• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Mentality [Completed]

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,146
189
UPDATE 12

Ladka:- Kahi Rahul ko tum pe shak to nahi hua?

Priya:- Jab maine usko "I love you" kaha tha...Shaayad tab usko yakin nahi ho paa raha tha...Meri baato ko bahut hi gaur se sun raha tha...Meri baaton me koi feelings nahi thi...Jab maine ye realize kiya tab maine apni galti ko sudhaar liya...Acting mein to acchi hu...Baad me usse bhi yakin ho gaya ki main bhi usse pyaar karti hu.

Ladka:- Chalo koi baat nahi...Ant bhala to sab bhala.

Priya:- Ye naatak mujhe kab tak karna hoga.

Ladka:- Kuch din aur...Priya tum usse apne pyaar me majboor kar dena ki usko tumhaari jarurat padne lage...Tum se door hone ke soch se hi usko dar lagne lage...Aur jab usse sacchayi pata chale tab tak bahut der ho jaani chahiye...Main usse tadap tadap kar marta dekhna chahta hun.

Priya:- Ok...Jaisa tumhe thik lage....Ye kaam to bahut mushkil hai...Lekin tumhare liye jarur karungi.

Idhar wo Ladka aur Priya Rahul ke khilaf apna plan bana rahe the...Udhar Rahul inn sabhi baato se bekhabar apna hostel pahunch jaata hai...Hostel pahunchte pahunchte raat ke 8:00 baj chuke thhe...Ussko aaj Ajay aur Raj ko khush khabri deni thi....

Rahul apne hostel room me pahunch kar.

Rahul:- Ajay tune dinner kar liya?

Ajay:- Nahi bhai...Tera hi wait kar raha tha....Aur ek baat bata tu bahut khush lag raha hai...Priya se kya kya baatein kiya? Jo tu itna khush hai.

Rahul:- Bhai abhi nahi...Chal pehle dinner karke aate hai...Uske baad araam se bataaunga...Bahut jor se bhukh lagi hai.

Ajay:- Chal thik hai...Pehle dinner karke aate hai...Waise bhi aaj tera pet to Priya se baat karke bhar gayi hogi.

Rahul:- Jyada bakwas mat kar...Chup chap dinner karne ke liye chhal.

Uske baad dono dinner karne ke liye chale jaate hai...Dinner karke aane ke baad...Aur

Ajay:- Chhal ab bataa...Aaj kya kya baat hui tere aur Priya ke bicch me? Kya tu saara din Priya ke saath hi tha?

Rahul:- (Haste hue) Kamine...Do pyaar karne waale log ke bicch ki baat ko nahi sunna chahiye...Ye bhi tujhe nahi pata.

Ajay:- Do pyaar karne waale log ka kya matlab...Ye ek tarfa pyaar hai...Bas tu hi Priya se pyaar karta hai...Wo tujhse pyaar karti hai ya nahi ye tujhe bhi nahi pata.

Rahul:- Agar main kahu ki ye do tarfa pyaar hai to?

Ajay:- Impossible yaar...Tu kaise keh sakta hai itne yakin ke saath ki wo bhi tujhse pyaar karti hai...Jitna main tujhe jaanta hu tu ladkiyo ke dil ki baat ko kabhi nahi padh sakta.

Rahul:- Kamine jyada buraai karne ki jarurat nahi hai...Socha tha dinner karke tujhe aaram se batata hu ki aaj kyaa baat hui thi hamaare bich...Lekin tune baat ko uljha diya.

Ajay:- To thik hai...Sidha sidha bol.

Rahul:- Aaj usne mujhe purpose kar diya yaar...Wo bhi mujhse pyaar karti hai.

Ajay:- What? Itni jaldi...To tune kya reply kiya?

Rahul:- "Kya reply kiya?" Iska kya matlab hai? Jab usne mujhe purpose kiya to maine bhi accept kar liya.

Ajay:- Tujhe nahi lagta ki ye sab bahut jaldbaazi me ho raha hai...Maine tujhe pehle bhi kahaa tha ki jaldbaazi main koi bhi faisala mat lena.

Rahul:- Bhai ye sab jaldbaazi nahi hai...Mujhe uske upar visswaash hai...Pyaar ka dusra naam hi vishwaash hota hai...Agar maine Priya pe shak kiya to mera Pyaar ka koi bhi value nahi hoga.

Ajay:- Accha thik hai...Bas itna hi kahunga ki aage jo bhi karna hai soch samajh ke karna.

Ab Rahul kuch kahe isse pehle hi Raj ka phone aa jaata hai...Rahul ne bhi jaldi se phone utha liya.

