A short flashback
Family ya
pariwar is shab ka arth aap sab ko pata hi hoga ki ek insaan ki jindagi me iske kya mayne hote h par meri jindagi me aisa kuch nahi tha…..
Meri family me hum 4 log the mera bachpan bhi baaki bacho ki hi tarah tha apne pita ke sath ghumna maa ka mere liye pyar or badi behan ke saath khelna par shayad upar wale ne kuch or hi soch rakha tha …kuch hi samay baad hume pata laga ki maa ko koi bimari hai or vo ab jyada din nhi rahengi…us samay ye baat hum bacho se chupayi gayi par maa….inke liye to inki duniya mai hi tha vo mujhse bahut jyada pyar karti thi to kuch hi dino me unki aankhon me ek dar sa dikhne laga ki unke baad unke bacho ka kya hoga to unhone pita ji ko jabardasti apne bacho ka wasta dilwa kar apni behan ki shaadi pita ji se karwa di par ye shayad ab bahut kuch badalne wala tha or bas kuch hi dino me maa duniya chod kar chali gayi ab hum bikhar gaye the…..
Ab pita ji hum se kat se gaye the ab vo sirf apne kaam me dhyan dene lage or mausi jo ki humari maa ban gayi thi unhe to samjhna hi mushkil tha vo bas Ghar ka kaam kar diya karti thi isse jyada unhone hamare liye kuch kiya nahi tha lekin abhi shayad kuch or bhi bura hona baki tha….
Kuch samay me hi hamari nayi maa pregnant ho gayi to ab pita ji phir se pariwar se judne lage hume bhi laga ki shayad ab hamara pariwar ek baar phir sambhal jayega par……jab nayi maa ko bacha hua to vo ladka tha to pita ji ka dhyan to apne aap hi uski aur badh sa gaya tha vo usse jyada pyar karne lage ye shayad us aurat ke kaaran bhi tha kyuki jab maa chali gayi thi to unhone pita ji ko sambhala tha or humse door bhi kar diya tha….
Or bas kuch hi dino me nayi maa ko apne bete ke bhavishya ki chinta hui or unhone pita ji se na jaane kya kaha or achanak hi mujhe apne mama ke yaha bhej diya gaya jaha mere liye kuch nahi tha vo log mujhe naukar ki tarah rakha karte the ek din kuch aisa hua ki mujhe apne poore pariwar se hamesha ke liye door hona pada ab ye kya hua ye aage pata chal jayega aur phir maine ek naye naam ke saath ek nayi shuruaat ki ……
'
Avinash ' duniya mujhe ab isi naam se jaanti hai
Ab flashback ko bich bich me jarurat padne par hi bataya jayega….
Character introduction
- Rajesh Sharma (46): ye mere pita hai inka textiles ka business hai jyada bada nahi hai par Shahar me naam h inka
- Anita (passed) : meri maa jo ki ab nahi rahi
- Pooja (42): ye meri sauteli maa hai
- Radhika (22): ye meri badi behan hai..ye mujhse bahut pyar karti hai or mujhe ghar se door bheja gaya tha to ye pita ji ke khilaf thi par unki baat kon sunta
- Sameer (20): ye Pooja maa ka beta hai ab iska intro bhi story me hi milega
- Ramesh (45): mere mama hai ye jinke yaha mujhe bheja gaya tha
- Madhu (43): ye meri maami hai inhone mujhe bahut pareshan kiya bachpan me
- Arti (22): ye mama ki badi beti h
- Rashmi (20): ye mama ki choti beti hai
- Karan (22): iska bachpan mere saath hi nikla h flashback me aa jayega ye bhi
- Avinash (22): yani ki mai ab mere baare me kahani me hi pata chale to jyada behtar rahega
(Abhi bas itna hi hai baaki log bhi jaise jaise aate jaenge unka intro aata jaega)