• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Mentality [Completed]

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,166
189
UPDATE 44


Rahul kahi tujhe Nisha se pyaar to nahi ho gaya....Usme bahut interest le raha hai....Mujhe to pata hi nahi chala ki kab wo teri life me aayi....Tu khud samajhdaar hai....Priya se jo sabak mila hai usse kabhi mat bhulna....Kahi phir se tu na pachtaye....Mujhe ye to nahi pata ki tu Priya se pyaar karta hai ya nahi.....Lekin lagta hai ki tu usse pyaar karne laga hai....Iss baar koi jaldbazi mat karna....Khud ko thoda sa time de.....

Ye Rahul ka soch nahi ye Ajay ki aawaj hai jo Rahul ko samjha raha hai.....Aaj bahut time baad Ajay aur Rahul mile the....Semester complete hone ke kucch time baad aaj Ajay aur Rahul ne milne ka plan banaya hai...Iss 1 mahine ne kuch pariwartan hua hai.....Rahul aur Neha ki exam bahut acche se gaya...Neha confidence ke saath Rahul ko kehti hai ki iss baar wo top karegi....Rahul usse kuch nahi kehta bas usse dur rehta hai......Wahi par Rahul aur Nisha ki dosti bahut acchi ho gayi hai...Lekin Rahul ne usse nahi kaha hai ki usne Nisha ko dost maan liya hai....Rahul bhul gaya tha ye kehna....Lekin iski koi jarurat nahi thi Nisha ko bhi pata tha ki Rahul usse dost maanta hai....Ye dono ki baatein bhi acche se chalne lagi hai....Rahul ko Nisha abb achhi lagne lagi hai....Uske saath baat karke vakt bitaane laga....Wahi par Aditya apna badla na le paane ki vajah se bahut frustrated hai....Kabhi mauka hi nahi mila usko Nisha ki kidnapping karne ka....Rahul bhi uski haalat dekh andar hi andar muskurata tha.....Aditya ki frustration ka asli vajah to usse bhi pata nahi...

Ajay ki baag sunkar Rahul uss par bhadak gaya....

Rahul:- Kya bakwass kar raha hai.....Mai usse pyaar nahi karta....Wo dost hai meri....Tu kuch bhi sochta rehta hai.....

Ajay:- Rahul mai tujhe bachpan se jaanta hu.....Teri har harkat ko jaanta hu....Tera baat karne ja tarika se pata chalta hai ki tu kis soch me dooba hai....Jab tu mujhe Nisha ke baare me bata raha tha teri aankhon me ek alag chamak tha.....Tujhe nahi pata lekin tu muskuraate huye baat kar raha tha....Nisha aur teri har ek baatcheet ko tu bataa raha tha tab tera chehra me ek alag hi khushi tha....Tu Nisha ki bahut taarif kar raha tha.....Bhai mai ye nahi kehta ki tu usse Pyaar karta hai lekin ye baat maan le ki tu uske taraf attract ho raha hai.....

Rahul Ajay ki baat sunkar soch me padd gaya ki kya wo sacch me waisa hi kar raha tha jaise Ajay ne use bataya....Kya wo sacch me Nisha ki taraf attract ho raha hai....Kya uske dil me Nisha ke liye koi feelings aa raha hai.....Kya wo fir se Priya waali galti dohrane waala hai....

Rahul:- Mujhe khud samajh me nahi aa raha ki maine tujhe kya kya bataya hai....Agar ye sab sach hai to mujhe Nisha se doori badhaai hogi....Kahi fir se Priya baali galti na ho jaaye....Priya ke sath jab se alag hua hu tab se soch liya hai ki Pyaar abb mere jindagi me koi maayne nahi rakhta....Fir se apna dil toot ta hua nahi dekh sakta.....Ha abb mai Nisha se bas kaam ke hisaab se baat karunga.....Uske pass nahi jaaunga.....

Ajay:- Galat....Galat soch hai tera.....Pyaar kiya nahi jaata ye to ho jaata hai....Dekh Rahul.....Maine tujhe hamesha apna best friend maana hai....Kabhi galat salaah nahi dunga....Itna jaan le har ladki Priya jaise nahi hoti.....Nisha ko to mai nahi jaanta.....Lekin jiss tarah se tune uske baare me bataya hai mujhe lagta hai wo acchi ladki hai.....Baaki jo pyaar ki baat hai wo tujhe khud hi sochna hoga....Khud ko thoda sa time de aur pata laga le....Pehle bhi kaha tha aur aaj bhi kahunga pyaar me koi jaldbazi mat karna....Agar tera dil kahe ki tu usse pyaar karta hai tabhi yakeen karna....Mai to bas tujhe jaldbazi karne se mana kar raha hu ....