Raj:- (Gusse me) Kamine bhul gaya kya mujhe? Itne din ho gaya baat bhi nahi kiya...Facebook ka messages ka reply bhi nahi deta...Aakhir ho kya gaya hai tujhe?

Rahul:- Bhai mujhe pyaar ho gaya hai.

Jab Raj ne ye suna to wo shocked reh jaata hai.

Raj:- Kya kaha tune? Dekh abhi main tujh se gussa hun...Majaak mat kar :mad:

Rahul:- (Fraustrated ho kar) Are yaar...Koi meri baat pe vishwash kyu nahi karta? Pehle Ajay ko bataya usne mera majaak udaaya ab aapne bhi...Aap log ko kya lagta hai ki koi mujhe pyaar nahi karega? Itna bura hu kya main?

Raj:- Mera wo matlab nahi tha...Jab main tujhse kuch din pehle mila tha to tune mujhe iss baare me kuchh nahi bataya...Abb itni jaldi ye sabb...Mujhe ye baat hajam nahi hua.

Fir Rahul Raj ko saari baat detail me bata deta hai.

Raj:- Bhai...Ye sab to thik hai...Lekin mujhe lag raha hai ki ye sab bahut jaldi me ho raha hai...Soch samajh kar hi apne kadam aage rakhna...Ye duniya bahut bura hai bhai...Log apne faaydaa ke liye kisi se bhi bewafaayi karte hai aur dhokha dete hai.

Raj ki baat sun kar Rahul kuchh der ke liye chup ho jaata hai...Aur fir kehta hai.

Rahul:- Bhai aap bahut baar ye bewafaayi ke baare me keh rahe hai...Lagta hai kisi ne aapko pyaar me dhokha diya hai...Please khul kar bataiye naa.

Raj:- (Dukhi ho kar) Dekh Rahul...Abhi main uss baare me baat nahi karna chahta...Vakt aane par tujhe sab kuchh bata dunga...Please iss tarah se baar baar sawaal mat kar...Bahut dukh pahunchta hai.

Rahul:- Sorry Bhai...Aapko dukh pahunchaane ka mera koi maksaad nahi tha.

Raj kuchh bolne ki haalat me nahi tha...Isiliye bahut mushkil se kehta hai.

Raj:- Bhai...Abhi mera baat karne ka koi mood nahi hai...Abhi rakhta hu...Baad me baat karunga tujhse.

Itna keh kar Raj phone rakh deta hai...Rahul ko bahut bura lagta hai ki anjaane me hi sahi lekin usne Raj ko dukh pahuchaya hai...Iske baad wo Ajay se kuchh baat kart a hai aur sone ke liye apne bed me chalaa jaata hai.

Aaj ki Raat sabhi ke liye alag tha jisko bhi iss love ke case ke baare me pataa tha...Rahul ko aaj pyaar paane ki khushi tha...Priya ko aaj apni acting me Rahul ko fasane ki khushi thi....Uss Ladke ko Rahul ki aane wali Barbadi ke baare me sochh kar khushi mil rahi thi...Ajay Rahul ke pyaar ka future ke baare me soch raha tha...Raj ko aaj kuchh puraani baatein yaad aane ki vajah se dukhi tha.

Ye pyaar ka game inn Logon ke jindagi ko kis direction me le jaata hai.....Ye to bas vakt ko pata hai.
 
Last edited:

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,146
189
UPDATE 13

Jab subah hua to Rahul jaldi se fresh ho kar chhai naashta karne ke baad jaldi se college chala gaya...Aaj college jane me use bahut achha lag raha tha...Aaj uska khushi ka koi thikana nahi tha...Kuch din pehle tak jis ladki ke liye wo deewana ban ke ghum raha tha kal usi ladki ne usse purpose kar diya tha...Aaj college ke lectures me Rahul ka dhyan bilkul bhi nahi tha...Wo bas teacher ko dikhane ke liye apni aankhon ko books aur teacher ke face ki taraf kar raha tha lekin dimaag to bas Priya par hi tha...Aaj usse Priya se milne ki bahut jaldi thi...Kisi tarah se usne lunch time tak apne aap par control rakha...Jaise hi lunch time start hua...Wo jaldi se college ke park ke taraf chala gaya.

College ke park me pahunchte hi wo Priya ko idhar udhar dhundne laga...Lekin Priya usse kahin bhi nahi mili...15 minutes ke baad Priya bhi college me aa gayi....Rahul ne iss vakt ko bahut mushkil se kata...Bahut bechain ho gaya tha wo...Jaise hi Priya Rahul ke pass aayi to Rahul ne usse sawal kiya.

Rahul:- Tumhe itna late kaise ho gaya? Main kab se intejaar kar raha tha tumhara.

Priya:- Bas 15 minute hi to hua hai...Lunch karne me to itni time normally lagta hi hai...Tum ne aaj Lunch nahi kiya kya?

