• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Mentality [Completed]

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,146
189
Rahul nahi samajh pa raha lekin priya samajh rahi hai....
Ki rahul usse milne aur bat karne ke bahane talash kar raha hai
Thanks Kamdev bhai for your support and review...Keep supporting.
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,146
189
UPDATE 9



Ajay college se hostel 5:30 ke aaspass aata tha...Abhi bas 2:00 hi baja tha...Rahul bas yahi soch raha tha ki ye 3 ghante ka time kaise bitaya jaaye...Uska padhne ka mood to bilkul bhi nahi tha...Isiliye usne kuch aur karne ka faisala kiya....Pehle to usne socha ki soo ke (sleep) time spend karega lekin agar soo gaya to fir raat me neend der se aayegi aur subah uthna bhi mushkil ho jaayega...Isiliye usne socha Internet me time pass karna hi achha tarika hai...Wo Internet me idhar udhar ki cheez search karne laga...4:00 baje ka aaspass wo niche kitchen me gaya aur fir nashta karke apna room me chala gaya...Aur fir se Internet me kho gaya...Jab 5:30 baje Ajay aaya to wo dono Priya ke baare me baat karne lage.

Ajay:- Rahul...Kya hua bhai...Aaj itna bechain kyu hai?

Rahul:- Bhai tera hi intejaar kar raha tha...Priya ke baare me baat karna hai...Main kya karu kuch samajh nahi aa raha hai.

Ajay:- Bhai pehle ye baat acche se samajh le ki main koi Love guru nahi hun...Jo tere Love ke baare me tujhe kya karna hai wo bata saku...Main to bas tujhe salah de sakta hu ki jo decision tu lega wo sahi hai ya galat...Main koi planning nahi kar sakta.

Rahul:- Bhai socha tha ki tu mujhe iss maamle me help karega...Lekin koi baat nahi main khud hi apna kaam karunga.

Ajay:- Bhai tu naraj kyu ho raha hai? Maine kab kaha ki main tera help nahi karunga...Maine to bas yahi kaha tha ki main koi bhi planning nahi karunga...Dekh bhai agar main koi plan banau aur wo fail ho jaye to mujhe bhi bahut bura lagega ki meri vajah se tera pyar tujhse dur ho gaya...Bhai mujhe bhi pyar ke baare me jyaada pata nahi hai...Tujhe to pyar ho gaya hai lekin mujhe abhi tak nahi hua...To fir main kaise tujhe Priya ko patane ke liye idea du jab main hi confident nahi hu...Main tujhe bas yahi kahunga ki jo decision tu lega wo sahi hai ya nahi...Iss jyada help to main chah kar bhi nahi kar sakta.

Ajay ke muh se baar baar Rahul ka Priya se pyar karne ka baat sun kar ab Rahul ko bhi lagne laga tha ki wo abb Priya se pyaar karta hai...Lekin abbhi bhi sure nahi tha...Bas pehle se jyaada sure tha.

Rahul ko bahut khushi hua ki Ajay thoda hi sahi lekin uska help jarur karega.

Rahul:- Thanks bhai...Yahi mere liye badi baat hai.

Ajay:- Dosti me no thanks no sorry...Tujhe itna bhi pata nahi hai kya.

Rahul:- Kamine...Ab tu bhi Dialogue maarne lag gaya...Jyaada film mat dekha kar...Abhi hame sirf padhaaayi me dhyaan dena chahiye.

Ajay:- Padhaayi me dhyaan chahiye to Priya ko bhul jaa.

Rahul:- Bhai yahi time hai jitna majaak udana hai udaale...Mera bhi time aayega aur jab tujhe pyar hoga tab main bhi tera majaak udaungaa.

Rahul ye kehte hue khud hi shocked ho gaya ki usne indirectly hi sahi lekin Priya se pyar kehne ke baat ab maan liya hai.

Ajay:- Iska matlab ab tu bhi maan raha hai ki tu Priya se pyar karta hai...Ab to sure ho gaya hai na.

Rahul:- Pehle se jyaada lekin pura nahi.

Ajay:- Accha thik hai kuch time bitne de....Pata chal jaayega ki ye Love hai ya Attraction...Ab ye baatein chhod aur padhna suru kar.

Uske baad dono padhne lagte hain...Rahul to padhaayi me utna dhyan nahi de paa raha tha...lekin fir bhi padhne ki koshish kar raha tha...8:00 baje dono dinner karne jaate hai aur wapas aa kar padhaai karte hain aur 10:00 baje ke aaspass so jaaate hain.

