ke saath achhe se behave karte ho...Dusro ko jarurat padne par help karte ho...Kisi ke baare me bura nahi sochte ho...Aapne faaida ke liye kisi aur ko takleef nahi pahuchate ho....Ladki ke taraf kabhi galat najar se nahi dekhte ho....Padhne likhne me bhi bahut acche ho...Koi buri aadat nahi hai tum me...Alcohol aur Smoking bhi nahi karte ho...Isse jyada mujhe kya chahiye? Aur main ye bhi jaanti hu ki tum bhi mujhse pyaar karte ho.

Rahul to hairaan reh gayaa tha Priya ki baat ko sunn kar...Aur jab Priya ne ye keh diya ki "tum bhi mujhse pyar karte ho" tab wo soch me pad gaya tha.

Rahul ko abb lagne laga tha ki wo Priya se pyar karne laga hai...Aaj Priya ke muhh se ye baat sunkar usse bhi bahut khushi mili ki Priya bhi usse pyar karti hai...Lekin usse Priya ke kehne ke tarika me koi bhi feelings najar nahi aaya...Wo yahi soch raha tha ki Priya usse sachh me Pyaar karti hain yaa fir uska faayeda uthana chahti hai.

Wo gehri soch me padd gaya tha ki Priya ko kya jawaab diya jaaye...Pyar karte huye bhi wo Priya ko jawaab nahi de paa raha tha...Usse Ajay ki baat ka bhi yaad aa raha tha ki Pyar me jaldbaazi nahi karna chahiye...Yehi baaten ko soch kar usne Priya se kaha.
bemishaal update hai dost.
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,000
173
UPDATE 11

Rahul:- Tum mera acchi aadat hi jaanti ho...Tumhe mera buri aadat ke baare me bilkul bhi pata nahi hai...Mera buri aadat mera gussa hain...Jab mujhe gussa aata hai to main bina kuchh soche action leta hu reaction ka mujhe koi parwaah nahi hota hai...Priya tum mera gussa kabhi bardasht nahi kar paogi.

Rahul ka yeh sab kehne ke picche bas ek hi reason tha...Wo Priya ko notice kar raha tha ki Priya usse kis tarah se baat karti hai...Priya ke baat me koi feelings hai ya nahi...Agar feelings nahi hui to ek baat saaf tha ya to Priya bas Rahul ke taraf attracted thi yaa fir koi chaal chal rahi hai...Rahul Priya se pyar karte hue bhi Priya pe biswaas bahi kar paa raha thaa...Agar Priya bhi usse pyaar kare to Rahul ke liye uska ek bahut bada sapna pura hona jaisa tha...Lekin wo jaldbaazi me koi faisala lena nahi chahta tha...Agar usne abhi jaldbaazi me Priya ka pyaar accept kar liya to usko baad me pachtana bhi pad sakta tha...Isiliye wo bas Priya ki baat karne ke tarike ko notice kar raha tha.

Priya:- Rahul maine tumse pyar kiya hai...Tumhari acchi aur buri aadat dono ko apna lungi...Koi bhi insaan puri tarah se perfect nahi hota hai...Sabhi me kisi na kisi cheez ki kami hoti hi hai....Mere liye to tum hi perfect ho.

Priya ne ye baat dil se kahi thi...Priya ke muhh se ye baat sunte hi Rahul ka khushi ka koi thikaana hi nahi tha...Khushi uske face me acchi tarah se dikh rahi thi...Fir usne Priya se kaha.

Rahul:- Haan Priya tumne sach kaha tha ki main bhi tumse pyar karta hu...Bas yakin nahi kar paa raha tha ki tum bhi mujhse pyar karti ho...Jab se college me tumse baat ki hai tabhi se mere dil me tum ne apa jagah bana liya tha...Khud decide nahi kar paa raha tha ki ye love hai yaa attraction...Jab 3 din tak tumse nahi mil paaya tha tab mera bahut buraa haal ho gaya tha...Kuchh bhi karne ka man nahi karta tha...Tumhe phone karne me bhi dar lagta tha...Jis tarah se har vakt tum mere dil aur dimaag dono me aati thi aur tumhare liye fikar karna...Ye sab dekhke maine realize kiya ki ye pyar hai attraction nahi.