Rahul:- Nahi...Tumhara wait kar raha tha.

Priya:- Ye kaisa paagalpan hai Rahul...Tum ne mera intezaar karke lunch nahi kiya...Ye mujhe accha nahi kiya.

Rahul:- Mujhe bhukh nahi hai...Subah naashta karke aaya tha.

Priya:- Rahul tum college me pure 6 ghante rehte ho...Bas yahi lunch time hai kuch khane ka...Aur tum kaise 6 ghante bina kuch khaye reh sakte ho.

Rahul soch raha tha ki kya kahu...Lekin kuch der sochne ke baad bhi usse koi idea nahi mila...To haar kar usne kaha.

Rahul:- Sorry Priya...Aage se aisa nahi karunga.

Priya:- Tumhara koi bharosha nahi...Baar baar galti karte ho...Kal tumne kaha tha ki raat ko phone karoge...Lekin nahi kiya...Aur aaj bhi tumne lunch nahi kiya...Meri nahi to apna khayal to rakho.

Jaise hi Rahul ne Priya ki phone waali baat ko suna...To usse yaad aaya ki wo kal raat ko Ajay aur Raj se baat karne me itna busy ho gaya ki Priya ko phone karna hi bhul gaya...Abb usse Priya se dar lag raha tha ki kahi wo usse naraaj na ho jaaye.

Rahul kuchh kehne hi walaa tha ki Lunch time khatam hone ki bell baj gayi...Rahul ko thoda sa chhain to mila par usse bilkul bhi accha nahi laga...Kyuki abb wo Priya se ab baat bhi nahi kar sakta.

Rahul:- Sorry Priya...Iss baar maaf kar do...Aage se aisi galti nahi karunga.

Priya:- Pehli baar hai isiliye maaf kar rahi hu...Agli baar se kiya to mujhse buraa koi nahi hoga.

Itna keh kar Priya aur Rahul dono apne apne class ki taraf chale jaate hain...Rahul ki chehre me ek sukoon tha to Priya ke chehre me ek shaitaani mushkaan...Wo Rahul ko apne liye aisi paagal pan dekh kar andar se hans rahi thi...Bas uss din ka intezaar kar rahi thi jiss din wo Rahul ko uss ladke ke saamne haarta hua dekh sake.

College khattam hone ke baad dono apne ghar ke taraf chale jaate hain...Aur Phone me pyaar bhari baatein karne lagte hain.

Samay kabhi bhi ek jagah par nahi tikta hai...Wo bas apne gati se aage badhta hai.

Aaj Rahul aur Priya ka pyaar ka 8 months ho chuka tha...Inn samay me Rahul me bahut badlaaw aa chuka tha...Uska pyaar Priya ke liye har din badhtaa hi jaa raha tha...College ke park me dono roj milte the...Phone me bhi hameshaa baatein karte the....Har holiday ke din wo dono kahi baahar ghumne jaate the...Rahul apna life Priya ke bina soch bhi nahi sakta tha...Abb usse Priya ki aadat pad chuki thi...Wo hamesha apni aur Priya ke baare me Ajay aur Raj ko sunaake chidhata tha.

Aisa nahi tha ki Rahul Priya ke baare me soch kar apna daily routine se picche hat gaya tha...Wo apna har kaam acche se karta tha...Padhaayi me bhi dhyaan deta tha...Uska terminal exams bhi accha hua tha...Priya ka uske life me aane se wo bahut khush tha...Bacchpan me akela rehne wala Rahul ko apni life me pehle koi khaas interest nahi tha...Lekin Priya ka saath paane ke baad uska khushi ka koi thikana nahi tha...Wo apna pyaar me itna andha ho gaya tha ki usse Priya ka koi bhi chhal kapat nahi dikh raha tha...Bas Priya me hi khoya hua rehta tha.

Usne apna aur Priya ke future ke liye kaafi saari planning bhi kar rakhi thi...Usne sochha tha ki uska life me abb bahut saari khushiyaan aayega...Jindagi ek dam mast ho jaayegi...Lekin ye saari khushiyaan kuchh pal ki thi...Bahut jald uska dil tootne wala hai...Saare sapne bikharne waala hai...Chhal kapaat aur chaalbaazi ka khel dekhne ko milne waala hai...Dhokhebaazi aur Bewafaayi ka ek naya udhaharan (example) saamne aane wala hai.