Rahul subah hamesha ki tarah 6:00 baje uthta hai aur chhai peene ke baad Ajay se kuch baatein karke college ke liye nikal jaata hai...College me kuchh Lectures khatam hone ke baad Lunch time start ho jaata hai.

Rahul aaj bhi bina kucch khaaye park me chala jaata hai...Usse bas Priya se baat karna tha...15 minutes ho gaye the lekin Priya aaj bhi nahi aayi...Rahul ko bahut bechaini ho raha tha...Wo soch raha tha ki kahi Priya ne usse kal milne wali baat bhul to nahi gayi...Fir bhi wo Priya ka intejaar karta raha.

Kuch der baad Priya bhi aa gayi...Aate hi wo sidhe Rahul jis bench me baitha tha usske saath baith gayi...Aur Rahul se baate karne lagi.

Priya:- Jyada intejaar to nahi karna padaa na.

Rahul:-(Jhuth bolte hue) Nahi nahi main bhi abhi just kuch der pehle aaya hu.

Aaj inn dono ne apne apne baare me ek dusre ko intro diya...Rahul bade dhyaan se Priya ki baate sun raha tha...Priya ne usse bataya ki wo ek bahut hi garib family se belong karti hai...Usse bhi science padhne ki iccha thi lekin paiso ki kami aur gharwalon ke dawaab me aakar usne commerce padhne ka decide kiya...Rahul ko uski baat pe shak hua ki ye jarur jhuth bol rahi hai...Agar garib family se hai to itna expensive college me kaise admission liya.

Rahul jis college me padhta tha wo college city ke no 1 college tha...Bahut jyada facility bhi tha...Ye college me sirf paise wale students hi padh paate hai...Middle class student ko uss college me admission lene ka bas ek hi tarika tha "scholarship"...Scholarship me bahut hi kam seat tha lekin Rahul ne entrance exam me acche marks score kiya tha aur usko scholarship mil gaya tha...Wo Priya se bas puchhne hi wala tha ki usne scholarship me admission liya hai yaa fir donation...Lekin ussi time pe bell baj jaata hai...Jab bell baja to Priya ne usse kaha.

Priya:- Rahul main tumse kuch baat karna chahti hu...Lekin tumse college me hamesha iss tarah se mil nahi sakti...Log galat matlab nikal sakte hain...Kal se ham college park me baat nahi karenge...Ham log Sunday ko city ke park me milte hain...Ye lo mera phone number.

Itna keh kar wo Rahul ko apna phone number de deti hai.

Priya:- Please agar Sunday ko tum busy nahi ho to jarur milna...Bahut hi jaruri baat karni hai.

Rahul:- Jarur milunga...Waise kya baat karni hai tumko?

Priya:- Wo to tumhe Sunday ko hi bataungi.

Uske baad dono apne apne class ki taraf nikalte hai...Rahul apna baaki ke class khattam karke hostel jaata hai aur kitchen me lunch karke apna room me jaata hai...Room me pahuchne ke baad.

Rahul:- (Apne man me) Yaar main to Priya ko samajh hi nahi paa raha hun...Jyada din bhi nahi hua mile hue...Phir bhi baat to aisi karti hai ki saalon se jaanti hain...Kehti hai ki garib family se belong karti hai lekin itne expensive college me admission kaise liya usne? Kahin jhuth to nahi bol rahi...Shaayad scholarship me admission liya hoga...Scholarship ke baare me pucchna to bhul hi gaya time hi nahi mila...Koi baat nahi Sunday ko milke pucch lunga...Oh god!!!Aaj to Wednesday hai...Iska matlab 3 din usse dekh bhi nahi paaunga...Usne bhi milne se mana kar diya...Lekin koi baat nahi...Phone number to hai naa phone me baat kar lunga...Ek baat to bilkul bhi samajh me nahi aaya...Wo mujhse milna kyu chahti hai...Aur kya baat karna chahti hai...Kahin Priya mujhse pyar to nahi karti...Yaa fir mere khilaf koi chaal chal rahi hai...Yaa kuch aur hi hai...Ye baate to Sunday hi pata chalega...Abhi to main bahut thak gaya hu abb kuch der soo jaata hu.