Rahul:- Baat to teri sahi hai.....Lekin maine aaj tak Nisha ke baare me aisa nahi socha tha....Jab tu keh raha hai to teri baat thik hi hogi....

Ajay:- Tu apna feelings nahi jaan paaya hai.....Maine to teri baat karne ki tarike ko dekhte hue ye sab kaha hai.....

Rahul:-Ek baat bata......Kya tujhe bhi pyaar ho gaya hai????

Ajay uski baat sun kar hairaan ho jaata hai ki Rahul ne usko ye sab kyu puchha....

Ajay:- Nahi.....Nahi to.....Tu ye sab kyu puccha raha hai???

Ajay ne hairaani se puchha....

Rahul:- Tu itna accha se love advice de raha hai to socha ki kahi tu bhi pyaar to ke chakkar me na pad gaya ????

Rahul ki iss sawal ka jawaab Ajay ne muskuraate hue diya....

Ajay:- Meri aisi kismat kaha....Koi ladki nahi mili.....Aur pyaar ke baare me batane ke liye ye jaruri nahi ki khud ko bhi kisi se pyaar ho jaaye.....Bas thoda bahut pata hai.....Aur mai teri harkat se acchi tarah se waakif hu.....Iss liye tujhe samjhana utna mushkil nahi.....

Fir kuch det tak dono dost aise hi baat karte hai....Aur shaam hote hi dono apni apni raashtr jaane lagte hai....

Ajay ki baat sunne ke baad Rahul gehri soch me pad gaya tha....Kya sach me wo Nisha ke baare me batate hue ajeeb sa behave kar raha tha??? Kya sach me uske dil me Nisha ke liye feelings aane lage hai????Kya wo fir na chahte hue bhi pyaar ki raah me chal pada hai??? Kyu usko Nisha se baat karte hue ek sukoon milta hai????Kyu wo baar baar Nisha ke khayalon me doob jaata hai???? Rahul aise hi kuch sawalon ka jawaab dhundh raha tha Aur soch raha tha ki abb aage kya karna hai jisse pata chale ki uske dil me Nisha ke liye feelings hai ya nahin....Abb aage kaise react karna hai....Ye to bas Rahul aur Rahul ki "Mentality" ko pata hai.
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,166
189
UPDATE 45

Ajay se baat karne ke baad Rahul shaam me apne flat pahunch jaata hai.....Flat me pahunchne ke baad wo garden pe baith jaata hai....Wo garden me baith kar Nisha ke baare me hi soch raha tha ki Nisha aa jaati hai.....

Nisha:- Hi.

Lekin Rahul apne hi khayalon me dooba tha ..... usse Nisha ki dheemi aawaj sunaayi nahi deta....

Nisha:- Kuch keh rahi hu tumse....Jawaab kyu nahi de rahe ho????

Iss baar Nisha thoda gussa me jor se kehti hai Aur Rahul sun leta hai....

Rahul:- Tum.....Tum kab aayi....Maine tumhe dekha hi nahi....

Nisha:- Jab tum apne khayalon se baahar aaoge to dekhoge na....Har vakt apne khayalon me hi doobe rehte ho.....Aaspass kya ho raha hai kuch fikar hi nahi....Aajkal tum pehle se jyada apne khayalon me doobe rehte ho.....Kya baat hai??? Pyaar ka chakkar hai kya....

Rahul Nisha ki baat sun kar had bada jaata hai....Usse kya kehna hai kuch samajh me nahi aata ..... Jaise taise keh deta hai.....

Rahul:- Nahi ..... Bas aise hi kuch soch raha tha....Aur ye aadat meri bachpan se hai....Aur hamesha se aisa hi hu.....Aur mujhe nahi lagta ki aajkal kuch jyaada sochta hu....

Nisha:- Tumne mere sawaal ka nawaab nahi diya???

Rahul:- Kaunsa sawaal???