Aise hi roj ki tarah Rahul ek din college se waapas hostel ki taraf jaa raha tha...Jab wo park ke paas pahuncha to usne Priya ki awaaz suna...Usse thoda hairaani hui ki Priya iss vakt yaha prk me kya kar rahi hai...Jab wo Priya ko dekhne Park ke andar gaya to aage ka drishya dekh kar bahut dukhi ho gayaa...Aankhon me kab aansun aa gaye pataa hi nahi chala...Wo khada nahi reh paaya...Niche jameen par gir gaya...Dimaag bhaari hone lagaa...Aaj usse apna duniya bikharte hue dikhne lagaa...Saamne Priya aur wo ladka bench me gale lag kar baithe the aur baat kar rahe the...Wo dono ka baat sun kar Rahul ka baaki bacha hua himmat bhi khattam ho gaya.

Priya:- Are jaan...Please chhodo na...Agar hume Rahul yaa fir kisi aur ne dekh liya to mushibat me pad sakte hain.

Ladka:- Priya...Please aaj mat roko...Bahut din ho gaya tumhare saath baat nahi kiya...Aaj tumse baat karne ka bahut dil kar raha hai.

Priya:- Main bhi tumse baat karna chahti hoon...Lekin agar Rahul ne hame dekh liya to hamaare itne din ki mehnat mitti me mil jaayega...Pehle yaha se baahar chalo.

Ladka:- Kya hoga agar Rahul ne hume dekh liya to...Bas kuch hi dino me ham sab usse ye game ke baare me bataane hi waale hai...Ab to wo hamaare control me hai...Tum ghabraao mat kuchh nahi hoga...Ab to hume khush hona chahiye...Itne din ki mehnat ab rang laane wali hai.

Jab Rahul ko pata chala ki wo log Rahul ko fasaane ki game khel rahe hai to Rahul ka gussa ka koi thikana nahi rahaa...Wo jaise taise khada ho gaya aur chehre me gussa aur dard lekar chala gaya Priya aur uss ladka ke pass.

Wo dono bhi Rahul ko waha dekh kar kuch pal ke liye shocked reh gaye.
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,146
189
Friends bahut dino ke baad aaj 2 updates post kiya hai...Padh kar apna pratikriya jarur dijiye.

Aage regular rehne ki koshish karunga.
 
  • Like
Reactions: kamdev99008

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,146
189
  • Like
Reactions: kamdev99008

kamdev99008

FoX - Federation of Xossipians
9,770
37,559
219
champ bhai bahut shukriya...............ki.....apko is kahani ki yaad bhi aa gayi :hehe:

update bahut badhiya hain....................lekin yahan kahani kuchh jyada hi teji se chal rahi hai...............
2 update mein hi priya se pyar ka izhaar...............aur sazish ka pardafash

yani ki kahani is sazish ki nahin................
sazish khulne ke baad rahul aur shayad priya ki bhi jindgi mein ane wale badlavon ki hai

dekhte han ab aage kya hona hai

keep it up

aap editing ya correction par dhyan na dein..... padhne par sab samajh to aa hi jata hai

updates jyada se jyada dein
 
  • Like
Reactions: Champ_AK_81

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,146
189
champ bhai bahut shukriya...............ki.....apko is kahani ki yaad bhi aa gayi :hehe:

update bahut badhiya hain....................lekin yahan kahani kuchh jyada hi teji se chal rahi hai...............
2 update mein hi priya se pyar ka izhaar...............aur sazish ka pardafash

yani ki kahani is sazish ki nahin................
sazish khulne ke baad rahul aur shayad priya ki bhi jindgi mein ane wale badlavon ki hai

dekhte han ab aage kya hona hai

keep it up

aap editing ya correction par dhyan na dein..... padhne par sab samajh to aa hi jata hai

updates jyada se jyada dein
Thanks Kamdev bhai for your support and review...Kahani ka title Mentality ko dikhane ki koahish kiya hai story mein...Abhi tak Rahul ka wo mentality ke baare mein likha tha jismein teenage mein hone wale pyaar ko le kar logon mein kaisa mentality hota hai...Bas paane ji chakkar mein kitne besabr hote hai.

Aur abb jo likhne jaa raha hun usmein dhokha khaane ke baad kya mentality hota hai.

Keep supporting bhai.
 
  • Like
Reactions: kamdev99008

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,146
189
UPDATE 14


Thodi der chup chap sab ek dusre ko dekh rahe the...Sab ek dusre ki haalat ka andaaza laga rahe the...Rahul ka chehra gussa aur dard se bhara hua tha...Priya aur wo ladka bahut dar gaye the ki kahi Rahul gussa me kuch kar na baithe...Uss ladka ko Rahul ka gussa ka andaaza pehle bhi tha ki jab Rahul gussa me hota hai to usse rokna bahut hi mushkil ho jaata hai...Iss khamoshi ko todte hue Rahul ne kaha.

Rahul:- (Dard bhari aawaj me):- Priya tum yaha Vijay ke saath...Matlab tumne mujhe dhokha diya.