Ye sab sochhte hue Rahul ko kab neend aa jaata hai ye usse bhi pata nahi chalta hai.
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,146
189
UPDATE 10


Rahul ka jab aankh khula to usne apne mobile me time dekha...Time 4:00 pm ho raha tha...Wo turant utha aur fresh hoke niche kitchen me nashta karne chala gaya...Nashta karne ke baad wo apne room me waapas wapas bed me let gaya...Wo soch raha tha ki abb kya karu...Aaj usse mobile chalane me koi man nahi lag raha tha...Abhi abhi soo kar utha tha...Tabhi usne socha ki pichhle kuchh din se wo padhaayi me jyaada dhyaan nahi de paa raha hai...11 ki exam bhi accha nahi gaya tha....Abhi 1 ghanta ke baad Ajay bhi room me aa jaayega...Tab baat karte huye time nikal jaayega...Isiliye wo bag me se kuch books nikal kar padhne laga.

Usse abhi bhi Priya aur Priya ki baatein yaad aa raha tha...Wo khud apne aap par vishwas nahi kar paa raha tha ki kaise wo ek ladki ke liye sab kuchh bhulta jaa raha hai...Khud pe bilkul bhi dhyaan nahi de paa raha hai...Apna daily routine ko bhi follow nahi kar paa raha hai...Wo bhi ek aisi ladki ke liye jisse wo acche se jaanta bhi nahi hai...Ye tak nahi pata ki Priya usse pyaar karti bhi hai ya nahi...Yahi sab sochte huye wo bas padhne ka try kar raha tha...Lekin achhe se padh nahi paa raha tha...Baar baar Priya ke baare me hi soch raha tha...Usse ye baat ka bhi bahut dukh tha ki wo 3 din tak Priya se mil nahi paayega...Jaise taise karke 1 hour bit jaata hai aur Ajay bhi apne room me aa jaata hai.

Ajay:- Kya hua bhai...Kya soch raha hai?

Rahul:- Kuch nahi.

Ajay:- Tera chehra dekh kar to lag raha hai ki kuch to jarur hua hai...Tera aur Priya ka breakup ho gaya kya (Haste hue)?

Rahul:- Kamine...Relationship start hua hi nahi hai aur tu breakup ki baat kar raha hai...Lekin uske saath 3 din mil bhi nahi paaunga aur baat bhi nahi kar paaunga.

Ajay:- Kyu kya hua?

Phir Rahul ne Ajay ko aaj uske aur Priya ke bich jo bhi baat hua tha uske baare me sab kuch bata deta hai.

Ajay:- To fir kyu muh latkake baitha hai...Usne tujhe phone number to diya hai na...Baat karle usse.

Ajay ka baat sunke Rahul khus ho gaya lekin agle hi pal fir se serious ho gaya.

Rahul:- Are yaar agar Priya ne pucch liya ki phone kyu kiya hai to kya bolungaa? Abhi to mere paas baat karne ke liye koi topic bhi nahi hain...Agar usne phone kiya to hi baat karungaa.

Ajay:- Bhai tujhe apna dost kehte hue bhi sharm aa raha hai...Ek ladka hoke ladki se baat karne me itna darta hai...Dusre ladkon se kucch seekh...Ladkiyon se kaise flirting karte hain...Phone pe kaise baatein karte hain.

Ajay ne ye baat to majaak ke mood me kaha tha lekin Rahul ko uske baat se bahut gussa aa gaya aur usne chilla kar kaha

Rahul:- Chup...Jyada mat bol...Tu mujhe samajhta kya hai...Main koi aisa ladka nahi hu jo ladkiyon se bas flirt karta rahun...Maine tujhe pehle bhi kaha hain ki agar main pyar karunga to saccha pyaar karunga naki koi 2 ya 4 months ki relationship wala pyaar...Bhai sabhi insaan ek dusre se alag hote hain...Main jaisa hun waisa hi theek hun...Mujhe dusron se compare mat kar...Mujhe kisi se kuchh nahi sheekhna aur waise ladkon se to bilkul bhi nahi...Maine tujhse Priya ki maamle me help kya maanga tujhe laga ki tu mujh pe koi aishaan kar raha hai...Tujhe help nahi karna to mat kar lekin aisi baatein bhi mat kar.

Ajay Rahul ka iss tarah se achanak gussa ho jaane se shocked reh jaata hai aur usse bhi thoda thoda dar lagne lagta hai...Aisa nahi tha ki usne Rahul ka gussa nahi dekha tha bahut baar dekh chuka tha lekin aaj baat kuch aur tha...Aaj tak Rahul Ajay ke upar kabhi bhi gussa nahi hua tha lekin aaj to Rahul ne usse bhi bahut kuch suna diya tha.

Ajay bhi Rahul ka haalat samajhte hue uske saath acche se baat karne lag jaata hai.

Ajay:- Sorry yaar...Main to majaak kar raha tha...Tune to bura maan liya.