Nisha:- Yahi ki tum kisi se pyaar karte ho.....Tum aaj kal bahut ajeeb harkat karne lage ho...

Rahul Nisha ki iss baat pe fir se soch me pad jaata hai....

Rahul:- (Apne man me) Kya sach me aaj kal mai aisa harkat karne laga hu....Aaj din me Ajay bhi keh raha tha....Aur abb Nisha bhi.....Shaayad sach me mera behavior ajeeb ho gaya hai.....Lekin mujhe pata kyu nahi chal raha.....

Rahul bas itna hi soch paaya tha ki fir se Nisha ne usse sawal puccha liya....

Nisha:- Jawaab kyu nahi de rahe ho???

Nisha apne jawaab ka besabri se intezaar kar rahi thi....Wo jaana chahti thi ki Rahul kya jawaab deta hai pyaar ke baare me.....Rahul ki khamoshi usko aur tadpa raha tha....Iss liye usne fir se puccha liya....

Rahul:- Nahi mai kisi se koi pyaar nahi karta....Nafrat karta hu iss shabd se....Pyaar ka dusra naam dhokha hai.....Fir se wo galti nahi dohoraana chahta jo ek baar kar chuka hu.....Shaayad uss vakt mujhe jyaada samajh nahi tha inn sab ke baare me.....Lekin abb pata chal chuka hai ki Pyaar aaj ki duniya aur aaj ki yug me koi maayne nahi rakhta....Saccha pyaar bas kahani me hi milta hai....Real life me nahi.....Real life me to pyaar bas ek bahana hai ek dusre se faida uthane ka....Jab apna kaam ho gaya to pyaar ka "The End" aur shuru hota hai "The New Beginning"....Ye sab ek continuous process hai jo kabhi khatam nahi hota.....Iss liye mai pyaar par yakin nahi karta aur dur rehta hu iss cheej se.....Mai bas sukoon se apna life jeena chahta hu Aur Pyaar ka iss khel me pad kar apna life barbaad nahi karna chahta.....

Rahul ne ye to keh diya lekin usse khud samajh me nahi aa raha tha ki usne ye sab kaise keh diya.....Jab Nisha ne usko pyaar ke baare me puccha tha tab usse na chahte hue bhi Priya ka yaad aa gaya....Barson se dil me dabe Priya ke liye nafrat aaj usne Nisha ke saamne ugal diya tha....Rahul Nisha ke saath aise baat karna nahi chahta tha lekin wo Priya ke liye nafrat ko control nahi kar paaya tha......Abb wo baat ko sambhalna chahta tha lekin kya kahe wo usse samajh me nahi aa raha tha....Wo chup chaap wahi par khada reh kar niche jameen ki taraf dekhne laga....

Rahul ka jawaab sun kar Nisha ko bahut bura laga....Nisha ke dil me Rahul ke liye kuch feelings tha aur wo jaana chahti thi ki Rahul pyaar aur uske baare me kya sochta hai....Iss liye usne Rahul se ye sawaal puchha tha....Lekin iss sawaal ka jawaab ne usko buri tarah se dukh pahunchaya tha.....Wo jaana chahti thi ki Rahul kyu pyaar shabd se itna nafrat karta hai.....Lekin abhi Rahul ka haalat dekh kar usne faisla kiyaa ki wo baad me puchegi.....

Nisha:- Sorry Rahul.....Mujhe nahi pata tha ki meri baat tumko itna hurt karega....Mera aisa koi maksad nahi tha.....

Wo dono hi kuch der khamosh rahe aur iss khamoshi ko todte hue Nisha ne kaha....

Nisha:- Mai abhi chalti hu.....Baad me baat karenge....

Nisha ke liye waha rukna mushkil ho raha tha....Iss liye wo Rahul se itna keh kar apni room me chali gayi....

Rahul Nisha ko rokna chahta tha.....Lekin kya kahe wo samajh me nahi aa raha tha....Iss liye wo kuch nahi bol paaya.....Rahul wahi par khada reh kar khud ki baaton par gussa karta raha aur kuch der me apne room me chala gaya.
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,166
189
UPDATE 46

Nisha in her room.

Rahul ki baaton se Nisha ki dil ko bahut chot pahucha tha.....Uski aankhon se aanson ki kuch boond gir raha tha.....Wo soch rahi thi....