Jab Priya aur Vijay ko pata chala ki Rahul ko abhi gussa se jyaada dard ka feeling aa raha hai...Tab unn dono ke jaan mein jaan aayi...Uske baad Vijay muskuraate hue Rahul se kehta hai.

Vijay:- Bola tha na Rahul tujhse...Ek din tujhe khoon ke aansu rulaungaa...Mujhse dushmani mehenga padega...Lekin tabhi to tune mera majaak udaaya tha ye kehte hue ki "Jo karna hai kar le"...Lekin abb tu hi ham dono ke bich ek majaak ban ke reh gaya hai.

Maine tujhe aur Ajay ko bahut baar baat karte hue suna tha "Pyaar" ke baare mein...Tum dono ko to yahi lag raha tha ki insaan ko pyaar hone ke baad uski jindagi bahut accha ho jaata hai...Bas khushiyan hi khushiyan...Na koi dard na koi tension...Lekin tum dono ko bewafaayi ke baare me shaayad pata nahi tha...Isiliye Rahul main tujhe pyaar ka nahi bewafaai, love failure aur tanhaayi ka matlab samjhaana chahta tha...Isiliye maine apni girl friend Priya ko bheja tha tere paas "pyaar" ka naatak karne.

Rahul Vijay ka baat ka koi jawaab nahi deta hai...Priya ki taraf ek najar dekhta hai aur kehta hai.

Rahul :- Priya kya ye sach keh raha hai? Kya tum mujhse koi pyaar nahi karti? Kya ye sab sirf ek naatak tha?

Priya:- Haa ye sab sirf ek naatak tha... Aur ye sab maine sirf apne Vijay ke liye kiya tha.

Rahul:- Dekho Priya...Agar tum ye sab majboori me keh rahi ho to bata do abhi ke abhi...Main iss Vijay ko dekh lungaa.

Rahul kuch aur bolna chahta tha ki Priya ne uske baat bich me kaat te hue kaha.

Priya:- Meri majboori ye thi ki mujhe tumse pyaar ka naatak karna padaa...Tumhari paagalo jaisi baat ko sunna meri majboori thi...Tumhaare saath rehna meri majboori thi...Tumhe Vijay ke saamne jhukaane ke liye maine jo naatak kiya tha wo meri majboori thi...Lekin abb main majboor nahi hu...Accha hua ki ye naatak jaldi hi khatam ho gaya warna kuch din aur tumhaare saath bore hona padta.

Priya ki baat sun kar Rahul andar se bilkul toot gaya tha...Uski aankho se aansu girne lage the...Bahut din baad aaj roya tha Rahul....Abb usse kuch bolna bhi use mushkil lag raha tha...Rahul bas chup chap wahi khada tha ki Vijay apni pocket se mobile nikalta hai aur Rahul ki kuch photo khinchta hai aur Priya ko kehta hai.

Vijay:- Jaan tumhe pata hai ki maine tumhe itne din tak naatak karne ke liye kyun kaha?

Priya:- Nahi...Aur mujhe janna bhi nahi hai...Tumhari khushi me hi meri khushi hai...Jo tum kahoge wo main bina kuchh bole karungi.

Vijay:- Fir bhi bata deta hu...Agle hafta mera janm din hai...Socha tha uss din sach bata dunga Rahul ko...Aur uski aankho ka aansu hi mera best birthday gift hota lekin aaj hi isse sanchaayi ka pata chal gaya...Koi baat nahi iska photo khinch liya hai...Abb birthday ka din yahi photo dekh kar khush ho jaaungaa.

Rahul kuch samay se kuchh kehne ki himmat kar raha tha aur himmat juta kar usne Priya se kaha.

Rahul:- Tumne mere saath jo bewafaayi kiya hai usse main kabhi nahi bhulunga...Tumne bahut galat kiya hai mere saath...Lekin fir bhi tumko ek baat samjha deta hu...Vijay ko chod do...Tumhe nahi pataa hai ye Vijay kitna badaa kamina hai...Ye apne fayda ke liye tumhe bhi ek din chhod kar chala jaayega.

Rahul ka itna hi kehna tha ki Priya uske upar bhadak uthi aur chillate hue kaha.

Priya:- Chup...Isse aage kuch mat bolna...Main Vijay ke khilaf kuch bhi nahi sun sakti aur tu mujhe Vijay ko chhodne ke liye keh raha hai...Aur tere jaise ladke se pyaar karu...Aakhir tu apne aap ko samajhtaa kya hai...Aakhir kis cheez me tu Vijay se apne aap ko compare kar raha hai...Naa tu Vijay jitna handsome hai...Naa tere paas Vijay jitna paisa hai...Tujh jaiso ke liye Vijay ki position me pahunchna ek sapna hai...Aur issi liye tu Vijay se jalta hai.
(Vijay ki taraf dekhte hue) Chalo jaan yaha se jaldi...Mera dimag kharab kar diya hai iss ne...Ek pal yaha nahi rukna chahti.