Rahul:- Bhai maine tujhe kitni baar bola hai ki jab main serious hota hu to mujhe gussa mat dila.

Ajay:- Thik hai...Aaj ke baad aisa nahi karunga...Chal baahar ghum kar aate hain.

Rahul bhi room me reh kar bore ho chuka tha...Isiliye wo aur Ajay dono nikal jaate hain baahar ghumne ke liye aur dinner time me hostel laut aate hain...Wo dono kaafi thak chuke theyisiliye dinner ke baad turant so jaate hai.

Subah Rahul uth kar college chala jaata hai...Aaj usse college me bahut boring feel ho rahi thi...Aaj wo lunch time me bhi Priya se mil nahi paaya...Aise hi wo college se hostel aa gaya....Hostel me bhi wo Priya ko hi yaad kar raha tha aur uska Priya se baat karne ka man kar raha tha lekin phone karne se dar bhi raha tha...Aise hi dekhte dekhte raat ho jaati hai...Rahul aur Ajay dono thodi baat karte hain aur padhne baith jaate hai...Rahul ka to padhne me bilkul bhi man nahi lag raha tha...Usse to bas Priya ka phone ka wait tha...Lekin aaj raat bhi Priya ka phone nahi aaya.

Aise hi 2 din aur beet jaate hain...Rahul ka to bura haal ho chuka tha...3 din ho gaye the usse Priya se bina mile, bina baat kiye, aur bina dekhe...Wo to besabri se Sunday ka wait kar raha tha ki kab Sunday aaye aur Priya se baat kiya jaaye.



SUNDAY MORNING​



Rahul abhi soo hi raha tha ki uska mobile me kisi ka call aata hai.

Rahul phone utha leta hai aur gusse se kehta hai.

Rahul:- Kaun hai jo mujhe subah subah disturb kar raha hai...Abhi main soo raha hu please pareshaan mat karo.

Phone ke dusre taraf se ek ladki ki awaaz aati hai.

Ladki:- Achha to main tumhe disturb kar rahi hu...Sorry...Main phone rakhti hun.

Uss ladki ki awaaz sun kar Rahul pehchaan leta hai aur ghabrahat me jaldi jaldi keh deta hai.

Rahul:- Sorry Priya...Abhi soo raha tha isiliye number dekha nahi...Mujhe laga ki koi dost hoga jo subah subah parseshaan karne ke liye phone kiya hoga.

Priya:- Tumhe abhi subah ka time lag raha hai...Ghadi dekho jaldi se dopahar hone wala hai...10:00 baj chuka hai.

Rahul:- To kya hua...Aaj to Sunday hai isiliye itni der tak sota hu...Kal se to fir 6:00 baje uthna padega college jaane ke liye.

Priya:- Ye baatein chhodo aur batao ki aaj kaha par milna hai.

Rahul:- Tum hi decide karo...Main to new hu iss town me...Mujhe iss town ke baare me jyada pata nahi hai.

Priya:- To ham log iss town se thodi duri par ek Park hai waha par milte hai...Main tumhe adress message kar deti hu...11:30 tak waha par pahuch jaana...Intejaar karungi.

Rahul:- Ok thik hai...Main bhi fresh hoke pahunchta hunn.

Priya:- Thik hai(Aur phone kaat deti hai)

Rahul fresh hone ke liye bed se uthta hai aur saamne baithe Ajay ko dekhta hai jo Rahul ko dekh kar muskura raha tha...Rahul ye dekh kar shocked ho gaya tha aur waha se muhh chupaake washroom ki taraf jaa raha tha lekin usse pehle hi Ajay Rahul ko keh deta hai.

Ajay:- Bhai tu to pehle sher ki tarah garaj raha tha phone me lekin Priya ki awaaj sunte hi bheegi billi ban gaya...Ye sab pyaar ka hi jaadu hai.

Rahul:- Bakwas band kar...Jab tujhe pyar hoga uss time tera bhi majaak udaaunga.

Itna keh kar Rahul washroom se fresh ho kar waapas aa jaata hai...Tabhi uske mobile me Priya ka message aata hai...Jab usne message dekha to usme adress likha tha...Wo turant ready ho kar Ajay ko bye kehte hue uss adress ke liye nikal jaata hai.

Jab Rahul uss park me pahunchta hai to uss ko Priya dikhayi deti hai jo uska hi wait kar rahi thi...Aaj 3 din baad Priya ko dekhkar wo bahut khush ho jaata hai aur jaldi se Priya ke paas pahunch kar.

Rahul:- Hello Priya.

Priya:- Hi Rahul...Baitho yaha.