I love you too Priya.

Priya:- Achha to agar tum mujhse pyaar karte the to purpose kyun nahi kiya?

Rahul:- Kaise karta...Main khud hi sure nahi tha ki main tumse pyaar karta hu ya tumhare taraf attracted hu...Jab aaj sure ho ke aaya to socha ki tumhe purpose kar du lekin iss baat ka dar bhi lag raha tha ki agar tum mujhse pyaar nahi karti to fir tum mujhse baat bhi nahi karti...Isiliye main tumhaare dil ki baat jaane ki koshish kar raha tha...Par tumne to pehle hi mujhe purpose kar diya.

Priya:- (Muhh fulaate hue) Jab maine purpose kiya tab nahi keh sakte the ki tum bhi mujhse pyar karte ho..."Mujhe bahut gussa aata hai" aisi reply dene ka kya jarurat thi. :beee:

Rahul:- Sorry...Tab main khud apni kismat me yakin nahi kar paa raha tha...Samajh me nahi aa raha tha ki kya kahu issi liye muhh se wo baate nikal gayi.

Rahul ne saaf saaf jhuth bola tha...Wo Priya ko nahi kehna chahta tha ki usko Priya ke upar shak tha.

Priya:- Pehli baar hai iss liye maaf kar rahi hu...Fir se koi galti ki to mujhse bura koi nahi hoga. :angrywife:

Rahul:- OK thik hai...Ab se koi galti nahi karunga. :D

Priya:- Chalo kahi chalte hai ghumne ke liye.

Rahul:- Nahi nahi...Pehle koi hotel chalo...Bina kuchh khaye nikla hu hostel se...Bahut jor ki bhukh lagi hai...Subah bhi late se hi utha tha.

Priya:- To kya maine tumse kaha tha...Bina kuch khaye aane ko?

Rahul:- Are yaar...Bhadak kyu rahi ho...Tumhara deewana ban gaya tha isiliye tumse bina kuch khaaye hi milne chala aaya.

Fir Rahul aur Priya ek hotel me jaate hai naashta karne ke liye...Naashta karne ke baad dono din bhar ghumte rehte hai...Jab shaam hoti hai to Rahul apne hostel aur Priya apne ghar ke liye nikalne ke liye taiyaar the.

Rahul:- Priya aaj raat ko phone karunga 10:00 baje...Jaldi se soo mat jaana...Aur haa college ke park me kal jaldi hi aa jaana.

Priya:- Achha thik hai...Tum apna khayaal rakhna...Bye.

Rahul:- Tum bhi apna khayaal rakhna.

Iske baad Rahul waha se nikal jaata hai...Priya bhi waha se nikalne wali thi ki uske mobile me kisi ka phone aata hai.


Dusri taraf ek ladka tha.


Ladka:- Hi Jaan...Aaj ka din kaisa raha.

Priya:- Bahut boring...Uss Rahul ne to bheja fry kar diya...Bahut bore karke rakh diya...Kucch pal aur rukti uske saath to pakka paagal ho jaati. :banghead:

Ladka:-Kya tumne usse apne jaal me fasa liya?

Priya:- Ha fas gaya...Usne bhi mera love purposal accept kar liya. :evillaugh:

Ladka:- Well done Priya...Thanks a lot...Ab dikhata hu uss Kamine Rahul ko...Mujhse panga liya tha usne...Abb mai usse khoon ka aansu rulaunga. :mad:


Priya:- Jaan...Mujhe thanks kehne ki koi jarurat nahi hai...Tumhaare liye to main kuch bhi kar sakti hu...Fir Rahul ko fasana to koi badi baat nahi hai.
dhamakedaar update.
 
Top