Isske baad Priya aur Vijay waha se nikalne lagte hai...Jaate jaate Vijay ne apne kandhe se Rahul ko dhakka dete huye mushkuraate hue chal pada...Aaj Rahul andar se toot chuka tha warna Vijay ke aise dhakka dene par koi bhi Vijay ko nahi bachaa paate lekin aaj baat kuch aur thi...Aaj Priya aur Vijay ke chehre me ek khushi thi...8 mahino ki mehnat aaj rang laayi thi.

Wahi par Rahul bhi niche jameen me baith kar rone lagaa...Aaj uska dil toot chuka tha...Saccha pyar ke badle me use bewafaayi mili thi...Wo kabhi apne kismat ko kos raha tha to kabhi khud ko...Aaj khud se hi nafrat ho rahi thi...Kyun aaj usne ek bewafaa se khud se jyada pyaar aur vishwash kiya...Ek pal ke liye bhi uss par shak nahi kiya...Kehte hai pyaar ka dusra naam vishwaas hai...Aaj tak usne hamesha Priya ke pyaar par vishwash dikhaya lekin Priya ne bhi usske saath vishwashghaat kiya..

Ab wo jameen se uth kar dheere dheere chalne lagaa...College compound se baahar nikal kar aaj wo apne hostel ke jagah ek hotel ki taraf jaane lagaa...Aaj usse daru pine ka dil kar raha tha....Wo apne saath hui bewafaayi ko bhulana chahta tha...Issiliye aaj use daru hi best option lag rahi thi...Jindagi bhar daaru se nafrat karne wala Rahul aaj khud uski taraf chal kar jaa raha thaa...Jaise hi wo ek restaurant me pahuncha...Aur waiter ko bulaane laga...Usse kuch yaad aane laga.

Usse achanaak se apne Mummy aur Papa ka chehra yaad aane laga...Usne socha ki uske parents ne usse kyun town bheja hai...Padhne ke liye...Lekin wo apni padhaayi se bhatak kar ek galat kaam karne jaa raha hai...Kya aaj ek bewafa ka pyaar ke saamne parents ka pyaar jhuk gaya hai jo uske gumm me daru pine lagaa hai...Mummy aur Papa ka khayaal aate hi usne daru ka plan cancel kar diya aur samosa order karke khane lagaa.

Restaurant se nikalne ke baad wo thoda sa fresh hona chahta tha issi liye ek park ki taraf chal padaa...Park me aate hi usse thoda sa relief mehsoos hua lekin dil aur dimaag busy the aaj ka bitaa hua ghatna par...Park me baith ke kuch sochne laga...Ant me usne decide kiya ki wo apne mummy aur papa ke liye acche se jiyega...Suicide aur nasha ke chakkar se dur rahega...Yahi sochte sochte shaam ho gayi thi aur wo jaldi se hostel ki aur chal pada.

Jaise hi Rahul hostel pahucha uss time Ajay pehle se hi apne room me baitha tha aur Rahul ko nahi dekh kar hairaan tha...Jaise hi Rahul apne kamre me pahuncha...Ajay uske haalat dekh kar dar gaya aur bola.

Ajay:- Bhai aaj tu itna late aur ro kyun raha hai...Sab thik to hai naa?

Rahul:- Bhai thoda sa sir me dard hai...Please kuchh dawaayi kharid kar le aa...Baad me bataunga tujhe sab kuch.

Rahul ne Ajay ko iss liye dawayi lene ke liye bheja kyun ki aaj wo jee bhar kar rona chahta tha...Bahut dino se roya nahi tha...Issi liye abhi acche se roo kar apna dard bhulne ka koshish kar raha tha.

Ajay ko bhi samajh me nahi aayi ki baat kya hai lekin fir bhi Rahul ki haalat ko dekhte hue wo chala gaya dawaayi lene ke liye....

Jaise hi Ajay dawaayi lene gaya...Rahul apne bistar par gir kar rone laga.
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,146
189
UPDATE 15


Rahul ki aankho se aanshu ki kuch boond gir raha tha....Aaj bahut din ke baad roya tha wo...Uska dil aur dimag aaj ki ghatna ko bhula nahi paa raha tha....Baar baar Vijay ka picche se hamla karna aur Priya ka bewafai yaad aa raha tha....Unn dono par gussa to bahut aa raha tha lekin aaj pehli baar gusse se jyaada apne dil me dard mehsoos kar raha tha...