Rahul ko samajh me nahi aa raha tha ki kya baat kare phir bhi wo kehta hai.

Rahul:- Priya...Tumne mujhe kyu bulaya...Koi jaruri kaam tha kya?

Priya:- Ha kuchh kehna tha tumse lekin college ke park me time nahi mil paata tha aur waha par baat karne ka mahaul bhi achha nahi tha...Isiliye tumhe yaha pe bula liya.

Rahul:- Accha thik hai...Kya kehna hai tumhe?

Priya:- Dekho Rahul jo bhi main kahungi wo agar tumhe bura lage to tum gussa mat hona...Aur vaada karo ki hamari dosti hamesha rahega.

Rahul Priya ki baat sunkar bahut hi khush ho gaya ki Priya usse apna dost to maanti hai...Lekin Priya ki iss tarah se baat karne se usse kuch ajeeb sa lag raha tha.

Rahul:- Are jaldi bataao na...Paheli kyu bujha rahi ho...Aur main vaada karta hun ki iss baat ke liye main tumse hamara dosti nahi todunga.

Priya:- (Chehra ko jhukaate hue aur dheemi awaaj me) I love you Rahul.

Rahul to ye baat sunkar bahut jyaada shocked ho jaata hai...Usse bilkul bhi ummeed nahi tha ki Priya itni jaldi usse purpose kar degi...Usse Priya ke muhh se "I love you" sunkar to bahut khushi hui...Lekin thoda sa shanka bhi lag raha tha Priya pe...Kyu ki Rahul ko Priya ke kehne me koi feelings bhi najar nahi aa rahi thi...Usne apne aap ko jaise taise control kiya aur Priya se kaha..

Rahul:- What? Priya ye tum kya keh rahi ho...Aakhir tumne mujhme kya dekh liya ki tum mujhse pyaar karti ho?

Priya:- Bahut kuch dekha hai maine tum me...10 din se tumhe dekh rahi hun...Tumhara piccha bhi kiya hai tumhare baare me jaane ke liye...Tumhare friends se bhi tumhare baare me information liya hai...Mujhe tumhara behavior bahut achha laga...Sab ke saath achhe se behave karte ho...Dusro ko jarurat padne par help karte ho...Kisi ke baare me bura nahi sochte ho...Aapne faaida ke liye kisi aur ko takleef nahi pahuchate ho....Ladki ke taraf kabhi galat najar se nahi dekhte ho....Padhne likhne me bhi bahut acche ho...Koi buri aadat nahi hai tum me...Alcohol aur Smoking bhi nahi karte ho...Isse jyada mujhe kya chahiye? Aur main ye bhi jaanti hu ki tum bhi mujhse pyaar karte ho.

Rahul to hairaan reh gayaa tha Priya ki baat ko sunn kar...Aur jab Priya ne ye keh diya ki "tum bhi mujhse pyar karte ho" tab wo soch me pad gaya tha.

Rahul ko abb lagne laga tha ki wo Priya se pyar karne laga hai...Aaj Priya ke muhh se ye baat sunkar usse bhi bahut khushi mili ki Priya bhi usse pyar karti hai...Lekin usse Priya ke kehne ke tarika me koi bhi feelings najar nahi aaya...Wo yahi soch raha tha ki Priya usse sachh me Pyaar karti hain yaa fir uska faayeda uthana chahti hai.

Wo gehri soch me padd gaya tha ki Priya ko kya jawaab diya jaaye...Pyar karte huye bhi wo Priya ko jawaab nahi de paa raha tha...Usse Ajay ki baat ka bhi yaad aa raha tha ki Pyar me jaldbaazi nahi karna chahiye...Yehi baaten ko soch kar usne Priya se kaha.
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,146
189
  • Like
Reactions: Naina

kamdev99008

FoX - Federation of Xossipians
9,768
37,553
219
Priya to super fast ki speed se chal rahi hai
Pyar ka ijhar bhi kar diya

Dekhte hain aage... Priya sahi hai ya rahul ka shk

Keep it up
 

kamdev99008

FoX - Federation of Xossipians
9,768
37,553
219
nisha Rahul wale updates jaldi dijiye....
Nisha kaun?
 
  • Like
Reactions: Champ_AK_81

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,146
189
Priya to super fast ki speed se chal rahi hai
Pyar ka ijhar bhi kar diya

Dekhte hain aage... Priya sahi hai ya rahul ka shk

Keep it up
Thanks Kamdev bhai for your support and review...Keep supporting.
 
  • Like
Reactions: kamdev99008
Top