Nisha:- ( Apne man me) Aakhir kya vajah ho sakta hai jo Rahul pyaar se itna nafrat karta hai....Shaayad pyaar me kisine Rahul ko dhokha diya hoga.....Ye baat to Rahul se hi pata chalega....Baad me ussi se pooch lungi....

Ye sochte hi Nisha ko Rahul ki yaad aa jaati hai....Uske chehre me fir se ek mushkaan aa jaati hai....Aur wo fir sochne lagti hai.....

Nisha:- (In her mind) Mujhe kab Rahul se pyaar ho gaya pata hi nahi chala....Shaayad uski acchayi se ....Ya fir uska behavior se.....Thoda jaldi gussa ho jaata hai lekin dil ka bahut hi accha hai.....Kabhi kisi ke liye galat nahi sochta.....Aaj tak jab bhi maine uske saath baat kiya hai ussi se pata chalta hai ki uska soch kitna saaf hai.....Kabhi meri taraf galat najar se nahi dekha.....Uss din Ravi se bhi dosti tod liya jab Ravi mere baare me buraa keh raha tha.....Mai jaanti hu ki uss vakt uska aur mera relation accha nahi tha fir bhi usne apne dost se dosti tod liya....Wo kabhi kisi ke baare me galat nahi sunna chahta aur na hi sochta hai....Jab Rahul se baat hua tab se wo mujhse acche se baat karta hai....Padhayi me bhi tej aur Aditya jaise naalayak fost hote huye bhi buri aadato se bhi dur.... Shuru shuru me to lagta tha ki Aditya ke dost hone ke kaaran bigda hua ladka hai lekin usse baat karne ke baad pata chala ki bahut hi accha ladka hai.....Shaayad inhi vajaaho se mujhe uske saath pyaar ho gaya hai.....

Mujhe to Rahul se pyaar ho gaya.....Kya wo bhi mujhse pyaar karta hai.....Nahi ...Usne aaj hi to kaha tha ki wo kisi se pyaar nahi karta aur pyaar shabd se hi nafrat karta hai....Aaj tak jab bhi uske saath baat kiya hai uski baaton me mai apne liye feelings dhundti rahi....Kabhi kabhi to uske baat karne ki andaaz se lagta hai ki wo mujhse pyaar karta hai to kabhi kabhi lagta hai wo normally baat kar raha hai....Har vakt dimaag me yahi sawaal aata hai ki wo mere baare me kya sochta hoga??? Kya kabhi wo mujhse pyaar karega????Kya meri feelings kabhi jaan paayega????

Agar usne mujhse pyaar nahi kiya to mera kya hoga....Soch kar hi dar lagta hai.....Nahi nahi mujhe abhi aisa sochna nahi chahiye....Mai to bas apna pyaar nibhaungi baad me jo hona hai wo to hokar hi rahega.....Wo itna bhi patthar dil nahi hai ki kabhi nahi pighlega....Abhi to wo pyaar se nafrat karta hai ....Lekin mujhe umeed hai ki ek na ek din uski soch jarur badlegi....Bas munhe apna pyaar acche se nibhaana hoga aur usko thoda vakt dena hoga badalne ke liye.....


Nisha issi tarah se apne aur Rahul ke baare me soch rahi thi....Udhar Rahul bhi apne room me soch raha tha.....

Rahul:- (Apne man me) Aaj jo bhi hua accha nahi hua....Mujhe Nisha ke saath itni jor se aur gusse se baat nahi karna chahiye tha....Uss bechaari ka to koi galti hi nahi thi....Bas munhe kucch pucch hi to rahi thi....Mai bekaar me bhadak gaya uske upar....Ye Priya bhi na.....Saath to chhod diya mera lekin iski yaad ne aaj tak saath nahi chhoda....Baar baar yaad aati rehti hai aur nab bhi yaad aati hai tab bahut gussa aur nafrat baali feelings aati hai.....Aaj bhi gusse me na jaane kya kya keh diya Nisha ko....Na chahte hue bhi Priya ka gussa Nisha par utaar diya.....

Nisha bhi naraaj hokar chali gayi.....Mera hi galti hai....Mujhe soch samajhkar bolna chahiye tha....Khair jo bhi hua abb usse badla(change) to nahi kiya jaa sakta....Kal mai usko sorry keh dunga.
 
Last edited:
Top