Ajay lagbhag 30 minutes ke baad waapas dawaai lekar aata hai...Jab Rahul ko apne room ke gate ke baahar se Ajay ko kisi se baat karne ki aawaj sunai deti hai to wo jaldi se ek towel se apne aansu poch ke chup chap baith jaata hai....Jaise hi Ajay apne kamre me aata hai wo Rahul ko aisi haalat me dekh kar hairaan reh jaata hai....Kuch der tak wo sochta rehta hai ki kya hua hoga...Lekin wo soch nahi paata....Aur Rahul se pucchta hai....

Ajay:- Kya hua yarr...Roo kyun raha hai???

Rahul :- (Shocked hote hue) Main nahi roo raha hun....Bas aaj mood thik nahi hai...

Ajay:- Jaake pehle apne shakal mirror me jaake dekh....Roo roo kar aankh sujh gayi hai...

Ajay ke bat sunne ke baad wo apni shakal mirror me dekhta hai to usse khud vishwaas nahi hota hai....Uska roo roo kar bahut hi buraa haal ho gaya tha....Aankhe sujh gayi thi....Baal(Hair) bikhar gaya tha....Chehra murjha gaya tha aur dard bhi najar aa raha tha....Wo jaldi se mirror ke saamne se hat kar bistar par baith jaata hai....Aur Ajay se bahut mushkil se kehta hai....

Rahul:- Ajay abhi mai baat karne ke haalat me nahi hun.....Bas itna bata deta hu ki mera break up ho gaya....Priya ne dhokha de diya...Kal tujh se acche se baat karunga .... Abhi mai chup chaap sona chahta hun....

Rahul ki baat sun kar Ajay bhi shocked ho gaya ....Ajay Rahul se bahut kuch puchna chahta tha lekin Rahul ki haalat dekh kar usne kuchh nahi puccha....Bas itna hi kaha....

Ajay:- Thik hai yarr...Kal baat karenge....Lekin pehle dinner karle....Usske baad soo jaana...

Rahul:- Nahi yarr...Khaane ka man nahi kar raha....Bas abhi sona chahta hun....Please disturb mat kar ...

Abb Ajay bhi kuchh nahi kehta hai aur dawaayi Rahul ko dekar dinner karne chala jaata hai....

Rahul ko dawaayi ki koi jarurat nahi thi...Usne to tabhi Ajay se bachne ke liye usse dawaayi laane ke liye bheja tha...Wo dawaayi ko baahar fenk kar chup chap soo jaata hai....

Kuchh der me Ajay bhi dinner karke wapas apne kamre me aa jaata hai....Wo Rahul ko dekhta hai jo soo chuka tha....Aaj usse Rahul ko dekh kar bahut buraa lag raha tha....Bahut samay ke baad usne Rahul ko dukhi dekha tha....Wo bhi kuchh sochte hue soo jaata hai...

Agli subah jab Ajay ki aankh khulti hai to subah ka 6:20 baj raha tha....Wo jaldi se fresh ho kar aata hai aur Rahul ko bhi uthane lagta hai....

Ajay:- Rahul jaldi utth...Chhai peene ka time khatam hone wala hai....Jaldi utth yarr...

Rahul jab utth ta hai to use kal ka baat phir se yaad aa jaata hai aur wo Ajay se kehta hai....

Rahul:- Nahi yarr aaj chhai peene ka man nahi hai...Tu hi pee le....Mai kuch der shaanti se baithna chahta hu...

Ajay:- Kal raat bhi dinner nahi kiya hai abhi to kam se kam chhai peene to chhal....

Rahul:- Yaar abhi kuch karna theek nahi lag raha hai...Mai shaaanti se kuchh der rehna chahta hun...Mai theek hu....Bhookh nahi lagi hai abhi ....Jab lagegi to khaa lunga...Abhi please pareshaan mat kar....

Ajay ka baar baar baat karne se Rahul gussa ho gaya tha aur usne ye saari baat gussa me bahut jaldi jaldi keh diya....Ajay bhi bina kuchh kahe chhai peene chala gaya...

Jab Ajay chhai peekar wapas aaya to Rahul apne mobile me busy tha....Wo Rahul se kuchh puchna to chahta tha lekin dar bhi lag raha tha ki kahi Rahul us par hi na bhadak jaaye....Wo Rahul ki gussa se achhi tarah se parichit tha....

Aaj sunday tha to dono ka college aaj band tha ......

Aise hi 4 ghanta beet gaya...Inn 4 ghanto me Ajay baar baar Rahul ki taraf dekhta hai ki Rahul ka mood kaisa hai...Lekin theek se samajh nahi paa raha tha...Issiliye use chup rehna hi behtaar lagaa ....

Jab subah ka 10:00 baja tab Rahul aur Ajay dono hi chale gaye lunch karne.....Lunch karne ke baad Rahul ne Ajay se kaha....

Rahul:- Sorry yarr....Kal raat ko aur aaj maine tujhse jis tarah se baat kari hai uske liye maafi chahta hun....Par mai bahut pareshaan tha yaar....

Ajay:- Koi baat nahi yarr...Maine teri koi bhi baat ko galat tarike se nahi liya hai....Please agar tu bura nahi maanega to kal jo kuch bhi hua wo detail me bata....

Usske baad Rahul ne ek lambi si saans lekar Ajay ko kal hui saari baat bata deta hai...Uske baat karne ki tarike se saaf ho chuka tha ki abb uske dard par gussa haawi ho chuka hai....Abb usse Priya aur Vijay pe bahut gussa aa raha tha aur usne soch liya ki abb se kisi bhi ladki se pyaar nahi karega taaki wo baad me phir se kamjor ho jaaye.....Baat sunne ke baad Ajay ko Rahul ke liye bura lag raha tha aur Vijay pe gussa aa raha tha....

Ajay:- Bhai tere saath jo bhi hua bahut hi galat hua....Tu fikar mat kar sab kuchh theek ho jaayega...Vijay aur Priya ko apne kiye ki sazaa jarur milegi....Tu bas theek se rehna....

Rahul:- Tu mujhe kis tarah se samjha raha hai...Main koi suicide nahi karne wala....Kal maine daru aur nasha karne ke planning bhi chhod diya hai....Bas pareshaan hu iss ka matlab ye nahi ki tune mera khamoshi ka aisa matlab nikal liya....

Ajay kuchh nahi kehta hai....Thodi der baad Rahul fir se Ajay se kehta hai....

Rahul:- Galti sirf Vijay aur Priya ki nahi hai....Meri bhi galti hai iss me....

Ajay:- (Shocked hote huye) Tune kya galti kiya???

Rahul:- Tera baat na maane ki galti....Tune mujhe bahut baar samjhaaya tha ki pyaar me jaldbaazi mat karna.....Meri galti hai ki maine jaldbaazi me itna bada decision le liya....Ek bewafa pe itna vishwaas kiya...Uspe jaraa sa bhi shak nahi kiya....Usski har galti ko ignore kiya...Usse jaan se bhi jyaada pyaar kiya....Yahi hai meri galti....

Ajay:- Iss me teri koi galti nahi hai....Pyaar ka dusra naam hi vishwaas hota hai....Tune to apna pyaar achhe se nibhaya hai...Tujhe kya pata tha ki wo log tere saath aisa karenge....

Rahul:- Maine apna pyaar to acche se nibhaya lekin iss pyaar ne mujhe itna andhaa(blind) kar diya ki maine Priya ki kisi bhi baat pe shak nahi kiya...Ek din usne mujhe kaha tha ki wo garib family se belong karti hai....But i am sure usne mere pass aane ke liye jarur jhuth bola hoga....Agar ussi time pata kar leta to aaj ye din nahi dekhna padta....

Ajay:- Bhai....Jiss cheez me teri galti hai hi nahi....Uss cheez ko baar baar soch kar pareshaan hone se kya faaidaa... Isse ek sabak samajh kar aage badh ....Aur ek cheez yaad rakh ki pyaar me jaldbaazi nahi karni chahiye....

Rahul:- Ek aur sabak sikh liya hai maine...

Ajay:- Kya???

Rahul:- Jo log jhukte hain usse duniya aur jhukaati hai...Mai hamesha dusro ke saamne ek sharif ladka ban kar rehta tha....Hamesha apne gussa ko daba kar rehta tha....Kabhi bhi dusro ko pareshaan nahi kiya....Iska matlab baaki ke logo ne ye nikal liya ki main sabse darta hu....Koi bhi mujhe jaise chahe waise istemaal(use) kar sakta hai....Agar uss Vijay ko uss din aur achhe se maarta to aaj mere saamne aisi harkat nahi karta....

Ajay:- Yarr...Jo bhi karna soch samajh kar karna....Warna mushkil me padd sakta hai....

Rahul:- Aaj se kuchh soch samajh kar nahi karunga....Jo bhi karunga dil se karungaa....Aaj se mera mentality change ho gayi hai....Aaj ke baad log mujhe dhokha dene se pehle bahut baar sochenge.....Aaj se mere dil me koi pyaar nahi aayega....Bas dusron ko bina matlab pareshaan nahi karungaaa aur jo bhi mera dil karega wo karunga.....Aaj se log mujhe ek kamjor sharif ladka nahi balki ek Angry Young man ke roop me jaanenge.
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,146
189
Top